Tuesday, January 10, 2017

NAMAZ KA MUQAMMAL BAYAAN PADHIYE,,


*بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم


➡"NAMAZ KI FAZILAT"

Iman Ki Durusti Aur AQIDE Ki Pukhtagi Mutabiq Ahlesunnat O Jamat Ke Baad Har Musalman AQIL O Balig Mard O Aurat Par Tamam Fara'iz Me Ahem Farz NAMAZ Ka Padhna Hai.

Namaz Ki Ahmiyat O Afadiyat Par Quran O Hadees Me Jagah Jagah Fazilaten Warid Hui Hain.

Iske Ada Par Sakht Takeed Aur Tark Par Sakht Wa'eeden Aai Hain.

Allah Jallah Majdahu Irshad Farmata Hai,

QURAN:

Ye Kitab (Quran) Parhezgro Ko Hidayat Hai Jo Gaib (Allah, Farishte, Jannat, Jahannam, Mehshar Etc) Par Iman Laye, aur Namaz Qayam Rakhte Hain.
{Sure BAQRAH, Ayat-3}

QURAN:

Kharabi Hai Un Namaziyon Ke Liye Jo Apni Namaz Se Be-Khabar Hain, WAQT Guzar Kar Padhne Uthte Hain.
{Sure Maoon Ayat-5}

Jahanna Me Eik Wadi Hai Jiski Sakhti Se Jahannam Bhi Panah Mangta Hai Uska Naam Wail Hai, WAQT Guzar Kar Namaz Padhne Wale Usme Dale Jayenge.

Allahu Akbar Sirf Be-WAQT Padhne Walon Ka Ye Haal Hoga Aur Jo Padhte Hi Nahi Hai Unka Kya Banega??

HADEES:

Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم Se Pucha Allah Pak Ko Sab Se Pasand Kaunse Aamal Hai?
Farmaya Huzoor Ne, WAQT Ke Andar Namaz Padhna, Pucha Phir?
Farmaya Maa Baap Ke Saath Neki Karna.
Pucha Phir???
Farmaya. Allah Ki Raah Me Jihad Karna.
{Sahi Bukhari, Kitab Mawaqitus'salat, Jild-1, Page-196, Hadees No-527}

HADEES:

Eik Saheb Ne Arz Ki Ya Rasu'lallah صلی اللہ علیہ وسلم Allah Ko Sab Se Ziyadah Kya Pasand Hai?
Farmaya, WAQT Me Namaz Padhna, Jisne Namaz Chhodi Uska Koi Deen Nahi, Namaz Deen Ka Sutoon (Khamba) Hai.
{Shabul Iman, Jild-3, Page-39}

HADEES:

Hazrat ABU HURAIRAH Se Marwi Hai Farmaya Huzoore Pak Ne, Jo Shakhs Apne Ghar Se Taharat (Wazu Aur Gusl) Kar Ke Farz Ada Karne Masjid Gaya Uske Eik Qadam Me 1 Gunah Mit'ta Hai Aur Dusre Qadam Pe 1 Darja Baland Hota Hai.
{SAHI MUSLIM, KITABUL MASAJID, Hadees No-666}

HADEES:

Sarkare Azam Ne Farmaya Musalman Ke Pure Badan Ko Aag Khayegi (Jo Musalman Apni Shamate Nafas Ki Bina Par Jahannam Me Jayga Uske) Siwaya Aazaye Sujood (Sajde Me Badan Ka Jo Hissa Zameen Par Lagta Hai Use Chhod Kar) Ke, Allah Pak Ne Unka Khana Aag Par Haram Farma Diya.
{SUNANE IBANE MAJAH, BAB SIFTUN'NAR, Hadees-4326}

Niche Darj Ahadeese Tayyeba Ka Ba-gaor Mutala Kare Aur Sochen Kahi Hum Isse Gafil To Nahi??

Sunniyat Ke Balando Bala Daawe Shiddat Ke Naare Aur Amal 0 (Zero) Asle Sunniyat Aur Maslke Pe Chalna Pure Deen Par Chalna Hai, BA-NAZRE Ga'ir Mundareja Zail Ahadees Ko Bar Bar Padhe.

HADEES:

Huzoore Akram Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Irshade Girami Hai,

Allh Bande Ko Is Haal Me Ziyadah Pasand Farmata Hai Ki Wo Sajde Me Apna Muh Khak (Zameen) Par Mal Raha Ho.
{Tabrani, Jild-4, Hadees No-6085}

HADEES:

Har Shaye (Chiz) Ki Alamat (Nishan, Jisse Wo Pehchani Jaye) Hoti Hai Aur Iman Ki Alamat Namaz Hai.
{Mazkhooz Az Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-439, Ba-Hawala Munyatul Musalli}

HADEES:

Namaz Deen Ka Sutoon Hai Jisne Use Qayam Rakha Usne Deen Ko BAQI Rakha Aur Jisne Use Chhod Diya Usne Deen Ko Gira Diya. {Bahar-E-Shariat}

HADEES:

Islam Me Uska Koi Hissa Nahi Jiske Liye Namaz Nahi Hai.
{Kanzul Ummal, Jild-7, Page-133}

Tarikeen Namaz Jo Imano Aqide Ki Badi Badi Baten Karte Hain Is Farmane Rasool Sallallahu Alaihi Wassalam Se Ibrat Hasil Karen.

HADEES:

Jisne Namaz Ki Hifazat Kee Wo Qayamat Ke Din Uske Liye Noor Aur Daleel Aur Nijat Hogi.
Aur Jisne Namaz Ki Hifazat Na Kee Uske Liye Na Noor Na Daleel Na Najat Hogi Aur Qayamat Ke Din Wo Qaroon Firon Haman Aur Ubai Bin Khalf Ke Saath Hoga.
{Musnade Imam Ahmad Bin Hambal}

HADEES:

SAHABA NAMAZ KE CHHODNE WALE KO KAFIR JANTE THE, Jinme Hazrat Umar, Hazrat Abdur Rahman, Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbas, Hazrat Jabir Bin Abdullah Aur Hazrate Muaaz Aur Abu Hurairah Ka Yahi Mazhab Hai Ki Be-Namazi Kafir Hai.
Imam Ahmad Bin Hambal Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Nakhi Ke Nazdeek Bhi Be-Namzi Kafir Hai.
Haan Hamare Imam Sarkar Abu Hanifa Aur Bahot Se Sahaba Be-Namzi Ko Kafir Nahi Jante Magar Yahi Kya Kam Hai Ki Bade Bade Sahaba Ne Kafir Kaha???
{جامع ترمذی، ابواب الایمان، باب ما جاء في ترک الصلوة، الحديث-۲۶۳۱}

Ba-Gaor Padhe Ye Sab Allah Ke Mehboobe Azam Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Farameen Aur Uske Sohbat Yafta Jannati Jamat Sahaba ke AQWAL Hai Kya Isse Badh Kar Kisi Ki Baat Ho Sakti Hai, Namazo Ka Chhodna Aur Shafat Pe Nazan Hona Ya Kisi Pe Takya Kar Lena Ki Falan Kaam Aajyega Ye Mahez Kham Khali Aur Jhooti Aas Hai.

Allah Jalla Majdahu Hum Sab Ko Deen O Sunniyat Par Qayam Rakhe Aur Har Farz O Wajib Ko Unke WAQTON Pe Ada Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.





➡"NAMAZ PADHNE KA ASAN TARIQAH"

Namaz Padhne Ka Tariqa Ye Hai Ki Ba-Wazu Qibla Ki Taraf Muh Kar Ke Khada Ho Is Khade Hone Ko Qayam Kehte Hain.
Dono Pairon Ke Beech 4 Ungal Ka Fasla Ho.
Aur Dono Hath Kano Tak Le Jayen Is Tarah Ke Anguthe Kano Ki Lao Tak Le Jayen.
Baqi Ungliyan Apne Hal Pe Ho Na Bahot Khuli Na Mili Hateliyan Qibla Rukh Ho Aur Nigahen Sajdah Ki Jagah Par Ho.
Dil Me Pakka Irada Namaz Ka Kar Ke ALLAHU AKBAR Kehta Hua Hath Naf Ke Niche Bandhe.
Is Tarah Ke Sidhe Hath Ki Hateli Ki Gaddi Ulte Hath Ki Kalai Ke Sire Par Ho Aur Beech Ki 3 Ungliyan Kalai Par Aur Angutha Aur Choti Ungliyan Agal Bagal Me.
Phir Sana Padhe, Phir Azubillah Aur Bismillah Pura Padhe.
Phir Sure Fatiha Puri Padhe Aur Khatm Par Ahista Se Aameen Kahe.
Iske Baad Jo Sure Padhni Hai Agar Wo Shuru Se Hai To Bismillah Padh Kar Suhru Kare Phir Koi Sure Ya 3 Ayat Ya Koi 1 Aisi Lambi Ayat Jo 3 Choti Ayaton Ke Barabar Ho Padhe Aur Allahu Akbar Kehta Hua Rukoo Me Jaye.
Rukoo Me Ghutno Ko Hath Se Pakde, Is Tarah Ke Hateliyan Ghutno Par Hon Aur Ungliyan Khoob Phaili Ho.
Peeth Bichi Ho Sar Aur Peeth Barabar Ho Jaye Uncha Nicha Na Ho.
Aur Rukoo Me Nazar Pair Ki Taraf Ho Aur Kam Se Kam Rukoo Ki Tasbeeh 3 Bar "Subhana Rabbiyal Azeem" Kahe 5 Ya 7 Bar Kehna Afzal Hai.
Phir Akele Namaz Padh Raha Ho To "Sami'Allah Huliman Hamidah" Kehta Hua Sidha Khada Ho Jaye Aur Phir "ALLAHUMMA RABBANA WALAKL HAMD" Kahe Phir Allahu Akbar Kehta Hua Sajde Me Jaye.
Agar Imam Ke Piche Hai To Sami'Allah Huliman Hamidah Na Kahe Sirf "Allahumma RABBANA Wala Kal Hamd" Hi Kahe Rukoo Se Khade Hone Ki Halat Ko Qaomah Kehte Hain.
Sajde Me Is Tarah Jayen Ki Pehlen Ghutna Teke Phir Dono Hath Phir Sar Ko Dono Hath Ke Bich Rakhe, Is Tarah Ki Pehle Nak Phir Peshani Aur Nak Ki Haddi Zameen Par Jam Jaye.
Aur Sajde Me Nazren Nak Ki Taraf Ho.
Bazu Ko Karwaton Se Aur Pet Ko Rano Se Aur Rano Ko Pindliyon Se Juda Rakhe.
Dono Paon Ki Sab Ungliyan Qiblan Rukh Ho, Is Tarah Ki Pair Ki Ungliyon Ke Pet Zameen Se Khoob Lage Rahe.
Dono Hath Ki Hateliyan Bhi Zameen Par Khoob Jami Rahe Aur Ungliya Qibla Rukh Ho, Sajde Me Kam Az Kam 3 Bar "SUBHANA RABBIYAL AALAA" Kahe, Phir Sar Uthaye Pehle Peshani Phir Nak Phir Hath, Sidha Pair Khada Rakhe Uski Ungliyan Qibla Rukh Ho, Ulta Pair Bichaye Aur Uspe Jam Ke Sidha Baith Jaye.
Baithne Me Hath Ki Hateliyan Ghutno Ke Pas Ho Aur Qibla Rukh Ho.
Phir Zara Taher Kar Dusra Sajdah Kare.
2 Sajdo Ke Beech Baithne Ko Jalsa Kehte Hain.
Phir Dusri Rakat Ke Liye Khada Ho Jaye Zameen Pe Hath Na Teke Ghutno Pe Rakhe Aur Khada Ho.
Dusri Rakat Me Sirf Bismillah Padh Kar Sure Fatiha Padhe.
Sure Fatiha Ke Khatm Par Ahista Aameen Keh Kar Dusri Milaye Phir Hasbe Sabiq (Pehle Ki Tarah) Rukoo Aur Sajdah Kare.
Namaz 4 Rakat Wali Hai To 2 Rakat Ke Baad Tasha"hud (Attahiyyat) Me Baitha Qadaye Oola Kehlata Hai.
Attahiyyat Me Jab Laa Par Paohche To Sidhe Hath Ki Shahadat Ki Ungli Khada Kare Aur Anguthe Aur Baqi Ungkiyon Ka Halqa Banaye, Aur Jab ILLA Par Paohche To Gira De, Phir Sab Hath Ki Ungliyan Khol Kar Pehle Ki Tarah Rakhe.
Ab Agar 2 Se Ziyadah Rakat Padhni Ho To Attahiyyat Ke Pura Hone Par Khada Ho Aagar Namaz Farz Hai To Sure Fatiha Ke Baad Koi Sura Na Milaye Balki Rukoo Sajdah Kar Ke Puri Baqya 2 Rakat Padhe.
4 Rakat Wali Me 4 Rakat Ke Baad Baithne Ko Qadaye Ukhra Kehte Hain Isme Attahiyyat Ke Baad Duroode Ibraheem Phir Duae Masoora Padhe, Phir Sidhe Khande Ki Taraf Muh Kar Ke Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Pade Phir Ulte Kandhe Ki Taraf Ise KHURUJE BISUN'IHI Kehte Hain.
Namaz Ke Baad Dua Mange Aur Muh Pe Hath Phair Le.
Ye Tariqa Akele Aur Imam ki Namaz Ka Hai.
Jab Aap MUQTADI (Yani Imam Ke Piche Padh Rahe Hon To Sure Fatiha Aur Koi Sura Na Padhe Chahe Koi Namaz Ho)
{Makhooz Az Kutbe Ahadees, KUTBE FIQHE HANAFI}





➡"MASAYELE NAMAZ"

Namaz Shuru Karne Se Qabal Kuch Chizen Shart Hain Jab Tak Wo Na Paai Gai Namaz Shuru Hogi Hi Nahi........
Kuch Chizen Namaz Me Farz Hai Jab Tak Wo Ada Na Hogi Namaz Hogi Hi Nahi...
Kuch Wajibat Hain Agar Wajib Ko Qasdan Chhoda To Gunehgar Hua Aur Namaz Ka Phir Se Padhna Wajib Hai.....
Agar Bhool Se Wajib Chhoda To Aakhri Me Sajdah Sahu Kar Le.
Aur Kuch Baten Namaz Me Sunnate Hai, Jinko Chodne Ki Adat Banana Gunah Aur Bhool Se Chhot Jaye To Koi Harj Nahi.
Aur Kuch Chizen Mustahab Hain Jinko Karna Sawab Hai Aur Chhod Dene Par Koi Gunah Nahi.

Namaz Shuru Karne Se Qabal in Baton Ka Paya Jana Zaroori Hai (Shara'ite Namaz)

1- TAHARAT.
(Namazi Ke Kapde Aur Badan Aur Jis Jagah Namaz Padh Raha Hai Us Jagah Ka Pak Hona)

2- SATRE AURAT.
(Namazi Ka Apne Badan Ka Wo Hissa Jiska Chupana Farz Hai Use Chupana) Yani Kam Se Kam Naaf Se Ghutno Tak Ka Chupana Farz Hai, Isse Kam Chupa Hai To Namaz Shuru Hi Nahi Hogi, Alhamdulillah Aaj Ke Daur Me Kapdon Ki Kisi Ko Kami Nahi Hai.

QURAN:

Har Namaz Ke WAQT Kapde Pehno.
{Para-8, Sure Aaraf, Ayat No-31}

3- ISTEQBALE QIBLAH.
(Namaz Me Qibla Ki Taraf Muh Karna)

4- WAQT Ka Hona.
(Kisi Namaz Ko Waqt Se Pehle Padhne Se Wo Hui Nahi, Aur Waqt Guzar Kar Padhne Se Ho To Gai Magar Qaza Aur Sawab Bhi Kam}

5- NIYYAT.
(Dil Me Pakka Irada Namaz Ka Ho)

6-TAKBIRR TEHRIMA.
(Yani Niyyat Bandhte WAQT Jo Allahu Akbar Kahi Jati Hai Isko Takbire Tehrima Kehte Hain Iske Saath Hi Ab Namaz Shuru Ho Gai.
{Raddul Mohtar, BAB SHURU'TUS SALAT, Bahsul Qayam, Jild-2, Page-162}

1- TAKBIRE TEHRIMA.
(Ye Shart Bhi Hai Aur Farz Bhi)

2-QAYAM.
(Namaz Me Sidha Khade Hona)

3- QIRAT.
(Quran Ki Kam Se Kam 1 Ayat Padhna, Chahen Namaz Sunnat Ho Ya Farz, Nafl Ho Ya Wajib Akele Padhe Ya Imam Bane, Haan Imam Ke Piche Hai To Qirat Na Kare Chahe Koi Namaz Ho}

4- RUKOO.
(Itna Jhukna Ko Hath Ghutno Se Lag Jayen)

5- SUJOOD.
(Mathe Ka Zameen Se Lagana Is Tarah Ki Paon Ki 1 Ungli Ka Pet Zameen Se Laga Ho) Har Rakat Me 2 Sajde Farz Hai.

6- QADATE AKHIRAH.
(Yani Namaz Ki Rakaten Puri Hone Ke Baad Itna Baithna ki Attahiyyat Me Rasuluhu Tak Padha Ja Sake)

7- KHURUJE BESUN'IHI.
(Namaz Ke Akhri Qayde Me Apne Iradah Wo Amal Se Namaz Ko Khatm Kar Dena)
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-516}

Mas'ala:

MUQTADI Ke Liye Ye Bhi Farz Hai Ki Apne Imam Ki Namaz Ko Sahi Khayal Kare, Uske Nazdeek Agar Imam Ki Namaz Sahi Nahi Hai To Khud Uski Na Hui, Imam Ki Ho Gai.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Safah-173}





➡"WAJIBATE NAMAZ"

Wajib Wo Amal Hai Agar Namaz Me Use Jaan Boojh Kar Chhoda To Namaz Hi Na Hui Phir Se Padhni Hogi, Agar Bhool Se Chhoot Gaya To Aakhri Me Sajdah Sahu Kar Le.

Namaz Ke Wajibat Ye Hain,

Allahu Akbar Se Namaz Shuru Karna.
Sure Fatiha Ki 7wo Ayaten Padhna Wajib Hai Agar Eik Lafz Bhi Chhuta To Wajib Tark Hua, Sure Fatiha Ke Baad Koi Choti Sura Ya 3 Choti Ayaten Ya 1 Aisi Badi Ayat Jo 3 Choti Ayaton Ke Barabar Ho Padhna, Farz Namaz Ki Pehli 2 Rakaton Me Sure Fatiha Ke Baad Nafl Aur Vitr Ki Har Rakat Dusri Sure Padhna Wajib Hai, Rukoo Sujood Qauma Aur Jalsa Me Kam Az Kam 1 Martaba Subhan'allah Kehne Ki MIQDAR Thherna.
4 Ya 3 Rakat Wali Namaz Me Agarche Nafl Hi Ho 2 Rakat Ke Baad Baithna Wajib Hai Ise Qadae Oola Kehte Hain, Qadae Oola Me Attahiyyat Ke Baad Kuch Na Padhna Wajib Hai Yani Attahiyyat Padh Kar BAQI Rakaton Ke Liye Khada Ho, Namaz Me Jitne Qade (Baithna Pade) Har Qade Me Pura Attahiyyat Padhna Wajib Hai Uska 1 Lafz Bhi Chhodna Wajib Ka Tark Hai, Lafz Assalam 2 Baar Wajib Hai Haan Alaikum Wajib Nahi Hai, Vitr Ki Namaz Me Duae Qunoot Padhna Aur Uski Takbir Kehna Wajib Hai, Har Rakat Me 1 Hi Rukoo Aur 2 Hi Sajde Wajib Hai, Namaz Me Aayate Sajdah Padhi To Sajdah Karna Wajib Hai (Quran Me Kuch Aisi Ayaat Hain Jinke Padhne Se Padhne Aur Sunne Walon Par Sajdah Wajib Hota Hai) Jab Imam Qirat Kare Chahe Zor Se Ho Ya Ahista Muqtadi Ko Chup Rehna Wajib Hai.
Siway Qirat Ke Har Wajib Me Imam Sahab Ka Itteba Karna Wajib Hai.

MAS'ALA:

Pehle Qade Me Imam Attahiyyat Padh Kar 3ri Rakat Ke Liye Khada Hua Aur Abhi Muqtaqdi Ne Puri Attahiyyat Nahi Padhi To MUQTADI Ko Wajib Hai Ki Apni Attahiyyat Pura Kar Ke Khada Ho Chunki Attahiyyat Ka Imam O Muqatdi Dono Ko Pura Padhna Wajib Hai, Haan Sunnat Me Agar Ta'aruz (Takrao) Hua To Sunnat Ko Chhod De Aur Imam Ka Itteba Kare, Masalan Rukoo Ya Sajde Me Muqtadi Ne Abhi 3 Tasbeeh Nahi Padhu Thi Aur Imam Ne Sar Utha Liya To MUQTADI Bhi Utha Le.
{Raddul Mohtar, Jild-2, Page-202}

Ye Sab Namaz Ke Ahem Ahem Masayel Hain Ise Yad Rakhna Ispe Amal Karna Har Musalman Ke Liye Zaroori Hai.





➡"NAMAZ KI SUNNATEN"

Namaz Me Ye Chizen Sunnat Ha,

Takbire Tehrima Ke Liye Hath Uthana,
Haton Ki Ungliyon Ko Apne Haal Par Chhodna, Hatheliyon Aur Ungliyon Ke Pet Ka Qibla Rukh Hona, Takbir Kehte WAQT Sar Na Jhukana, Takbir Aur Takbire Qunoot, Aur Takbire Eidain (Eidul Azha Aur Eidul Fitr Ki 6-6 Takbirat) Me Kano Tak Hath Uthana Iske ILAWA Kahi Hath Na Uthana Sunnat Hai, Aurat Ke Liye Sunnat Ye Hai Ki Kandhon Tak Hath Othaye, Imam Ho To Use Allahu Kabar Aur Sami'allahuliman Hamidah Aur Salam Zor Se Kehna, Sana Padhna Aur AuzuBillah Aur Bismillah Padhna Aur Ye Sab Ahista Padhna, Rukoo Ke Liye Allahu Akbar Kehna Aur Rukoo Me Ghutno Ko Hath Se Pakadna, 3 Bar Subhana Razbbilyal Azeem Kehna, Rukoo Me Peeth Khoob Bichi Hui Rakhe Yahan Tak Ki Pani Ka Pyala Rakha Jaye To Wo Taher Jaye, Rukoo Se Uthte WAQT Imam Ka Sami'allahuliman Hamidah Kehna Aur MUQTADIYON Ka Allahumma Rabbana Wa Lakal Hamd Kehna, Akele Namaz Padhne Wale Ka Dono Kehna, Sajde Ke Liye Jate Aur Uthte Huye Aur Sajde Me 3 Baar Subhana Rabbiyal Aala Kehna Aur Sajde Me Hath Ka Zameen Par Rakhna Sunnat Hai, Sajde Me Jate Huye Pehle Ghutne Phir Hath Phir Nak Phir Peshani Rakhna Sunnat Hai Aur Wapas Hote Huye Iska Ulta Kare, 2 Sajdo Ke Beech Jalsa Karna (Baithna) Aur Sidha Qadam Khada Aur Ulta Bicha Hua Rakhna Aur Hathon Ka Rano Pe Rakhna Sajde Me Ungliya Qibla Rukh Hon Aur Ungliyan Mili Hui Rakhna, Sadje Me Pair Ki 10wo Ungliyan Qibla Roo Hona Sunnat Hai, Dusri Rakat Ke Liye Uthte WAQT Ghutno Par Hath Rakh Kar Panjo Ke Bal Uthe Yahi Sunnat Hai, Qada Me Baithne Ke Liye Ulta Pair Bichaye Aur Dono Sureen (Chutad) Uspe Rakhe Aur Sidha Pair Khada Ho Uski Ungliyan Qibla Ki Simt Ho Hath Rano Pe Rakhna Is Tarah Ki Ungliyon Ke Sire Ghutno Se Qarib Ho, Shahadat ke WAQT Kalme Ki Ungli LA Par Utahye Aur illah Par Gira De, Farz Namaz Ki 3ri Aur 4thi Rakat Me Sure Fatiha Padhna Afzal Hai, 3 Bar Subhan'allah Kehna Bhi Jayez Hai Aur 3 Tasbeeh Padhne Ki MIQDAR Tak Chup Raha Tab Bhi Namaz Ho Jayegi Magar Chup Na Rehna Chaiye, Namaz Me Durood Sharif Padhte WAQT Huzoor Aur Hazrat Ibaraheem Ke Naam Se Pehle Sayyedna Lagana Behtar Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, page-521}

MAS'ALA:

Agar Imam Ki Awaz Sab Muqtadiyon Ko Nahi Pahochti Hai To Behtar Hai Ki Koi MUQTADI Bhi Baland Awaz Takbir Kahe, Taki Sab Ko Awaz Paohche, Aur Agar Sab Ko Imam Ki Awaz Pahochti Hai To Bila Zarurat Mukabbir Banna Makrooh Hai.
(Raddul Mohtar, Jild-2, Page-209)

MAS'ALA:

Koi Agar Rukoo Ki Tasbeeh Me Subha'na Rabbiyal Azeem Me Zo (ظ) Ko Ada Na Kar Sake To Wo Subhana Rabbiyal Kareem Padhe {Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-525}





➡"MAKROOHATE NAMAZ"

Makruhe Tehrimi Ye WAJIB Ke MUQBLE Ka Hai, Ise Bar Bar Karna Haram Tak Paohchata Hai, Agar Namaz Me Makroohe Tehrimi Paya Gaya To Us Namaz Ka Lautana Wajib Hai.

Makroohe Tanzihi, Wo Amal Hai Jise Shariat Ne Pasand Nahi Kiya Lekin Karne Par Azab Nahi Lekin Chhod Dena Sawab Hai, Ye SUNNATE MOAKKDEAH Ke MUQABLE Me Hai, Namaaz Me Ye Batein Makrooh Hai.

Badan Kapde Dadhi Se Khelna, Sajde Me Jate Aur Uthte Kapda Sametna, AgarChe Dhool Se Bachne Ke Liye Ho Aur Bila Wajah Ho To Aur Ziyadah Makrooh Hai, Kandhe Par Kapda Is Tarah Dalna Ke Dono Kinare Latakte Hon Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai.
{الفتاوي الهندية، كتاب الصلاة، الباب السابع فيما يفسد الصلاة.... إلخ، جلد-1، صفحه-105}

Aasteen Chadhana Daman Sametna Namaz Se Pehle Kare Ya Namaz Me Makroohe Tehrimi Hai, Pakhana Peshab Ya Riyaah (Hawa) Ne Galba Kiya To Isi Halat Me Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai, (Pehle In Chizon Se Farig Ho Phir Namaz Padhe) Agar Beech Namaz Me Ye Halat Hui To Namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Isi Tarah Namaz Padha To Gunehgar Hua.
{ردالمحتار،كتاب الصلاة، باب ما يفسد الصلاة وما يكره فيها، جلد-2، صفحہ-492}

Jooda Bandhna (Mard Ke Agar Baal Lambe Ho To Unhe Bandhna) Makroohe Tehrimi Hai, Aurat ke Liye Nahi, Namaz Me Ungliyan Chatkana Ungiyon Ki Qainchi Badhna Eik Hath Ki Ungli Dusre Hath Ki Ungliyo Me Dalna Bhi Makruhe Tehrimi Hai, Namaz Me Kamar Pe Hath Rakhna Makroohe Tehrimi Hai, Idhar Udhar Dekhna Asmaan Ki Taraf Nigah Karna, Kapde Me Is Tarah Lipat Jana Ki Hath Bhi Bahar Na Ho, Naak Aur Muh Ko Chupana Bila Zarurat Khansna Makroohe Tehrimi Hai, Jis Kapde Pe Jandar Ki Tasveer Ho Use Pahen Kar Namaz Padhna Yun Hi Musalle Par Tasveer Hona Ya Namazi Ke Age Piche Dayen Bayen Sajdah Ki Jagah Tasveer Ka Hona Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai.
{بهارشریعت، حصہ سوم، صفحه-627}

Note- Jeb Me Rupees (Kagahz Ki Shakl Me), I Card, Coins Etc Wagera Ho To Koi Harj Nahi.

MAS'ALA:

Ulta Quran Padhna, Rukoo Sajde Me Peeth Sidhi Na Karna, Yun Hi Qauma Aur Jalsa Me Sidha Hone Se Pehle Sajde Me Jana, Qayam Ke Ilawa Kisi Aur Jagah Quran Padhna, Imam Se Pehle MUQTADI Ka Rukoo Aur Sajd Me Jana Aur Sar Uthana Ye Sab Makroohe Tenrimi Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-629}

MAS'ALA:

Sirf Pajama Ya Lungi Pahen Ke Namaz Padhna Kurta Aur Chadar Maujood Ho To Makroohe Tehrimi Hai, Agar Dusra Kapda Nahi To Muaaf Hai.
{Fatawa Hindiya, Jild-1, Page-106}

Mas'ala:

Qabze Ki Zameen Par Namaz Padhna, Paraye Khet Jisme Fasal Maujood Ho Aur Jutai Kiye Huye Khet Me Namaz Padhna Yun Hi Qabr Ke Samne Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-54}

Mas'ala:

Kuffar Ke Ibadat Khano Me Namaz Padhna Makrooh Hai Balki Wahan To Jana Bhi Mana Hai.
{Raddul Mohtar, Jild-2, Page-53}

Mas'ala:

Namaz Me Ungliyon Par Ayaton aur Tabihaat Ka Ginna Makrooh Hai, Masjid Me Apne Liye Jagah Fix Karna Ki Wahi Namaz Padhuga Makrooh Hai.
{Fatawa Alamgeeri, Jild-1, Page-108}

Mas'ala:

Aam Raasta, Kachra Dalne Ki Jaga, Muzbah (Janwar Zabah Hone Ki Jagah, Qabrastan, Gusal Khana, Maweshi Khana, Astabal, Pakhane Ki Chhat, Aur Jangal Me Bila Sutrah Namaz Padhna Makrooh Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-637}

Mas'ala:

Sanp Wagera Marne Ke Liye Agar Usse Taklif Ka Sahi Andesha Ho Ya Koi Janwar Bhag Raha Ho Use Pakad Ne Ke Liye, Ya Bakriyon Par Bhediye Ke Hamle Ka Khauf Ho, Yun Hi Apne Ya Paraye Ka 1 Dirham Ka Nuqsan Ho Raha Ho Masalan Doodh Ubal Jayega Ya Gosht Tarkari Ya Roti Jal Jayegi Ya Koi Uchakka Paise Lekar Bhag Raha Ho In Sab Surton Me Namaz Todne Ki Ijazat Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-637}

Mas'ala:

Koi Musibat Zadah Pukar Raha Ho, Ya Koi Doob Raha Ho Ya Jal Jayega Ya Andha Admi Koyen Me Gir Jayega in Sab Surton Me Namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Use Bachane Ki TAQAT Hai To.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-514}





»»NAMAZ ME QURAN PADHNE KA BAYAN"

MAS'ALA:

Fajr Magrib Aur Isha Ki Pehli 2 Rakaton Me Aur Juma Eidain O Taraveeh AUR Ramzan Ki Witr Ki Tamam Rakaton Me Imam Par Jaher (Zor Se Quran Padhna) Wajib Hai, Zohar Asar Ki 4ron Rakaton Me Magrib Ki Tisri Aur Isha Ki Tisri Aur 4thi Rakaton Me Imam Pe Ahista Quran Padhna Wajib Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-544}

MAS'ALA:

JAHER Ke Maana Ye Hai Ki Pehli Saf Wale Sun Sake Aur Ye Adna Darja Hai, Aala Darja Ye Hai Ki Uski Koi Had Muqarrarr Nahi, Aur Ahista Padhna Ye Ki Khud Sun Sake, Is Tarah Padhna Ki 1 Ya 2 Admi Sunte Hon Ye Ahista Padhna Hua Jaher Nahi.
 {Durre Mukhtar, Jild-2, Safah-308}

Mas'ala:

Haajat Se Ziyadah Awaz Tez Karna Jo Apne Aur Dusron Ke Liye Ba'ise Takleef Ho Ye Makrooh Hai.
{Raddul Mohtar, Jild-2, Safah-304}

Mas'ala:

Din Ki Nawafil Me Ahista Padhna Wajib Hai, Raat Ki Nawafil Me Ikhteyar Hai Agar Akela Padh Raha Ho To, Agar Jamat Se Raat Me Nafl Padh Raha Ho To Jaher Wajib Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-545}

Mas'ala:

Jehri Namazon Me (Fajr, Magrib, Isha) Me Akele Padhne Wale Ko Ikhtiyar Hai (Chahe Zor Se Padhe Ya Ahista} Aur Behtar Yahi Hai Ki Zor Se Padhe Agar Namaz Apne WAQT Me Padh Raha Ho To, Agar Qaza Hai To Ahista Wajib Hai.
{Alamgiri, Jild-1, Page-72}

Mas'ala:

Agar Sure Fatiha Ke Baad Sure Milana Bhool Gaya Tha Aur Rukoo Me Chala Gaya To Wapas Khada Ho Phir Sure Milaye Phir Rukoo Kare Aur Akheer Me Sajdah Sahu Kare, Agar Dobara Rukoo Nahi Kiya Tha To Namaz Hi Nahi Hui.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-545}

Mas'ala:

Izterari Halat Me Masalan WAQT Jate Rehne Ka Khauf Hai Ya Dushman Ya Chor Ka Dar Hai Aisi Halat Me Safar Ho Ya Hazar (Apne Maqam Par) Agar Wajibaat Chhodne Pade To Iski Ijazat Hai.
Masalan Fajr Me Itna WAQT Tang Hai Ki Sirf Eik Ayat Hi Padh Sakta Hai To Eik Hi Padhe, Magar Suraj Baland Hone Ke Baad Is Namaz Ko Dobara Padhe.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-317}

Mas'ala:

Sunnate Fajr Padh Raha Tha Aur Jamat Na Milne Ka Dar Ho To Sunnat Namaz Me Sirf Wajibat Pe Hi Amal Kare, Sana Auzubillah Bismillah Chhod De Aur Rukoo Sajde Me Sirf 1-1 Hi Tasbeeh Padhe.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-546}

📕"HAQ KI BANDAGI"

CHAPTER=12,13,14,15,16,17, AUR 18,

📝 MUSANNIF:

✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

((Khalifah Huzoor Amine Shariat))

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...