Saturday, January 7, 2017

WAHABOYON K AKSAR POOCHE JANE WALE SAWALO K JAWAAB,,



Aaj Kal Kuch Dino Say Ye Fitna Faila Hai Jahan Par Bohat Say Bad Mazhab Log Masoom Logo Ko Quran Aur Hadees Kay Hawalay Mang Kar Gumrha Kar Rahay Hai Ye Nichay Kuch Sawalat Aur Unkay Jawabat Hai Jo Ye Log Aksar Puchtay Hai:


Sawal 1 : Kis Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai?


Answer : Hazrat Tamim Ansari (Radiallahanhu) Kay Urs Sharif Jinki Mazar Kolam Sharif Samundar Kay Kinaray Madras Chennai Main Hai Aur Usi Tarah Hazrat Bilal Habsi(Radiallahanhu) Jinki Mazar Damascus Mulkay Sham Main Hai, Hazrat Salman Farsi (Radiallahanhu) Iraq, Hazrat Ali (Radiallahanhu) Najaf, In Sahabi Kay Urs Par Sab Say Zyada Log Jama Hotay Hai.


Sawal 2 : Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Daur Kay Mashoor Qawaal Ka Naam Batao ?


Answer : Qawaal Kay Manay Buzrgo Kay Qaul Gane Wala Haqqani Chezian Ganay Wala...Dekhye Urdu Ki Mashoor Lugat Ki Qitab " Firazul Lugat" Page 949 Writer Molvi Firozudin Deobandi. Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Bargah Kay Mashoor Naat Khwaan Aur Shayar Hazrat Hassan Bin Thabit, Hazrat Abdullah Ibn Rawah, Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanha Ajmain) Hai. Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radiallahanhu) Nay Sab Say Pehla Burda Sharif Likha "Banat Suad" Is Ka Naam Hai English Main Isay "The Poem Of The Scarf" Bhi Kehtay Hai Jisay Aap Nay Aqa (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ko Sunaya Is Par Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Bohat Kush Huye Aur Aap (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Inko Apni Kamli (Scarf) Mubarak Tohfay Kay Taur Par Diya, Ye Kamli Mubarak Sahaba E Karam (Radiallahanha Ajmain) Jab Jang May Jatay To Apnay Sath Lejatay Aur ALLAH In Sahabiyo Ko Fatah Dila Deta Aaj Bhi Ye Kamli(Scarf) Turkey Main Topkapi Palace Main Rakhi Hai, Is Tarah Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Shaan Mai Ye Sahaba (Radiallahanha Ajmain) Aksar Kalaam Padtay Aur Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Khud In Kay Liye Ethmam Farmatay Balki Inaam Bhi Ata Farmatay {Ref : Mishkat Sharif Page 410, Bukhari Sharif Volume 1 Page 100, Bukhari Sharif Volume 2 Page 773, Shara Muslim Volume 1 Page 49}


Sawal 3 : Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Kaunsi Rang Ki Thi ?


Answer : Sahaba Karam Nay Sab Say Pehlay Jis Mazar Par Chadar Chadaye Wo Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Mazar Pur Anwar Hai Jis Par Surkh(Red) Rang Ki Chadar Chadai Gaye {Muslim Saharf Volume 1, Kitab-Ul-Janaiz Hadees 2136}


Sawal 4 : Sab Say Pehlay Jis Sahabi Nay Eid Milad Un Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Manaya Unka Naam Kya Hai? Isi Sawal Ko Kaye Log Is Tarah Bhi Puchtay Hai Ki Kis Sahabi Nay Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Urs Manaya To In Dono Sawal Ka Jawab Ek Hi Hai Kyun Ki Milad 12 Rabi Ul Awwal Ko Manaya Jata Hai Jo Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Paidaish Aur Parday Ki Tariq Hai Is Din Hi Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain Khas Mehfil E Milad Rakhtay Madina Sharif Main.


Answer : Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Milad Sab Say Pehlay Khud ALLAH Subhanwatala Nay Manaya Wo Bhi Ambiya Ki Jamat May Alam-E-Arwah Main Jahan ALLAH Nay Tamam Ambiya Alaih Salam Say Gawahi Li Aur Apnay Mehboob Mohammed (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Par Iman Lanay Ki Baat Kahi { Ref : Quran Sharif Para 3, Surah Ale Imran Ayat 81 And 64, Surat Tauba Ayat 128.} Iskay Baad Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Khud Apna Milad Bayan Farmaya { Ref Mishkat Sharif Page 513, Muslim Sharif Volume 1 Page 138 & 282, Tirmadi Volume 2 Page 203} Aur Sahab Karam Main Koi Aisa Sahabi Nahi Hai Jis Nay Milad Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Na Manaya Ho, Sahaba Karam Ka To Khas Kaam Raha Hai Ki Aap Jaha Bhi Jatay Milad Padtay Apnay Nabi Ki Tarif Aur Tausif Bayan Kartay Yahi To Milad Hai Pura Quran Sharif Hai Kya Siwaye Milad E Mustafa(Sal Lal Laho Tala Alaihi Wasalm) Aur Deegar Ambiya Karamy Ki Tarif Hi To Hai Yahi Milad Hai. Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Main Say Khas Taur Par Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Milad Padhnay Walay Hazrat Amir Ansari (Radiallahanhu) Hai { Ref : Islak Moaazam Page 79} Aur Hazrat Jaffar Tayyar (Radiallahanhu) Hai Jin Hone Najashi Badsha Jo Ki Abyssinia (Ethiopia) Ka Raja Tha Aur Christan Tha Us Kay Darbar Main Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Milad Padhi Aur Bataya Ki Hamaray Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kya Hai Unka Martaba Kya Hai Aur Unkay Farman Kya Hai { Ref : Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Ibn Maja, Baab-E-Hadees "Al Hijrat"}.

Hazrat Abu Bakar Siddiq (Radiallahanhu) Nay Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Bohat Sa Khana Banwaya Aur Fatiha Padha Us Khanay Par Aur Puray Madina Sharif Main Taksim Kiya Jab Logo Nay Pucha Ki Aaj Kya Hai To Digar Janay Walo Logo Nay Farmaya Ki Aaj Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Urs Hai (Fathul Ma'ani)


Sawal 5 : Jo Sahaba Karam Ya Rasool ALLAH Al Madad Ya Ali Al Madad Ka Nara Lagatay Unkay Naam Bataye?


Answer : Ya Mohammed Ya Rasool Allah (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Nara Lagana Pukarana Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) Ki Sunnat Hai {Ref : Muslim Sharif Vol2 Bab-E-Hadis "Al Hijrat", Ibn Maja Volume1 Page 419, Tirmadhi Volume 2 Page 197, Bukhari Sharif Page 193,} Hazrat Qaab-Ibn-Hamza Sahabi (Radiallahanhu) Nay Yahi Nara Lagaya (Fatwa As Sham Page 298) Aur Mashoor Sahabi Hazrat Abdullah Ibn Umar (Radiallahanhu) Kay Jab Pair Sun Hogaya To Aap Nay Ya Mohammed Keh Kar Pukara {Shifa Sharif Vol2 Page 20, Bukhari Sharif Adab Al-Mufrad Page No 404 Hadith No. 964} Ya Ali Al Madad Kehna Bhi Jayaz Hai (Tirmidhi Sharif Abwabul Anaqib 3713) Huzoor Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Khud Farmaya Main Jiska Madadgar Hu Ali Uska Madad Gaar Hai.


Sawal 6 : Sahaba Karam (Radiallahanha Ajmain) 12 Rabiul Awaal Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay Thay?


Answer : Sahaba Karam Nay Amad-E- Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Par Mukhtalif Kism Kay Jhanday Lehra Kar Apni Kushi Ka Izhar Kiya Hai { Madarajatul Nabuwat Vol 2 Page 62} Balki Mashoor Sahabi Hazrat Barida Aslami Nay To Apnay Amama Sharif Ko Jhnada Banakar Apnay Nezay Par Lehraya Tha { Madrajajatul Nabuwat Vol2 Page 62}


Note : Aap Kay Mutalbay Par Quran Aur Hadees Sharif Ki Roshni Main Aap Kay Sawalat Kay Jawab Dekhar Humnay To Sahi Aqida Musalaman Honay Ka Sabut Pesh Kardiya Magar Inhi Batao Ko Shirk Aur Biddat Bata Kar Bhole Bhale Musalamano Ko Gumrah Karnay Wale Kya Sahi Aqida Musalamn Ho Saktay Hai? Kya Quran Aur Hadees Kay Farman Ko Shirk Aur Biddat Kehnay Wala Kya Musalman Ho Sakta Hai?

Kya Har Wo Cheez Jo Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamanay Main Na Thi Ya Isko Kisi Sahabi Nay Na Kiya Ho To Kya Wo Har Chiz Shirk Aur Biddat Hai Insaf Kijye.


1) Kya Kayda Baghdadi Jo Hum Bachpan Main Padtay Hai Say Lekar Bukhari Sharif Tak, Dars-E-Nizami Ki Tamam Kitabay Alawa Quran Sharif Kay Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamany May Thi Na Sahaba Karam Wa Tabaey Nay Isko Padha Aur Na Padhaya.


2) Baad Namaz Fajar Bila Naga Quran Sharif Ki Tilawat Karna Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Say Na Kisi Tabaen Say.


3) Baad Namaz E Isha 1000 Martaba Pabandi Say Darood Sharif Padhna Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Na Kisi Tabaen Say.


4) Masjido Ko Pokhta Banana, Minar Banana, Ghumbad Aur Mehrab Lagana, Masjido Main Shandar Kalin Bichana, AC Lagana, Paint Lagwana, Har Waqt Ki Namaz Ka Ghadi Kay Time Say Waqt Fix Karna, Madarso Kay Liye Zamin Wakaf Karna, Mustakil Madarsay Banwana, Madarso Main Talba Kay Rehnay Ya Khanay Ka Intezam Karwana, Madarso Main Chanda Dena, Alim, Fazil, Mufti Waghyra Ki Dastar Bandi Karwana, Madaris Ka Salana Jalsa Karwana, Deen-E-Kitabay Chapwana Aur Takseem Karna, Quran Majeed Par Zeer, Zabar, Pesh Lagana, Azan Wa Namaz Main Mike, Loud Speaker Waghyra Ka Istemal Karna Is Main Say Koi Bhi Cheez Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam), Wa Sahaba Ya Tabaen Kay Zamanay Main Na Thi Magar Aaj In Chezo Kay Bagair Hum Apni Mazhabi Umoor(Kaamo) Ko Ada Nahi Kar Saktay. Aaj Ye Sari Chezain Hamrai Mazhabi Shinaqt Hai Inkay Bagair Hum Apni Mazhabi Zindagi Sahi Tarikay Par Nahi Guzar Saktay. Insaf Say Bataye Kya Ye Sari Chezain Bhi Shirk Wa Bidat Hai Agar Nahi Aur Wakye Nahi To Isi Tarah Koi Nek Kaam Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamany Kay Baad Kiya Jaye To Wo Bhi Shirk Aur Bidat Nahi Hoga. Haan Is Baat Ka Khyal Zaroori Hai Ki Wo Shairyat Kay Khilaf Na Ho. Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Khud Apnay Baad Achay Kaam Karnay Waley Ko Pasand Kiya Hai Balki Aisa Kaam Karnay Walo Ko Dugna Ajar Wa Sawab Ki Kush Khabri Bhi Sunaye Hai. Hazrat Jarir Ibn Abdullah Bajli (Radiallahanhu) Say Riwayat Hai Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Irshad Farmay Ki Jo Shaksh Islam Main Acha Tariqa Ijad Kareyga Isay Iska Sawab Mileyga Aur Jitnay Log Iskay Bad Is Par Amal Karengy Wo Sab Kay Barabar Isay Sawab Mileyga.{ Hadees Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol 5 Page 547, Muslim Sharif Kitab Uz Zakat Page 327, Kitabul Ilm Page 341, Nisaye Sahrif Kitab Uz Zakat Page 356, Mishkat Sharif Page 33} Tawajo Farmaye Milad, Qayam,Fatiha,Isale Sawab, Darood-O-Salam, Waghaira Mamulat Ahle Sunnat Wal Jammat Agar Bazahir Daur-E-Sahaba Main Apko Nazar Nahi Atay To Kya Sirf Isi Buniyad Par In Chezo Ko Aur Inkay Alawa Dusray Neek Kamo Ko Jiska Zikr Pehlay Guzar Chuka Hai Bidaat Aur Shirk Kehna Durust Hoga? Hargiz Nahi Balki Ye Bohat Badi Jhalat Aur Nadani Hai Aur Shariyat Ki Halal Aur Mubah Chezo Ko Bagair Kisi Dallel-E-Mana Kay Haram Aur Shirk Biddat Batana Shariyat Islamia Say Khuli Hui Bagawat Hai Aur Deen-E-Mustafa Kay Khilaf Bohat Badi Jasarat Hai.


Note : Sawal Ye Hai Ki Agar Ye Batain Sahab Karam Say Sabit Nahi To Kya Kisi Sahabi Nay In Batao Ko Na Karnay Say Mana Kiya ? Aur Jab Kisi Sahabi Nay Mana Nahi Kiya To Aap Kaun Hotay Hai Mana Karnay Walay Aur Agar Apkay Pass Koi Ayat Ya Hadees Sharif Ho Jahan In Chezo Ki Manaye Ki Gaye Hai To Pesh Kijye Warna Musalaman Apki Be Buniyad Batao Ko Bina Dallel Kyu Manay. ALLAH Tala Ap Logo Ko Sahi Aqal Aur Samajh Ata Farmaey.


Kuch Logo Nay Thoday Aur Bhi Sawalt Kiya Hai Jaisay Kis Sahabi Nay Gyarwi Ki Niyaz Karwaye Aur Kis Sahabi Nay Azan Say Pehlay Salat Padhi?


In Kay Jawabo Kay Hawale Say Upar Samjha Diya Gaya Hai Kafi Detail Main Ki Har Cheez Sahaba Kay Daur Say Sabit Nahi Hai To Ab Aisay Sawalat Jinka Koi Maqsad Nahi Ho Sirf Logo Ki Gumrahi Ka Sabab Na Banay.


Ab Apko Apkya Mazhab Ka Sahi Aqida Dikhnay Kay Liye Apsay Chand Sawalat Matloob Hai?


Sawal 1 : Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Ilm Ko Shaitan Lain Kay Ilm Say Kam Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye


Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Pehswa Maulana Rashid Gangohi Nay Apni Qitab "Barahainay Katiya " Page 55 Nay Likha Hai Aisa Kis Sahabi Nay Kaha Ye Sabit Kijye Maazallah


Sawal 2 : Wo Kaunsay Sahabi Hai Jinhoone Nay Kaha Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Mazallah Mar Kay Mitti Main Milgaye?


Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail Dhelvi Apni Kitab "Taqviyatul Imam" Page 88 Main Likha Hai Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijye.


Sawal 3 : Auliya ALLAH Ambiya Ko ALLAH Rabul Izzat Ki Bargah Main Chamar Say Zyda Zali Batane Wali Ayat Ya Hadees Pesh Kijye Ya Kisi Sahbi Ka Qual Ho To Hawala Dijye?


Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail Dhelvi Apni Kitab "Taqviyatul Imam" Page 20 Main Likha Hai Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.


Sawal 4 : Namaz Main Nauzbillah Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Khayal Kho Janwaro Aur Pagalo Kay Khayal Say Badtar Batane Wale Sahbei Ka Naam Bataye?


Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail Dhelvi Apni Kitab " Siratay Mustakim" Page 167 Main Likha Hai Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.


Sawal 5: Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Qabar Paak Ki Ziyar Ko Kis Shabai Nay Galat Bataya?


Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Imam Ibn Taimiya Apni Kitab "Fatawa Ibn Taimiya" Main Likha Hai Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye.


Sawal 6 : ALLAH Kay Mehboob Say Mohabat Karnay Inki Arwah Ko Isale Sawab Karna Inkay Wasilay Say Dua Krna Khaday Hokar Salato Salam Padhna Awliya Ki Qabro Ki Ziyarat Karna Waha Quran Padhna Kis Ayat Say Ya Hadees Say Shirk Sabit Hota Hai Ya Kisi Sahabi Nay Mana Kiya Ho Ye Bataye?


Agar Apkay Pass Iska Jawab Quran Aur Hadees Sahrif Ki Roshni Ya Sahaba Karam Kay Qaul Kay Mutabik Hai To Pesh Kijye Aur Agar Nahi Hai To Qabl Iskay Ki Maut Apsay Tauba Ka Waqt Cheen Lay Apnay Batil Aqayad Say Tauba Kijye Aur seedhe sadhe Musalmano Ko Mushrik Banaay Say Baaz Aye


Ye sara jawabat Mufti Akhtar Raza Misbahi Nay Diya Hai jo ki mainay urdu say roman english main traslate kar kay type kiya hai agar koi rabta ya aur koi sawalat puchna chata ho bila jhijag puchay....jitnay ho sakay isay logo tak pahuchaye taki bohat say log gumrahi say bach sakay.


Mufti Akhtar Raza Misbahi

(Sadar Mufti Darool Uloom Makhdoomiya)

(Jogeshwari West)


POSTED BY SHAREEF AHMAD QADRI

FORWED,, GULAM NABI RAZA


1 comment:

  1. Bismillahir Rahmaan nir raheem

    Main sirf No.5 me aapki ilmi 'kotahi' ki nishaandehi karna chaahta hu ye husn-e-zann rakhte hue ke aap ne aisa jaan boojh kar nahi balki ghalti se likh diya hoga!

    Aap likhte hain:
    "Sawal 5: Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Qabar Paak Ki Ziyar Ko Kis Shabai Nay Galat Bataya?


    Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Imam Ibn Taimiya Apni Kitab "Fatawa Ibn Taimiya" Main Likha Hai Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai Mazallah Ye Sabit Kijiye."(aapki baat yahan khatmhoti hai)

    Main kehta hu ke Imam Ibne Taymiya rahmatullahi alaihi ne nabi akram rasoole muazzam ki qabr ki ziyarat ko KAHI BHI ghalat NAHI bataya hai! subhanAllah!

    unka da'wa ye hai ke KISI BHI qabr ki ziyarat (jisme aaqa e do jahan ki qabr e shareef bhi shaamil hai) ki niyat karke SAFAR karna jayaz nahi.
    Aur safar ya'ni us faasle ko tai karna jisko shariyat ne safar kaha hai aur jispe namaaz ke Qasr karne ka hukm hai!
    Ye bohot badi ilmi bedayanati hogi agar mukhalifeen ke mawqif ko ghalat tareeqe se pesh karke awaam ko bhadkaane ki ravish ikhtiyaar ki jaye! Aisa karna bila shubha Ahle Sunnat ka tareeqa nahi!

    Aqulu Qauli haza wa astaghfirullahi li wa lakum wa sairil muslimeen
    As salaamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatuhu

    ReplyDelete

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...