Sunday, January 15, 2017

ISAAL-E-SAWAAB KI SHARAI HAISIYAT,,, PART=1,,,


ISAAL-E-SAWAAB KI SHARAI HAISIYAT,,, PART=1,,,



Isaal E Sawab Ki Sharai Haisiyat

HUM AHLE SUNNAT WA JAMAAT KA MAUKOOF ISAL E SAWAB (SAWAB BAKSHNA YA PAHUCHANE) K MUTTALIK KYA HAI ??
Isaal e Sawab Kisi Yaani Quran e Mukaddas ki tilawat, Nafli Ibadat, Kalima Sharif, Zikr o Wazaif, Durood o Salam, Ya Nafli Namaz ka Sawab, Ya Badni Ya Maali Ibadat Ka Sawab Dusro ko pahuchana ZAIJ hai aur isiko Isaale E Sawab FATIHA  ek aam jaban me kehte hai.
Isaal e Sawab ka bunyaadi tassawur ye hai k Kya kisi zinda shaks k koi amal se jo wo khud kare ya koi jaiz amal par kharch kare uska sawab fautshuda ko ya hayat shaks ko milta hai ya nahi ?
Kya iska saboot Quran aur Hadees e paak se milti hai k kisi zinda shaks se kisi faut shuda ko nafa mile ?
Ya Bas jo amal us marhoomeen ne dunya me rah kr kar diya us amal k aage uske naam e aamal me koi badhotri ho sakti hai ya nahi ?
Yakinan Iska Saboot QURAN AUR HADEES, FIQH AUR AKAID ki kitab  me mauzood hai maslan SHARA E HIDAYA aur Akaid e Nasfiya me iska bayan mauzood hai isko biddat aur Nazaiz kahna fakat jahalat aur hatdharmi hai.
Is article me aise hi bahot se aitrajat ka ilmi tehkeeki jawab diye jaayg.
Faut Shuda Guzar Gaye Musalmaano ko sawab pahuchana ALHMADULLILAH QURAN SUNNAT FUKAHA Se saabit hai jiski daleel hum yaha denge jisko padh k aap mutmayeen hojaynge.
Insha Allah
Isal e Sawab karna MUSTAHAB amal hai kiya to sawab nahi karne pe gunaah nahi iska munkir gumraah hai.

Isaal  E Sawab k lafzi maa’na hai “SAWAB PAHUCHANA” isko “Sawab Bakshna” bhi kehte hai magar buzurgo k liye Sawab Bakshna kehna Munasib nahi “SAWAB NAZR” karna kahna adab k zyada karib hai.


Imam Ahmad Raza Aala Hazrat رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه
“Huzoor E Akdas ﷺ khwaah Nabi ya Wali ko sawab bakshna kehna Beadabi hai bakshna bade ki taraf se chote ko hota hai balki nazr karna ya hadiya (tohfa) kahen ” (Fatawa E Razviya vol : 26, Pg : 609)

Pehle k Jamane me FIRKA E Motezala aur ab Firka e WAHABIYA k Nazdeek Esaal e Sawab Fatiha ka koi tassawur nahi hai ek baar insaan faut hua ab wahabi ideology k hisab se wo shaks amal me koi neki nahi aaygi chahe koi isaal e sawab kare ya dunya me wo kuch chode jo kuch ek musalmaan dunya me amal karta raha bas wo amal hi uske kaam ayenge baaki ab koi dusra shaks kuch kare uske naam se Isaal e Sawab kare wo tamam chiz kaam na aaygi ye tassawur hai wahabiat ka Isaal k mutallik aur inme bhi phir jitne so called preachers mullah hai utni baatein kuch kabhi kabhi baaz amal e Isaal k Jaiz kehte hai baaj nazayaz hattha k koi ek paimana hai hi nahi jitne muballig utni baatein.

MUSALMAAN KI NIYAT AUR ALLAH KI JAANIB SE NIYAT PAR AZR

Hadees 01 :

“Hazrat Umar Bin Khattab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya

Aamaal Ka Daaromadaar Niyyat Par Hai Aur Har Shakhs Ke Liye Wahi Hai Jis Kee Us Ne Niyyat Kee,
Reference :

(Sahi Al Bukhari, Vol : 01,Kitab Ul Imaan, Hadees : 54)

Hadees 02 :
“Nabi E Karim ﷺ ne Irshad Farmaya Musalmaan Ki Niyat Uske Amal Se Behtar Hai”
Reference :
(Al Majmaul Kabir Lil Tabrani Vol : 06, Pg : 180, Hadees : 5942)

Hadees 03 :
“Huzoor E Akram ﷺ ka farmaan e Aalishan hai Acchi Niyat Bande ko Jannat Me Daakhil Kar Deti Hai”
Reference :
(Imam Suyuti Al Jaaame Sageer ,vol : 01, Pg : 800, Hadees : 1326, Darool kitab Beirut)

Hadees e paak se wajeh hua k Musalmaan ki niyat har kaam k liye hona jaruri k insaan ko niyat k mutabik hi azr o sawab milega aur nekiyo me izafa bhi hoga isliye har musalmaan ki niyat sadkaat se leke dua karne tak ye niyat rakhni chahye k hum nazr o isaal kar rahe hai INSHA ALLAH Tabarakwa’tala hume bhi fayda hoga dusre ko bhi fayda hoga.

KUCH ZAROORI MASLE KIN CHEEZO SE ISAAL E SAWAB KIYA JAA SAKTA HAI

1) Har Jaiz cheez se Isaal e Sawab kiya jaa sakta hai jaise Namaz, Tilawat e Quran padhke Sawab Nazr karna,  Hajj, Umraah karke uska sawab Marhoomeen ko bakshna, Izmai taur pe mehfil munakid karna, Zikr o durood e paak ko padhke bakshna etc.

2) Khane Peene ki cheez me bhi sawab karna jaiz hai.

3) Masajid, Madaris me chanda deke ya dusri jaruriat ki chizo se sawab e nazr kiya jaa sakta hai.

4) Ek Din k bachhe ka ho uska Isaal e Sawab bhi Jaiz hai aur Zinda Shaks ka bhi Isaal E Sawab Jaiz hai.

4) Isi tarah Deeni Kitab takseem Karna Masajid me Quran e Mukaddas dena, tasbih wa dusre akhrajat me rakam dena ba niyat e isaal e sawab wo bhi inme shamil hai.

5)Teeja, Duswa, Chaliswa, Buzurgane Deen k Uroos ye tamam chize bhi Isaal e sawab ki hi shaakein hai.

KIN LOGO K LIYE ISAAL E SAWAB JAIZ NAHI HAI
1) Isaal e Sawab Sirf Musalman ko kiya jaayga kisi kaafir ya phr badmazhab wahabi deobandi qadiyani shia ya deegar batil firke se talluk rakhne waalo k liye Isaal e sawab karna nazaiz hai o haram hai.

GUZAR GAYE LOGO K LIYE DUA E MAGFIRAT SE ISAAL E SAWAB KA SABOOT :

Ayat 01
“Aur Wo Jo unke baad Aaye Arz Karte Hai Aye Hamare Rab ! Hume Baksh De Aur Hamare Bhaiyo Ko Jo Hum Se Pehle Imaan Laaye Aur Hamare Imaan Waalo Ki Taraf Se Keena Na Rakh, Aye Rab Hamare ! Beshak To Hi Bahot Meharbaan Rahem Waala Hai”

(Surah Al Hashr Ayat 10)

Ayat 02
“Aye Hamare Rab Mujhe Baksh De Aur Mere Maa Baap Ko Aur Sab Musalmaan Ko Jis Din Hisab Kayam Hoga” (Surah Ibrahim Ayat 41)

Is aayat me Allah ne Musalmano k is dua ko bataur e tareef bayan farama raha jo Musalman apne guzre huwe Musalman Bhaiyo k liye duway bakshish o magfirat maag rahe hai agar wisal karke logo ko zindo se koi nafa na pahuchta to Quran Hargeez usko bataur tareef o istehsan bayan na karta dua to ek shaks ne maanga par iska faida sabko pahuch khwah wo zindo ho ya murda. Hadees e Mubaraka Se Isaal E Sawab Ki Dalil :




Hadees 01 :
Hazrat Abu Hurairah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Ne Farmaya :

Jab Insan Mar Jaata Hai To Us Ke Aamaal Ka Silsila Khatm Ho Jaata Hai Siwaye Teen Cheezon Ke (Un Ka Ajr Use Barabar Milta Rahta Hai : )

Ek Woh Saqda Jis Ka Nafa Zaari Rahe, Dusra Woh Elm Jis Se Faayda Uthaaya Jaaye, Teesra Woh Nek Awlaad Jo Us Ke Liye Duaa Kare.”
References :
(Sahi Muslim Vol : 03, Kitab No 25 - Kitabul Wasaya, Pg : 1255, Hadees : 1631)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Kitab No 18 - Kitab Al Wasaya, Pg : 117, Hadees : 2880)
(Imam Bukhari ne Al Adab Ul Mufrad, Vol : 01, Pg : 28, Baab No 19 - Barril Walidain Baadl Mautameen, Hadees : 38)

Is hadees se kuch logo ne galat istedlal kiya aur isi tarah k la ilm kaum e wahabiya k muballig ne hume ye hadees bhejke kaha k tum log kya kya khane pine ki cheez pe isaal e sawab karte ho jabki.
Hadees me sirf ye 3 amal ka zikr hai Sadqa, Ilm aur Aulad ki dua.

Maut k baad Insaan khud to amal nahi kar sakta par uske badle me koi agar khud amal kare aur uska sawab us faut shuda ko nazr kare to sawab us tak pahuchta hai ye maana hai.
Uska jawab me humne jab usko bahot si wo hadees pesh ki k inke elawa bhi chizo se Isaal e Sawab hota hai to wo khamosh hogaye jo hum yaha bhi niche pesh kar rahe hai.




Hadees 02 :

Umool Momineen Hazrat Ayesha Siddiqua Tahira Radi Allaho Anha se rivayat hai k Ek Shaks Nabi E Karim ﷺ kee Bargaah Me Haajir Huwa Aur Arz Kiya :
Meri Walida Achanak Faut Hogyi hai Aur Mera Khayal Hai ki Agar wo (Bawakte Naz’a) Guftgoo Kar sakti To Sadke (kee Adaygi ka hukm) Karti,
Agar Mein Us kee taraf se khairat Karoo’n To Kya Use Sawab pahuchega ?? Nabi E Karim ﷺ ne farmaya ‘Haan’
Reference :
(Sahi Bukhari Vol : 03, Kitab 55 - Kitabul Wasaya, Baab No 19 - Sadakat k Sawab ka Shudagan Tak Pahuchne, Hadees : 2760)
(Sahi Muslim Vol : 02, Kitab 12 :  Al Zakat, Baab No 15 : Sadakat k Sawab ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadees : 1004)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Kitab No 18 : Kitabul Wasaya, Baab No : 1068 Pg : 118, Hadees : 2881) Albani ne bhi isko sahi likha hai
(Sunan Nasai, Vol : 06, Kitab No 30 : Kitabul Wasaya, Baab No : 07 Kisi shaks ki maut par uske ghar waalo k sadke karne ka bayan, Pg : 250, Hadees : 3649)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra, Vol 04, Pg : 109, Hadees - 6476) Kuch logo ne yaha pe bhi ek mantik saamne laaya aur kaha yaha puchne waale ko shak tha k unki walida kuch wasiyat karti jo na kar saki isliye izazat mili hai halanki ye fakat khud sakhta soch hai hadees ka maana nahi hai aur ye khayal fakat jahalat la ilmi aur Isaal se gumraah karne ka rasta hai. Chahe wasiyat ho ya na ho chahe wasiyat ka gumaan ho na ho har aitbaar se Isaal kiya jaa sakta hai. Chunanche Shara e Sahi Muslim

Imam Nawawi As Shafai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه  is hadees ki shara me likhte hai
“Is Hadees se saabit hua k agar Mayyat ki taraf se sadka diya jaaye to mayyat ko iska fayda aur sawab pahuchta hai isi par ulema ka ittefak hai”
(Al Minhaj Bi Shara e Sahi Muslim - Kitabuz Zakat, Baab : Wasail Sawab Sadkat, Vol : 01, Pg : 324,)




Hadees 03:

“Hazrat  Abdullah ibn Abbas  رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se rivayat hai k ki Kabeela Juhayna kee ek khatoon ne Huzoor ﷺ kee Bargaah Me Haajir Hokar Arz Kiya : Meri Walida Ne Haj Ki Mannat Maani Thi Lekin wo Hajj Na Kar Saki Yaha Tak ki Faut ho Gayi.
Kya Mai Unki Taraf se Hajj Karo’on ? Huzoor ﷺ ne Farmaya
Ha’n Tum Uski Taraf Se Hajj Karo.  Bhala Batao kya Tumhari Walida par karz hota to kya tum ada na karti ?
Phir Allah عزوجل ka Haq Ada karo wo zyada haq daar hai k uska haq ada kiya jaaye.”

References :
(Sunan Nasai, Vol : 05,Kitab 24 Kitabul Hajj, Baab No 07 -Faut Shuda Logo k badle Hajj ka bayan jo Hajj ki Mannat rakhte The‏‏, Pg : 116, Hadees : 2632)
(Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg : 322, Hadees : 3612)
(Imam Tabrani Al Muajamul Kabir, Vol : 12, Pg : 50, Hadees : 12443)
Note : Imam Nasai ne Sunan Nasai , Kitabul Hajj me is tarah ki kaafi rivayat jama ki hai.

Pata chala k Faut shuda k haq me haj bhi kiya jaa sakta hai.




Hadees 04 :
“Hazrat Abu Hurrairah رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram ﷺ Kee Khidmat Me Ek Shakhs Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ !
Mera Baap Fawt Ho Gaya Hai Aur Us Ne Maal Chhoda Hai Aur Waseeyat Bhi Nahin Kee Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Karoo’n To Kya Yah (Sadqa) Us Ke Gunaahon Ka Qaffara Ho Jaayega?
Aap  ﷺ  Ne Farmaya : Haa’n.”
References :
(Sahi Muslim Vol : 03, Pg : 1254, Kitab No 25 - Al Wasayiat, Baab No 02 - Sadakat k Sawab ka Shudagan Tak Pahuchna, Hadees : 1630)
(Sunan Nasai, Vol : 06, Pg : 251, kitab 30 Kitabul Wasaya, Baab No 02, Shudagan k badle Sadkat Karne K Fazail, Hadees : 3625)
(Sunan Ibn Majah, Vol : 02, Pg : 206, Kitab No 22 - Kitab Al Wasaya, Hadees : 2716)




Hadees 05 :
“Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Bargah-E-Risalat  ﷺ Me Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ !
Meri Waalida Fawt Ho Chuki Hai Agar Mein Us Kee Taraf Se Sadqa Doo’n To Kya Woh Use Koi Nafa Dega ?
Aap ﷺ Ne Farmaya : Ha’n ! Us Ne Arz Kiya :
Mere Paas Ek Baag(Garden) Hai Aap Gawaah Rahein Mein Ne Yah Baag Us Kee Taraf Se Sadqa Kar Diya.”
References :
(Sunan Tirmizi, Vol : 02, Pg : 56, Kitab Az Zakat, Baab No 33, Hadees : 669)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 118, Kitab No 18 - Kitabal Wasaya, Hadees : 2882)
Note : Albani ne bhi Abu Dawood ki hadees ko sahi kaha hai.
(Sunan Nasai Vol : 06, Pg : 252, kitab No 30 Kitab Al Wasaya, Baab No 07, Hadees : 3655)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 04, Pg : 110, Hadees : 6482) Is hadees e paak se wajeh hua k yaha na to wasiyat ka gumaan tha na hi kuch aur sawal karne ne waale ne fakat Bargaah e Risalat ﷺ se masla ka jawab maanga aur mila.

In tamam hadees e paak se humne wajeh kiya k sirf sadqa,ilm aur aulad ki dua hi nahi balki agar fautshuda k haq me Hajj kare to bhi kabool hai,Yaha tak k unke haq me baag(garden) bhi sadka kar diya ab jab jab log baag se nafa uthate honge sawab milta rahega. Subhan Allah

Dua ki Guzarish Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...