Sunday, January 15, 2017

ISAAL-E-SAWAB KI SHARAI HAISIYAT PART=2,, W KHANE SAMNE RAKH K KALAME ILAHI PADHNE KA SABOOT,,


Isaal E Sawab ki Sharai Haisiyat Post 02

Pichli Post Me humne 05 Hadees e Sahi Se Isaal e Sawab k Dalail Pesh kiye
Post 02 : Start From Below

Paani Se Isaal e Sawab Hadees 06:

Umme Saad k Liye KUN’WA (WALL)

“Hazrat Saad Bin Ubada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  arz karte hai YA RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم  meri Maa Wisal Kar gayi, Mai unki taraf se sadka karna chahta hu konsa sadka Afzal rahega, Sarkar صلى الله عليه و آله وسلم  ne farmaya PAANI, Chunance unhone ek KUN’WA (Wall) khudwaya aur kaha ‘ هَذِهِ لأُمِّ سَعْدٍ‏ ’ yaani Ye Umme Saad K liye”
References :

(Sunan Abu Dawood Vol : 02, Kitab 09 : Al Zakat, Baab 561 : Paani Pahuchane K Fazail, Pg : 180, Hadees : 1681)
(Mishkat Al Masabih Vol : 01, Pg : 362, Hadees : 1912)
(Imam Munzir ne At Targhib Wa Tarhib Vol : 02, Pg : 41, Hadees : 1424)
yehi rivayat Imam Nasai ne kuch yu likhi hai




Hadees 06 (A):

“Hazrat Sa’d Bin Ubaada رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Un Kee Waalida Fawt Ho Gayi. Unhone Arz Kiya : Ya Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم  !

Meri Waalida Fawt Ho Gayi Hain, Kya Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Sakta Hoo’n ? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Ha’n Unhone Arz Kiya : To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega? Aap صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya : Paani Pilaana.

(To Unhone Aik Kuwa’n Kharid Kar Musalmanon Ke Liye Waqf Kar Diya) Phir Yah Kuwa’n Madinah Munawwarah Me Sa’d Ya Aale Sa’d Ke Paani Kee Sabeel (Ke Naam Se Mash’hoor Tha).”

References :
(Imam Nasai , Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 255, Kitab No 30 - Kitab Al Wasaya, Baab No 9 :Zikreel Ektelafi Ala Sufyan, Hadees : 2666)
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra Vol : 04, pg : 112, Hadees : 6491)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05, Pg : 284, Hadees : 22512)

(Imam Tabrani Majmaul Kabir Vol : 06, Pg : 20, 5379)

Pata chala k Sirf wo amal jaise Haj roza sadkat se hi nahi balki dusre amal jaise paani k jariye bhi Isaal kiya jaa sakta hai aur aakhir us wakt Paani ka intekhab kyu dusre Sahaba e Kiram Radi Allaho Anho ko alag alag amal bataya Hazrat Saad bin Ubada Radiallahu anho ko ye kyu ? Unhe bhi koi amal Haj roza sadkaat bataya jaa sakta tha na ?
Maazra ye tha us wakt Madina e Munawarra me Paani ki killat thi lihaja hukm huwa Paani ka kuwa khudwao aur phir logo ko paani mila ab jab jab log us paani k kuwe se sairaab hote hai sabka Sawab Hazrat Saad ibn Ubada Radi Allaho anho ki walida mazida ko pahuchta hai.
Is hadees e paak se bahot se masle hal huwe jinme chand hum yaha bhi likh rhe hai jaise Jarurat k ain ki cheez Isaal kare chunki us wakt paani ki killat  thi to paani ka hukm huwa aur hum aaj dekhe to aaj bhi bahot si jagah paani ki killat hai aaj Ummat e Muslima ko acche Hospitals, education, Deeni Madaris ki jarurat hai to in sabko banake apne buzurgo k naam se mansoob karna phir jab tak usse Musalmaan fayda uthayga un marhoomeen aur buzurgo ko bhi iska nafa hoga.
Dusri ek baat pata chali baaj jahil khawarij wahabi ye bhi kahte hai k kisi khane peene ki cheez ko kisi k naam se mansoob kar dena ye shirk hai.
Is hadees e paak se ye bhi subaha khatm huwa k kisi k naam se mansoob kardena katayi nazaiz o shirk biddat nahi balki KHUD NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ne KUWE ko Hazrat Saad Ibn Ubada radi allaho ki walida k naam se mansoob kiya hai agar ye nazaiz o shirk biddat hota to hargiz ye amal sabit na hota. Aur Is Hadees ki shara me Imam Aini Likhte hai Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho anho farmate hai Hum Sahaba e Kiram ki aadat thi k hum jaate aur ussi kuwe ka paani pite taaki saad ibn Ubada ki walida mazida ko iska mazeed nafa pahuche”
Isi trah Musalmaan jaha jagah hoti hai permanent Sabil e Imam Hussain Radi Allaho Anho k naam se banayi jaati jis se log paani pite hai aur wahi jaha jagah ki killat hoti hai log Muharram k mahine me Sabil E Hussain Radi Allahu Anho kayam karte hai lihaja ye amal kahi se nazaiz nhi lkin bugz e ahle bait ne kya se kya bana diya in khabiso ko.


Khana Saamne Rakh K Kalam E Ilahi Padhne Ka Saboot



Hadees 07 :

Hazrat Anas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  farmate hai jab Nabi e Paak صلى الله عليه و آله وسلم ne Hazrat Zainab Radi Allaho Anha Se Nikah Kiya To Meri Walda Hazrat Umme Sulaim Radi Allaho Anha Ne Hais (Sattu,Ghee, Or Khazoor Se Bana Huwa Khana) Bana Kar Ek Tabaq me Rakha Or Mujhe Kaha Ise Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Khidmat e Aqdas Me Le Jao Main Khidmat e Aqdas صلى الله عليه و آله وسلم Me Hazir Huwa To Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Jao Or Musalmano Me Se Tumhe Jo Mile Usse Bula Lao  Mujhe Jo Mila Bula Laaya or Nabi e Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Dua Padha or Jo Kuch Rab Ko Manzoor Tha wo Aap ne Dua Me Padha Phir Log Ghar Me Dakhil Hote Khana Khate Aur Nikal Jaate Sab Ne Sair Hokar Khaya Or Chale Gaye Kuch Log Baithe Rahe Unho Ne Lambi Baatein Shuru Kardi Nabi E Karimصلى الله عليه و آله وسلم Unhe Kuch Kehne Se Haya Karte The Nabi E Paak صلى الله عليه و آله وسلم Ghar Se Bahar Tashrif Le Gaye Magar Woh Log Wahin Bethe Rahe.
Us Wakt Allah Ta’ala Ne ye Aayat Nazil Farmaya.
Aye Imaan Waalo Nabi e Pak صلى الله عليه و آله وسلم K Ghar Me Begair Izazat Dakhil Na Huwa Karo, Na Khane K Wakt Taktey Raha Karo Haa Agar Tumhe Khane Pe Bulaya Jao To Jarur Aao Lekin Khana Khane K Baad Chale Jaya Karo Baatein Karne Me Na Lage Raho Tumhari Ye Harkatein Nabi e Karimصلى الله عليه و آله وسلم Ko Taklif Deti Hai Magar wo Sharm Ki Wajah Se Tumhe Kuch Nahi Kehte Or Allah Taala Haq Baat Kehne Me Sharm Nahi Karta (Surah Ahzaab Ayat 53)
Reference :
(Sahi Muslim Vol : 02 , Kitab No 16 Kitabun Nikah, Baab : Ummul Momineen Zainab Bint Jahsh k Nikah Ka Bayan aur Hizab k Mutaalik Nuzool e Wahi Ka Bayan, Hadees : 1428)
(Jamai Tirmizi Kitab No 47 Kitabut Tafseer, Hadees : 3524)
Is Hadees e paak se wajeh huwa k Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم
Khane pe Dua padhte the aur Khane pe Quran padhna ye hargiz haraam nahi hai agr wo mukhalif maante hai to unko yakini taur pe apna saboot pesh karna chahye ALLAH Taala Quran e Karim me farmata hai
قُلْ هَلُمَّ شُهَدَاءَكُمُ الَّذِينَ يَشْهَدُونَ أَنَّ اللَّهَ حَرَّمَ هَٰذَ “Tum Farmaao Laao Apne Wo Gawaah Jo Gawahi De Ki ALLAH ne Usse Haraam Kiya” (Surah Anam Ayat 150)
Is aayat e Mubaraki se wajeh huwa k dalail mukhalifeen ko dena hai k Khane ki Cheez pe Quran e Karim padhna haraam hai to uski daleel kaha hai aisa nahi hai k jo dil chahe jis cheez ko chahe aap haraam shirk bolde.
Aur Ahem baat Khane Se Pehle Shuru me hi Musalmaan BISMILLAH padte hai wo kya hai dar asal Quran ki hi aayat to hai ab Musalmaan padte hai jo kehte hai Khane Pe Quran naa padho wo kon hai ab hum nahi kahte aap samajh gaye honge.
To pata chala Khane pe QURAN padhna bhi jaiz hai aur Saad ibn Ubada Radi Allahu Anho ki hadees e paak se wajeh huwa k kisi Peene ki cheez ko Kisi k naam se mansoob karna bhi jaiz to ab yehi sunni karte hai to ye amal kaise nazaiz huwa ?
Mitha Halwa Pakana Kyu ? Halwa Banana Kaisa ?
Halwa Banana Hadees E Paak
Kaum e Wahabiya ko Halwe se badi nafrat hai ab kyu hai ye to wohi jaane lkin Hum Ahle Sunnat Ko Halwa kyu Pasand Hai aaye Hadees e paak se dikhate hai aur jinhe nafrat hai unhe bhi padhna chahye




Hadees 08 :

“Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radi Allaho Anha se rivayat hai k Nabi E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي Halwa (Sheerni) Aur Shahed (Honey) Pasand Farmate The”
Refernces :
(Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab No 76 Al Tibb,Hadees :5682)
(Sahi Bukhari, Vol : 02 ,Kitab No 74 AL Taam’at (Food),Hadees : 5431/5599)
(Sunan Ibn Majah, Kitab No 29 AL Taam’at (Food),Hadees : 3448)
(Imam Tirmizi ne Shama’il E Muhammadiya Kitab No 26, Hadees : 163)
pata chala Halwa to Khud Huzoor Nabi  E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي  ko pasand tha isliye Ahle Sunnat khoob khate hai ab khud faisla karlo jo cheez Aaka ه و آله وسلم صلى الله علي  ko pasand hai tum uska mazaak udhao to tum kaun ho ? ?
Aur Ab Tumhe Kawwe Gadho pe pyaar aaya hai to hum kya kare ?? aur ek ahem baat halwa khana haraam shirk biddat bolte hai jarur par khane pehle aate hai ye isliye hamara Imam Aala Hazrat Rahimullah bol chuke
                   

                  Tera khai Tere Gulamo Se Uljhe           Hai Munkeer Ajab khane Gurrane Waale


khate bhi Huzoor ه و آله وسلم صلى الله علي  ka sadka hai aur ulajhte bhi unke gulamo se hi hai.

Quran Padhne K Isaal e Sawab Karna Kaisa ?
Is unwaan pe bhi kaum e wahabiya bahot shor o gul macha ti hai k Quran padhne Isaal e Sawab nhi kiya jaa sakta hai halanki ye bas unka apna faisla hai shariat ka hukm nahi hai apni soch se aqaid nazariat kayam kar bethe hai agar wakayi wo haq pe sacche hai apne kaul me to ek SAHI mustanad Dalil Hadees e paak se wajeh karde k kaha Quran padhke Isaal e Sawab karna mana hai ? ye hum unpe chodte hai




Hadees  09:

“Jo Kabristan me 11 martaba Surah Ekhlaas padhke tamam Ahle Kaboor ko ISAL E SAWAB karde to sabke barabar Isal e sawab karne ka azr karne waale ko Milega”

(Jami' Jawami' Al-Suyuti, Vol 08 Pg : 280, Hadees : 23102)


Hazrat Ali Radi Allaho Farmate Hai Ki Huzoor Nabi E Karim ه و آله وسلم صلى الله علي ne Farmaya Jo Shaksh Kabristan K Pass Se Guzre Aur Surah Ekhlaas 11 Martaba Padhe Phir Uska Sawab Murdo Ko Bakhs De To Usko Murdo Ki Tadad K Barabar Azro Sawab Milega”
(Durre Mukhtar)

Imam Ahmad Ibn Hambal Rahimullah Ka Farmaan
“Jab Tum Kabristan Jaao To Surah Fatiha Aur Muwazatain Aur Surah Ekhlaas Padho Aur Inka Sawab Ahle Kaboor Aur Pahuchao Bila Subah Wo Unhe Pahuchta hai”
(Imam Suyuti Ash Sharahusudoor Pg : 289)


“Jo shaks Juma k Din Apne Walidain ya inme se kisi ek ki kabr ki ziyarat kare aur uske pass SURAH YASEEN padhe baksh diya jaaye”

(Imam Abi Adi ne AL Kamil Vol : 06, Pg : 260)

To pata chala Quran padhke bhi Isaal karna ye koi aaj ka amal nhi hai balki jamhoor ulma mashaikh ka amal raha hai ispe aur Shariat ne bhi isko mana nahi farmaya hai to hum in mashaikh fukaha ko maane ? yaa aaj k tum angrezi paidawar ko ?
Agr tumhe wakayi takleef hai to option khula hai tum apne murdo k liye isaal naa karo hum Musalmaan to karnge. Now Choice is Yours
Aur is masle me mazeed detail k liye Imam Suyuti ki Ash Sharausudoor k aakhri hisse ko padhle kaafi doubts clear hojynge. In Sha Allah Taala.
Pata chala In Dalail Se k Isaal e Sawab jaiz amal Mustahab recommended amal hai Alhamdullilah
Ab ek ahem hissa reh gaya hai jo Agli post me cover karnge In SHA ALLAH Taala wo hai

Talib e dua= Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...