Tuesday, January 10, 2017

JAMAAT SE NAMAZ PADHNE KI FAZILAT W MASAYEL,,



*بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم


➡ "JAMAT SE NAMAZ
PADHNE KI FAZILAT"

Tajdare Madina Huzoor PurNoor Janabe Muhammadur Rasullullah Sallalahu 'alaihi’wasallam Ke Farameene Aqdasah,

Hadees:

Jamaat se Namaz Padna Akele Padne Se 27 Darja Afzal Hai.
[Sahi Bukhari, Kitabul Azan, Jild 1, Page 232, Hadees No. 645]

Hadees:

Jisne Kamil Waju Kiya (Pura Aur Acha) Aur Imam Ke Sath Namaaz Padhi Uske Gunah Baksh Diye Jaayenge.
[Sahi Ibne Khuzaima, Hadees No.1479]

Hadees:

Kisi Gaon Ya Jungle Me 3 Log Ho Aur Namaaz Jamaat Se Na Padi To Unpe Shaitaan Musallat Ho Jaata Hai, Jamaat Ko Lazim Jaano Bhediya Usi Bakri Ko Khata Hai Jo Rewad Se Alag Ho.
[Sunane Nisai, Hadees No 844]

Hadees:

Ek Sahabi Abdulla Bin Umme Maktoom Ne Arz Kee Ya Rasulullah Madine Me Muzi Janwar {Takleef Dene Wale} Bahot Hai, Aur Mai Ankhon Ka Andha Hu To Kya Mai Ghar Pe Hi Namaaz Padha Karu?
Sarkar Ne Irshad Farmaya Haiyya Las’Salah Aur Haiyya Lal Falah Sunte Ho?
Arz Kee Haan,
Farmaya Phir Hazir Ho.
[Sunane Nisai, Kitabul Imamah, Hadees No. 878]

Mamuli Si Baat Ya Urz Ki Bina Par Masjid Me Jaane Ya Jamaat Se Mehrum Hone Wale Hazraat Ibrat Hasil Kare.

Hadees:

Jise Yeh Achcha Maloom Ho Ki Kal Allah Se Islaam Ki Halat Me Mile (Musalmaan Hokar Mile) Use Chahiye Ke 5no Namaazo Ki Muhafizat Kare. (Namaze Panjagana Ko Bajamaat Padhe)
[Sahi Muslim, Hadees no. 257]

Hadees:

Agar Jamaat Chhodne Wala Jaanta Ki Jamaat Me Kya Fazilat Hai To Ghutno Ke Bal Hazir Hota.
[Al Mojamul Kabeer, Hadees no. 7886]

Hadees:

Jo Allah Ke Lliye 40 Din Ba Jamaat Namaz Padhe [5wo Waqt Ki] Is Tarah Ki Takbire Oola (Imaan Ki Pehli Takbir) Na Chhute Uski Liye 2 Bar’aten [Azadiyah] Hain.

1-Naar E (Dozakh Se)

2- Nifaq Sae (Munafiq Hone Se)

[Jame Tirmizi, Hadees no. 241]

Hadees:

Allah Uske Farishte Pehli Saf Walo Par Durood (Rehmat) Bhejte Hai, Logo Ne Pucha Ya Rasulllah Dusri Saf Walo Par?
Fir Farmaya Allah Aur Farishte Pehli Saf Walo Par Durood Bhejte Hai, Logo Ne Pucha Ya Rasulullah Dusri Saf Walo Par?
Aapne Farmaya Fir Dusri Par Bhi, Aur Farmaya Safo Ko Barabar Karo Kandhon Ko Milao Apne Bhaiyon Ke Liye Narm Raho, Aur Kushadgi (Space) Ko Band Karo Kyuki Shaitaan Tumhare Beech Bhed Ke Bachche Ki Tarah Ghus Jaata Hai.
[Musnade Imam Ahmed Bil Hamble, Hadees No. 22326]

Namaz Ba Jamaat Padne Ki Hadeeso Me Badi Fazilat Aayi Hai, Aur Isi Tark Karne Par Sakht Se Sakht Waeiden Irshaad Huwi, Afsos Sad Afsos Aaj Hamari Aksariyat Ne Masjido Me Jaana Chod Diya, Nahi Apni Qaza Namazo Ka Khayal Hai,  Islam Aur Sunniyat Ke Zabani Daawon Ka Hamara Yeh Haal Hai Ke Humse Bada Sunni Shayad Hi Duniya Me Koi Ho.

Aur Haal Yeh Hai Ke Apne Pyaare Rasool Ke Farmaan Se Muh Mode Huwe Hai Aur Unhe Ki Shafa’at Par Nazaan Hai Jinke Yeh Irshaad Hai, Aur Kuch To Jangli Peero Fakiro Mujawaro Ne Logo Ko Be-bak Kiya Hai.

Allah ke Bando Hamare Pyare Nabi Ka Hi Farmaan Hai Islam Me Uska Koi Hissa Nahi Jisne Namaaz Chhod Dee.

Namaaz Pado Apne Ghar Walo Ko Padhwao Apne Bachcho Pe Sakhti Karo Ahle Sunnat Ki Masjido Ko Apne Sajdoh Se Abaad Karo Aur Sachhe Pakke Sunni Jannati Bano.





➡"JAMAT KE MASAYEL"

Musalman, AAQIL (Aql Wala) Baalig (Ladki 9 Sal Me Balig Hoti Hai Aur Ladka 12 Sal Me), Hurr (Azad) Qadir (Jisme Jamat Me Shamil Hone Ki Qudrat Ho) Par Jamat Wajib Hai.
JAMAT Bila Wajah 1 Bar Bhi Chhodne Wala Gunehgar Aur Musta'hiq Saza Ka Hai, Aur Kai Bar Tark Karne Wala FASIQ Mardudush Shahadah (Yani Wo Kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Maani Nahi Jayegi) Hai Aur Use Sakht Saza Dee Jaye.
Agar Uske Parosiyon Ne Sukoot Kiya Khamosh Rahe To Wo Bhi Gunehgar Hain.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-582}

Mas'ala:

In Surton Me Jamat Chhdone Ki Ijazat Hai, Bimar Jise Masjid Tak Jane Me Mushaqqat Ho, Apahij, Jiska Paon Kat Gaya Ho, Jis Pe Falij Gira Ho, Itna Budha Ki Masjid Tak Nahi Ja Sakta, Andha Agarche Andhe Ko Koi Masjid Tak Le Jane Wala Ho, Sakht Barish, Shadeed Kichad, Sakht Sardi, Sakht Andhera Aur Aandhi Tufan, Maal Ya Khana Talf (Zaya) Hone Ka Andesha, Qarz Khah (Jinse Qarz Liya Ho Unke Milne Ka Dar) Ke Milne Ka Khaof Aur Ye Tang Dast Ho (Dene Ki Halat Me Na Ho) , Zalim Ka Khaof Pakhana Peshab Ka Galba Riyaah (Hawa Nikalna) Ki Shadeed Hajat, Khana Hazir Hai Aur Sachchi Bhook Lagi Ho, Qafla Chale Jane Ka Andesha (Isi Tarah Train Bus Jahaz ki Chhootne Ka Andesha) Mareez Ka Timadar Agar Jamat Me Shamil Hua To Mariz Ko Taklif Hogi, Ye Sab Jamat Tark Karne Ke Uzr Hain.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-584}

Mas'ala:

2 Logon Me Jamat Hui To Muqtadi Agarche Ladka Ho Wo Imam Ki Dayhni Janib (Sidhe Hath Ki Taraf) Khada Ho, Bayen Taraf Ya Piche Khada Hona Makrooh Hai, Agar 2 Ya Usse Ziyadah Ho To Imam Ke Piche Khade Hon.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-270}

Mas'ala:

2 Logo Me Jamat Hui 1 Imam Ki Sidhe Taraf Khada Tha Ab Koi Aur Aaya To Imam Aage Badh Jaye Ya Ye MUQTADI Piche Hat Jaye,
Ya Aane Wala Use Piche Khich Le Ye Sab Surten Jayez Hain.
{Raddul Mohatar, Jild-2, Page-370}

Mas'ala:

Pehli Saf Me Jagah Khali Thi Aur Piche Ki Saf Bhar Gai To Saf Ko Cheer Kar Jaye Aur Pehli Saf Ko Pura Kare,
Hadees Me Hai Jo Saf Ki Kushadgi (Space) Ko Bhare Uski Magfirat Ho Jayegi.
{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-89}

Mas'ala:

Muqtadi Ne Tamam Rakaton Me Imam Se Pehle Rukoo Sajdah Kiya To Imam Ke Salam Pherne Ke Baad 1 Rakat Bagair Qirat Ki Padhe.
{Fatawa Hindiya, Jild-2, Page-90}

📕"HAQ KI BANDAGI"

CHAPTER= 20 AUR 21

📝 MUSANNIF:

✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

((Khalifah Huzoor Amine Shariat))

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

3 comments:

  1. Assalamualaikum janab ji meri ek namaaz ba jamaat nahi padta hu jaan bujke lekin iske piche ek masla hai wo ye hai ke. Jo jamaat hai unse mai wagif hu aur unke kirdaar jantta hu. Unlogo k saat namaaz padne se ameer gareeb ka ehsaas Dil me hota hai. Aur wo itne ghamanddi aur takkabbur se labrez hai k salam karne par jawaab bhi nahi dete. To aisi jamaat wali namaaz ka faida hi Kya jisme itni nafrate ho.

    Aap see Janna chahta hu jab Dil hi nahi mantta aise logoke saat padneka to Kya namaz hogi.

    Jawab zaroor de. Jazakallahu qairan.

    ReplyDelete
  2. देखिये भाई वो लोग चाहे जैसे भी हो, अव्वल तो यही है कि आपको उन्हें समझना चाहिए कि तकब्बुर ना करे और ना समझे तो उस तकब्बुर को आप दिल से शदीद बुरा समझे और खामोशी से आप बा जमाअत नमाज़ पढ़ें। क्योंकि लोग कैसे भी हो अपने को अच्छा बनके रहना है।

    इस हवाले से एक हदीस बताता हूँ
    *कि नबी सलल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया कि किसी के बुरे होने की निशानी ये के वो दूसरों को बुरा समझे*

    ReplyDelete
  3. Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Jamaat Se Namaz Padhne Ki Fazilat W Masayel,, >>>>> Download Now

    >>>>> Download Full

    Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Jamaat Se Namaz Padhne Ki Fazilat W Masayel,, >>>>> Download LINK

    >>>>> Download Now

    Faizaane Huzoor Ameene Shariyat: Jamaat Se Namaz Padhne Ki Fazilat W Masayel,, >>>>> Download Full

    >>>>> Download LINK

    ReplyDelete

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...