Thursday, January 12, 2017

QURAN AUR AAJ KA MUSALMAAN SAWAL KA JAWAB,,,


Quran Aur Aaj Ka Musalmaan Sawal Ka Jawab

Tauheed Aur Shirk Ka Bayan  
Introduction : Pichle Kuch wakt se ek Message Awaam me failaya jaa raha hai jo Ummat e Muslima me logo k pareshani ka sabab ban rha hai Ummat e Muslima ki Sawad e Aazam sabse badi jamaat jiske baare me hadees e paak hai k Musalmano k bade group k saath raho k ispe ALLAH KA DASTEQUDRAT hai. 
Allah k Waliyo ko baaj alkabat se unko yaad karte hai akeedat rakhte hai jo kuch logo ko hazam naa huwa to ab msg banaya khawarijeen ne aur mujhe bhi kuch logo ne bheja aur kaha bhaijan iska tehreeri jawab dijiye is msg ko padhne k baad yakin hota hai k jin jahil wahabi mullah aur unke chote chote kide makode jo fakat din raat ummat e muslima ko Mushrik declare karne ki mehnat karte hai shirk ki machinery itni tez kar rakhi hai k baat baat pe Musalman ko Mushrik bolte hai aur Quran ki koi bhi aayat pesh karke bila wajah Musalmano ko us aayat pe base banake Mushrik banado msg likhne waale nire jaahil ahkam e Quran se bhi khali hai mablage ilm itna kam ya bilkul zero magar dawa hai hum Ahle Hadees hai ye mooh aur masoor ki baat hai wo message kya tha jo aaya ek msg ek video ki shakl me yaha likh raha hoon jiski heading wahabiyo ne di hai wo ye hai.
 Wahabi Objection Unki Dalil, Msg Spread By Wahabis
“QURAN AUR AAJ KA MUSALMAN”
(1) MUSKIL-KUSHA (Tamaam Mushkilen halkarne wala)
“Agar Tumhe Allah kisi mushkil me daal de to iske siwa isko koi door karne wala nahi aur agar wo tumhe kisi khaer(bhalai) se nawazna chahe to wo har chiz par qadir hai” 
(Surah Anam Ayat : 17 )
(2) GAUS-E-AAZAM DASTAGEER (SabseBada Faryaad Sunne Wala )
“Kaun hai jo beqarar ki dua sunta hai jab ke wo usse pukare aur kaun uski taklif ko doorkarta hai, aur kaun hai jo tumhe zameen ka khalifa banata hai ! Kya Allah ke sath aur koi Mabood hai ?”
(Surah Namal, Ayat : 62)
(3) DAATA (Sab Kuch DeneWala) Besak Allah bada denewala hai. 
“Jise chhata hai betiyan deta hai, jise chhata hai bete deta hai, jise chhata hai bete aur betiyan mila jhula kar deta hai, aur jise chhata hai banjh rakh deta hai, wo to janne wala Qudrat wala hai” 
(Surah Ash Shura,49,50) 
4) Garib Nawaz  (Garibo Ko Nawazne waala)
“Aye Logo Tum Sab Allah K Dar K Fakir Ho Allah To Gani Wa Hamid Hai”
(Surah Fateer Ayat : 15) 
Isko bhejne k baad wahabi ka Ispe tabseera 
Dekhiye Quran ka Eilan Kya hai aur aaj ka Kalma Padhne waala Musalman Kya kar raha hai kya Akeeda Rakh Raha hai ye Tamam Sifaat Allah ki Hai aur Aaj k kalma go mushriko ne bando ko de rakhi hai ye Shirk hai. ALLAH KI SIFAAT ME AAPNE BANDO KO SHARIK TO NAHI KAR LIYA ALLAH KI SIFAT BANDO ME TO NAHI MAAN LI ?  Kaheen aap to isme mullawis nahi ?? Allah o Akbar 
In Aayato ka sahara leke wahabi batana chahte hai k unhone puri dunya k Musalmano ko Quran ki aayato se kaafir Saabit kar diya hai ab saare Sahi akeeda sab mushrik hai aur wahabi mutthi bhar jamaat tauheedi hai.

Message ka Conclusion jo hai wo ye hai aur iska jawab hume dena hai : 
1) Mayaar e Uloohiyat jo banaya gaya wo MADADGAAR Hona yaani Aapne ALLAH k bando ko madadgaar maan liye SHIRK hogya.

2) ALLAH ki Sifaaat Bando me maan li gayi Lihaja SHIRK FI SIFAAT Hogya hai. 
Al Jawab :  ye aitraaz jitna chota hai dikhne me bas 04 line par hai jawab uthna hi bada hai upar bayan karta wahabiyo k dalil ko dekhe to 02 chiz pata chalti hai jo ye k In logo ne Mayar e Uloohiyat Madadgaar Hone ko banaya hai Dusra Sifaat k naam pe logo ko gumraah kiya halanki inka ye dono nazariya Quran Aur Islam Ka nazariya nahi hai ye inki SELF CREATED TAUHEED hai jo inka So called Wahabi Aaka Muhammad bin Abdul Wahab Nazdi ne likha aur uske baad puri jurrriat apne abba jaan k nakshe kadam pe hai uski hi bayan karda tauheed ko mission ko leke aage bad rhi hai aur ye koi nayi baat nhi hai inke abbao se inhone ye sikha hai wo hadees mai aage aakhri me likhunga kaha se ye inhone sikha hai k QURAN padhke bhi logo ko kaise gumraah kiya jaaye. 
Chunki ye topic bhi TAWHEED AUR SHIRK se talluk rakhta hai isliye sabse ahem baat ye hai k hum jaane k Tawheed aur Shirk hai kya warna ye baat samajh nhi aaygi lihaja maine is topic pe taaki aasani se samajh aaye 04 part me bandha hai aur ek aakhir part ek hadees e paak hai jo inke pure sazra e nasab ka bhandafod degi wo aakhri hisse me aaygi. 
1) Allah ki Jaat aur sifaat k baare me Akeeda: 
2) ALLAH ki ata karda Sifat uske bando me maan na QURANI hukm hai. 
3) Madadgaar hona Quran se.
4) Wo hadees e paak aakhir me kis tarah Sahaba e Kiram k saamne bhi QURAN padhte the. 
5) Wahabiyo Ka Kabool Naama Us Cheez ko Bhi Humne Shirk Likha Hai jo Shirk Nahi Thi.
Part 01 -  ALLAH KI JAAT AUR USKI SIFAAT K BAARE ME AKEEDA : 
1) Allah Taa’la Ek Hai Uska koi Sharik Nahi naa Jaat me Na Sifaat Me. 
2) Allah Taa’la Wajibul wajood Hai yaani jiska Har haal me Mauzood Rehna Jaruri Hai, koi Jamana Aisa nahi hai jo uski Jaat Mauzood Na Ho.
3)Allah Taa’la ‘kadim Aur Azli ’ hai  yaani wo Hamesha se Hai aur ‘Abdi’ bhi hai hamesha Rahega usse kabhi maut naa aaygi.  
4)Allah Taa’la Kisi Ka Mohtaaz Nahi Saari Kaynaat ALLAH Taa’la Ki Mohtaaz Hai.
5) Allah Taa’la Ka Naa koi Beta hai Na wo kisi baap na koi uski biwi wo in tamam chizo se paak hai jo ye akeeda rakhe wo kaafir hai aur jo isko Mumkin bhi maane wo Gumraah Badeen hai.
6) Allah Taala makan, jahet, shakl o surat, etc makhlook ki tamam sifat aur kaifiyat se paak hai.
7) Jo Aalam Me se Kisi Cheez Ko Khud Se Mauzood Maane yaa uske  haadis hone me shak kare woh kaafir hai.
8)ALLAH TAALA K liye MUMKIN AUR MAAHAL KA AKEEDA.
a)MUMKIN Hone Ka Bayan : Allah Taala har mumkeen par kadir hai koi Mumkin Uski Kudrat se Bahar Nahi hai. 
Allah Taala K liye MUMKIN maan Na ye bhi jaruri hai uska bhi kuch
Example : Allah Taala Mumkin par qadir hai uska bhi thoda khulasa.

ALLAH Chahe to Jamin o Aasman ko SONA Chandi ka bana de ye mumkin hai ab banana ya naa banana ye ALLAH ki shan hai. 
ALLAH k liye Mumkin hai wo chahe to jamin se barish nikal de wo chahe insaan ko bin baap k maa k apni qudrat se paida kare wo chache to Insaan ko patthar se paida karde ye sab Mumkin hai.  
b)MAHAAL HONE KA BAYAN :  
Allaha Taala K Liye baaj Chizo Ka Maahal (Impossible) Maan Na ye bhi Jaruri hai aur aqaid me hai. 
Example : Allah Taala Dusra Khuda Nahi Bana Sakta, Allah Ka Fana Hona Maahal Hai, Uska Jhoot Bolna Mahaal Hai Chunki Agr Dusra Khuda Maana Jayga to uske Ek Hone ka inkaar hoga, Usko Fana Maana Jayga to Uske Mauzood Hone Ka Inkaar hoga, Usko Jhoota maana Jayga to ALLAH ki Shan nahi k wo jhoot kahe. Is trah uska Beta beti Biwi maan na ye sab mahaal hai. ALLAH k liye Mahaal hai k wo Insaani Shakl me aaye ya Autaar le. 
Ye Chand Baatein Maine ALLAH ki jaat k muttalik maine aasan lafzo me maine bayan kardi taaki padhne waalo ko example se aasani se samajh aajaye Jaat k muttalik aur bhi bahot se aqaid hai har ek yaha likhunga to puri book ban jaygi isliye jo ahem points the wo bayan kar diye.
Ab aate HAI ALLAH TAALA KI SIFAAT K MUTALLIK AKEEDE K BAARE ME aur ye bahot ahem unwaan hai chunki ye topic bhi Sifaat se related hi hai aur ye samajh liya to kabhi dushwari naa hogi. 
1) JIs Trah ALLAH ki Jaat ka Koi Sharik Nahi Hai Us Trah Uski Sifaat ka bhi koi Sharik Nahi hai.
2) ALLAH Taala Ki Sifaat bhi Hamesha Se Hai aur Hamesha Rahegi. 
Example : Allah Ka Rehman O Rahim hona ye ALLAH Taala Ki Sifaat hai ye sifaat us wakt bhi mauzood thi jab kuch naa tha siwaye Jaat E baari Taala k Aur Us wakt bhi hogi jab Kuch naa hoga. 
3)Jo Allah Taala Ki Sifaat Ko Makhlook Kahe Yaa Haadis Bataye Woh Gumraah Aur Bad’deen Hai. 
4)Allah Taala ki Sifaat Na Ain Hai Naa Gair e Ain yaani ALLAH Taala Ki Sifaat Uski Jaat Nahi Aur Naahi Wo Sifaat Uski Jaat Se Alag Hai Chunki Wo Sifaat Aisi Hai Jo ALLAH Taala Ki Jaat k liye Jaruri hai. 
5)Allah Taala Ki Sifaat Kayi Hai aur Alag hai Har Sifaat Ka Matlab Bhi Alag Alag Hai. 
Ye Mukhtasar sa tarruf ALLAH Ki Jaat Aur Sifaat k mutallik bayan kiya gaya jo in kitabo se extract kiya hai. 
(Shara e Aqaid E Nasfi) 
(Shara E Al Fiqh E Akbar) 
(Bahar e Shariat Vol : 01, Baab : Aqaid Ka bayan, Pg :6)
 Ab Yaha Ek Subahat Wahabi Awaam ko Gumraah karne k liye Pesh karte Hai wo ye hai. 
Objection Raised By Wahabis or Subahat : Tum Ahle Sunnat Khud Bayan karte ho ALLAH Taala ki sifaat me bhi koi sharik nahi hai aur khud hi Ambiya Alaihi Salam aur jinhe tum Aulia kehte ho unme Sifaat maante ho lihaja SHIRK FI SIFAAT to paaya gaya. 
Al Jawab : Important Point To Note Yaha Dhyan se padhe 
1) Allah Taala Ki Tamam Sifaat Wo Allah Taala Ki Khud Ki Hai uski Jaati hai usne wo Sifaat kahi se li nahi hai aur naahi kisi ne ALLAH TAALA ko wo sifaat ata ki hai.
2) Magar Allah Taala Ne Apni Sifaat Apne Bando ko Bhi Ata ki Hai Jo Khud Qurani Faisla Hai jo aage hum Qurani Aayat se saabit karnge k ALLAH ki shaan jo ALLAH ki hai wo bando ko bhi ata ki hai lihaja ye kisi bhi aitbaar se shirk nahi. 
3) Shirk to tab aayga Jab ye Akeeda rakhe K BANDO ki bhi jaati hai Aur ALLAH ki bhi Jaati hai Yaa ye Aqeeda Rakhe K ALLAH ki bhi Sifaat Atayi Hai Aur Bando ki Bhi Ataayi Hai. 
4) Hum Ahle Sunnat Ka Aqeeda Ka Wo ye Hai K ALLAH Ki SIFAAT BHI USKI JAATI HAI AUR ALLAH TAALA Apni Baaj Sifaat apne Bando ko bhi Ata karta hai. 
WAHABI KA KAYAM KARDA ME’AAR E ULOOHIYAT : 
Inke bayan karda bayanat se kitabo se me’aar e uloohiyat kya pata chala Madadgaar hona, Hajatrawa hona, Allah ki sifaat bando me maan na magar ye inki soch hai Islami Kanoon nahi jo aage hum Ayat e Qurani se raddh kar denge In Sha ALLAH Taala. 


SAHI ME’AAR E ULOOHIYAT Kya hai ? 
Jo Sirf Aur Sirf ALLAH Tabarakwatala K Liye Khaas hai ye wo cheez hai
Jo ALLAH Taala k Siwa kisi me bhi maana jayga to shirk Hoga banda Mushrik hoga.
1) MUSHTAHIK E IBADAT HONA : Ye Sirf Aur Sirf ALLAH k liye hai Bandgi Me ALLAH ka koi sharik nah ibadat sirf aur sirf ALLAH Taala K Liye Hai.
2) WAJIBOOL WAJOOD HONA : Hamesha se hai aur hamesha Rahega baaki saari kaynaat me har makhlook hamesha se nahi hai aur ek wakt aayga Jab ALLAH Taala Sabko Fana Kar dega yaha tk k Maut k Farishte ko bhi Baaki rehne waali jaat ALLAH ki hai. 
Pata Chala Ma’aar e Uloohiyat 02 Chiz Wajibul Wajood Hona Aur Mustahik Ibadat Hona.
i) Kisi Ne ALLAH K Ilawa kisi ko Wajibool wajood maana MUSHRIK Hojaya
ii) Kisi Ne ALLAH K elawa kisi ko Ibadat k layak maana MUSHRIK
hojayga. 
iii) Kisi Ne Dono Maana Tab Bhi Mushrik Hoga ya dono me se ek maane aur ek naa maane tab bhi mushrik hoga.  
Note : Jo Uluoohiyat Hai Wo ALLAH k Siwa Kisi ko nhi di jaygi chahe Ek Minute k liye bhi bhi ALLAH k elawa kisi ko nahi naa mazazi naa atayi chunki jo shirk hai wo hamesha Shirk hoga aisa nhi hai k ek wakt to shirk ho phir Tauheed hojaye. Jo Tauheed hai wo hamesha Tauheed Hai aur Jo Shirk hai wo hamesha Shirk hai.  
Ye Tamam Bunyaadi Istelahi baatein ALLAH Ki Jaat Sifat aur Tauheed k Muttalik thi ab aaye Hum dalail k taraf.

Hizbullah Aur Hizushaitaan Ka Fark 
Jamaat Do Hai Ek Hai ALLAH waalo ki Jamaat Jo Kamyaab Hai Jannat me Jaygi Jisko Hizbullah Kaha J aata Hai Jiska Zikr Quran me Hai
I) Hizbullah Kon Hai Yaani ALLAH ki Jamaat ?  
Ayat 01 : أُولٰئِكَ حِزبُ اللَّهِ ۚ أَلا إِنَّ حِزبَ اللَّهِ هُمُ المُفلِحونَ
“Ye Allah Ki Jamaat Hai Sunta Hai Allah Hi Ki Jamaat Kamyaam Hai”
(Surah No 58 Surah Mujadilah Ayat 22) 
Ayat 02 : إِيّاكَ نَعبُدُ وَإِيّاكَ نَستَعينُ 
“Humko Sidha Raasta Chala - 5” 
Ayat 03 : اهدِنَا الصِّراطَ المُستَقيمَ 
“Raasta Unka Jinpe Tune Ehsaan Kiya - 6” 
(Surah Fatiha Ayat 5 & 6) 
Ayat 04 :
أَنعَمَ اللَّهُ عَلَيهِم مِنَ النَّبِيّينَ وَالصِّدّيقينَ وَالشُّهَداءِ وَالصّالِحينَ ۚ وَحَسُنَ أُولٰئِكَ رَفيقًا
“Jinpar ALLAH ne Fazl Kiya Yaani Nabi Aur Siddikeen Aur Shaheed Aur Nek Log Ye Kya Hi Acche Saathi Hain”
(Surah Nisa Ayat 69) 
II) Hizbushaitan Kon Hai Ye Shaitan Ka Group Hai
Ayat 05 : إِنَّ الشَّيطانَ لَكُم عَدُوٌّ فَاتَّخِذوهُ عَدُوًّا ۚ إِنَّما يَدعو حِزبَهُ لِيَكونوا مِن أَصحابِ السَّعيرِ
“Beshak Shaitan Tumhara Dushman Hai To Tum Bhi Usse Apna Dushman Samjho Woto Apne Giroh Ko Isliye Bulata Hai Ki Dozakhiyo Me Ho ” 
(Surah No 35 Surah Faatir, Ayat : 06)

In dono Jamaat ka Bayan karne ka maksaad ye hai k fark wajeh hojaye ek wo Jamaat hai jisko ALLAH ne apni Jamaat kaha hai wo kinki Hai Ambiya Aulia Siddikeen Shohda Nek Momin ko Aur Dusri wo jamaat hai jo Shaitani Group hai jo uske kehne pe chal pade buth parasti ki logo ko imaan laane se roka Khudayi dawa kar bethe jaise Firaoun, Namrood, Shaddat wagerah aur wo buth jinko Pujne k liye Shaitan ne kuffaro ko behkaya aur apni jamaat bana daali. 
Aaj koshish ye ki jaa rhi hai wo HIZBUSHAITAN Shaitani group k saath ALLAH waalo ko mila rhe hai aur khich k Hizbullah ko wo jinhe ALLAH ne apni Jamat kaha hai unhe Shaitani Party me shamil karne par tule hai halanki wo kar nahi sakte par koshish jarur karte hai. 
Yaha Par Humne Dono Jamaat ka mukhtasar sa khulasa kiya hai taaki pata chala ALLAH waalo ki baat alag hai aur Shaitani Grp ki alag ALLAH Taala Apni Sifaat Hizbullah ko to ata kar deta hai par Hizbushaitan ko nahi.

Part 02 - Allah Taa’la Ne Apne Bando Ko Bhi Sifaat Ata Ki Hai Qurani Faisla Quran Ki Bayan Karda Tawheed : 
Chunki Wahabiyo ki SO CALLED TAUHEED hai dawa h k ALLAH ki Sifaat Uske Bando me maan li to MUSHRIK hogye lihaja ab hum Quran se hi dekhte hai k QURAN kya kehta hai.
1) Maalik Kon ? 
Ayat 06 :  هُوَ اللَّهُ الَّذي لا إِلٰهَ إِلّا هُوَ المَلِكُ القُدّوسُ 
“Wohi Hai Allah Jiske Siwa Koi Maabod Nahi, Maalik (Badsha) Nihayat Paak ” (Surah 59 Surah Hashr, Ayat 23) 
Maalik ye Sifaat Allah Taala Ki Hai banda Pukarta hai Aye Malik ALLAH Taala k liye thek hai. 
Gair Mukallid k mullah aksar khte hai jaise k tauseef ur rehman ne to kaha bhi hai k MALIK TO ALLAH HAI SUNNI Nabi Alaihi Salam ko bhi Malik kehte ye kahne se Mushrik Hojayga Nikaah Toot Jaayga. 

Ab aaye dusri aayat dekhe 
Ayat 07 : 
وَنادَوا يا مالِكُ لِيَقضِ عَلَينا رَبُّكَ
“Aur Wo Pukarenge,  Aye Maalik Tumhara Parwardigar Hume Maut Hee Dede, Woh Farmayga Tumhe To Taherna Hai”
(Surah 43, Surah Al Zukhruf, Ayat 77)
Pahli aayat me farmaya MALIK, ALLAH Taala k liye hai 
Phir ussi Quran me dusre makam me farmaya aaayat Surah Zukhruf Ayat 77 Malik kisko Daroga e Jahannam ko k unhe kaafir kahnge Malik Hume Maut de de Malik Farmayga tumhe hamesha Jahannam me rehna hai. 
Kya Huwa Shirk hogaya ? ALLAH bhi Maalik Daroga e Jahannam Bhi Malik ? Tum Nabi AlaihiSalam ko Maalik nahi bologe Shirk hai kyu ?
Kya Taabir Nikalenge iski ? 
Taabir wohi niklegi jo Ahle Sunnat ka akeeda hai ALLAH MAALIK Hai wo apni sifaat se Maalik hai bande ka Malik hona ALLAH Taala Ki Ata se hai.

2) Rauf O Rahim Hona 
Ayat 08 :  
إِنَّ اللَّهَ بِالنّاسِ لَرَءوفٌ رَحيمٌ
“Beshak Allah Logon Par Bahot Rauf o Rahim Hai”
(Al Quran, Surah 2 Baqarah Ayat : 143)
Ayat 09 : 
لَقَد جاءَكُم رَسولٌ مِن أَنفُسِكُم عَزيزٌ عَلَيهِ ما عَنِتُّم حَريصٌ عَلَيكُم بِالمُؤمِنينَ رَءوفٌ رَحيمٌ
“Beshak Tumhare Pass Tashrif Laaye Tum me Wo Rasool Jinpar Tumhara Masshakat Me Parhna Bhari Hai Tumhari Bhalai k Nihayat Chahne Waale Musalmano Par Rauf o Rahim”
(Al Quran, Surah 9 Tawbah Ayat : 128) 
Pehli aaayat e mubarak me dekhe to Rauf o Raheem Kon hai ALLAH ab unke nazariye se kisi aur ko Rauf O Raheem maan le to shirk aajayaga Shirk Fi Sifaat maana jaayga magar nahi Shirk nahi aayga 
Dusre makam me Farmaya Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم bhi RAUF O RAHEEM Hai.
Isme bhi Tabeer yehi kayam hogi ALLAH Taala ka RAUF O RAHIM hona uska Jaati hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ka Rauf O Rahim Hona Atayi hai. Lihaja Ye Shirk ka Fark wajeh hogaya.


03)HAFEEZ Kon Hai ?
Ayat 10 : 
 إِنَّ رَبّي عَلىٰ كُلِّ شَيءٍ حَفيظٌ
“Beshak Mera Rab Har Chiz Par Nigehbaan (Hafeez) Hai”
(Al Quran Surah 11 Hudh Ayat : 57)
Ayat 11 : 


إِنّا نَحنُ نَزَّلنَا الذِّكرَ وَإِنّا لَهُ لَحافِظونَ
“Beshak Humne Utara Hai Yeh Quran Aur Beshak Khud Iske Nigehbaan (Hafeez) Hai”
(Al Quran Surah No : 15 Surah Al Hizr , Ayat : 09)


Ayat 12 : 
قالَ اجعَلني عَلىٰ خَزائِنِ الأَرضِ ۖ إِنّي حَفيظٌ عَليمٌ
“Yusuf Ne Kaha Mujhe Zamin k Khazane Par Karde, Beshak Mai Hifazat Waala Ilm Wala Hoon”
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat : 55)
Pehli aayat me Farmaya HAFEEZ ALLAH Taala hai aur ussi Quran me ALLAH Taala Ne Yusuf Alaihi Salam ko bhi Hafeez Farmaya. 

Quran Ki barkaat hai wo jo kehte hai ALLAH k elawa koi Hafeez nahi hai unke ghar bhi 05 madrase me padhne k baad ek ladka bhi khud ko Hafeez Kahte hai ? Kyu ? 
Besharmo Sharm nahi aati ALLAH Taala Ko Bhi Hafeez maante ho aur Apne Ladko ko bhi maante ho Shirk hojana chahye Na ? 
04 ) Aala Hona 
Ayat 13 : 
سَبِّحِ اسمَ رَبِّكَ الأَعلَى
“Apne Rab Key Naam Ki Paaki Bolo Jo Sabse AALA (Buland) Hai ”
(Al Quran Surah 87 Aala Ayat : 01)
Ayat 14 : 
قُلنا لا تَخَف إِنَّكَ أَنتَ الأَعلىٰ
“Humne Farmaya Dar Nahi Beshak Tu (Moosa Alaihi Salam) Hi Aala (Gaalib) Hai”
(Al Quran Surah 20 Taha Ayat :68)
Lafz AALA ALLAH Taala Farmata hai Mai ALLAH Hu ab unke Nukte nazar se Kisi ko bhi AALA kaha to Shirk hojayga aur is lafz se wahabiyo ko badi nafrat bhi hai k Ahmad Raza Khan Rahimullah Ko bhi tum Aala bolte ho AALA bas ALLAH TAALA hai baaki koi AALA Nahi lkin ussi Quran me ALLAH Taala Ne Apne Nabi Hazrat Moosa Alaihi Salam ko farmaya jab Firaun se Mukable ka wakt aaya hai farmaaya khauf naa rakh tu hi Aala hai. Kya Huwa Shirk Huwa ALLAH bhi AALA Banda Bhi Aala. 
Kya Har Kisi ko AALA Keh Sakte hai ? Nahi Iski izazat nahi wo Sirf ALLAH k Bando ko hai lihaja Jab Moosa Alaihi Salam ne kaha na k Mai AALA hu to Firaun ne bhi kaha Tha padhe 
Firaun Ne Bhi Daawa Kiya Mai AALA HU USKE JUMLE KA RADDH KAR DIYA
Ayat 15 : 
فَقالَ أَنا رَبُّكُمُ الأَعلىٰ
“Phir Bola Mai Tumhara Sabse AALA (Uncha) Rab Hoon”
(Surah 79 Naziyat Ayat 24 )
Ayat 16 : 
فَأَخَذَهُ اللَّهُ نَكالَ الآخِرَةِ وَالأولىٰ
“To Allah Ne Usse Dunya Aur Aakhirat Dono K Aazab Me Pakda”
(Surah 79 Naziyat Ayat 25 )
Besharmo Sharm nahi aati ALLAH Taala Ko Bhi Hafeez maante ho aur Firaun Ne Bhi AALA hone ka dawa kiya tha natiza kya huwa Firaun ko Aazab e Ilahi me pakda gaya aur ALLAH ne Moosa Alaihi Salam ko AALA kaha aur phir apni Taraf unko rakha ye jo HIZBULLAH  ALLAH KI JAMAAT HAI aur wahi dusri Taraf Firaun ka raddh kiya k tu AALA Nahi Moosa Alaihi Salam Aala Hai  Firaun Hizbushaitan hai Shaitani Jamaat. 
Pata Chala ALLAH Taala ALLAH Taala Apni Baaj Sifat wo khas sirf Apne bando Hizbullah ko deta hai Hizbushaitan ko nahi. 
5) Maula Kon ?
Ayat 17 : 
قُل لَن يُصيبَنا إِلّا ما كَتَبَ اللَّهُ لَنا هُوَ مَولانا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَليَتَوَكَّلِ المُؤمِنونَ
“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara MAULA Hai, Aur Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahye”
(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51) 
Ayat 18 : 
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرينَ
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai” 
(Al Imraan Ayat 150) 
Ayat 19 : 
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Aur Isliye k Musalmano ka Maula Allah Hai Aur Kafiro ka Koi Maula Nahi” 
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat :11)
Ayat 20 : 
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“To Beshak ALLAH unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Uske Baad Farishte Madad Par Hai”
(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)
Is Lafz Maula se bhi Badi Chid hai wahabiyo ko kehte hai Maula Sirf ALLAH hai baaki kisi aur ko Maula Nahi kah sakte Lihaja Shirk Hai Tum Hazrat Ali Radi ALLAHO ANHO Ko Maula kehte ho Jabki Maula Sirf ALLAH hai.  

ALLAH Taala k Maula hone ka Inkaar kiya kisne ?  Quran Me khud ALLAH irshaad Farmata hai Mai Maula Hoon Musalmano k Maula Hai JIbril Alaihi Salam, Nek Musalmaan, Farishte, Aur Khud Rab Tabarakwatala to Quran khud Maula Bando ko keh raha hai aur is masle ko itni usaat di ALLAH k Nabi Sal ALLAHU ALAIHI WASSALAM ne K Farmya 
Hadees :  مَنْ كُنْتُ مَوْلاَهُ فَعَلِيٌّ مَوْلاَهُ 
Hazrat Zaid Bin Arqam Se rivayat Hai Nabi e Karim Sal Allahu Alaihu Wassalam ne farmaya JISKA MAI MAULA HOON USKA ALI MAULA HAI.
References : 
(Sunan Tirmizi, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078, "English No : 3713")
(Sunan ibn Majah, Kitab No : 01 AL Mukaddama Hadees : 126 " English No : 121)
To Hum par ye ilzaam naa lagaye k Hum Bando ko ALLAH bana rahe wo tum ho jinhone ALLAH ki Shan ko Bila Wajah bando se milane ki koshish ki hai kya natiza hoka iska Banda bhi Maula ALLAH bhi Maula Phir Wohi ek hi raasta hai jo upar wajeh kiya hai fark koi.
(Note : In Sha ALLAH Taala Is masle MAULA pe ek mukammal post aaygi Hazrat ALI Radi ALLAHO ANHO Ko MAULA ALI KAHNA KAISA usme itne hawale denge k inki akal thikane aajaygi.)
Hosakta hai ab yaha ye Mugalta subahat pesh kiye jaaye k jo tumne Sifaat bayan ki hai woto Nabiyo aur Farishto k liye hai tum gair e Nabi Alaihi Salam me ye baat dikhao ? 
Ye ek Waswasa hai unki jaanib se Awaal to ye kahunga k kya tum ALLAH k Nabi Alaihi Salam ko farishto ko Sharik maante ho ? 
Kayamat aajaygi kabhi iska jawab nahi aayga. 
Khair ab mai wo Sifaat Gair e Nabi me dikha raha hu jo to upar bayan karda sifaat se zyada mukhalifeen pe jarb lagayigi wo hai
07)  Rab Hona 
Ek Anpad Jaahil Se Jaahil Insaan Ko Pucho Tera RAB Kon hai wo kahega Mera RAB ALLAH hai mai ahle Ilm ki baat nahi kar raha jahil awaam bhi itna jaanti hai ab kisi aur ko koi Rab Kahde to unpad to dur padha likha shaks bhi
fauran SHIRK k fatwe thok dega.
Ayat 21 : 
الحَمدُ لِلَّهِ رَبِّ العالَمينَ
“Tamam Khubiya Allah k Liye Jo RAB Hai Saare Jaahan Waalo Ka”|
(Al Quran Surah 01 Fatiha Ayat 01)
Ab Rab To ALLAH hai iske aage Dastageer hona Gaus Hona Garib Nawaz Hona, Daata hona ye sab to choti sifaat hai halanki ye tamam lafz to Quran me nahi hai ye to Farsi k alfaaz hai lkin ab dekho Quran ne aur kisko RAB bola hai.
Ayat 22 : 
ا صاحِبَيِ السِّجنِ أَمّا أَحَدُكُما فَيَسقي رَبَّهُ خَمرًا
“Aye Kaid khane k Dono Sathiyo Tum Me Ek To Apne RAB (Badshah) ko Sharab Pilayga” 
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat : 41) 
Ayat 23 : 
لَ لِلَّذي ظَنَّ أَنَّهُ ناجٍ مِنهُمَا اذكُرني عِندَ رَبِّكَ
“Aur Yusuf Ne Un Dono Se Jise Bachta Samjha Us’se Kaha Apne RAB(Badshah) k Pass Mera Zikr Karna” 
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat :42)
Ayat 24 : 
فَأَنساهُ الشَّيطانُ ذِكرَ رَبِّهِ فَلَبِثَ فِي السِّجنِ بِضعَ سِنينَ
“To Shaitan Ne Usse Bhula Diya Ki Apne Rab (Badshah) K Saamne Yusuf Ka
Zikr Kare To Yusuf Kayi Baras Aur Zelkhane Me Raha”
(Al Quran Surah 12 Yusuf Ayat :42)
Ye Pura Wakya Surah Yusuf me Tafseer se mauzood hai mai yaha sirf uska pasmanzar likh rha hu taaki khulasa hojaye Jab Hazrat Yusuf Alaihi Salam ko
Kaid Kiya hai to Jail me 02 kaidiyo ne khwab dekha jiski taabeer bayan ki
Hazrat Yusuf Alaihisalam ne k Ek ko Maut saza hogi aur ek badshah ko jisko RAB kaha Hazrat Yusuf Alaihi Salam ne usko sharab pilayga usko kaha k Mera ZIKR MERE RAB SE KARNA. 
Gaur Kare Kya Yusuf Alaihi Salam ko tauheed nahi pata thi k Badhshah ko APNA RAB kah diya ek baar nahi nahi 03 baar jo aayat me aaya aur Quran ne iska mukammal zikr kiya hai kyu ??
ALLAH ne to Yusuf Alaihi Salam par wohi bhejne tha k tumne Mere Elawa wo bhi badshah ko RAB maan liya Shirk hogaya. 
ALLAH Taala Kharjio ki so called Tawheed ka Buth khana toda hai Chunki Rab Taala Jaanta tha ek aisi kaum aaygi jo Tauheed ko galat bayan karegi
Mere Bando ko Mushrik kahegi. 
Yaha to Rab bol diya wo bhi BADHSHAH ko jo Nabi bhi nahi Wali bhi nahi tum Daata Gaus Garib Nawaz kahne pe lad rehe ho to yaha jo maana mazaz ka liya jayga wohi waha liya gaya hai yaha shirk na hua to waha kaise shirk hoga ?? 
Kya Taabir Nikalenge ALLAH Taala Ki Sifaat Uske bando me maano to Shirk unka kahna hai phir kya karnge yaha ? 
Taabeer wohi hogi jo AHLE SUNNAH WA Jamaat ki hai Bando ka Hona
ALLAH Taala Ki Ata se hai aur ALLAH Ka Hona Uska Jaati hai Alhamdullilah 
Agr inka nazariya maana jaaye to dunya to dur phir QURAN ko hi pura
shirkiya maan naa padh jaayge.
Hawala itna zyada hai k sab bayan nhi kiye jaa sakte ye bas 24 number k raddh 24 Aayat e Qurani se unki khud sakhta tauheed ka QURANI jawab diya hai agr chahte to 200 aayato se raddh kar sakte the par QURAN hai ek aayaat bhi aaye to maano par jinke dilo me KUFR hai unko pura QURAN bhi kaafi nahi hai. 

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...