بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➡SAWAL=1::--
AESA SHAKHS JO MAKROOH YAANE MAKROOHE TAHREEMI KO HALKA JAANE, AUR YAH KAHE KEE MAKROOH HEE TO HAI KOI HARAAM TO NAHI, MAKROOH SE KYA HOGA, AUR KOI CHEEZ MAKROOHE TAHREEMI HO TO YAH KAHE KI LAWO MAI MAKROOHE TAHREEMI KO KHAA LETA HOO, KOI HARAAM THODI HAI,➖AB SAWAL YAH HAI KI YAH KARNA KAISA W MAKROOHE HAHREEMI KO HALKA JANNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=1::--
MAK'ROOHE TAH'REEMI MAR'TABAH WAAJIB ME HAI, IS KA HALKA JANNA, GUM'RAAHI W ZALAA'LAT HAI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-14, SAFA NUMBER-611 aur 612,,
➡ SAWAL=2::--
ALLAT TAALA KE LIYE LAFZ "MIYAA" LAGANA KAISA, YAANE KE ALLAH TAALA KO ALLAH MIYA KAHENA KAISA,---???,,
➡JAWAB=2::--
ALLAH عزوجل KE LIYE "MIYAA" LAFZ NAHI BOLNA CHAHIYE, KE IS LAFZ KE AESE MANI BHI AATE HAI, JIN KA ETLAAQ ALLAH عزوجل PAR JAYEZ NAHI, HUZOOR AALA HAZRAT RADIYALLAHU TAALA ANHO APNE FATAWA ME FARMATE HAI KE ALLAH عزوجل KO MIYAA KAHENA "MANA" HAI,,
📚FATAWA MUSTAFIYA, SAFA-32,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-4, SAFA-418,,
📚FATAWA BAHRUL ULOOM, JILD-5, SAFA-306,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA-137,,
📚FATAWA RAZVIYA SJAREEF, JILD-64, SAFA NUMBER-613 aur 614,
➡SAWAL=3::--
WOH KOUN SA MAZ'HAB HAI JINKE NAZ'DEEK FARZ NAMAZ ME HAATH BANDH'NA MAK'ROOH HAI AUR CHOD KAR RAKHNA MUS'TAHAB HAI, ALBAT'TA SUN'NATO ME HAATH BANDH'NA MUS'TAHAB HAI,---???,,
➡JAWAB=3::--
HANFIYA AUR HAMB'LIYA KE NAZDEEK NAMAZ ME HAATH NAAF KE NEECHE BAAN'DHEGA, AUR SHAFIYA KE NAZ'DEEK NAAF KE UPAR AUR SEENA KE NEECHE BAAN'DHEGA, AUR MAALKIYA KA MAZHAB YAH HAI KI FARZ NAMAZ ME HAATH BANDH'NA MAKROOH HAI, CHOR KAR RAKHNA MUS'TAHAB HAI, ALBATTA SUNNATO ME HAATH BANDH'NA IN KE NAZDEEK MUS'TAHAB HAI,,
📚FATAWA FAIZ UR RASOOL, JILD-3, SAFA-298,
➡SAWAL=4::--
ZOHAR KEE NAMAZ PADHNE KE IRADE SE KHADE HUWE, MAGAR NIYAT KARNE ME JUBAAN SE LAFZ ASAR NIKAL JAYE, YAA ISI TARAH FARZ PADHNE KA IRADA HO AUR BHOOL KAR JUBAAN SE SUNNAT KAH DIYA TO, AB JO NAMAZ PADHI HAI USKA KYA HUKM HAI,,
➡JAWAB=4::--
NIYAT DIL KE IRADE KO KAHTE HAI, LIHAZA JAB DIL ME "ZOHAR" KEE NAMAZ PADHNE KA IRADA HO AUR JUBAAN SE LAFZE "ASAR" NIKAL JAAYE TO "ZOHAR" KEE NAMAZ HO JAYEGI, ISI TARAH AGAR "FARZ" PADHNE KA IRADA HO MAGAR BHOOL KAR "SUNNAT" KAH DE TO FARZ NAMAZ HO JAYEGI, KHULA'SAH YAH KE NIYAT ME "JUBAAN KA AETBAAR" NAHI HOTA, BALKI "DIL ME JO IRADA HO" IS KA AETBAAR HOTA HAI,,
📚FATAWA FAIZ UR RASOOL, JILD-3, SAFA-86,
➡SAWAL=5::--
DULHAN KO SHADI KARKE LAAYE TO USKE PAAW KA DHOWAN YAANE USKE PAIR KO DHOKAR MAKAAN KE CHARO GOSHO ME CHIDAKNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=5::--
DULHAN KO BYAAH KAR (Shadi kar ke) LAAYE TO "MUSTAHAB" HAI KE US KE PAAW KO DHO KAR MAKAAN KE CHAARO GOSHO ME CHIDKE, IS SE "BARKAT" HOTI HAI,,
📚FATAWA RAZVIYA, JILD-2, SAFA-595,,
➡SAWAL=6::--
AGAR KISI KO JIN'NAAT PAKADTE HAI TO HONE WALE YAA KARNE WAALE KAAM KO WAH SAM'JHATE HAI, AUR HAMARE DILO KEE BAATO KO BATANA SHURU KAR DETE HAI,➖AB SAWAL YAH HAI KE, KYA SHAI'TAAN AUR JINN GAIB JANTE HAI, YAA NAHI JANTE,---???,
➡JAWAB=6::--
SHAI'TAAN JINNO SE HAI, YAH SAHI HAI KE SHI'TAAN AUR AJINNA GAIB NAHI JAANTE, AUR JISE LOG DIL KEE BAAT BATANA KAHTE HAI, WAH HAQEE'QAT ME QARAIN AUR INSAAN KE HAALAAT KE PESHE NAZAR ATKAL PACHCHU SE BATATA HAI, JO AKSAR GALAT BHI HOTA HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA-668,,
➡SAWAL=7::--
YAH KAHENA KAISA KE, ALLAH TAALA HAAZIR W NAAZIR NAHI HAI, BALKE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم HAAZIR W NAAZIR HAI,---???,,
➡JAWAB=7::--
YAH KAHNA KE ALLAH TAALA HAAZIR W NAAZIR NAHI HAI, BALKE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم HAAZIR W NAAZIR HAI, BILA SHUBA SAHI W DURUST HAI,
YE KAHNA KI ALLAH TA'AALA HAR JAGAH HAZIR WA NAZIR HAI, KALMA-E-KUFRA HAI,, "HADIQUE NADIYA SHARHA TARIKA MUHAMMADIYA" ME HAI:: ALLAH MAKAN, JAGAH SE PAAK HAI, ALLAH KE LIYE JAGAH YA MAKAN SABIT KARNA BATFAKE ULAL KUFRA HAI,,
ISI TARAH YE KAHNA KI ALLAH TA'AALA HAZIR WA NAZIR HAI, JAYAJ NAHI, ISLIYE KI ""HAZIR"" KA MANI HOTA HAI, "SAMNE MAUJUD HONE WALA" AUR ""NAZIR"" KE MAANI HOTE HAI "ANKH SE DEKHNE WALA",, ALLAH TA'AALA SAMNE HONE AUR ANKH SE PAAK HAI. ALLAH TA'AALA KO HAZIR WA NAZIR NAHI KAHNA CHAHIYE,
HAA BILA SHUBA HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم HAZIR WA NAZIR HAI,, 1 HADEES YAH HAI KE JAB GHAR ME JAWO AUR KOI N HO TO RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO SALAM KAHO, IS KEE SHARAH ME SHARAH SIFA ME HAZRAT MULLA ALI KARI FARMATE HAI:: IS LIYE KI NABI صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE ROOH TAMAAM MUSALMANO KE GHARO ME HAAZIR HAI,,
♦NOTE♦HAMNE SHORT ME JAWAB DIYE HAI, AUR TAFSEEL KE LIYE FATAWA SHARHE BUKHARI KA MUTALA KARE,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA-303 & 304,,
➡SAWAL=8::--
BA-HAYAAT PEER SE KIS TARAH MADAD MANGA JAA SAKTA HAI,--??, MASLAN JIS TAREEQE SE ""YAA SHAIKH ABDUL QADIR JEELANI HAMARI MADAD FARMAYE"" PUKARTE HAI,, ISI TARAH APNE ZINDA W BA-HAYAAT PEER KO PUKARNA KAISA,--???, DOOR W NAZDEEK SE,,
➡JAWAB=8::--
AGAR PEER WAQYI PEERE KAAMIL HAI, AARIFE BIL'LAAH HAI TO IS KE HAYAATE ZAA'HIRI ME MADAD KE LIYE PUKARNA JAYEZ AUR SALF W KHALF SE RAYEZ MAMOOL HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA-166,
➡SAWAL=9::--
KOUN KISKE MOH'TAAJ HAI, YAANE KE, KYA ZINDA LOG, MURDA LOGO KE MOH'TAAJ HAI YAA MURDE LOG ZINDA LOGO KE MOH'TAAJ HAI, DONO ME KOUN KISKE MOH'TAAJ HAI,---???,,
➡JAWAB=9::--
ZINDA, MURDO KE BHI MOH'TAAJ HAI, AUR MURDE, ZINDO KE BHI MOH'TAAJ HAI, YAANE DONO AEK DUSRE KE MOH'TAAJ HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA-199,
➡SAWAL=10::--
AEK (1) SHAKHS NE ZINA W SHARAB SE TOUBAH KIYA AUR TOUBAH KARTE WAQT DIL ME W JUBAAN SE PURE HOSH ME YAQEEN KE SAATH PAKKA IRAADA KARKE YAH KAHA KE AB AGAR MAI YAH KAAM KAROO TO KAFIR HO JAUNGA, FIR KUCH HEE DINO ME WAH SHAKHS WAHI KAAM AEK DO BAAR KAR LIYA, LEKIN ABHI KAI SAALO SE WAH KAAM NAHI KAR RAHA HAI, BILKUL US KAAM KO CHOR DIYA HAI➖AB SAWAL YAH HAI KI AESE SHAKHS KO KYA KAHA JAYEGA,,
➡JAWAB=10::--
IS SHAKHS NE JAB YE KAHA THA AGAR AB SE AESA KOI KAAM KAROONGA TO MAI KAFIR HO JAUNGA, IS WAQT AGAR IS NE YAH SAMJHA THA KE WAAQAI AESA KAAM KARNE SE MAI KAFIR HO JAUNGA, AUR FIR ISNE AESA KAAM KIYA TO WAH SHAKHS KAFIR HO GAYA, PAHLI BAAR JAB ISNE NE AESA KAAM KIYA THA ISKE TAMAAM AMAAL BARBAAD HO GAYE, IS KEE BEEWEE IS KE NIKAAH SE NIKAL GAYI, IS WAQT SE AB TAK KAFIR RAHA, IS PAR FARZ HAI KE FOURAN BILA TAKHEER TOUBAH KARE, TAZDEEDE IMAAN KARE, AUR BEEWEE KO RAKHNA CHAHTA HO TO TAZDEEDE NIKAAH KARE, AUR AAINDA KABHI BHI GALAT YANE AESA N KARE WARNA KAFIR HO JAEGA,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA-434,,
➡SAWAL=11::--
HUZOOR ﷺ KEE SHAANE PAAK ME LAFZ {{THE}} KA ISTE'MAAL KARNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=11::--
HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE SHANE PAAK ME LAFZ "THE" KA ISTEMAAL MUNASIB NAHI, JAISE KOI SHAKHS YAH KAHE KI WAH ALLAH KE RASOOL THE, YAH KAHENA MUNASIB NAHI ISME IYHAAM HAI KE PAHLE RASOOL THE AB NAHI, HALAKE PURI UMMAT KA IS PE IJMA HAI KE HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم APNI HAQEEQI DUNYAWEE HAYAAT KE SAATH AB BHI ZINDA HAI, AUR MANSABE RISALAT PAE FAYEZ HAI, JAISE PAHLE RASOOL THE, AB BHI HAI, IS LIYE KAHENA YAHI CHAHIYE KE RASOOL HAI, LEKIN IS QOUL KEE TAWEEL YAH HO SAKTI HAI KE WAH BA'AETBAAR ZAHIR KAH RAHA HAI, AUR JIS KITAB ME AESE LAFZ LIKHE HO, AESI KITAABO KO NISAAB ME HARGIZ DAAKHIL NAHI KARNA CHAHIYE, JIS SE BACHCHO KE AQEEDE ME KISI QISM KEE KHARABI PAIDA HONE KA ANDESHA HO, AUR JUMLA MAZKOORA SE ISKA ANDESHA HAI, IS LIYE AESI KITABO KO NISAAB SE NIKAAL DENA ZAROORI HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, PAGE-347 & 348,,
➡SAWAL=12::--
AEK (1) MUFTI SAHEB NE DOU'RANE TAQ'REER 1 HADEESE PAAK KA TAR'JUMA KARTE HUE FARMAYA KI: HUZOORE AQDAS ﷺ NE FARMAYA MERI UMMAT KE ULMA, BANI IS'RAEL KE NABIYO KEE TARAH HONGE,➖AB SAWAL YAH HAI KI, YAH KAHENA KAISA KE IS UMMAT KE ULMA, BANI ISRAEL KE NABIYO KEE TARAH HONGE,---???,,
➡JAWAB=12::--
HADEESE PAAK KA TAR'JUMA MUFTI SAHEB NE SAHI KIYA, TARAH KE MA'ANI, MAA'NIND KE HOTE HAI, JO SIRF 1 MUSA'BEHAT CHAHTA HAI, AUR IS ME KOI HARJ NAHI, HAA MISL KAHENA MANA HAI, KYO KE ISME IYHAME MUSAWAT HAI, MUJAD'DIDE AAZAM AALA HAZRAT RADIYALLAHU TAALA ANHO MISL KE BAARE ME FAR'MATE HAI, YAH LAFZ BAHUT HEE SAKHT HAI, MISL W MANIND ME BAHUT FARK HAI, MISL MAAZ ALLAH MASAWAT KA IYHAM KARTA HAI, AUR MANIND SIRF 1 MUSA'BEHAT CHAHTA HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA-587 & 588,,
➡SAWAL=13::--
YAH KAHENA KAISA KE IS UMMAT KE ULMA, BANI IS'RAEL KE NABIYO KE BARA'BAR HAI,---???,,
➡JAWAB=13::--
YAH KAHENA KE IS UMMAT KE ULMA, BANI IS'RAEL KE NABIYO KE BARA'BAR HAI, KALMA'E KUFR HAI, QA'EL PAR TOUBA, TAZ'DEEDE IMAAN, AUR AGAR BEEWEE WAALA HAI, AUR IS BEEWEE KO RAKHNA CHAHTA HO AUR BEEWEE BHI RAAZI HO TO TAZ'DEEDE NIKAAH BHI FARZ HAI, IS LIYE KE IS PAR YAQEENI IZMA HAI KE AMBIYA, AULIYA SE AFZAL HAI, KOI WALI KISI NABI KE DARZE KO NAHI PAHUCH SAKTA, SHARAH FIQAH AKBAR ME HAI: WALI KISI NABI KE DARJA TAK NAHI PAHUCH SAKTA, ISI ME HAI: ULMA KA IS PAR IZMA HAI KE AMBIYA-E-KIRAAM, AULIYA SE AFZAL HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA-587,,
➡SAWAL=14::--
HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO BANI-E-ISLAM KAHENA KAISA,---???
➡JAWAB=14::--
HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO BANI-E-ISLAM KAHENA BILA SHUBAH SAHI W DURUST HAI, IS ME KOI TARDEED NAHI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA-521,,
➡SAWAL=15::--
AGAR KOI AURAT GUSSE W JIHA'LAT AUR APNE HUQOOQ AUR BACH'CHO KEE TALEEM PURI N HONE KEE WAJAH SE APNE SHOU'HAR KO NAMAZ KE LIYE TA'ANA DE AUR BOLE KE KHALI SAR PATAK'NE AUR UTHAK-BAI'THAK KARNE SE KYA HOGA,--??➖AB SAWAL YAH HAI KI NAMAZ KE MUTALLIQ AESE JUMLE BOLNA KAISA HAI,---???,,
➡JAWAB=15::--
NAMAZ KEE TOUHEEN ""KUFR"" HAI,
👉🏻US AURAT NE NAMAZ KE BAARE ME AUR UPAR SAWAL ME LIKHE HUE JUMLE ISTE'MAAL KIYE, IN SE NAMAZ KEE ""TAKH'FEEF"" AUR ""ISTAHZA"" ZAAHIR HAI, IS LIYE US AURAT PAR FARZ HAI KE AB JUMLA'E MAZ'KOORA SE TOUBA KARE, FIR SE KALMA PADH KAR MUSAL'MAAN HOE, APNE SHOU'HAR SE FIR SE NAYA NIKAAH KARE,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA-335,,
➡SAWAL=16::--
AEK (1) SHAKHS NE YAH KAHA KI HUZOOR ﷺ KEE HAR BAAT WAHI-E-KHUDA HAI, IS PE DUSRE SHAKHS NE AETRAAZ KARTE HUWE YAH KAHTA HAI KE, TO KYA HUZOOR ﷺ AGAR KISI SE YAH FARMAYE KI JAWO PAANI LE AAWO, KYA YAH BHI WAHI-E-KHUDA HAI,--??➖AB SAWAL YAH HAI KI KYA HUZOOR ﷺ KEE HAR BAAT WAHI-E-ILAAHI HAI, KISI SE YAH FARMAYE KEE JAAO PAANI LE AAO, KYA YAH BHI, WAHI-E-KHUDA HAI,---???,,
➡JAWAB=16::--
YE HAQ WAJE HAI KI HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KI HAR BAAT WAHI-E-KHUDA HAI, KHWAH YE JAHIRI HO YA BATNI, ISLIYE KI AYAT-E-KARIM وَمَا يَنطِقُ عَنِ ٱلْهَوَىٰ إِنْ هُوَ إِلاَّ وَحْيٌ يُوحَىٰ KA YAHI MAFAD HAI KI HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم BAGAIR WAHI KE KOI BAAT NAHI FARMATE, AUR HUZOOR KA KISI SE YE FARMANA BHI KI "PAANI LAO", YE FARMANA BHI WAHI-E-KHUDA SE HAI, IS LIYE KI HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم AGAR KISI SE FARMAYE KI PAANI LAO, TO US PAR PAANI LANA FARZ HO JAATA HAI, AGAR NAHI LAYEGA, GUNAAH'GAAR HOGA AUR SARTABI KAREGA KAFIR HO JAYEGA,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-1, SAFA-371,
➡SAWAL=17::--
KOI MASJID JO KAI SAALO SE BAND PADI HAI, USME KAI SAALO SE NAMAZ NAHI HUI, US MASJID KE BAARE ME KUCH LOGO KA KAHENA HAI KE HAM USE MASJID NAHI MANTE, WAH KHAND'HAR HAI,➖AB SAWAL YAH HAI KI KYA IS TARAH KI MASJID KO KHAND'HAR KAHENA KAISA,---???,,
➡JAWAB=17::--
JO SHAKHS MASJID KO MASJID N MAANE, YAA USE KHANDHAR WAGAIRAH BOLE, WAH SAKHSH JAHANNAM KA MUSTAHAQ HO GAYA,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA-511,,
➡SAWAL=18::--
YAA MUHAMMAD, YAA MUHAMMAD AL'MADADA, YAA MUHAMMAD ALAIHISSALAM YAA FIR, YAA MUHAMMAD KARAM HO TUMHARA - LE LO SALAM AB HAMARA, KAHENA KAISA,---???➖YAANE KE HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO NAAM YAA KUN'NIYAT KE SAATH PUKAR'NA KAISA,---???
➡JAWAB=18::--
✒HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO NAAM YAA KUN'NIYAT KE SAATH PUKAR'NA MANA HAI,
✒YAA MUHAMMAD AL-MADAD KAHENA JAYEZ NAHI, YAA MUHAMMAD AL-MADAD KE BAJAAY YAA RASOOLALLAH AL-MADADA KAHENA CHAHIYE,
✒"YAA" HURUF NIDA HAI YAANI ARBI ME KISI KO PUKAR'NE KE LIYE BOLA JATA HAI, JAISE URDU JABAAN ME "AEY", ISLIYE "YAA MUHAMMAD" KE MANE HUWE "AEY MUHAMMAD", YAANI YAH KAHNE WALA HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO INKA NAAM LEKAR PUKAAR RAHA HAI, IS ME HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE BE'ADBEE HAI, JAISE MAA BAAP KO IN KA NAAM LEKAR PUKAR'NA BE'ADBI HAI, KOI LADKA AGAR APNE BAAP KO IS KA NAAM LEKAR PUKARE TO WAH GUS'TAKH SAMJHA JAYEGA, BAAP KO PUKARA JAATA HAI TO NAAM NAHI LIYA JAATA, BALKE ABBA YAA BABA KAHA JATA HAI JO IN KA MANSAB HAI, AESE HEE HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO NAAM LEKAR PUKAR'NA AUR YAA MUHAMMAD KAHENA HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE BE'ADBI HAI, AGAR HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO PUKAR'NA HAI TO IN KA MANSAB JIKR KAR KE PUKARO, YAANI YAA NABI ALLAH, YAA HABEEB ALLAH, YAA RASOOLALLAH KAH KAR PUKARO,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-1,
➡SAWAL=19::--
HUZOORE ANWAR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE KISI CHEEZ JAISE NA'ALAIN SHA'REEF, MOO'E MUBA'RAK YAA AUR BHI KISI CHEEZ KEE TOU'HEEN KARNA KAISA,---???,
➡JAWAB=19::--
JO SHAKHS HUZOORE ANWAR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE KISI CHEEZ KEE TOU'HEEN KARE WAH ""KAAFIR"" HAI, YAHA TAK KI HUZOOR KE NA'ALAIN SHAREEF AUR MOO'E MUBA'RAK KEE TOU'HEEN BHI ""KUFR"" HAI,,
📘TAFSEERE NAIMEE,
📚KYA AAP JANTE HAI, PAGE-736
➡SAWAL=20::--
MARD KO NASBANDI AUR AURAT KO BACHCHA N HONE KA OPRATION KARANA KAISA,---???,,
➡JAWAB=20::--
MARD KO NAS'BANDI W AURAT KO BACH'CHA N HONE KA OPRA'TION KARANA ""NAJAIZ O HARAAM"" HAI,
🔴NOTE🔴= AUR TAF'SEELI JAAN'KARI KE LIYE FATAWA MUSTAFIYYA KA PAGE NUMBER DIYA JAA RAHA HAI WAHA PADHE,
📚FATAWA MUSTAFIYYA, PAGE-530-531
➡SAWAL=21::--
KYA HAR INSAAN QUR'AAN MAJEED KO SAMAJH SAKTA HAI,---???➖YAANE KE AWAAM QUR'AAN MAJEED KE MA'ANE KO HATTA KE MAQT'AAT TAK KE MA'ANE KO SAMAJH SAKTE HAI, YAH KAHNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=21::--
MAQT'ATE QUR'ANIYA KA ILM BAR'BINAYE MAZHAB MOHAQ'QIQE ULMA-E-RASE'KHEEN KO BHI HAI, AWAAM BALKE AAJ KAL K KHAWAS IS RAAZ PAR MATLA NAHI, ISI TARAH QUR'AAN MAJEED KA SAMAJH'NA AWAM K BAS KI BAAT NAHI, SAHABA-E-KIRAAM ARABIC THE, UNKI ZABAAN ME QUR'AAN NAAZIL HUA, MAGAR WO BHI IS WAQT SAMJHE JAB HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE UNHE TAALEEM DEE,,
QUR'AAN-E-KAREEM ME HAI::---
َ وَيُعَلِّمُهُمُ ٱلْكِتَابَ وَٱلْحِكْمَةَ
TARJUMA::-- AUR INHE TERI KITAB AUR PUKH'TA ILM SIKHA'YE,,,
YAH KAHNA KE AWAAM QUR'AAN MAJEED KE MA'ANI KO HAT'TA KE MAQT'AAT TAK KE MA'ANI KO SAMJH SAKTE HAI, YE ""KUFR"" HAI, QUR'AAN MAJEED KA IN'KAAR HAI,,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-1, SAFA-633,,
➡SAWAL=22::--
KYA HAR NAYA SAAL PAHLE SE BADTAR HAI, YAANE KE JO SAAL BHI AAYE USKE BAAD WAALA KYA USSE BHI BURA HOGA,---???,,
➡JAWAB=22::--
HAR NAYA SAAL PEHLE SE BADTAR HAI::---
NABIYE KAREEM صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE IRSHAD FARMAYA KE::
لا یاتی عام الاو الذی بعدہ شرمنہ
YAANI, JO SAAL BHI AAYE USKE BAAD WAALA USSE BURA HEE HOGA,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-9, SAFA NUMBER-549,, SHAHEEH BUKHARI-1047/2,, FATHUL BAARI SHARHE BUKHARI-17/13,,
➡SAWAL=23::--
AEK (1) JAAHIL SE AGAR KOI GUNAAH HO JAAYE JISKA ILM USE NAHI THA KE JAYEZ HAI YAA HARAAM, AUR WAHI GUNAAH YAA KOI DUSRA GUNAAH 1 AALIM KARE TO, DONO KE GUNAAH ME KYA FARK HAI,---???,,
➡JAWAB=23::--
HADEES ME HAI RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم FARMATE HAI, AALIM KA GUNAAH AEK (1) GUNAAH HAI, AUR JAAHIL KA GUNAAH DOHRAH (Double) GUNAAH,
ARZ KEE:: YAA RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم YAH KAISE,::
FARMAYA:: AALIM PAR GUNAAH KARNE KA AZAAB HAI, AUR JAAHIL PAR AEK (1) AZAAB, GUNAAH KARNE KA HAI, AUR AEK (1) ILM N SEEKH'NE KAA HAI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-29, SAFA NUMBER-619,
➡SAWAL=24::--
MADEENA MUNAW'WARA KO "YASRAB" KAHENA KAISA,---???,,
➡JAWAB=24::--
MADEENA TAY'YABA KO "YASRAB" KAHENA NA'JAYEZ W MAM'NOOA W GUNAH HAI, AUR KAHNE WALA GUNAH'GAAR, RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم FARMATE HAI, JO MADEENA KO "YASRAB" KAHE IS PER TOUBAH WAAJIB HAI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-21, SAFA NUMBER-116,
➡SAWAL=25::--
ALLAH TAALA KO MUKHATIB KARKE, ASSALAMO ALAIKUM YAA WALAIKUM ASSALAM KAHENA KAISA,---???,,
➡JAWAB=25::--
ALLAH عزوجل KO MUKHATIB KARKE ASSALAMO ALAIKUM YAA WALAIKUM ASSALAM KAHENA "MAM'NOOA" HAI,
👉🏻HADEES ME HAI::
""YAH N KAHO SALAM HO ALLAH PAR, IS LIYE KE ALLAH "SALAM" HAI""
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-126 & 127,
➡SAWAL=26::--
SAJDE ME PESHANI ZAMEEN PAD JAM GAYI, AUR NAAK KEE NOK ZAMEEN SE CHOO GAYI AUR NAAK KEE HADDI N LAGI TO AESE ME NAMAZ KA KYA HUKM HAI,---???,,
➡JAWAB=26::--
SAJDA ME PESHANI KA ZAMEEN PAR ZAMNA FARZ HAI, AUR NAAK IS TARAH ZAMANA KE JO HISSA NAAK KA NARAM HAI IS KE DABNE KE BAAD NAAK KEE HADDI ZAMEEN PAR ZAM JAAYE YAH WAAJIB, AGAR NAAK KEE NOK ZAMEEN SE CHOO GAYI AUR HADDI N LAGI, NAMAZ WAJIBUL I'AADA HUYI, HADEES ME IRSHAD HUWA YAANI PESHANI ZAMEEN PAR LAGNE KA YAH MATLAB HAI KE NAAK KEE HADDI BHI ZAMEEN PAR LAG JAAYE,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-84,
➡SAWAL=27::--
HAZRAT AADAM عليه السلام KEE NAMAZE JANAZA KISNE PADHAYI THI,---???,,
➡JAWAB=27::--
HAZRAT AADAM عليه السلام KEE NAMAZE JANAZA PADHI GAYI THI, AUR FARISHTO NE PADHAYI THI, ISI WAQT SE NAMAZE JANAZA SHURU HUYI, IS KE BAAD KE AMBIYA-E-KIRAAM KEE BHI NAMAZE JANAZA PADHI GAYI HOGI, ISLAM ME HIJRAT KE NOUWE MAHEENE KE IBTEDA ME HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE NAMAZE JANAZA PADHAYI THI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-5, SAFA NUMBER-375,
📚FATAWA BARAILY SHAREEF, SAFA NUMBER-302,
📚TAFSEERE NAIMEE,
📚KYA AAP JANTE HAI, SAFA NUMBER-195 & 196,
➡SAWAL=28::--
AGAR KISI SHAKHS KA BAAP-DADA, GAIRE SAYYAD HAI, AUR WALIDA-DADI, SAYYAD, TO AESE ME WAH SHAKHS SAYYAD HUWA YAA GAIRE SAYYAD,---???,,
➡JAWAB=28::--
SHARA ME NASAB BAAP SE LIYA JATA HAI, JIN KE BAAP-DADA, PATHAN YAA MUGAL YAA SHAIKH HUWA, WO UNHI QOUMO SE HOGA AGARCHE USKI MAA AUR DAADI SAB SAYYA'DANI HUYI, NABI صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE SAHEEH HADEES ME FARMAYE HAI:: JO APNE BAAP KE SIWA DUSRE KEE TARAF APNE AAP KO NISBAT KARE, IS PAR KHUD ALLAH TAALA AUR SAB FARISHTO AUR AADMIYO KEE LAANAT HAI, ALLAH TAALA QAYAMAT KE DIN N ISKA FARZ QABOOL KARE N NAFL, MUKHTASARAN BUKHARI W MUSLIM W ABOO DAUD W TIRMIJEE W NASAAI WAGAIRHUM NE YAH HADEES MOULA ALEE KARMALLAHU TAALA WAJHU SE RIWAYAT KEE HAI, HAA ALLAH TAALA NE YAH FAZEE'LAT KHAAS, IMAAM HASAN W IMAAM HUSAIN W UN KE HAQEEQI BHAI BAHNO KO ATAA FARMAYA, RADIYALLAHU TAALA ANHUM AZMAEEN, KE WOH RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم KE BETE THAHRE, FIR UN KEE JO KHAAS AULAD HAI UN ME BHI WAHI QAYEDA AAM ZAARI HUWA KE APNE BAAP KEE TARAF MANSOOB HUWA, IS LIYE SIBTAEEN KARIMAIN KEE AULAD SAYYAD HAI N KE BANATE FATIMA رضي الله تعالي عنها KEE AULAD KE WOH APNE WALIDOON HEE KI TARAF NISBAT KEE JAYENGI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-13, SAFA NUMBER-361,
📚BAHARE SHARIAT, HINDI, HISSA-5, SAFA NUMBER-69,
➡SAWAL=29::--
WO SAHABI-E-RASOOL KOUN THE JINKO RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE SAYYADUL ANSAAR KE KHITAAB SE NAWAZA THA, AUR UNKI WAFAAT PE RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE FARMAYE KI YAH WAH SHAKHS HAI KI ISKE LIYE ARSH HIL GAYA, AUR ISKE LIYE AASMAAN KE DARWAZE KHOL DIYE GAYE, AUR ISKE JANAZE PAR SATTAR HAZAAR (70,000) FARISHTE HAAZIR HUWE, IS SHAKHS KO KABR NE AEK (1) MARTABA DABOCHA FIR KUSHADA HO GAYI,---???,,
➡JAWAB=29::--
HAZRAT ABDULLAAH BIN UMAR RADIYALLAHU TAALA ANHUMA KAHTE HAI KI RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE (Hazrat Sa'ad Bin M'aaz Kee Wafaat) PAR FARMAYA KI YAH WAH SHAKHS HAI KI ISKE LIYE ARSH HIL GAYA, AUR ISKE LIYE AASMAAN KE DARWAZE KHOL DIYE GAYE, AUR ISKE JANAZE PAR SATTAR HAZAAR (70,000) FARISHTE HAAZIR HUYE, IS SHAKHS KO KABR NE AEK (1) MARTABA DABOCHA FIR KUSHADA HO GAYI,
📚MISHKAAT, JILD-1, SAFA NUMBER-26,_*
HAZRAT SA'AD BIN M'AAZ ANSAAR KE QABEELA AOUS KE SARDARE AAZAM THE, RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE INKO SAYYADUL ANSAAR KE KHITAAB SE NAWAZA THA,
♦NOTE♦= WAAZEH RAHE KI DABOCHNA DO (2) QISM KA HOTA HAI,
AEK DUSHMANI KA DABOCHNA:: JAISE AEK (1) DUSHMAN APNE DUSHMAN KO DABOCHA KARTA HAI,
AUR AEK (1) PYAAR ME DABOCHNA:: JAISE MAA APNE BACHCHE KO PYAAR ME DABOCH LIYA KARTI HAI,
TO HAZRAT SA'AD BIN M'AAZ KO KABR NE MUHABBAT W PYAAR ME DABOCHA THA,,
📚MISHKAAT, JILD-1, SAFA NUMBER-26,
📚JAWAHIRUL HADEES, (Musannif-Shaikhul Hadees Hazrat Abdul Mustafa Aazmi Alaihirrahmatu Warrizwan) PAGE NUMBER-161 &162,
📚AL-KHASAIS-UL-KUBRA, (Musannif-Allama Imaam Jalaluddin Suyuti Rahmatulaal Alaihi) JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-370 & 371,
➡SAWAL=30::--
JIS MAKAN ME AAINA E QADDE AADAM (YANI AADMI KI HIGHT KE BARABAR) CHARO TARAF SHISHE LAGE HUN TO US MAKAN ME NAMAZ PADHNA KAISA HAI---???,,
➡JAWAB=30::--
AAINA SAMNE HO TO NAMAZ ME KARAHAT NAHI. KI SABABE KARAHAT TASWEER HAI AUR WO YAHAN MAU'JOOD NAHI. AUR AGAR ISE TASWEER KA HUKM DEN TO AAINA KA RAKHNA BHI MISLE TASWEER NAZAYEZ HO JAYE. HALA KI BIL IJMA'A JAYEZ HAI AUR HAQEE'QAT AMR YE HAI KI WAHAN TASWEER HOTI HI NAHI BALKI KHUTOTE SHUAA'I (खुतूते शुआई) AAINA KI SAQALAT KI WAJAH SE LAUT KAR CHAHRA PAR AATE HAIN. GOYA YE SHAKHS KHUD APNE KO DEKHTA HAI NA YE KI AAINA ME USKI SURAT CHAPTI HO,,
📚FATAWA AMJADIA, JILD-AWWAL, SAFA-184,
➡SAWAL=31::--
FARZE ISHA KE BAAD (Yaane Isha Kee Farz ke Baad) DO (2) RAK'AAT SUNNAT PADHNE KEE NEEYAT KEE, BAJAAY SALAM FERNE KE KHADA HO GAYA YAH KHYAAL KARKE KI DO (2) RAK'AAT NAFL AUR PADHNA HAI, WAH BHI ISME SHAMIL HO JAYEGI, AESI SOORAT ME NAMAZ KA KYA HUKM HAI, NAMAZ HOGI YAA NAHI,---???,,
➡JAWAB=31::--
BEHTAR YAH HAI KE DO (2) RAK'AAT PAR SALAAM FER DE, AGAR SALAAM N FERA AUR DO (2) RAK'AATE AUR MILA LEE JAB BHI NAMAZ HO GAYI, YAANI SUNNATE MU'AK'KADA AUR NAFL DONO ADAA HO GAYI,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD AWWAL, SAFA NUMBER-234,
➡SAWAL=32::--
GULO'BAND YAA PAGDI YAA ROO'MAAL SE PESHANI CHUPI HO TO SAJDA DURUST HOGA YAA NAHI AUR NAMAZ KA KYA HUKM HAI,---???,,
➡JAWAB=32::--
GULO'BAND YAA PAGDI YAA ROO'MAAL SE PESHANI CHUPI HO TO SAJDA DURUST HAI, AUR NAMAZ MAKROOH,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-7, SAFA NUMBER-301,
➡SAWAL=33::--
FARZ KEE NIYAT KEE AUR BAJAAY DO (2) RAK'AT KE TEEN (3) RAK'AT BHARI (भरी ) PADH GAYA, AB YAAD AAYA TO CHOUTHI RAK'AT ME KYA KARE,---???,,
➡JAWAB=33::--
FARZ KEE NIYAT KEE, BAJAAY DO (2) RAK'AT KE TEEN (3) RAK'AT BHARI (भरी ) PADH GAYA, AB YAAD AAYA, TO CHOUTHI KHALI PADHE, BHARI (भरी ) PADHNE KEE JAROORAT NAHI, AUR NAMAZ HO GAYI, AUR SAJDA-E-SAHAW BHI WAAJIB NAHI,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBE-96,
➡SAWAL=34::--
KYA AULIYA-E-KIRAAM KA MAR'TABA KHANA-E-KABA SE AFZAL HAI,_???,,
➡JAWAB=34::--
BILA SHUBA AMBIYA ALAIHISSALAM AUR AULIYA-E-EJAM KA MARTABA KABA-E MUAJJAMA SE AFZAL HAI,
BALKI TURBAT-E-ATHAR JO JISM-E-ANWAR HUZUR SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUTSAL HAI, WO MARTABA ME KABA TO KYA ARSH-E-AALA SE BHI AFZAL HAI,,
JAISA KI SHIFA-E-QAZI AYAAZ ALAIHIRRAHMA ME MAJKUR HAI, MULLA ALI QARI ALAIHI RAHMATULLAH BARI WAGAIRAH NE ISPAR IJMA-E-UMMAT NAKAL FARMAYA HAI,
BALKI EK HADEES ME WARID HAI KI HUZUR-E-AQDAS SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KABA-E-MUAJJAMA KO MUKHATIB KARKE IRSHAD FARMAYA KI ""MOMIN KI HURMAT TUJH SE JYADA HAI,""
TO JAB MOMIN KE MUTALLIK AISA IRSHAD FARMAYA, TO AMBIYA ALAIHISSALAM AUR AULIYA-E-KIRAM TO KAHI BEHTAR AUR BARTAR HAI,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD=4, SAFA NUMBER=393,,
➡SAWAL=35::--
QADAY ULAA ME TASHAH,HUD KE BAAD ""ALLAHUMMA-SALLI-ALAA-MUHAMMAD"" SIRF ITNA PADHA TO NAMAZ KA KYA HUKM HAI,---???,,
➡JAWAB=35::--
QAYEDA ULAA ME TASHAH'HUD KE BAAD ITNA PADHA ""ALLAHUMMA-SALLI-ALAA-MUHAMMAD"" "SAJDA-E-SAHAW" WAAJID HAI, IS WAJAH SE NAHI KEE DAROOD SHAREEF PADHA, BALKI IS WAJAH SE KI TEESRI KE QIYAAM ME TAAKHEER HUYI, TO AGAR ITNI DER TAK SUKOOT KIYA JAB BHI "SAJDA-E-SAHAW" WAAJIB HAI, JAISE QAADA, ROOKOO, W SUJOOD ME QUR'AAN PADHNE SE "SAJDA-E-SAHAW" WAAJIB HAI HALAKI WAH KALAAME ILAAHI HAI,
IMAME AAZAM رضي الله تعالي عنه NE NABI صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO KHWAAB ME DEKHA, HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE IRSHAD FARMAYA:: DUROOD PADHNE WAALE PAR TUMNE KYOO SAJDA WAAJIB BATAYA,
ARZ KEE:: IS LIYE KEE USNE BHOOL KAR PADHA,
HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE TAHSEEN FARMAYI,,
📚DURRE MUKHTAAR, RADDUL MUHTAAR, WAGAIRAH, JILD-1, SAFA NUMBER-694,
📚BAHARE SHARIAT, URDU, HISSA-4, SAFA NUMBER-48, BAHARE SHARIAT, HINDI, HISSA-4, SAFA NUMBER-65,
📚KANOONE SHARIAT, HISSA-1, SAFA NUMBER-104,
➡SAWAL=36::--
NAWAFEEL KA KHADE HOKAR PADHNA TO YAQEENAN BAITH KAR PADHNE SE ZYADA SAWAAB RAKHTA HAI, LEKIN KIS WAQT KE NAFL KO BAITH KAR PADHNE ME KHADE HOKAR PADHNE JAISA SAWAB MILTA HAI,---???,,
➡JAWAB=36::--
BILA UZR NAFL BAITH KAR PADHNE ME WAH SAWAAB NAHI JO KHADE HOKAR PADHNE KA HAI, AUR IS HUKM ME TAMAAM NAWAFEEL KA ISHTARAK HAI, BAAZ LOGO NE WITR KE BAAD KE NAFL KA, IS HUKM SE ISTISNA KIYA HAI MAGAR YAH SAHI NAHI,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-233,
➡SAWAL=37::--
ISHA KEE NAMAZ BA'JAMA'AT HO RAHI HAI, AUR TEESRI RAK'AT ME SHAMIL HUWA, AUR IMAAM KE SALAM FERNE KE BAAD, DONO RAK'AT JAAN BUJH KAR KHALI PADHI, YAANE DONO RAK'ATO ME SIRF ALHAMDO SHAREEF PADHA, TO AESE ME NAMAZ KA KYA HUKM HAI,---???,,
➡JAWAB=37::--
IMAAM KE SALAAM FER DENE KE BAAD DONO RAK'ATO ME ALHAMDO PADHNE KE BAAD KOI SURAT, ""TEEN (3) CHOTI AAYAT YAA AEK (1) BADI AAYAT"" KA PADHNA WAAJIB HAI, AGAR BHOOL KAR CHOD DEGA TO "SAJDA-E-SAHAW" LAAZIM HOGA, AUR JAAN BOOJH KAR CHOD DEGA TO NAMAZ KA "DUBARA PADHNA WAAJIB" HOGA,,
📚FAYAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-3, SAFA NUMBER-294,
➡SAWAL=38::--
AEK SHAKHS KAHETA HAI KE TARA'WEEH ME QUR'AAN MAJEED PADHNE WAALE HAAFIZ SAHEB KO SAWAAB KAM MILTA HAI AUR SUNNE WAALE KO ZYADA MILTA HAI, ISPE DUSRA SHAKHS KAHETA HAI KE PADHNE WAALE HAAFIZ SAHEB KO SAWAAB ZYADA MILTA HAI AUR SUNNE WAALE KO KAM,➖AB SAWAAL YAH HAI KE KISKO ZYADA AUR KISKO KAM SAWAAB MILTA HAI,---???,,
➡JAWAB=38::--
PAHLE WAALE SHAKHS KA QOUL SAHI HAI, BESHAQ TARA'WEEH ME QUR'AAN MAJEED PADHNE WAALE HAAFIZ KO SAWAAB KAM MILTA HAI, AUR SUNNE WAALE KO ZYADA MILTA HAI, IS LIYE KE QUR'AAN MAJEED KA SUNNA FARZ HAI,
AUR ALLAH TAALA KA IRSHAD HAI::
وَإِذَا قُرِئَ ٱلْقُرْآنُ فَٱسْتَمِعُواْ لَهُ وَأَنصِتُواْ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
TARJUMA::-- "YAANI JAB QUR'AAN MAJEED PADHA JAAYE TO ISE KAAN LAGA'KAR SUNO AUR KHA'MOSH RAHO KE TUM PAR RAHAM HO"
✒AUR NAMAZE TARA'WEEH KEE HAR RAK'AT ME SIRF AEK (1) AAYAT KA PADHNA FARZ HAI, AUR PURI SURAH FATIHA PADHNA WAAJIB, AUR IS KE SAATH AEK (1) CHOTI SURAT YAA TEEN (3) CHOTI AAYATE YAA IN KE BARABAR AEK DO AAYTE MILANA WAAJIB HAI, LIHAZA HAAFIZ JAB ITNI TILA'WAT KARNE KE BAAD AAGE BADHA TO WAH SUNNAT ADAA KAR RAHA HAI, AUR SUNNE WAALE SHURU SE AAKHIR TAK SAB FARZ HEE ADAA KIYE, AUR FARZ KA SAWAAB SUNNAT SE ZYADA HAI,,
📚RADDUL MUHTAAR, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-300,
📚GUNIYA, SAFA NUMBER-465,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL,JILD-3, SAFA NUMBER-295 & 296,
➡SAWAL=39::--
THAND KEE WAJAH SE KAI LOG NAMAZ ME ROOMAAL YAA MAFLER WAGAIRAH KO KAAN AUR DADHI PE BAANDH (LAPET) LETE HAI,➖YAANE KE THAND KE SABAB KAAN AUR DAADHI CHUPA KAR NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=39::--
B'HAALTE NAMAZ KAAN CHUPANE ME HARJ NAHI, MAGAR DADHI CHUPANA MAK'ROOH HAI, KE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE IS SE MANA FARMAYE HAI,,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-173,
➡SAWAL=40::--
AESA PAINT (PATLOONG) JO KAAFI DHEELA-DHALA HO, AUR USE PAHEN KAR UTHNE-BAITHNE AUR TAHAA'RAT KARNE ME KOI PARE'SHANI N HO TO AESE PAINT KO PAHEN KAR NAMAZ PADHNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=40::--
HADEES SHAREEF ME HAI RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE IRSHAD FARAMAYA:: JIS NE KISI QOUM SE MUSA'BEHAT KEE TO WAH ISI SE HAI,
📚MISH'KAAT SHAREEF, BABUL LIBAAS, SAFA NUMBER-375,
AUR DOOSRI HADEES SHAREEF ME HAI:: HAZRATE AMEERUL MOMI'NEEN: FAROOQE AAZAM رضي الله تعالي عنه NE FARMAYA:: APNE AAP KO AZMI MAJOOSIYO KE LIBAAS SE BACHAWO, IS LIYE KUFFAR KEE WAJAH KE KAPDE PAHEN'NA HARAAM W NA'JAYEZ HAI, YAANI JO WAJAH INKE SAATH MAKH'SOOS HAI, IS SE BACHNA LAAZIM HAI, AGAR KHAAS IN KEE WAJAH N HO TO ISTE'MAAL KAR SAKTE HAI, KYO KI KISI BHI QOUM KA WAH LIBAAS MAM'NOOA HAI JO IN KE SAATH KHAAS HO, DOOSRE LOG IS KE ISTE'MAAL KE AADI N HO, JIS LIBAAS KO DEKH KAR HAR SHAKHS YAH KAHE KEE YAH FLAA QOUM KA FARD HAI, AUR JO LIBAAS KISI QOUM KE SAATH, KHAAS N HO YAA PAHLE KHAAS THA AB KHAAS N RAHA AAM HO GAYA, WAH KISI QOUM KA KHAAS LIBAAS NAHI KAHLA'YEGA, AGAR'CHE WAH IS QOUM KA IZAAD KARDA HAI,
AALA HAZRAT IMAAM AHMAD RAZA MUHAD'DISE BARAILWEE رضي الله تعالي عنه FARMATE HAI: TASBAH WAHI MAM'NOOA W MAK'ROOH HAI JIS ME FAYEL KEE NIYAT TAS'BAH KEE HO YAA WAH SEEAAN BAD'MAZ'HABO KA SIYAAR KHAAS YAANI SAR'AN KOI HARAJ RAKHTI HO BAGAIR IN SOORTO KE HARGIZ KOI WAJAH MUMA'NIYAT NAHI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF
AUR AALA HAZRAT MUJAD'DIDE AAZAM رضي الله تعالي عنه KE DOUR ME PAINT ANGREZO KA KHAAS LIBAAS AUR SAYAAR THA, JO KOI, KISI PAINT PAHNE HUWE DEKHTA TO KAH DETA KE YAH ANGREZ HAI, IS LIYE AAP NE FATAWA DIYA KE PATLOOG (PAINT) PAHENNA MAK'ROOH HAI, AUR MAK'ROOH KAPDE PAR NAMAZ BHI MAK'ROOH,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
‼{{LEKIN PAINT KA ISTE'MAAL AB BILKUL AAM HO CHUKA HAI, HINDU, MUSLIM HAR KOI ISKO ISTE'MAAL KARTA HAI, KISI QOUM KE SAATH KHAAS N RAHA, IS LIYE AGAR PAINT AESA DHEELA HO KE NAMAZ ADAA KARNE ME DUSWA'RIYA N HO TO ISE PAHEN KAR NAMAZ PADHNA JAYEZ HAI,}}
‼ALBAT'TA MASAAJID KE SAYAAN SHAAN NAHI KE WAH NAYABAT RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم KE MANSAB PAR HAI, LIHAZA WAH PAINT N PAHNE, AUR HARGIZ IS PAR NAMAZ N PADHAYE, BALKE SUN'NATE RASOOLE KHUDA صلی الله تعالٰی عليه وسلم W SUN'NATE SAHABA-E-KIRAAM W AULIYA-E-IJAAM RIZWANULLAAHE TAALA ALAIHIM AZMAYIN, PAR AMAL KARTE HUWE LUNGI YAA PAI'ZAMA KA ISTE'MAAL KARE,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-179 & 180,
➡SAWAL=41::--
JO SHAKHS GUMRAHIYAT KE DAL-DAL ME GARQ HO KAR ALLAH TAALA KE MAHBOOBE AAZAM HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE SHAAN ME TOUHEEN AUR BE-ADBEE KEE WAJAH SE "MURTAD" HO GAYA, AB WO SHAKHS AGAR SACHCHE DIL SE TOUBAH KARE TO USKI TOUBAH KA KYA HUKM HAI,----- YAANE KI HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE SHAAN ME GUSTAKHI KARNE WAALE KEE TOUBAH KA KYA HUKM HAI,---???,
➡JAWAB=41::--
HAR TARAH KE KAFIR KEE TOUBAH QUBOOL HAI, MAGAR HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE SHAAN ME GUSTAKHI KARNE WALE KEE TOUBAH QUBOOL NAHI, AGARCHE IS TOUBAH KARNE SE USE MUSALMAAN MAAN LIYA JAYEGA MAGAR QIYAAS KE TOUR PAR USE QATL ZAROOR KIYA JAYEGA, YAH MAZHAB IMAME MAALIK AUR IMAAM AAZAM RAHMATULLAHE ALAIHIMA KA HAI,,
📚TAFSEER ROOHUL BAYAAN,
AESA SHAKHS JO GUM'RAHIYAT KE DALDAL ME GARQ HO KAR ALLAH TAALA KE MAHBOOBE AAZAM ﷺ KEE SHAAN ME TOU'HEEN AUR BE-ADBI KEE AUR GUSTAKHI-E-RASOOL KE JURM KE IRTI'KAAB KEE WAJAH SE "MURTAD" HO GAYA AUR AGAR AESA MURTAD SHAKHS APNI GALTI KA AETRAAF KARKE SACH'CHE DIL SE TOUBA KARE TO, AGAR WAHA ISLAMI HUKOO'MAT HAI AUR NIZAAME HUKOO'MAT SHARIAT KE QAWAA'NEEN KE MUTAA'BIQ AMAL ME HAI, TO AESE MURTAD SHAKHS KO QAZI-E-SHARIAT ""Islamic Justice"" SAZAAE MOUT DETE HUE QATL KA HUKM DEGA,, CHAHE WO SACH'CHE DIL SE TOUBA KARTA HO, US KEE TOUBA ALLAH TAALA KEE BAAR'GAAH ME CHAHE MAQ'BOOL HO, IN'DAL'LAAH YAANI ALLAH TAALA KEE JANAAB ME US KEE TOUBA QAABILE-QABOOL HO, FIR BHI US KEE MOUT KEE SAZA MAAF NAHI KEE JAYEGI,,
SACH'CHI TOUBA KARNE KE BAAW'JOOD BHI USE QATL KIYA JAYEGA, KYOO KI TOU'HEENE RASOOL AEK (1) AESA SAN'GEEN AUR NAA-QAA'BILE MAAFI JURM HAI KI US KEE SAZA SIRF AUR SIRF MOUT HAI,, GUS'TAKHE RASOOL KEE SAZAAE MOUT SACH'CHE DIL SE TOUBA KARNE PAR BHI ZAA'IL AUR MAAF NAHI HOGI, BALKI TOUBA KE BAAW'JOOD BHI GUS'TAKHE RASOOL KO MOUT KEE SAZA DETE HUE QATL KIYA JAYEGA,,
FIQHE ISLAMI HANFI KEE MO'ATBAR W MUST'NAD W MO'ATMAD KUTUBE JALEELA MASLAN
FATAWA AALAMGIRI,, FATAWA SHAMI,, FATAWA QAZI KHAN,, DURRE MUKH'TAAR,, FAT'HUL QADEER,, KITABUL-KHI'RAAJ,, FATAWA BAZ'ZAA'ZIYA,, FATAWA KHAIRIYA,
WAGAIRA SAIK'DO KITABO ME MUT'TA'FIQA TOUR PAR YE HUKME SHARIAT MAR'KOOM HAI, KI JAHA ISLAMI HUKOO'MAT HO, WAHA GUSTAKHE RASOOL KO MOUT KEE HEE SAZA DEE JAAYE,,
FIQAH, HADEES AUR DEEGAR ISLAMI UNWA'NAAT PAR MUSHT'MIL ISLAMIK LITRACHAR ME SIRF BA'TOURE QANOONE SHARIAT GUSTAKHE RASOOL KE LIE SAZAAE MOUT NAHI LIKHI HUI BALKI IS QANOONE SHARIAT KO SIRF KITABO-QIR'TAAS TAK MAHDOOD N RAKHTE HUE ISE AMLI JAAMAA BHI PAH'NAYA GAYA HAI,, KUTUBE SAIRO-TAWA'REEKH KEE KAI MO'ATMAD-W-MUST'NAD TASA'NEEF JO SAIKDO SAAL PAHLE IR'QAAM KEE GAI HAI, IN KUTUBE SAIRO-TAWA'REEKH ME AESE KASEE'RUT'TA'ADAAD WAA'QIAAT DAST'YAAB HAI KI ISLAMI HUKOO'MAT KE ZERE NIZAAM MAMAA'LIK KE SALAA'TEEN SALE'HEEN NE GUSTAKHE RASOOL KO ALAL-ELAAN MOUT KEE SAZAAE DEE HAI, YE AEK (1) AESI HAQEE'QAT HAI KI JIS KE INKAAR KEE KOI GUN'JAAISH HEE NAHI,,
HADEES SHAREEF KEE MO'ATBAR W MUST'NAD KUTUB MASLAN::---
BUKHARI SHAREEF,, MUSLIM SHAREEF,, ABOO DAUD SHAREEF,, TIRMIZEE SHAREEF,, NASAI SHAREEF,, IBNE MAAJA SHAREEF,, KANJOOL UMMAAL,, WAGAIRA ME MO'ATBAR RAAWIYO KEE RIWAYAT FAR'MOODA AHAADEES SE MAZ'KOOR HAI KI KHUD HUZOOR AQDAS, SARWARE AALAM, RAH'MA'TUL'LIL'AALMEEN ﷺ NE ISLAM SE MUN'HARIF HONE WAALE MUR'TAD'DEEN AUR BAAR'GAAHE RISAALAT KE GUSTAKHO KO MOUT KEE SAZAAE FARMAAI HAI,, AUR WO SAZAAE BHI BAHUT SAKHT AUR IBRAT'NAAK HAI,,
📚JALAALE MUSTAFA صلی الله تعالٰی عليه وسلم,, PAGE=11 se 20,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF W TAFSEER ROOHUL BAYAAN W JALAALE MUSTAFA صلی الله تعالٰی عليه وسلم
➡SAWAL=42::--
AGAR HAM APNE SAHAR (City) SE KISI DUSRE SAHAR (City) GAYE, AUR AGAR WAHA KAHI KOI SUNNI MASJID N MILE, AUR WAHA DEV'BAN'DIYO KEE MASJID HO, TO US MASJID ME TANHA NAMAZ PADH SAKTE HAI YAA NAHI, YAANE KE DEV'BAN'DIYO KEE MASJID ME TANHA NAMAZ PADHNA KAISA,,---???,,
➡JAWAB=42::--
DEV'BANDIYO KEE BANAYI HUYI MASJID SHAR'AN MASJID NAHI, WAH AAM JAGHO KE HUKM ME HAI, IS ME TANHA NAMAZ PADH SAKTE HAI, ALBAT'TA IS ME NAMAZ PADHNE SE MASJID ME NAMAZ PADHNE KA SAWAAB N MILEGA,
🥀ALLAH TAALA KA FARMAAN HAI::
إِنَّمَا يَعْمُرُ مَسَاجِدَ ٱللَّهِ مَنْ آمَنَ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلآخِرِ
👉🏻YAANI MASJID WAHI BANATE HAI JO ALLAH AUR QAYA'MAT PAR IMAAN LAATE HAI,
{{PARA-10, SURAH-AL'TAUBAH, AAYAT NUMBER-18,}}
✒AUR HAZRAT SAD'RUSH'SHARIA ALAI'HIR'RAH'MATO WAR'RIZWAN TAH'REER FARMATE HAI:: WAH GUM'RAAH FIRQE JINKI GUM'RAHI HADDE KUFR TAK PAHUCH CHUKI HO, JAISE QADYANI, WAHABI, RAWAFIZ, IN KEE BANAYI HUWI MASJID, MASJID NAHI,
📖FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-256,
✒AUR DEV'BANDI IMAAM KE PEECHE NAMAZ BAATIL HAI, JO NAMAZ IS KE PEECHE PADH CHUKA HAI, IS KA FERNA FARZ HAI, AESA HEE FATAWA RAZVIYA ME HAI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
✒AUR AGAR DEV'BANDIYO KE AQWAAL KUFRIYA PAR MUTALA HONE KE BAAD IS KE PEECHE NAMAZ PADHI TO KUFR HAI, ULAM-E-AHLE SUNNAT KA BILA IT'TEFAAQ IRSHAD HAI:: JO INKE KAAFIR HONE AUR AZAAB ME SHAK KARE, WO KAAFIR HAI,
AUR AALA HAZRAT MUHAD'DISE BARAIL'WEE رضي الله تعالي عنه FARMATE HAI:: DEV'BANDI AALIME DEEN NAHI, IN KE AQWAAL PAR MUTALA HOKAR INHE AALIME DEEN SAMAJHNA KHUD KUFR HAI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-147 & 148,
➡SAWAL=43::--
POST OFFICE WAGAIARH YAA KAAFIRO KE BANKO ME AGAR KOI MUSALMAAN RUPYA (PAISA) JAMAA KARE, NAFA LENE KE KHYAAL SE YAA HIFAZAT KE KHYAAL SE, AUR IN SE JO ZAYADTEE (Extra) MILTI HO, WO LENA KAISA,---???,,
➡JAWAB=43::--
POST OFFICE WAGAI'RAH YAA KAAFIRO KE BANKO ME AGAR KOI MUSALMAAN RUPYA (PAISA) JAMAA KARE, NAFA LENE KE KHYAAL SE YAA HIFA'ZAT KE KHYAAL SE, AUR IN SE JO ZAYAD'TEE (Extra) MILTI HO, WO ""SOOD NAHI, HALAAL W TAYEEB HAI"",
📚FATAWA MUSTAFFIYA, SAFA NUMBER-422,
➡SAWAL=44::--
CHAIN WALI GHADI PAHEN KAR NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡SAWAL=45::--
JAROORAT SE YAA BAGAIR JAROO'RAT CHASMA PAHEN KAR NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=44::--
CHAIN WAALI GHADI PAHEN KAR NAMAZ PADHNA JAYEZ NAHI HAI,
📝JAISA KE AALA HAZRAT IMAAM AHMAD RAZA MUHAD'DISE BARAIL'WEE رضي الله تعالي عنه FAR'MATE HAI:: GHADI KEE ZAN'ZEER, SONE-CHANDI KEE MARD KO HARAAM AUR DHAA'TU KEE MAM'NOO'A HAI, AUR JO CHEEZE MAM'NOO'A KEE GAYI HAI, IN KO PAHEN KAR NAMAZ AUR IMAA'MAT MAK'ROOHE TAH'REEMI HAI,
📖AHKAME SHARIAT, HISSA-DOM, SAFA NUMBER-170,
✒AUR JO IMAAM CHAIN WALI GHADI PAHENTE HAI AUR NAMAZ KE WAQT NIKAAL KAR RAKH LETE HAI, IN KEE IQTEDA KARNE ME HARZ NAHI,
📝HAZRAT SAD'RUSH'SHARIA ALAI'HIR'RAHMA GHADI LAGA KAR NAMAZ PADHNE AUR IMA'MAT KARNE KE MUT'AL'LIQ SAWAL KE JAWAB ME TAH'REER FAR'MATE HAI:: GHADI AGAR CHAMRE KE TASH'MAH YAA FEETE SE BANDHI HO TO, BAANDH KAR NAMAZ PADHNE ME KOI HARZ NAHI,
AUR AGAR KISI DHAAT, SONE-CHANDI-PEETAL WAGAI'RAH SE BANDHI HAI TO NAMAZ MAK'ROOH HOGI, ISE UTAAR KAR NAMAZ PADHNA CHAHIYE,
📖FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-137,
➡JAWAB=45::--
CHASMA LAGAKAR NAMAZ PADHNA JAYEZ HAI, JAROORAT SE HO YAA BAGAIR JAROORAT,
📖FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-137,
📚AHKAME SHARIAT, HISSA-2, SAFA NUMBER-170,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-137,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-180 & 181,
➡SAWAL=46::--
SAADI-BAYAAH W BARATO ME DAF BAJANA KAISA,---???,,
➡SAWAL=47::--
SYAAH KAPDE PAHENNA KAISA, YAANI SAR SE PAIR TAK SAB KAPDE SYAAH HO,---???,,
➡SAWAL=48::--
CHOTI LADKIYA YAANE BACH'CHIYO KO KAPDE KEE AESI GUDIYA BANAKAR JISKE NAAK NAKSHA N HO, US GUDIYA SE KHELNA KAISA,---???,
➡JAWAB=46::--
SHAA'DIYO ME DAF BAZANA JAYEZ BALKE MAN'DOOB, EID W SHADI KE MOUKE PAR DAF KA BAJANA HADEES SE SAABIT HAI, BALKE IN MOUKE KE GAIR ME BHI AGAR DAF BAJAYA JAYE TO NA'JAYEZ NAHI KAHA JA SAKTA,
📖 FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-137,
➡JAWAB=47::--
SYAAH LIBAAS PAHEN'NA JAYEZ HAI, MAGAR MUHAR'RAM ME DUROOST NAHI, N SAB KAPDE SYAAH PAHENNA, N KOI AEK AADH, KE YAH RAWA'FIZ KA DAS'TOOR HAI, AUR IN KE SAATH TASBA MAM'NOOA,,
📖 FATAWA MUSTAFFIYA, SAFA NUMBER-452,
➡JAWAB=48::--
BANI HUYI GUDIYA JISKE NAAK NAQSAH KUCH NAHI HOTA, MAHEZ KAALE DORE SE KUCH NISHAN KAR DIYE JAATE HAI, IN SE KHELNE ME BACH'CHIYO KE LIYE HARJ NAHI, JAISA KE HADEES UMMUL MOME'NEEN AAISHA SID'DIQA رضي الله تعالي عنها SE ZAAHIR HAI,
📖 FATAWA MUSTAFFIYA, SAFA NUMBER-484,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-137,
📚FATAWA MUSTAFFIYA, SAFA NUMBER-484 aur 452,
➡SAWAL=49::--
BAAD NAMAZ (Namaz ke baad) MUSAL'LE KO POORA LAPET DENA BEHTAR HAI YAA WAISE HEE RAHNE DENA BEHTAR HAI,---???,,
➡JAWAB=49::--
AALA HAZRAT رضي الله تعالي عنه ISI TARAH KE AEK (1) SAWAL KA JAWAB DETE HUWE TAH'REER FAR'MATE HAI::
✒ RASOOLALLAH صلی الله تعالٰی عليه وسلم IR'SHAD FAR'MATE HAI:: KE SHAI'TAAN TUM'HARE KAPDE, APNE ISTE'MAAL ME LAATE HAI, TO KAPDA UTAAR KAR "TAH" KAR DIYA KARO KE IS KA "DAM RAAST" HO JAAYE, KE SHAI'TAAN "TAH" KIYE HUWE KAPDE KO NAHI PAHENTA,,
📖 KANJUL AMAAL, JILD-15, SAFA NUMBER-299,
👉🏻MOAZZAM AUSAT TAB'RANI ME HAI:: KE KAPDE LAPET DIYA KARO KE INKI JAAN ME JAAN AA JAAYE, KE SHAI'TAAN JIS KAPDE KO LAPETA HUWA DEKHTA HAI ISE NAHI PAHEN'TA, AUR JISE FAILA HUWA PAATA HAI USE PAHEN'TA HAI,
📖 KANJUL AMAAL, JILD-15, SAFA NUMBER-299,
👉🏻AUR IBN ABEE AL DUNIYA ME HAI:: KE JAHA KOI BICHOU'NA, BICHA HO, JIS PAR KOI SOTA N HO, IS PAR SHAI'TAAN SOTA HAI,
👆🏻IN AHAADEES SE IS KEE ASAL NIKALTI HAI, AUR PURA LAPET DENA BEH'TAR HAI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-108,
📚(فتاوی رضویہ شریف، جلد6، صفحہ نمبر206)
📚(فتاوی بریلی شریف، صفحہ نمبر113)
📚(بہار شریعت، حصہ16)
📚(فتاوی اتراکھنڈ، صفحہ نمبر131)
📚(تفہیم المسائل، جلد1، صفحہ نمبر171)
➡SAWAL=50::--
MUSALMAAM AURTO KO LAHENGA PAHEN'NA KAISA, JABKE YAH HINDU AURTO KA LIBAAS HAI, AUR AGAR LAHENGA PAHEN KAR AURAT NAMAZ PADHE TO NAMAZ KA KYA HUKM HAI, JABKE SATRE AURAT HO,---???,,
➡JAWAB=50::--
MUSALMAAN AURTO KO LAHENGA PAHENNA NA'JAYEZ HAI KE HINDU SE MUSABEHAT HAI,
📖 FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-26,
👉🏻AUR LAHENGE SE BHI NAMAZ HO JAYEGI JABKI SATR HO JATA HO, MAGAR YAH HINDUWO KA LIBAAS HAI, MUSALMAAN AURTE IS SE IZTENAAB KARE, NAMAZ W BERUN NAMAZ PAIZAMA PAHENNE KEE AADAT RAKHE,
📖 FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-182,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-26 & 182,
➡SAWAL=51::--
IMAAM KO NAMAZE FARZ KE BAAD BATOUR DUA YAH AAYTE KAREEMA:: لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِين ((La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen)) PADHNA AUR ISPE MUQTADIYO KO PEECHE AAMEEN KAHENA KAISA,---???
➡JAWAB=51::--
IMAAM KO NAMAZ KE BAAD BATOUR DUA YAH AAYTE KAREEMA:: لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ ((ला इलाहा इल्ला अन्ता सुबहानका इन्नी कुन्तु मिन अज़ ज़ालिमिन)) PADHNA AUR MUQTADI PEECHE AAMEEN KAHE ""JAYEZ NAHI"" ALBATTA KOI SHAKHS KISI PARESHANI ME MUBTELA HO TO IS AAYAT KO BATOUR WAZEEFA PADH KE ALLAH TAALA SE DUA KARE TO, WO DUA QUBOOL FARMA LETA HAI,
📖 TAFSEERE KABEER, JILD=8, SAFA NUMBER=181 & 182,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-107,
➡SAWAL=52::--
IMAAM KO BAAD NAMAZ B'WAQTE DUA SAJRA AALIYA QADRIYA RAZVIYA:: ""Ya Ilahi Rahem Farma Mustafa Ke Waaste,, Ya Rasool'Allah Karam Kijiye Khuda Ke Waaste"" PADHNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=52::--
MAZKOORA SAJRA AALIYA QADRIYA RAZVIYA MUNJOOM DUA HAI, LIHAZA BAAD NAMAZE B-WAQTE DUA IS KA PADHNA "JAYEZ" HAI, AUR IS DUA KE QABOOL HONE KEE QAWEE UMMEED BHI HAI, KE IS ME IN MAHBOO'BAAN KHUDA KO WASEELA BANAYA GAYA HAI, JIN KE SADQE ME DUA'E QABOOL HOTI HAI, AUR KHUDA KE MAHBOOB BANDO SE TAWAS'SUL JAYEZ HAI, JIS KA RIWAAZ AHLE HAQ KE NAZDEEQ ZAMANAYE NABWEE SE AAJ TAK HAI,
🌸ALLAH AZZAWAJAL KA IRSHAD HAI,::
يَا أَيُّهَا ٱلَّذِينَ آمَنُواْ ٱتَّقُواْ ٱللَّهَ وَٱبْتَغُوۤاْ إِلَيهِ ٱلْوَسِيلَةَ
((Al-Maidah – المائدة))
👉🏻TARJUMA::- AYE IMAAN WAALO ALLAH SE DARO AUR IS KEE TARAF WASEELA DHOON'DHO,
👉🏻AUR WASEELA BANANE SE ROKNA WAHABIYO, DEVBANDIYO KA KHASSA HAI, LIHAZA AGAR KOI SHAKHS IS WAJAH SE IMAAM KO IS DUA SE ROKE YAA IMAAM KE PEECHE NAMAZ PADHNA CHOD DIYA HAI KE IMAAM NAMAZ KE BAAD B-WAQTE DUA SAJRA AALIYA, QADRIYA, RAZVIYA PADHTA HAI TO ZAAHIR YAH HAI KE WO "GUM'RAAH W BAD'MAZHAB HAI," IS LIYE MUSAL'MAANO PAR LAAZIM HAI KI IN SE DOOR RAHE AUR INHE APNE SE DOOR RAKHE,
AESE HEE LOGO KE MUTALLIQ HADEES SHAREEF ME HAI:: KE BAD'MAZHABO SE DOOR RAHO AUR INHE APNE QAREEB N AANE DO, KAHI WAH TUMHE GUM'RAAH N KAR DE, AUR KAHI WAH TUMHE FITNA ME N DAAL DE,
📖 MUSLIM SHAREEF, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-10,
👉🏻LEKIN AGAR IMAAM MAZ'KOORAH BAAD NAMAZ DUA ME MUQAM'MAL SAJRA AALIYA, QADRIYA, RAZVIYA PADHTA HAI JIS ME WAQT ZYADA SARF HOTA HAI, IS BINA PAR AGAR KOI SHAKHS ISKI MUKHA'LEFAT KARE TO WAH HAQ BIZANAB HAI, KE BAAD NAMAZ ITNI TAWEEL DUA MANGNA JO NAMAZIYO PAR GIRAH HO MAM'NOOA HAI,,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-108 aur 109,
➡SAWAL=53::--
JINDAGI KA AESA BIMA YAANE JEEVAN BIMA (Life-insurance) JISME APNA NUK'SAAN N HO, BALKE ZYADA MILE, AESA JEEVAN BIMA (Life-incurance) KARANA KAISA,---???,,
➡JAWAB=53::--
JIN'DAGI KE BIMA KEE BAHUT SEE SOORTE HOTI HAI, BAAZ ME NAFA-NUQ'SAAN DONO HOTE HAI YAH NA'JAYEZ HAI, AUR BAAZ AESI SOORAT HAI KE NUQ'SAAN NAHI HOTA YAH BIMA AGAR KUF'FAAR SE HO TO, JO KUCH ZYADA MILE LENA JAYEZ HAI WARNA NAHI,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-239,
➡SAWAL=54::--
JIS GHAR ME SHADI-BYAAH HO AUR WAHA NAACH-GAANA HO RAHA HO TO AESE ME WAHA JAANA AUR KHANA, KHANA KAISA,---???,,
➡JAWAB=54::--
WOH BATE JIN KA SHARIYAT NE KARNA MANA KIYA HO JAHA GAANA-BAJANA HOTA HO WAHA JAANA HEE NAHI CHAHIYE, AUR AGAR LAA ILMI ME WAHA CHALA GAYA TO HUKM YAH HAI KE AGAR QUDRAT RAKHTA HO TO BAND KAR DE WARNA WAHA SE CHALA AAYE, AUR KHAANA N KHAAYE, AUR AGAR PESHTAR YAH MALOOM HO KE WAHA NAACH WAGAIRAH HAI TO N JAAYE, AALIM HO YAA GAIR AALIM DONO KO AESI JAGAH JAANA MANA HAI,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-4, SAFA NUMBER-42 aur 43,,
➡SAWAL=55::--
ALLAH TAALA KEE SHANE AQDAS ME "SAHAB" KA LAFZ KAHENA KAISA, YAANE KE ALLAH SAHAB KAHENA KAISA,---???,,
➡SAWAL=56::--
YAH KAHENA KAISA KE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم HAMARE "SAHAB" HAI,---???
➡JAWAB=55::--
ALLAH عزوجل PAR LAFZE SAHAB KA ITLAAQ JAYEZ BALKE HADEES ME WAARID HAI::--
👉🏻AYE ALLAH TOO HEE SAFAR ME SAHAB HAI, MAAL AUR AHAL KA TOO HEE MUHA'FIZ HAI,
➡JAWAB=56::--
HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم PAR ITLAQE SAHAB KHUD QUR'AANE MAZEED ME WAARID HAI,::
وَٱلنَّجْمِ إِذَا هَوَىٰ مَا ضَلَّ صَاحِبُكُمْ وَمَا غَوَىٰ
Al-Najm – النجم, Aayat Number= 1 & 2
👉🏻TARJUMA::-- IS PYAARE CHAMAKTE TAARE MUHAMMAD KEE QASAM JAB YAH MERAAJ SE UTRE TUMHARE SAHAB N BAHKE N BERAAH CHALE,
👉🏻MAGAR NAAME AQDAS KE SAATH IS TOUR PAR LAFZE SAAHAB KA MILANA YAH AARAIYO AUR PADRIYO KA SIAAR HAI, WAH ISE MAAROOF TAAZEEM ME LAATE HAI, JO ZAID W UMAR KE LIYE RAYEZ HAI, SHAIKH SAHAB, HARJA SAHAB, PADRI SAHAB, PANDIT SAHAB, LIHAZA IS SE AEHTRAAZ CHAHIYE,
👉🏻HAA YOO KAHA JAAYE KE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم HAMARE SAHAB HAI, AAKA HAI, MAALIK HAI, MOULA HAI,,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-14, SAFA NUMBER-613 aur 614,
➡SAWAL=(57)::--
AGAR BEEWEE KISI WAJAH SE NARAAZ HO GAYI TO, SHOUHAR KA, APNI BEEWEE KO MANANE KEE GARZ SE, BEEWEE KO KHUSH KARNE KE LIYE JHOOT BOLNA KAISA,---???_*
➡SAWAL=(58)::--
ZULM KO DAF'A KARNE KE LIYE RISHWAT DENA KAISA,---???
➡JAWAB=(57)::--
TEEN SOORTO ME JHOOT BOLNA JAYEZ HAI, YAANI ISME GUNAAH NAHI,
👉🏻(1)= AEK JANG KEE SOORAT ME KI YAHA APNE MUQABIL KO DHOKA DENA JAYEZ HAI, ISI TARAH JAB ZAALIM, ZULM KARNA CHAHTA HO USKE ZULM SE BACHNE KE LIYE BHI JAYEZ HAI,
👉🏻(2)= DOOSRI SOORAT YE HAI KI DO MUSALMANO ME IKHTELAAF HAI AUR YE UN DONO ME SULAH KARANA CHAHTA HAI MASLAN AEK KE SAAMNE YE KAH DE KI WAH TUMHE ACHCHA JAANTA HAI, TUMHARI TAAREEF KARTA THA, YAA USNE TUMHE SALAAM BHEJA HAI, AUR DOOSRE DOOSRE KE PAAS BHI ISI QISM KEE BAATE KARE KI UN DONO ME ADAAWAT KAM HO JAAYE AUR SULAH HO JAAYE,
👉🏻(3)= TEESRI SOORAT YE HAI KI BEEWEE KO KHUSH KARNE KE LIYE KOI BAAT KHILAFE WAAQIYA KAH DE,
➡JAWAB=(58)::--
ZULM KO DAF'A KARNE KE LIYE RISHWAT DENA JAYEZ HAI,
📖TAFSEERE NAIMY,
📚BAHARE SHARIAT, HISAA-16, HINDI, ISLAMI AKHLAAQ-O-AADAAB, PAGE NUMBER-181,
📚TIRMIZEE SHAREEF, JILD-4, HADEES NUMBER-1939,
📚TAFSEERE NAIMY,
📚KYA AAP JAANTE HAI, PAGE NUMBER-771,
➡SAWAL=(59)::--
AGAR BACHCHE ME JAAN N AAYI HO, AUR JAROORAT HO YAA MAJBOORI HO TO AESE ME AURAT KA HAMAL SAAQIT KARANA KAISA,,
➡SAWAL=(60)::--
JO PAANI DHOOP SE GARAM HO JAAYE USSE WUJOO YAA GUSL KARNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=(59)::--
CHAAR (4) MAHEENE ME JAAN PAD JAATI HAI, AUR JAAN PAD JAANE KE BAAD HAMAL SAAQIT KARNA HARAAM HAI, AUR AESA KARNE WAALA GOYA, KE QAATIL HAI, AUR JAAN PADNE SE PAHLE AGAR JAROORAT HO TO KOI HARZ NAHI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
➡JAWAB=(60)::--
JO PAANI DHOOP SE GARAM HO JAAYE, IS SE WUJOO W GUSL KARNA MANA HAI, IS LIYE KE IS SE "BARS" (Yaani Safed Daag Ka Marz Hone Ka Andesha) HAI,,
✒HADEES SHAREEF ME HAI:: HAZRAT AAISHA SIDDEEQA رضي الله تعالي عنها SE RIWAYAT HAI WAH FARMATI HAI:: KE MAINE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KE LIYE, DHOOP SE PAANI GARM KIYA TO, AAP NE FARMAYA:: AYE AISHA AAINDA AESA N KARNA, KE IS SE BARS PAIDA HOTA HAI,
📖BAIHQEE SHAREEF, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-11,
✒AUR DUSRI HADEES SHAREEF ME HAI:: HAZRAT UMAR FAROOQE AAZAM رضي الله تعالي عنه NE FARMAYA:: KE DHOOP SE GARAM SHUDA PAANI SE GUSL N KARO, KE IS SE "BARS" PAIDA HOTA HAI,
📖BAIHQEE SHAREEF, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-10,
✒AUR AALA HAZRAT IMAAM AHMAD RAZA MUHADDISE BARAILWEE رضي الله تعالي عنه TAHREER FARMATE HAI:: KE DHOOP KE GARAM PAANI SE MUTLAQAN WUJOO SAHI HAI, MAGAR GARAM MULK GARAM MOUSAM ME, JO PAANI SONE CHANDI KE SIWA, KISI AUR DHAAT KE BARTAN ME DHOOP SE GARAM HO JAAYE, WAH JAB TAK THANDA N HO LE, BADAN KO KISI TARAH PAHUCHNA N CHAHIYE, WUJOO SE N GUSL SE N PEENE SE, MAAZ ALLAH AEHTALAAM BARS HAI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-412,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-3, SAFA NUMBER-252,,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-73 aur 74,,
📚JAWAHIRUL HADEES, PAGE NUMBER-233,,
➡SAWAL=61::--
GUSL KARTE WAQT YAA APNA SOUDA BECHTE WAQT, YAA JIS WAQT AADMI GUSSE ME BEQABOO HO RAHA HO US WAQT YAA JAANWAR ZIBAH KARTE WAQT, DAROOD SHAREEF PADHNA KAISA,---???,,
➡JAWAB=61::--
GUSL KARTE WAQT KALMA W DUROOD SHAREEF PADHNA "MANA" AUR KHILAFE SUNNAT HAI, KE IS WAQT KISI QISM KA KALAAM KARNE AUR DUA PADHNE KI BHI IJAZAT NAHI,
✒HUZOOR SAD'RUSH'SHARIA ALAI'HIR'RAH'MATO WAR'RIZWAN TAHREER FARMATE HAI, GUSL ME SUNNAT YAH HAI KE, KISI QISM KA KALAAM N KARE, N KOI DUA PADHE,
📖 BAHARE SHARIAT, HISSA-2,
📖 SHAMI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-115,
📖 FATAWA AALAMGIRI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-14,
👉🏻KHU'SOO'SIYAAT KE SAATH AATH (8) JAGHE AESI HAIN KI IN MAWAAKE PAR DUROOD SHAREEF PADHNA MANA HAI,,
(1)= AESI JAGAH JAHA NIJASAT HO,
(2)= GEEBAT, JHOOT, WAGAI'RAH NA'JAYEZ BAATE KARTE WAQT HAR GIZ DUROOD N PADHE,
(3)= JIS WAQT AADMI GUSSE ME BEQA'BOO HO RAHA HO,
(4)= B WAQTE MUBASHIRAT,
(5)= PESHAB, PAKHANA KE WAQT,
(6)= SOUDA BECHTE WAQT,
(7)= LAHWO LAYIB YAA KOI NA'JAYEZ KAAM KARTE WAQT,
(8)= JAANWAR ZIBAH KARTE WAQT, YAA TAMAAM UN MAWAAQE'A PAR JAHA SIRF ZIKRE ILAAHI KA HUKM HAI, DUROOD SHAREEF NAHI PADHNA CHAHIYE,
📖 JAWAHIRUL HADEES, PAGE-48,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-69,
📚JAWAHIRUL HADEES, PAGE NUMBER-48,
➡SAWAL=(62)::--
PAHELI SAF ME JAGAH HOTE HUWE, DUSRI SAF ME KHADA HONA KAISA,---???,,
➡JAWAB=(62)::--
SAFE AWWAL ME JAGAH HOTE HUWE DOOSRI SAF ME KHADA HONA MAKROOH W MAMNOOA HAI,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-198 & 199,
➡SAWAL=(63)::--
NEEYAT BAANDHNE KE BAAD سُبْـحانَكَ اللّهُـمَّ (Subhanaka allahumma) PADHNE ME JUMLA َلا إِلهَ غَيْرُك (la ilaha ghairuka) YAANE KALMAY "LAA" PAR DAAHINE HAATH KEE SHAHADAT KEE UNGLI UTHA'NA KAISA,---???,,
➡JAWAB=(63)::--
SANA ME ANGUSTE SAHADAT UTHANA BEHTAR HAI, KE YAH ISHRA BAYAANE TOUHEED HAI, HADEES ME HAI AEK (1) SAHAB DO (2) UNGLIYO SE ISHARA KARTE THE, UN SE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE FARMAYA:: AEK (1) SE ISHARAH KARO, AEK (1) SE ISHRAH KARO, AUR MAQSOOD YAH HAI KE ZUBAAN SE ALLAH عزوجل KEE TOUHEED BAYAAN KEE, DIL ME ISKA AETEQAAD HAI, JAWAREH SE BHI ISHARAH HO KI JENAN O LISAN O ARKAN SAB MAWAFIQ HON,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-72,73,
➡SAWAL=64 & 65::
AEK AURAT KEE SHADI HUI AUR KUCH HEE AR'SHE KE BAAD USKA SHOU'HAR INTE'QAAL KIYA, USKE BAAD US AURAT NE APNE DEVAR SE NA'JAYEZ TA'ALLUQ KAR LIYA, AUR DEVAR KE SAATH CHALI GAYI, AUR US AURAT NE APNE DEVAR SE NIKAAH NAHI KIYA THA AUR WAH AURAT HAAMLA HO GAYI, LADKA PAIDA HONE KE BAAD US AURAT KA NIKAAH AURAT KE DEVAR KE SAATH HUA, AB WAH LADKA HAAFIZE QUR'AAN HO GAYA HAI,
👇🏻AB SAWAL YAH HAI KE👇🏻
👉🏻SAWAL=(64)::--
AGAR KOI DUSRA SHAKHS IS HAAFIZ MAZ'KOO'RAH SE TAHARAT W NAMAZ KA ILM ZYADA RAKHTA HO TO AESE ME IS HAAFIZ SAHEB KO IMAAM BANANA KAISA,---???,
👉🏻SAWAL=(65)::--
AGAR WAH HAAFIZ MASAYEL TAHAARAT W NAMAZ SAB HAAZ'REEN SE ZYADA JANTE HO TAB INHE IMAAM BANANA KAISA,---???,
➡ JAWAB=(64)::--
AGAR KOI DUSRA SHAKHS, HAAFIZ MAZKOORAH SE TAHARAT W NAMAZ KA ILM ZYADA RAKHTA HO TO IS HAAFIZ KO IMAAM BANANA MAK'ROOHE TAN'ZEEHI YAANE KHILAFE AULA HAI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-305,
➡JAWAB=(65)::--
AGAR WAH HAAFIZ MASAYEL TAHARAT W NAMAZ SAB HAZEREEN SE ZYADA JAANTE HO TO INHE IMAAM BANANA BILA KARAAHAT JAYEZ HAI, AGAR KOI DUSRI WAJAH MANAH IMAAMAT N HO,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-305,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-305,
➡SAWAL=66::--
BILA JAROORAT BAZAAR ME UTHNE-BAITHNE WALE YANE BAZAAR ME BAITHNE WALE SHAKHS KE PEECHE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=66::--
BILA JAROORAT BAZAAR ME BAITHNE WAALE KE PEECHE NAMAZ PADHNA MAKROOH HAI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-1, SAFA NUMBER-307,
➡SAWAL=67::--
KHAREED W FAROKHT WAGAIRAH, YAANE JAROORIYAAT KE LIYE BAZAAR ME JO SHAKHS BAITHE, USKE PEECHE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=67::--
KHAREED W FAROKHT, WAGAIRAH ZAROO'RIYAAT KE LIYE BAITH'NE WALE KE PEECHE NAMAZ PADHNE ME SHAR'AN KOI KABAAHAT NAHI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-1, SAFA NUMBER-307,
➡SAWAL=68::--
LADKI SUNNI AUR LADKA DEVBANDI, IMAAM SAHEB NE KAHA KE MAI NIKAAH NAHI PADHAUNGA, TO KUCH LOGO NE IMAAM SAHEB SE KAHA KE AAP LADKE KO SAATO KALMA PADHA KE NIKAAH PADHA DIJIYE, BAAD ME LADKA SUNNI RAHE YAA DEVBANDI, TO IMAAM SAHEB NE BAAT MAAN KAR LADKE KO SAATO KALMA PADHA KAR NIKAAH PADHA DIYA,➖AB SAWAL YAH HAI KE IMAAM SAHEB KA NIKAAH PADHANA KAISA,
♦NOTE::-- Agar imaam saheb nikaah n padhate to sunni w devbandi ka shadeed hangama ho jata, chooki yaha ghul mil palicy chalti hai, Aur devbandiyo kee aksariat hai,
➡JAWAB=68::--
DEVBANDI APNE KUFRIYA AQAYED, HIFZUL IMAAN, TAH'JIRUN'NAAS, BARA'HINE QATEHA, KEE BINA PAR, KAFIR W MURTAD HAI,
📖 HUSSAMUL HAR'MAIN,
👉🏻AUR AALA HAZRAT, IMAAM AHMAD RAZA, MUHAD'DISE BARAIL'WEE رضي الله تعالي عنه FATAWA TAH'REER FARMATE HAI KE, WAHABI, NECHRI, QAADYANI, GAIR MUKALLID, DEV'BANDI, CHAKRALWI, YAH QAT'AN, YAQEE'NAN, KUF'FAAR W MURTAD'DEEN HAI,
📖 FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
👉🏻AUR MURTAD MARD KA NIKAAH, MURTADAH AURAT, MUSLIMAH AURAT, YAA KAFIRA ASLIYA SE JAYEZ NAHI, AUR AESA HEE MURTADA AURAT KA NIKAAH KISI SE JAYEZ NAHI,
📖 FATAWA ALAMGIRI,
👉🏻LIHAZA DEVBANDI LADKE KA NIKAAH SUNNI LADKI SE HARGIZ NAHI HUA, AGARCHE YAH KALMA PADHANE KE BAAD NIKAAH PADHAYA GAYA, IS LIYE KE DEVBANDI MURTAD TO KALMA PADHTA HEE RAHTA HAI, KHULASA YAH KE DEVBANDI KO KALMA PADHA KE IS KA NIKAAH PADHA DENA SHAI'TANI FAREB HAI, AUR HARGIZ JAYEZ NAHI,
👉🏻ALBATTA AGAR WAH DEVBAN'DIYAT SE TOUBA KAR LE, AUR DEVBANDI PESHWAO KO KAFIR MURTAD KAHE, AUR SUNNI SAHEEUL AQEEDA HONE KA IQRAAR KARE, TO IS KE BAAD AEK ZAMANAH DARAAZ TAK ISE CHOD DE, AUR IS KE AEHWAAL PAR GAHRI NAZAR RAKHE, JAB PURA YAQEEN HO JAAYE KE WAQAYI WAH SUNNI SAHEEHUL AQEEDA HO GAYA, NIYAAZ, FATEHA WAGAIRAH KARTA HAI, AUR DEVBANDIYO SE BILKUL MEL JOL NAHI RAKHTA, AUR SAB GUMRAAH FIRKO SE NAFRAT KARTA HAI, TAB IS KA NIKAAH SUNNI LADKI SE JAYEZ HOGA,
👉🏻LIHAZA DEVBANDI JAANTE HUWE SIRF KALMA PADHA KAR, FOURAN SUNNIYA SE NIKAAH PADHANE KE SABAB IMAAM MAZ'KOORA SAKHT GUNAH-GAAR W FAASIQ HAI, AUR JNAA KA DARWAZA KHOLNE WAALA HAI, IS PAR LAAZIM HAI KE ELANIYA TOUBA W ASTAG'FAAR KARE, NIKAAH MAZ'KOORAH KE BAATIL HONE KA ELAAN AAM KARE, AUR NIKAKHANA PAISA BHI WAAPAS KARE, AGAR WAH AESA N KARE TO SAB MUSALMAAN IS KA BAAY KAAT KARE,
👉🏻AUR IMAAM MAZ'KOORAH KE PEECHE NAMAZ PADHNA JAYEZ NAHI, KE PADHNI GUNAAH, AUR JO PADH LEE IS KAA DOH'RANA WAAJIB HAI,
👉🏻AUR LOGO KA YAH KAHENA HARGIZ DURUST NAHI KE SAATO KALMA PADHA KE NIKAAH PADHA DIJIYE, BAAD ME CHAHE SUNNI RAHE YAA DEVBANDI, IS LIYE KE FATAWA DENA MUFTI KA KAAM HAI, ZAAHIL KA NAHI,
HADEES SHAREEF ME HAI KE JO BE ILM FATAWA DE IS PAR AASMAAN W ZAMEEN KE FARISTO KEE LAANAT HAI,
📖 KANJOOL AMAAL, JILD-2, SAFA NUMBER-193,
👉🏻LIHAZA GALAT MASLA BATANE KE SABAB, JO SAATO KALMA PADHA KE NIKAAH KARNE KO KAHE WO SAB SAKHT GUNAH GAAR HUWE, UN SAB PAR LAAZIM HAI KE ELANIYA TOUBA W ASTAG'FAAR KARE, AUR AAINDA BE ILM MASLA BATANE KEE HARGIZ JUR'RAT N KARE,
👉🏻AUR YAH IMAAM SAHEB NIKAAH N PADHATE TO, SUNNI DEVBANDI ME SHADEED HANGAMA HO JAATA, HARGIZ QAABILE QUBOOL NAHI, KE NIKAAH N PADHANE PAR HANGAME KA SIRF ANDESHA THA, AUR PADHA DENE PAR JNAA KA DARWAZA KHOLNA MUTAQQIQ HAI JO NIHAAYAT KHABEES AUR SAKHT HARAAM HAI,
🌷ALLAH TAALA KA IRSHAD HAI🌷
وَلاَ تَقْرَبُواْ ٱلزِّنَىٰ إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَآءَ سَبِيلاً
TARJUMA::-- JNAA KE QAREEB N JAWO, KE WAH BEHAYAYI AUR BURI RAAH HAI,
((Bani-Israil – الإسرﺃ Aayat-32,))
👉🏻LEHAZA CHAAHE HANGAMA HO YAA DEVBANDI WAGAIRAH KEE AKSARIAT KISI BHI SOORAT ME KAAFIR W MURTAD, GUMRAAH W BADMAZHAB, LADKA YAA LADKI KA NIKAAH PADHANE KEE HARGIZ IJAZAT NAHI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER=440-441-442,
➡SAWAL=69::--
AEK SHAKHS NE APNI LADKI KAA NIKAAH AEK DEVBANDI LADKE SE KAR DIYA, JAB USSE PUCHA GAYA TO WO KAHETA HAI KE MERI BAHUT BADI MAZBOORI THI, AGAR MAI AESA NAHI KARTA TO MERI LADKI KISI HAADSHA KA SHIKAAR HO JAATI, WAGAIRAH WAGAIRAH, AB AESI SOORAT ME US NIKAAH KA KYA HUKM HAI,---???
➡JAWAB=69::--
DEVBANDI APNE KUFRIYA AQAYED, HIFZUL IMAAN, TAH'JIRUN'NAAS, BARA'HINE QATEHA, KEE BINA PAR, KAFIR W MURTAD HAI,
📖 HUSSAMUL HAR'MAIN,
👉🏻AUR AALA HAZRAT, IMAAM AHMAD RAZA, MUHAD'DISE BARAIL'WEE رضي الله تعالي عنه FATAWA TAH'REER FARMATE HAI KE, WAHABI, NECHRI, QAADYANI, GAIR MUKALLID, DEV'BANDI, CHAKRALWI, YAH QAT'AN, YAQEE'NAN, KUF'FAAR W MURTAD'DEEN HAI,
📖 FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
👉🏻AUR MURTAD MARD KA NIKAAH, MURTADAH AURAT, MUSLIMAH AURAT, YAA KAFIRA ASLIYA SE JAYEZ NAHI, AUR AESA HEE MURTADA AURAT KA NIKAAH KISI SE JAYEZ NAHI,
📖 FATAWA ALAMGIRI,
✍🏻LADKA MAZ'KOORA AGAR, WAAQAYI NAAM NIHAAD, JAMATE ISLAME HIND SE TA'ALLUQ RAKHTA HAI, JO DEVBANDI MAZHAB KEE AEK (1) SAAKH HAI, TO US SHAKHS KEE LADKI KA NIKAAH, IS KE SAATH JAYEZ N HUWA,
👉🏻AUR US SHAKHS KA YAH KAHENA BILKUL GALAT HAI KE NIKAAH N KARTE TO LADKI KISI HAAD'SHE KA SHIKAAR HO JAATI, IS LIYE KE YAHI BAHANA BANA KAR HAR AEK (1) MURTADO SE RISHTA KAREGA, TO ISLAM KA KANOON HEE MIT JAYEGA,
👉🏻AUR AGAR WAQAYI NIKAAH DEVBANDI KE SAATH N KARNE PAR LADKI KISI HAAD'SHE KA SHIKAAR HO JAATI, TO IS KA KHULA HUWA MATLAB TO YAH HUWA KE US SHAKHS NE APNI LADKI KO PARDE ME NAHI RAKHA USE AZAAD CHODA, YAHA TAK DEVBANDI LADKE SE IS KA AESA TA'ALLUQ HO GAYA KE AGAR IS KE SAATH WAH SHAKHS APNI LADKI KEE SHADI NAHI KARTA, TO LADKI KISI HAADSHA KA SHIKAAR HO JAATI, NOUZ BILLAAH-------
SHARIAT ME AESE SHAKHS KO DAYOOS KAHA JAATA HAI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER:431-432,
➡SAWAL=70::--
KYA AEK SUNNI LADKE KA NIKAAH AEK DEVBANDI LADKI SE HO SAKTA HAI, JABKE LADKI SUNNI BANNE KO BHI TAY'YAR HAI, AUR SUNNI LADKA KAHETA HAI KE AGAR MERI SHADI IS LADKI SE NAHI HUI TO MAI KHUD KHUSHI KAR LUNGA, AB AESI SOORAT ME NIKAAH KA KYA HUKM HAI,---???
➡JAWAB=70::--
DEVBANDI APNE KUFRIYA AQAYED, HIFZUL IMAAN, TAH'JIRUN'NAAS, BARA'HINE QATEHA, KEE BINA PAR, KAFIR W MURTAD HAI,
📖 HUSSAMUL HAR'MAIN,
👉🏻AUR AALA HAZRAT, IMAAM AHMAD RAZA, MUHAD'DISE BARAIL'WEE رضي الله تعالي عنه FATAWA TAH'REER FARMATE HAI KE, WAHABI, NECHRI, QAADYANI, GAIR MUKALLID, DEV'BANDI, CHAKRALWI, YAH QAT'AN, YAQEE'NAN, KUF'FAAR W MURTAD'DEEN HAI,
📖 FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
👉🏻AUR MURTAD MARD KA NIKAAH, MURTADAH AURAT, MUSLIMAH AURAT, YAA KAFIRA ASLIYA SE JAYEZ NAHI, AUR AESA HEE MURTADA AURAT KA NIKAAH KISI SE JAYEZ NAHI,
📖 FATAWA ALAMGIRI,
✍🏻SUNNI SAHEEUL AQEEDA, LADKE KEE SHADI, DEVBANDI LADKI SE HARGIZ NAHI HO SAKTI, AGARCHE WAH SUNNI HONE KE LIYE TAYYAR HAI, IS LIYE KE IS TARAH KE MOUQE PAR DEVBANDI APNA MATLAB NIKAALNE KE LIYE BAZA'HIR SUNNI BAN JAATE HAI, MAGAR HAQEE'QAT ME WAH APNE MAZHAB PAR QAAYAM RAHTE HAI, AUR KUCH DINO KE BAAD, APNE RISHTE DAARO KO DEVBANDI BANA LETE HAI, HAA AGAR LADKI KE SUNNI HONE KE SAATH, LADKI KE GHAR WAALE BHI SUNNI SAHEEUL AQEEDA HO JAAYE TO, DO TEEN SAAL TAK DEKHA JAAYE KE WAH SUN'NIYAT PAR QAAYEM HAI YAA NAHI, JAB KHOOB ITMI'NAAN HO JAAYE KE WAH SUN'NIYAT PAR QAAYEM HAI, TAB IN SE RISHTA HO SAKTA HAI, IS SE PAHLE HARGIZ IJA'ZAT NAHI,
JAISE KE SHARAAB PEENE WAALA AGAR TOUBAH KAR LE TO FOURAN USE IMAAM NAHI BANA DIYA JAYEGA, BALKE ITMI'NAAN KE LIYE KICH ROZ USE DEKHA JAAYEGA,
👉🏻FATAWA ALAMGIRI SE FATAWA RAZVIYA ME HAI, KE FAASIQ TOUBAH KAR LE TAB BHI IS KEE GAWAHI NAHI QABOOL KEE JAAYEGI, JAB TAK KE, ITNA WAQT N GUZAR JAAYE KE IS PAR TOUBAH KA ASAR ZAAHIR HO,
📖 FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
👉🏻 AUR KHUD KISI KEE DHAMKI PAR BHI KISI BAD'MAZHAB AUR MURTAB KE SAATH SHADI KARNE KEE IJA'ZAT SHARIAT HARGIZ NAHI DE SAKTI, WARNA HAR WAH SHAKHS JO IN KE YAHA SHADI KARNA CHAA'HEGA KHUD-KHUSHI KEE DHAMKI DE KAR SHADI KAR LEGA, TO IMAAN UTH JAAYEGA,
AUR WAH AGAR WAAQAYI KHUD-KHUSHI KAREGA TO, ISLAM W SUN'NIYAT KA KUCH NAHI BIG'DEGA, APNI AAQBAT BAR'BAAD KAREGA, JAHAN'NAMI HO JAYEGA, KISI HAAL ME DEVBANDI KE YAHA SHADI KARNE KE LIYE SHARIAT KEE IJAZAT NAHI,
AGAR LADKA, DEVBANDI KEE LADKI KE SAATH SHADI KARNE SE BAAZ N AAYE TO, SAARE MUSALMANO PAR LAAZIM HAI KE IS KA SAKHT SAMAJI BAAY KAAT KARE, AUR IS KE KISI KAAM ME HARGIZ SHIRKAT N KARE,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER:434-435,
➡SAWAL=(71)::--
AGAR HAAJAT HO AUR FITNA KA ANDESHA N HO TO AESE ME AURAT KO PHONE YAA MIBILE PE GAIR MARD SE BAAT KARNA KAISA,_
➡JAWAB=(71)::--
AURAT KEE AAWAAZ BHI AURAT HAI, AUR AURAT KO APNI AWAAZ KA CHIPANA WAJIB HAI, IMAME AHLE SUNNAT, MUJAD'DIDE AAZAM, AALA HAZRAT رضي الله تعالي عنه SE SAWAL HUA KE, KITNE AESE SHAKHS HAI, JIN SE AURTO KO GUF'TA'GOO KARNA AUR IN KO APNI AAWAAZ SUNANA JAYEZ HAI, TO AALA HAZRAT رضي الله تعالي عنه TAHREER FARMATE HAI, TAMAAM MAHARAM, AUR HAAJAT HO AUR ANDESHAY FITNA N HO N KHALWAT HO TO PARDA KE ANDAR SE BAAZ NA-MAHRAM SE BHI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-9, SAFA-161,
👉🏻IS IBA'RAT SE MALOOM HUA KE AGAR WAAQAYI HAAJAT HAI, ANDE'SHAY FITNA AUR KHALWAT NAHI HAI, TO AURAT KO APNI AAWAAZ NA-MAHRAM KO SUNANA JAYEZ HAI, TO AGAR PHONE PAR AURAT KEE AWAAZ AURAT HEE MAAN LEE JAAYE, AUR HAAJAT HAI, AUR ANDE'SHAY FITNA NAHI HAI, TO PHONE PAR AURAT KA DUSRE MARD KO JAROORI BAAT BATANA JAYEZ HOGA,
📚FATAWA BARAILY SHAREEF, SAFA NUMBER-285-286,
➡SAWAL=(72)::--
AURTO (Ladkiyo) KO SURAY YUSOOF KA TARJUMA PADHNA YAA SURAY YUSOOF KEE TA'ALEEM SEEKHNA KAISA,---???
➡JAWAB=(72)::--
AURTO KO SURAY YUSOOF KEE TA'ALEEM SE ROKNE ME MASLEHAT YAH HAI KE ISME HAZRAT YOSOOF عليه السلام KE HUSN W ZAMAAL KA JIKR HAI, AUR ZANAAN MISR KE FITNAH ME MUBTALA HONE KA ZIKR HAI, JAB AURTE IS KO PADHEGI TO IN KA FITNA ME PADNE KA ANDESHA HAI,
📚FATAWA BARAILY SHAREEF, SAFA NUMBER-287,
➡SAWAL=(73)::--
AESA SHAKHS JISKI BEEWEE BE-PARDA GHOOMTI FIRTI HO, AUR SHOUHAR BAAWJOOD KUDRAT USE MANA N KARTA HO, TO AESE SHAKHS KE PEECHE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=(73)::--
JIS SHAKHS KEE BEEWEE BE-PARDA GHUMTI FIRTI HO, AUR SHOUHAR BAAWJOOD QUDRAT USE MANA N KARTA HO TO, TO YAH BHI FAASIQ HAI, AUR ISKE PEECHE NAMAZ "MAKROOHE TAHREEMI"",
AUR AGAR SHOUHAR TAYDE QUDRAT USE ROKTA HO, MAGAR WAH NAHI MAANTI, TO SHOUHAR GUNAH GAAR NAHI, AUR AGAR WAH SHAKHS PABANDE NAMAZ N HO TO, BILA SHUBHA FAASIQ HAI, AUR USE IMAAM BANANA NA'JAYEZ AUR US KE PEECHE NAMAZ MAKROOHE TAHREEMI, WAJIBUL IYAADA,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-250-251,
➡SAWAL=(74)::--
AEK (1) SANAD YAFTA MOULANA SAHAB JINKI AKSAR FAJAR KEE NAMAZ QAZA HO JATI HAI, AUR WAH BAZAAR ME HOTEL PAR BAITH KAR CHAAY WAGAIRAH PEETE HAI, AESE MOULANA SAHEB KE PEECHE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=(74)::--
JIS MOLVI KEE FAZAR KEE NAMAZ AKSAR QAZA HO JAATI HAI, WAH FAASIQ HAI, IS KE PEECHE NAMAZ PADHNA "MAKROOHE TAHREEMI, WAJIBUL IYAADA" HAI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-303,
➡SAWAL=(75)::--
JAB TAK HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم AUR AAPKI UMMAT JANNAT ME DAKHIL N HO JAYE, US WAQT TAK SABIQA AMBIYA (Alaimussalam) W UNKI UMMATO PAR JANNAT KA KYA HUKM HAI,---???,
➡JAWAB=(75)::--
HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم FARMATE HAI, JANNAT PAIGAMBARO PAR "HARAAM" HAI JAB TAK MAI ISME DAA'KHIL N HOU, AUR UMMATO PAR "HARAAM" HAI JAB TAK MERI UMMAT N DAA'KHIL HOYE,,
(Alaihimussalam)
📚FAYAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-30, SAFA NUMBER-196 & 231,
➡SAWAL=(76)::--
JANAZE KE SAATH-SAATH NAAT SHAREEF PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=(76)::--
JANAZAH KE SAATH-SAATH, NAAT SHA'REEF PADH'NA JAYEZ HAI,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-309,
➡SAWAL=(77)::--
IMAAM AGAR NAMAZE ZAHRI ME SAHWAN (Bhool'kar-Dhoke se) AAHISTA PADH JAAYE TO NAMAZ KA KYA HUKM HOGA.
➡JAWAB=(77)::--
SAJDA-E-SAHAW WAAJIB HOGA, JAB KE AEK (1) AAYAT KE QADR PADH LIYA HO, TARK WAAJIB, YAH IS SOORAT ME HAI KE SHAH'WAN AESA HO, AUR QAS'DAN AESA KIYA TO IYAADA WAAJIB, KE SAJDA SAHAW IS WAQT KAAFI HOTA HAI JAB SHAH'WAN TARK WAAJIB HO, AUR QASDAN TARK WAAJIB ME SAJDA SAHAW NUKSAAN KO PURA NAHI KAR SAKTA,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-276,
➡SAWAL=(78)::--
ALLAH TAALA KE LIYE LAFZE "AAP" KA ISTE'MAAL KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=(78)::--
TAZEEM KEE NIYAT SE ALLAH عزوجل KO AAP KAH SAKTE HAI,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-131,
➡SAWAL=(79)::--
PYARE ALLAH KAHENA KAISA, ( Pyare ALLAH Ham Sab Kee Magfirat Farma ) IS TARAH KAHENA KAISA,---???
➡JAWAB=(79)::--
IS TARAH DUA MANGNE ME KOI HARJ NAHI, PYARE KE MAANI MAHBOOB KE HAI,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-142,
➡SAWAL=80::--
HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO MERE MAHBOOB KAHENA KAISA, (Yaane Ke Apne Aaqa RASOOLE AAZAM صلی الله تعالٰی عليه وسلم Ko Kya Aese Kaha Jaa Sakta Hai Ke Mere Mahboob Hai)---???
➡JAWAB=80::--
JAROOR YAH KAHA JAA SAKTA HAI, SAHABA KIRAAM NE HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO "JEE" KAHA HAI, JIS KA TARJUMA YAHI HAI MERE MAHBOOB,
📚 FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-282,
➡SAWAL=81::--
HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO AALIMUL GAIB KAHENA KAISA,---???
➡JAWAB=81::--
HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO ALLAH عزوجل NE ZAMEEH MAAKAAN W MAAYAKOON KA ILM ATAA FARMAYA THA, HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم BILA SHUBAH GAIB JAANTE THE, GAIB DAA HAI, MAGAR HUZOOR PAR LAFZE AALIMUL GAIB KA ITLAAQ DURUST NAHI, LAFZ AALIMUL GAIB ALLAH عزوجل KE SAATH KHAAS HAI, DUSRE PAR IS KA ITLAAQ DURUST NAHI, IS KEE MISAAL LAFZ RAHMAAN HAI, IS KE BAAW'JOOD KE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم RAH'MA'TUL'LIL AALMEEN HAI, QUR'AAN ME HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO RAHEEM FARMAYA GAYA, FIR BHI HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO RAHMAAN KAHENA JAYEZ NAHI, IS LIYE YAH LAFZ ALLAH عزوجل KE SAATH KHAAS HAI, WAISE HEE LAFZ AALIMUL GAIB HAI KE IS KE BAAW'JOOD KE HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم ZAMEEH MAAKAAN W MAAYKOON KE AALIM HAI, HUZOOR KO AALIMUL GAIB KAHENA DURUST NAHI, IS LIYE KE ALLAH عزوجل KE SAATH KHAAS HAI,
MAGAR WAHABI, DEVBANDI IS SE YAH MURAAD LETE HAI KE HUZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم GAIB NAHI JAANTE, YAH IN KEE GUMRAHI HAI,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-448, 454 aur 455,
➡SAWAL=82::--
ISLAM NE JIN RISHTO ME NIKAAH HALAAL KARAAR DIYA HAI, UNHE HARAAM JANNA KAISA,---???
{{Jaise, Bhai-Bhai, Bhai-Bahen, Yaa Maamu-Khala, Kee Aulaad Agar Aek (1) Gotr Ke Hai, In Se Shadi-Byaah Ko Haraam Samajhna Yaa Haraam Karaar Dena Kaisa,}}---???
➡JAWAB=82::--
YAHA DO (2) BAATE HAI, AEK (1) TO YAH KE, CHCHA, FOOFI, KHALA, MAMU, KEE LADKIYO SE NIKAAH NAHI KARTE MAGAR HALAAL JAANTE HAI, HARAAM NAHI KAHTE TO SIRF AEK (1) NAA-PASANDEEDA BAAT HAI, KE SHARIAT NE JISE HALAAL FARMAYA ISE NAA-PASAND SAMAJHNA SAKHT MAHYOOB BAAT HAI, LEKIN AGAR IN RISHTO KO HARAAM SAMAJHTE HAI TO HUKM BAHUT SAKHT HAI, ALLAH KEE HALAAL KEE HUYI CHEEZO KO HARAAM SAMAJHNA "KUFR" HAI, JIN AURTO SE ALLAH NE NIKAAH HARAAM FARMAYA, IN KEE TAFSEEL ZIKR KARNE KE BAAD TASHREEH KAR DEE, ISI SOORAT ME IN PAR JO HALAAL RISHTO KO HARAAM JAANE, UN PAR TOUBAH AUR KALMA PADH KAR FIR SE MUSALMAAN HONA AUR APNI AURTO SE DUBARAH NIKAAH KARNA WAAJIB HAI,
📚 FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA NUMBER-426 & 427,
➡SAWAL=83::--
AEK (1) SHAKHS KOI HARAAM KAAM KAR RAHA HO YAA KHEL RAHA HO, WAHA PE DUSRA SHAKHS HAAZIR HUA, TO PAHLE WAALE SHAKHS NE DUSRE SHAKHS KO KAHA AAWO AAP BHI, ISPE DUSRA SHAKHS KAHETA HAI KE BARAK'ALLAH,➖AB SAWAL YAH HAI KE KISI HARAAM KAAM PE BARAK-ALLAH KAHENA KAISA,---???
➡JAWAB=83::--
DUSRE SHAKHS PAR TOUBAH, TAZDEEDE IMAAN, TAZDEEDE NIKAAH LAAZIM HAI, KISI HARAAM KARNE PAR BARAK-ALLAH KAHENA "KUFRE SAREEA HAI,
📚 FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-2, SAFA NUMBER-289,
➡SAWAL=84::--
AEK (1) MASJID KEE AAMDANI KO DUSRI MASJID ME SARF KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=84::--
AEK (1) MASJID KEE AAMDANI, DOOSRI MASJID ME SARF NAHI KEE JAA SAKTI,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-3, SAFA NUMBER-118,
➡SAWAL=85::--
MASJID KA PAT'THAR AGAR MASJID KE KAAM KA N RAHA, AUR AHLE MUHALLA KE MASH'WARE SE BECHA GAYA, TO US PATTHAR KO KHAREEDNA AUR KHAREED KAR APNE GHAR ME LAGANA KAISA,---???
➡JAWAB=85::--
MASJID KA PAT'THAR AGAR MASJID KE KAAM KA N RAHA, AUR AHLE MUHALLA KE MASHWARE SE BECH DIYA GAYA TO, USKA KHAREEDNA JAYEZ, AUR MAKAAN ME LAGANA BHI JAYEZ, MAGAR IS KO BE-AHTIYAATI KEE JAGAH MASLAN PAKHANA (Bathroom) ME N LAGAYE, AUR AGAR WAISE HEE KOI UTHA KAR LE GAYA, AUR APNE MAKAAN ME LAGA LIYA TO, AISA KARNA HARAAM HAI, AUR IS KE MAKAAN SE NIKALWAKAR, MASJID ME DAAKHIL KIYA JAAYE,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-3, SAFA NUMBER-132 & 133,
➡SAWAL=86::--
AEK (1) SHAKHS NE GUSSE KEE HAALAT ME APNE RISH'TEDAAR SE KAHA KEE, ALLAH AUR ISKE MAHBOOB KEE QASAM MAI AB TUM'HARE YAHA HARGIZ KHANA N KHAUNGA,➖AB SAWAL YAH HAI QASAM KHAANE KE BAAD AGAR WAH SHAKHS APNE RISHTE'DAAR KE YAHA KHAANA KHAYE TO SHARIAT KA KYA HUKM HOGA,
➡JAWAB=86::--
SHAR'AN YAMINAN MUNA'QIDAH HAI, WAH SHAKHS AGAR APNE IS RISHTEDAAR KE YAHA KHANA KHAYEGA TO KAFFARA WAAJIB HOGA, QASAM KA KAFFARA YAH HAI KI DAS (10) MISKEENO KO DONO WAQT PET BHAR KE KHAANA KHILAYE, DASO KO AEK HEE DIN KHILAYE YAA HAR ROZ AEK AEK KO YAA AEK HEE KO DAS (10) DIN TAK DONO WAQT KHILAYE, YAA DAS (10) MISKEENO KO KAPDA PAHNAYE, AUR AGAR IN DONO ME SE KISI AEK (1) KEE IST'TA'AT N RAKHA HO TO TEEN DIN PAY DAR PAR ROZA RAKHE,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-2, SAFA NUMBER-338,
➡SAWAL=87::--
AEK (1) SHAKHS NE APNI BEEWEE SE KAHA KI AAJ SE TOO AGAR GOSHT KHAAYE TO SUWAR KO GOSHT KHAAYE,➖AB SAWAL YAH HAI KE SHOU'HAR KE IS TARAH BOLNE KE BAAW'JOOD BHI AGAR BEEWEE GOSHT KHAYE TO SHARIAT KA KYA HUKM HOGA,---???
➡JAWAB=87::--
SOORTE MASUOOLA ME SHOUHAR KA QOUL BEEWEE KE LIYE SHAR'AN QASAM NAHI, IS LIYE BEEWEE GOST KHAA SAKTI HAI, AUR GOST KHAANE KE SABAB BEEWEE PAR KISI TARAH KA KAFFARA NAHI LAAZIM AAYEGA, ALBATTA SHOUHAR TOUBA KARE KE IS TARAH KA JUMLA KISI MUSALMAAN KE LIYE ISTEMAAL KARNA JAYEZ NAHI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-2, SAFA NUMBER-338,
➡SAWAL=88::--
AGAR KISI SE SAHWAN KALMAY KUFR SARJAD HO JAAYE TO SIRF TOUBAH KAAFI HAI YAA TAZDEEDE IMAAN W NIKAAH BHI ZAROORI HAI,---???,
➡JAWAB=88::--
AGAR SHAHWAN KALMAY KUFR SARZAD HO JAAYE TO SIRF TOUBAH KAAFI HAI, TAZDEEDE IMAAN W NIKAAH ZAROORI NAHI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-5 & 6,
➡SAWAL=89::--
KYA HAZRAT ALI رضي الله تعالي عنه KEE WILADAT KHANA-E-KABA ME HUYI,---???
➡JAWAB=89::--
Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Ki Wiladat Kabah Mein Nahin Huyi,
👉🏻Kuchh Log Bayaan Karte Hain Ke Hazrat Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ki Wiladat Khana -e- Kabah Mein Huyi Aur Baaz Kutub Mein Bhi Ye Baat Maujood Hai Magar Tehqeeqi Qaul Ye Hai Ke Hazrat Ali Ki Wiladat Khana -e- Kabah Mein Nahin Huyi Aur Is Baat Par Bahut Se Moatbar Ulma Ke Aqwaal Maujood Hain Chunanche Mufassir -e- Quraan Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan Rehmatullahi Ta'ala Alaih Farmate Hain Ki,::--
Jahan Hazrat Ali Radiallaho Ta'ala Anho Ki Wiladat Huyi Ab Wahan Ek Muallim Ki Dukaan Hai,
📖(سفر نامے، ص253)
👉🏻Sadarushhariah Hazrate Mufti Amjad Ali Aazmi Rehmatullahi Ta'ala Alaih (Zaayir -e- Makka Ko) Farmate Hain Ki, (In Makanaat -e- Mutabarraka Ki Bhi Ziyarat Karein) Wo Makaan Jahan Huzoor Sallallaho Alaihi Wasallam Ki Wiladat Huyi, Wo Makaan Jahan Hazrat Khadijatul Kubra Ki Wiladat Huyi Aur Wo Makaan Jis Mein Hazrat Ali Ki Wiladat Huyi, Jabal -e- Saur, Ghaar -e- Hira, Masjid -e- Jinn, Waghairaha Ki Bhi Ziyarat Se Musharraf Ho,
📖(بہار شریعت، مقامات متبرکہ کی زیارت، حصہ6، ج1، ص1150)
👉🏻Tarikh -e- Najdo Hijaz Mein Bhi Us Jagah Ka Tazkira Kiya Gaya Hai Jahan Hazrat Ali Ki Wiladat Huyi,
📖(تاریخ نجدو حجاز، ص300)
👉🏻Hazrat Ali Ki Wiladat Waali Jagah Par Ek Qubba Bhi Bana Hua Tha Jise Najdiyo Ne Deegar Maqamaat -e-Muqaddasa Ke Saath Tod Diya Chunanche Faqeeh -e-Millat, Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alaihi Rehma Farmate Hain Ki, Wahabiyo Ne Un Qubbo Ko Bhi Gira Diya Jo Rasoolullah Sallallaho Alaihi Wasallam, Sayyiduna Siddique -e- Akbar Aur Sayyiduna Maula Ali Ki Wiladat Waali Jagah Ke Upar Bane Huye The,
📖(انوار الحديث، ص514)
👉🏻Imam Jalaluddin Suyooti Rehmatullahi Ta'ala Alaih Farmate Hain Ki:: Hazrat Hakeem Bin Hizaam Ke Ilawa Koi Bhi Kabah Mein Paida Nahin Hua,
📖(تدریب الراوی،النوع الستون، ص356)
♦NOTE::-- Inke Ilawa Aur Bhi Bahut Se Muhaddiseen Ke Aqwaal Maujood Hain Jinka Zikr Ek Mazmoon Mein Karna Mushkil Hai Lihaza Tafseel Ke Liye Muhaqqiq -e- Ahle Sunnat, Hazrat Allama Luqman Shahid Ki Kitab "Mawlood -e- Kabah Kaun" Ka Mutalla Farmayein,
📚(سفر نامے، ص253)
📚(بہار شریعت، مقامات متبرکہ کی زیارت، حصہ6، ج1، ص1150)
📚(تاریخ نجدو حجاز، ص300)
📚(انوار الحديث، ص514)
📚(تدریب الراوی،النوع الستون، ص356)
➡SAWAL=90::--
Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain,
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain,
Sardad na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain
👆🏻KYA YAH RUBAYI SULTAN-UL-HIND HAZRAT KHAWAZA GARIB NAWAZ رحمة الله عليه KEE HAI,---???
➡JAWAB=90::--
Shah ast Hussain, Badshah ast Hussain,
Deen ast Hussain, Deen Panah ast Hussain,
Sardad na dad dast, dar dast-e-yazeed,
Haqaa key binaey La ila ast Hussain
👆🏻(Ye Rubayi Huzoor Khwaja Ghareeb Nawaz Alaihi Rehma Ki Nahin Hai)
👉🏻Khalifa -e- Huzoor Muftiye Aazam Hind, Shaarahe Bukhari, Hazrat Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rehma Farmate Hain Ke Huzoor Khwaja Ghareeb Nawaz Alaihi Rehma Ya Unke Silsile Ke Buzurgon Ya Hindustan Ke Moatmad Musannifeen Mein Kahin Is Rubayi Ka Tazkira Nahin, Wayizeen Ise Hazrat Ghareeb Nawaz Alaihi Rehma Ki Taraf Mansoob Karte Hain Lekin Unke Paas Iski Koi Sanad Nahin,
👉🏻Kuchh Log Bazaari Risalo Ka Naam Lete Hain, To Koi Kisi Waayiz Ka Hawala Deta Hai,
Hadd To Ye Hai Ke Huzoor Khwaja Ghareeb Nawaz Alaihi Rehma Ki Taraf Ek Deewan Mansoob Hai Aur Us Mein Bhi Ye Rubayi Nahin Hai, Ab Tak Ye Baat Saabit Nahin Ke Ye Rubayi Huzoor Khwaja Ghareeb Nawaz Alaihi Rehma Ki Hai,,
📚 ملخصاً، فتاوی شارح بخاری، جلد دوم، صفحہ نمبر204 & 205
➡SAWAL=91::--
HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم KEE SHAAN ME "KAMLI" KA LAFZ ISTEMAAL KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=91::--
Farhang aasfiya jald- duwam, Safa-565, me hai 'kamli' kambal ki tasgeer- 1 kism ki oni posteen jo bakriyon or bhediyon ki khal se tayyar ki jati hai, use ghareeb darvesh log pehna karte hai, Firoz al-lughat, Safa-766, me hai "'kamli' kambal ki tasgeer. Chhota kambal bina-an alaihi HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم ke libas ko kamli kehna mamnu hai,
Shami me hai::-- Kisi naar wa ma-aani ka ihaam mana k liye kaafi hai, Uski nazeer Ra-ana hai, Arabic zubaan me ye mura-aat baabe mufaelat se amar ka seegha hai jiske sath zameer mansoob zama mutakallim hai, jiske maani arabic zubaan me ye hai: "Humari riaayat farmaye" (yahood ki lughat me raai ke maani ahmaq ke hai) HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم ke irshad ko jab sahaba-e-karam achhi tarah sun na pate ya samajh na pate to arz karte "Ra-ana" (humari riaayat farmaye). Yahood ki lughat me raai ke maani ahmaq ke hai.ye gustaakh qaum apni fitri bad batini ki wajah se Huzoor-e-aqdas صلی الله تعالٰی عليه وسلم ko Ra-ana kehte, Quran majeed me Ra-ana kehne se mana farmaya gaya. Lehaza unhe hidaayat kardi gai ke bajaye Ra-ana ke "anzarna" kaho. irshad hai:
يَاأَيُّهَا ٱلَّذِينَ آمَنُواْ لاَ تَقُولُواْ رَاعِنَا وَقُولُواْ ٱنْظُرْنَا
Al-Baqarah- اﻟﺒﻘﺮﺓ Ayath-104
TARJUMA::-- Ay imaan walo! Ra-ana na kaho aur yoo arz karo ke huzoor hum par nazar rakhen,
Yaha lughat 2 hai, talaffuz bhi alag alag tha, fir bhi mana farmaya gaya hai.aur yaha 'kamli' me ek hi zuban me tasgeer hai agarcha dusra maani bhi hai isliye ye badarja-e aula mamnu hoga agarcha bolne wali ki niyyat tasgeer ki na ho, dusra maani ho. Isliye ke ma-aaz allah agar tasgeer ki niyyat se bolega to kufr hai aur yaha 'kamli' me ek hi lughat hai, tasgeer ka bhi maani, isliye ye badarja-e aula mamnu hoga,
Ye hukm us waqt hai ke HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم ko matlaqan 'kamli' wale kaha jaye lekin HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم kabhi chhota kambal bhi istemal farmate the, Abb agar hadees me usko bayan karne k liye koi lafz warid ho to uske tarjuma me 'kamli' istemaal kiya ja sakta hai. Isi tarah ba-aaz sufiya-e-karam chhota kambal istemal farmate hai uske zikr me 'kamli' istemaal karne me koi harj nahi. in dono sootron me mutaiyyan hai ke 'kamli' tasgeer ke liye nahi balki bayan wakeya hai,lekin HUZOOR-E-AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم ko matlaqan 'kamli' wale kahege to iska matlab ye hota hai ke HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم ke aam libas ko 'kamli' kaha. Halanki HUZOOR صلی الله تعالٰی عليه وسلم ka aam libas kambal nahi. Alawa azee hazrat ambiyaa-e-karam ka zikr aise sifaat se karna mamnu hai jisme koi fazeelat na ho. Jaisa ki shifa aur uski sharooh me mazkoor hai. Yaani huzoor ke muhaasin bayan karne ke dauran jaisa ke log kamli wale ko istemal kiya karte hai ,umuman naat-khwan usko istemal karte hai jiska maqsad fazail, kamalat bayan karna hai, zaahir hai ke kamli wale hone me koi fazeelat nahi. Isliye muqaam-e-madha me istemal se bachna laazim hai,
📚FATAWA SHARHE BUKHARI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-535-536, aur 539-540,
➡SAWAL=92::--
AEK KAFIR NE AEK AALIME DEEN SE KAHA KE MAI MUSALMAAN HONE KE LIYE AAPKE PAAS AAYA HOO, MUJHE ISLAM KA KALMA PADHA DIJIYE, IS PAR AALIM SAHEB NE KAHA KE JAAWO GUSL KARKE AAWO,➖➖ AB SAWAL YAH KAI HAI KE AALIM SAHEB KA YAH KAHENA KE JAAWO GUSL KARKE AAWO, YAH KAHENA KAISA, IS KE MUTALLIQ SHARIAT KA KYA HUKM HAI,---???
➡JAWAB=92::--
SOORTE MASUOOLA ME AALIME DEEN PAR, TOUBAH, TAZDEEDE IMAAM AUR TAZDEEDE NIKAAH LAAZIM HAI, KE WAH GUSL KARNE KE WAQT TAK KUFR PAR RAAZI RAHE, KE JIS WAQT IS KAAFIR NE AALIME DEEN SE KAHA THA, KE MUJHE ISLAM KA KALMA PADHA DIJIYE, TO AALIM PAR FARZ THA KE FOURAN TALQEEN KARKE MUSALMAAN KAR DETE, MAGAR IS NE AESA NAHI KIYA, BALKE GUSL KARKE AANE KA HUKM DIYA, JABKE ISLAM LANE KE LIYE GUSL LAAZIM NAHI THA,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-17,
➡SAWAL=93::--
AEK (1) KAAFIR KA NA-BAALIG BACHCHA MARTA HAI TO DO SHAKHS AAPAS ME BAAT KARTE HAI KE::--
👉🏻PAHELA SHAKHS KAHETA HAI KE HAR BACHCHA FITRAT ISLAM PE PAIDA HOTA HAI, ISLIYE WAH JANNATI HOGA,
👉🏻ISPE DOOSRA SHAKHS KAHETA HAI KE BACHCHA MAA BAAP KA TAABEA HOTA HAI, AUR YAHA WALIDAIN KAAFIR ME IS LIYE INKA TAABEA HOKAR JAHANMAMI HOGA,
➖AB SAWAL YAH HAI KE DONO ME KISKA QOUL MOATBAR HAI, KAAFIR KA NA-BAALIG BACHCHA MAR JAAYE TO WAH JANNATI HAI YAA JAHANNAMI,---???
➡JAWAB=93::--
KAAFIR KE NA-BAALIG BACHCHO KE JANNATI W JAHANNAMI HONE ME ULMA-E-KIRAAM KE DARMIYAAN IKHTILAAF HAI, BAAZ KAHTE HAI WAH JANNATI HAI, AUR BAAZ KE NAZDEEL JAHANNAMI, AUR ISI IKHTILAAF KEE BUNIYAAD PAR IMAAME AAZAM ABOO HANEEFA رضي الله تعالي عنه NE KHAMOSHI IKHTIYAAR KEE HAI, AUR IN KE SAWAAB W AZAAB KE BAARE ME KOI RAAY QAAYAM NAHI KEE,
LEHAZA DONO SHAKHS PE LAAZIM HAI KE IS MASLE ME HARGIZ N ULJHE, AUR IMAAME AAZAM ALAIHIRRAHMA KEE PAIRWEE KARTE HUWE KHAMOSHI IKHTIYAAR KARE,
♦NOTE= AUR JAANKARI KE LIYE FATAWA FAQEEHE MILLAT KA MUTALA KARE,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-32,
➡SAWAL=94::--
JAMA'AT HO RAHI HAI, AUR MASJID ME NEECHE JAGAH NAHI HAI, TO AESE ME BAAKI LOGO KA MASJID KEE CHAT PE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=94::--
AGAR JAMA'AT KE LIYE TANG HO, NEECHE JAGAH N HO, TO BAAKI LOG MASJID KEE CHAT PAR SAF BANDI KARKE NAMAZ PADH SAKTE HAI, YAH BILA KARAAHAT JAYEZ HAI, BA'SHARTE KE CHAT PAR IQTEDAA KARNE WAALO KE LIYE IMAAM KA HAAL MUSTABAH N HO, AUR NEECHE JAGAH HOTE HUWE UPAR JAMA'AT QAAYEM KARNA MAKROOH HAI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-346,
➡SAWAL=95::--
CHOTE BACHCHE NE AGAR GHAR ME PESHAB KAR DIYA, AUR WAH BAGAIR DHOOP KE SOOKH JAAYE, AUR NAZAASAT KA ASAR BHI N RAHE, TO AESE ME WAH JAGAH PAAK HUI YAA NAHI AUR WAHA PE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=95::--
WO JAGAH SOOKH'NE SE PAAK HO GAYI, JABKE NAJAASAT KA ASAR KHATM HO GAYA HO, AUR WAHA NAMAZ PADHNA BHI JAYEZ HAI,
👉🏻JAISA KE HAZRAT SADRUSHSHARIA ALAIHIRRAHMA NE FARMAYA:: NAPAAK ZAMEEN AGAR SOOKH JAAYE AUR NAJAASAT KA ASAR YAANE RANG W BOO JAATI RAHE, TO PAAK HO JAYEGI, KHWAAH WAH HWAA SE SOOKHI HO YAA DHOOP YAA AAG SE, MAGAR IS PAR TAYAMMUM KARNA JAYEZ NAHI, NAMAZ IS PAR PADH SAKTE HAI,
📖 FATAWA ALAMGIRI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-44,
📖 BAHARE SHARIAT, HISSA-2, SAFA NUMBER-104, {HINDI-SAFA NUMBER-121,}
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-69 & 70,
➡SAWAL=96::--
TELI VISION YAANE T.V.DEKHNE WAALE IMAAM KE PEECHE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=96::--
TELI VISION YAANE T.V. DEKHNA HARAAM W NA-JAYEZ HAI, AUR IS KO DEKHNE WAALE FAASIK HAI, LIHAZA AESE LOGO KE PEECHE NAMAZ PADHNA JAYEZ NAHI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-115 & 116,
➡SAWAL=97::--
JO IMAAM TASWEER YAANE PHOTO KHICHATA HO, AUR APNE PHOTO KA ALBUM RAKHTA HO, YAANE PHOTO KHICHANE WAALE IMAAM KE PEECHE NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=97::--
TASWEER KHICHNA YAA KHICHWANA YAA TAAZIMAN ISE APNE PAAS RAKHNA SAKHTA NA-JAYEZ W HARAAM HAI, IS BAARE ME AHAADEES KASRAT SE WAARID HAI, JIS GHAR ME TASWEER HOTI HAI, IS ME RAHMAT KE FARISHTE NAHI AATE, HOZOORE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم IRSHAD FARMATE HAI:: YAANE BESHAQ NEHAAYAT SHAKHT AZAAB ROZE QAYAMAT IN TASWEER BANAANE WAALO PAR HOGA, JO KHUDA KE BANAANE HUWE KEE NAQAL KARTE HAI, LEHAZA SOORATE MASLOOA ME AGAR WAAQAI PHOTO KHICHAATA HAI, TO WAH FAASIQ MUALLIN AUR SAKHT GUNAHGAAR, MUSTAHAQ AZAAB NAAR HAI, IS PAR LAAZIM HAI KE ELAANIYA TOUBAH W ISTAGFAAR KARE, AUR TAMAAM TASWEERO KO FAAR KAR FEK DE, AUR IS AEB KE BAAD JITNI NAMAZE ISKE PEECHE PADHI GAYI HAI, USE DOHRANA WAAJIB HAI, AUR ISE IS WAQT TAK IMAAMAT SE DOOR RAKHE, JAB TAK KE TOUBAH KE BAAD KHOOB ITMINAAN N HO JAAYE KE WAH APNE TOUBAH PAR QAAYAM HAI, AUR APNI PURANI AADTO KO TARK KAR CHUKA HAI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-119, 120 & 121,
➡SAWAL=98::--
CHALTI HUI TRAIN ME NAMAZE FARZ, WAAJIB, YAA SUNNATE FARZ PADHNA KAISA,----???
➡JAWAB=98::--
CHALTI HUYI TRAIN ME NAFL NAMAZ PADHNA JAYEZ HAI, MAGAR FARZ, WAAJIB AUR SUNNATE FARZ PADHNA JAYEZ NAHI, IS LIYE KE NAMAZ KE LIYE SHUROO SE AAKHIR TAK ITTAHAD MAKAAN AUR ZAHAT QIBLAH SHART HAI, AUR CHALTI HUYI TRAIN ME SHUROO NAMAZ SE AAKHIR TAK QIBLA ROOKH RAHNA AGARCHE BAAZ SOORTO ME MUMKIN HAI, LEKIN IKHTATMAAM NAMAZ TAK ITTEHAD MAKAAN YAANE AEK (1) JAGAH RAHNA KISI TARAH MUMKIN NAHI, IS LIYE CHALTI HUYI TRAIN ME NAMAZ PADHNA SAHI NAHI, HAA AGAR NAMAZ KE AWQAAT ME NAMAZ PADHNE KEE MIQDAAR TRAIN KA THAHARNA MUMKIN N HO TO CHALTI HUI TRAIN ME NAMAZ PADH LE FIR MOUKA MILNE PAR IYAADA KARE,
👉🏻RADDUL MUHTAAR JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-472, PE HAI
HAASIL KALAAM YAH HAI KE NAFL NAMAZ KE ALAWA SAB NAMAZO KE LIYE ITTEHAAD MAKAAN AUR ISTAQBAAL QIBLA YAANI AEK (1) JAGAH THAHARNA AUR QIBLA ROOKH HONA AAKHIR NAMAZ TAK BAQADRE MAKAAN SHART HAI, JO BAGAIR UZR SHARAI SAAQIT N HOGA, AUR ZAAHIR HAI KE TRAIN NAMAZ KE AWQAAT ME KAHI N KAHI ITNI DER JAROOR THAHARTI HAI KE DO (2) YAA CHAAR (4) RAK'AAT NAMAZ FARZ AASAANI SE PADH SAKTA HAI, KE TRAIN THAHARNE SE PAHLE WUJOO SE FAARIG HOKAR TAYYAR RAHE, AUR TRAIN THAHARTE HEE UTAR KAR YAA TRAIN HEE ME QIBLA ROOKH KHADE HOKAR PADH LE, AGAR ITNI QUDRAT KE BAAWJOOD KAAHILI AUR SUSTI SE CHALTI HUYI TRAIN ME NAMAZ PADHEGA TO WO SHARAN MAAJOOR N HOGA, AUR NAMAZ N HOGI,
📖 RADDUL MUHTAAR JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-472,
👉🏻BAHARE SHARIAT, HISSA-4, SAFA NUMBER-19, CHALTI TRAIN PAR BHI FARZ W WAAJIB W SUNNATE FARZ NAHI HO SAKTI AUR ISKO JAHAAZ YAA KASHTI KE HUKM ME TASAWWUR KARNA GALTI HAI KI KASHTI AGAR THAHRAAYI BHI JAAYE JAB BHI ZAMEEN PAR N THAHREGI AUR TRAIN AESI NAHI, AUR KASHTI PAR BHI USI WAQT NAMAZ JAYEZ HAI JAB WAH BEECH DARIYA ME HO,
KINAARE PAR HO AUR KHUSHKI PAR AA SAKTA HO TO KASHTI PAR BHI JAYEZ NAHI HAI,
LIHAZA JAB BHI STATION PAR GAADI THAHRE US WAQT YE NAMAZE PADHE AUR AGAR DEKHE KI WAQT JAATA HAI, TO JIS TARAH BHI MUMKIN HO PADH LE FIR JAB MOUQA MILE UNHE LOUTAAYE KI JAHA MIN JEHTIL IBAAD KOI SHART YAA ROOKN MAFQOOD HO YAANI BANDO KEE JAANIB SE KOI SHART YAA ROOKN N PAAYI JAATI HO USKA YAHI HUKM HAI,
📖 BAHARE SHARIAT, HISSA-4, SAFA NUMBER-19, HINDI SAFA NUMBER-24,
👉🏻AUR KHADE HOKAR MUMKIN N HO TO BAITH KAR PADHE, AUR BAITH KAR RUKOO W SAJDA N KAR SAKE TO ISHARAH SE PADHE, MAGAR SAJDA ME RUKOO SE ZAYADAH JHOOKE AUR AESI PADHI HUYI NAMAZ ME MOUQAH MILNE PAR DOBARAH PADHE,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-96 & 97,
➡SAWAL=99::--
JO SHAKHS MAHAR W NAFKA KI QUDRAT RAKHTHA HO, AUR USE YAQEEN HO KE BAHAALTE TAJARRUD ZINA KI MAAFIYAT ME MUABTELA HO JAYEGA, TO AESE ME USPE NIKAAH KA KYA HUKM HAI,---???
➡JAWAB=99::--
JO SHAKHS MAHAR W NAFKA KI QUDRAT RAKHTA HO, AUR USE YAQEEN HO KE B'HAALTE TAJARRUD ZINE KI MAAFIYAT ME MUBTELA HO JAYEGA, TO NIKAAH KARNA "FARZ" HAI,
👉🏻AUR AGAR ZINA KA YAQEEN NAHI HAI, BALKE SIRF ANDESHA HAI TO NIKAAH KARNA "WAAJIB" HAI,
👉🏻AUR AGAR SHAHWAT KA BAHUT ZYAADA GALBA HO TO, NIKAAH KARNA "SUNNATE MUAKKEDA" HAI,
👉🏻AUR AGAR IS BAAT KA ANDESHA HAI KE NIKAAH KAREGA TO, NAAN W NAFKA N DE SAKEGA, YAA NIKAAH KE BAAD JO FARAEZ MUTALLIQA HAI, INHE POORA N KAR SAKEGA, TO NIKAAH KARNA "MAKROOH" HAI,
👉🏻AUR AGAR IN BAATO KA ANDESHA HEE NAHI, BALKE YAQEEN HAI, TO NIKAAH KARNA "HARAAM" HAI,
📖DURRE MUKHTAAR,
📖RADDUL MUHTAAR,
📖BAHARE SHARIAT,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-547,
➡SAWAL=100::--
MUSALMANO KO HOLI KHELNA AUR BADAN YAA KAPDE PAR RANG DAALNA YAA DALWANA KAISA,---???
➡JAWAB=100::--
HUZOOR SADRUSHSHARIA ALAIHIRRAHMA FATAWA AMJADIYA, JILD-4, SAFA NUMBER-151, PAR TAHREER FARMATE HAI KE::-- HOLI HINDUO KI AATISH PARASTI KA AEK (1) KHAAS DIN HAI, JIS ME AAG KI PARASTEES KARTE AUR APNE TOUR PAR KHUSHI MANATE HAI, HOLI KHELNA YAA US ZAMANAY ME BADAN YAA KAPDE PAR RANG DAALNA YAA DALWANA KHAAS SYAAR HINDO HAI, AUR AESE AMOOR KA IRTIKAAB KUFR HAI,
👉🏻AUR USI SAFA PE TAHREER FARMATE HAI::-- KUFFAAR KE TYOHAAR ME SHAREEQ HONA HARAAM AUR SAKHT HARAAM BALKE KUFR HAI KHUSOOSAN JAB KE UNHI KE MISL UNKE TAMAAM KAAMO ME SHIRKAT KARE,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-4, SAFA NUMBER-150 & 151,
➡SAWAL=101::--
KITAB TAQWIYATUL IMAAN KE MUSANNIF, MOLVI ISMAIL DEHLAWEE KE TAALLUQ HUZOOR AALA HAZRAT RADIYALLAHU TAALA ANHU W HUZOOR ALLAMA FAZLE HAQ KHAIRABAADI ALAIHIRRAHMA, KA KYA QOUL HAI,---???
➡JAWAB=101::--
MOLVI ISMAIL APNI IBARAATE KUFRIYA, MALOONA, MUNDARZA, TAWIYTUL IMAAN, SAFA NUMBER-7, AUR SIRATE MUSTAQEEM, SAFA NUMBER-95, WAGAIRAH KE SABAB, KAAFIR W MURTAD HAI,
👉🏻CHOOKE ALLAMA FAZLE HAQ KHAIRA BAADI ALAIHIRRAHMATO WARRIZWAN KA WISAAL 1278 HIJRI ME HUWA, AUR IS WAQT TAK ISMAIL DEHLAWEE KEE TOUBAH MASH'HOOR NAHI HUYI THI, JIS KEE BINA PAR AAP NE IS KEE TAQFEER FARMAYI,
BAR KHILAAF IS KE AALA HAZRAT IMAAM AHMAD RAZA MUHADDISE BARELWEE RADIYALLAHU TAALA ANHU NE KI WILAADAT 1273 HIJRI ME HUYI, AUR AAP KA WISAAL 1340 HIJRI ME HUWA, IS WAQT TAK ISMAIL DEHLAWEE KEE TOUBAH MASH'HOOR HO CHUKI THI, IS LIYE AAPNE EHTIYAATAN IS KEE TAQFEER SE KAF LESAAN FARMAYA,
JAISA KE AALA HAZRAT IMAAM AHMAD RAZA MUHADDISE BARELWEE RADIYALLAHU TAALA ANHU, KHUD TAHREER FARMATE HAI:: KE HAMARE NAZDEEK MAQAAME EHTIYAAT ME IKFAAR SE KAF LISAAN, MAKHOOJ W MUKHTAAR W MARZI W MUNASIB AUR EHTIYAAT KEE WAJAH, ISMAIL DEHLAWEE KA APNE AQWAALE KUFRIYA, MALOONA SE TOUBAH KEE KHABAR KA MASH'HOOR HONA HAI,
📖AL-KAUKABATUSH SHAHABIYAH, PAGE-61,
♦NOTE♦IS MASLE PAR MAZEED MALOOMAAT KE LIYE, SHARHE BUKHARI, MUFTI SHARIFUL HAQ AMJADI ALAIHIRRAHMA KI TASNEEF "TAHQEEQATE HISSA DOM" KA MUTAALA KARE,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-39 & 40,
➡SAWAL=102::--
JO SHAKHS LAWAATAT KEE HURMAT KA INKAAR KARE, US PE SHARIAT KA KYA HUKM HOGA,➖YAANE KI LAWAATAT KEE HURMAT KA INKAAR KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=102::--
LAWAATAT HARAAME QATAI HAI, IS KEE HURMAT KA MUNKIR KAAFIR HAI,
KALALLAHO TAALA,
وَلُوطاً إِذْ قَالَ لِقَوْمِهِ أَتَأْتُونَ ٱلْفَاحِشَةَ مَا سَبَقَكُمْ بِهَا مِنْ أَحَدٍ مِّنَ ٱلْعَالَمِينَ
إِنَّكُمْ لَتَأْتُونَ ٱلرِّجَالَ شَهْوَةً مِّن دُونِ ٱلنِّسَآءِ بَلْ أَنْتُمْ قَوْمٌ مُّسْرِفُونَ
Suray=Al-A’raaf-الأعراف, Aayat-80,81,
TARJUMA::-- AUR LOOT KO BHEJA JAB IS NE APNI QOUM SE KAHA, KYA WAH BE'HAYAAYI KARTE HO JO TUM SE PAHLE JHAA ME KISI NE N KEE,
TO TUM MARDO KE PAAS SHAHWAT SE JAATE HO, AURTE CHOD KAR, BALKE TUM LOG HAD SE GUZAR GAYE HO,
{{ KANZUL IMAAN }}
AUR SURAY=AL-MOMENOON-المؤمنون, AAYAT-7, ME HAI,
فَمَنِ ٱبْتَغَىٰ وَرَآءَ ذٰلِكَ فَأُوْلَـٰئِكَ هُمُ ٱلْعَادُونَ
Suray=Al-Mominoon-المؤمنون, Aayat-7,
TARJUMA::-- TO JO IN DO KE SIWA KUCH AUR CHAAHE, WAHI HAD SE BADHNE WAALE HAI,
{{ KANZUL IMAAN }}
👉🏻LEKIN APNI BEEWEE SE LAWAATAT KEE HURMAT KA MUNKIR KAAFIR NAHI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-47,
➡SAWAL=103::--
AEK SHAKHS AAKHO SE ACHCHA HAI PAR KHAS-KHASI DAADHI RAKHTA HAI, AUR DUSRA SHAKHS NAABINA HAI MAGAR SHARIAT KE MUTAABIK DAADHI RAKHTA HAI, DONO SHAKHS IMAAMAT KARNA CHAHTE HAI, TO AESI HAALAT ME IMAAMAT KARNE KA HAQ KISKO HAI,---???
➡JAWAB=103::--
AEK (1) MOOST DAADHI RAKHNA WAAJIB HAI, JAISA KE HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLAWEE BUKHARI ALAIHIRRAHMATO WARRIZWAN TAHREER FARMATE HAI KE:: DAADHI KO AEK (1) MOOST TAK CHOD DENA WAAJIB HAI,
📖ASHATUL AL MIYAAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-212,
👉🏻AUR DURRE MUKHTAAR MA SHAMI, JILD-PANJUM, SAFA NUMBER-261, ME HAI KE:: MARD KO APNI DAADHI KA KAATNA HARAAM HAI,
📖DURRE MUKHTAAR MA SHAAMI, JILD-5, SAFA NUMBER-261,
👉🏻AUR HAZRAT SADRUSHSHARIA ALAIHIRRAHMATO WARRIZWAN TAHREER FARMATE HAI KE:: DAADHI BADHANA SUNAN AMBIYA-E-SABEQEEN SE HAI, MUNDAANA YAA AEK (1) MOOST SE KAM KARNA HARAAM HAI,
📖BAHARE SHARIAT, HISSA-16,
👉🏻LEHAZA DAADHI KTAA KAR KHAS KHASI RAKHNE WAALA IRTAKAABE HARAAM KE SABAB FAASIQ MUALLIN HAI, AUR FAASIQ MUALLIN KE PEECHE NAMAZ PADHNA JAYEZ NAHI HAI, AESA HEE TAMAAM KUTBE FIQAH ME HAI, AUR NAABINA KE PEECHE NAMAZ PADHNA JAYEZ HAI, AGAR KOI AUR DOOSRI WAJAH MAANE IMAAMAT N HO,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-112,
➡SAWAL=104::--
APNE BHAI , RISHTEDAAR YAA KISI MUSALMAAN SE LADAAYI-JHAGDA HO JAAYE, USPE YAH KAHENA KE MAI TUJHSE QAYAMAT TAK NAHI MILOONGA W BAAT CHEET NAHI KAROONGA, AUR YAH KAHNE WAALA JISSE JHAGDA HUWA USSE BINA MILE YAA BINA BAAT CHEET KIYE MAR JAAYE TO USPE SHARIAT KA KYA HUKM HOGA,---???
➡JAWAB=104::--
HADEES SHAREEF ME HAI KI HUZOOR SAYYADE AALAM صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE FARMAYA:: JO SHAKHS APNE BHAI KO SAAL BHAR CHOD DE TO YAH IS KE QATL KE MISL HAI,
📖ABOO DAAUD, MISKAAT, SAFA NUMBER-428,
👉🏻AUR DOOSRI HADEES ME HAI KE SARKAARE AQDAS صلی الله تعالٰی عليه وسلم NE FARMAYA KE:: KISI MUSALMAAN KE LIYE HALAAL NAHI KE WAH APNE BHAI KO TEEN (3) DIN SE ZYAADAH CHOR DE, FIR JIS NE AESA KIYA AUR MAR GAYA TO JAHANNAM ME GAYA,
📖AHMAD, ABOO DAAUD, MISKAAT, SAFA NUMBER-428,
👉🏻LIHAZA JIS NE APNE BHAI SE YAH KAHA KE TUM SE QAYAMAT TAK HAM NAHI MILENGE, WAH ALLAH HU AHAD KAHHAAR KE AZAAB SE DARE, AUR APNE BHAI SE MILE, WARNA ISI HAAL ME MAR JAAYEGA TO WAH HADEES SHAREEF ME MUTAABIQ JAHANNAM ME JAYEGA,
📚 FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-52 & 53,
➡SAWAL=105::--
IMAAM ITNA JALD BAAZ HAI KE, MUQTADI AGAR DUAE MASOORAH POORA NAHI PADH SAKA, AUR IMAAM NE SALAAM FER DIYA, TO AESE ME MUQTADI KYA KARE,
➡SAWAL=106::--
AUR MUQTADI AGAR, ATTAHIYYATU W RASOOLUHOO, TAK N PADH SAKA THA KE, IMAAM TEESRI RAK'AT KE LIYE KHADA HO GAYA YAA QA'ADAY AAKHIRA ME SALAAM FER DIYA, TO AESE ME MUQTADI KYA KARE,---???
➡JAWAB=105 & 106::--
IMAAM KO ITNI JALDI NAHI KARNI CHAHIYE KE MUQTADI SNAA YAA DUAE MASOORAH N PADH SAKE, AUR PADHNE ME ITNI DER BHI N LAGANI CHAHIYE KE MUQTADIYO PAR GARAN HO, AGAR IMAAM NE QIRAAT SHUROO KAR DEE AUR MUQTADI SNAA MUQAMMAL N KAR SAKA THA, TO CHOD DE,
👉🏻ISI TARAH AGAR DUAE MASOORAH PURI N PADH SAKA THA KE IMAAM NE SALAAM FER DIYA TO MUQTADI BHI IMAAM KE SAATH SALAAM FER DE,
👉🏻LEKIN AGAR MUQTADI ATTAHIYYATU W RASOOLUHOO TAK N PADH SAKA THA KE TEESRI RAK'AT KE LIYE IMAAM KHADA HO GAYA YAA QA'ADAY AAKHIRA ME SALAAM FER DIYA TO MUQTADI ATTAHIYYATU W RASOOLUHOO TAK BAGAIR PADHE N KHADA HO SAKTA HAI N SALAAM FER SAKTA HAI,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-346,
➡SAWAL=107::--
KYA HAR NA'JAYEZ KO HARAAM KAHA JAA SAKTA HAI,---???
➡JAWAB=107::--
JU'AZE AAM HAI AUR HALALE KHAS, ISI TARAH NAJAYEZ AUR HARAM ME BHI FARQ HAI, HARAM KA SUBOOT SIRF US DALEEL SE HOGA JIS KA SUBOOT O ASBAAT DONO QAT'EI HUN AUR TALAB KAFE JAZIM HO, JAB KI NAZAYEZ KA SUBOOT TEEN TARAH KI DALILON SE HOTA HAI,
1::-- SUBOOTE QATA'EI, ASBATE ZANNI, AUR TALBE KAFE JAZIM,
2::-- SUBOOTE ZANNI ASBAATE QATA'EI AUR TALBE KAFE JAZIM,
3::-- SUBOOTO ASBAAT DONO ZANNI AUR TALBE KAFE JAZIM,
👉🏻IS SE ZAHIR HAI KI HARAM NAJAYEZ ZAROOR HOTA HAI, LEKIN HAR NAJAYEZ HARAM NAHI HOTA,,
📚FATAWA AMJADIYA, JILD-4, SAFA NUMBER-154,
➡SAWAL=108::--
KISI GAIR MUSLIM RAHNUMA KO APNE JALSO ME (Sunni jalso) ME BULANA, W USKI TAZEEM KE LIYE KHADA HONA KAISA,---???
➡JAWAB=108::--
FIQAH HANFI KEE MOATMAD KITAAB TABINUL HAQAAYEQ JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-134, PAR HAI:: AZ'ROO'E SHARAH MUSALMANO PAR FAASIQ MUALLIN KEE IHAANAT WAAJIB HAI,
📖TABINUL HAQAYEQ, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-134,
👉🏻LEHAZA JAB FAASIQ MUSALMAAN KEE TOUHEEN WAAJIB HAI, AUR TAAZEEM JAYEZ NAHI TO, SHAKHSE MAZKOORAH KO SUNNI JALSO ME BULAANA AUR ISKI TAAZEEM W TOUQEER KARNA BDARJA AULA JAYEZ NAHI, JIN LOGO NE AESA KIYA INDA SHARAH IN PAR TOUBAH LAAZIM HAI,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-50 & 51,
➡SAWAL=109::--
IMAAM BA'JAHAR QIRAAT KAR RAHA HO TO BAAD ME SHAREEQ HONE WAALE MUQTADIYO KO SNAA PADHNA KAISA,---???
➡SAWAL=110::--
IMAAM AGAR AAHISTA QIRAAT KAR RAHA HO TO BAAD ME SHAREEQ HONE WAALE MUQTADIYO KO SNAA PADHNA KAISA,---???
➡JAWAB=109 & 110::--
AGAR IMAAM BA'JAHAR QIRAAT KAR RAHA HO TO BAAD ME SHAREEK HONE WAALA MUQTADI SNAA NAHI PADHEGA, KE QUR'AAN SHAREEF KHAMOSHI KE SAATH SUNNA FARZ HAI,
KHUDA-E-TAALA KA IRSHAD HAI,::--
وَإِذَا قُرِئَ ٱلْقُرْآنُ فَٱسْتَمِعُواْ لَهُ وَأَنصِتُواْ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ
Al-A’raaf – الأعراف, Aayat-204
ALBATTA IMAAM AGAR AAHISTA QIRAAT KAR RAHA HO TO SNAA PADHEGA,
👉🏻FAQEEHE AAZAM HIND, HUZOOR SADRUSHSHARIA ALAIHIRRAHMA TAHREER FARMATE HAI:: IMAAM NE JAHAR KE SAATH QIRAAT SHUROO KAR DEE TO MUQTADI SNAA N PADHE, AGARCHE DOOR HONE KEE WAJAH SE YAA BHRE HONE KEE WAJAH SE IMAAM KE AAWAAZ N SUNTA HO, JAISA JUMA W EIDAIN ME PICHLI SAF KE MUQTADI, KI DOOR HONE KEE WAJAH SE QIRAAT NAHI SUNTE,
{{ AALAMGIRI }}
👉🏻IMAAM AAHISTA PADHTA HO TO PADH LE,
{{ RADDUL MUHTAAR }}
📖BAHARE SHARIAT, URDU, HISAA-3, SAFA-79, BAHARE SHARIAT, HINDI, HISSA-3, SAFA-92,
👉🏻AUR MUQTADI NE IMAAM KO RUKOO YAA PAHLE SAJDA ME PAAYA TO AGAR GAALIB GUMAAN HAI KI SNAA PADH PAA LEGA TO PADHE, AUR QAADA YAA DUSRE SAJDE ME PAAYA TO BEHTAR YAH HAI KI BAGAIR SNAA PADHE SHAAMIL HO JAAYE,
📖DURRE MUKHTAAR, RADDUL MUHTAAR,
📖BAHARE SHARIAT, URDU, HISAA-3, SAFA-79, BAHARE SHARIAT, HINDI, HISSA-3, SAFA-92,
👉🏻JIS MUQTADI KEE BAAZ RAK'ATE CHOOT GAYI HO, WAH JAB IN RAK'ATO KO PADHE TO SHUROO ME SNAA PADHEGA,
AALA HAZRAT IMAAM AHMAD RAZA, MUHADDISE BARAILWEE رضي الله تعالي عنه TAHREER FARMATE HAI:: JO AEK (1) RAK'AT ISKI RAH GAYI, BAAD SALAAM IMAAM, JAB ISE PADHNE KHADA HUWA IS KEE IBTEDA ME PADHE KI YAH ISKI PAHLI RAK'AT HAI,
📖FATAWA RAZVIYA SHAREEF,
📚FATAWA FAQEEHE MILLAT, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-103 & 104,
➡SAWAL=111::--
MUQTADI IMAAM KEE CHOUTHI RAK'AT ME SAAMIL HUWA, TO IMAAM KE SALAAM FERNE KE BAAD MUQTADI APNI KITNI RAK'AT PADH KAR ATTAHIYYAAT PADHEGA,---???
➡JAWAB=111::--
HUKM YAH HAI KE IMAAM KE SALAAM FERNE KE BAAD APNI AEK (1) HEE RAK'AT PADH KAR QADA ULA KARE, FIR DOOSRI BILA QADA PADHKAR, TEESRI PAR QADA AAKHIRAH KARE,
📚FATAWA FAIZ-AR-RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-348,
➡SAWAL=112::--
NAMAZ KE ANDAR QAYAAM KEE HAALAT ME BADAN KO KHUJLANA KAISA, YAANE KE HAATH KO AEK BAAR US JAGAH RAKHKAR, BINA HAATH HATAYE KAI BAAR KHUJLANA YAANE KAI BAAR HARKAT KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=112::--
AEK (1) QAYAAM ME TEEN (3) BAAR KHUJLANE SE NAMAZ JAATI RAHEGI, YAANI IS TARAH KE KHUJA KAR HAATH HATAYA FIR KHUJAYA FIR HATAAYA IS TARAH TEEN (3) BAAR KIYA,
👉🏻AUR AGAR AEK (1) MARTABA HAATH RAKHKAR KAI BAAR HARKAT DEE TO YAH AEK (1) HEE MARTABA KHUJLAANA HUWA, IS SOORAT ME NAMAZ FAASID N HUYI,
📖FATAWA ALAMGIRI, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-97,
📚FATAWA FAIZ AR RASOOL, JILD-AWWAL, SAFA NUMBER-350,
➡SAWAL=113::--
TOUBAH KEE KITNI SHARTE HAI,---???
➡JAWAB=113::--
TOUBAH KEE TEEN (3) SHARTE HAI,_*
👉🏻(1)= PAHLI GUNAAH SE ROOJOO'A,
👉🏻(2)= DOOSRI GUNAAHO PAR NIDAAMAT,
👉🏻(3)= AUR TEESRI HAMESHA KE LIYE GUNAAH N KARNE KA EHAD,
📖TAFSEERE NAIMEE,
📚KYA AAP JANTE HAI, PAGE NUMBER-802,
➡SAWAL=114::--
ALLAH TAALA NE APNE RASOOL صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO KITNE QISMO KE ULOOM ATAA FARMAYE HAI, YAANE KE ILME NUBOOWAT KEE KITNI QISME HAI,---???
➡JAWAB=114::--
ILME NUBOOWAT KEE TEEN (3) QISME,
✒JAAN LENA CHAHIYE KI ALLAH TAALA NE APNE RASOOL صلی الله تعالٰی عليه وسلم KO TEEN (3) QISMO KE ULOOM ATAA FARMAYE HAI,
👉🏻(1)= WAH ULOOM JINHE APNI UMMAT KE TAMAAM KHWAAS W AWAAM KO BTAA DENA AAP PAR FARZ THA, JAISE AHKAAME SHARIAT,
👉🏻(2)= WAH ULOOM JINKE BAARE ME AAPKO YAH IKHTIYAAR DIYA GAYA THA KI AAP JISKO CHAAHE BATAYE AUR JISSE CHAAHE CHUPAYE, JAISE BAHUT SE ROOMOOZ W ASRAAR AUR GAIB KEE KHAAS KHABRE KI AAP NE APNE KHAAS-KHAAS SAHABA KO BATAYA, AUR AAM LOGO SE CHUPAYA,
👉🏻(3)= WAH ULOOM JINKA TAMAAM UMMAT SE CHU'PAANA AAP PAR FARZ THA, JAISE QAYAMAT KA SAN AUR HUROOFE MUQT'T'AAT AUR AAYAATE MUT'SHAA'BI'HAAT WAGAIRAH,
📖TAFSEERE ROOHUL BAYAAN, JILD-3, SAFA NUMBER-180,
📚QAYAMAT KAB AAYEGI, PAGE NUMBER-18 & 19,
➡SAWAL=115::--
SONE KEE GHADI JEB ME RAKH KAR NAMAZ PADHNA KAISA,---???
➡SAWAL=116::--
SONE YAA CHANDI KEE GADI ME MARD YAA AURAT KO WAQT DEKHNA KAISA,---???
➡JAWAB=115 & 116::--
SONE KEE GHADI JEB ME HO TO NAMAZ ME HARZ NAHI KE JEB ME RAKHNA PAHENNA NAHI, JAISE JEB ME ASRAFIYA PADI HO,
👉🏻HAA SONE KEE GHADI YAA CHANDI KEE GHADI ME WAQT DEKHNA, MARD W AURAT SAB KO HARAAM HAI, KE AURAT KO PAHENNE KEE IJAZAT HAI, N KE AUR TURQE ISTEMAAL KEE,
📚FATAWA RAZVIYA SHAREEF, JILD-22, SAFA NUMBER-129,
➡SAWAL=117::--
LADKI AGAR HAALTE HAIZ ME HO TO, US WAQT USKA NIKAAH KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=117::--
Haalte Haiz Me Nikaah Karna Jayez Hai,,
📚WAQARUL FATAWA, JILD-3, SAFA NUMBER-120,
➡SAWAL=118::--
LADKI HAALTE HAIZ ME THI, US WAQT USKA NIKAAH HUWA, AUR DULHA NE DULHAN SE SUHAAGRAAT (Hambistari) NAHI KIYA, TO AESI SOORAT ME WALIMA KARNA KAISA, YAANE KE BAGAIR HAMBISTARI (Sex) KIYE HUWE WALIMA KARNA KAISA,---???
➡JAWAB=118::--
Walima Ke Liye Hambistari (Sex) Zaroori Nahi Hai, Jaisa Ke Hazrat Allama Mufti Waqaruddin Qadri Alaihirrahma Apne Fatawa Me Tahreer Farmate Hai Ke:: Zaujain (Miya-Bivi) Tanhayi Me Kuch Waqt Guzar Le Agarche Huqooq-e-Zaujiyat Ada Na Kare (Yaani Sohbat Na Bhi Kare To) Walima Ho Jayega,
📚WAQARUL FATAWA, JILD-3, SAFA NUMBER-120,
It was pleased to read this kind of information.
ReplyDeletePowerful Islamic Istikhara for love marriage
Hazrat mujhe aap apne group (faizan e huzoor Ameen e Shariat) me join kar lijiye ➡9875482910
ReplyDeletePlz join me in Ur grp
ReplyDelete