*{{ CHAND DEKHNE KA BAYAN }}*
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
*🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
*CHAND DEKHNE KA BAYAN*
*➡ALLAH TAALA FARMATA HAI::---*
*TARJUMA::--AE MAHBOIB: TUMSE HILAAL KE BAARE ME LOG SAWAAL KARTE HAIN,,*
*TUM FARMA DO WAH LOGO KE KAAMO AUR HAJ KE LIYE AUQAAT HAIN,,*
*✏HADEES=1:*
⤵
*SAHI BUKHARI W SAHI MUSLIM ME IBNE UMAR RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE MARWI RASOOLULLAH ﷺ FARMATE HAIN,*
*ROZA N RAKHO JAB TAK CHAND N DEKH LO*
*AUR IFTAR N KARO JAB TAK CHAND N DEKH LO*
*AUR AGAR ABR HO TO (30 ki) MIQDAAR POORI KAR LO,,*
*✏HADEES=2:*
⤵
*NEEZ SAHEEHAIN ME ABOO HURAIRA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE MARWI HUZOOR AQDAS ﷺ FARMATE HAIN*
*CHAND DEKHKAR ROZA RAKHNA SHUROO KARO AUR CHAND DEKHKAR IFTAR KARO AUR AGAR ABR HO TO SHABAAN KI GINTI TEES (30) POORI KAR LO,,*
*✏HADEES=3:*
⤵
*ABOO DAAUD W TIRMIZEE W NASAI W IBNE MAAJA W DAARMI IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWI AEK (1) AARAABI NE HUZOOR ﷺ KI KHIDMAT ME HAAZIR HOKAR ARZ KI MAINE RAMZAAN KA CHAND DEKHA HAI,*
*FARMAYA:- KI TOO GAWAAHI DETA HAI KI ALLAH KE SIWA KOI MAABOOD NAHI,*
*ARZ KI HAA,*
*FARMAYA:- KI TOO GAWAAHI DETA HAI KI MUHAMMAD ﷺ ALLAH KE RASOOL HAIN*
*USNE KAHA HAA*
*IRSHAD FARMAYA:- AE BILAAL: LOGO ME ELAAN KAR DO KI KAL ROZA RAKHE,,*
*✏HADEES=4:*
⤵
*ABOO DAA'OOD W DAARMI IBNE UMAR RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWI*
*KI LOGO NE BAAHAM (Milkar) CHAND DEKHNA SHUROO KIYA,*
*MAINE HUZOOR ﷺ KO KHABAR DI KI MAINE CHAND DEKHA HAI*
*HUZOOR ﷺ NE BHI ROZA RAKHA AUR LOGO KO ROZA RAKHNE KA HUKM FARMAYA,,*
*✏HADEES=5:*
⤵
*ABOO DAA'OOD UMMUL MOMINEEN SIDDEEQA RADIYALLAHU TAALA ANHA SE RAAWI*
*KI RASOOLULLAH ﷺ SHABAAN KA IS QADR TAHAFFUZ (Hifaazat) KARTE YAANI ROZA WAGAIRA IBAADAT ME BHI LAGE RAHTE AUR DIN TAAREEKH BHI YAAD RAKHTE AUR SAHABA E KIRAAM KO BHI YAAD DILAATE RAHTE THE KI UTNA AUR KISI KA N KARTE*
*FIR RAMZAN KA CHAND DEKHKAR ROZA RAKHTE* *AUR AGAR ABR HOTA TO TEES (30) DIN POORE KARKE ROZA RAKHTE,,*
*✏HADEES=6:*
⤵
*MUSLIM ME ABIL BAKHTARI SE MARWI KAHTE HAI KI HAM UMRA KE LIYE GAYE*
*JAB BATNE NAKHLA ME PAHUCHE TO CHAND DEKHKAR KISI NE KAHA TEEN (3) RAAT KA HAI,*
*KISI NE KAHA DO (2) RAAT KA HAI,*
*IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE HAM MILE UNSE WAQIYA BAYAN KIYA*
*FARMAYA:- TUMNE DEKHA KIS RAAT ME,*
*HAMNE KAHA FLAA RAAT ME,*
*FARMAYA KI RASOOLULLAH ﷺ NE USKI MUDDAT DEKHNE ME MUQARRAR FARMAI*
*LIHAZA US RAAT KA QARAAR DIYA JAYEGA JIS RAAT KO TUMNE DEKHA,,*
*✏MASLA=1:*
⤵
*PAACH (5) MAHEENO KA CHAND DEKHNA WAJIBE KIFAAYA HAI::--*
*SHABAAN, RAMZAN, SHAWWAAL, ZEEQADA, ZILHIJJA,*
*SHABAAN KA ISLIYE KI AGAR AAP RAMZAN KA CHAND DEKHTE WAQT ABR YAA GUBAAR HO TO TEES (30) POORE KARKE RAMZAN SHUROO KARE*
*AUR RAMZAN KA ROZA RAKHNE KE LIYE AUR SHAWWAAL KA ROZA KHATM KARNE KE LIYE AUR ZEEQADA KA ZILHIJJA KE LIYE AUR ZILHIJJA KA BAQRAID KE LIYE,,*
*📙Fatawa Razwiya,,*
*✏MASLA=2:*
⤵
*SHABAAN KI UNTEES (29) KO SHAAM KE WAQT CHAND DEKHE*
*DIKHAI DE TO KAL ROZA RAKHE WARNA SHABAAN KE TEES (30) DIN POORE KARKE RAMZAN KA MAHEENA SHUROO KARE,,*
*📙Aalamgiri,*
*✏MASLA=3:*
⤵
*KISI NE RAMZAN YAA EID KA CHAND DEKHA MAGAR USKI GAWAAHI KISI WAJHE SHARAI SE RADD KAR DI GAYI MASLAN FAASIQ HAI* *YAA EID KA CHAND USNE TANHA DEKHA TO USE HUKM HAI ROZA RAKHE* *AGARCHE APNE AAP EID KA CHAND DEKH LIYA AUR US ROZE KO TODNA JAIZ NAHI*
*MAGAR TODEGA TO KAFFARA LAAZIM NAHI*
*AUR IS SOORAT ME AGAR RAMZAN KA CHAND THA AUR USNE APNE HISAAB KI WAJAH SE TEES (30) ROZE POORE KIYE MAGAR EID KE CHAND KE WAQT FIR ABR YAA GUBAAR HAI TO USE BHI AEK (1) DIN AUR RAKHNE KA HUKM HAI,,*
*📙Aalamgiri, Durre mukhtar,*
*✏MASLA=4:*
⤵
*TANHA USNE CHAND DEKHKAR ROZA RAKHA FIR ROZA TOD DIYA YAA QAAZI KE YAHA GAWAAHI BHI DI THI AUR ABHI USNE USKI GAWAAHI PAR HUKM NAHI DIYA THA KI USNE ROZA TOD DIYA TO BHI KAFFAARA LAAZIM NAHI SIRF US ROZE KI QAZA DE*
*AUR AGAR QAAZI NE USKI GAWAAHI QABOOL KAR LI USKE BAAD USNE ROZA TOD DIYA TO KAFFARA LAAZIM HAI AGARCHE YAH FAASIQ HO,*
*📙Durre mukhtar,*
*✏MASLA=5:*
⤵
*JO SHAKHS ILME HAI'AT JAANTA HAI*
*USKA APNE ILME HAI'AT KE ZARIE SE KAH DENA KI AAJ EID HUA YAA NAHI HUA KOI CHEEZ NAHI AGARCHE WAH AADIL HO AGARCHE KAI SHAKHS AESA KAHTE HO KI SHARIAT ME CHAND DEKHNA YAA GAWAAHI SE SUBOOT KA AETIBAAR HAI,,*
*📙Aalamgiri,*
*✏MASLA=6:*
⤵
*HAR GAWAAHI ME YAH KAHNA ZAROORI HAI KI "MAI GAWAAHI DETA HOO" KI BAGAIR ISKE SHAHADAT NAHI*
*MAGAR ABR ME RAMZAN KE CHAND KI GAWAAHI ME ISE KAHNE KI ZAROORAT NAHI ITNA KAH DENA KAAFI HAI KI MAINE APNI AAKH SE IS RAMZAN KA CHAND AAJ YAA KAL YAA FLAA DIN DEKHA HAI,*
*YOO HI USKI GAWAAHI ME DAAWA AUR MAJLISE QAZA (Faisla ki ya hukm sunane ki majlis) AUR HAAKIM KA HUKM BHI SHART NAHI*
*YAHA TAK KI AGAR KISI NE HAAKIM KE YAHA GAWAAHI DI TO JISNE USKI GAWAAHI SUNI AUR USKO B-ZAAHIR MALOOM HUA KI YAH AADIL HAI US PAR ROZA RAKHNA ZAROORI HAI AGARCHE HAAKIM KA HUKM USNE N SUNA HO MASLAN HUKM DENE SE PAHLE HI CHALA GAYA HO,,*
*📙Durre mukhtar, Aalamgiri,*
*✏MASLA=7:*
⤵
*ABR AUR GUBAAR ME RAMZAN KA SUBOOT AEK (1) MUSALMAAN AAQIL, BAALIG, MASTOOR JO ZAAHIR ME SHARIAT KE MUTAABIQ HO YAA AADIL SHAKHS SE HO JATA HAI*
*WAH MARD HO KHWAAH AURAT AAZAAD HO YAA BAANDI, GULAM YAA US PAR TOHMATE ZINA KI HADD MAARI GAI HO JABKI TOUBA KAR CHUKA HAI,*
*AADIL HONE KA MAANA YAH HAI KI KAM SE KAM MUTTAQI HO YAANI KABAAIR GUNAH (Bade bade gunah) SE BACHTA HO AUR SAGEERA (Yaani chote gunaah) PAR ISRAAR N KARTA HO AUR AESA KAAM N KARTA HO JO MURAWWAT KE KHILAAF HO MASLAN BAZAAR ME KHANA,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,,*
*✏MASLA=8:*
⤵
*FAASIQ AGARCHE RAMZAN KE CHAND KI SHAHADAT DE USKI GAWAAHI QAABILE QABOOL NAHI*
*RAHA YAH KI USKE JIMME GAWAAHI DENA LAAZIM HAI YAA NAHI AGAR UMMEED HAI KI USKI GAWAAHI QAAZI QABOOL KAR LEGA TO USE LAAZIM HAI KI GAWAAHI DE*
*MASTOOR YAANI JISKA ZAAHIR HAAL SHARAI HAI MAGAR BAATIN KA HAAL MALOOM NAHI USKI GAWAAHI BHI GAIRE RAMZAN ME QAABILE QABOOL NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,*
*✏MASLA=9:*
⤵
*JIS AADIL SHAKHS NE RAMZAN KA CHAND DEKHA US PAR WAAJIB HAI KI USI RAAT ME SHAHADAT ADAA KAR DE*
*YAHA TAK KI AGAR LOUNDI YAA PARDA'NASHEEN AURAT NE CHAND DEKHA TO US PAR GAWAAHI DENE KE LIYE USI RAAT ME JAANA WAAJIB HAI*
*LOUNDI KO ISKI KUCH ZAROORAT NAHI KI APNE AAQA SE IJAZAT LE*
*YOO HI AAZAAD AURAT (Yani jo baandi n ho) KO GAWAAHI KE LIYE JAANA WAAJIB, ISKE LIYE SHOUHAR SE IJAAZAT LENE KI ZAROORAT NAHI MAGAR YAH HUKM US WAQT HAI JAB USKI GAWAAHI PAR SUBOOT MOUKOOF HO KI BE USKI GAWAAHI KE KAAM N CHALE WARNA KYA ZAROORAT,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,*
*✏MASLA=10:*
⤵
*JISKE PAAS RAMZAN KE CHAND KI SHAHADAT GUZRI USE YAH ZAROOR NAHI KI GAWAAH SE YAH DARYAAFT KARE KI TUMNE KAHA SE DEKHA AUR KIS TARAF THA AUR KITNE UCHE PAR THA WAGAIRA WAGAIRA,*
*📙Aalamgiri📙*
*MAGAR JABKI USKA BAYAN MUSH'T'BEH (Shubha paida karne wala) HO TO SAWAALAAT KARE,* *KHUSUSAN EID ME KI LOG KHWAA'M'KHWAAH USKA CHAND DEKH LETE HAI,,*
*✏MASLA=11:*
⤵
*TANHA IMAAM (Baadshahe Islam) YAA QAZI NE CHAND DEKHA TO USE IKHTIYAAR HAI KHWAAH KHUD HI ROZA RAKHNE KA HUKM DE YAA KISI KO SHAHADAT LENE KE LIYE MUQARRAR KARE AUR USKE PAAS SHAHAADAT ADAA KARE,*
*📙Aalamgiri,*
*✏MASLA=12:*
⤵
*GAAW ME CHAND DEKHA AUR WAHA KOI AESA NAHI JISKE PAAS GAWAAHI DE TO GAAW WALE KO JAMAA KARKE SHAHAADAT ADAA KARE* *AUR AGAR YAH AADIL HAI TO LOGO PAR ROZA RAKHNA LAAZIM HAI,*
*📙Aalamgiri,*
*✏MASLA=13:*
⤵
*KISI NE KHUD TO CHAND NAHI DEKHA MAGAR DEKHNE WALE NE USE APNI SHAHAADAT KA GAWAAH BANAYA TO USE USKI SHAHADAT KA WAHI HUKM HAI JO CHAND DEKHNE WALE KI GAWAAHI KA HAI*
*JABKI SHAHADAT ALASH'SHAHADAT YAANI GAWAAHI PAR GAWAAH BANANE KE TAMAAM SHARTE PAAI JAYE,*
*📙Aalamgiri wagaira,*
*✏MASLA=14:*
⤵
*AGAR MATLA SAAF HO (Yani aasmaan saaf ho) TO JAB TAK BAHUT SE LOG SHAHADAT N DE CHAND KA SUBOOT NAHI HO SAKTA*
*RAHA YAH KI USKE LIYE KITNE LOG CHAHIYE YAH QAZI KE MUTALLIQ HAI JITNE GAWAAHO SE USE GAALIB GUMAAN HO JAYE HUKM DE DEGA*
*MAGAR JABKI SHAHAR KE BAAHAR YAA BALAND JAGAH SE CHAND DEKHNA BAYAAN KARTA HAI TO AEK (1) MASTOOR KA QOUL BHI RAMZAAN KE CHAND ME QABOOL KAR LIYA JAYEGA,*
*📙Durre mukhtar wagaira,*
*✏MASLA=15:*
⤵
*JAMA'ATE KASEERA (Badi jama'at yani bahut se logo) KI SHART US WAQT HAI JAB ROZA RAKHNE YAA EID KARNE KE LIYE SHAHADAT GUZRE*
*AUR AGAR KISI AUR MAAMLE KE LIYE DO (2) MARD YAA AEK (1) MARD DO (2) AURTE SIQA (Aadil) KI SHAHADAT GUZRI AUR QAZI NE SHAHADAT KI BINA PAR HUKM DE DIYA TO AB YAH SHAHADAT KAAFI HAI*
*ROZA RAKHNE YAA EID KARNE KE LIYE BHI SUBOOT HO GAYA*
*MASLAN AEK (1) SHAKHS NE DOOSRE PAR DAAWA KIYA KI USKE ZIMME ITNA DAIN HAI AUR USKI MEE'AAD YAH THAHRI THI KI JAB RAMZAN AA JAYE TO DAIN ADAA KAR DEGA AUR RAMZAN AA GAYA MAGAR YAH NAHI DETA MUDD'AA ALAIH (Jis par daawa kiya gaya ho) NE KAHA BESHAQ ISKA DAIN MERE ZIMME HAI AUR MEE'AAD BHI YAHI THAHRI THI MAGAR ABHI RAMZAN NAHI AAYA US PAR MUDD'AI NE DO (2) GAWAAH GUZAARE JINHONE CHAND DEKHNE KI SHAHADAT DI QAZI NE HUKM DE DIYA KI DAIN ADAA KAR AGARCHE MATLA SAAF THA AUR DO (2) HEE KI GAWAAHIYA HUI MAGAR AB ROZA RAKHNE AUR EID KARNE KE HAQ ME BHI YAH DO (2) GAWAHIYA KAAFI HAI,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,*
*✏MASLA=16:*
⤵
*YAHA MATLA SAAF THA MAGAR DOOSRI JAGAH SAAF NAHI THA WAHA QAZI KE SAAMNE SHAHADAT GUZRI*
*QAZI NE CHAND HONE KA HUKM DIYA*
*DO (2) YAA CHAND AADMIYO NE YAHA AAKAR JAHA MATLA SAAF THA IS BAAT KI GAWAAHI DI KI FLAA QAZI KE YAHA DO (2) SHAKHSO NE FULAA RAAT ME CHAND DEKHNE KI GAWAAHI DI AUR US QAZI NE HAMARE SAAMNE HUKM DE DIYA AUR DAAWE KE SHARAET BHI PAAYE JAATE HAI TO YAHA KA QAZI BHI IN SHAHADATO KI BINA PAR HUKM DE DEGA,,*
*📙Durre mukhtar,*
*✏MASLA=17:*
⤵
*AGAR KUCH LOG AAKAR YAH KAHE KI FULAA JAGAH CHAND HUA BALKI SHAHADAT BHI DE KI FULAA JAGAH CHAND HUA BALKI AGAR YAH SHAHADAT DE KI FULAA FULAA NE DEKHA BALKI YAH SHAHADAT DE KI FULAA FULAA JAGAH KE QAZI NE ROZA YAA IFTAR KE LIYE LOGO SE KAHA*
*YAH SAB TAREEQE NAA'KAAFI HAI,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,*
*✏MASLA=18:*
⤵
*KISI SHAHAR ME CHAND HUA AUR WAHA SE BAHUT SI JAMA'ATE DOOSRE SHAHAR ME AAI AUR SABNE USKI KHABAR DI KI WAHA FULAA DIN CHAND HUA HAI AUR TAMAAM SHAHAR ME YAH BAAT MASHHOOR HAI AUR WAHA KE LOGO NE CHAND DIKH JAANE KI BINA PAR FULAA DIN SE ROZE SHUROO KIYE TO YAHA WALO KE LIYE BHI SUBOOT HO GAYA,,*
*📙Raddul muhtar,*
*✏MASLA=19:*
⤵
*RAMZAN KI CHAND RAAT KO ABR THA AEK (1) SHAKHS NE GAWAAHI DI USKI BINA PAR ROZE KA HUKM DE DIYA GAYA AUR AB EID KA CHAND ABR KI WAJAH SE NAHI DEKHA GAYA TO TEES (30) ROZE POORE KARKE EID KAR LE AUR AGAR MATLA SAAF HAI TO EID N KARE MAGAR JABKI DO (2) AADILO KI GAWAAHI SE RAMZAN SAABIT HUA HO,,*
*📙(Durre mukhtar, Raddul muhtar,*
*✏MASLA=20:*
⤵
*MATLA N SAAF HO TO ALAWA RAMZAN KE SAWWAAL, ZILHIJJA, BALKI TAMAAM MAHEENO KE LIYE DO (2) MARD YAA AEK (1) MARD DO (2) AURTE GAWAAHI DE AUR SAB AADIL HO AUR AZAAD HO AUR UNME KISI PAR TOHMATE ZINA KEE HADD N QAIM KI GAI HO AGARCHE TOUBA KAR CHUKA HO AUR YAH BHI SHART HAI KI GAWAAH GAWAAHI DETE WAQT YE LAFZ KAHE "MAI GAWAAHI DETA HOO",,*
*📙Aam'mae kutub,,*
*✏MASLA=21:*
⤵
*GAAW ME DO (2) SHAKHSO NE EID KA CHAND DEKHA AUR MATLA SAAF HAI AUR WAHA KOI AESA NAHI JISKE PAAS YAH SHAHADAT DE TO GAAW WALO SE KAHE AGAR YAH AADIL HO TO LOG EID KAR LE,*
*📙Durre mukhtar wagaira,*
*✏MASLA=22:*
⤵
*TANHA IMAAM YAA QAAZI NE EID KA CHAND DEKHA TO UNHE EID KARNA YAA EID KA HUKM DENA JAIZ NAHI*
*📙Durre mukhtar Wagaira*
*✏MASLA=23:*
⤵
*UNTEESWE (29 we) RAMZAN KO KUCH LOGO NE YAH SHAHADAT DEE KI HAMNE LOGO SE AEK (1) DIN PAHLE CHAND DEKHA JISKE HISAAB SE AAJ TEES (30) HAI TO AGAR YAH LOG YAHI THE TO INKI GAWAAHI MAQBOOL NAHI KI WAQT PAR GAWAAHI KYO N DEE AUR YAHA N THE AUR AADIL HO TO QABOOL KAR LEE JAYE,,*
*📙Aalamgiri,*
*✏MASLA=24:*
⤵
*RAMZAN KA CHAND DIKHAI N DIYA YAA SHABAAN KE TEES (30) DIN POORE KARKE ROZE SHUROO KAR DIYE,*
*ATTHAIS (28) HEE ROZE RAKHE THE EID KA CHAND HO GAYA TO AGAR SHABAAN KA CHAND DEKHKAR TEES (30) DIN KA MAHEENA QARAAR DIYA THA TO AEK (1) ROZA QAZA RAKHE,*
*AUR AGAR SHABAAN KA BHI CHAND DIKHAI N DIYA THA BALKI RAJAB KI TEES (30) TAREEKH POORI KARKE SHABAAN KA MAHEENA SHUROO KIYA TO DO (2) ROZE QAZAA RAKHE,,*
*📙Aalamgiri,*
*✏MASLA=25:*
⤵
*DIN ME HILAAL (Chand) DIKHAI DIYA ZAWAAL SE PAHLE YAA BAAD BAHARHAAL WAH AAINDA RAAT KA QARAAR DIYA JAYEGA* *YAANI AB JO RAAT AAYEGI USSE MAHEENE SHUROO HOGA TO AGAR TEESWE 30 we) RAMZAN KE DIN ME DEKHA TO YAH DIN RAMZAN HEE KA HAI SHAWWAL KA NAHI AUR ROZA POORA KARNA FARZ HAI*
*AUR AGAR SHABAAN KI TEESWI (30 wi ) TAREEKH KE DIN ME DEKHA TO YAH DIN SHABAAN KA HAI RAMZAN KA NAHI*
*LIHAZA AAJ KA ROZA FARZ NAHI,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,*
*✏MASLA=26:*
⤵
*AEK JAGAH CHAND HUA TO WAH SIRF WAHI KE LIYE NAHI BALKI TAMAAM JAHAAN KE LIYE HAI*
*MAGAR DOOSRI JAGAH KE LIE ISKA HUKM US WAQT HAI KI UNKE NAZDEEK US DIN TAAREEKH ME CHAND HONA SHARAI SUBOOT SE SAABIT HO JAAYE DEKHNE KI GAWAAHI YAA QAZI KE HUKM KI SHAHADAT GUZRE YAA BAHUT SEE JAMA'ATE WAHA SE AAKAR KHABAR DE KI FULAA JAGAH CHAND HUA HAI AUR WAHA LOGO NE ROZA RAKHA YAA EID KEE HAI,,*
*📙Durre mukhtar,*
*✏MASLA=27:*
⤵
*TAAR YAA TELIPHONE SE CHAND KA HO JAANA NAHI SAABIT HO SAKTA, N BAAZAARI AFWAAH AUR JANTARIYO AUR AKHBAARO ME CHAPA HONA KOI SUBOOT HAI,*
*AAJKAL UMOOMAN DEKHA JATA HAI KI UNTEES (29) RAMZAN KO BAHUT ZAYADA AEK (1) JAGAH SE DOOSRI JAGAH TAAR BHEJE JAATE HAI KI CHAND HUA YAA NAHI AGAR KAHI SE TAAR AA GAYA BAS LO EID AA GAI,* *YAH MAHAZ NAA'JAIZ W HARAAM HAI,*
*TAAR KYA CHEEZ HAI* *AWWALAN TO YAHI MALOOM NAHI KI JISKE NAAM LIKHA HAI WAAQAI USI KA BHEJA HUA HAI AUR FARZ KARO USI KA HO TO TUMHARE PAAS KYA SUBOOT AUR YAH BHI SAHI TO TAAR ME AKSAR GALTIYA HOTI RAHTI HAI,* *HAA KA NAHI, NAHI KA HAA, MAMOOLI BAAT HAI* *AUR MAANA KI BILKUL SAHI PAHUCHA TO YE MAHAZ AEK (1) KHABAR HAI SHAHADAT NAHI*
*AUR WAH BHI BEESO WAASTO SE AGAR TAAR DENE WALA ANGREZEE PADHA HUA NAHI TO KISI AUR SE LIKHWAYEGA MALOOM NAHI KI USNE KYA LIKHWAYA ISNE KYA LIKHA AADMI KO DIYA,* *USNE TAAR WAALE KE HAWAALE KIYA,*
*AB YAHA KE TAAR GHAR ME PAHUCHA TO USNE TAQSEEM KARNE WALE KO DIYA ISNE AGAR KISI AUR KE HAWAALE KAR DIYA TO MALOOM NAHI KITNE WAASTO SE ISKO MILE AUR AGAR ISI KO DIYA JAB BHI KITNE WAASTE HAI*
*FIR YAH DEKHIYE KI MUSALMAN MASTOOR JISKA AADIL W FAASIQ HONA MALOOM N HO US TAK KI GAWAAHI MOTBAR (Etibaar ke qabil) NAHI*
*AUR YAHA JIN JIN ZAREE'O SE TAAR PAHUCHA UNME SAB KE SAB MUSALMAN HEE HO YE AEK (1) AQLI EHTIMAAL HAI JISKA WUJOOD MALOOM NAHI HOTA*
*AUR AGAR YAH MAKTOOB ILAIH (Jisko khat likha gaya) SAAHAB BHI ANGREZEE PADHE N HO TO KISI SE PADHWAYENGE AGAR KISI KAAFIR ME PADHA TO KYA ETIBAAR AUR MUSALMAN NE PADHA TO KYA ETIMAAD KI SAHI PADHA,*
*GARAZ SHUMAAR KIJIYE TO B-KASRAT (Bahut see) AESI WAJHE HAI JO TAAR KE ETIBAAR KO KHATM KARTI HAIN,,*
*FUQHA NE KHAT KA TO ETIBAAR HEE N KIYA* *AGARCHE KAATIB KE DASTKHAT W TAHREER PAHCHANTA HO AUR US PAR USKI MOHAR BHI HO KI* ➖➖➖➖➖➖➖➖ *KHAT KHAT KE MUSHABEH HAI AUR MOHAR MOHAR KE AUR YAHA TO TAAR HAI AUR ALLAH ZAYADA JAANTA HAI,*
*✏MASLA=28:*
⤵
*HILAAL DEKHKAR USKI TARAF UNGLI SE ISHARA KARNA MAKROOH HAI AGARCHE DOOSRE KO BATAANE KE LIYE HO,,*
*📙Aalamgiri, Durre mukhtar,*
*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=5, PAGE=111 se 117,*
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
*طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
*↙JOIN GROUP↘*
*WHATS APP NUMBER*
*☎7782066833☎*
🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
No comments:
Post a Comment