Tuesday, January 10, 2017

NAJASATON KA BAYAAN,,



"NAJASATON KA BAYAN"

Hamari Namaz Sahi Tab Hogi Jab Wazu Sahi Hoga, Wazu Sahi Tab Hoga Jab Hamara Gusl Sunnat Ke Mutabiq Hoga.

Hum Me Aksar Logo Ko Alhamdulillah Wazu Gusl Namaz Ka Mukammal Tariqa To Malum Hai Magar Jab Napak Chiz Badan Ya Kapde Par Lage To Kya Kapda Ya Badan Pura Napak Hoga Ya Sirf Utne Hi Hisse Ko Dhone Se Wo Pak Hoga?

Aur Wo Kaunsi Nijasat (Gandagi) Hai Jiske Lagne Se Badan Ya Kapde Ke Us Hisse Ka Pak Karna Zaroori Hai Ye Bhi Pata Hona Chahiye.

Dekhiye Jis Tarah Namazi Ke Badan Ka Pak Hona Zaroori Hai Usi Tarah Uske Kapde Aur Us Jagah Ka Pak Hona Bhi Zaroori Hai Jispe Namaz Padh Raha Hai.

Ise Tafseel Se Samajhte Hain,

Najasat 2 Type Ki Hai.

1=>Najasate GALEEZAH (Sakht Napak)
2=>Najasate Khafifah (Kam Napak)

Mas'ala:

Jise Najasate Galizah Kehte Hain Uska Hukm Ye Hai Ki Agar Wo Kapde Ya Badan Pe 1 Dirham Se Ziyadah Lage To Uska Paak Karna Zaroori Hai Bepak Kiye Uspe Namaz Hogi Hi Nahi.
Agar Qasdan Padhi To Gunehgar Hua Aur Ba-Niyyate Istekhfafa (Namaz Ko Halka Jaan kar) Padha To Kafir Hua.
Aur Agar Najasate Galiza 1 Dirham Ke Barabar Hai To Kapde Ya Bada Ko Pak Karna Wajib Hai.
Aise Surat Me Namaz Padhi To Dhorana Wajib Hai.
Agar Dirham Se Kam Lagi Hai To Aisi Surat Me Kapde Ya Badan Ka Pak Karna Sunnat Hai.
Agar BePak Kiye Namaz Padha To Ho Gai Magar Sunnat Ke Khilaf Aisi Namaz Ka Dohrana Behtar Hai.
{بھارشریعت، حصہ/۲/صفحہ/۳۸۹}

Mas'ala:

Najasat Agar Garhi (MOTI) Hai Jaise Gobar Pakhana Ya Leed To Dirham Ke Wazan Ka Aitebar Hoga.
Agar Patli Hai Jaise Aadmi Ka Peshab Sharab Mani Khoon Wagera To Dirham Ki Lambai Chaodai Ka Aitebar Hai.

Dihram Ko Aise Samjhen,

Aap Apni Hateli Pe Paani Rakhen Aur Use Khoob Phailayen Jitna Paani Ruk Jaye Hateli Pe Wo Dirham Hai.

Mas'ala:

Najasate Khafifa Ka Hukm Galiza Se Alag Hai.

Najasate Khafifa Agar Kapde Ya Badan Ke Jis Hisse Pe Lage Aur Chaothai Hisse Se Kam Lagi Hai To Muaaf Hai Be Dhoye Namaz Ho Jaygi Agar Chaothai Ke Barabar Hai To Bina Dhule Namaz Nahi Hogi.
.
Example,

Agar Najasate Khafifah Pair Me Lage Haath Pe Lage Ya Aasteen Ya Kurte Ya Pajame Pe Lagi To Dekho Us Hisse Ke Chaothai Ke Barabar Hai Ya Kam ?
Phir Jaisa Ho Masle Ke Mutabiq Amal Kare.

Mas'ala:

Insan Ke Badan Se Koi Aisi Chiz Nikle Jisse Wazu Ya Gusl Wajib Hota Ho To Use Najasate GALEEZAH Kehte Hain.

Pakhana.
Peshab.
Behta Khoon.
Peep.
Muh Bhar Qay (Ulti)
Haiz O Nifas Aur Khune Istehaza.
Mani.
Mazi.
Wadi.
Ye Sab Najasate Galizah Hai.
{الفتاوٰی الھندیة، كتاب الطهارة، الباب السابع في نجاسةوأحكامها، الفصل الثاني، جلد-۱، صفحہ-۴۶}

Mas'ala:

Dukhti Ankh Se Jo Paani Nikle Wo Najasate Galizah Hai, Yun Hi Naaf Ya Pistan (Chhati) Se Dard Ke Saath Jo Pani Nikle Wo Najasate Galizah Hai.
{بھارشریعت، حصہ-۲-صفحہ-۳۹۰}

Mas'ala:

Doodh Peete Bachche Ka Peshab Bhi Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-390}

Mas'ala:

Doodh Peete Bachche Ne Agar Muh Bhar Ke Doodh Paltaya (Ulti Ki) To Wo Bhi Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-390}

Mas'ala:

Khushki (Zameen) Ke Har Janwar Ka Behta Khoon Aur Murdar Ka Gosht Aur Charbi (Yani Wo Janwar Jisme Behta Hua Khoon Hota Ho Agar Wo Bagair Zabah Kiye Mar Gaya To Murdar Hai Ya Phir Kisi Majoosi (Aag Ki Puja Karne Wala) Ya But Parast (Hindu) Ya Murtad (Jo Islam Se Phir Gaya Jaise Wahabi/Deobandi Ne Halal Janwar Masalan Bakra, Bakri, Gaye, Bail, Zabah Kiya Ho To Uska Gosht Post Sab Napak Ho Gaya Aur Haram Janwar Ko Shari Tariqe Se Zabah Kiya To Uska Gosht Pak Ho Gaya Magar Khana Haram Hai, Siway Suwwar Ke, Ke Wo Pura Ke Pura Napak Hai Kisi Tarah Pak Nahi Ho Sakta) Haram Chopaye Jaise Kutta, Sher, Lomri Billi, Chuha, Gadha, Khachchar, Hathi, Suwar Ka Pakhana Peshab Aur Ghode Ki Leed Aur Har Halal Chopaye Ka Pakhana Jaise Gaye Bhains Ka Gobar Bakri Aur Oont Ki Mengni Aur Jo Parind Ke Uncha Na Ude Uski Beet Jaise Murgi Aur Batakh Choti Ho Ya Badi Aur Har Type Ki Sharab Aur Nasha Lane Wale Taadi Aur Sendhi Aur Saanp Ka Pakhana Peshab Aur Jangli Sanp Aur Mendak Ka Gosht Jinme Behta Khoon Ho Agarche Zabah Kiye Gaye Hon Yun Hi Unki Khaal AgarChe Pakai Gai Ho Yun Hi Suwar Ka Gosht Khaal Haddi Aur Baal AgarChe Zabah Kiya Gaya Ho Ye Sab Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat Hissa -2, Page-391}

Mas'ala:

Chipkali Ya Girgit Ka Khoon Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat}

Mas'ala:

Hathi Ke Sond Ki Ratubat Aur Sher Kutte Chite Aur Dusre Darindon Chopayon (4 Pair Wale) Ka Luaab (Thook) Najasate Galizah Hai.
{Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-391}

Mas'ala:

Jin Janwaron Ka Gosht Halal Hai (Jaise Gaye, Bail, Bhains, Bakri, Oont Wagera) Unka Peshab Neez Ghode Ka Peshab Aur Jis Parinde Ka Gosht Haram Hai Khawah Wo Shikari Ho Ya Na Ho (Kauwwa, Cheel, Shikra, Baaz, Behri) Uski Beet Najasate Khafifah Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-391}

Mas'ala:

Chimgadar Ki Beet Aur Peshab Dono Pak Hai.
{Fatawa Alamgiri, Jild-1, Page-46}

Mas'ala:

Jo Parinde Uncha Udte Ho Jaise Kabootar, Maina, Murgabi Unki Beet Pak Hai.
{البحرالرائق، کتاب الطھارة، باب الأ جناس، جلد-۱، صفحہ-۶۲۰}

Mas'ala:

Najasate Galizah Agar Khafifah Me Mil Jaye To Sab Ka Sab Galizah Ho Jayega.
{الدرالمختار" و "ردالمحتار" کتاب الطھارة، باب الأجناس، جلد-۱، صفہ-۵۷۷}

Mas'ala:

NAMAZ Padhte Me Jeb Me Koi Sheeshi Thi Jisme Peshab Ya Khoon Ya Sharab Hai To Namaz Nahi Hui.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-392}

Mas'ala:

Peshab Ki Bareek Chhiten Sooi Ki Nook Ke Barabar Agar Badan Ya Kapde Pe Lag Jaye To Badan Aur Kapda Dono Pak Hai, Aur Aisa Kapda Paani Me Mil Jay To Paani Bhi Pak Rahega.
{الفتاوٰی الھندیة، كتاب الطهارة، الباب السابع في نجاسةوأحكامها، الفصل الثاني، جلد-۱، صفحہ-۴۶}

Mas'ala:

Kisi Kapde Ya Badan Par Chand Jagah Najasate Galizah Lagi Hai Aur Kisi Jagah Dirham Ke Barabar Nahi, Magar Kul Mila Jaye To Dirham Ke Barabar Hoti Hai To Dirham Hi Samjha Jayga Aur Agar Ziyadah Hai To Ziyadah Hi Samajha Jayga, Najasate Khafifa Me Bhi Kul Milakar Hi Hukm Diya Jayga.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-393}

Mas'ala:

Raste Ki Keechad Pak Hai Jab Tak Uska Najis Hona Malum Na Ho, Agar Paon Ya Kapde Me Lagi Aur Be-Dhoye Namaz Padh Lee To Ho Gai Magar Dho Lena Behtar Hai. Yun Hi Sadak Pe Paani Chidka Ja Raha Uski Chiten Ud Kar Lagi To Kapda Ya Badan Napak Na Hoga Magar Dho Lena Behtar Hai.
{الدرالمختار" و "ردالمحتار" کتاب الطھارة، مطلب في العفو عن طين الشارع، جلد-۱، صفحہ-۵۸۳}

Mas'ala:

Aadmi Ki Khal Agar Thode Paani Me (Agar Bade Paani Me Gire Jaise Dah Dardah Haoz Ya Talab Nadi Etc Me To Napak Na Hoga) Gir Jaye To Wo Napak Ho Gaya Agar Che Khal Nakhun Ke Barabar Thi.
{منیةالمصلی" بیان النجاسة، صفحہ-۱۰۸}

Mas'ala:

Kutta Badan Ya Kapde Se Lag Jaye Agar Che Uska Badan Bheega Tha Kapda Aur Badan Pak Rahega, Haan Agar Uske Badan Pe Najasat Lagi Thi Ya Uska Thook Laga To Napak Ho Gaya.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-395}

📕"HAQ KI BANDAGI"

CHAPTER=2

📝 MUSANNIF:

✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

((Khalifah Huzoor Amine Shariat))

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

1 comment:

  1. Don't mislead!
    Apki kai bateyn ghalat he
    Logo ko gunrah na karey

    ReplyDelete

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...