Thursday, January 5, 2017

KOUN SE SAHABI RADIYALLAHO TAALA ANHO SE KITNI HADEESE RIWAYAT KI GAYI HAI

KAUNSE SAHABI SE KITNI HADEESE RIWAYAT KI GAYI HAIN?

Huzoor sallallaho alaihe wasallam ke wisal ke baad daur-e-Sahaba me Taabaeen ne Sahaba ki marwiyaat ko likhkar Mehfuz karna shuru kiya.


➡(1)= Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu taala anhu se 5374 Ahadees marwi hain,
                       Unhone beshumar Shagird paida kiye
                  Aur un logo ne un Ahadees ko likhkar Mehfuz kiya
               Aur ye silsila-e-riwayat aage badhaya,    
                 chunanche Musnad Darmi me hai ki
                aapke shagirdo me se Basheer Bin Nheek ne apki riwayat ko likhkar mehfuz kar liya tha.

📚((Musnad Daarmi))




➡(2)= Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu taala anhu se 2660 Ahadees marwi hain,
                  Unki riwayat ko dusre shagirdo ke alawa kareb ne mehfuz kar liya tha.

📚((Tabqaat Ibne Sa'dij, Jild=5, Safa=216))
By: Mohammed Bin Sa'ad Kaatib Waaqdi.




➡(3)= Hazrat Anas Radiyallahu taala anhu se 2286 Ahadees marwi hain.
                     Unki Marwiyat ko Ubaan ne mehfuz kar liya tha.

📚((Musnad Daarmi))




➡(4)= Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiyallahu taala anha se 2210 Ahadees marwi hain.
                      Unki Ahadees ko Arwah Bin Zubair Radiyallahu taala anhu ne likhkar mehfuz kar liya tha.

📚((Al-Kifaya, Safa=229))




➡(5)= Hazrat Abdullah Ibne Umar Radiyallahu taala anhu se 1630 Ahadees riwayat hain,
                        Unki riwayato ko Naafe ne likhkar mehfuz kar liya tha.

📚((Musnad Daarmi, Tabqaat Ibne Sa'ad)




➡(6)= Hazrat Jabir Radiyallahu taala anhu se 1540 Ahadees marwi hain.
                       Unki Marwiyaat ko Qatadah Bin Doaamah Sarosi ne likhkar mehfuz kar liya tha.

📚((Tabqaat Ibne Saad, Jild=7, Safa=72))
By: Mohammed Bin Saad Kaatib Waaqdi.




 .  .  .  .  .  .  .  .  .  .  .  . Mazkooratus Sadarus Sutoor me chand Misalein pesh ki hain
Warna Sahaba-e-Kiram se Ahadees ka sama' aur riwayat karne wale tamam Hazraat
Ahadees ko zabt tehreer me leaaye the.

                    Pehli sadi Hijri ke akhir tak isi tarah mutafarriq taur par kitabat ke sahare tadween Hadees ka kaam aage badhta raha,
                      Ahadees ke ye Sahaif aur Noshte kisi nuqta par Mushtarik aur kisi jehet se majma na the,
                        Bagair kisi tarteeb ke taabaeen kiram ne apni apni mawiyat ko apne seeno aur saheefo me mehfuz kar rakha tha,
                     Yahan tak ki Hazraf Umar Bin Abdul Azeez ka zamana-e-khilafat aaya
              Aur unhone Ahadees ko yakja karne ka irada kiya.
Chunanche is Kaam ke liye unhone mo'tamad aur mustanad Ulama ki ek kameti muqarrar ki,
                 Jinme Abu Bakr Bin Mohammed Bin Umar Bin Hazam, Qasim Bin Mohammed Bin Abi Bakr aur Abu Bakr Mohammed BinMuslim Bin Ubaidullah Bin Abdullah Bin Shahab Zehri ke asmaa-e-Khas taur par qabil-e-zikr hain.

                        Umar Bin Abdul Aziz ne mukhtalif ilaqo se Ahadees ka likha hua zakheerah jama kiya
               Aur Ibne Shahab Zehri ne un Ahadees ko tarteeb diya,
         Tehzeeb se munazzam aur manzabt kiya.

📚((Tadreebul Rawi, Safa-73))
By: Hafiz Jalaluddin Suyuti, Matoofi 911 Hijri.

                   Ahadees ko jama aur munazzam karne ke sath-sath
                  Hadees ko sanad ke sath bayan karne ki ibteda bhi Ibne Shahab Zehri ne ki hai.

📚((Tuqaddamatul Ma'rfatul Kitabul Jarah wa Ta'deel, Safa=20))

                 Isi waja se inko Ilm-e-Isnaad ka Waazeh kaha jata hai.
                       Ahadees ki tarteeb aur tehzeeb ka jo kaam Ibne Shahab Zehri ne shuru kiya tha.
                   Is kaam ko unke maapeh naaz tilamezah barabar aage badhate rahe,
                          yahan tak ki Dusri sadi ke akhir me unke ek Naamoor Shagird
                       Imam Malik Bin Anas Sub'hi ne Ahadees ko Baab Waar tarteeb dekar pehla majmua Hadees Moatta ke naam se pesh kiya

TALIBE DUA= IRFAN BARQATI SAHEB

FORWED BY GULAM NABI RAZA
 GROUP=FAIZANE AMEENE SHARIYAT

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...