Monday, April 17, 2017

Kya Islam mein Tasweer banana (Photography) jaiz hai???



{{ PART=1 }}



📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹
📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
 📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 Kya Islam mein Tasweer banana (Photography) jaiz
hai???
📷📹📷📹📷📹📷📹📷

➡ Kya Islam mein Tasweer banana (Photography) jaiz
hai???

✒ Aaj Kuch log kehte hai k Camere ki banai hui Tasweer To mehez Aks hai.
Tasweer to wo Haram hai jo haath se banai jae (yani painting)
Magar ye Galat nazarya hai.

Kya Camere ki Tasweer haath se nahi banai jaati???

Kya Camere Paaon se chalaya jata hai???

Camere ki Tasweer bhi haath hi se Banti hai,
Fark sirf itna hai ke Huzoor
Sallallahu Ta'ala Alaihe wa Sallama ke Daur e Aqdas mei
Tasweer Banane ke liye haath mei Qalam uthaya jaata tha
AUR ab Qalam (pen) ki
jagah Camera aa gaya hai.

Maqsad aur Matlab to ek hai

JAISE Huzoor Sallallahu Ta'ala Alaihe wa Sallam ke Daur e Aqdas me
Jihaad ke liye Haath me Talwaar hoti thi,
lekin ab Talwaar ki jagah Bandook, bomb aa gae hai.
Maqsad aur Matlab wahi
hai.

Jo log Qalam aur Camere ki Tasweer mei fark karte hai
kya un ke Nazdeek Bandook se Jihaad (sahi Ma'ne mei) Haram hai?

Agar Bandook ka hukm talwaar wala hi hai
TO Camere ka Hukm Qalam wala kyun nahi hai?

✍ Haa Pass port, Pan card aur is ke alawa dusre Safari
aur Shanakhti (identity) zaroorat ke liye banwana is
daur me Fuqha wa Ulama wa Muftiyan e Kiram ne rookhsat diye hai
KE ye ek Zaroorat hai.
Aaj Shanakhti card (identity proof) ke Bagair koi Shakhs kisi Mulk ka Bashinda (Residence) hi nahi samjha ja sakta.

Isi liye Aalami Sateh (international level) par Tasweer Laazim ho gai hai.
Isi liye pass port, voter Id, Pan card, Aadhar card,
IS k alawa aur bhi Shanakht ke zariye hai
SIRF usi ke liye rookhsat diya gaya hai.

✍ Lekin aaj kai Musalman Khaskar Naujawan (College going students) Mobile Camere ke zariye
Najaiz o Haram kaam karte hue nazar aa rahe hai.
Baat baat par Pose dekar mobile Camera se Photo nikalna un k liye fakhr ki baat ho gai hai.
               
               Astaghfirullah

Chahe Ladke ho Ya Ladkiyan aaj har koi is Gunah (photography) me Doobe hue Nazar aa rahe hai.

Kal tak Sirf Shaadiyon mei photography (Haramkari) hua karti thi

LEKIN aaj mobile ke zariye baat baat par photo nikala jata hai.
Kahin bahar Hotel mei khana khane gae to
ghar ka hi koi member mobile nikal kar kehta hai
ek photo ho jae,
is par baaki sab ghar wale Haathon mei niwala lekar Apne mooh k pass rakhte hue Pose mei badi shaan se photo Nikalwate hai.
             
               ALLAH KI PANAH

✍ Kuch Nadaan to aise hote hai jo Ice cream parlour mei ya Coffee Shop me jakar (apni Jhooti Shaan dikhate hue) order dene k baad alag alag andaaz mei Pose
dekar
photo nikalwakar apne Doston mei Share karte hai.

Ma'azAllahi Rabbil A'lameen.

Musalmano kya Tumhare is Amal se Allah aur  Rasool Naraaz nahi hote hoge???

✍ Aaj ye bhi dekha gaya hai k ladke aur
BEPARDAH MUSALMAN LADKIYA facebook, whats'app aur isi tarah dusri social networking media par apni Picture (pic-image) upload karte hai.

Unhe is baat ki zara bhi fikr nahi k
log hamari Photo ko kis niyat se dekhenge.

Bas smile dekar fuzool mei Apni Tasweer utar kar aur phir use Facebook, whatsapp par upload kar dete hai

PHIR jo chahe galat iraade, buri niyyat se dekhe
IS baat ka un Shariyat se Gaafil Musalmaan Ladkiyon ko zaara fikr nahi.....

Allah aisi Bepardah Ladkiyon ko Aql Ata farmae.

✍ Kuch log kehte hai ke aaj ke daur mei Video, photography se bachna bahut mushkil hai.
Jidhar Nazar jae
WAHA CCTV Camera,
TO bhala kaun is se bach sakta hai....

Logo ka ye sawal Fitrat k mutabik hai jise galat bhi nahi kaha ja sakta.
LEKIN is ka matlab ye nahi ke ham jaan boojh kar Camera ke zariye Haramkari (video-photography) kare.

👉 Chand Misaalon se in baaton ko samjhne ki koshish kare,
Yoo to maut kai tarah se aa sakti hai,
LEKIN yaha yoo samajhiye ke banda apne Rab ke paas teen (3) tarah se Pahunchta hai
(yani Intekaal kar jata hai.)

(1)= Kudrati maut:-------
Yani Saalo se ya kuch din Bimaar rehkar kisi badi Bimaari mei Mubtila hokar apne Rab se ja milna.

(2)= Kisi Haadse (accident) ke sabab,
KE raaste mei kisi car ya bike ne takkar mar di aur is ki wajah se jaan chali gai.
Ya kisi ne Bandook se goli chala kar qatl kar diya.....

(3)= Haram maut.
Yani Apne aap ko Khud hi Qalt kar dena,
jise khud khushi bhi kaha jata hai.

👉 Jab aap kisi Bank, railway station, airport, shopping Malls, Signal par ho
AUR aap ko ye pata ho ke aap ki CCTV me Picture qaid ho rahi hai
AUR aap ka us jagah jana bhi zaroori hai
aur aap photography ko Haram aur bura bhi jaante ho to
IS me aap ki Giraft (Pakad) nahi hogi,
kyun ki aap majboori me waha khade ho
yani ye usi tarah hai k Banda nahi chahta ke
RAASTE mei us ka Haadsa ho
LEKIN phir bhi na chahte hue bhi Haadse ka shikaar ho gaya..

👉 LEKIN aap CCTV k saamne Pose dekar ya yunhi Fuzool me aise jagah khade ho jaha aap ko kuch kaam nahi
AUR Khushi se, DIL hi dil me ye gumaan karte hue k
CCTV mei meri Picture qaid ho rahi hogi
TAB is me aap ki Sakht giraft hogi.

Ab aise Shaks me aur khud kashi karne wale shaks me koi Fark nahi,
KE dono ne jaan boojh kar Haram kaam kiye hai.,,

✒Tasweer ke Haram hone par chand Daleel Mulahiza Farmae.

               🌷HADEES=1🌷

Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ke Saamne Aap ke Wisaal se pehle Bimari ke Dino mei
Habsha ke ek Girjaghar (Church) mei bani hui Tasweeron ka Zikr kiya to
Aapne Sallallahu Ta'ala
Alaihe Wa Sallam Sar Utha kar Irshad Farmae:
"Ye wo Log hai ke jab in me koi Neik aadmi mar jata to Us ki Qabr par Masjid Bana Lete aur us mei In Tasweeron ko Sajaa dete.
Aisa karne wale Makhlooq mei sab se zyada Bure log hai."

📕(( Sahih Bukhari, Jild=1, Safa=179,
Sahih Muslim, Jild=1, Safa=201))

               🌷HADEES=2🌷

Hazrat Abu Talha Radiyallahu Ta'ala Anhu ne kaha ke
Huzoor Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ne Farmaya ki
JIS Ghar mei Kutta ya Jaandar ki Tasweer ho
US ghar mei Rehmat ke Farishte nahi aate,,

📕((Bukhari Sharif, Jild=3, Kitab Al-Libaas, Safa=329))

✍ Is Hadees Paak se un logo ko sabaq Haasil karna Chahiye
Jo apne Ghar ki Deewaron par Jaandar ki Tasweer, Frame mei lagae hue hai.
Kuch Musalman to aise hai jo apni Jhooti Shaan o Shaukat dikhane ke liye
showcase mei mini photo frame,
bacchon K khilone (Toys),
apni Shaadi ki Photo frame,
Deewar par Artistic Frame
(Jaandaar ki Tasweer bani hui)
lagate-Sajate hai,
AUR ye Gumaan karte hai ke is Amal (TASWEER LAGANE) se log hame Up to date samjhenge.
               ALLAHU AKBAR!
Haram kaam kar ke Apne aap ko Up to date kehelwana kaha ki Samajhdari hai
Ye Sirf aur Sirf Bewakoofi hai.
Allah Musalmano ko aise Amal se bachne ki Taufiq Ata farmae,,

               🌷HADEES=3🌷

Hazrat Abdullah Ibne Masood Radiyallahu Ta'ala Anhu ne Farmaya ke
Rasool e Karim Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ko Farmate hue Suna ke
Allah Ta'ala ke yaha sab se zyada AZAAB on logo ko diya jaega
JO Jaandar ki Tasweerein Banate hai.

📕((Bukhari Sharif, Jild=3, Kitab Al-Libaas, Safa=333))

                ALLAHU AKBAR

✍ Musalamano zara is Hadees ko gaur se padho
Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Sallam kya Farma rahe hai,
tasweer ka Banana,,

Ab chahe pen, pencil se ho ya Camera se
Dono se ban to rahi hai tasweer hi
dono par Hukm ek hi hai,
k ye sirf aur Sirf Haram hai,,

               🌷HADEES=4🌷

Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiyallahu Ta'ala Anhu ne kaha ke
Rasool e Karim Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ko Farmate hue suna ke Aadmi (Jaandaar ki) Tasweer Banaega to
Allah Ta'ala Beshak Use Azaab dega
YAHA tak ki wo Apni Banai hui Tasweer mei Jaan daal de
AUR Ye Haqiqat hai ke wo us me kabhi Jaan nahi Daal dega.
(is liye Azaab ka Mustahiq hoga).

📕((Bukhari Sharif, Jild=3, Kitab Al-Libaas, Safa=333))

               🌷HADEES=5🌷

Hazrat Ayesha Siddiqa Radiyallahu Ta'ala Anha Farmati hai ke
maine ek (1) Gadda kharida
jis me Tasweerein Thi.
Jab Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ne use dekha to dur Daraaz par khade ho gae
AUR andar Daakhil na hue.
Maine (Sayyeda Ayesha
Siddiqa) Aap Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ke Chehra e Anwar par Karahat ke Aasaar dekhe.
Arz ki Ya Rasoolullah
MAI Allah aur us ke Rasool ki
Jaanib Taaib hoti ho
mujh se kya Gunah sar zad ho gaya???
Farmaya Ke is Gadde ka kya Haal hai???
Arz ki ke Maine use Aap ke Baithne ke liye Kharida hai,
Pas Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke
un Tasweeron ke banane walo ko
Qayamat ke Roz AZAAB diya jaega
aur un se kaha jaega ke
JO Cheez tum ne Banai hai un mei jaan Daalon
AUR farmaya ke wo ghar jis ke andar Tasweer ho
us mei REHMAT KE FARISHTE DAAKHIL NAHI HOTE,,

📕((Bukhari Sharif, Jild=3, Kitab: Al-Libaas, Safa=333))

👉 ISI TARAH EK (1) AUR HADEES MEI AAYA HAI:

               🌷HADEES=6🌷

Hazrat Ayesha Siddiqa Radiyallahu Ta'ala Anha ne Farmaya ke
Nabi Karim Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam
ek (1) Safar se wapas Aae to
maine ek pardah Latkaya hua tha
jis mei Tasweerein thi,
Pas Aap ne mujhe Hukm diya
use utaar don
to mai ne us Pardeh (Tasweer wale) utaar diya.

📕(( Bukhari Sharif, Jild=3, Kitab: Al-Libaas, Safa=329))

♦Note::--yahan pardeh se Muraad Ghar ke darwaze ka Pardeh hai na ke Hijaab.

✍ Bade Afsos ki baat hai,
JIS cheez ko Allah k Nabi aur hamare pyare Aaqa ne Napasand farmae
AAJ us cheez ko Musalman pasand karte hue Nazar aa rahe hai.

Shaadi ho, Birthday Party ho, kahi ghumne gae ho, ya Restaurant par,
AAJ Musalman Apne Mobile Camera se apni Photo zaroor Nikalta ya Nikalwata hai.

Ma'azAllahi Rabbil A'lameen.

✍ Musalmano ek Lamhe ke liye zara sochiye
kya Aap ka ye amal (Mobile Camera se Photo Nikalna) Jaiz hai???
Aur kya is se Allah aur Rasool Raazi hote honge???
Hargiz nahi! Hargiz nahi!!

✍ Balke Hadith mei Apne padha k Huzoor Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam
Sayyeda Ayesha Siddiqa k kharide hue Gadde par Tasweer ko dekh kar Door khade rahe,
JAB ke us Gadde par hazrate Ayesha radiyallahu anha ne Tasweer nahi banae they
phir bhi Huzoor ne gadde par bani hui Tasweer ko napasand farmae
AUR ye bhi Irshad farmae ke
Qayamat ke Roz Tasweer banane wale ko Azaab diya jaega
AUR kaha jaega ke is mei jaan Daalon.
Batao Musalmano kya koi apne haath se banai hui ya Camera se khichee (click) hui Tasweer mei Jaan daal sakta hai???
Is Roo e Zameen par aaj tak kisi Maa ne aise Awlaad ko nahi Janee (paida kiya)
JO Maidan e Mehshar me
Allah Rabbul Izzat ke saamne
khade hokar keh sake haa hum apni banai hui Tasweer mei Jaan daal sakte hai.

✍ Batao Musalmano kya aap apni banai hui Tasweer mei jaan daal sakte ho?
Agar nahi to phir fuzool mei Photo kyun Khichate ho???Kyun???
                Allah ka Khauf karo
AUR aise Haram kaam se Parheiz karo.

✍ ISLAM mei Jaandaar ki Tasweer banana
YE koi mamooli jurm bhi nahi
balke aap is baat se hi Andaaza laga lijiye ke
khud Rasoolullah Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ne Irshad farmae ke
Tasweer banane wale par Allah ki La'nat hai
AUR khud Huzoor ki bhi Naraazgi hai.

👉 Agar ye koi Mamooli baat hoti to
Huzoor is tarah Naraazgi ka Izhaar nahi farmate,
Huzoor Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ka Naraaz hona hi
IS baat ki Daleel hai ke Jaandaar ki Tasweer banana (pen, pencil ya mobile camera se) har haal mei Haram Haram hai.

👉 Lihaza aap se Guzarish hai ke Allah Subhan wa Ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihe Wa Sallam ko Naraaz na karein,
AGAR ye Naraaz ho gae to yaad rakhiye
Na Aap ki Duniya Kamyaab hogi AUR na hi Aakhirat!!

👉 Aur hum ne jo kaha Tasweer nikalna Haram hai
IS se Muraad Jaandaar ki Tasweer yani Insaan, Jaanwar, Parinde.
Rahi baat chand, Sitaare, darakht,
Jin ka shumaar jaandaar me nahi hota
TO unki tasweer nikalne mei koi harj nahi,

Allah hame Tasweer kashi se parhez karne ki Taufiq Ata farmae.

Aameen Summa Aameen

♦NOTE= Agar aap ko is Masle par aur Tafseel chahiye to
Bukhari Sharif (Mutarjim) ki Jild=3 mei Kitab Al- Libaas mei Baab 541-550, Hadees Number=890 se 904 ka Mutala kare,,,

📷📹📷📹📷📹📷📹📷
🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹
📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 طالِبِ دُعا غلام نبي رضا
➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP
           ↙JOIN GROUP↘
        WHATS APP NUMBER
            ☎7782066833☎
📷📹📷📹📷📹📷📹📷







{{ PART=2 }}



📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹
📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
 📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 Kya Islam mein Tasweer banana (Photography) jaiz
hai???
📷📹📷📹📷📹📷📹📷

*T.V-TASWEER YA AAYINA*

*Post badi hai magar bahut ilmi hai poori padh lijiyega in sha ALLAH ilm me bahut izaafa hoga*

* Beshak nihayat sakht azaab qayamat ke din tasweer banane waalo par hoga

📕 Muslim,jild 2,safah 201

* Beshak jo tasweer banate hain qayamat ke din unse kaha jayega ki jo kuchh tumne banaya usme jaan daalo aur wo hargiz aisa na kar sakega

📕 Muslim,jild 2,safah 209

* Us ghar me rahmat ke farishte daakhil nahin hote jisme kutta tasweer ya koi junub (jispar gusl farz) ho

📕 Abu daood,jild 2,safah 218

* ALLAH rabbul izzat quran muqaddas me irshaad farmata hai ki "wo log jo rasool ALLAH sallallaho taala alaihi wasallama ko eeza dete hain ALLAH ne unpar duniya aur aakhirat me laanat farmayi aur unke liye zillat ka azaab taiyar kar rakha hai

* Hazrate akrama raziyallahu taala anhu farmate hain ki ye aayat tasweer banane waalo ke haq me naazil huyi

📕 Paara 22,surah ahzaab,aayat 57
📕 Kitabul kabayer,safah 303

* AALAHAZRAT azimul barqat raziyallahu taala anhu farmate hain ki "hadees is baare me hadde tawatar par hain jiska qasdan inkar karne waala kam se kam gumrah wa baddeen hai

📕 Fatawa razviya,jild 9,safah 143

Magar t.v ke masle par bahut saare naam nihaad ulma gumrahi ke gadhe me gire hue hain,jo ispar dikhne waali image ko tasweer nahin maante hain aur isko jayaz karne ke liye 3 daleele pesh karte hain

*1- T.v misl aayina hai*

*2- T.v me tasweer nahin balki shuwayein yaani rase hai*

*3- Umoome balwa yaani haalate zamana ko dekhte hue ise jayaz kar dena chahiye*

Aayiye chalte hain in saari baato ka post mortem karne ke liye,sabse pahle hindustan me is khurafat ko jisne jayaz kiya wo badmazhab firka jamate islami ka baani abul aala maududi tha jiske maanne waalo ko maududwi bhi kaha jaata hai,phir isi maududvi tahqeeq ko aage badhaya maulvi madni miyan sahab kachauchvi ne,jis par huzoor taj-us-shariya ne unki sharayi giraft farmayi aur unki galat tahqeeq par 25 sawal qaayam farmaye,jiska jawab madni miyan sahab ne kuchh ka kuchh diya halaanki unke diye gaye jawabaat galat the magar phir bhi huzoor taj-us-shariya ne un par bhi kuchh sawal qaayam kiye jiska jawab aaj tak unke ya unke maanne waalo ki taraf se nahin diya gaya,magar jaisa ki ulta chor kotwaal ko daate waali kahawat yaha sateek baithti hai jawab to diya nahin ulta apne stagon se unke group ke logon ne maslan haashmi miyan ubaid ullah khan aazmi maulvi zaheer uddin wagairah ne khule aam huzoor taj-us-shariya wa sarkare aalahazrat ki shaan me gustakhiyan ki balki kuchh sahaba ikraam ko bhi nishaana bana daala,jo hazraat wo audio sunna chahen wo www.benaqabchehre.com par visit karen,phir isi kadi me ek aur naam juda pakistan ke ek gumrah maulvi tahirul qadri ka jiske oopar sirf hindustan hi nahin balki pakistan ke bhi 125 se bhi zyada ulmaye ikram ne hukme kufr lagaya,phir inhi kuchh gumrah maulviyon ki shah paakar pakistan ki badnaam zamana tahreek daawate islami bhi chal padi,jo shuru me to apni jamaat ko farog dene ke liye khooob maslake aalahazrat ka naara bulan karti thi,ab chaliye t.v ko jayaz karne ki un 3 daleelo par kuchh arz karta hoon

*Pahla ye ki t.v misl aayina hai*

bilkul galat hai jaisa ki mere aalahazrat azimul barqat raziyallahu taala anhu farmate hain ki "bila shubah aayine me jo apni surat dekhte ho to kya aayine me koi surat hai,nahin balki aankho ka noor padkar wapas aata hai to wo apne aapko dekhta hai lihaza daahina baaya nazar aata hai aur baaya daahina nazar aata hai

📕 Almalfooz,hissa 1,safah 50

Isi usool par ulmaye ikraam ke banaye hue kuchh kanoon mulahza karen

1. jis kod se aankhon ka noor aayine par padega wo noor kod banata hua wapas lautega,maslan aayine ko saamne rakhkar agar beech se dekhen to apni surat nazar aati hai lekin agar daayi taraf se dekhen to apni surat nahin dikhti balki baayi taraf ki tamam cheezein nazar aati hai,agar t.v aayina hai to kya t.v me bhi aisa hota hai kya t.v ko daaye ya baaye jaanib se dekhne par uska scene change hota hai,yaqinan nahin to phir t.v aayine ke misl kaise hua

2. T.v ke picture tube me kuchh khaas kism ke bulb hote hain jo rase ko t.v ki andar ki taraf ki screen par daalte hain to wo rase screen ki baahar ki taraf se nazar aati hai palatkar wapas nahin jaati jabki aayine me rase palatti hai to phir t.v aayine ke misl kaise hua

3. T.v ka picture tube khud rase yaani kirne paida karta hai iske bar aks aayina koi noor ya kiran nahin banata balki jo jis tarah us tak pahunchta hai use waise hi lauta deta hai to phir t.v aayine ki misl kaise hua

4. T.v ka picture tube rase yaani kirno me tasarruf yaani badlaav karta hai maslan aayine ke saamne jab hum apna daaya haath uthaate hain to goya lagta hai ki hum baaya haath utha rahe hain lekin yahin pose jab hum t.v me dekhte hain to daahina daahina hi nazar aata hai matlab saaf hai aayina aaye hue noor ko yunhi lauta deta hai jabki t.v me gayi kiran ko wo direction change karke dikhaata hai to jab aayina tasarruf nahin karta hai aur t.v tassarruf karta hai to phir t.v aayine ke misl kaise hua

5. Aayine me nazar aane waali surat ko ek jagah roka nahin ja sakta jabki t.v me nazar aani waali tasweer ko pause ka batan dabate hi badi hi aasani se roka ja sakta hai ye is baat ki daeel hai ki aayine me koi tasweer nahin hai magar t.v me nazar aane waali shuwayon me tasweer maujood hai to phir t.v aayine ke misl kaise hua

isko is tarah samajhiye shayad aapne sinema haal me chalne waali reel kabhi dekhi hogi,ab to filme satelite ke zariye chalti hain magar pahle ise reel se projector ke zariye chalti thi,jab movie chal rahi hoti hai to kya zara bhi ye ehsaas hota hai ki ye sab still photo graphy yaani thahri huyi photos ki next by next range hai,nahin bilkul nahin,sab kuchh chalta phirta nazar aata hai magar jahan kuchh gadbadi paida huyi fauran ek jagah image thahar jaati hai,yaani jisko video graphy kahke jayaz kaha ja raha hai dar asal wo bhi still photo graphy hi hai,aaj bhale hi is high tecnology ke daur me reel ki shakl me wo photos na rakhkar data ki shakl me memory card pen drive hard disk me rakha jaaye magar hai ye tasweer hi

6. Kya poori duniya me koi bhi qaum aayine ki pooja karti hai nahin,magar hindu t.v par pooja karte hain aur is kaam ke liye bahut saari companiya pooja ki c.d aur dvd banati aur bechti hain,aur ab to kuchh jaahil deedare attar ki bhi cd banate aur bechte nazar aa rahe hain,lihaza itne saare fark hone ke bawajood ye kahna ki t.v misl aayina ke hai sarasar jihalat aur hathdharmi hai

*Doosra ye kahna ki t.v me shuwayein hain tasweer nahin*

Ye bhi bilkul galat tahqeeq hai ki camera ki shuwayon me bhi tasweer hoti hai aur camera un tasweero ko shuwayon ki shakl me save karke rakh bhi sakta hai,agar camera ki kirno me tasweer nahin hoti to saamne baithe hue aadmi ki tasweer kis tarah banti,aur agar ye tasweer nahin hai to phir in shuwayon ko camera me record karne ka kya maqsad hai,zaahir si baat hai in shuwayi tasweero ka bhi wahi maqsad hai jo haath se bani huyi tasweero ka hota hai yaani inhein bhi kaagaz ya screen par utaara jayega,aur jab ye shuwayein screen par aayegi to yaqinan tasweer hogi aur us par hurmat saabit hogi,isko is tarah samajhiye ki ek artist kayi din me rang brush aur canvas par kisi ki tasweer banata hai magar aaj ki is modern tecnology me wahi shakhs shuwayon ka rang lekar camera ya mobile ke brush se screen ke canvas par chund second me tasweer bana deta hai,kya haath ki bani huyi tasweer me aur t.v ya mobile ki screen par dikhti huyi tasweer me kuchh fark hota hai,kya t.v par dikhne waali tasweer ke munh kaan naak aankh nahin hote,to kyun aakhir ye tasweer nahin hai agar che banane ka tariqa alag hai magar hai to tasweer hi,kya suwar ke gosht ko murga kahkar khaa lene se wo suwar halaal ho jayega kya sharaab ko sharbat kahkar gatak lene se sharaab sharbat ke hukm me aa jayegi,nahin aur hargiz nahin,to phir ye ulti mantiq tasweer ke mauzu par hi kyun,kya ye shariyat ke saath khule aam khilwaad nahin hai,hai aur yaqinan hai

*Teesra ye ki haalate zamana ko dekhte hue t.v ko jayaz kahna*

Daleel ke taur par hazrat faqeeh abullais samarqandi alaihirrahama ke 3 masayal me ruju karne ki baat kahte hain to aise log khoob achchhi tarah samajh lein ki unki daleelo ko dhaal banakar t.v jaisi khurafat ko hargiz hargiz jayaz nahin kiya ja sakta,aur unka ruju farmana aaj ke naam nihaad maulviyon ki tarah naam shohrat aur paisa kamaana nahin tha balki deen bachana tha,samjhane ke liye unka ek masla darj karta hoon,shariyat ne deeni kaam par paisa lena najayaz farmaya,shuru islam se hi ulmaye ikraam ko saltanate islami ke zariye ek mustaqil wazifa mila karta tha jisse unki maali madad ho jaati aur unka guzar basar ho jaata aur wo ulmaye ikraam deen ki ishat me asroof raha karte the,magar jyun jyun islami hukumat khatm hona shuru huyi to ulma ko diye jaane waale wazife bund hote gaye isse unko apna ghar sambhaalna dushwar ho gaya,doosra koi raasta na dekh hazaro ulma ikraam ne darso tadrees chhodkar doosra kaam dhandha shuru kar diya aur jo bache kuche motabar ulma the wo bhi majburi ke tahat apne ghar waalo ki khaatir deen ki ishat ko chhodkar kisi doosre kaam ki talaash me the,tab aise naazuk waqt me jab ki deen mitta hua nazar aane laga to hazrate samarqandi alaihirrahma ne darso tadrees par tankhwah lene ka fatwa diya,ab us masle ko t.v par jayaz karne ke liye daleel banana aap bataiye kya sahi hai,wahan jo majburi thi kya aaj t.v ke masle me bhi aisi hi majburi hai,us waqt deen khatre me pad gaya tha kya aaj bagair t.v ke deen khatre me hai kya bagair t.v ki madad liye deen mit jayega

! kya bagair t.v ke imaam namaz nahin padhayega
! kya bagair t.v ke bachche ilm haasil nahin kar payenge
! kya madarso me taale lagwa diye jaaye
! kya deeni kitabein hatakar library me t.v ko ghusa diya jaaye
! kya jalso me muqarrir ki jagah t.v rakhkar taqreer karayi jaaye jaisa ki daawate islami waale kar rahe hain maaz ALLAH

To maanna padega ki deen ka kaam t.v par mauqoof nahin hai,lihaza ye naam nihaad maulvi apni gumrahi ko awaam me failana bund karen,aur ek masla khoob qaayde se samajh lein ki voter card ration card driving licence admission form paasport ya jahan bhi zaruratn photo maangi jaati hai wahan par sirf us zarurat ke liye tasweer khinchane ki rukhsat hai matlab chhoot hai yaani is par koi sharayi giraft nahin hogi,iska ye matlab hargiz nahin ki tasweer jayaz ho gayi jis tarah izterar ki haalat me jaan bachane ke liye suwar aur sharab ki ijazat di gayi to iska matlab ye nahin hua ki suwar aur sharab mutlaqan halaal ho gaye balki us haalat me unka khaana jayaz hua theek usi tarah zarurat ke tahat hi tasweer ki rukhsat hai ye nahin ki khoob photo khinchao khoob movie banwao khoob t.v dekho ab sab kuchh jayaz hai,Yaad rakhiye jo musalman kisi haraam kaam ko haraam samajhkar karega to wo faasik hoga magar alhamdo lillah musalman rahega lekin agar kisi ne haraam ko jayaz samajh liya to kam se kam is masle me to wo gumrah to ho hi jayega

*Agar yahan tak ki baat samajh me aa gayi ho to ye aakhiri baat bhi samajh lijiye ki aap islami group me hain aur ilme deen haasil karne ki garz se hain to ilm usi waqt faayda pahunchata hai jab ki uski izzat ki jaaye aur ilm ki izzat ye hoti hai ki usko qubool kare yaani uspar amal kare naaki ek kaan se sune aur doosre se uda dein,to meharbani karke apni apni D.P se jaandar ki photo hatayi jaaye warna barauze mahshar aap khud apni halaqat ke zimmedar honge*

📕 T.v aur video ka opration
📕 Shuwayi paikar ka hukm

Join ZEBNEWS to 9335732950
All india jamaat raza-e mustafa
         Branch Allahabad

📷📹📷📹📷📹📷📹📷
🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹
📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 طالِبِ دُعا غلام نبي رضا
➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP
           ↙JOIN GROUP↘
        WHATS APP NUMBER
            ☎7782066833☎
📷📹📷📹📷📹📷📹📷







{{ PART=3 }}



📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹
📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
 📷📹📷📹📷📹📷📹📷
KYA ISLAM MEIN TASWEER (PHOTOGRAPHY) JAIZ HAI,???
📷📹📷📹📷📹📷📹📷

➡(2)= TASWEER KE AHKAAM,,
            तस्वीर के अहकाम,,

✍ MASLA=1
                         Jis kapde par jaandaar ki tasweer ho use pahenkar namaz padhna makroohe tahreemi hai,
Namaz ke ilawa bhi aisa kapda pahenna najaiz hai
Yoo hi namazi ke sar par yaani chat me ho yaa mu'allaq ho ya mahle sujood me ho ya ki us par sajda waaqe'a ho to namaz makroohe tahreemi hogi,
Yoo hi namazi ke aage yaa dahine ya baaye tasweer ka hona makroohe tahreemi hai
Aur pase pust hona bhi makrooh hai,
Agarche in teeno soorto se kam aur in charo soorto me karahiyat us waqt hai ki tasweer aage peeche daahine baaye mu'allaq ya nasab ho ya deewar wagairah me mankoosh, agar farsh me hai aur us par sajda nahi hota to karaahiyat nahi
Aur agar tasweer gair jaandaar ki hai jaise pahad, dariya, wagairah to usse kuch harz nahi,,

✍ MASLA=2,
                         Agar tasweer zillat ki jagah ho maslan jootiya utaarne ki jagah ya aur kisi jagah farsh par ki log use rondte ho
Ya takiye par ki zaano wagairah ke neeche rakha jata ho
To aesi tasweer makaan me hone se karaahiyat nahi
N usse namaz me karaahiyat aae jab ki sajda us par n ho,,

✍ MASLA=3,
                         Jin takiye par tasweer ho use mansoob karna pada hua n rakhna tasweer ke ezaaz me daakhil hai,
Is tarah hona namaz ko bhi makrooh kar dega,,

✍ MASLA=4,
                         Agar haath me yaa kisi jagah badan par tasweer ho Magar kapdo se chupi ho yaa angoothi par choti tasweer mankoosh ho yaa aage, peeche, daahine, baaye, aur upar, neeche, kisi jagah choti tasweer ho
Yaani itni ki usko zameen par rakhkar khade hokar dekhe to aazaa ki tafseel n dekhai de
Yaa paaw ke neeche yaa baithne ki jagah par tasweer ho to in sab soorto me namaz makrooh nahi,,

✍ MASLA=5,
                         Tasweer sar kati yaa jiska chehra mita diya ho
Jaise kaagaz yaa kapde yaa deewar par thi
Us par roshnaai fer di
Yaa uske sar aur chehre ko khurach daala yaa dho daala
To in soorto me karaahat nahi,,

✍ MASLA=6,
                          Tasweer ka sirf chehra mitana karaahat se bachne ke liye kaafi hai,,
Agar aakh ya bhou ya haath-paaw juda kar liye gaye to isse karaahat dafaa n hogi,,

➡ NOTE AUR RUPYE KI TASWEER KA HUKM,,

Note aur rupye ki tasweer ka hukm yah hai ki thailee yaa jeb me tasweer chupi hui ho to namaz me karaahiyat nahi,
Yahi hukm note aur rupye ka hai,,

✍ MASLA=7,
                         Tasweer wala kapda pahne hue hai fir us par koi dusra kapda aur pahen liya jisse tasweer chup gai to ab namaz makrooh n hogi,,

➡ KARAAHTE TASWEER KE SHARAIT W MARAATIB,,

✍ Tasweer se karaahat paida hone ki 3 sharte hai,,

👉(1)= Choti n ho,,
👉(2)= Mouz'e ihaanat me n ho,,
👉(3)= Us par parda n ho,,
               
Jab yah teeno sharte paayi jayegi to namaz makroohe tahreemee hogi,,

Sabse badhkar karaahat us soorat me hai
Jab tasweer namazi ke aage qibla ko ho,
Fir wah ki sar ke upar ho,
Iske baad wah ki daahine baaye deewar par ho,
Fir wah ki peeche ho deewar ya parde par,,

➡ YAH SAB AHKAAM

✍ Yah sab ahkaam to namaz ke hai,
Raha tasweer ka rakhna iski nisbat sahi hadees me irshad hua ki jis ghar me kutta yaa jaandaar tasweer usme rahmat ke farishte nahi aate,
Basharte ki tasweer badi ho aur usko ezaaz ke saath rakha jaae
Aur agar mouz'e ihaanat me ho yaa choti ho
To unka hona rahmat ke farishto ki aamad ke liye maane'a nahi,,

Chunanche rupye, ashrafi, aur deegar sikke ki tasweero ka yahi hukm hai,,

Lekin yah yaad rahe ki mazkoora ahkaam jaandaar tasweer rakhne ke hai,,

Raha tasweer banana banwana dastee ho yaa aksee bahar haal haram hai,
Isme choti badi ka farq nahi,,

📚NIZAAME SHARIAT,
PAGE=125,126,127,
📝MUSANNIF= SADRUL ULMA HAZRAT ALLAMA MUFTI ALHAJ SHAH SAYYAD GULAM JEELANI SAHAB QIBLA MERTHI,,

📷📹📷📹📷📹📷📹📷
🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹
📷📹📷📹📷📹📷📹📷
 طالِبِ دُعا غلام نبي رضا
➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP
           ↙JOIN GROUP↘
        WHATS APP NUMBER
            ☎7782066833☎
📷📹📷📹📷📹📷📹📷

11 comments:

  1. tumhari maki chut salo wahabiyo, olma e din ki ma ka bhosda bhenchod, maderchodo,
    ham sunni hey
    quran aur ehle bait ko mante hey

    kisi barelwi ko nahi mante
    aur tariqat ke sarey silsilo ko mante hey, tasveer jaiz hey,

    ReplyDelete
    Replies
    1. Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Kya Islam Mein Tasweer Banana (Photography) Jaiz Hai??? >>>>> Download Now

      >>>>> Download Full

      Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Kya Islam Mein Tasweer Banana (Photography) Jaiz Hai??? >>>>> Download LINK

      >>>>> Download Now

      Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Kya Islam Mein Tasweer Banana (Photography) Jaiz Hai??? >>>>> Download Full

      >>>>> Download LINK UY

      Delete
    2. Baat jo bhi ho aap ku tameez se baat karni chahiye aap to Aap ke khud ke maa ku gaali de rahe ho Mazallah ye bhi Nabi paak ﷺ ki hadees e Mubaraka hai na.

      Delete
  2. Bhai Sahab Kya Smart Phone TV Nahi Hai...? Fir tumhare nazdeeq Jayaz Kaise ho Gaya?
    TV Se kahin guna Zyada khatarnak Hai smart phone me aisi be hayayi fayel rahi hai aisi gandgi fayel rahi hai Jo TV par Nahi hota Woh Sab ho raha Hai...
    Aaj hum TV aur Camera Jeb me Rakh Kar fir Rahe hain...

    Agar Kisi WhatsApp group deeni malumat Lene Ke liye yeh Kaise Jayaz ho Sakta smart phone toh gunaho Ka chalta firta dukaan Hai ...
    Aap Chahe Kaise bhi use Karo Tasveer kashi ho rahi be hayayi fayel rahi hai ...
    Aap isko Kaise Apne fayde Ke liye justified Kar sakte Hain Ke smart phone Jayaz Hai ? Aur agar Nahi to aap WhatsApp group aur Facebook pages kyun? Chala Rahe Hain?

    ReplyDelete
  3. Deeni kamo Ke liye Bahut Sare jayad ulama video Ka istemal Kar Rahe hain... Aur aap bas Dawat E Islami aur Sunni Dawat E Islami Ko hi tanqid Ka nishana banate Hain ?
    Huzur tazushria Ke khalifa Jaise Ahsan Qadri Sahab, Muzzafar Shah Sahab, aur Digar baqaida video Bana Rahe Hain aap unko kuch Nahi Bolte bas Kuch tahreeqo pe lagatar ungli uthate Hain ... ?

    ReplyDelete
  4. I read that Post and got it fine and informative. Please share more like that...
    images with qoutes

    ReplyDelete
  5. Jo imam Sahab Tasveer Ko haram Samjhte Hain Woh log smartphone use karte Hain aur Har Unki hat harkat par smartphone me lagatar Tasveer ban rahi hai Unke piche Namaz Kaise jaiz ho Sakti Hai?

    Khalifa e Tajushria Ahsan Qadri Sahab, Shaharyar Raza Sahab, aur Muzzafar Shah Sahab aur bahut Sare yeh hazraat na Qaida video banate Hain inke Upar kya hukm Hai? Kya hamare akabirin Koi fatwa lagaya Hai? Kya Khilafat Se be dakhal Kiya hai? Nahi to kyun Nahi?

    Ulama Ko smartphone use karne Se kyun roka Nahi jata? Namaz Ka Kiya Hoga? Is zimmedar Kaun?

    ReplyDelete
  6. Kya social media ke kisi Bhi app par photos upload karna kaisa ? Aur jaaiz hain ? Aur hazrat karate ehtilam hota hain koi ruhaani ilaj bataye khuda hafiz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Gunnah to gunnah hota h or photo to photo hoti h lazmi ye gunnah h

      Delete
  7. Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Kya Islam Mein Tasweer Banana (Photography) Jaiz Hai??? >>>>> Download Now

    >>>>> Download Full

    Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Kya Islam Mein Tasweer Banana (Photography) Jaiz Hai??? >>>>> Download LINK

    >>>>> Download Now

    Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Kya Islam Mein Tasweer Banana (Photography) Jaiz Hai??? >>>>> Download Full

    >>>>> Download LINK

    ReplyDelete

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...