Friday, June 23, 2017

{{ EIDAIN KA BAYAAN }}


*{{ PART=1 }}*


*{{ EIDAIN KA BAYAAN }}*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

               *EIDAIN KA BAYAAN*

*🌹ALLAH TAALA FARMATA HAI:🌹*

*TARJUMA::--*
                      *ROZE KEE GINTEE POORI KARO AUR ALLAH KEE BADHAI BOLO KI USNE TUMHE HIDAAYAT FARMAI,*
                  *AUR FARMATA HAI:*
*TARJUMA::--*
                       *APNE RAB KE LIE NAMAZ PADH AUR QURBAANI KAR,,*

*✏HADEES=1:*
                       *IBNE MAAJAA ABOO UMAMA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI RASOOLULLAH ﷺ FARMATE HAI*
*JO EIDAIN KEE RAATO ME QIYAAM KARE USKA DIL N MAREGA JIS DIN LOGO KE DIL MARENGE,,*

*✏HADEES=2:*
                     *ASB'HAANI M'AAZ IBNE JABAL RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI FARMATE HAI*
*JO PAACH (5) RAATO ME SHAB BEDAARI KARE USKE LIE JANNAT WAAJIB HAI*
*ZIL'HIJJA KEE AATHWEE (8-wee) NAWEE (9-wee) DASWEE (10-wee) RAATE AUR EIDUL FITR KEE RAAT AUR SHABAAN KEE PANDRAWEE (15-wee) YAANI SHABE BARA'AT,,*

*✏HADEES=3:*
                       *ADOO DAAUD ANAS RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI HUZOOR AQDAS ﷺ JAB MADEENE ME TASHREEF LAAE US ZAMAANE ME AHLE MADEENA SAAL ME DO (2) DIN KHUSHEE KARTE THE*
*MEHAR'GAAN (Patjhad ka mousam) W NAIROZ,*
*FARMAYA YAH KYA DIN HAIN*
*LOGO NE ARZ KIYA JAAHILIYAT ME HAM IN DINO ME KHUSHEE KARTE THE,*
*FARMAYA ALLAH TAALA NE UNKE BADLE ME INSE BEHTAR DO (2) DIN TUMHE DIYE*
*EIDE AZHA W EIDUL FITR KE DIN,,*

*✏HADEES=4 w 5:*
                         *TIRMIZEE W IBNE MAAJAA W DAARMEE W BUREEDA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI HUZOOR AQDAS ﷺ EIDUL FITR KE DIN KUCH KHAKAR NAMAZ KE LIE TASHREEF LE JAATE AUR EIDE AZHA KO N KHATE JAB TAK NAMAZ N PADH LETE*
*AUR BUKHARI KI RIWAYAT ANAS RADIYALLAHU TAALA ANHU SE HAI KI EIDUL FITR KE DIN TASHREEF N LE JAATE JAB TAK CHAND KHAJOORE N TANAA'WUL FARMA LETE AUR KHAJOORE TAAQ (Wisham) HOTI YAANI TEEN (3) PAACH (5) SAAT (7) WAGAIRA,,*

*✏HADEES=6:*
                         *TIRMIZEE W DAARMEE NE ABOO HURAIRA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RIWAYAT KEE KI EID KO AEK (1) RAASTE SE TASHREEF LE JAATE AUR DOOSRE SE WAAPAS HOTE,,*

*✏HADEES=7:*
                         *ABOO DAAUD W IBNE MAAJAA KEE RIWAYAT UNHEE SE HAI KI AEK (1) MARTABA EID KE DIN BAARISH HUI TO MASJID ME HUZOOR ﷺ NE EID KEE NAMAZ PADHI,,*

*✏HADEES=8:*
                     *SAHEEHAIN ME IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWEE KI HUZOOR ﷺ NE EID KEE NAMAZ DO (2) RAK'AT PADHI N ISKE QABL NAMAZ PADHI N BAAD,,*

*✏HADEES=9:*
                       *SAHEE MUSLIM SHAREEF ME HAI JAABIR IBNE SUMRAA RADIYALLAHU TAALA ANHU KAHTE HAI MAINE HUZOOR ﷺ KE SAATH EID KEE NAMAZ PADHEE AEK (1) DO (2) MARTABA NAHI (Balki baarhaa) N AZAAN HUI N IQAAMAT,,*

        *{{ MASAILE FIQHIYYAH }}*
                             ⬇
*EIDAIN KEE NAMAZ WAAJIB HAI MAGAR SAB PAR NAHI BALKI UNHEE PAR JIN PAR JUMA WAAJIB HAI AUR ISKI ADAA KEE WAHEE SHARTE HAI JO JUME KE LIE HAIN*
*SIRF ITNA FARQ HAI KI JUME ME KHUTBA SHART HAI AUR EIDAIN ME SUNNAT AGAR JUME ME KHUTBA N PADHA TO JUMA N HUA AUR ISME N PADHA TO NAMAZ HO GAI MAGAR BURA KIYA,*
*DOOSRA FARQ YAH HAI KI JUME KAA KHUTBA NAMAZ SE PAHLE HAI AUR EIDAIN KA NAMAZ KE BAAD AGAR PAHLE PADH LIYA TO BURA KIYA MAGAR NAMAZ HO GAI LOUTAAI NAHI JAYEGI AUR KHUTBE KO BHI NAHI DOHRAYA JAAEGA*
*AUR EIDAIN ME N AZAAN HAI N IQAAMAT SIRF DO (2) BAAR ITNA KAHNE KEE IJAZAT HAI ""AS'SALATU'JAAMI'AH""*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagairhuma,,*
*BILA WAJAH EID KEE NAMAZ CHODNA GUMRAAHI W BURI BID'AT HAI,,*
*📘Jouhra,,*

*✍🏻MASLA=1:*
                      *GAAW ME EIDAIN KEE NAMAZ PADHNA MAKROOHE TAHREEMI HAI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=2:*
                      *EID KE DIN YE UMOOR (Kaam) MUSTAHAB HAIN,*
*1::-- HAJAAMAT BANWANA,,*
*2::-- NAAKHOON TARASHWANA,,*
*3::-- GUSL KARNA,,*
*4::-- MISWAAK KARNA,,*
*5::-- ACHCHE KAPDE PAHANNA NAYAA HO TO NAYAA WARNA DHULA HUA,,*
*6::-- ANGOOTHEE PAHANNA,,*
*7::-- KHUSHBOO LAGANA,,*
*8::-- SUBAH KEE NAMAZ MASJIDE MUHALLA ME PADHNA,,*
*9::-- EIDGAAH JALD JAANA,,*
*10::-- NAMAZ SE PAHLE SADQAE FITR ADAA KARNA,,*
*11::-- EIDGAAH KO PAIDAL JAANA,,*
*12::-- DOOSRE RAASTE SE WAAPAS AANA,,*
*13::-- NAMAZ KO JAANE SE PAHLE CHAND KHAJOORE KHAA LENA TEEN (3) PAACH (5) SAAT (7) YAA KAM YAA ZYADA MAGAR TAAQ (Wisham) HO,* *KHAJOORE N HO TO KOI MEETHEE CHEEZ KHAA LE NAMAZ SE PAHLE KUCH N KHAYA TO GUNAHGAAR N HUA MAGAR ISHA TAK N KHAYA TO ITAAB KIYA JAAEGA,,*
*📘Kutube kaseerah,,*

*✍🏻MASLA=3:*
                     *SAWAARI PAR JAANE ME BHI HARAJ NAHI MAGAR JISKO PAIDAL JAANE PAR QUDRAT HO USKE LIE PAIDAL JAANA AFZAL HAI AUR WAAPSI ME SAWAARI PAR AANE ME HARAJ NAHI,,*
*📘Aalamgiri,, Jouhra,,*

*✍🏻MASLA=4:*
                       *EIDGAAH KO NAMAZ KE LIE JAANA SUNNAT HAI AGARCHE MASJID ME GUNJAAISH HO AUR EIDGAAH ME MIMBAR BANAANE YAA MIMBAR LE JAANE ME HARAJ NAHI,,*
*📘Raddul muhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=5:*
                      *KHUSHI ZAAHIR KARNA KASRAT SE SADQA DENA EIDGAAH KO ITMEENAAN W WAQAAR AUR NEECHEE NIGAAH KIYE JAANA AAPAS ME MUBARAK BAAD DENA MUSTAHAB HAI AUR RAASTE ME BALAND AAWAAZ SE TAKBEER N KAHE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=6:*
                      *NAMAZE EID SE QABL (Pahle) NAFL NAMAZ MUTLAQAN MAKROOH HAI EIDGAAH ME HO YAA GHAR ME US PAR EID KEE NAMAZ WAAJIB HO YAA NAHI YAHA TAK KI AURAT AGAR CHAASHT KEE NAMAZ GHAR ME PADHNA CHAHE TO NAMAZ HO JAANE KE BAAD PADHE,*
*AUR NAMAZE EID KE BAAD EIDGAAH ME NAFL PADHNA MAKROOH HAI GHAR ME PADH SAKTA HAI BALKI MUSTAHAB HAI KI CHAAR RAK'ATE PADHE YAH AHKAAM KHWAAS KE HAIN AWAAM AGAR NAFL PADHE AGARCHE NAMAZE EID SE PAHLE AGARCHE EIDGAAH ME UNHE MANAA N KIYA JAAE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=7:*
                       *NAMAZE EID KA WAQT B'QADRE AEK (1) NEZAA AAFTAAB BALAND HONE SE ZAHWAE KUBRA YAANI NIS'FUNN'HAAR SHARAI TAK HAI*
*MAGAR EIDUL FITR ME DER KARNA AUR EIDE AZHA ME JALD PADH LENA MUSTAHAB HAI*
*AUR SALAAM FERNE KE PAHLE NIS'FUNN'HAAR SHARAI YAANI ZAHWAE KUBRA SHUROO HO GAYA TO NAMAZ JAATI RAHI,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*
*Nisfunnhaare sharai ka bayaan doosre hisse me guzar chuka,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=4, PAGE=124 se 126*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸






*{{ PART=2, LAST PART }}*


*{{ EIDAIN KA BAYAAN }}*

*NAMAZE EID KA TAREEQA*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

*NAMAZE EID KA TAREEQA*

*✏YAH HAI KI DO (2) RAK'AAT WAAJIB EIDUL FITR YAA EIDE AZHA KEE NIYAT KARKE KAANO TAK HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR" KAH KAR HAATH BAANDH LE FIR SANA PADHE FIR KAANO TAK HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR KAHTA HUA HAATH CHOD DE FIR HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR" KAHKAR HAATH CHOD DE FIR HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR" KAHKAR HAATH BAANDH LE YAANI PAHLEE TAKBEER ME HAATH BAANDHE USKE BAAD DO (2) TAKBEERO ME HAATH LATKAE FIR CHOUTHI TAKBEER ME BAANDH LE (Isko yoo yaad rakhe ki jaha takbeer ke baad kuch padhna hai waha haath baandh liye jaaye aur jaha padhna nahi waha haath chod diye jaaye)* *FIR IMAAM "AAOOJUBILLAAH AUR BISMILLAAH" AAHISTA PADHKAR JAHAR (Yaani baland aawaaz) KE SAATH SURAE FAATIHA AUR SOORAT PADHE FIR ROOKOO KARE*
*AUR DOOSRI RAK'AT ME PAHLE SURAE FAATIHA AUR SURAT PADHE FIR TEEN (3) BAAR KAAN TAK HAATH LE JAA KAR "ALLAHU AKBAR" KAHE AUR HAATH N BAANDHE AUR CHOUTHEE BAAR BAGAIR HAATH UTHAE "ALLAHU AKBAR" KAHTA HUA ROOKOO ME JAAE IS SE MAALOOM HO GAYA KI EIDAIN ME ZAAID TAKBEERE CHAH (6) HUI TEEN (3) PAHLEE ME QIRAAT SE PAHLE AUR TAKBEERE TAHREEMA KE BAAD AUR TEEN (3) DOOSRI ME QIRAAT KE BAAD AUR TAKBEERE ROOKOO SE PAHLE AUR IN SABHI CHAH (6) TAKBEERO ME HAATH UTHAE JAYENGE AUR HAR DO (2) TAKBEERO KE DARMIYAAN TEEN (3) TASBEEH KEE QADR THAHRE*
*AUR EIDAIN ME MUSTAHAB YAH HAI KI PAHLEE ME "SURAE JUMA" DOOSRI ME "SURAE MUNAFIQOON" PADHE*
*YAA PAHLEE ME "SURAE A'ALAA" AUR DOOSRI ME "SURAE GAASHIYA",,*

*📗Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=1:*
                      *IMAAM NE CHAH (6) TAKBEERO SE ZAYADA KAHEE TO MUQTADEE BHI IMAAM KEE PAIRWEE KARE MAGAR TERAH (13) SE ZYADA ME IMAAM KEE PAIRWEE NAHI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=2:*
                       *PAHLEE RAK'AT ME IMAAM KE TAKBEER KAHNE KE BAAD MUQTADEE SHAMIL HUA TO USI WAQT TEEN (3) TAKBEERE KAH LE AGARCHE IMAAM NE QIRAAT SHUROO KAR DEE HO AUR TEEN (3) HEE KAHE AGARCHE IMAAM NE TEEN (3) SE ZYADA KAHEE HO AUR AGAR ISNE TAKBEERE N KAHEE KI IMAAM ROOKOO ME CHALA GAYA TO KHADE KHADE N KAHE BALKI IMAAM KE SAATH ROOKOO ME JAAE AUR ROOKOO ME TAKBEER KAH LE*
*AUR AGAR IMAAM KO ROOKOO ME PAAYA AUR GAALIB GUMAAN HAI KI TAKBEERE KAH KAR IMAAM KO ROOKOO ME PAA LEGA TO KHADE KHADE TAKBEERE KAHE FIR ROOKOO ME JAAE WARNA "ALLAHU AKBAR" KAH KAR ROOKOO ME JAAE AUR ROOKOO ME TAKBEERE KAHE FIR AGAR ISNE ROOKOO ME TAKBEERE POORI N KEE THI KI IMAAM NE SAR UTHA LIYA TO BAAQI SAAQIT HO GAI AUR AGAR IMAAM KE ROOKOO SE UTHNE KE BAAD SHAMIL HUA TO AB TAKBEERE N KAHE BALKI JAB APNEE PADHE US WAQT KAHE AUR ROOKOO ME JAHA TAKBEER KAHNA BATAYA GAYA USME HAATH N UTHAE AUR AGAR DOOSRI RAK'AT ME SHAMIL HUA TO PAHLEE RAK'AT KEE TAKBEERE AB N KAHE BALKI JAB APNEE FOUT SHUDA (Chutee hui) PADHNE KHADA HO US WAQT KAHE*
*AUR DOOSRI RAK'AT KEE TAKBEERE AGAR IMAAM KE SAATH PAA JAAE TO BEHTAT WARNA ISME BHI WAHEE TAFSEEL HAI JO PAHLEE RAK'AT KE BAARE ME ZIKR KEE GAI,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagaihuma,,*

*✍🏻MASLA=3:*
                      *JO SHAKHS IMAAM KE SAATH SHAMIL HUA FIR SO GAYA YAA USKA WUZOO JAATA RAHA AB JO PADHE TO TAKBEERE UTNI KAHE JITNI IMAAM NE KAHI AGARCHE USKE MAZHAB ME UTNI N THI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=4:*
                       *IMAAM TAKBEER KAHNA BHOOL GAYA AUR ROOKOO ME CHALA GAYA TO QIYAAM KEE TARAF N LOUTE N ROOKOO ME TAKBEER KAHE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=5:*
                      *PAHLI RAK'AT ME IMAAM TAKBEERE BHOOL GAYA AUR QIRAAT SHUROO KAR DEE TO QIRAAT KE BAAD KAH LE YAA ROOKOO ME AUR QIRAAT KA I'AADA N KARE YAANI LOUTAAE NAHI,,*
*📘Guniya,, Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=6:*
                      *IMAAM NE TAKBEERATE ZAWAAID (Yaani wah chah 6 takbeere jo eidain kee namaz me zayada hai) ME HAATH N UTHAE TO MUQTADI USKI PAIRWEE N KARE BALKI HAATH UTHAYE,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=7:*
                     *NAMAZ KE BAAD IMAAM DO (2) KHUTBE PADHE AUR KHUTBAE JUMA ME JO CHEEZE SUNNAT HAI ISME BHI SUNNAT HAI AUR JO WAHA MAKROOH YAHA BHI MAKROOH*
*SIRF DO (2) BAATO ME FARQ HAI*
*AEK (1) YAH KI JUME KE PAHLE KHUTBE SE PAHLE KHATEEB KA BAITHNA SUNNAT THA AUR ISME N BAITHNA SUNNAT HAI,*
*DOOSRI YAH KI ISME PAHLE KHUTBE SE PAHLE NOU (9) BAAR AUR DOOSRE KE PAHLE SAAT (7) BAAR AUR MIMBAR SE UTARNE KE PAHLE CHOUDAH (14) BAAR "ALLAHU AKBAR" KAHNA SUNNAT HAI* *AUR JUME ME NAHI,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=8:*
                       *EIDUL FITR KE KHUTBE ME SADQAE FITR KE AHKAAM KEE TAALEEM KARE WAH PAACH (5) BAATE HAIN,*
*1::-- KIS PAR WAAJIB HAI,*
*2::-- KIS KE LIYE WAAJIB HAI,*
*3::-- KAB WAAJIB HAI,*
*4::-- KITNA WAAJIB HAI,*
*5::-- AUR KIS CHEEZ ME WAAJIB HAI,*
*BALKI MUNAASIB YAH HAI KI EID SE PAHLE JO JUMA PADHE USME BHI YAH AHKAAM BATAA DIYE JAAYE KI PAHLE SE LOG WAAQIF HO JAAYE AUR EIDE AZHA KE KHUTBE ME QURBANI KE AHKAAM AUR TAKBEERATE TASHREEQ KEE TAALEEM KEE JAAE,,*
*📘Durre mukhtar, Aalamgiri,,*
*👉🏻NOTE::-- TAKBEERATE TASHREEQ UN TAKBEERO KO KAHTE HAI JO BAQRAEID KE MAHEENE ME NOU (9) TAAREEKH KEE FAZR SE TERAH (13) TAAREEKH KEE ASR TAK HAR FARZ NAMAZ KE BAAD TEEN (3) MARTABA KAHEE JAATI HAI,,*

*✍🏻MASLA=9:*
                      *IMAAM NE NAMAZ PADH LEE AUR KOI SHAKHS BAAQI RAH GAYA KHWAAH WAH SHAAMIL HEE N HUA THA YAA SHAAMIL TO HUA THA MAGAR ISKI NAMAZ FAASID HO GAI TO AGAR DOOSRI JAGAH MIL JAAE PADH LE WARNA NAHI PADH SAKTA,*
*HAA BEHTAR YAH HAI KI YAH SHAKHS CHAAR (4) RAK'AAT CHAAST KEE NAMAZ PADHE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=10:*
                         *KISI UZR KE SABAB EID KE DIN NAMAZ N HO SAKI (Maslan sakht baarish hui yaa baadal ke sabab chand nahi dekha gaya aur gawaahi aese waqt guzri ki namaz n ho saki yaa baadal tha aur namaz aese waqt khatm hui ki zawaal ho chuka tha) TO DOOSRE DIN PADHI JAAE*
*AUR DOOSRE DIN BHI N HUI TO EIDUL FITR KEE NAMAZ TEESRE DIN NAHI HO SAKTI,*
*AUR DOOSRE DIN BHI NAMAZ KA WAHI WAQT HAI JO PAHLE DIN THA YAANI AEK (1) NEZAA AAFTAAB BALAND HONE SE NIS'FUNN'HAARE SHARAI TAK AUR BILA UZR EIDUL FITR KEE NAMAZ PAHLE DIN N PADHI TO DOOSRE DIN NAHI PADH SAKTE,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagairhuma,,*

*✍🏻MASLA=11:*
                        *EIDE AZHA TAMAAM AHKAAM ME EIDUL FITR KEE TARAH HAI SIRF BAAZ BAATO ME FARQ HAI*
*Isme mustahab yah hai ki namaz se pahle kuch n khae agarche qurbaani n kare aur khaa liya to karaahat nahi aur raaste me baland aawaaz se takbeer kahta jaae aur eide azha kee namaz uzr kee wajah se baarhawee tak bila karaahat mu'akhkhar kar sakte hai yaani baarhawee tak padh sakte hai,* *Baarhawee ke baad fir nahi ho sakti aur bila uzr daswee ke baad makrooh hai,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=12:*
                        *QURBAANI KARNI HO TO MUSTAHAB YAH HAI KI PAHLEE SE DASWEE ZILHIJJA TAK N HAJAAMAT BANWAAE N NAAKHOON TARASHWAAE,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=13:*
                        *ARFE KE DIN YAANI NAWEE ZILHIJJA KO LOGO KA KISI JAGAH JAMA HOKAR HAAJIYO KEE TARAH WUQOOF KARNA AUR ZIKR W DUA ME MASHGOOL RAHNA SAHI YAH HAI KI KUCH MUZAEQA (Haraj) NAHI JABKI LAAZIM W WAAJIB N JAANE*
*AUR AGAR KISI DOOSRI GARAZ SE JAMAA HUE MASLAN NAMAZE ISTISQA PADHNI HAI JAB TO BILA IKHTILAAF JAIZ HAI AUR ASLAN (Bilkul) HARAJ NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=14:*
                        *EID KEE NAMAZ KE BAAD MUSAFAHA W MU'AANQA YAANI GALE MILNA JAISA UMOOMAN MUSALMAANO ME RIWAAJ HAI KI ISME APNI KHUSHI KA IZHAAR HAI,,*
*📘Washahuljeed,,*

*✍🏻MASLA=15:*
                         *NAWEE ZILHIJJA KEE FAZR SE TERHAWEE KEE ASR TAK HAR NAMAZE FARZE PANJGAANA KE BAAD JO JAMA'AT MUSTHABBA KE SAATH ADAA KEE GAI AEK (1) BAAR TAKBEER BALAND AAWAAZ SE KAHNA WAAJIB HAI*
*AUR TEEN (3) BAAR AFZAL*
*ISE TAKBEERE TASHREEK KAHTE HAI WAH YAH HAI::--*

*اللّهُ أكبر اللّهُ أكبر لا إلَهَ الا اللّه و اللّهُ أكبر اللّهُ أكبر و لِلّه الحمدَ*
*📘Tanweerul absaar,,*

*✍🏻MASLA=16:*
                       *TAKBEERE TASHREEK SALAAM FERNE KE BAAD FOURAN WAAJIB HAI YAANI JAB TAK KOI AESA FEL N KIYA HO KI US NAMAZ PAR BINA N KAR SAKE,*
*AGAR MASJID SE BAAHAR HO GAYA YAA QASDAN (Jaan boojh kar) WUZOO TOD DIYA YAA KALAAM KIYA AGARCHE SAHWAN (Bhool kar) TO TAKBEER SAAQIT HO GAI AUR BILA QASD YAANI BILA IRADA WUZOO TUT GAYA TO KAH LE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=17:*
                        *TAKBEERE TASHREEQ US PAR WAAJIB HAI JO SHAHAR ME MUQEEM HO YAA JISNE USKI IQTIDA KEE AGARCHE AURAT YAA MUSAFIR YAA GAAW KA RAHNE WALA AUR AGAR USKI IQTIDA N KARE TO IN PAR WAAJIB NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=18:*
                        *NAFL PADHNE WAALE NE FARZ WAALE KEE IQTIDA KEE TO IMAAM KEE PAIRWEE ME IS MUQTADI PAR BHI WAAJIB HAI AGARCHE IMAAM KE SAATH ISNE FARZ N PADHE AUR MUQEEM NE MUSAFIR KEE IBTIDA KEE TO MUQEEM PAR WAAJIB HAI AGARCHE IMAAM PAR WAAJIB NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=19:*
                       *GULAM PAR TAKBEERE TASHREEQ WAAJIB HAI AUR AURAT PAR WAAJIB NAHI AGARCHE JAMA'AT SE NAMAZ PADHI,*
*HAA AGAR MARD KE PEECHE AURAT NE PADHI AUR IMAAM NE USKE IMAAM HONE KEE NIYAT KEE TO AURAT PAR BHI WAAJIB HAI MAGAR AAHISTA KAHE,*
*YOO HEE JIN LOGO NE BARHANAA NAMAZ PADHI UN PAR BHI WAAJIB NAHI AGARCHE JAMA'AT KARE KI UNKI JAMA'AT JAMA'ATE MUST'HABBA NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,, Jouhra Wagairhuma,,*

*✍🏻MASLA=20:*
                        *NAFL W SUNNAT W WITR KE BAAD TAKBEER WAAJIB NAHI AUR JUME KE BAAD WAAJIB HAI AUR NAMAZE EID KE BAAD BHI KAH LE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=21:*
                        *MASBOOQ (Jiski shuroo se rak'at choote) W LAAHIQ (Jiski darmiyaan se rak'at choote) PAR TAKBEER WAAJIB NAHI MAGAR KHUD SALAAM FERE US WAQT KAHE AUR AGAR IMAAM KE SAATH KAH LEE TO NAMAZ FAASID N HUI AUR NAMAZ KHATM KARNE KE BAAD TAKBEER KA I'AADA BHI NAHI YAANI LOUTANA BHI NAHI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=22:*
                       *AUR DINO ME NAMAZ QAZA HUI THI AYYAAME TASHREEQ ME USKI QAZA PADHI TO TAKBEER WAAJIB NAHI,*
*YOO HEE IN DINO KEE NAMAZE AUR DINO ME PADHE JAB BHI WAAJIB NAHI,*
*YOO HEE GUZRE HUE SAAL KE AYYAAME TASHREEQ KEE QAZA NAMAZE IS SAAL KE AYYAAME TASHREEQ ME PADHE JAB BHI WAAJIB NAHI*
*HAA AGAR ISI SAAL KE AYYAAME TASHREEQ KEE QAZA NAMAZE ISI SAAL KE INHI DINO ME JAMA'AT SE PADHE TO WAAJIB HAI,,*
*📘Raddul muhtar,,*
*👉🏻NOTE::-- Wah din jinme takbeere tashreeq kahi jaati hai unhe ayyaame tashreeq kahte hain,,*

*✍🏻MASLA=23:*
                        *MUNFARID YAANI TANHA NAMAZ PADHNE WAALA JO JAMA'AT ME SHAAMIL NAHI THA US PAR TAKBEER WAAJIB NAHI,,*
*📘Jouhra Nayyira,,*
*Magar mufarid bhi kah le ki saahibain ke nazdeek is par bhi waajib hai,,*

*✍🏻MASLA=24:*
                        *IMAAM NE TAKBEER N KAHEE JAB BHI MUQTADI PAR KAHNA WAAJIB HAI AGARCHE MUQTADI MUSAFIR YAA DEHAATI YAA AURAT HO,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=25:*
                     *IN TAAREEKHO ME AGAR AAM LOG BAAZAARO ME ELAAN KE SAATH TAKBEERE KAHE TO UNHE MANAA N KIYA JAAE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=4, PAGE=126 se 131*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
          *☎7782066833☎*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

Thursday, June 22, 2017

RAMZAN SHAREEF KE MAHEENE KEE ""NAFL NAMAZE""



*{{ CHOUTHI SHABE QADR }}*
        *""NAFL NAMAZE""*


🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶

*CHOUTHI SHABE QADR*
*""NAFL NAMAZE""*

*✍🏻(1)= SATTAISWEE SHABE QADR KO BAARAH (12) RAK'AT NAMAZ TEEN (3) SALAM SE PADHE HAR RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE QADR AEK-AEK (1-1) MARTABA SURAE IKHLAAS PANDRAH-PANDRAH (15-15) MARTABA PADHE BAAD SALAM KE SATTAR (70) MARTABA ISTIGFAAR PADHE,,*
*ALLAH TAALA Isi namaz padhne walo ko NABIYO kee ibaadat ka sawaab ataa farmaega, in sha ALLAHUL AZEEM,,*

*✍🏻(2)= SATTAISWEE SHAB KO DO (2) RAK'AT NAMAZ PADHE HAR RAK'AT ME SURAE FAATIHA KE BAAD SURAE QADR TEEN-TEEN (3-3) DAFA SURAE IKHLAAS PAACH-PAACH (5-5) MARTABA PADHE BAAD SALAAM KE SURAE IKHLAAS SATTAIS (27) MARTABA PADHKAR GUNAHO KEE MAGFIRAT TALAB KARE,*
*In sha ALLAH TAALA iske tamaam pichle gunaah ALLAH PAAK mu'aaf farmaega,,*

*✍🏻(3)= SATTAISWEE SHAB KO CHAAR (4) RAK'AT NAMAZ DO (2) SALAAM SE PADHE HAR RAK'AT KE BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE TAKAASUR AEK-AEK (1-1) BAAR, SURAE IKHLAAS TEEN-TEEN (3-3) MARTABA PADHE,*
*Is namaz padhne waale par se ALLAH PAAK  mout kee sakhti aasaan kar dega, in sha ALLAH TAALA us par se azaabe qabr bhi mu'aaf ho jaega,,*

*✍🏻(4)= SATTAISWEE SHAB KO DO (2) RAK'AT NAMAZ PADHE, HAR RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE IKHLAAS SAAT-SAAT (7-7) MARTABA PADHE BAAD SALAM KE SATTAT (70) DAFA YAH TASBEEHE MU'AZZAM PADHE,,*

*أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الْعَظِيمَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ*
*अस्तग़फ़िरूल्लाहल्-अ़ज़ीमल्लज़ी ला इलाह इल्ला हुवल हय्युल क़य्यूमु व अतूबु इलैहि0*

*in sha ALLAH TAALA is namaz ko padhne waale apne musalle se n uthenge ki ALLAH PAAK usko aur uske waalidain ke gunaah mu'sad farma kar bakhsh dega aur ALLAH TAALA farishto ko hukm dega ki is ke lie jannat aaraasta karo aur farmaya ki jab tak tamaam bahishtee ne'amte apni aakh se n dekh lega us waqt tak mout n aaegi,*
*Magfirat ke lie yah NAMAZ bahut hee AFZAL hai,,*

*✍🏻(5)= SATTAISWEE SHABE QADR KO DO (2) RAK'AT NAMAZ PADHE,*
*HAR RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE ALAM NASHRAH AEK-AEK (1-1) BAAR SURAE IKHLAAS TEEN-TEEN (3-3) MARTABA PADHE BAAD SALAAM SATTAIS MARTABA SURAE QADR PADHE,,*
*In sha ALLAHUL-AZEEM be'shumaar ibaadat ka sawaab milega,*
*Yah NAMAZ bahut AFZAL hai,,*

*✍🏻(6)= SATTAISWEE SHABE QADR KO CHAAR (4) RAK'AT NAMAZ PADHE, HAR RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE QADR TEEN-TEEN (3-3) DAFAA SURAE IKHLAAS PACHAAS-PACHAAS (50-50) MARTABA PADHE,*
*BAAD SALAAM SAJDA ME SAR RAKH KAR AEK (1) MARTABA YAH KALMAAT PADHE,,*

*سُبْحَانَ اللّهِ ، والْحَمْدُللّهِ ، وَ لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ*
*सुबहानल्लाहि वल्हम्दु लिल्लाहि वला इलाह इल्लल्लाहु वल्लाहु अकबर0*

*Is ke baad jo haajte deeni w duniyaawi talab kare wah in sha ALLAH TAALA BAARGAAHE BAARI TAALA me qabool hogi,,*

                   *{{ WAZAIF }}*

*✍🏻(1)= SATTAISWEE SHABE QADR KO SAATO HAAM-MEEM PADHE,*
*YAH SAATO HAAM MEEM AZAABE QABR SE NAJAAT AUR MAGFIRTE GUNAAH KE LIE AFZAL HAIN,,*

*✍🏻(2)= SATTAISWEE SHAB KO SURAE MULUK SAAT (7) MARTABA PADHNA MAGFIRTE GUNAAH KE LIE BAHUT FAZEELAT KEE BAAT HAI,,*

*📚 Aouqatussalat 12 maah kee nafl namaze*
*Page=26,27*
*Musannif= Allama Sayyad Shah Turabul Haq Qadiree*

🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶🔸🔶





*{{ JUM'A'TUL-WIDA'A }}*

    *FAIZAANE AMEENE SHARIAT*
                         *GROUP*

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*

*➡ JUM'A'TUL-WIDA'A*

*✍🏻RAMZANUL MUBARAK KE AAKHRI JUMA KO BAAD NAMAZE JUMA DO (2) RAK'AT NAMAZ PADHE,*
*PAHLEE RAK'AT ME SURAE FAATIHA KE BAAD SURAE ZIL'ZALAAL AEK (1) BAAR SURAE IKHLAAS DAS (10) MARTABA*
*DOOSRI RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE KAFIROON TEEN (3) MARTABA PADHE,*
*BAAD SALAAM KE DAS (10) MARTABA DUROOD SHAREEF PADHE,*
*FIR DO (2) RAK'AT NAMAZ PADHE*
*PAHLEE RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE SURAE TAKASUR AEK (1) BAAR SURAE IKHLAAS DAS (10) DAFAA,*
*DOOSRI RAK'AT ME BAAD SURAE FAATIHA KE AAYTAL KURSEE TEEN (3) MARTABA SURAE IKHLAAS PACHCHEES (25) MARTABA BAAD SALAAM KE DUROOD SHAREEF DAS (10) MARTABA PADHE,,*

*👉🏻Is namaz ke be'shumaar fazail hain aur is namaz ke padhne waalo ko ALLAH PAAK qiyamat tak be'intiha ibaadat ka sawaab ataa farmaega,*
          *IN SHA ALLAH TAALA*

*📚Aouqatussalat baarah maah kee nafl namaze*
*Page=29*
*📝 Musannif= Allama Sayyad Shah Turabul Haq Qadiree Saheb Qibla*

    *FAIZAANE AMEENE SHARIAT*
                         *GROUP*

Wednesday, June 21, 2017

QAZAE UMRI AUR USKA AASAAN TAREEQA



*{{ QAZAE UMRI AUR USKA AASAAN TAREEQA }}*


🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄

*QAZAE UMRI AUR USKA AASAAN*
                     *TAREEQA*

*✍🏻YAHA PAR UN LOGO KE LIYE JINKI TAMAAM UMR ME KAI BARAS KEE NAMAZE QAZA HUI AUR AB ALLAH TAALA NE TOUFEEQ DEE KI ADAA KARE TO UNKE LIYE QAZAE UMRI AUR USKA AASAAN TAREEQA HAM AALA HAZRAT MUJADDIDE DEENO MILLAT MOULANA SHAH IMAAM AHMAD RAZA KHAA RADIYALLAHU TAALA ANHU KE HAWAALE SE LIKH RAHE HAI,*
*HUZOOR AALA HAZRAT FARMATE HAI KI AZKAR W ASHGAAL ME MASHGOOLI SE PAHLE AGAR QAZA NAMAZE YAA ROZE HO UNKA ADAA KAR LENA JIS QADR JALD MUMKIN HO NIHAYAT ZAROORI HAI,*
*JIS PAR FARZ BAAQI HO USKE NAFL W AAMAALE MUST'HABBA KAAM NAHI DETE BALKI QABOOL NAHI HOTE JAB TAK FARAIZ ADAA N KAR LE,,*

*✍🏻QAZA NAMAZE JALDI SE JALDI ADAA KARNA LAAZIM HAI MALOOM NAHI KI KIS WAQT MOUT AA JAAYE,*
*KYA MUSHKIL HAI AEK (1) DIN KEE BEES (20) RAK'ATE HOTI HAI*
*YAANI FAZR KE FARZO KEE DO (2) RAK'AAT*
*AUR JOHAR KEE CHAAR (4) RAK'AAT*
*AUR ASR KEE CHAAR (4)*
*AUR MAGRIB KEE TEEN (3)*
*AUR ISHA KEE SAAT (7) YAANI CHAAR (4) FARZ TEEN (3) WITR,*

*✍🏻IN NAMAZO KO SIWA TULOO W GUROOB W ZAWAAL (Ki is waqt sajda haram hai) HAR WAQT ADAA KAR SAKTA HAI*
*AUR IKHTIYAAR HAI KI PAHLE FAZR KEE SAB NAMAZE ADAA KAR LE FIR JOHAR FIR ASR FIR MAGRIB FIR ISHA KEE*
*YAA SAB NAMAZE SAATH ADAA KARTE JAAYE*
*AUR UNKA AESA HISAB LAGAYE KI TAKHMEENA (Hisaab) ME BAAQI N RAH JAAYE ZYADA HO JAAYE TO HARAJ NAHI*
*AUR WAH SAB BA'QADRE TAAQAT RAFTA-RAFTA JALDI-JALDI ADAA KAR LE KAAHILEE N KARE KI JAB TAK FARZ ZIMME BAAQI RAHTA HAI KOI NAFL QABOOL NAHI KIYA JAATA,*

*✍🏻NIYAT IN TAMAAM NAMAZO KEE IS TARAH HO MASLAN SOU (100) BAAR KEE FAZR QAZA HAI TO HAR BAAR YOO KAHE KI SAB SE PAHLE JO FAZR MUJH SE QAZA HUI,*
*HAR DAFAA YAHI KAHE YAANI JAB AEK (1) ADAA HUI TO BAAQIYO ME JO SABSE PAHLE HAI,*
*ISI TARAH JOHAR WAGAIRA HAR NAMAZ ME NIYAT KARE,*

*✍🏻JIS PAR BAHUT SEE NAMAZE QAZA HO USKE LIE SOORTE TAKHFEEF YAANI KMEE KA TAREEQA AUR JALD ADAA HONE KEE YAH HAI KI....*
*KHAALI RAK'ATO (Farz kee wah baad kee rak'ate jinme sirf SURAE FAATIHA SHAREEF padhte hai unhe khaali kahte hai yaani aakhir kee  TEESRI aur CHOUTHI) ME BAJAAYE SURAE FAATIHA KE TEEN (3) BAAR سبحان الله KAHE AGAR AEK (1) BAAR BHI KAH LEGA TO FARZ ADAA HO JAYEGA,*
*ROOKOO W SAJDO KEE TASBEEH ME SIRF AEK-AEK (1-1) BAAR سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِیْمْ AUR سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ PADH LE KAAFI HAI,,*
*MAGAR YAH KHYAAL RAHE KI ROOKOO ME سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِیْمْ JAB KAHNA SHUROO KARE KI POORA ROOKOO ME PAHUCH JAAE TO "SUBHAAN" KEE "SEEN" SHUROO HO AUR JAB POORA KAH LE YAANI JAB "MEEM" ROOKOO ME HEE ADAA HO JAAE TO KHADA HO,,*
*YOO HEE SAJDE ME JAB PESHANI AUR NAAK JAM JAAE TAB HEE سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ KEE "SEEN" SHUROO HO AUR JAB "A'ALAA" KA "ALIF" KAH CHUKE TO SAR UTHAE AGAR YAH AEHTIYAAT N KEE TO ROOKOO W SUJOOD N HONGE AUR NAMAZ NAAQIS HO JAAEGI,,*
*"ATTHEEYYAAT" KE BAAD DONO "DUROOD SHAREEF" KEE JAGAH اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَاَلِهِ AUR WITRO ME BAJAAE دعاء القنوت KE رَبِّ اغْفِرْ لِي KAHNA KAAFI HAI,,*

*✍🏻TULOOE AAFTAAB KE BEES (20) MINUT BAAD AUR GUROOBE AAFTAAB SE BEES (20) MINUT PAHLE NAMAZ ADAA KARE,*
*HAR AESA JIS KE ZIMME NAMAZE BAAQI HAI CHUP KAR PADHE KI GUNAH KA ELAAN JAIZ NAHI,,*

*✍🏻ISI SILSILE ME HUZOOR AALA HAZRAT IRSHAD FARMATE HAI::--*
*AGAR KISI SHAKHS KE ZIMME TEES (30) YAA CHALEES (40) SAAL KEE NAMAZE WAAJIBUL ADAA HAIN,*
*USNE APNE UN ZAROORI KAAMO KE ALAWA JIN KE BAGAIR GUZAR NAHI KAROBAAR TARK KARKE PADHNA SHUROO KIYA AUR PAKKA IRADA KAR LIYA KI KUL NAMAZE ADAA KARKE AARAAM LUNGA,*
*AUR FARZ KIJIYE USI HAALAT ME AEK (1) MAHEENA YAA AEK (1) HEE DIN KE BAAD USKA INTIQAAL HO JAYE TO ALLAH TAALA APNI RAHMATE KAAMILA SE USKI SAB NAMAZE ADAA KAR DEGA,,*

*JO APNE GHAR SE ALLAH W RASOOL KEE TARAF HIJRAT KARTA HUA NIKLE FIR USE RAASTE ME MOUT AA JAAYE TO USKA SAWAB ALLAH KE ZIMMAE KARAM PAR SAABIT HO CHUKA,,*

*YAHA MUTLAQ FARMAYA GHAR SE AGAR AEK (1) HEE QADAM NIKAALA AUR MOUT NE AA LIYA TO POORA KAAM US KE NAAMAE AAMAAL ME LIKHA JAYEGA AUR KAAMIL SAWAAB PAAYEGA,*
*WAHA NIYAT DEKHTE HAI SAARA DAARO MADAAR NIYAT PAR HAI,,*

*✍🏻AGAR BAALIG HONE KA WAQT YAAD NAHI HAI TO UMR KA US SAAL SE SHUMAAR KARE KI KAM SE KAM KAB BAALIG HOTA,*

*✍🏻SAFAR KEE NAMAZE KASR HEE PADHI JAYEGI,*
*HISAAB LAGAA KAR PADHE AUR JALD PADHE KAM N PADHE,*
*AGAR ZYADA HO JAAYE TO HARAJ NAHI KI NAFL ME SHUMAAR HO JAYENGEE,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=4, PAGE= 59,60*

🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄🍄






*QAZA NAMAZ PADHNE KA TAREEQA*

    *FAIZAANE AMEENE SHARIYAT*
                         *GROUP*

*✍🏻NIYAT IN TAMAAM NAMAZO KEE IS TARAH HO MASLAN SOU (100) BAAR KEE FAZR QAZA HAI TO HAR BAAR YOO KAHE KI SAB SE PAHLE JO FAZR MUJH SE QAZA HUI,*
*HAR DAFAA YAHI KAHE YAANI JAB AEK (1) ADAA HUI TO BAAQIYO ME JO SABSE PAHLE HAI,*
*ISI TARAH JOHAR WAGAIRA HAR NAMAZ ME NIYAT KARE,*

*✍🏻JIS PAR BAHUT SEE NAMAZE QAZA HO USKE LIE SOORTE TAKHFEEF YAANI KMEE KA TAREEQA AUR JALD ADAA HONE KEE YAH HAI KI....*
*KHAALI RAK'ATO (Farz kee wah baad kee rak'ate jinme sirf SURAE FAATIHA SHAREEF padhte hai unhe khaali kahte hai yaani aakhir kee  TEESRI aur CHOUTHI) ME BAJAAYE SURAE FAATIHA KE TEEN (3) BAAR سبحان الله KAHE AGAR AEK (1) BAAR BHI KAH LEGA TO FARZ ADAA HO JAYEGA,*
*ROOKOO W SAJDO KEE TASBEEH ME SIRF AEK-AEK (1-1) BAAR سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِیْمْ AUR سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ PADH LE KAAFI HAI,,*
*MAGAR YAH KHYAAL RAHE KI ROOKOO ME سُبْحَانَ رَبِّیَ الْعَظِیْمْ JAB KAHNA SHUROO KARE KI POORA ROOKOO ME PAHUCH JAAE TO "SUBHAAN" KEE "SEEN" SHUROO HO AUR JAB POORA KAH LE YAANI JAB "MEEM" ROOKOO ME HEE ADAA HO JAAE TO KHADA HO,,*
*YOO HEE SAJDE ME JAB PESHANI AUR NAAK JAM JAAE TAB HEE سُبْحَانَ رَبِّیَ الْاَعْلیٰ KEE "SEEN" SHUROO HO AUR JAB "A'ALAA" KA "ALIF" KAH CHUKE TO SAR UTHAE AGAR YAH AEHTIYAAT N KEE TO ROOKOO W SUJOOD N HONGE AUR NAMAZ NAAQIS HO JAAEGI,,*
*"ATTHEEYYAAT" KE BAAD DONO "DUROOD SHAREEF" KEE JAGAH اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَاَلِهِ AUR WITRO ME BAJAAE دعاء القنوت KE رَبِّ اغْفِرْ لِي KAHNA KAAFI HAI,,*

*📘Bahare shariat, hissa-4, Page-60*

    *FAIZAANE AMEENE SHARIYAT*
                         *GROUP*

Tuesday, June 20, 2017

LAILTUL QADR KA BAYAN



*{{ PART=1 }}*


*LAILTUL QADR KA BAYAN*

💦💦💦💦💦💦💦💦💦
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦

      *LAILTUL QADR KE FAZAAIL*
             *लैलतुल क़द्र के फ़ज़ाइल*

*✍🏻HAZRATE IBNE ABBAS RADIYALLAHU ANHUMA SE MARWEE HAI HUZOOR ﷺ KE HUZOOR ME BANEE ISRAIL KE AESE SHAKHS KA TAZKIRA KIYA GAYA JISNE HAZAAR MAAH RAAHE KHUDA ME APNE KANDHE PAR HATHIYAAR UTHAYE THE,*
*HUZOOR ﷺ NE IS TA'AJJUB KA IZHAAR KIYA AUR APNI UMMAT KE LIE AESI NEKI KEE TAMANNA FARMAI AUR KAHA AE RAB TOO NE MERI UMMAT KO SAB UMMATO SE KAM UMR WALA BANAYA AUR AAMAAL ME SAB UMMATO SE KAM KIYA HAI,*
*TAB ALLAH TAALA NE AAPKO LAILTUL QADR ATAA FARMAI JO HAZAAR MAHEENO KEE IBADAT SE AFZAL HAI,*
*JITNI MUDDAT BANEE ISRAIL KE US AADMI NE RAAHE KHUDA ME HATHIYAAR UTHAYE THE,*
*AAPKO AUR AAPKI UMMAT KO US TAWEEL MUDDAT KE MUQABLA ME AEK (1) RAAT BAKHSHI GAI,*
*YAH NI'AMTE UZMA (Lailtul qadr) IS UMMAT KE KHASAIS (Khoobiyo) ME SE HAI,,*

*✍🏻AEK (1) RIWAYAT ME HAI KI US SHAKHS KA NAAM SHAM'OON THA,*
*USNE KAAMIL AEK HAZAAR (1000) MAAH DUSHMANO SE JIHAAD KIYA AUR KABHI BHI USKE GHODE KA NAMDA (Paseene se) KHUSHK N HUA,*
*USE ALLAH TAALA NE JO QUWWAT AUR DILERI ATAA FARMAI THI USKE BAL BOOTE PAR USNE DUSHMANO KO MAGLOOB KIYA YAHA TAK KI UNKE DIL BAHUT TANG HUE AUR UNHONE USKI AURAT KEE TARAF QAASID BHEJA AUR WAH IS BAAT KE ZAAMIN HUE KI AGAR WAH AURAT KO SONE KA BHARA HUA THAAL PESH KARENGE,*
*AGAR WAH APNE SHOUHAR KO QAID KAR LE TAAKI WAH US MARDE MUJAAHID KO APNE TAIYYAAR KIYE HUE MAKAAN ME QAID KAR DE AUR SAB LOG RAAHAT W SUKOON PAAYE CHUNANCHE JAB WAH SO GAYA TO AURAT NE USE KHAJOOR KE CHAAL SE BATE HUE MAZBOOT RASSO SE BAANDH DIYA,*
*JAB WAH BEDAAR HUA TO USNE APNE JISM KO HARKAT DEE JISSE USNE RASSIYO KO TUKDE-TUKDE KAR DIYA AUR AURAT SE POOCHA TOONE AESA KYO KIYA??*
*AURAT BOLI MAI TUMHARI QUWWAT KA ANDAZA LAGANA CHAHTI THI,*
*JAB KAAFIRO KO ISKI KHABAR MILI TO UNHONE AURAT KEE TARAF AEK (1) MOTI ZANJEER BHEJI,*
*AURAT NE USE FIR BAANDH DIYA AUR US MARDE MUJAAHID NE PAHLE KEE TARAH USE BHI TOD DIYA,*
*TAB IBLEES KAAFIRO KE PAAS AAYA AUR UNHE YAH BAAT SAMJHAI KI WAH AURAT SE KAHE KI WAH MARD HEE SE POOCHE KI KOUN SEE CHEEZ AESI HAI JISKE TODNE KEE WAH TAAQAT NAHI RAKHTA,*
*CHUNANCHE UNHONE AURAT KEE TARAF AADMI BHEJA AUR USE YAHI KAHLA BHEJA CHUNANCHE AURAT NE USSE SAWAL KIYA TO US MARDE MUJAAHID NE KAHA MERE GESOO,*
*USKE ATTHARAH (18) TAWEEL GESOO THE JO ZAMEEN PAR GHASITTE RAHTE THE,*
*JAB WAH SO GAYA TO AURAT NE CHAAR (4) GESUO SE ISKE PAAW AUR CHAAR (4) SE USKE HAATH BAANDH DIYE,*
*FIR KAAFIR AA GAE AUR UNHONE USE PAKAD LIYA AUR USE APNI QURBAAN GAAH KEE TARAF LE GAE,*
*WAH CHAAR SOU (400) HAATH BULAND THI MAGAR ITNI BULANDI AUR FARAAKHI KE BAAWJOOD USME SIRF AEK (1) SUTOON THA,*
*KAAFIRO NE USKE KAAN AUR HONT KAAT DIYE AUR WAH TAMAAM WAHI JAMAA THE,*
*TAB US MARDE MUJAAHID NE ALLAH TAALA SE SAWAL KIYA KI USE IN BANDHANO KO TODNE KEE QUWWAT BAKHSHE AUR UN KAAFIRO PAR YAH SUTOON M'A CHAT KE GIRA DE AUR USE INKE CHANGUL SE NAJAAT DE CHUNANCHE ALLAH TAALA NE USE QUWWAT BAKHSHI WAH HILA TO USKE TAMAAM BANDHAN TOOT GAE,*
*TAB USNE SUTOON KO HILAYA JISKI WAJAH SE CHAT KAAFIRO PAR AA GIRI AUR ALLAH TAALA NE UN SAB KO HALAAK KAR DIYA AUR USE NAJAAT BAKHSHI,,*

*✍🏻JAB SAHABAE RASOOL NE YAH BAAT SUNI TO UNHONE KAHA YAA RASOOLULLAH KYA HAM BHI US JAISA SAWAAB PAA SAKTE HAI??*
*AAPNE FARMAYA MUJHE ISKA ILM NAHI,*
*FIR AAPNE APNE RAB SE SAWAL KIYA TO ALLAH TAALA NE AAPKO LAILTUL QADAR ATAA KEE JAISA KI PAHLE MAZKOOR HUA HAI,,*

*✍🏻HAZRATE ANAS RADIYALLAHU ANHU SE MARWEE HAI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA JAB LAILATUL QADAR AATI HAI TO JIBREEL ALAIHISSALAM FARISHTO KEE AEK (1) JAMA'AT KE SAATH NAAZIL HOTE HAI AUR HAR US BANDE PAR RAHMAT BHEJTE HAI AUR BAKHSIS KEE DUA KARTE HAI JO KHADE HOKAR YAA BAITH KAR ALLAH TAALA KE ZIKR ME MASGOOL W MASROOF HOTA HAI,,*

*📚MUKA'SHAF'TUL QULOOB (Hindi)*
*PAGE=542, 543*

💦💦💦💦💦💦💦💦💦
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦





*{{ PART=2, LAST PART }}*


*LAILTUL QADR KA BAYAN*

💦💦💦💦💦💦💦💦💦
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦

*LAILTUL QADR ME BE'SHUMAAR*
          *RAHMATO KA NUZOOL*
 *लैलतुल क़द्र में बेशुमार रहमतो का नुज़ूल*

*✍🏻HAZRAT ABOO HURAIRA RADIYALLAHU ANHU KAHTE HAI KI LAILTUL QADR ME ZAMEEN PAR BE'SHUMAAR FARISHTE UTARTE HAI AUR UNKE UTARNE KE LIE AASMAAN KE DARWAZE KHOL DIYE JAATE HAIN JAISA KI HADEES SHAREEF ME WAARID HUA HAI,*
*TAB ANWAAR CHAMAKTE HAI,*
*AZEEM TAJALLEE HOTI HAI JISME MULKE AZEEM MUNK'SHAF HO JAATA HAI,*
*LOG USME MUKHTALIF DARJAAT PAR FAAIZ HOTE HAI BAAZ AESE HOTE HAI JIN PAR ZAMEEN W AASMAAN KE MALKOOT MUNK'SHAF HOTE HAI AUR JAB UN PAR AASMAANO KE MALKOOT MUNK'SHAF HOTE HAI TO WAH AASMAANO ME FARISHTO KO UN SOORTO ME DEKHTE HAI JINME WAH MASHGOOLE IBAADAT HOTE HAI,*
*BAAZ QIYAAM ME, BAAZ QUOOD ME, BAAZ ROOKOO ME, BAAZ SAJDA ME, BAAZ ZIKR ME, BAAZ SHUKR ME, AUR BAAZ TASBEEH W TAHLEEL ME MASROOF HAIN,,*

*✍🏻BAAZ LOGO PAR JANNAT KE AHWAAL MUNK'SHAF HOTE HAI AUR WAH JANNAT KE MAHALLAAT, GHAR, NAHRE, DARAKHT, AUR JANNAT KE FAL WAGAIRA DEKHTE HAI AUR ARSHE AAZAM KA NAZAARA KARTE HAI,*
*JO KI JANNAT KEE CHAT HAI,*
*AMBIYA, AULIYA, SHOHDA, AUR SIDDEEQEEN KE MAQAMAAT DEKHTE HAI,*
*BAAZ AESE LOG BHI HOTE HAI JINKI AAKHO SE HIJAAB UTH JAATE HAI AUR WAH RABBE JUL'JALAAL KE JAMAAL KE ILAWA AUR KUCH NAHI DEKH PAATE,,*

*✍🏻HAZRATE UMAR RADIYALLAHU ANHU SE MARWEE HAI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA JIS SHAKHS NE MAAHE RAMZAN KEE SATTAISWEE (27-wee) RAAT, SUBAH HONE TAK IBADAT ME GUZARI WAH MUJHE RAMZAN KEE TAMAAM RAATO KEE IBADAT SE ZYADA PASAND HAI,*
*HAZRATE FATI'MTUZ'ZUHRA RADIYALLAHU ANHA NE ARZ KEE AE ABBA JAAN WAH ZAIF MARD AUR AURTE KYA KARE JO QIYAAM PAR QUDRAT NAHI RAKHTE,*
*AAPNE FARMAYA KYA WAH TAKIYE NAHI RAKH SAKTE JINKA SAHARA LE AUR US RAAT KE LAMHAAT ME SE KUCH LAMHAAT BAITH KAR GUZARE AUR ALLAH TAALA SE DUA MANGE MAGAR YAH BAAT APNI UMMAT KE TAMAAM MAAHE RAMZAN KO QIYAAM ME GUZAARNE SE ZYADA MAHBOOB HAI,,*

*✍🏻HAZRATE AAISHA RADIYALLAHU ANHA SE MARWEE HAI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA JISNE LAILTUL QADAR BEDAAR HOKAR GUZARI AUR USME DO (2) RAK'AT NAMAZ ADAA KEE AUR ALLAH TAALA SE BAKH'SHISH TALAB KEE TO ALLAH TAALA NE USE BAKHSH DIYA,*
*USE APNI RAHMAT ME JAGAH DETA HAI AUR JIBREEL ALAIHISSALAM NE US PAR APNE PAR FERE AUR JIS PAR JIBREEL NE APNE PAR FERE WAH JANNAT ME DAAKHIL HUA,,*

*📚MUKA'SHAF'TUL QULOOB (Hindi)*
*PAGE=544*

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
💦💦💦💦💦💦💦💦💦
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
💦💦💦💦💦💦💦💦💦
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

MAALE ZAKAAT KIN LOGO PAR SARF (Kharch) KIYA JAAE



*MAALE ZAKAAT KIN LOGO PAR*
     *SARF (Kharch) KIYA JAAE*


🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀

*MAALE ZAKAAT KIN LOGO PAR*
     *SARF (Kharch) KIYA JAAE*

 *🌹ALLAH TAALA FARMATA HAI🌹*

*TARJUMA::--*
                      *SADQAAT FUQRA W MASAKEEN KE LIYE HAI AUR UNKE LIYE JO IS KAAM PAR MUQARRAR HAI AUR WAH JIN KE QULOOB KEE TAALEEF (Dil me muhabbat paida karna) MAQSOOD HAI AUR GARDAN CHUDANE ME AUR TAAWAAN WAALE KE LIYE AUR ALLAH KEE RAAH ME AUR MUSAFIR KE LIYE YAH ALLAH KEE TARAF SE MUQARRAR KARNA HAI AUR ALLAH ILM W HIQMAT WALA HAI,,*

*✏HADEES=1:*
               *SUNNE ABOO DAAUD ME ZYAAD IBNE HAARIS SUDAAI RADIYALLAHU TAALA ANHU SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA KI ALLAH TAALA NE SADQAAT KO NABI YAA KISI AUR KE HUKM PAR NAHI RAKHA BALKI USNE KHUD ISKA HUKM BAYAN FARMAYA AUR ISKE AATH (8) HISSE KIYE,,*

*✏HADEES=2:*
                         *IMAAM AHMAD W ABOO DAAUD W HAAKIM ABOO SAEID RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWI KI RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA KI GANI KE LIYE SADQA HALAAL NAHI MAGAR PAACH (5) SHAKHS KE LIE,,*
*1::-- ALLAH KE RAAH ME JEHAAD KARNE WALA GANI,,*
*2::-- SADQE PAR AAMIL GANI (Jo sadqa wusool karne par mut'ayyan ho),,*
*3::-- TAAWAAN WAALE GANI KE LIE,,*
*4::-- JIS GANI NE APNE MAAL SE KHAREED LIYA HO,,*
*5::-- YAA MISKEEN KO SADQA DIYA GAYA AUR US MISKEEN NE APNE PADOSI GANI (Maalike nisaab) KO HADYA KIYA AUR AHMAD BAIHQEE KEE DUSRI RIWAYAT ME GANI MUSAFIR KE LIE BHI JAWAAZ AAYA HAI YAANI GANI MUSAFIR KO BHI ZAKAAT KA MAAL LENA JAIZ HAI,,*

*✏HADEES=3:*
                          *BAIHQEE NE HAZRAT MOULA ALI RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RIWAYAT KEE KI FARMAYA SADQAE MAF'ROOZA (Jo sadqa farz ho jaise zakaat) ME AULAD W WAALID KA HAQ NAHI,,*

*✏HADEES=4:*
                          *TABRANI KABEER ME IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWI KI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA AE BANI HAASHIM TUM APNE NAFS PAR SABR KARO KI SADQAAT AADMIYO KE DHOWAN HAIN,,*

*✏HADEES=5 se 7:*
                           *IMAAM AHMAD W MUSLIM MUTTALIB IBNE RABEE'AA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA AALE MUHAMMAD ﷺ KE LIE SADQA JAIZ NAHI KI YAH TO AADMIYO KE MAIL HAI AUR IBNE SA'AD KEE RIWAYAT IMAME HASAN MUJTABA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE HAI KI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA ALLAH TAALA NE MUJH PAR AUR MERE AHLE BAIT PAR SADQA HARAAM FARMA DIYA AUR TIRMIZEE W NASAI W HAAKIM KEE RIWAYAT ABOO RAAFE'A RADIYALLAHU TAALA ANHU SE HAI KI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA HAMARE LIYE SADQA HALAAL NAHI AUR JIS QOUM KA AAZAAD KARDA GULAM HO WAH UNHI ME SE HAI,,*

*✏HADEES=8:*
                  *SAHEEHAIN ME ABOO HURAIRAH RADIYALLAHU TAALA ANHU SE MARWEE KI IMAME HASAN RADIYALLAHU TAALA ANHU NE SADQE KA KHURMA LEKAR MOOH ME RAKH LIYA IS PAR HUZOOR AQDAS ﷺ NE FARMAYA CHEE-CHEE KI USE FEK DE FIR FARMAYA KYA TUMHE NAHI MALOOM KI HAM SADQA NAHI KHAATE,*
*TAHMAAN W BAHAZ IBNE HAKEEM W BRAA W ZAID IBNE ARQAM W AMR IBNE KHARJA W SALMAAN W ABDURRAHMAAN IBNE ABEE LAILA W MAYMOON W KASAAN W HURMUZ W KHARJA IBNE AMR W MUGEERA W ANAS WAGAIRHUM RADIYALLAHU TAALA ANHUM SE BHI RIWAYATE HAIN KI HUZOOR ﷺ KEE AHLE BAIT KE LIYE SADQAAT NA'JAIZ HAIN,,*

*✍🏻MASLA=1:*
                      *ZAKAAT KE MASAARIF SAAT (7) HAI YAANI SAAT (7) QISM KE LOGO KO ZAKAAT DE SAKTE HAI,,*
*1= FAQEER,,*
*2= MISKEEN,,*
*3= AAMIL,,*
*4= RIQAAB,,*
*5= GAARIM,,*
*6= FEE'SBEE'LIL'LAAH,,*
*7= IB'NUS'SABEEL,,*

*✍🏻MASLA=2:*
                    *::FAQEER:: WAH SHAKHS HAI JIS KE PAAS KUCH HO MAGAR N ITNA KI NISAAB KO PAHUCH JAAE YAA NISAAB KEE QADR HO TO USKI HAAJTE ASLIYA ME MUS'TAG'RAQ (Ghira hua) HO MASLAN RAHNE KA MAKAAN PAHANNE KE KAPDE KHIDMAT KE LIYE LOUNDEE GULAM,*
*ILMI SHUGAL RAKHNE WAALE KO DEENEE KITABE JO USKI ZAROORAT SE ZYADA N HO JISKA BAYAN GUZRA,*
*YOO HEE AGAR MADYOON (Karzdaar) HAI AUR DAIN NIKALNE KE BAAD NISAAB BAAQI N RAHE TO FAQEER HAI AGARCHE USKE PAAS AEK (1) TO KYA KAI NISAABE HO,,*
*📘Raddul muhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=3:*
                       *FAQEER AGAR AALIM HO TO USE DENA JAAHIL KO DENE SE AFZAL HAI,,*
*📘Aalamgiri,,*
*Magar aalim ko de to iska lihaaz rakhe ki uski izzat madde nazar ho adab ke saath de jaise chote bado ko nazar dete hai aur m'aaz ALLAH aalime deen kee haqaarat (zillat) agar dil me aai to yah halaakat aur bahut sakht halaakat hai,,*

*✍🏻MASLA=4:*
                      *::MISKEEN:: WAH HAI JISKE PAAS KUCH N HO YAHA TAK KI KHANE AUR BADAN CHUPANE KE LIYE ISKA MUHTAAJ HAI KI LOGO SE SAWAL KARE AUR USE SAWAL HALAAL HAI*
*FAQEER KO SAWAL NA'JAIZ HAI KI JISKE PAAS AUR BADAN CHUPANE KO HO USE BAGAIR ZAROORAT W MAJBOORI SAWAL HARAAM HAI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=5:*
                       *::AAMIL:: WAH HAI JISE BAADSHAHE ISLAM NE ZAKAAT AUR USR WUSOOL KARNE KE LIYE MIQARRAR KIYA USE KAAM KE LIHAZ SE ITNA DIYA JAAE KI USKO AUR USKE MADAD GAARO KO MUT'WASSIT (Darmiyaani) TOUR PAR KAAFI HO MAGAR ITNA N DIYA JAAE KI JO WUSOOL KAR LAYA HAI US KE NISF SE ZYADA HO JAYE,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=6:*
                      *AAMIL AGARCHE GANI HO APNE KAAM KEE UJRAT LE SAKTA HAI*
*AUR HASHIMEE HO TO USKO ZAKAAT KE MAAL ME SE DENA BHI NA'JAIZ AUR USE LENA BHI NA'JAIZ,*
*HAA AGAR KISI AUR MAD SE DE TO LENE ME HARAJ NAHI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=7:*
                       *ZAKAAT KA MAAL AAMIL KE PAAS SE JATA RAHA TO AB ISE KUCH N MILEGA MAGAR DENE WALO KEE ZAKAATE ADAA HO GAYI,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=8:*
                       *KOI SHAKHS APNE MAAL KEE ZAKAAT KHUD LE JAAKAR BAITUL MAAL ME DE AAYA TO USKA MU'AAWZA AAMIL NAHI PAYEGA,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=9:*
                       *WAQT SE PAHLE MU'AAWZA LE LIYA YAA QAAZI NE DE DIYA YAH JAIZ HAI*
*MAGAR BEHTAR YAH HAI KI PAHLE N DE*
*AUR AGAR PAHLE LE LIYA AUR WUSOOL KIYA HUA MAAL HALAAK HO GAYA TO ZAAHIR YAH HAI KI WAAPAS N LENGE,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=10*
                       *::RIQAAB:: SE MURAAD MUKATIB GULAM (Mukatib gulam wah ki maalik ne usse yah kah diya ho ki rupya de do to tum aazaad ho) KO DENA KI US ZAKAAT KE MAAL SE BADLE KITAABAT YAANI WAHI RUPYA JO AAZAAD HONE KE LIYE MAALIK KO DENA HAI ADAA KARE AUR GULAMI SE APNI GARDAN RIHA KARE,,*
*📘Aamae kutub,,*

*✍🏻MASLA=11:*
                          *GANI KE MUKAATIB KO BHI MAALE ZAKAAT DE SAKTE HAI AGARCHE MALOOM HAI KI YAH GANI KA MUKAATIB HAI,*
*MUKAATIB POORA BADLE KITAABAT ADAA KARNE SE AAJIZ HO GAYA AUR FIR BA-DASTOOR GULAM HO GAYA TO JO KUCH ISNE MAAL ZAKAAT LIYA HAI USKA MOULA KHARCH ME LAA SAKTA HAI AGARCHE GANI HO,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=12:*
                        *MUKAATIB KO JO ZAKAAT DEE GAYI HAI WAH GULAMI SE RIHAAI KE LIYE HAI MAGAR AB ISE IKHTIYAAR HAI KI DOOSRI JAGAH KHARCH SAKTA HAI,*
*AGAR MUKAATIB KE PAAS B-QADRE NISAAB MAAL HAI AUR BADLE KITAABAT SE BHI ZYADA HAI JAB BHI ZAKAAT DE SAKTE HAI,*
*MAGAR HASHIMEE KE MUKAATIB KO ZAKAAT NAHI DE SAKTE,,*
*📘Aalamgiri,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=13:*
                        *::GAARIM:: SE MURAAD MADYOON HAI YAANI US PAR ITNA DAIN HO KI USE NIKAALNE KE BAAD NISAAB BAAQI N RAHE AGARCHE USKA AURO PAR BAAQI HO MAGAR LENE PAR QAADIR N HO MAGAR SHART YAH HAI KI MADYOON HASHIMEE N HO,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=14:*
         *::FEE'SABEE'LILLAAH:: YAANI RAAHE KHUDA ME KHARCH KARNA ISKI CHAND SOORTE HAI MASLAN KOI SHAKHS MUHTAAJ HAI KI JEHAAD ME JAANA CHAHTA HAI SAWAARI AUR SAFAR KA SAMAAN USKE PAAS NAHI TO USE MAALE ZAKAAT DE SAKTE HAI KI YAH RAAHE KHUDA ME DENA HAI AGARCHE WAH KAMAANE PAR QAADIR HO YAA KOI HAJ KO JAANA CHAHTA HAI AUR USKE PAAS MAAL NAHI USKO ZAKAAT DE SAKTE HAI MAGAR USE HAJ KE LIYE SAWAAL KARNA JAIZ NAHI.......*
*YAA TAALIBE ILM KI ILME DEEN PADHTA HAI YAA PADHANA CHAHTA HAI USE DE SAKTE HAI KI YAH BHI RAAHE KHUDA ME DENA HAI BALKI TAALIBE ILM SAWAAL KARKE BHI MAALE ZAKAAT LE SAKTA HAI JABKI USNE APNE AAP KO ISI KAAM KE LIYE FAARIG KAR RAKHA HO AGARCHE KASAB (Kamaane) PAR QAADIR HO......*
*YOO HEE HAR NEK BAAT ME ZAKAAT SARF KARNA FEE'SABEE'LILLAAH HAI JABKI B-TOURE TAMLEEK (Maalik bana dene ke tour par) HO KI BAGAIR TAMLEEK ZAKAAT ADAA NAHI HO SAKTI,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=15:*
                        *BAHUT SE LOG MAALE ZAKAAT ISLAMI MADAARIS ME BHEJ DETE HAI UNKO CHAHIYE KI MADARSE KE MUTWALLI KO ITTILA DE KI YAH MAALE ZAKAAT HAI TAAKI MUTWALLI US MAAL KO JUDA RAKHE AUR DOOSRE MAAL ME N MILAYE AUR GAREEB TALBA PAR SARF (Kharch) KARE KISI KAAM KEE UJRAT ME N DE WARNA ZAKAAT ADAA N HOGI,,*

*✍🏻MASLA=16:*
             *::IB'NUS'SABEEL:: YAANI MUSALMAAN MUSAFIR JISKE PAAS MAAL N RAHA ZAKAAT LE SAKTA HAI AGARCHE ISKE GHAR MAAL MOUJOOD HO MAGAR USI QADR LE JISSE HAAJAT POORI HO JAYE ZAYADA KEE IJAZAT NAHI,*
*YOO HEE AGAR MAALIKE NISAAB KA MAAL KISI MEE'AAD (Muqarrara waqt) TAK KE LIYE DOOSRE PAR DAIN HAI AUR ABHI MEE'AAD POORI N HUI AUR AB ISE ZAROORAT HAI YAA JIS PAR ISKA AATA HAI WAH YAHA MOUJOOD NAHI YAA MOUJOOD HAI MAGAR NAADAAR (Bahut gareeb) HAI YAA DAIN SE MUNKIR HAI AGARCHE YAR SUBOOT RAKHTA HO TO IN SAB SOORTO ME B-QADRE ZAROORAT ZAKAAT LE SAKTA HAI MAGAR BEHTAR YAH HAI KI KARZ MILE TO KARZ LEKAR KAAM CHALAYE,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*
*AUR AGAR DAINE MU'AJJAL HAI YAA MEE'AAD POORI HO GAYI AUR MADYOON GANI HAAZIR HAI AUR IQRAAR BHI KARTA HAI TO ZAKAAT NAHI LE SAKTA KI USSE LEKAR APNI ZAROORAT ME SARF KAR SAKTA HAI,*
*LIHAZA HAAJAT'MAND N HUA AUR YAAD RAKHNA CHAHIYE KI QARZ JISE URF ME LOG DAST'GARDA (Yaani qarz) KAHTE HAI SHAR'AN HAMESHA MU'AJJAL HOTA HAI KYOKI JAB CHAHE USKA MUTAALBA KAR SAKTA HAI AGARCHE HAZAAR AHDO PAIMAAN W WASEEQA W TAMASSUK (Waade, kaagzaat aur stamp wagaira likh lene) KE ZARIE SE USME MEE'AAD MUQARRAR KEE HO KI ITNI MUDDAT KE BAAD DIYA JAYEGA AGARCHE YAH LIKH DIYA HO KI IS MEE'AAD SE PAHLE MUTAALBA KA IKHTIYAAR N HOGA AGAR MUTAALBA KARE TO BAATIL W NA-MAS'MO'A HOGA YAANI MAANA NAHI JAAEGA KI YAH SAB SHARTE BAATIL HAI AUR QARZ DENE WAALE KO HAR WAQT MUTAALBA KA IKHTIYAAR HAI,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=17:*
                         *MUSAFIR YAA US MAALIKE NISAAB NE JISKA APNA MAAL DOOSRE PAR DAIN HAI B-WAQTE ZAROORAT MAALE ZAKAAT B-QADRE ZAROORAT LIYA FIR APNA MAAL MIL GAYA MASLAN MUSAFIR GHAR PAHUCH GAYA YAA MAALIKE NISAAB KA DAIN WUSOOL HO GAYA TO JO KUCH ZAKAAT ME KA BAAQI HAI AB BHI APNE SARF ME LAA SAKTA HAI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=18:*
                         *ZAKAAT DENE WAALO KO IKHTIYAAR HAI KI IN SAATO QISMO KO DE YAA IN ME KISI AEK (1) KO DE DE KHWAAH AEK (1) QISM KE CHAND SHAKHSO KO YAA AEK (1) KO AUR MAALE ZAKAAT AGAR B-QADRE NISAAB N HO TO AEK (1) KO DENA AFZAL HAI AUR AEK (1) SHAKHS KO B-QADRE NISAAB DE DENA MAKROOH MAGAR DE DE TO ADAA HO GAYI,*
*AEK (1) SHAKHS KO B-QADRE NISAAB DENA MAKROOH US WAQT HAI KI WAH FAQEER MADYOON N HO AUR MADYOON HO TO ITNA DE DENA KI DAIN NIKAAL KAR KUCH N BACHE YAA NISAAB SE KAM BACHE MAKROOH NAHI,*
*YOO HEE WAH FAQEER BAAL BACHCHO WAALA HAI KI AGARCHE NISAAB YAA ZYADA HAI MAGAR AHAL W IYAAL PAR TAQSEEM KARE TO SAB KO NISAAB SE KAM MILTA HAI TO IS SOORAT ME BHI HARAJ NAHI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=19:*
                         *ZAKAAT ADAA KARNE ME YAH ZAROOR HAI KI JISE DE MAALIK BANA DE IBAAHAT KAAFI NAHI YAANI MUBAAH KAR DENA KAAFI NAHI (Maslan nal lagwaya ki log paani piyenge aur samjhe ki zakaat adaa ho to aesa karne se zakaat adaa n hogi kyo ki yaha maal ka malik n banaya)*
*LIHAZA MAALE ZAKAAT MASJID ME SARF KARNA YAA US SE MAYYAT KO KAFAN DENA YAA MAYYAT KA DAIN ADAA KARNA YAA GULAM AZAAD KARNA,*
*PUL, SARAA, SIQAAYA (Pyaau), SADAK, BANWA DENA NAHAR YAA KUWAA KHUDWA DENA IN AF'AAL ME KHARCH KARNA YAA KITAB WAGAIRA KOI CHEEZ KHAREED KAR WAQF KAR DENA NAKAAFI HAI YAANI IS TARAH KE KAAM KARNE SE ZAKAAT ADAA NAHI HOGI,,*
*📘Jouhra,, Tanweer,, Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=20:*
                        *FAQEER PAR DAIN HAI USKE KAHNE SE MAALE ZAKAAT SE WAH DAIN ADAA KIYA GAYA ZAKAAT ADAA HO GAI*
*AUR AGAR USKE HUKM SE N HO TO ZAKAAT ADAA N HUI*
*AUR AGAR FAQEER NE IJAZAT DEE MAGAR ADAA SE PAHLE MAR GAYA TO YAH DAIN AGAR MAALE ZAKAAT SE ADAA KARE ZAKAAT ADAA N HOGI,*
*📘Durre mukhtar,,*
*In cheezo me maale zakaat sarf karne ka heela ham bayan kar chuke agar heela karna chahe to kar sakte hai,,*

*✍🏻MASLA=21:*
                         *APNI ASL W FRAA YAANI MAA-BAAP, DADA-DADI, NANA-NANI, BETA-BETI, POTA-POTI, WAGAIHUM JIN KEE AULAD ME YAH HAI UNKO ZAKAAT NAHI DE SAKTA,......*
*AUR YOO HEE APNI AULAD BETA-BETI, POTA-POTI, NAWASA-NAWASI WAGAIRHUM KO ZAKAAT NAHI DE SAKTA,.......*
*YOO HEE SADQAE FITR NAZAR W KAFFARA BHI INHE NAHI DE SAKTA,*
*RAHA SADQAE NAFL WAH DE SAKTA HAI BALKI BEHTAR HAI,,*
*📘Aalamgiri,, Raddul muhtar Wagairhuma,,*

*✍🏻MASLA=22:*
                         *ZINA KA BACHCHA JO US KE NUTFE SE HO YAA WAH BACHCHA KI ISKI MANKOOHA SE ZAMAANAE NIKAAB ME PAIDA HO MAGAR YAH KAH CHUKA KI MERA NAHI INHE NAHI DE SAKTA,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=23:*
                       *BAHOO AUR DAMAAD AUR SOUTELI MAA YAA SOUTELE BAAP YAA ZOUJA KE AULAD YAA SHOUHAR KEE AULAD KO DE SAKTA HAI*
*AUR RISHTEDAARO ME JISKA NAFQA ISKE JIMME WAAJIB HAI USE ZAKAAT DE SAKTA HAI*
*JABKI NAFQE ME SHUMAAR N KARE,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=24:*
                        *MAA BAAP MOHTAAJ HO HEELA KARKE ZAKAAT DENA CHAHTA HAI KI YAH FAQEER KO DE DE FIR FAQEER UNHE DE YAH MAKROOH HAI,,*
*📘Raddul muhtar,,*
*Yoo hee heela karke apni aulad ko dena bhi makrooh hai,,*

*✍🏻MASLA=25:*
                         *APNE YAA APNI ASL YAA APNI FRAA YAA APNE ZOUJ (Shouhar) YAA APNI ZOUJA KE GULAM YAA MUKAATIB YAA MU'DAB'BIR YAANI JIS GULAM KA KUCH HISSA AAZAAD HO CHUKA HO AUR BAAQI HISSE KEE AAZAADI KE LIYE KOSHISH KARTA HO YAA UMME WALAD YAANI WAH BAANDEE JISSE AAQA KE AULAD HO YAA US GULAM KO JISKE KISI JUZ KA YAH MAALIK HO AGARCHE BAAZ HISSA AAZAAD HO CHUKA HO ZAKAAT NAHI DE SAKTA,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=26:*
                          *AURAT SHOUHAR KO AUR SHOUHAR AURAT KO ZAKAAT NAHI DE SAKTA AGARCHE TALAAQE BAAIN BALKI TEEN (3) TALAAQE DE CHUKA HO JAB TAK IDDAT ME HAI*
*AUR IDDAT POORI HO GAYI TO AB DE SAKTA HAI,,*
*📘Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=27:*
                         *JO SHAKHS MAALIKE NISAAB HO (Jabki wah cheez haajte asliya se faarig ho yaani Makaan, Saamaan, Khanadaari, Pahanne ke kapde, Khaadim, Sawaari ka jaanwar, Hathiyaar, Ahle ilm ke liye kitaabe jo uske kaam me ho ki yah sab haajte asliya se hai) AUR WAH CHEEZ INKE ALAWA HO AGARCHE US PAR SAAL N GUZRA HO AGARCHE WAH MAAL NAAMI YAANI BADHNE WALA MAAL N HO AESE KO ZAKAAT DENA JAIZ NAHI*
*AUR NISAAB SE MURAAD YAHA YAH KI US KEE QEEMAT DO SOU (200) DIRHAM HO AGARCHE WAH KHUD ITNI N HO KI US PAR ZAKAAT WAAJIB HO MASLAN CHAH (6) TOLE SONA JAB DO SOU (200) DIRHAM QEEMAT KA HO TO JIS KE PAAS HAI AGARCHE US PAR ZAKAAT WAAJIB NAHI KI SONE KEE NISAAB SAADHE SAAT (7.5) TOLE HAI MAGAR IS SHAKHS KO ZAKAAT NAHI DE SAKTE*
*YAA ISKE PAAS TEES (30) BAKRIYA YAA BEES (20) GAAY HO JISKI QEEMAT DO SOU (200) DIRHAM HAI ISKO ZAKAAT NAHI DE SAKTA*
*AGARCHE IS PAR ZAKAAT WAAJIB NAHI*
*YAA ISKE PAAS ZAROORAT KE SIWA ASBAAB HAI JO TIJAARAT KE LIYE BHI NAHI AUR WAH DO SOU (200) DIRHAM KE HAI TO ISE ZAKAAT NAHI DE SAKTE,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=28:*
                       *SAHI TANDROOST KO ZAKAAT DE SAKTE HAI AGARCHE KAMAANE PAR QUDRAT RAKHTA HO MAGAR SAWAL KARNA ISE JAIZ NAHI,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=29:*
                       *JO SHAKHS MAALIKE NISAAB HAI USKE GULAM KO BHI ZAKAAT NAHI DE SAKTE AGARCHE GULAM APAAHIJ HO AUR USKA MOULA KHANE KO BHI NAHI DETA*
*YAA US KA MAALIK GAAIB HO MAGAR MAALIKE NISAAB KE MUKAATIB KO AUR US MAAZOON YAANI WAH GULAM JISE USKE AAQA NE TIJAARAT KEE IJAZAT DE RAKHI HO USKO DE SAKTE HAI JO KHUD AUR USKA MAAL DAIN ME MUSTAGRAQ HO,*
*YOO HEE GANI MARD KE NABAALIG BACHCHE KO BHI NAHI DE SAKTE AUR GANI KE BAALIG AULAD KO DE SAKTE HAI JABKI FAQEER HO,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=30:*
                         *GANI KEE BEEWEE KO DE SAKTE HAI JABKI MAALIKE NISAAB N HO,*
*YOO HEE GANI KE BAAP KO DE SAKTE HAI JABKI FAQEER HAI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=31:*
                        *JIS AURAT KA DAIN MAHAR USKE SHOUHAR PAR BAAQI HAI AGARCHE WAH B-QADRE NISAAB HO AGARCHE SHOUHAR MAAL DAAR HO ADAA KARNE PAR QAADIR HO US AURAT KO ZAKAAT DE SAKTE HAI,,*
*📘Jouhra nayyira,,*

*✍🏻MASLA=32:*
                        *JIS BACHCHE KEE MAA MAALIKE NISAAB HAI AGARCHE USKA BAAP ZINDA N HO US BACHCHE KO ZAKAAT DE SAKTE HAI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=33:*
                          *JISKE PAAS MAKAAN YA DUKAAN HAI JISE KIRAYE PAR UTHATA HAI AUR USKI QEEMAT MASLAN TEEN HAZAAR (3000) HO MAGAR KIRAYA ITNA NAHI JO USKE AUR BAAL BACHCHO KE LIE KHANE PEENE KO KAAFI HO SAKE TO USKO ZAKAAT DE SAKTE HAI,*
*YOO HEE USKI MILK ME KHET HAI JISKI KAASHT KARTA HAI MAGAR PAIDAWAAR ITNI NAHI JO SAAL BHAR KO KHANE PEENE KE LIYE KAAFI HO USKO ZAKAAT DE SAKTE HAI AGARCHE KHET KEE QEEMAT DO SOU (200) DIRHAM YAA JAID HO,,*
*📘Aalamgiri,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=34:*
                        *JISKE PAAS KHANE KE LIYE GALLA HO JISKI QEEMAT DO SOU (200) DIRHAM HO AUR WAH GALLA SAAL BHAR KO KAAFI HAI JAB BHI USKO ZAKAAT DENA HALAAL HAI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=35:*
                         *JAARE KE KAPDE JINKI GARMIYO ME HAAJAT NAHI PADTI HAAJTE ASLIYA ME HAI WAH KAPDE AGARCHE BESH'QEEMAT HO ZAKAAT LE SAKTA HAI,*
*JISKE PAAS RAHNE KA MAKAAN HAAJAT SE ZYADA HO YAANI POORE MAKAAN ME USKI SUKOONAT NAHI YAH SHAKHS ZAKAAT LE SAKTA HAI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=36:*
                        *AURAT KO MAA BAAP KE YAHA SE JO JAHEZ MILTA HAI USKI MAALIK AURAT HEE HAI USME DO (2) TARAH KEE CHEEZE HOTI HAI*
*AEK (1) HAAJAT KEE JAISE KHANA'DAARI KE SAMAAN, PAHANNE KE KAPDE, ISTEMAAL KE BARTAN IS QISM KEE CHEEZE KITNI HEE QEEMAT KEE HO INKI WAJAH SE AURAT GANI NAHI*
*DOOSRI WAH CHEEZE JO HAAJTE ASLIYA SE ZAID HAI ZEENAT KE LIYE DEE JAATI HAI JAISE ZEWAR AUR HAAJAT KE ALAWA ASBAAB AUR BARTAN AUR AANE JAANE KE LIYE BESH'QEEMTI BHARI JORE IN CHEEZO KEE QEEMAT AGAR B-QADRE NISAAB HAI AURAT GANI HAI ZAKAAT NAHI LE SAKTI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=37:*
                        *MOTI WAGAIRA JAWAAHIRAAT JISKE PAAS HO AUR TIJAARAT KE LIYE N HO TO INKI ZAKAAT WAAJIB NAHI MAGAR JAB NISAAB KEE QEEMAT KE HO TO ZAKAAT LE NAHI SAKTA,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=38:*
                        *JISKE MAKAAN ME NISAAB KEE QEEMAT KA BAAG HO AUR BAAG KE ANDAR ZAROOR'YAATE BAAWARCHEE'KHANA, GUSL'KHANA WAGAIRA NAHI TO USE ZAKAAT LENA JAIZ NAHI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=39:*
                         *BANEE HAASHIM KO ZAKAAT NAHI DE SAKTE N GAIR UNHE DE SAKE N AEK (1) HAASHIMI DOOSRE HAASHIMI KO,*
*BANI HAASHIM SE MURAAD HAZRATE ALI W JAAFAR W AQEEL AUR HAZRATE ABBAS W HAARIS IBNE ABDUL MUTTALIB KEE AULAD HAI*
*INKE ALAWA JINHONE NABI ﷺ KEE I'AANAT (Madad) N KEE MASLAN ABOO LAHAB KI AGARCHE YAH KAAFIR BHI HAZRATE ABDUL MUTTALIB KA BETA THA MAGAR ISKI AULADE BANEE HAASHIM ME SHUMAAR N HONGI,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=40:*
                         *BANEE HAASHIM KE AAZAAD KIYE HUE GULAMO KO BHI ZAKAAT NAHI DE SAKTE TO JO GULAM UNKI MILK ME HAI UNHE DENA B-TAREEQE AOULA NA'JAIZ,,*
*📘Durre mukhtar,, Wagaira Aamae kutub,,*
*Maa haashimi balki sayydani ho aur baap haashimi n ho to wah hashimi nahi ki shara me nasab baap se hai,*
*Lihaza aese shakhs ko zakaat de sakte hai agar koi doosra maane'a n ho,,*

*✍🏻MASLA=41:*
                        *SADQAE NAFL AUR AOUQAAF (Waqf kee jamaa) KEE AAMDANI BANEE HAASHIM KO DE SAKTE HAI KHWAAH WAQF KARNE WAALE NE INKI TA'AYYUN KEE HO YAA NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=42:*
                        *ZIMMEE KAAFIR KO N ZAKAAT DE SAKTE HAI N KOI SADQAE WAAJIBA JAISE NAZAR W KAFFARA W SADQAE FITR*
*AUR HARBEE KO KISI QISM KA SADQA DENA JAIZ NAHI N WAAJIBA N NAFLI AGARCHE WAH DAARUL ISLAM ME BAADSHAHE ISLAM SE AMAAN LEKAR AAYA HO,,*
*📘Durre mukhtar,,*
*Hindustaan agarche darul islam hai magar yaha ke kuffar zimmee nahi unhe sadqate nafl maslan hadya wagaira dena bhi na'jaiz hai,,*
*FAAEDA::--JIN LOGO KO ZAKAAT DENA JAIZ HAI UNHE AUR BHI KOI SADQAE WAAJIBA NAZAR W KAFFARA W FITRA DENA JAIZ HAI SIWA DAFEENA AUR M'ADAN (Yaani kaan se) KE KI IN KA KHUMS (Paachwa hissa) APNE WAALIDAIN W AULAD KO BHI DE SAKTA HAI BALKI BAAZ SOORAT ME KHUD BHI SARF KAR SAKTA HAI JISKA BAYAN GUZRA,,*
*📘Jouhra,,*

*✍🏻MASLA=43:*
                       *JIN LOGO KEE NISBAT BAYAN KIYA GAYA KI UNHE ZAKAAT DE SAKTE HAI UN SAB KA FAQEER HONA SHART HAI SIWA AAMIL KE KI USKE LIYE FAQEER HONA SHART NAHI AUR IB'NUS'SABEEL AGARCHE GANI HO US WAQT HUKME FAQEER ME HAI BAAQI KISI KO JO FAQEER N HO ZAKAAT NAHI DE SAKTE,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=44:*
                     *JO SHAKHS MARZE MOUT ME HAI USNE ZAKAAT APNE BHAI KO DEE AUR YAH BHAI USKA WAARIS HAI TO ZAKAAT IN'DAL'LAAH YAANI ALLAH KE NAZDEEK ADAA HO GAYI*
*MAGAR BAAQI WAARISO KO IKHTIYAAR HAI KI USSE IS ZAKAAT KO WAAPAS LE KI YAH WASEEYAT KE HUKM ME HAI AUR WAARIS KE LIYE BAGAIR DOOSRE WARSA (Waariso) KE IJAZAT KE WASEEYAT SAHI NAHI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=45:*
                     *JO SHAKHS ISKI KHIDMAT KARTA AUR USKE YAHA KE KAAM KARTA HAI USE ZAKAAT DEE YAA USKO DEE JISNE KHUSH KHABRI SUNAI YAA USE DEE JISNE ISKE PAAS HADYA BHEJA YAH SAB JAIZ HAI,*
*HAA AGAR AEWAZ KAHKAR DEE TO ADAA N HUI,*
*EID, BAQREID ME KHUDDAAM MARD W AURAT KO EIDEE KAH KAR DEE TO ADAA HO GAYI,,*
*📘Jouhra,, Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=46:*
                        *JISNE TAHARRI KEE YAANI SOCHA AUR DIL ME YAH BAAT JMEE KI ISKO ZAKAAT DE SAKTE HAI AUR ZAKAAT DE DEE BAAD ME ZAAHIR HUA KI WAH MASRAFE ZAKAAT (Zakaat lene ke qaabil) HAI YAA KUCH HAAL N KHULA TO ADAA HO GAYI*
*AUR AGAR BAAD ME MALOOM HUA KI WAH GANI THA YAA US ZAKAAT DENE WAALE KE WAALIDAIN ME KOI THA YAA APNI AULAD THI YAA SHOUHAR THA YAA ZOUJA THI YAA HAASHIMI YAA HAASHIMI KA GULAM THA YAA ZIMMEE THA JAB BHI ADAA HO GAYI*
*AUR AGAR YAH MALOOM HUA KI ISKA GULAM THA YAA HARBEE KAAFIR THA TO ADAA N HUI,*
*AB FIR DE*
*AUR YAH BHI TAHARRI HEE KE HUKM ME HAI KI USNE SAWAL KIYA ISNE USE GANI N JAAN KAR DE DIYA WAH FAQEERO KEE JAMA'AT ME UNHI KEE WAZAA ME THA* *YAANI FAQEERO KEE TARAH LAGTA THA,*
*USE DE DIYA*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=47:*
                        *AGAR BE SOCHE SAMJHE DE DEE YAANI YAH KHYAAL BHI N AAYA KI ISE DE SAKTE HAI YAA NAHI AUR BAAD ME MALOOM HUA KI ISE NAHI DE SAKTE THE TO ADAA N HUI WARNA HO GAYI,.........*
*AUR AGAR DETE WAQT SHAK THA AUR TAHARRI N KEE YAA KEE MAGAR KISI TARAF DIL N JAMAA YAA TAHARRI KEE AUR GAALIB GUMAAN YAH HUA KI YAH ZAKAAT KA MASRAF NAHI (Zakaat lene ke laiq nahi) AUR DE DIYA TO IN SAB SOORTO ME ADAA N HUI MAGAR DENE KE BAAD YAH ZAAHIR HUA KI WAAQAI WAH MASRAFE ZAKAAT THA TO HO GAYI,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=48:*
                        *ZAKAAT WAGAIRA SADQAAT ME AFZAL YAH HAI KI AWWALAN APNE BHAIYO BAHNO KO DE FIR INKI AULAD KO FIR CHCHA AUR FUFIYO KO FIR INKI AULAD KO FIR MAAMOO AUR KHALA KO FIR INKI AULAD KO FIR ZAWEEL ARHAAM YAANI RISHTE WAALO KO FIR PADOSIYO KO FIR APNE PESHA WAALO KO FIR APNE SHAHAR YAA GAAWO KE RAHNE WAALO KO,,*
*📘Jouhra,, Aalamgiri,,*
*HADEES me hai ki NABI ﷺ ne farmaya AE UMMATE MUHAMMAD:: QASAM hai USKI JISNE MUJHE HAQ ke saath bheja ALLAH TAALA us shakhs ke sadqe ko qabool nahi farmata jiske rishtedaar uske sulook karne ke muhtaaj ho aur yah gairo ko de,*
*QASAM hai uski jiske DASTE QUDRAT me MERI jaan hai ALLAH TAALA uski taraf qiyamat ke din nazre rahmat nahi farmayega,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=49:*
                         *DOOSRE SHAHAR KO ZAKAAT BHEJNA MAKROOH HAI MAGAR JABKI WAHA ISKE RISHTE WAALE HO TO UNKE LIYE BHEJ SAKTA HAI YAA WAHA KE LOGO KO ZYADA HAAJAT HAI YAA ZYADA PARHEZ'GAAR HAI YAA MUSALMAANO KE HAQ ME WAHA BHEJNA ZYADA FAAEDA HAI YAA TAALIBE ILM KE LIYE BHEJE YAA ZAAHIDO KE LIYE YAA DAARUL HARAB ME HAI AUR ZAKAAT DAARUL ISLAM ME BHEJE YAA SAAL TAMAAM SE PAHLE HEE BHEJE IN SAB SOORTO ME DOOSRE SHAHAR KO BHEJNA BILA KARAAHAT JAIZ HAI,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=50:*
                        *SHAHAR SE MURAAD WAH SHAHAR HAI JAHA MAAL HO AGAR KHUD AEK (1) SHAHAR ME HAI AUR ISKE CHOTE BACHCHE AUR GULAM DOOSRE SHAHAR ME TO JAHA KHUD HAI WAHA KE FUQRA PAR SADQAE FITR TAQSEEM KARE,,*
*📘Jouhra,, Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=51:*
                *BAD'MAZHAB KO ZAKAAT DENA JAIZ NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,,*
*Jab bad'mazhab ka yah hukm hai to is zamaane ke wahabi ki touheene khuda w tanqeese shane risalat karte aur shae karte (Failate) hain jinko akaabir ulmae harmain tayyebain ne bil'ittifaaq kaafir w murtad farmaya agarche wah apne aap ko musalmaan kahe unhe zakaat dena haraam w sakht haraam hai aur dee to hargiz adaa n hogi,,*

*✍🏻MASLA=52:*
                        *JISKE PAAS AAJ KE KHANE KO HAI YAA TANDROOST HAI KI KAMAA SAKTA HAI USE KHANE KE LIYE SAWAAL HALAAL NAHI AUR BE MANGE KOI KHUD DE DE TO LENA JAIZ,*
*AUR KHANE KO USKE PAAS HAI MAGAR KAPDA NAHI TO KAPDE KE LIYE SAWAAL KAR SAKTA HAI,*
*YOO HEE AGAR JEHAAD YAA TALBE ILME DEEN ME MASGOOL HAI TO AGARCHE SAHI TANDROOST KAMAANE PAR QAADIR HO USE SAWAAL KEE IJAZAT HAI,....*
*JISE SAWAAL JAIZ NAHI USKE SAWAAL PAR DENA BHI NA'JAIZ DENE WAALA BHI GUNAAH GAAR HOGA,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=53:*
                   *MUSTAHAB YAH HAI KI AEK (1) SHAKHS KO ITNA DE KI US DIN USE SAWAAL KEE HAAJAT N PADE AUR YAH US FAQEER KEE HAALAT KE AETIBAAR SE MUKHTALIF HAI USKE KHANE, BAAL BACHCHO KEE KASRAT AUR DOOSRE ZAROORI KAAMO KA LIHAAZ KAR KE DE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=5, PAGE=61 se 71*

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀🍄🥀
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

Saturday, June 17, 2017

{{ SADQAE FITR KA BAYAN }}



*{{ SADQAE FITR KA BAYAN }}*


🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴

*SADQAE FITR KA BAYAN*

*✏HADEES=1:*
                           *SAHI BUKHARI W MUSLIM ME ABDULLAH IBNE UMAR RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ NE ZAKATE FITR AEK (1) SAA'A (Ikaai, Yoonit) KHURMA (Khajoor) YAA JOU GULAM W AAZAAD MARD W AURAT CHOTE AUR BADE MUSALMAAN PAR MIQARRAR KEE AUR YAH HUKM FARMAYA KI NAMAZ KO JAANE SE PAHLE ADAA KAR DE,,*

*✏HADEES=2:*
                          *ABOO DAAUD W NASAI KEE RIWAYAT ME HAI KI ABDULLAH IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA NE AAKHIR RAMZAN ME FARMAYA APNE ROZE KA SADQA ADAA KARO IS SADQE KO RASOOLULLAH ﷺ NE MAQARRAR FARMAYA AEK SAA'A KHURMA YAA JOU YA NISF (Aadha) SAA'A GEHOO,,*

*✏HADEES=3:*
                          *TIRMIZEE SHAREEF ME BA-RIWAYATE AMR IBNE SUAEB AN ABEEHE AN JADDEHEE MARWEE KI HUZOOR AQDAS ﷺ NE AEK (1) SHAKHS KO BHEJA KI MAKKA KE KOOCHO ME ELAAN KAR DE KI SADQAE FITR WAAJIB HAI,,*

*✏HADEED=4:*
                          *ABOO DAAUD W IBNE MAAJA W HAAKIM IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ NE ZAKATE FITR MUQARRAR FARMAI KI LAGW AUR BEHOODA KALAAM SE ROZE KEE TAHAARAT HO JAAE AUR MISKEENO KEE KHURISH (Khuraak wagaira) HO JAAE,,*

*✏HADEES=5:*
                          *DAILMEE W KHATEEB IBNE ASAAKIR ANAS RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWI KI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA KI BANDE KA ROZA AASMAAN W ZAMEEN ME MU'ALLAQ (Latka) RAHTA HAI JAB TAK KI SADQAE FITR ADAA N KARE,,*

*✒MASLA=1:*
                       *SADQAE FITR WAAJIB HAI UMR BHAR USKA WAQT HAI YAANI AGAR ADAA N KIYA HO TO AB ADAA KAR DE AUR N KARNE SE SAAQIT N HOGA YAANI KHATM N HOGA, N AB ADAA KARNA QAZA HAI BALKI AB BHI ADAA HEE HAI AGARCHE MASNOON (Behtar) EID KEE NAMAZ SE PAHLE ADAA KARNA HAI,,*
*📙(Durre mukhtar Wagaira,,*

*✒MASLA=2:*
                        *SADQAE FITR US SHAKHS PAR WAAJIB HAI MAAL PAR NAHI LIHAZA MAR GAYA TO USKE MAAL SE ADAA NAHI KIYA JAAEGA HAA AGAR WARSA AEHSAAN KE TOUR PAR APNI TARAF SE ADAA KARE TO HO SAKTA HAI KUCH UN PAR JABR NAHI AUR AGAR WASEEYAT KAR GAYA HAI TO TIHAI MAAL SE ZAROOR ADAA KIYA JAAEGA AGARCHE WARSA IJAZAT N DE,,*
*📙Jouhra Wagaira,,*

*✒MASLA=3:*
                       *EID KE DIN SUBHE SAADIQ TULOO HOTE HEE SADQAE FITR WAAJIB HOTA HAI LIJAZA JO SHAKHS SUBHE SAADIQ HONE SE PAHLE MAR GAYA YAA GANI THA FAQEER HO GAYA YAA SUBHE SAADIQ TULOO HONE KE BAAD KAAFIR MUSALMAAN HUA YAA BACHCHA PAIDA HUA YAA FAQEER THA GANI HO GAYA WAAJIB N HUA AUR AGAR SUBHE SAADIQ TULOO HONE KE BAAD MARAA YAA SUBHE SAADIQ TULOO HONE SE PAHLE KAAFIR MUSALMAAN HUA YAA BACHCHA PAIDA HUA YAA FAQEER THA GANI HO GAYA TO WAAJIB HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=4:*
                        *SADQAE FITR HAR MUSALMAAN AAZAAD MAALIKE NISAB PAR JISKI NISAAB HAAJTE ASLIYA SE FAARIG HO WAAJIB HAI ISME AAQIL BAALIG AUR MAALE NAAMI (Badhne waale maal) KA HONA SHART NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,,*
*Maale naami aur haajte asliya ka bayan guzar chuka iski soorat wahi se maloom kare,,*

*✒MASLA=5:*
                        *NABAALIG YAA MAJNOON (Paagal) AGAR MAALIKE NISAB HAI TO UN PAR SADQAE FITR WAAJIB HAI UNKA WALI UNKE MAAL SE ADAA KARE AGAR WALI NE ADAA N KIYA AUR NABAALIG BAALIG HO GAYA YAA MAJNOON KA JUNOON JAATA RAHA TO AB YAH KHUD ADAA KAR DE AUR AGAR YAH KHUD MAALIKE NISAB N THE AUR WALI NE ADAA N KIYA TO BAALIG HONE YAA HOSH ME AANE PAR UNKE JIMME ADAA KARNA NAHI,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=6:*
                        *SADQAE FITR ADAA KARNE KE LIYE MAAL KA BAAQI RAHNA BHI SHART NAHI MAAL HALAAK HONE KE BAAD BHI SADQAE FITR WAAJIB RAHEGA SAAQIT N HOGA JABKI ZAKAAT W USR YAH DONO MAAL HALAAK HO JANE SE SAAQIT HO JAATE HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=7:*
                        *MARD MAALIKE NISAAB PAR APNI TARAF SE AUR APNE CHOTE BACHCHE KEE TARAF SE WAAJIB HAI JABKI BACHCHA KHUD MAALIKE NISAAB N HO WARNA USKA SADQAE FITR USI KE MAAL SE ADAA KIYA JAAE AUR MAJNOON AULAD AGARCHE BAALIG HO JABKI GANI N HO TO USKA SADQAE FITR USKE BAAP PAR WAAJIB HAI AUR GANI HO TO KHUD USKE MAAL SE ADAA KIYA JAAE, JUNOON KHWAAH ASLI HO YAANI USI HAALAT ME BAALIG HUA YAA BAAD KO AARIZ HUA DONO KA AEK (1) HUKM HAI,,*
*📙 Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=8:*
                        *SADQAE FITR WAAJIB HONE KE LIYE ROZA RAKHNA SHART NAHI AGAR KISI UZR, SAFAR MARAZ YAA BUDHAPE KEE WAJAH SE YAA MAAZALLAH BILA UZR ROZA N RAKHA JAB BHI WAAJIB HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=9:*
                        *NA'BAALIG LADKI JO IS QAABIL HAI KI SHOUHAR KEE KHIDMAT KAR SAKE USKA NIKAAH KAR DIYA AUR SHOUHAR KE YAHA USE BHEJ BHI DIYA TO KISI PAR USKI TARAF SE SADQAE FITR WAAJIB NAHI N SHOUHAR PAR N BAAP PAR AUR AGAR QAABILE KHIDMAT NAHI YAA SHOUHAR KE YAHA USE BHEJA NAHI TO BA'DASTOOR BAAP PAR HAI FIR YAH SAB US WAQT HAI KI LADKI KHUD MAALIKE NISAAB N HO WARNA BAHAR'HAAL USKA SADQAE FITR USKE MAAL SE ADAA KIYA JAAE,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=10:*
                          *BAAP N HO TO DADA BAAP KEE JAGAH HAI YAANI APNE FAQEER W YATEEM POTA-POTI KEE TARAF SE US PAR SADQAE FITR DENA WAAJIB HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=11:*
                          *MAA PAR APNE CHOTE BACHCHO KEE TARAF SE SAFQAE FITR DENA WAAJIB NAHI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=12:*
                         *KHIDMAT KE GULAM W MUDAB'BAR (Mudabbar us gulam ko kahte hai jisse malik ne kaha ki mere marne ke baad too aazaad hai) W UMME WALAD (Wah loundee jisse maalik ka bachcha paida ho jaae) KEE TARAF SE UNKE MAALIK PAR SADQAE FITR WAAJIB HAI AGARCHE GULAM MADYOON (Qarzdaar) HO AGARCHE DAIN ME MUS'TAG'RAQ (Qarz me ghira hua) HO AUR AGAR GULAM GIRWEE HO AUR MAALIK KE PAAS HAAJTE ASLIYA KE SIWA ITNA HO KI DAIN ADAA KAR DE AUR FIR NISSAB KA MAALIK RAHE TO MAALIK PAR USKI TARAF SE BHI SADQAE FITR WAAJIB HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=13:*
                        *TIZARAT KE GULAM KA FITRA MAALIK PAR WAAJIB NAHI AGARCHE USKI QERMAT BA-QADRE NISAAB N HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=14:*
                          *GULAM AAR'YATAN DE DIYA YAANI KAAM-KAAJ KARNE KE LIYE MANGNEE KE TOUR PAR DE DIYA YAA KISI KE PAAS AMAANAT KE TOUR PAR RAKHA TO MAALIK PAR FITRA WAAJIB HAI AUR AGAR YAH WASEEYAT KAR GAYA KI YAH GULAM FULAA KA KAAM KARE AUR MERE BAAD USKA MAALIK FULAA HAI TO FITRA MAALIK PAR HAI US PAR NAHI JISKE QABZE ME HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=15:*
                          *BHAGA HUA GULAM AUR WAH JISE HARBEE KAAFIRO NE QAID KAR LIYA UNKI TARAF SE SADQAE FITR MAALIK PAR NAHI YOO HEE AGAR KISI NE GASAB KAR LIYA AUR GAASIB INKAAR KARTA HAI AUR USKE PAAS GAWAAH NAHI TO USKA FITRA WAAJIB NAHI MAGAR JABKI WAAPAS MIL JAYE TO AB UNKI TARAF SE PICHLE SAAL KA FITRA DE HARBEE KAAFIR AGAR GULAM KE MAALIK HO GAE TO WAAPSI KE BAAD BHI USKA FITRA NAHI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=16:*
                         *MUKAATIB (Mukaatib us gulam ko kahte hai jisse maalik ne yah kaha ho ki itna rupya de do to aazaad ho jaaoge) KA FITRA N MUKAATIB PAR HAI N USKE MAALIK PAR, YOO HEE MUKAATIB AUR MAAZOON KE GULAM KA MUKAATIB AGAR BADLE KITABAT ADAA KARNE SE AAJIZ AAYA TO MAALIK PAR GUZRE HUE SAAL KA FITRA NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=17:*
                         *DO (2) SHAKHSO ME GULAM MUSH'TARAK HAI YAANI DO (2) PARTNER KA HAI TO USKA FITRA KISI PAR NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*📙MASLA=18:*
                          *GULAM BECH DAALA AUR BAAE (Bechne wale) YAA MUSHTARI (Kharidaar) YAA DONO NE WAAPSI KA IKHTIYAAR RAKHA, EIDUL FITR AA GAI AUR IKHTIYAAR KEE MEE'AAD KHATM N HUI TO USKA FITRA MOUKOOF HAI AGAR BAI'A (Souda) QAAIM RAHI TO MASHTARI DE WARNA BAAE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=19:*
                          *AGAR KHARIDAAR NE KHIYAARE AEB YAA KHIYAARE ROOYAT KE SABAB WAAPAS KIYA TO AGAR QABZA KAR LIYA THA TO KHARIDAAR PAR HAI WARNA BECHNE WAALE PAR,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=20:*
                        *GULAM KO BECHA MAGAR WAH BAI'A FAASID HUI AUR KHARIDAAR NE QABZA KARKE WAAPAS KAR DIYA YAA EID KE BAAD QABZA KARKE AAZAAD KAR DIYA TO BECHNE WAALE PAR HAI AUR AGAR EID SE PAHLE QABZA KIYA AUR EID KE BAAD AAZAAD KIYA TO MUSHTARI PAR,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=21:*
                         *MAALIK NE GULAM SE KAHA JAB EID KA DIN AAE TOO AAZAAD HAI EID KE DIN GULAM AAZAAD HO JAEGA AUR MAALIK PAR USKA FITRA WAAJIB,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=22:*
                         *APNI AURAT AUR AULAD AAQIL BAALIG KA FITRA USKE JIMME NAHI AGARCHE APAAHIJ HO AGARCHE USKE NAFQAAT USKE JIMME HO,,*
*📙Durre mukhtar Wagaira,,*

*✒MASLA=23:*
                         *AURAT YAA BAALIG AULAD KA FITRA UNKE BAGAIR IZN (Ijazat) ADAA KAR DIYA TO ADAA HO GAYA BASHARTE KEE AULAD USKE IYAAL ME HO YAANI USKA NAFQA WAGAIRA USKE JIMME HO WARNA AULAD KEE TARAF SE BILA IZM ADAA N HOGA AUR AURAT NE AGAR SHOUHAR KA FITRA BAGAIR HUKM ADAA KAR DIYA ADAA N HUA,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagairhuma,,*

*✒MASLA=24:*
                         *MAA BAAP DADA DADI NA'BAALIG BHAI AUR DOOSRE RISHTE'DAARO KA FITRA ISKE ZIMME NAHI AUR BAGAIR HUKM ADAA BHI NAHI KAR SAKTA,,*
*📙Aalamgiri,, Jouhra,,*

*✒MASLA=25:*
                         *SADQAE FITR KEE MIQDAAR YAH HAI::--*
*GEHOO YAA USKA AATA YAA SATTU NISF SAA'A KHAJOOR YAA MUNAQQA YAA JOU YAA USKA AATA YAA SATTU AEK (1) SAA'A,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=26:*
                          *GEHOO, JOU, KHAJOORE, MUNAQQA DIE JAYE TO UNKI KEEMAT KA AETIBAAR NAHI MASLAN NISF SAA'A UMDA JOU JINKI KEEMAT AEK (1) SAA'A JOU KE BARABAR HAI YAA CHAHAROOM SAA'A KHARE GEHOO JO KEEMAT ME AADHE SAA'A GEHOO KE BARABAR HAI YAA NISF SAA'A KHAJOORE DEE JO AEK (1) SAA'A JOU YAA NISF SAA'A GEHOO KEE QEEMAT KEE HO YAH SAB NA'JAIZ HAI JITNA DIYA UTNA HEE ADAA HUA BAAQI USKE ZIMME BAAQI HAI ADAA KARE,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=27:*
                          *NISF SAA'A JOU AUR CHAHAROOM GEHOO DIE YAA NISF SAA'A JOU AUR NISF SAA'A KHAJOOR TO BHI JAIZ HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=28:*
                          *GEHOO AUR JOU MILE HUE HO AUR GEHOO ZYADA HAI TO NISF SAA'A DE WARNA AEK (1) SAA'A,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=29:*
                          *GEHOO AUR JOU KE DENE SE UNKA AATA DENA AFZAL HAI AUR USSE AFZAL YAH HAI KI QEEMAT DE DE KHWAAH GEHOO KEE QEEMAT DE YAA JOU KEE YAA KHAJOOR KEE MAGAR GIRAANI (Mahgaai) ME KHUD UNKA DENA QEEMAT DENE SE AFZAL HAI AUR AGAR KHARAAB GEHOO YAA JOU KEE QEEMAT DEE TO ACHCHE KEE QEEMAT SE JO KAMI PARE POORI KARE,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=30:*
                         *IN CHAAR (4) CHEEZO KE ALAWA AGAR DOOSRI CHEEZO SE FITRA ADAA KARNA CHAHE MASLAN CHAAWAL, JWAAR, BAAJRA, YAA AUR KOI GALLA YAA AUR KOI CHEEZ DENA CHAHE TO QEEMAT KA LIHAAZ KARNA HOGA YAANI WAH CHEEZ AADHE SAA'A GEHOO YAA AEK (1) SAA'A JOU KEE QEEMAT KEE HO YAHA TAK KI ROTI DE TO USME BHI QEEMAT KA LIHAAZ KIYA JAAEGA AGARCHE GEHOO YAA JOU KEE HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri Wagairhuma,,*

*✒MASLA=31:*
                           *AALA DARJE KEE TAHQEEQ AUR AEHTIYAAT YAH HAI KI SAA'A KA WAZAN 351 RS. BHAR HAI AUR NISF SAA'A 175 RS. AUR ATHANNI BHAR UPAR,,*
*📙Fatawa Razviya,,*
*NOTE= Aaj ke wazan ke hisab se aek saa'a 2 kilo 45 gram gehoo, yaa 4 kilo 90 gram jou hai,,*

*✒MASLA=32:*
                          *FITRE KA MUQADDAM KARNA (Yaani waajib hone se pahle advance me de dena) MUTLAQAN JAIZ HAI JABKI WAH SHAKHS MOUJOOD HO JISKI TARAF SE ADAA KARTA HO AGARCHE RAMZAN SE PAHLE ADAA KAR DE AUR AGAR FITRA ADAA KARTE WAQT MAALIKE NISAAB N THA FIR HO GAYA TO FITRA SAHI HAI  AUR BEHTAR YAH HAI KI EID KEE SUBHE SAADIK HONE BAAD AUR EIDGAAH JAANE SE PAHLE ADAA KAR DE,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=33:*
                         *AEK (1) SHAKHS KA FITRA AEK (1) MISKEEN KO DENA BEHTAR HAI AUR CHAND MISKEENO KO DE DIYA JAB BHI JAIZ HAI YOO HEE AEK (1) MISKEEN KO CHAND SHAKHSO KA FITRA DENA BHI BILA'KHILAF JAIZ HAI AGARCHE SAB FITRE MILE HUE HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=34:*
                         *SHOUHAR NE AURAT KO APNA FITRA ADAA KARNE KA HUKM DIYA USNE SHOUHAR KE FITRE KE GEHOO APNE FITRE KE GEHOO ME MILA KAR FAQEER KO DE DIE AUR SHOUHAR NE MILANE KA HUKM N DIYA THA TO AURAT KA FITRA ADAA HO GAYA SHOUHAR KA NAHI MAGAR JABKI MILA DENE PAR URF JAARI HO YAANI AESA HOTA RAHTA HAI TO SHOUHAR KA BHI ADAA HO JAAEGA,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=35:*
                         *AURAT NE SHOUHAR KO APNA FITRA ADAA KARNE KA IZN (Ijazat) DIYA USNE AURAT KA GEHOO APNE GEHOO ME MILAKAR SAB KEE NIYAT SE FAQEER KO DE DIE JAIZ HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=36:*
                          *SADQAE FITR KE MASAARIF (Kharch karne ke qaabil) WAHI HAI JO ZAKAAT KE HAI YAANI JINKO ZAKAAT DE SAKTE HAI UNHE FITRA BHI DE SAKTE HAI AUR JINHE ZAKAAT NAHI DE SAKTE UNHE FITRA BHI NAHI SIWA AAMIL (Jo zakaat lene ke liye baadshah kee taraf se muqarrar kiya jaae) KE KI USKE LIE ZAKAAT HAI FITRA NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=37:*
                          *APNE GULAM KEE AURAT KO FITRA DE SAKTE HAI AGARCHE USKA NAFQA USI PAR HO,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=5, PAGE=72 se 77*

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

Thursday, June 15, 2017

{{ AETIKAAF KA BAYAN }}


*{{ AETIKAAF KA BAYAN }}*


🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵

*AETIKAAF KA BAYAN*

*ALLAH TAALA NE IRSHAD FARMAYA HAI::*

*TARJIMA::--*
                  *AURTO SE MUBA'SHARAT N KARO JABKI TUM MASJID ME AETIKAAF KIYE HUE HO,,*

*✏HADEES=1:*
                    *SAHEEHAIN ME UMMUL MOMINEEN SIDDEEQA RADIYALLAHU TAALA ANHA SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ RAMZAN KE AAKHIR ASHRA (Yaani ramzan ke aakhiri das 10 din) KA AETIKAAF FARMAYA KARTE THE,,*

*✏HADEES=2:*
                      *ABOO DAUD UNHI SE RAAWEE KAHTI HAI MOTKIF PAR SUNNAT (Yani hadees se saabit) YAH HAI KI N MAREEZ KE IYAADAT KO JAYE N JANAZA ME HAAZIR HO N AURAT KO HAATH LAGAYE AUR N USSE MUBA'SHARAT KARE AUR N KISI HAAJAT KE LIYE JAYE MAGAR US HAAJAT KE LIYE JAA SAKTA HAI JO ZAROORI HAI AUR AETIKAAF BAGAIR ROZA KE NAHI AUR AETIKAAF JAMA'AT WALI MASJID ME KARE,,*

*✏HADEES=3:*
                  *IBNE MAAJA IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWI KI RASOOLULLAH ﷺ NE MOTKIF KE BAARE ME FARMAYA WAH GUNAHO SE BAAHAR RAHTA HAI AUR NEKIYO SE USE IS QADR SAWAB MILTA HAI JAISE USNE TAMAAM NEKIYA KEE,,*

*✏HADEES=4:*
                      *BAIHQEE IMAM HUSAIN RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWI KI HUZOOR AQDAS ﷺ NE FARMAYA JISNE RAMZAN ME DAS (10) DINO KA AETIKAAF KAR LIYA TO AESA HAI JAISE DO (2) HAJ AUR DO (2) UMRE KIYE,,*

*✒MASLA=1:*
                         *MASJID ME ALLAH KE LIYE NIYAT KE SAATH THAHARNA AETIKAAF HAI AUR ISKE LIYE MUSALMAN AAQIL AUR JANAABAT W HAIZ W NIFAAS SE PAAK HONA SHART HAI,*
*BULOOG SHART NAHI BALKI NA'BAALIG JO TAMEEZ RAKHTA HAI AGAR B-NIYTE AETIKAAF MASJID ME THAHRE TO YAH AETIKAAF SAHI HAI*
*AAZAAD HONA BHI SHART NAHI LIHAZA GULAM BHI AETIKAAF KAR SAKTA HAI MAGAR USE MOULA SE IJAZAT LENI HOGI AUR MOULA KO BAHAR'HAAL MANAA KARNE KA HAQ HAASIL HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=2:*
                      *JAAME MASJID HONA AETIKAAF KE LIYE SHART NAHI BALKI MASJIDE JAMA'AT ME BHI HO SAKTA HAI,*
*MASJIDE JAMA'AT WAH HAI JISME IMAAM W MU'AZZIN MUQARRAR HO AGARCHE USME PANJ'GAANA NAMAZ N HOTI HO AUR AASAANI ISME HAI KI MUTLAQAN HAR MASJID ME AETIKAAF SAHI HAI AGARCHE WAH MASJIDE JAMA'AT N HO KHUSUSAN IS ZAMANE ME KI BAHUTERI MASJIDE AESI HAI JINME N IMAAM HAI N MU'AZZIN,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=3:*
                        *SABSE AFZAL MASJIDE HARAM SHAREEF ME AETIKAAF HAI,*
*FIR MASJIDE NABWEE SHAREEF ME ALAA SAAHI'BIHIS'SALATU WAT'TAS'LEEM,*
*FIR MASJID AQSA ME,*
*FIR USME JAHA BADI JAMA'AT HOTI HO,,*
*📙Jouhra,,*

*✒MASLA=4:*
                        *AURAT KO MASJID ME AETIKAAF MAKROOH HAI BALKI WAH GHAR ME HEE AETIKAAF KARE MAGAR US JAGAH KARE JO USNE NAMAZ PADHNE KE LIE MUQARRAR KAR RAKHI HAI JISE MASJIDE BAIT KAHTE HAI AUR AURAT KE LIE MUSTAHAB BHI HAI KI GHAR ME NAMAZ PADHNE KE LIYE KOI JAGAH MUQARRAR KAR LE AUR CHAHIYE KI US JAGAH KO PAAK SAAF RAKHE AUR BEHTAR YAH KI US JAGAH KO CHABUTRA WAGAIRA KEE TARAH BALAND KAR LE BALKI MARD KO BHI CHAHIE KI NAWAAFIL KE LIE GHAR ME KOI JAGAH MUQARRAR KAR LE KI NAFL NAMAZ GHAR ME PADHNA AFZAL HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=5:*
                        *AGAR AURAT NE NAMAZ KE LIE KOI JAGAH MUQARRAR NAHI KAR RAKHI HAI TO GHAR ME AETIKAAF NAHI KAR SAKTI ALBATTA AGAR US WAQT YAANI JABKI AETIKAAF KA IRADA KIYA KISI JAGAH KO NAMAZ KE LIE KHAAS KAR LIYA TO US JAGAH AETIKAAF KAR SAKTI HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=6:*
                        *KHUNSA (Hijra) MASJIDE BAIT ME AETIKAAF NAHI KAR SAKTA,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=7:*
                      *AETIKAAF TEEN (3) QISM HAI,,*
*1::-- WAAJIB-- KI AETIKAAF KEE MANNAT MAANI YAANI ZABAAN SE KAHA MAHAZ DIL ME IRADE SE WAAJIB N HOGA,,*
*2::-- SUNNATE MU'AKKADA-- KI RAMZAN KE POORE ASHRAE AKHEERA YAANI AAKHIR KE DAS (10) DIN ME AETIKAAF KIYA JAAYE YAANI BEESWEE (20-wee) RAMZAN KO SOORAJ DOOBTE WAQT B-NIYTE AETIKAAF MASJID ME HO AUR TEESWEE (30-wee) KE GUROOB KE BAAD YAA UNTEES (29) KO CHAND HONE KE BAAD NIKLE,*
*AGAR BEESWEE (20-wee) TAREEKH KO BAADE NAMAZE MAGRIB NIYTE AETIKAAF KEE TO SUNNATE MU'AKKADA ADAA N HUI AUR YAH AETIKAAF SUNNATE KIFAYA HAI KI AGAR SAB TARK KARE TO SABSE MUTAALBA HOGA AUR SHAHAR ME AEK (1) NE KAR LIYA TO SAB BAREE'UZ'ZIMMA,,*
*3::-- IN DONO KE ALAWA AUR JO AETIKAAF KIYA JAAYE WAH MUSTAHAB W SUNNATE GAIR MU'AKKADA HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=8:*
                      *AETIKAAFE MUSTAHAB KE LIE N ROZA SHART HAI N USKE LIE KOI KHAAS WAQT MUQARRAR BALKI JAB MASJID ME AETIKAAF KEE NIYAT KEE JAB TAK MASJID ME HAI MOTKIF HAI,* *CHALA AAYA AETIKAAF KHATM HO GAYA,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*
*NOTE::--- JAB BHI MASJID ME JAAE AETIKAAF KEE NIYAT KAR LE, NIYAT KARTE WAQT YAH KAHE,*
*""Nwaitu sunnatal aetikaaf""......*
*AUR USKE BAAD THODI DER KUCH IBADAT BHI ZAROOR KARE AUR ISKE BAAD JITNI DER MASJID ME RAHEGA UTNI DER IBADAT KA SAWAB PAAEGA,,*
                    *Bagair mehnat ke sawab mil raha hai ki faqat niyat kar lene se aetikaaf ka sawab milta hai, Ise to n khona chahie masjid me agar darwaze par yah ibarat likh dee jaye ki aetikaaf kee niyat kar lo aetikaaf ka sawab paoge to behtar hai ki jo is se na'waqif hain unhe malum ho jaega aur jo jante hai unke lie yaad'dehaani ho,,*

*✒MASLA=9:*
                      *AETIKAAFE SUNNAT YAANI RAMZAN KEE PICHLI DAS (10) TAREEKHO ME JO KIYA JATA HAI USME ROZA SHART HAI, LIHAZA AGAR KISI MAREEZ YAA MUSAFIR NE AETIKAAF TO KIYA MAGAR ROZA N RAKHA TO SUNNAT ADAA N HUI BALKI NAFL HUA,,*
*📙Raddul mohtar,,*

*✒MASLA=10:*
                     .    *MANNAT KE AETIKAAF ME BHI ROZA SHART HAI YAHA TAK KI AGAR AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI AUR YAH KAHA KI ROZA N RAKHEGA JAB BHI ROZA RAKHNA WAAJIB HAI AUR AGAR RAAT KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH MANNAT SAHI NAHI KI RAAT ME ROZA NAHI HO SAKTA*
*AUR AGAR YOO KAHA KI AEK (1) DIN RAAT KA MUJH PAR AETIKAAF HAI TO YAH MANNAT SAHI HAI*
*AUR AGAR AAJ KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI AUR KHANA KHAA CHUKA HAI TO MANNAT SAHI NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*
*Yoo hee agar zahwae kubra ke baad mannat maani aur roza n tha to yah mannat sahi nahi ki ab roze kee niyat nahi kar sakta balki agar roze kee niyat kar sakta ho maslan zahwae kubra se qabl (Pahle) jab bhi mannat sahi nahi ki yah roza nafl hoga aur is aetikaaf me roza waajib darkaar,,*

*✒MASLA=11:*
                          *YAH ZAROORI NAHI KI KHAAS AETIKAAF HEE KE LIE ROZA HO BALKI ROZA HONA ZAROORI HAI AGARCHE AETIKAAF KEE NIYAT SE N HO MASLAN IS RAMZAN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO WAHI RAMZAN KE ROZE IS AETIKAAF KE LIE KAAFI HAI AUR AGAR RAMZAN KE ROZE TO RAKHE MAGAR AETIKAAF N KIYA TO AB AEK (1) MAAH KE ROZE RAKHE AUR ISKE SAATH AETIKAAF KARE AUR AGAR YOO N KIYA YAANI ROZE RAKHKAR AETIKAAF N KIYA AUR DOOSRA RAMZAN AA GAYA TO IS RAMZAN KE ROZE US AETIKAAF KE LIE KAAFI NAHI,*
*YOO HEE AGAR KISI AUR WAAJIB KE ROZE RAKHE TO YAH AETIKAAF UN ROZO KE SAATH BHI ADAA NAHI HO SAKTA BALKI AB USKE LIE KHAAS AETIKAAF KEE NIYAT SE ROZE RAKHNA ZAROORI HAI*
*AUR AGAR US ROORAT ME KI RAMZAN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI THI N ROZE RAKHE N AETIKAAF KIYA AB UN ROZO KEE QAZA RAKH RAHA HAI TO IN QAZA ROZO KE SAATH WAH AETIKAAF KEE MANNAT BHI POORI KAR SAKTA HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=12:*
                          *NAFLI ROZA RAKHTA THA AUR US DIN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH MANNAT SAHI NAHI KI AETIKAAFE WAAJIB KE LIYE NAFLI ROZA KAAFI NAHI AUR YAH ROZA WAAJIB HO NAHI SAKTA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=13:*
                          *AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH IS RAMZAN ME POORI NAHI KAR SAKTA BALKI KHAAS IS AETIKAAF KE LIE ROZE RAKHNE HONGE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=14:*
                          *AURAT NE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO SHOUHAR MANNAT POORI KARNE SE ROK SAKTA HAI AUR AB BAAIN HONE YAA SHOUHAR KEE MOUT KE BAAD MANNAT POORI KARE,*
*YOO HEE LOUNDEE, GULAM KO UNKA MAALIK MANAA KAR SAKTA HAI YAH AAZAAD HONE KE BAAD POORI KARE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=15:*
                          *SHOUHAR NE AURAT KO AETIKAAF KEE IJAZAT DE DEE AB ROKNA CHAHE TO NAHI ROK SAKTA AUR MOULA NE BAANDEE KO IJAZAT DE DEE JAB BHI ROK SAKTA HAI AGARCHE AB ROKEGA TO GUNAH'GAAR HOGA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=16:*
                          *SHOUHAR NE AEK (1) MEHEENE KE AETIKAAF KEE IJAZAT DEE AUR AURAT LAGATAAR POORE MAHEENE KA AETIKAAF KARNA CHAHTI HAI TO SHOUHAR KO IKHTIYAAR HAI KI YAH HUKM DE KI THODE THODE KARKE AEK (1) MAHEENA POORA KARE AUR AGAR KISI KHAAS MAHEENE KEE IJAZAT DEE HAI TO AB IKHTIYAAR N RAHA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=17:*
                    *AETIKAAFE WAAJIB ME MOTKIF KO MASJID SE BAGAIR UZR NIKALNA HARAM HAI AGAR NIKLA TO AETIKAAF JAATA RAHA AGARCHE BHOOL KAR NIKLA HO,*
*YOO HEE AETIKAAFE SUNNAT BHI BAGAIR UZR NIKALNE SE JAATA RAHTA HAI,*
*YOO HEE AURAT NE MASJIDE BAIT (Ghar me banai gai wah jagah jo aurat namaz ke liye bana le) ME AETIKAAFE WAAJIB YAA MASNOON KIYA TO BAGAIR UZR WAHA SE NAHI NIKAL SAKTI AGAR WAHA SE NIKLI AGARCHE GHAR HEE ME RAHI AETIKAAF JAATA RAHA,,*
*📙Aalamgiri,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=18:*
                          *MOTKIF KE MASJID SE NIKALNE KE DO (2) UZR HAI,*
*AEK (1) HAAJTE TABAI KI MASJID ME POORI N HO SAKE JAISE PAKHANA, PESHAB, ISTINJA, WUJOO, AUR GUSL KEE ZAROORAT HO TO GUSL,*
*MAGAR GUSL W WUJOO ME SHART HAI KI MASJID ME N HO SAKE YAANI KOI AESI CHEEZ N HO JISME WUJOO W GUSL KA PAANI LE SAKE IS TARAH KI MAAJID ME PAANI KEE KOI BOOND N GIRE KI WUJOO W GUSL KA PAANI MASJID ME GIRANA NA'JAIZ HAI*
*AUR LAGAN WAGAIRA MOUJOOD HO KI USME WUJOO IS TARAH KAR SAKTA HAI KI KOI CHEET MASJID ME N GIRE TO WUJOO KE LIE MASJID SE NIKALNA JAIZ NAHI NIKLEGA TO AETIKAAF JAATA RAHEGA,*
*YOO HEE AGAR MASJID ME WUJOO W GUSL KE LIYE JAGAH BANI HO YAA HOUZ HO TO BAAHAR JAANE KEE AB IJAZAT NAHI,*
*DOOSRA UZR HAAJTE SHARAI MASLAN EID YAA JUMA KE LIYE JAANA YAA AZAAN KAHNE KE LIYE MEENAAR PAR JAANA JABKI MEENAAR PAR JAANE KE LIYE BAAHAR HEE SE RASTA HO AUR AGAR MEENAAR KA RASTA ANDAR SE HAI TO MU'AZZIN HEE NAHI GAIR MU'AZZIN BHI MEENAAR PAR JAA SAKTA HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=19:*
                        *QAZAE HAAJAT YAANI PESHAB PAKHANA KO GAYA TO TAHAARAT KARKE FIURAN CHALA AAYE THAHARNE KEE IJAZAT NAHI AUR AGAR MOTKIF KA MAKAAN MASJID SE DOOR HAI AUR USKE DOST KA MAKAAN QAREEB TO YAH ZAROORI NAHI KI DOST KE YAHA QAZAE HAAJAT KO JAYE BALKI APNE MAKAAN PAR BHI JAA SAKTA HAI*
*AUR AGAR USKE KHUD DO (2) MAKAAN HAI AEK (1) NAZDEEK DOOSRA DOOR TO NAZDEEK WALE MAKAN ME JAYE BAAZ MASHAIKH FARMATE HAI DOOR WALE ME JAYEGA TO AETIKAAF FAASID HO JAYEGA,,*

*✒MASLA=20:*
                          *JUMA AGAR KEREEB KEE MASJID ME HOTA HAI TO AAFTAAB DHALNE KE BAAD US WAQT JAAYE KE AZAANE SAANI (Juma ke kuhtbe se pahle hone wali azaan) SE PAHLE SUNNAT PADH LE AUR AGAR DOOR HO TO AAFTAAB DHALNE SE PAHLE BHI JAA SAKTA HAI MAGAR IS ANDAAZ SE JAAYE KI AZAANE SAANI KE PAHLE SUNNATE PADH SAKE ZYADA PAHLE N JAAYE AUR YAH BAAT USKI RAAY PAR HAI JAB USKI SAMAJH ME AA JAYE KI PAHUCHNE KE BAAD SIRF SUNNATO KA WAQT RAHEGA CHALA JAYE AUR FARZE JUMA KE BAAD CHAAR (4) YAA CHAH (6) RAK'ATE SUNNATO KEE PADHKAR CHALA AAYE AUR ZOHRE AEHTIYATI (Jaha jume kee namaz hone me shak ho waha zohre aehtiyati khaas log padhte hai aur unhi ke liye hai bhi) PADHNI HAI TO AETIKAAF WAALI MASJID ME AAKAR PADHE AUR AGAR PICHLI SUNNATO KE BAAD WAAPAS N AAYA YAA WAHI JAAME MASJID ME THAHRA RAHA AGARCHE AEK (1) DIN RAAT WAHI RAH GAYA YAA APNA AETIKAAF WAHI POORA KIYA TO BHI WAH AETIKAAF FAASID N HUA MAGAR YAH MAKROOH HAI AUR YAH SAB US SOORAT ME HAI KI JIS MASJID ME AETIKAAF KIYA WAHA JUMA N HOTA HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=21:*
                          *AGAR AESI MASJID ME AETIKAAF KIYA JAHA JAMA'AT NAHI HOTI TO JAMA'AT KE LIYE NIKALNE KEE IJAZAT HAI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=22:*
                        *AETIKAAF KE ZAMANE ME HAJ YAA UMRA KA AEHRAAM BAANDHA TO AETIKAAF POORA KARKE JAAE AUR AGAR WAQT KAM HAI KI AETIKAAF POORA KAREGA TO HAJ JAATA RAHEGA TO HAJ KO CHALA JAAYE FIR SIRE SE AETIKAAF KARE,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=23:*
                          *AGAR WAH MASJID GIR GAYI YAA KISI NE MAJBOOR KARKE WAHA SE NIKAAL DIYA AUR FOURAN DOOSRI MASJID ME CHALA GAYA TO AETIKAAF FAASID N HUA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=24:*
                          *AGAR DOOBNE YAA JALNE WALE KE LIE MASJID SE BAAHAR GAYA YAA GAWAAHI DENE KE LIYE GAYA YAA JIHAAD ME SAB LOGO KA BULAAWA HUA AUR YAH BHI NIKLA YAA MEREEZ KEE IYAADAT YAA NAMAZE JANAZA KE LIE GAYA AGARCHE KOI DOOSRA PADHNE WAALA N HO TO IN SAB SOORTO ME AETIKAAF FAASID HO GAYA,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=25:*
                          *AURAT MASJID ME MOTKIF THI USE TALAAQ DEE GAYI TO GHAR CHALI JAAE AUR USI AETIKAAF KO POORA KAR LE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=26:*
                          *AGAR MANNAT MAANTE WAQT YAH SHART KAR LEE KI MAREEZ KEE IYAADAT AUR NAMAZE JANAZA AUR MAJLISE ILM ME HAAZIR HOGA TO YAH SHART JAIZ HAI AGAR IN KAAMO KE LIE JAAYE TO AETIKAAF FAASID N HOGA MAGAR KHALI DIL ME NIYAT KAR LENA KAAFI NAHI BALKI ZABAAN SE KAH LENA ZAROORI HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Raddul muhtar Wagairhuma,,*

*✒MASLA=27:*
                        *PAKHANA, PESHAB KE LIE GAYA THA QARZ'KHWAA NE ROK LIYA AETIKAAF FAASID HO GAYA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=28:*
                          *MOTKIF KO WTEE YAANI JIMA KARNA AUR AURAT KA BOSA LENA YAA CHOONA YAA GALE LAGANA HARAAM HAI,* *JIMA SE BAHAR'HAAL AETIKAAF FAASID HO JAYEGA INZAAL HO YAA N HO, QASDAN HO YAA BHOOLE SE, MASJID ME HO YAA BAAHAR, RAAT ME HO YAA DIN ME,*
*JIMA KE ALAWA AOURO ME AGAR INZAAL HO TO FAASID WARNA NAHI,*
*AETILAAM HO GAYA YAA KHAYAALE JIMA SE YAA NAZAR KARNE SE INZAAL HUA TO AETIKAAF FAASID N HUA,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=29:*
                          *MOTKIF NE DIN ME BHOOL KAR KHAA LIYA TO AETIKAAF FAASID N HUA GAALI GALOUCH YAA JHAGDA KARNE SE AETIKAAF FAASID NAHI HOTA MAGAR BE-NOOR W BE-BARKAT HOTA HAI,,*
*📙 Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=30:*
                          *MOTKIF NIKAAH KAR SAKTA HAI AUR AURAT KO RAJAI TALAAQ DEE HAI TO RAJ'AT BHI KAR SAKTA HAI MAGAR IN UMOOR (Kaamo) KI LIE MASJID SE BAAHAR HOGA TO AETIKAAF JAATA RAHEGA,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*
*Magar jima aur bosa wagaira se usko raj'at haraam hai agarche raj'at ho jayegi,,*

*✒MASLA=31:*
                          *MOTKIF NE HARAAM MAAL YAA NASHE KEE CHEEZ RAAT ME KHAI TO AETIKAAF FAASID N HUA,,*
*📙Aalamgiri,,*
*Magar is haram ka gunah hua touba kare,,*

*✒MASLA=32:*
                          *BEHOSHI AUR JUNUN TAWEEL (Zyada) HO KI ROZA N HO SAKE TO AETIKAAF JAATA RAHA AUR QAZA WAAJIB HAI AGARCHE KAI SAAL KE BAAD SEHAT HO AUR AGAR MAATUWWA YAANI BUHRA (Yaani bahut zyada bewqoof jo ajeeb ajeeb baate kare) HO GAYA JAB BHI ACHCHE HONE KE BAAD QAZA WAAJIB HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=33:*
                          *MOTKIF MASJID ME HEE KHAYE, PIYE AUR SOYE IN KAAMO KE LIYE MASJID SE BAAHAR HOGA TO AETIKAAF JAATA RAHEGA,,*
*📙Durre mukhtar Wagaira,,*
*Magar khane, peene me yah aetiyaat laazim hai ki masjid aalooda n ho yaani masjid me khana paani n giraye,,*

*✒MASLA=34:*
                          *MOTKIF KE SIWA AUR KISI KO MASJID ME KHANE, PEENE SONE KEE IJAZAT NAHI AUR AGAR YAH KAAM KARNA CHAHE TO AETIKAAF KEE NIYAT KARKE MASJID ME JAAYE AUR NAMAZ PADHE YAA ZIKRE ILAAHI KARE FIR YAH KAAM KAR SAKTA HAI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=35:*
                           *MOTKIF KO APNI YAA BAAL BACHCHO KEE ZAROORAT SE MASJID ME KOI CHEEZ KHAREEDNA YAA BECHNA JAIZ HAI BA-SHARTE KI WAH CHEEZ MASJID ME N HO YAA HO TO THODI HO KI JAGAH N GHERE AUR AGAR KHAREED FAROKHT TIJAARAT KE IRADE SE HO TO NA'JAIZ HAI AGARCHE WAH CHEEZ MASJID ME N HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=36:*
                          *MOTFIK AGAR BA-NIYTE IBADAT SUKOOT KARE YAANI CHUP RAHNE KO SAWAB KEE BAAT SAMJHE TO MAKROOHE TAHREEMI HAI AUR AGAR CHUP RAHNA SAWAAB KEE BAAT SAMAJHKAR N HO TO HARAJ NAHI AUR BURI BAAT SE CHUP RAHA TO YAH MAKROOH NAHI BALKI YAH TO AALA DARJE KEE CHEEZ HAI KYO KI BURI BAAT ZABAAN SE N NIKAALNA WAAJIB HAI AUR JIS BAAT ME N SAWAAB HO N GUNAAH YAANI MUBAAH BAAT BHI MOTKIF KO MAKROOH HAI MAGAR BA-WAQTE ZAROORAT, AUR BE-ZAROORAT MASJID ME MUBAAH KALAAM (Mubaah kalaam wah guftagu jiske karne se n gunaah ho n sawaab) NEKIYO KO AESE KHATA HAI JAISE AAG LAKDI KO,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=37:*
                           *MOTKIF N CHUP RAHE N KALAAM KARE YAH KARE QUR'AAN MAJEED KEE TILAAWAT, HADEES SHAREEF KEE QIRAAT, AUR DUROOD SHAREEF KEE KASRAT, ILME DEEN KA DARS W TADREES (Padhna-Padhana), NABI KAREEM ﷺ W DIGAR AMBIYA ALAIHIMUSSALATU WASALLAM KE SEERAT W ZIKR AUR AULIYA W SAALEHEEN KEE HIKAAYAT AUR UMOORE DEEN KEE KITAABAT (Deen kee baato kee likhai),,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=38:*
                          *AEK (1) DIN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO USME RAAT DAAKHIL NAHI TULOOE FAZR SE PAHLE MASJID ME CHALA JAAYE AUR GUROOB KE BAAD CHALA AAYE AUR AGAR 2 DIN YAA 3 DIN YAA ZYADA DINO KEE MANNAT MAANI YAA 2 YAA 3 YAA ZYADA RAATO KEE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO IN DONO SOORTO ME AGAR SIRF DIN YAA SIRF RAATE MUTAAD LE TO NIYAT SAHI HAI,,*
*LIHAZA PAHLI SOORAT ME MANNAT SAHI AUR SIRF DINO ME AETIKAAF WAAJIB HUA AUR IS SOORAT ME IKHTIYAAR HAI KI UTNE DINO KA LAGATAAR AETIKAAF KARE YAA MUT'FARRIQ TOUR PAR,,*
*AUR DOOSRI SOORAT ME MANNAT SAHI NAHI KI AETIKAAF KE LIYE ROZA SHART HAI AUR RAAT ME ROZA HO NAHI SAKTA AUR AGAR DONO SOORTO ME DIN AUR RAAT DONO MURAAD HAI YAA KUCH NIYAT N KEE TO DONO SOORTO ME DIN AUR RAAT DONO KA AETIKAAF WAAJIB HAI AUR ALAL'ITTISAAL (Lagataar) UTNE DINO KA AETIKAAF ZAROORI HAI TAFREEQ NAHI KAR SAKTA YAANI DIN CHOR CHOR KAR NAHI KAR SAKTA,,*
*NEEZ IS SOORAT ME YAH BHI ZAROORI HAI KI DIN SE PAHLE JO RAAT HAI USME AETIKAAF HO,*
*LIHAZA GUROOBE AAFTAAB SE PAHLE JAAYE AUR AGAR DIN KEE MANNAT MAANI AUR KAHTA YAH HAI KI MAINE DIN KAHKAR RAAT MURAAD LEE TO YAH NIYAT SAHI NAHI DIN AUR RAAT DONO KA AETIKAAF WAAJIB HAI,,*
*📙Jouhra,, Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=39:*
                           *EID KE DIN AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO KISI AUR DIN ME JIS DIN ROZA RAKHNA JAIZ HAI USKI QAZA KARE AUR AGAR YAMEEN (Qasam) KEE NIYAT THI TO KAFFARA DE AUR EID HEE KE DIN KAR LIYA TO MANNAT POORI HO GAI MAGAR GUNAHGAAR HUA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=40:*
                          *KISI DIN YAA KISI MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO USSE PAHLE BHI US MANNAT KO POORA KAR SAKTA HAI YAANI JABKI MU'ALLAQ N HO (Yaani aesa n ho ki falaa kaam ho jayega to aetikaaf karoonga) AUR MASJIDE HARAM SHAREEF ME AETIKAAF KARNE KEE MANNAT MAANI TO DOOSRI MASJID ME BHI KAR SAKTA HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=41:*
                          *MAAHE GUZASTA (Guzre hue maheene) KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO SAHI NAHI, MANNAT MAAN KAR M'AAZ'ALLAAH MURTAD HO GAYA TO MANNAT SAAQIT HO GAI FIR MUSALMAAN HUA TO USKI QAZA WAAJIB NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=42:*
                           *AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI AUR MAR GAYA TO HAR ROZ KE BADLE BA-QADRE SADQAE FITR MISKEEN KO DIYA JAYE YAANI JABKI WASEEYAT KEE HO AUR US PAR WAAJIB HAI KI WASEEYAT KAR JAAE AUR WASEEYAT N KEE MAGAR WAARISO NE APNI TARAF SE FIDYA DE DIYA JAB BHI JAIZ HAI,*
*MAREEZ NE MANNAT MAANI AUR MAR GAYA TO AGAR AEK (1) DIN KO BHI ACHCHA HO GAYA THA TO HAR ROZ KE BADLE SADQAE FITR KEE QADR DIYA JAAYE AUR AEK (1) DIN KO BHI ACHCHA N HUA TO KUCH WAAJIB NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=43:*
                          *AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH BAAT USKE IKHTIYAAR ME HAI KI JIS MAHEENE KA CHAHE AETIKAAF KARE MAGAR LAGATAAR AETIKAAF ME BAITHNA WAAJIB HAI AUR AGAR YAH KAHE KI MERI MURAAD AEK (1) MAHEENE KE SIRF DIN THE RAATE NAHI TO YAH QOUL NAHI MAANA JAYEGA,*
*DIN AUR RAAT DONO KA AETIKAAF HAI AUR TEES (30) DIN KAHA THA JAB BHI YAHI HUKM HAI HAA AGAR MANNAT MAANTE WAQT YAH KAHA THA KI AEK (1) MAHEENE KE DINO KA AETIKAAF HAI RAATO KA NAHI TO SIRF DINO KA AETIKAAF WAAJIB HUA AUR AB YAH BHI IKHTIYAAR HAI KI MUTA'FARRIQ TOUR PAR TEES (30) DIN KA AETIKAAF KAR LE AUR AGAR YAH KAHA THA KI AEK (1) MAHEENE KEE RAATO KA AETIKAAF HAI DINO KA NAHI TO KUCH NAHI,,*
*📙Jouhra,, Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=44:*
                  *AETIKAAFE NAFL AGAR CHOD DE TO USKI QAZA NAHI KI WAHI TAK KHATM HO GAYA, AUR AETIKAAFE MASNOON KI RAMZAN KEE PICHLI DAS (10) TAREEKHO TAK KE LIE BAITHA THA USE TODA TO JIS DIN TODA FAQAT US AEK (1) DIN KEE QAZA KARE POORE DAS (10) DINO KEE QAZA WAAJIB NAHI AUR MANNAT KA AETIKAAF TODA TO AGAR KISI MU'AYYAN MEHEENE KEE MANNAT THI TO BAAQI DINO KEE QAZA KARE WARNA AGAR ALAL'ITTISAAL (Lagataar)  WAAJIB HUA THA TO SIRE SE AETIKAAF KARE AUR ALAL'ITTISAAL WAAJIB N THA TO BAAQI KA AETIKAAF KARE,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=45:*
                          *AETIKAAF KEE QAZA SIRF QASDAN TODNE SE NAHI BALKI AGAR UZR KEE WAJAH SE CHODA MASLAN BEEMAAR HO GAYA YAA BILA IKHTIYAAR CHOOTA MASLAN AURAT KO HAIZ YAA NIFAAS AAYA YAA JUNOON W BEHOSHI TAWEEL TAARI HUI UNME BHI QAZA WAAJIB HAI AUR UNME AGAR BAAZ (Thoda) FOUT HO TO KUL KEE QAZA KEE HAAJAT NAHI BALKI BAAZ KEE QAZA KAR LE AUR KUL FOUT HUA TO KUL KEE QAZA HAI AUR MANNAT ME ALAL'ITTISAAL WAAJIB HUA THA TO ALAL'ITTISAAL KUL KEE QAZA HAI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=5, PAGE=156 se 164*

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...