Tuesday, January 10, 2017

GUSL KA MUQAMMAL BAYAAN PADHIYE,,


*بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم


"GUSL KA TARIQAH"

Gusl Yani Islami Tariqe Se Paki Hasil Karne Ka Masnoon Tariqa Dhiyan Se Padhiye Insha'Allah Samajh Me Aayga.
Jab Bhi Gusl Karna Ho Pehle Niyyat Kar Ke Gusl Khane Me Dakhil Ho, Phir Dono Hath 3 Martaba Gatthon Tak Dhoyen, Phir Istinja Ki Jagah Ko Dhoyen Chahe Gandi Lagi Ho Ya Na Lagi Ho, Phir Badan Ke Jis Hisse Par Najasat Lagi Ho Use Dhoyen Uske Baad Namaz Jaisa Wazu Kare, Magar Paon Na Dhulen Haan Agar Aap Chowki Ya Unche Patthar Ya Kisi Takhte Par Baithe Hon To Phir Paon Bhi Dhule.
Phir Badan Par Tel (Oil) Ki Tarah Paani Chapad Le.
Phir 3 Martaba Sidhe Kandhe Phir 3 Martaba Ulte Kandhe Par Pani Bahaye.
Phir Sar Pe Pani Bahaye Phir 3 Baar Pure Badan Par Bahaye Is Tarah Ki Koi Jagah Dhulne Se Baqi Na Rahe.
Pehle Aagr Wazu Karne Me Paon Nahi Dhule The To Ab Dhul Le.
Tamam Badan Par Hath Phere Aur Male.
Gusl Aisi Jagah Kare Jahan Koi Na Dekhe, Agar Aam Jagah Gusl Kar Raha Ho Jahan Kisi Ki Nazar Padti Hai To Aisi Jagah Apne Naaf Se Ghutno Tak Kapda Pahen Le Aur Phir Gusl Kare.
Nahate Waqt Qibla Rukh Na Ho.
Nahate WAQT Na Baat Kare Na Kisi Qism Ki Dua Padhe.
Jahan Kisi Ke Dekhne Ka Ehtemal Na Ho Wahan Nanga Nahane Me Harj Nahi.
Gusl Me Aurton Ko Bahot Ehtiyaat Chaiye Hatta Ki Aurton Ko Baith Kar Nahana Chaiye Aur Gusl Hote Hi Kapde Pahen Le.
Note - Gusl Me 3 Baten Farz Hai Aur Kuch Sunnat Aur Kuch Mustahab Hai.
Farz Me Se Agar 1 Farz Pe Bhi Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hua.
{Qanoone Shari'at, Hissa-1, Page-57}

Fara'ize Gusl Ye Hain.

1-Kulli Karna.
2-Naak Me Pani Dalna.
3-Tamam Badan Pe Pani Bahana.





"GUSL KE FARA'IZ AUR MASAYEL"

GUSL Ka Mukammal Tariqa Isse Pehle Ke Chapter Me Bataya Ja Chuka Hai.

Gusl Me 3 Chizen Farz Hai, Kisi 1 Farz Pe Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hoga.

1>KULLI KARNA,

Is Tarah Ki Muh Ke Har Purze Goshe Hont Se HALAQ Ki Jad Tak Har Jagah Paani Beh Jaye, Aksar Log Zara Sa Pani Muh Me Leke Ugal Dete Hain Ye Kulli Na Hui Jab Tak Zaban aur HALAQ Ki Jad Tak Pani Na Jaye.
Danton Ki Jad Aur Surakhon Me Koi Chiz Phansi Ho To Use Nikale Aur Wahan Tak Pani Paohchaye.
Haan Dant Agar Taar Ya Kisi Masale Se Jamaya Gaya Ho Aur Wahan Tak Pani Na Pahochta Ho To Maaf Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-2, Page-316}

2>> NAK ME PANI DALNA.

Hath Ka Katora Bana Kar Pani Le Aur Nak Me Soongh Kar Upar Chadhaye Baal Barabar Bhi Jagah Dhulne Se Reh Na Jaye Warna Gusl Na Hoga, Naak Ki Reenth Andar Sookh Gai Ho To Use Chhudana Farz Hai Neez Nak Ke Balon Ka Dhona Bhi Farz Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-2, Page-317}

3>>PURE BADAN KA DHONA.

Yani Sar Ke Baal Se Paon Ke Talwon Tak Jism Ke Har Purze Ka Dhona Aisa Ke Har Rangote Par Pani Beh Jaye Farz Hai.





"GUSL KIN BATON SE FARZ HOTA HAI"

Wo 5 Baten Hain Jinki Bina Par Gusl Farz Hota Hai.

1>> Mani Ka Apni Jagah Se Shehwat (Maze) Se Nikalna.
2>> Ehtelam Yani Sote Me Mani Ka Nikalna (Night Fall).
3>> Sharmgah Me Hashfah Ka Chale Jana Khawah Maze Se Ho Ya Bila Maza Mani Nikle Ya Na Nikle (Mard Ke Peshab Ke Maqam Ka 4>> Agla Hissa Hashfa Kehlata Hai Agar Wo Ki Sharmgah Me Dakhil Ho To Gusl Farz Hua) Aurat Ka Haiz Yani M.C Se Farig Hona.
5>> Nifas Yani Bachcha Janne Ke Bad Jo Khoon Aata Hai Usse Farig Hone Ke Baad.

Yahi wo 5 Baten Hain Jinse Gusl Farz Hota Hai.

Mas'ala:

Mani Shehwat Se Apne Maqam Se Juda Na Hui Balki Boojh Uthane Ya Oonchai Se Girne Par Nikli To Gusl Wajib Na Hua Haan Wazoo Toot Gaya.
{Fatawa Alamgeeri, Jild-1, Page-10}

Mas'ala:

Khawab Dekha Mani Nikalne Ko Thi Ki Pakad Ke Daba Liya Aur Mani Nikalne Na Dee, Phir Jab Aale Ki Sakhti Khatm Hui Aur Ab Mani Nikle To Gusl Wajib Ho Gaya.
{Fatawa Razviyah, Jild-1, Safah-518}

Mas'ala:

Jispe Gusl Farz Ho Use Masjid Me Jana, Tawafe Kaba, Qurane Pak Chhuna Ya Zabani Padhna, Ya Kisi Ayat Ka Likhna Ya Qurani Taviz Ka Likhna Ya Chuna Haram Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-2, Page-326}

Mas'ala:

Be-Gusli Ko Tafseer Hadees Fiqah Ki Kitabon Ko Chhuna Makrooh Hai, Pichli Asmani Kitaben Jaise Taurat, Zaboor, Enjeele Muqaddas, Ka Chuna Aur Padhna Bhi Makrooh Hai, Darood Sharif Aur Duayen Kulli Ya Wazu Kar Ke Padh Sakta Hai Aur Azan Ka Jawab Dena Bhi Jayez Hai.
{Fatwa Hindiya, Volume-1, Page-38}

Gusl Ke Bahot Se Masyael Aur Badi Tafsilaat Ke Saath Janne Ke Liye Sarkar Alahazrat Ki Fatawa Razviya Sharif Aur Sad'rushshriah Ki Bahar-E-shariat Ka Mutala Kare Hum Ne Sirf Zaroori Aur Aasan Masayel Hi Bayan Kiye Hain.

📕"HAQ KI BANDAGI"

CHAPTER=9, 10, AUR 11

📝 MUSANNIF:

✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

((Khalifah Huzoor Amine Shariat))

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...