Friday, January 13, 2017

NAJD KA FITNAH AUR USKI HAQEEQAT,,,


NAJD KA FITNAH AUR USKI HAQEEQAT....

Imam Bukhari aur Imam Tirmidhi Hazrat Syedna Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki ke Rasool ne dua ki;
,
"Aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat day. Aye Allah! Hamaray liye
Yemen mein barkat day. Kuch logo ne arzz kya 'aur hamaray najd mein
bhi'. Iss per phir farmaya, aye Allah! Hamaray liye Shaam mein barkat
day. Aye Allah! Hamaray liye Yemen mein barkat day. Inn logo
ne arzz kya 'aur hamaray Najd mein Ya Rasool Allah (Sallallahu Allaihe
Wasallam)?' (rawi ne kaha) mein gumaan karta hon ke teesri baar ye
farmaya (Najd ke liye kaisay dua karo?) Waha zalzalay aur fitnay hain,
waha se shaitaan ke pairoo niklay gay.
,
(Sahih Bukhari, Vol. 1, pg. 141 Tirmidhi, Vol. 2, Pg. 234)
,
Ab aiye un dalail per ke jin se Najd se wohi Najd sabit hota hai ke jaha se Mardood Muhammad ibn Abdul Wahab nikla.
,
Pehli Daleel:
,
Najd ka lughwi maani "Onchi Zameen" hai, lekin Quran-o-Ahadiths mein
alfaaz ke wohi maani muraad hotay hain jo urf mein shaya hon, matlab ke
jo most common aur general hon. Jab "Najd" Arab ke aik makhsoos ilaqay
ka naam hai (abhi se nahi, Zamana-e-Risalat se) aur ye sab ko maloom bhi
tha to yaha "Najd" se yehi ilaqa muraad hai na ke iss ke lughwi maani.
"Najd" Zamana-e-Risalat mein bhi "Najd" hi kehlata tha aur "Iraq"
zamana-e-Risalat mein bhi "Iraq" hi kehlata iss ke gawah
Bukhari-o-Muslim hain!
,
,
Doosri Daleel:
,
Iss hadiths
mein, baghair kisi shakk-o-shubeh ke "Shaam" aur "Yemen" se muraad
makhsoos mumalik hi hain, na ke lafz "Shaam" se dopeher ke baad wali
"Shaam" muraad hai. Agar lughwi maani mein lakeer ka fakeer ban kar hi
hi istimaal karna hai to phir in dono naamo ke saath bhi aap hazrat ko
aisa hi khail khailna chahiye.
,
So qareena-e-qawiyya yehi hai ke yaha "Najd" se muraad Arab ka khitta "Najd" hi murad hai.
,
Ab aaiye deegar aqwaal ki taraf.
,
"Najd iss choori zameen ka naam hai jis ke ooper Tahama aur Yemen hai aur neechay Iraq aur Shaam."
,
(Muajjam-al`baldan, Vol. 5, Pg. 262, by Yaqoot bin Abdullah al`Hamwi)
,
Geography ki kitaaboo mein intihai mustandd kitab
,
"Suno! Bey`rehmi, sangdili.. kaashtkaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo
ke paas hai, Rab`eya aur Mizr mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye
gay."
,
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466)
,
Baaz riwayato mein
ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu Anha)
ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara kar ke
farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay.
,
Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki
taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, bilkul Najd ke beech se guzray
ga.
,
Yaha se pehla fitna baramadd howa Musalyma Kazzab aur
doosra issi Najd ke ilaqay Ainiya jaha Musalyma Kazzab paida howa wahi
se nikla Muhammad ibn Abdul Wahab Najdi.
,
"Mashriq ki janib se
kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn ke halaq say agay
nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay jaisay teer nishaana
paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein lootay gay nahi, yaha
tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay. Poocha gaya inn ki alamat kya
deen hai? Farmaya, in ki alamat sarr mundana ya tasbeed (payshaani ka
ghatta)."
,
(Sahih Bukhari, vol. 2, Pg. 1128)
,
Wahabiyo se
pehlay jitnay bad`mazhab aye kisi mein ye nishani nahi thi. Albatta
najdi wahabiyo ne zaroor sarr mundanay ko apna tareeqa banaye rakha.
,
Sheikh Allama Syed Zaini Dahlan likhtay hain:
,
"Ye hadiths najdiyo ke baray mein sareeh hai........
,
Ibn Abdul Wahab in auratoo ko bhi sarr mundanay ka hukum deta jo uss ke
mazhab mein dakhil hotien. Aik baar aik aurat nay iss per hujjat qayam
kar di, ye aurat bil`jabr iss ke deen mein dakhil ki gai aur najdi ke
za`m ke mutabiq iss ne tajdeed-e-islam kya.
,
To najdi ne iss ka
sarr mundana ka hukum dya. Iss aurat ne kaha agar apnay mardo ki
daarhiya mundanay ka hukum de to tujhay jayaz hoga? Ke auratoo ke sarr
mundanay ka hukum de. Iss liye ke auratoo ke sarr ka baal, mardoo ke
darhiyoo ke ba`manzil hai. Iss per woh kafir mabhoot ho gaya aur uss se
koi jawab na ban para."
,
(Ad`darr` al`sunniya, Pg. 42)
,
Wahabi Najdiyo se jab kuch nahi ban parta tu iss hadith se "Iraq" muraad
lete hain aur uss per apni bay'sar-o-paa dalail de de kar jaan halkaan
kartay hain. Aiye ab zara Iraq ke baray mein bhi parh letay hain.
,
Kanz-ul-Aamaal mein ba`hawala Masnad Imam Ahmed aur Ibn Asaakar issi
qism ki hadiths mojoud hai jo kaafi tafseeli hai. Uss mein “wa` fi
Najdna” ke bajaye “wa` fi Mashriqna” hai. Issi mein Hazrat Ibn Umer
(Radi Allahu Anhu) ki hadiths mein “wa` al-Iraq” hai. Issi tarah
Jame-al`Amkana mein Imam Hassan Basri (Radi Allahu Anhu) mein aisa hi
hai.
,
Inhi riwayat ki bina per aap ghair`muqallideen apni poori
quwwat se Iraq ko Najd sabit karnay ki na`kaam koshish kartay hain.
Lekin apnay tamaam usoolo ko bhool jatay hain ke jin per aap ki iss
Ghair`Muqallidi ki bunyaad qayam hai.
,
Ghair`Muqallideen ke
mazhab ki bunyaad iss per qayam hai ke “Bukhair aur Muslim” ko choor kar
Abu`Daud ki hadiths bhi ghair`mutabirr, to phir Bukhair aur Tirmidhi ki
maariz, Ibn Asaakar ki hadith aap ke nazdeek kaisay mutabirr ho gai??
,
Khud Shah Waliullah (Rehmatullahe Allaihe) ne Abu Daud ko
“Tabqa-e-Sania” mein aur Ibn Asaakar ko “Tabqa-e-Raabiya” mein rakha
hai.
,
,
,
To ghair`muqallideen jin ke mazhab mein
Bukhari-o-Muslim ke maariz Abu`Daud (Tabqa-e-Sania) ke hadiths
ghair`mutabirr, jis ka darja-e-sehat Bukhari-o-Muslim ke baad baqiya
Sihah`Sitta se muqaddam hai to Iraq ki baat per Bukhari-o-Tirmidhi ki
Sahih Hadiths ko choor Ibn Asaakar (Tabqa-e-Rabiya) ki hadiths ko daleel
banana to seedha seedha loota`pana hai janab.
,
Ghair`muqallideen ka iss baat per ijmaa hai ke Hadiths-e-Munqataa,
Mursil, laik-e-istinaad nahi. Hazrat Imam Hassan Basri se marwi jo
hadiths hai woh “Mursil Munqataa” hai, kyu ke Hassan Basri ki mulaqaat
Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) say nahi howi. Iraq se dushmani
mein apnay banaye howay usoolo ko aap khud hi toortay hain.
,
“Iraq ka naam Iraq iss liye para ke who Najd se neechay samandar se kareeb hai.”
(Muajjam-al`baldan, Vol. 4, Pg. 95 by Yaqoot bin Abdullah al-Hamwi)
,
Muajjam-al`baldan, qadeem Geography ki intihai mustanadd kitaab hai,
aur saaf gawahi de rahi hai ke Iraq, Najd se neechay hai. So agar lughwi
maani bhi istimaal kiye jaye tab bhi “Najd” se muraad Iraq nahi balkay
“Najd” hi sabit hota hai.
,
Her tareeqay se yehi sabit hota hai
ke Ehd-e-Risalat se le kar aaj tak “Najd”, jazera-e-Arab ka aik Khitta
hai jo iss ke Mashriq mein moujoud hai aaj kal Saudi Arabia ka hissa
hai. Ab issay lughwi maani ka labada pehnana tehreef-e-maanwi hai aur
kuch nahi. Aur hadiths mein tehreef karnay ka kya matlab iss se aap
bakhoobi waqif hongay.
,
Ab aaiye aap ko mazeed ahadiths dikha don.
,
Imam Bukhari, Imam Muslim aur Imam Ahmed nay mukhtalif alfaazo mein
Hazrat Abdullah bin Umer (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya:
,
,
“Mein ne Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ko dekha ke mashriq ki
janib ishara kar ke farmaya ke fitna waha hai, be`shakk fitna waha hai,
waha se shaitan ke pairoo niklay gay.”
,
(Sahih Muslim, Vol. 4, Pg. 2228-2229, Beirut Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 18-40-91-111-121-140­-143, Qurtuba, Misr. Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 73
Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 463)
,
Imam Bukhari ne Sayedna Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya:
,
“Kufr ki jarr mashriq ki taraf hai. Takabburr aur ghamandd, ghooray aur aunt waloo kasht'karoo aur khaimay walo mein hai.”
,
(Sahih Bukhari, Vol. 3, Pg. 202, Dar` Ibn Kathir, Beirut Sahih Muslim, Vol. 1, Pg. 72-73, Darul`Ihya at`Tiras al`Arabi, Beirut Masnad Imam Ahmed, Vol. 2, Pg. 202-418-506, Darul`Harmain, Qahira)
,
Imam Bukhari nay Hazrat Uqba bin Aamir aur Hazrat abu Masud Ansaari
(Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) se riwayat kiya ke Huzoor (Sallallahu
Allaihe Wasallam) ne farmaya:
,
"Suno! Bey`rehmi, sangdili..
kaasht'kaaro aur auntoo ki dumoo ki jaroo ke paas hai, Rab'ia aur Mudar
mein jaha se shaitan ke 2 pairoo niklaye gay."
,
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 466 Sahih Bukhari, Kitab Bid`al`Khalq, Hadith 3057
Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Hadith 72)
,
Ab aiye dalail ki taraf.
,
1. Medina Tayyaba se Mashriq Najd hai na ke Iraq. Iraq Shumal ki taraf
hata howa Mashriq aur Shumal ke koonay per hai, matlab ke Shumal
Mashriq.
,
2. Jaisay ke peechay bhi likh chuka, baaz riwayato
mein ye bhi hai ke Umm-ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiuqua (Radi Allahu
Anha) ke hujra-e-mubarak ke paas kharay ho kar Mashriq ki taraf ishara
kar ke farmaya ke fitna idher hai, jaha se shaitan ke pairo niklay gay.
,
Atlas uthaiye, Minbar-e-Aqdas se Hujra-e-Ayesha (Radi Allahu Anha) ki
taraf khatt khainchiye Mashriq ki taraf, seedha Najd per guzray gay.
,
,
3. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki
hadiths meiun “Rab'ia aur Mudar” ka zikr hai jo uss Ehd mein “Najd” mein
thay na ke Iraq mein. Rab'ia ke baray mein Najdi ki gawahi sun lijiye:
,
“Rab'ia bin Nazaar, Najd se Yemen tak ke baadshah thay…..”
,
Issi ki hashiye mein likha hai;
,
“Rab'ia ki shaakho ki bastiya Najd-o-Tahama, Yamama, Bahrain mein theen, Iraq TAK.”
(al`Wajd fi`nisaab, Mulook Najd, Pg. 31 by Rashid bin Musheer)
,
4. Hazrat Uqba aur Hazrat Abu Masud (Ridwan Allahe Allaihe Ajmain) ki
hadiths mein “Shaitan ke 2 pairoo” ka zikr howa. Pehla to sari ummat
jaanti hai ke Musaylma Kazzab, doosra uss ka hum'watan Ibn Abdul Wahab
Najdi Maloon. Musaylma Kazzab bhi Mizr se tha aur Ibn Abdul Wahab bhi.
,
Aur sab se bari daleel jo qayamat tak tamaam Wahabi ke sarr per mandalati rahay gi.
,
Bukhari mein Syedna Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne farmaya:
,
“Mashriq ki janib se kuch loog niklay gay jo Quran parhay gay magar unn
ke halaq se aagay nahi barhay ga. Deen se iss tarah nikal jaye gay
jaisay teer nishana paar kar ke nikal jata hai. Iss ke baad deen mein
lootay gay nahi, yaha tak ke teer apnay chalay ki taraf lootay.
,
Poocha gaya inn ki alamaat (nishani) kya deen hai? Farmaya, “Inn ke
alamaat (nishani) sarr mundana (ganja hona) hai ya tasbeed (payshaani ka
ghatta)”
,
(Sahih Bukhari, Vol. 2, Pg. 1128 Sahih Bukhar, Vol. 2, Pg. 2784, Dar Ibn Kathir, Beirut Masnad Imam Ahmed, Vol. 3, Pg. 64/464, Qurtaba, Misr Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Pg. 62, Darul`Fikr, Beirut)
,
Iss hadiths mein 2 batein wazeh hoti hain. Aik to mashriq se iss fitnay
ka zahoor aur doosra inn ki sarr mundanay ki alamat. Wahabiyo se pehlay
koi aik bad`mazhab firqa bata dijiye jis ki nishani sarr`mundana ho.
,
So in tamaam ahadiths aur aqwaal ko madd-e-nazar rakhtay howay to
Wahabiyoo ki Najdiyatt sarr se paoo tak tapak rahi hai. Ab aaiye aap ko
Iraq ki haisiyatt bhi dikhata chalo.
,
Syedna Zaid bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se marwi hai ke;
,
“Rasool (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne Yemen ki taraf deka aur ye dua
farmai, Aye Allah! Inn ke dilo ko meri taraf mayal farma aur Iraq ki
taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn ke dilo mein meri taraf
mayal farma, aur Shaam ki taraf dekha aur ye dua farmai, Aye Allah! Inn
ke dilo mein meri taraf mayal farma, Aye Allah! Hamaray liye sa`aa aur
hamaray madd mein barkat ataa farma.”
,
(Kanzul-ul-Aamaal, Vol. 9, Pg. 136 Muajjam-ul-Sagheer, Vol. 1, Pg. 173, al`Maktabt-ul-Islami­, Beirut Muajjam-ul-Kabeer, Vol. 5, Pg. 116, Maktabat-ul-Uloom wa`Hikm, Mousal)
,
Iss mein lafz “Iraq” nazar aaraha hoga aap ko yaqeenan.
,
“Nabi (Salllallahu Allaihe Wasallam) ne Shaam ki taraf nazar ki aur ye
dua ki, Aye Allah! Inn ke dilo ko apni ataa'at ki taraf mayal farma aur
inn ke ird`girdd apni rehmat ghair de. Phir Yemen ki taraf nazar ki aur
iss ki misl dua farmai, phir Iraq ki taraf nazar ki aur waisay hi dua
farmai.”
(Majmoa`-al`Zawaid, Vol. 3, Pg. 304, Darul Riyan-ul-Tiraas, Qahira, Darul Kitab al`Arabi, Beirut
al`Adb-ul-Mufarrid, Vol. 1, Pg. 169, Darul Bashair-ul-Islamiya,­ Beirut)
,
Umm-ul-Momineen Hazrat Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) nay farmaya;
,
“Imam Mahdi ki khidmat mein Shaam ke abdaal aur Iraq ke loog giroh`dar`giroh hazir ho kar bayt karein gay.”
(Sunan Abu Duad, Vol. 4, Pg. 107, Darul`Fikr, Beirut
Sahih Ibn Hibban, Vol. 10, Pg. 59, Beirut)
,
Ab ye Iraqi saray ke saray kaun hon gay? Khawarij, Rawafiz, Mutazilla ya Ghair Muqallid??
,
Ghair'muqallideen ki aik aur chaal iss mouqay per ye bhi hoti hai ke
Najd ke Banu Tamim ki tareef mein ahadith paish kartay hain. Abhi kuch
arsay pehlay hi aik ghair'muqallid ne ye ahadith paish ki;
,
Sahih Bukhari:
,
I have loved the people of the tribe of Banu Tamim, ever since I heard
three things the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam,
said about them. I heard him saying, 'these people (of the tribe of Banu
Tamim) would stand firm against the Dajjaal.' When the Saddaqat from
that tribe came, the Messenger of Allaah , sallallaahu alayhi wa sallam,
said, "these are the Saddaqat (charitable gifts) of our folk." Aa'ishah
had a slave girl from that tribe, and the Prophet , sallallaahu alayhi
wa sallam, said to Aa'ishah, 'manumit her as she is a descendant of
Ismaa'eel, alayhis salaam.'
,
Musnad Ahmad ibn Hanbal:
,
"do not say of Bani Tameem anything but good, for indeed they are the severest of people in attacking the Dajjaal."
====================­====================­====================­=
,
Iss ka bhi paishgi jawab hazir hai;
,
Imam Bukhari nay Hazrat Imran bin Hassain (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki hai ke;
,
“Bani Tamim ke kuch loog Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ki
khidmat mein aye to Huzoor (Sallallahu Allaihe Wasallam) ne inn se
farmaya, Aye Bani Tamim, tumhay basharat ho. Unho ne kaha, Aap basharat
to de chukay kuch (maal) dijiye. Iss per Huzoor (Sallallahu Allaihe
Wasallam) ka chehra badal gaya. Iss ke baad Ihl-e-Yemen hazir howay to
farmaya, Aye Ihl-e-Yemen! Basharat qubool karo jab ke Bani Tamim nay
issay qubool nahi kya. Unho ne arz kya, Hum ne qubool kya.
,
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Pg. 453 Sahih Bukhari, Vol 3/4, Pg. 1165/1594, Daar Ibn Kathir, Yamama Sunan Tirmidhi, Vol. 5, Pg. 732, Darul`Ihya al`Tiraas al`Aarabi, Beirut Masnad Ahmed, Vol. 4, Pg. 432-433, Qurtaba, Qahira.)
,
Chaliye, ab saaf sabit hai ke Basharat to be'shakk Huzoor (Sallallahu
Allaihe Wasallam) ne Banu Tamim ko di, lekin inn bad'bakhtoo ne ussay
qubool na kya. Mazeed ye ke gustakh-e-Rasool (Sallallahu Allaihe
Wasallam) Zul`Khuwaisra bhi Banu Tamim se hi tha.
,
“Hazrat Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) farmayta hain ke;
,
Hum Rasool Allah (Sallallahu Allaihe Wasallam) ke khidmat mein hazir thay, au
,
(Marqaat-ul-Mufateh,­ Vol. 5, Pg. 456 by Ali bin Sultan Muhammad Qari)
,
“Inn sab se zyada sareeh ye hai ke ye maghroor Muhammad bin Abdul Wahab
Banu Tamim se hai, to ho sakta hai ye Zul`Khuwaisra Tamimi ki nasl se
ho, jis ke baray mein hadiths aiee hai ke iss ki nasl se aik qoum paida
hogi.”
(Ad`daar` al`sunniya, Pg. 51)
,
Chaliye janab, Banu Tamim ki bhi asliyatt tamaam howi. Mere khayal itna kaafi hai... hai ya nahi?

SUNNI HANFI BARELVI AWAAZ

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...