Friday, January 6, 2017

ALLAH TAALA KEE TAMAAM SIFAT QADEEMA WA HAR NUQS SE PAAK HAI,,



ALLAH Ta'ala ki tamam sifat qadeema wa har nuqs se paak hain


ALLAH Ta'ala ki sifat e zaatiya ki tadaad 7 hain. Aur wo zaati sifat ye hain.
1: Hayat
2: Qudrat
3: Ilm
4: Kalaam
5: Sama
6: Basar
7: Iradah
(Aqaid e Nizamiya Farsi, Maktaba Turkey)
.
Imam Fakhruddin Razi ne Ek aur izafa bataya jo ki "Baqa" hai.
Aap farmate hain:

اعلم ان المتكلمين حصروا الصفات في هذه الثمانية و هي كونه حيا، عالما، قادرا، مريدا، سميعا، بصيرا، متكلما، باقيا
(Matalib al Aaliya 1/141, Kutub Ilmiya Beiroot)
.
Imam Shamsuddin Abu Abdullah Muhammad bin Qurtubi farmate hain:
لا خلاف بين اهل الحق ان الصفات الذاتية
ليست الغيره، فان التغاير ينافي الوحدة الحقيقية
Tarjama: Ahlesunnat wa Jamat ke darmiyan is baat me kii ikhtilaf bahi ki sifaat e zatiya Ain zaat hain. Iska ghair nahi. Kyunki Taghayur Wahdat ke manafi hai.
(Al Asna fi Sharh Asmaul Husna Pg. 45 Maktaba Asriya Beiroot)


أن الله -سبحانه وتعالى- لم يزل متصفا بصفات الكمال، صفات الذات، وصفات الفعل
(Sharah Aqeeda Tahaviya 1/96)

ALLAH Ta'ala ki tamam sifaat e kamaaliya zaatiya wa faeliya Azli yani Qadeem hain.

Shah Abdul Azeez Muhaddis Dehelvi Tohfa Isna Ashariya me likhte hain:
"صفاته تعالي الذاتيه قديمه لم يزل موصوفا بها"
(Tohfa Isna Ashariya Arbi Pg.80)

Tarjama: ALLAH Ta'ala ki sifaat e zaatiya qadeem hain. Aur wo ub sifaat ke sath hamesha se muttasif hai.
.
Sharah Fiqh Akbar me hai:
و صفاته في الازل غير محدثة ولا مخلوقة
(SharahFiqh Akbar Pg.47 Kutub Ilmiya Beiroot)

Tarjama: ALLAH ki sifaat Azli Qadeem, Ghair Makhlooq wa Ghair Haadis hain.
.
قصيده بدءالأمالي me hai:
صفات الذات و الأفعال طرا قديمات مصونات الزوال
Tarjama: ALLAH Ta'ala ki sifaat-e-zaatiya maslan (Iradah, Sama, Basar, Qudrat, waghairah) Aur sifaat-e-feliya maslan (tarzeeq, Inshaa wa Takhleeq waghairah) Qadeem hain aur zawaal wa fana se mehfuz hain.
.
Hazrat Mulla Aki Qari ne ALLAH Tabarak wa Ta'ala ki tamam sifaat ko Azli, Abadi, Qadeem, Ghair Haadis aur Ghair Makhlooq batate hue akhir me ye faisla sadir farmaya hai:
"فمن قال انها مخلوقة او محدثة أو وقف أو شك فيهما فهوا كافر بالله تعلي"
(Sharah Fiqh Akbar Pg.47 Darul Kutub ilmiya Beiroot)
.
Tarjama: To jo shaks ALLAH ki sifaat ko Haadis(Ghair Qadeem) aur makhluq bataye ya ALLAH Ta'ala ki sifaat ko azali wa qadeem manne me tauqif ya shak kare wo kafir hai.
.
Ayat e Kareema hai
ومن اصدق من الله حديثا
(سورة نساء آيت 87)
ALLAH se zyada kiski baat sacchi.
.
Is ayat ke tehet Tafseer Kabeer me hai:
فاذا كان امكان الصدق قائما كان امتناع الكذب حاصلا لا محالة "
(Tafseer Kabeer 5/173 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
.
Tarjama: Jab ALLAH Ta'ala ke liye sidq qayem wa sabit ho gaya to ab la muhaala kizb iske haq me muhaal wa mumtana thehra.
.
Tafseer Abi Saood me hai:
والكذب محال عليه سبحانه
(Tafseer Abi Saood 4/411 Beiroot)
.
Kizb ALLAH Subhanuhu ke haq me muhaal hai.
.
Sharah Fiqh Akbar me hai:
والكذب عليه محال
(Sharah Fiqh Akbar Pg.87 Darul Bashair Islamiya Beiroot)
.
Tafseer Baizawi me hai:
الكذب نقص وهوا علي الله تعلي محال
(Tafseer Baizawi 4/449 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
.
Tarjama: Kizb nuqs hai aur nuqs wa aib ALLAH ke haq me muhaal bizzaat hain.
.
Sheikh Salim bin Saleh Hazrat Shafaiee likhte hain:
يجب علينا ان نعتقد ام كل نقص مستحيل عليه تعالي
(Al Durral Sameen Pg.36 Maktaba Ahlesunnat wa jamat Hyderabad)
.
Tarjama: Har aib wa nuqs ALLAH Shaana ke haq me Muhaal hai. Ye aqeeda rakhna humpar wajib wa zaruri hai.

Sharah Mawaqif me hai:
ولا یصح علیہ الحرکۃ و السکون ولا الانتقال ولا الجھل ولا الکزب ولا شیٔ من صفات النقص عند اھل السنۃ و الجماعۃ
(Sharah Mawaqif J-3 Pg.718 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: ALLAH TA’ALA par harkat, sukun, Inteqal, Jehel, Kizb aur koi bhi sifat-e-nuqs w aaib saheeh nahi.

Fatawa-e-Aalamgiri me hai;
“یکفر اذا نسبہ الی الجھل او العجز او النقص”
(Fatawa-e-Aalamgiri 4/485 Zakariya Book Depo Deoband)
Tarjama: Yani ALLAH Ta’ala ki taraf Jehel , Ajz, ya Nuqs ki nisbat karna kufr hai.

Bahrur Raeeq me bhi aisa hi likha hai Mulahiza Karen Bahrur Raeeq 5/404 Darul Kutub Ilmiya Beiroot۔

Al-Durr-Al-Sameen me hai
“من الصفات المستحیلۃ علیہ تعالی الجھل”


Tarjama: ALLAH Ta’ALA ke liye jehel muhaal wa mumtana hai.
(الدر الثمین فی اصول الشریعۃ و الدین ۳۴ مکتبۃ اھل السنۃ و الجماعۃ)

Tafseer Baizawi me hai:
“االکذب نقص و ھو علیہ محال”
(Tafseer Baizawi 4/449 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: Kizb ye Nuqs hai aur Nuqs ALLAH TA’ALA ke haq me Muhaal hai.

Aur jo chizen Muhaal hain wo ALLAH ki qudrat me shamil nahi.

Tafseer Kabeer me hai:
“انہ تعالی قادر علی کل الممکنات”
(Tafseer Kabeer 7/454 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: ALLAH TA’ALA tamam Mumkinaat par Qadir hai. (muhaalaat par nahi)
.
Imam Baihaqi Shoabul Eiman me likhte hain:
“ولا یجوز علیہ شیٔ مما جاز علی المحدثات فدل علی حدوثھا”
(Shoabul Eiman 1/113 Darul Kutub Ilmiya Beiroot)
Tarjama: Jo chiz makhluq ke liye jaez hai aur wo makhluq ke haadiws hone par dalalat karti hai wo ALLAH TA’ALA ke haq me jaez nahi.

Dua ki Guzarish: Irfanbarkaati

1 comment:

  1. Bismillahir rahmaan nir raheem

    Aapne jo likha hai wo bila shubha Salaf aur Aimma ka aqeeda hai aur wahi har musalmaan ka aqeeda hai.
    lekin isme kuch istilaahaat qadre tafseel talab hain
    jaise Allah ke sifaat ke liye lafz e haadis/hudoos ka inkaar karne ke 2 ma'na ho sakte hain:

    1.Ye ke Allah ki koi bhi sifat nau paida nahi hai balke wo azal se apne tamaam sifaat se muttasif hai jaisa ke sharh aqeeda e tahavia me shaikh ne kaha hai ke 'Allah azal se apne tamaam sifaat e zatiya aur faeliya se muttasif hai'
    ya'ni aisa nahi hai ke wo azal me sami' nahi tha aur baad me Allah me samaa'at ki sifat paida ho gayi!! ya wo azal me kaleem ya'ni kalaam karne waala nahi tha phir baad me usme quwwate goyai paida ho gayi (jaisa ke karramiya ka aqeeda hai!)
    to is pehle ma'ne me hudoos ki nafi laazim hai aur ahle sunnat ka aqeeda hai

    2) Ba'z ahle bid'at jaise mu'talzila waghairah ne hudoos ki nafi ka ek aur ma'na liya hai aur wo ye hai ke 'Allah apne ikhtiyar o iraade se koi fael nahi karta ya'ni wo apne ikhthiyaar se jab chaahe kalaam nahi karta waghairah!
    to is doosre ma'ne me hudoos ki nafi Allah ke liye najayaz hai balki Allah me nuqs ko saabit karna hai! mazeed ye ke aisa aqeeda Ahle sunnat aur chaaro imaamo ke aqeede ke saaf khilaaf hai!
    Barakallahu lana wa lakum
    AQulu Qawli haza wa astaghfirullahi li wa lakum wa saairil muslimeen!
    As salaamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatuhu

    ReplyDelete

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...