Monday, January 9, 2017

3 TALAQ KI TAHQEEQ,,


Sunni Jamiatul Ahnaaf


بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم

ILME O TEHQEEQ SE LABREZ Quran O Ahadees Ke Dalayel Se Muazaiyyan Apne Mauzoo Par Be'misal Kitab

"3 TALAQ KI TEHQEEQ"

Talaq Ka Hukm Aur Ahkam-O-Masayel Aur 3 TALAQ Par Jame Dalayel Aur Gair MUQALLIDEEN Ka Radde Baleegh.

           ~☆Musannif☆~

Gaziye Ahlesunnat, Haadime Qasre Wahabiyat, Zaigame Hanafiyat, Ataye Imame Azam, Hazrat Allama Ash'shah Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Sahab Qibla Mumbai.

(Khalifah Huzoor Amine Shariat)

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

--------------------------------------------------------------------------------

بسم الله الرحمن الرحيم، نحمده ونصلى ونسلم على رسوله الكريم صلى الله عليه وسلم

Is Kitab Ka Mauzu Hai Ki 3 TALAQ Jo Eik Majis Me Dee Gai Wo 3 Hi Hai Use Eik Keh Kar Nikah Ka Baqi Samajhna Shari'at Ki Khilaf Warzi Hai, Rasoole Pak صلی اللہ علیہ وسلم Aur Zamane Sahaba رضوان الله عليهم أجمعين Se Aaj Tak Kisi Ne Bhi Eik Majlis Ki 3 TALAQ Ko Eik Nahi Samjha (Aur Kisi 1-2 Ne Samjha Bhi Ho To Islami Dunya Me Wo Koi Qabile Zikr Shakhs Nahi Guzra) Hatta Ki 4 Imam (Imame Azam, Imam Shafai, Imam Malik, Imam Ahmad Bin Hambal) Jo Aksar Masayel Me Eik Dusre Se Shadeed Ijtehadi Ikhtelaf Rakhte Hain Lekin Is Masle Me Wo 4ron Bhi Eik Hi Raaye Rakhte Hain.

Bad'qismati Se Ahlesunnat Wa Jamat MUQALLIDEEN Se Bughz O Inaad Rakhne Wale Angrezi Paidawar Firqa E La Mazhab Yani Gair MUQALLIDEEN (Naam Nihad Ahlehadees) Jo Kai Maslon Me Ahlesunnat Se Ikhtelaf Rakhte Hain Unka Is Masle Me Bhi Quran O Hadees Salaf Saleheen Aur Puri Millate Islam Se Ikhtelaf Hai, Khair Gair Muqallideen Ki Ye Purani Aadat Hai Ki Wo Ahnaaf Ke Khilaf Karne Ke Chakkar Me Quran O Hadees Hi Ke Khilaf Kar Jate Hain, Aur Phir- Na Khuda Hi Mila Na Wisale Sanam, Na Idhar Ke Rahe Na Udhar Ke Rahe, Wala Mamla Banta Hai.

In Sha Allah Is Masle Ke Tamam Pehlu Par Hamari Nigah Hogi, Ahnaaf Ke Mauqaf Ko Quran O Hadees Se Sabit Karne Ke Sath Sath Gair Muqallideen Ke Pas Kya Daleel Hai Aur Waqai Usse Masle Ki Surat Badalti Hai Ya Gair Muqallideen Hi Ki Naqis Samajh Ka Qusoor Hai Hum Batayenge.

Aaiye Pehle TALAQ Ka Hukm Aur Tariqah Quran O Hadees Aur Masayele FIQH Se Padhiye Phir Nafse Masla Par Baat Hogi.

"TALAQ KE AHKAMO MASAYEL"

Nikah Eik MUQADDAS Islami Rishta Hai Jisse Eik Musalman Mard Ke Liye Ajnabi Muslaman Aurat Halal Ho Jati Hai Aur Ab Shohar Ko Jayez Andaaz Me Apni Khawahishaat Ko Bhi Poora Karne Ka Zarya Mil Jata Hai.

Nikah Ke Zarye Aurat Shohar Ki Paband Hoti Hai, Is Pabandi Ko Khatm Karne Ka Naam TALAQ Hai, TALAQ Ke Kuch Alfaaz Muqar'rar Hain, TALAQ Ke Ta'alluq Se Quran O Hadees Me Jo Irshadaat Aaye Hain Pehle Uska Zikr Ho Phir Mukhtasaran TALAQ Ki Qisme'n Aur Surten Aur Hukm Bayan Hoga Phir Nafse Mauzu Par (3-TALAQ KI TEHQEEQ Par) BAAT Tafsili Hogi.

Allah Pak Apni MUQADDAS Kitab Me Farmata Hai-

ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْساَٰنٍ ۗ

Tarjamah-

TALAQ Jo 2 Baar Tak Hai, (Yani Jisse Biwi ko Bagair Naya Nikah Kiye Rakha Ja Sakta hai) Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena (Yani Bagair Naye Nikah Ke Hi) Ya Nikoi (Bhalai) Ke Sath Chhod Dena.

(قرآن کریم، سورہ بقرہ، آیت نمبر-229، ترجمہ کنزالایمان، از- اعلی حضرت علیہ الرحمہ)

Phir Rab Ta'ala Farmata Hai-

فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍ يَعْلَمُونَ

Tarjamah-

Phir Agar 3ri TALAQ Use Dee To Ab Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shohar Ke Pas Na Rahe, Phir wo Dusra Agar Use TALAQ De De To In Dono Par Gunah Nahi Ki Apas Me Mil Jayen (Ab Pehla Wala Usse Nikah Kar Sakta Hai) Agar Guman Ho Ki Allah Ki Hadon Ko Qa'im Rakhenge, Ye Allah Ki Hade'n Hai Jo Wo Bayan Farmata Hai Samajhdaron Ke Liye.

(پارہ نمبر-٢، سورہ بقرہ آیت نمبر-٢٣٠}

Qari'een (padhne wale) Gaor Kijiye Gair Muqallideen Halala Ko Ayyashi Aur Haram Kehte Hain Jab Ki Halala Quran Se Sabit Hai, Gair Muqallideen Sirf Hadees Hi Ke Dushman Nahi Balki Quran Ke Bhi Dushman Hain.

Kisi Aurat Ko Uska Shohar TALAQE MUGALLAZAH (3 TALAQ) De Ab Wahi Shakhs Us Aurat Se Nikah Karna Chahe To Uski Yahi Surat Hai Ki Aurat Iddat Guzarne Ke Bad Kisi Dusre Se Nikah Kare Aur Jab Wo Use TALAQ Dega To Iddat Guzarne Ke Bad Ye Pehla Usse Nikah Kar Sakta Hai, Halala Isi Ko Kehte Hain Lekin Gair Muqallideen Ise Haram Kehte Hain Aur Ye To Quran Hi Se Sabit Hai,

Bechare Gair Muqallideen Halala Ko GALAT Keh Kar 3 TALAQ Ko Eik Maan Kar (Jab Ki 3 TALAQ Par Biwi Nikah Se Nikal Gai) Logon Se Haram Kaari Karwate Hain, Isi Liye Hanafi Halalah Ke Hain To Gair Muqallideen Haramah Ke.

Jaise Nikah Mard O Aurat Ko Paband Karta Hai Waise Hi TALAQ Us Pabandi Ko Utha Deta Hai, TALAQ Ka Tasauwwur (imagining) Islam Ke Siwa Kisi Mazhab Ne Nahi Diya, Aaj Digar Mazahib Wale Jo Talaq Se Faidah Utha Rahe Hain Wo Islam Hi Ki Den Hai.

TALAQ Eik Jayez Amal Hai Lekin Us Surat Me Jab Miya Biwi Ke Rishte Me is Qadar Kad'wahat Aajaye Ki Baat Kisi Surat Se Na Banti Ho To Shari'at Ne Hum Par Ye Aasani Ki Ke TALAQ (Azadi) Ka Rasta Banaya, Jisse Ye Dono Alag Ho Sakte Hain, Phir Ye Apni Marzi Ke MUTABIQ Kisi Dusre Se Nikah Ke Mamle Me Aazad Hain, Par Aaj Kal Baat Be Baat Talaq Dene Ka Riwaj Nikla Hai Aur Zara Bhi Koshish Nahi Ki Jati Ki Baat Ban Jaye, Koi Gusse Me TALAQ De Raha Hai, Koi Nashe Me, Koi Dahej Ke Liye, To Koi Biwi Se Chhutkara Paane Ke Liye, TALAQ Agarche Eik Jayez Amal Hai Par Allah Pak Use Pasand Nahi Farmata, Bila Sakht Shar'ie Zarurat Ke TALAQ Nahi Dena Chahiye, TALAQ Ke Silsile Me Chand Ahadise Pak Padhiye.

HADEES-

Huzoor ﷺ Farmate Hain Ibless Apna TAKHT Pani Par Bichhata Hai, Aur Apne Lashkar Ko Bhjeta Hai (Logon Ko Burai Ki Taraf Ma'il Karne Ke Liye) Aur Sab Se Zada Martabah Uske Nazdeek Uska Hai Jisne Bada Fitna Kiya Ho, Har Koi (Uska Chela) Aakar Apni Kaarguzari Sunata Hai Wo Kehta Hai Tune Kuch Nahi Kiya (Bada Kaam) Eik Kehta Hai Mai Ne Mard O Aurat Me Judai Daal Dee, To Use Apne Qareeb Kar Leta Hai Aur Kehta Hai Haan Tu Hai (Jisne Mujhe Khush Kiya).

{مسند الإمام أحمد بن حنبل، جلد-٥، صفحہ نمبر-٥٢}

Mazeed Ahadees Padhiye Aur Shaitan Ke Makr O Fareb Se Bachiye.

HADEES-

Hazrat Mu'aaz Riwayat Karte Hain Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Mu'aaz Koi Cheez Allah Pak Ne Roye Zameen Par Gulam Azad Karne Se Zada Pasand Nahi Ki, Aur Koi Cheez TALAQ Se Zada Na'pasand Nahi Ki.

{سنن الدار قطنی، کتاب الطلاق، جلد-٤، صفحہ نمبر-٤٠}

Har'chand Ki TALAQ Jayez-O-HALAL Amal Hai Par Jo Bila Wajah Ho Wo Allah Pak Ki Narazgi Aur Gazab Ka Sabab Hai, Chunanche Eik Hadees Me Aaya Hai-

HADEES-

Hazrat IBNE Umar رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Farmaya, Tamam Halal Chizon Me Allah Ke Nazdeek Zadah Na'pasand TALAQ Hai.

{سنن ابی داؤد، کتاب الطلاق، باب کراهية الطلاق، جلد-٢، صفحہ نمبر-٣٨٠، الحديث- ٢١٨٧}

Musalmano Ko Chahiye Ki Allah Wa Rasool ﷺ Ke Irshadaat Ko Sune Aur Uspe Amal Kare Aur Nafs-O-Shaitan Ke Fareb Me Na Aayen.

Wo Aurat Jo Bila Wajah Apne Shohar Se TALAQ Ki Demand Karti Hai Aur Wajah Bahot Mamuli Hoti Hai, Jaise Shohar Ki Kamai Se Uske Arman Na Pure Hona, Ya Sasural Me NA CHAQI, WAQT Ke Sath Mamlaat Theek Ho Jate Hain Aur Zara See Koshish Ki Jaye To Ghar Ko Amn-O-Sukoon Ka Gehwara Banaya Ja Sakta Hai Phir Iske Liye TALAQ Lene Ki Kya Zarurat Hai?

Aisi Aurten Huzoor ﷺ Ka Ye Pak Farman Khoob Zahen Nasheen Kar Le'n.

HADEES-

Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jo Aurat Ba'gair Kisi Harj Ke Shohar Se TALAQ Ka Sawal Kare Uspe Jannat Ki Khushbu Haram Hai.

{جامع ترمذی، جلد-٢، صفحہ نمبر-٤٠٣، حدیث نمبر-١١٩٠}

"TALAQ KI QISMAE'N"

Hamare Sunni Hanfi Jannati Barelvi Bhaiyon Ko Bhi Chahiye Ki Wo TALAQ Ki Qisme'n Aur TALAQ Dene Ka Sahi TARIQAH Samjhen, Waise To Fiqhe Hanfi Ki Kitabon Me Iske Masayel Bit'tafseel Hain Par Awam Aaj Kal Kitaben Kahan Padhti Hai, Ya Phir Kitabon Ka Meyar Itna Aalemana Hota Hai Ki Log DAQEEQ Alfaaz Ki Bina Par Masla Hi Nahi Samajh Pate Hain, Pehle Main Aapko TALAQ Ki Qisme'n Aasan Se Aasan Tar Andaz Me Samjha Dun.

TALAQ Ki 3 Qisme'n Hain-

1) RAJ'EE رجعى

2) BA'IN بائن

3) MUGALLAZAH

Raj'ee TALAQ Kya Hai?

Rajee TALAQ Ye Hai Ki Use Dene Ke Bad Biwi Faoran Nikah Se Bahar Nahi Hogi Balki Iddat Guzarne Ke Bad Nikah Se Bahar Hogi, Aur Iddat Ke Andar Wapas Lena Chahe To Le Sakta Hai Naye (New) Nikah Ki Bhi Zaroorat Nahi.

(Talaq Ki Iddat 3 Haiz Aana Hai, Agar Haamelah (Pregnant) Hai To Bachcha Paida Hote Hi Iddat Khatm Ho Gai Chahe Jab Paida Ho, Agar Nabaligh Hai Ya 55-Year's Se Upar Hai Jise Haiz Na Aata Ho To In Dono Ke Liye Iddat 3-Month Hai Chand Ki Tareekh Ke Hisab Se)

Wazahat-

Jo Log Ye Samajhte Hain Ki 1-TALAQ Rajee Hai Aur 2-Ba'in Wo Galti Par Hain, 1 Bhi Rajee Hai Aur 2 Bhi Rajee Hai, Matlab Jisse Bagair Nay Nikah Ke Rujoo Kiya Ja Sake Phir Se Use Nikah Ki Zaroorat Nahi.

Ba'in TALAQ Kya Hai?

Talaq Ki Dusri Qism Ba'in Hai, Iska Matlab Ye Hai Ki Biwi Faoran Nikah Se Bahar Ho Jaye, Ab Agar Usi Biwi Ko Rakhna Hai To Naya (New) Nikah Naye Maher Ke Sath Karna Hoga, Agar Aurat Dusre Se Nikah Karna Chahe To Use Iddat Puri Karni Hogi.

Talaqe Ba'in Kaise Padti Hai?

Saaf Kahe Ki Mai Ne Tumhe Talaqe Ba'in Dee, Ya Gusse Ke Aalam Me Jaa, Chal, Nikal Rasta Naap, Ghar Khali Kar, Rawana Ho, Dafa Ho, Bistar Utha Wagerah Ye Sab Alfaaz TALAQ Ki Niyyat Se Kahe To Talaqe Ba'in Hogi.

Agar Aurat TALAQ Chah Rahi Ho To Uspe Aisa Kaha Jaa, Chal Nikal, Ab Aisi Surat Me Ba'gair Niyyat Bhi TALAQE Ba'in WAAQE Hogi.

MUGALLAZAH TALAQ Kya Hai?

TALAQ Ki Tisri Qism Mughallazah Hai, Yani 3-TALAQ Ab Chahe Eik Sath De Ya Alag Alag Ab Is Surat Me Aurat Ko Wapas Rakhna Chahe To Bina Halalah Kiye Nahi Rakh Sakta.

Wazahat-

TALAQ Ke Saaf Alfaaz Kaha Jaise Tujhe Talaq Dee, 1 Ya 2 Baar Kaha To Ye TALAQE Raj'ee Hai, Aisi Surat Me Biwi Ko Wapas Rakhne Ke Liye Bosa Liya Ya Akele Me Mulaqat Ki Ya Kaha Mai Ne Tumhe Wapas Liya To Nikah Baqi Rahega.

Han Behtar Hai Ki Jab WAPAS Lena Ho To Kam Az Kam 2 Gawah Zaroor Bana Le Ye Behtar Hai Aur Tohmaton Se Bachane Wala Hai.

Aur Agar Wapas Na Lena Ho Chhodh Dena Ho To Iddat Guzarne De Ab Wo Khud Bakhud Nikah Se Bahar Ho Jaygi.

TALAQ Ki Qisme'n Malum Hone Ke Bad Ye Bhi Malum Karna Chahiye Ki TALAQ Diya Kaise Jaye?

Awwal To Be'wajhe Shar'ee TALAQ Dee Hi Na Jaye Lekin Jab Dena Ho To Behtar TARIQE Ko Apnaya Jaye.

TALAQ Dene Ke 3-TARIQE Hain-

1) AHSAN (احسن)

2) HASAN (حسن)

3) BID'EE (بدعی)

1) TALAQE AHSAN (Sab Se Behtar TARIQAH) Haiz Ke Bad Paaki Ke Dinon Me Biwi Se Hambistari Na Kare Aur Eik TALAQ De Kar Chhod De, Iddat Puri Hone Par Biwi Khud Nikah Se Bahar Ho Jaygi. Ab Isme Option Ye Hai Ki Agar Usi Ko Rakhna Chahe To Iddat Se Pehle Usse Rujoo Kare Ye Keh Kar Ki Tume Nikah Me Rakhta Hun, Ya Bosa (Kiss) Le Kar Ya Akele Me Mulaqat Kar Ke, Agar Iddat Puri Ho Gai To Ab Use Rakhna Chahta Hai To Biwi Se Naya (New) Nikah Naye Maher Par Kare, Agar Nahi Rakhna To Biwi Dusre Se Nikah Kar Sakti Hai.

2) TALAQE HASAN (Behtar, Theek) Ye Hai Ki Haiz Aane Ke Bad Paaki Wale Dino Me Bina Hambistari Kiye Eik TALAQ De, Phir Dusri Baar Haiz Aaya Phir Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Kiye Dusri TALAQ De, Tisri Baar Bhi Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Tisri TALAQ De, Ab Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai, Agar Use Rakhna Ho To Iddat Ke Bad Halalah Ke Bina Nahi Rakh Sakta.

3) TALAQE BID'EE (Bura Tariqah, Naya Tariqah) Ye Hai Ki Haiz Ki Halat Me TALAQ Dena, Ya Paaki Ke Dino Me 3-TALAQ EIK Sath Dena, Ya Paaki Ke Dino Me Sohbat Kiya Aur Phir TALAQ Dee.

(ماخوذ از- کتب فقہ حنفی)

Pehle Hum Ne TALAQ Ki Qisme'n Zikr Kee, Phir TALAQ Ka TARIQAH Bataya Jo Behtar TARIQAH Hai (TALAQE AHSAN) Uspe Amal Kiya Jaye Allah Na Kare Kabhi Aisa WAQT Aaye To.

TALAQ Ke Masayel Is Qadar Hain Ki Uske Liye Achcha Khasa Daftar Chahiye, Ye Hamara Mauzu (Topic) Nahi Hai, Bas Ijma'lan Zikr Kar Diya, Mauzu Ki Munasibat Se, Taki Is Kitab Ke Padhne Wale Ko Sahi Masle Ka ILM Ho, Ab Aaiye Apne Asal Mauzu Ki Taraf Ki 3- TALAQ Chahe Eik Sath De Ya 3 Tohar (Paaki) Me Wo 3 Hi Hai 1 Nahi Biwi Ko Shohar Bina Halalah Kiye Apne Nikah Me Nahi Rakh Sakta, Alhamdulillah Is Par Ahnaaf Ka Mauqaf Quran O Sunnat Ke MUTABIQ O MAWAFIQ Hai.

Dalayel Mulahazah Farmayen.

AAGAZE BAHES 3-TALAQ.

Allah Pak Ne Insano Me Kuch Rishte Aise Banaye Hain Jo Insano Ke Todne Se Bhi Nahi Toot Te, Jaise Maa Baap Aur Aulad Ka Rishtah, Bhai Bhai Ka Rishta Wagera, Aur Kuch Rishte Insano Ne Khud Banaye Hain Aur Jab In Rishton Me Kadwahat Aajaye To Ise Ahsan Tariqe Se Todne Ka Tariqah Bhi Islam Me Maujood Hai, Jaise Miya Biwi Ka Rishtah Jo Nikah Ke Zarye Qa'im Hota Hai Aur TALAQ Ke Zarye Toot Jata Hai.

Yahudi (Israeli) Mazhab Me Shohar Jitni Baar Chahe TALAQ De Sakta Hai Aur Phir Usi Biwi Ko Rakhna Chahe To Rakh Sakta Hai Unke Yahan TALAQ Ki Koi Tehdeed (Had) Nahi, Aur Esai Mazhab Me To TALAQ Jayez Hi Nahi Hai, Jisse Eik Bar Shadi Ho Gai Ab Usi Ke Sath Puri Zindagi Guzarna Hai.

Iske Bar'Khilaf Islam Ne 1 Aur 2 TALAQ Ke Bad Biwi Ko Rokne Ka HAQ Diya Hai Jabki 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Wo Use Nahi Rakh Sakta, Chahe 3- TALAQ 3-Tohar (Paki Ki Halat) Me Dee Ho Ya 3 Haiz (Napaki Ki Halat) Me, Ya Eik Sath 3 Dee Ho, Bahar Haal Wo TALAQE MUGALLAZAH Hai Jisse Nikah Toot Gaya, Haan Ye Hai Ki Eik Sath 3-TALAQ Dena Sakht Mana Aur Bura Hai Jaisa Ki Hadise Pak Me Huzoor ﷺ Ka Irshad Maujood Hai.

HADEES-

Huzoor ﷺ Tak Ye Khabar Paohchi Ki Eik Shakh Ne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-TALAQ Dee, Ise Sun Kar Aap Gusse Me Khade Huye Aur Ye Farmaya Ki Allah Ki Kitab Se Khel Karta Hai? Halaki Mai Tumhare Andar Abhi Maujood Hun.

{سنن النسائي، کتاب الطلاق، حدیث نمبر-٣٣٩٨}

3-TALAQ Eik Sath Dena Sakht Mana Aur Gunah Hai Lekin Koi De De To Isme Kisi Imam Ka Koi Ikhtelaf Nahi Ki Eik Majlis Ki 3 TALAQ 3 Nahi Balki Eik Hai, Huzoor ﷺ Ke Zamane Pak Se 7wi Sadi Hijri Tak Is Masle Me Ahlesunnat Wa Jamat Ka Kabhi Ikhtelaf Hua Hi Nahi, Isme Yahudi Aur Shiyon Ke Baad Ikhtilaaf Karne Wala Ibne Taimiyah Aur Uska Shagird Ibne Qaiyyim Hai Jinhe Is Masle Me Galat Raah Chalne Ki Bina Par Apne Shaher Se Maar Kar Nikala Gaya, Ab Ibne Taimiyah Ki Baasi Kadi Me Ubaal Aaj Kal Ke Angrezi Mujtahid Yaani Gair MUQALLIDEEN La Rahe Hain.

Huzoor Gause Pak Shaikh Abdul Qadir Jilani رضی اللہ تعالٰی عنہ Farmate Hain-

3 TALAQ Ke Bad Bhi Biwi Ko Rakhne Ka Riwaj Yahudiyon Me Hai Unse Ye Masla Rawafiz (Shiyon) Ne Liya.

(غنیة الطالبين، صفحہ نمبر-١٧٢}

Yahudiyon Aur Shiyon Ki Pairwi Karte Huye Gair MUQALLIDEEN Ne Bhi Eik Majlis Ki 3 TALAQ Ko 3 Manne Se Inkar Kiya Aur Puri Ummat Ke 1450 Saala Ijma Ko Thukra Kar Use 1-TALAQ Maana Aur Biwi Ke Nikah Me Baaqi Hone Ka Farman Jaari Kiya, Yaani Quran Ke MUTABIQ Ab Jo Aurat Bina Halalah Kiye Jayez Na Thi Use Haramah Ke Zarye In Angrezi Mujtahideen Ne Jayez Kiya.

Eik Sath Dee Gai 3 TALAQ 3 Hi Hai Is Par Kai Sahi Hadise'n Maujood Hain, Gair Muqallideen Ka Ye Kehna Ki Ye Sirf Ahnaaf Ka Maslak Hai Quran O Hadees Se Sabit Nahi Sarasar Zulm O Ziyadati Hai, Aur Unki Ilme Hadees Se Na'waqifiyat Hai, Is Silsile Me Ba'kasrat Ahaadees Maujood Hai Chand Eik Mulahazah Farmayen Sahi Bukhari Shareef Ki Ye Hadees-

HADEES-

حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا يَحْيَى، عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ، قَالَ حَدَّثَنِي الْقَاسِمُ بْنُ مُحَمَّدٍ، عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّ رَجُلاً، طَلَّقَ امْرَأَتَهُ ثَلاَثًا، فَتَزَوَّجَتْ فَطَلَّقَ فَسُئِلَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم أَتَحِلُّ لِلأَوَّلِ قَالَ ‏ "‏ لاَ، حَتَّى يَذُوقَ عُسَيْلَتَهَا كَمَا ذَاقَ الأَوَّلُ ‏"‏‏.‏

Tarjamah-

Sayyedah Aishah رضی اللہ عنہا Riwayat Farmati Hain Ki Eik Shakhs Ne Apni Biwi Ko 3-TALAQ De De'n, Aurat Ne Dusra Nikah Kar Liya, Dusre Ne Bhi TALAQ De Dee (Sohbat Kiye Bina) Phir Huzoor ﷺ Se Pucha Gaya Kya Ab Pehla Shaohar Iske Liye Halal Hai (Wapas Usse Shadi Kare) Huzoor ﷺ Ne Farmaya Nahi, Jab Tak Dusra Shaohar Iska Maza Na Chakhe Jaisa Ki Pehle Ne Chakha.

{صحیح بخاری، جلد-١، صفحہ نمبر-٧٩١، حدیث نمبر-٥٢٦١}

SAHI BUKHARI Ki Ye Hadees Ekhatti Dee Gai 3- TALAQ Ke 3 Hone Par Roze Roshan Ki Tarah Saaf Hai, Is Liye Ki Huzoor ﷺ Ne 3 TALAQ Dene Ke Bad Bina Halalah Kiye Nikah Me Wapas Lene Se Mana Farmaya, Is Qism Ke Kai WAQIYAAT Ahaadees Me Hai Ki Huzoor ﷺ Ne 3 TALAQ Wali Ko Bai'nah (Kharije Nikah) Qarar Diya Mulahazah Farmayen.

Amriul Momineen Fil Hadees Sayyedna Imam Muhammad Bin Isma'eel Bukhari رحمہ اللہ تعالیٰ (Paidaish-194-Hijri Wafat-256-Hijri) Apni "Al'jami'uss Sahi" Yani Sahi Bukhari Me Hazrat Uwemar Ijlani (عویمر عجلانی) Ka Waqiyah Likhte Hain Ki-

فتلاعنا وأنا مع الناس عند رسول الله صلى الله عليه وسلم فلما فرغا من تلاعنهما قال عويمر كذبت عليها يا رسول الله إن أمسكتها‏.‏ فطلقها ثلاثا قبل أن يأمره رسول الله صلى الله عليه وسلم‏.

Tarjamah-

Unho Ne Huzoor ﷺ Ke Samne Li'aan Kiya Aur Jab Li'aan Se Farigh Huye To Kaha Ya Rasulallah ﷺ Ab Agar Mai Is Aurat Ko Rakhun To Jhuta Kehlaunga Phir Unho Ne Huzoor ﷺ Ke (Kuch) Farmane Se Qabl Hi Biwi Ko 3-Talaq Dee De'n.

{صحیح بخاری شریف، جلد-٢، صفحہ نمبر-٧٩٩، حدیث نمبر-٥٣٠٨}

Is Waqiye Ki Mazeed Tauzeeh Abu Dawood Sharif Me Is Tarah Ki Gai Hai-

فَطَلَّقَھَا ثَلَاثَ تَطْلِیقَاتٍ عِنْدَ رَسُولِ اللَّہِ صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ، فَاَنْفَذَہُ رَسُولُ اللّہِ صَلّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلّم‘‘

Tarjamah-

Jab Hazrat Uwemar Ijlani Ne Huzoor ﷺ Ke Samne 3 Talaq Dee To Huzoor ﷺ Ne 3-No Ko Naafiz Kar Diya.

{سنن ابی داؤد، جلد-١، صفحہ نمبر-٣٠٦، حدیث نمبر-٢٢٥٠}

Sahi Bukhari Wa Abu Dawood Sharif Ki Riwayat Se To Sabit Hua Ki Huzoor ﷺ Ne Eik Saath Ki 3-Talaq Ko Naafiz Kar Diya, Phir Gair Muqallideen Is Masle Me Huzoor ﷺ Ki Mukhalifat Karte Huye Yahudiyon Aur Shiyon Ki Raah Kyu Chal Rahe Hain?

Ab Aap Hi Ke Sawal Ko Hum Aap Par Aise Palat'te Hain, Aap Mohammadi Hain Ya Yahudi Wa Rafzi?

"Dunya Ki Ayeb Joi Khud Par Nazar Nahi Hai,
Har Eik Ko Dekhta Hai Apni Khabar Nahi Hai.

Gair Muqallideen Me Ab Bhi Sharm Ka Kuch Hissa Bacha Ho To Haq Ki Taraf Aaye'n Aur Qaum Ko Ye Keh Kar Dhoka Na Den Ki Hanfi Mazhab Khilafe Hadees Hai Jabki Hamare Ulmae Ahnaaf کثرھم الله تعالى Sabit Kar Chuke Hain Ki Hanfi Mazhab Quran O Sunnat Se Ziyadah Qareeb Hai.

Eik Saath Dee Gai 3 Talaq Ke Bad Bhi Raj'at Ka Hukm (Biwi Ko Dobara Nikah Me Baqi Rakhna) Agar Kisi Zamane Me Raha Bhi Ho To Iska Hukm Hamari Shari'at Me Mansookh Ho Gaya Hai, Jaisa Ki Mash'hoor Sahabi E Rasool ﷺ Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہ Ne Sure Baqrah Ki Ayat-228 Ki Jo Tafseer Ki Hai Use Imam Abu Dawood رحمہ اللہ Ne Apni Sunan Me Likha Hai, Aur Aap Jante Hain Abu Dawood Siha Sitta Me Se Hai, Abu Dawood Ki Riwayat Ye Hai-

حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْمَرْوَزِيُّ، حَدَّثَنِي عَلِيُّ بْنُ حُسَيْنِ بْنِ وَاقِدٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ يَزِيدَ النَّحْوِيِّ، عَنْ عِكْرِمَةَ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ ‏{‏ وَالْمُطَلَّقَاتُ يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ ثَلاَثَةَ قُرُوءٍ وَلاَ يَحِلُّ لَهُنَّ أَنْ يَكْتُمْنَ مَا خَلَقَ اللَّهُ فِي أَرْحَامِهِنَّ ‏}‏ الآيَةَ وَذَلِكَ أَنَّ الرَّجُلَ كَانَ إِذَا طَلَّقَ امْرَأَتَهُ فَهُوَ أَحَقُّ بِرَجْعَتِهَا وَإِنْ طَلَّقَهَا ثَلاَثًا فَنُسِخَ ذَلِكَ وَقَالَ ‏{‏ الطَّلاَقُ مَرَّتَانِ ‏}‏

Hazrat Ikramah رضی اللہ عنہ Kehte Hain Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ne Ayat (Sure Baqrah Ki Ayat-228) Ke Tahet Irshad Farmaya Shuru Me Agar Koi Shakhs Apni Biwi Ko 3-Talaq De Deta Phir Bhi Use Raj'at Ka Haq Tha, Lekin Ye Hukm Mansookh Kar Diya Gaya, Phir Aapne Ayat Tilawat Ki (Sure Baqrah Ki Ayat-229 Jiska Tarjamah Hai Talaq To 2 Hi Baar Tak Hai Jiske Bad Biwi Ko Wapas Rakha Ja Sakta Hai).

{سنن ابی داؤد، صفحہ نمبر- ٢٩٧}

Hazrat Ibne Abbas Wo Sahabi Hain Jinse Huzoor ﷺ Ne Quran Sikhne Ki Taleem Di, Kya Gair Muqallideen Ke Nazdeek Hazrat Ibne Abbas Ne Quran Ki Galat Tafseer Ki Ya Phir Wo Asl Masle Se Waqif Nahi The?

Mazeed Eik Hadees Jo Sunane Nisai Me Hai (Ye Bhi Hadees Ki 6-Sahi Kitabon Me Se Eik Hai).

Hadees-

أَخْبَرَنَا سُلَيْمَانُ بْنُ دَاوُدَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ وَهْبٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنِي مَخْرَمَةُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ مَحْمُودَ بْنَ لَبِيدٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏  أُخْبِرَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ رَجُلٍ طَلَّقَ امْرَأَتَهُ ثَلَاثَ تَطْلِيقَاتٍ جَمِيعًا، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ غَضْبَانًا، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ قَالَ:‏‏‏‏  أَيُلْعَبُ بِكِتَابِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَنَا بَيْنَ أَظْهُرِكُمْ ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى قَامَ رَجُلٌ وَقَالَ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَلَا أَقْتُلُهُ ؟.

Tarjamah-

Huzoor ﷺ Ko Eik Shakhs Ke Hawale Se Bataya Gaya Ki Usne Apni Biwi Ko Eik Sath 3-Talaqe'n De Dee Hain, Ye Sunke Aap Sakht Gusse Me Khade Huye Aur Farmaya Tum Log Allah Ki Kitab Se Khelte Ho Halaki Mai Tumhare Beech Maujood Hun, Eik Shakhs Khada Hua Aur Arz Ki Huzoor ﷺ Aap Ijazat De'n Ki Mai Use Qatl Karun.

{سنن النسائي، جلد-٦، صفحہ نمبر-٤٤٢، حدیث نمبر-٣٤٣٠}

Agar Eik Sath Dee Gai 3-Talaq 1 Hi Hoti To Huzoor E Pak ﷺ Is Qadar Gussa Na Farmate Aur Ise Allah Ki Kitab Se Khel Na Batate Jabki 1 Baar Me 1 Talaq To Quran Hi Ka Hukm Hai, Aur Phir Eik Sahabi Us Shakhs Ke Qatl Ki Ijazat Na Chahte.

Qurane Pak Ne Saaf Farma Diya 2-Talaq Tak Biwi Ko Rokne Ka Haq Hai Lekin 3 Agar De Dee To Ab Ba'gair Halalah Ke Biwi Ko Nahi Rakh Sakta, Irshade Khudawandi Hai-

الطَّلاَقُ مَرَّتَانِ فَإِمْسَاکٌ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِیْحٌ بِإِحْسَانٍ

Tarjamah-

Talaq To 2 Hi Bar Tak Hai Phir Bhalai Ke Sath Rok Lena Hai Ya Nikoi Ke Sath Chhod Dena Hai.

{Sure Baqrah, Ayat-229}

Phir Uske Bad Farmaya-

فَإِن طَلَّقَہَا فَلاَ تَحِلُّ لَہُ مِن بَعْدُ حَتَّیَ تَنکِحَ زَوْجاً غَیْرَہُ

Tarjamah-

Phir Agar Use Tisri Talaq Dee To Ab Wo Aurat Halal Na Hogi, Jab Tak Dusre Shaohar Ke Pas Na Rahe.

{Sure Baqrah, Ayat-230}

In Aayaat Me Allah Pak Ne 3 Talaq Ka Hukm Bayan Farmaya Hai, Aur Use Eik Majlis Ya Kai Majlis Ke Sath Qaid Nahi Kiya, Yaani 3 Talaq Eik Sath De Ya 1 Saal Me Wo 3no Waaqe Ho Jayegi, Uske Bad Bina Halalah Ke Nahi Rakh Sakta.

Is Silsile Me Gair Muqallideen Ke Imam Ibne Hazam Zaheri Likhte Hain-

فھذا یقع علی الثلاث مجموعۃ ومفرقۃ، ولا یجوز ان یخص بھذہ الآیۃ بعض ذلک دون بعض بغیر نص

Tarjamah-

Ye Ayat Dalalat Karti Hai Ki 3-Talaq Eik Sath Dee Jaye Ya Alag Alag Baherhaal 3no Waqe Ho Jayegi, Aur Is Ayat Ko Ba'gair Daleel Ke Baaz Surton Ke Saath Khas Karna Jayez Nahi Hai.

[المحلی بالآثار: 3/394، مطبوعہ: دار الفکر بیروت، لبنان]

Piche Hum Siha Sitta Se Kai Hadisen Is Par Pesh Kar Chuke Hain, Eik Aur Hadees Jo Imame Bukhari رحمہ اللہ Ke Ustaz Hazrat Abdur Razzaq رحمہ اللہ Ne Apni Musannaf Me Riwayat Kee Hai Padhiye-

Hadees-

عَنْ دَاوُدَ بْنِ عُبَادَۃَ بْنِ الصَّامِتِ قَالَ: طَلَّقَ جَدِّی امْرَاَۃً لَہُ اَلْفَ تَطْلِیقَۃٍ، فَانْطَلَقَ اَبِی اِلَی رَسُولِ اللَّہِ صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ، فَذَکَرَ ذَلِکَ لَہُ، فَقَالَ النَّبِیُّ صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ: اما اتَّقَی اللَّہَ جَدَُّک، اَمَّا ثَلَاثٌ فَلَہُ، وَاَمَّا تِسْعُ مِاءَۃٍ وَسَبْعَۃٌ وَتِسْعُونَ فَعُدْوَانٌ وَظُلْمٌ، اِنْ شَاءَ اللَّہُ تَعَالَی عَذَّبَہُ، وَاِنْ شَاءَ غَفَرَ لَہُ‘‘

Tarjamah-

Dawood Kehte Mere Walid Ubadah Bin Samit Kehte Hain Ki Mere Dada Ne Apni Biwi Ko 1000 Talaqen Dee Thi To Mere Walid Rasulullah ﷺ Ki Bargah Me Hazir Huye Aur Unki Khidmat Me Saara Mamla Arz Kiya, Huzoor ﷺ Ne Farmaya Kya Tera Dada Allah Se Nahi Darta?

3 Talaq Ka Use Haq Tha (Jo Ab Ho Chuki) Aur 997 Uski Taraf Se Zulm O Ziyadati Hai, Allah Ki Marzi Chahe To Use Azab De Ya Bakhsh De.

[مصنف عبد الرزاق، کتاب الطلاق، حدیث نمبر( 11339): 6/393، مطبوعہ: المکتب الاسلامی، بیروت]

Sunane Ibne Majah Me Ye Hadees Hai-

Hadees-

عَنْ عَامِرٍ الشَّعْبِیِّ:’’قَالَ: قُلْتُ لِفَاطِمَۃَ بِنْتِ قَیْسٍ: حَدِّثِینِی عَنْ طَلَاقِکِ، قَالَتْ: طَلَّقَنِی زَوْجِی ثَلَاثًا، وَھُوَ خَارِجٌ اِلَی الْیَمَنِ، فاَجَازَ ذَلِکَ رَسُولُ اللَّہِ صَلّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ‘‘۔

Tarjamah-Hazrat Shabi (شعبی) Kehte Hain Main Ne Fatimah Binte Qais Se Kaha Aap Mujhe Apni Talaq Ka Waqiyah Sunaiye, Unho Ne Jawab Diya Mujhe Mere Shaohar Ne Yaman Jate Waqt 3 Talaqen Dee'n, To Rasulullah ﷺ Ne Ye 3no Talaqen Naafiz Farma Dee'n.

[سنن ابن ماجہ ، کتاب الطلاق، باب من طلق ثلاثاً فی مجلس واحد، حدیث نمبر( 2024): 1/652، مطبوعہ:احیاء الکتب العربیۃ، بیروت۔]

Hadees Me Saaf Hai Ki Ye 3no Talaqen Eik Majlis Ki Thi, Jabhi Hazrat Fatimah Ne Bayan Diya Ki Rasulullah ﷺ Ne 3no Naafiz Farma Dee'n Agar Alag Alag Majlis Me Dee Hoti To Huzoor ﷺ Ka Ise Naafiz Farmane Ka Kya Matlab Hai?

Aur Maze Ki Baat Ye Ki Imam Ibne Majah رحمہ اللہ Ne Is Hadees Ka Jo Baab (Chapter) Baandha Hai Wo Ye Hai-

من طلق ثلاثاً فی مجلس واحد

Yani Eik Majlis Me Apni Biwi Ko 3 Talaq Dene Ka Bayan.

Qurane Kareem Aur Rasoole Pak ﷺ  Ke Wazeh Farman Ke Baad Bhi Koi Yahi Ratt Lagaye Ki Eik Majlis Ki 3 Talaq 1 Hi Hai, To Aise Diwane Ka Kya Ilaj?

Musalman To Wo Hai Jo Allah Wa Rasool ﷺ Ka Farman Malum Padne Ke Bad Sare Tasleem Kham Kar Leta Hai, Aur Jiske Dil Me Kaji (Tedha Pan) Hai Wo Apne Khabees Nafs Ka Itteba Karta Hai, Jaisa Ki Asre Maujudah Ke Naam Nihaad Ahlehadees.

Sarkare 2 Aalam ﷺ Ki Puri Hayate Zaheri Me Eik Aisa Waqiyah Kisi Bhi Sahi Sareeh Gair Mu'ariz Hadees Se Gair Muqallideen Nahi Pesh Kar Sakte Ki Kisi Madkhulah Aurat (Jisse Sohbat Hui Ho) Ko Eik Majlis Me 3 Talaq Eik Sath Dee Gai Ho Aur Phir Bhi Huzoor ﷺ Ne Use Bina Halalah Rakhne Ki Ijazat Dee Ho, Gair Muqallideen Ke Liye Golden Chance Hai Aisi Hadees Pesh Karen Aur Faqeere Hanfi Kaleem Hanfi Razvi Se Muh Manga Inaam Lete Jayen.

"Pehli Sadi Se 7wi Sadi Tak Is Masle Ki Tareekh"

Qurane Kareem Aur Ahaadise Pak Ke Mutale Se Aapne Khoob Jaan Liya Ki Huzoor E Pak ﷺ Ki Hayate Zaaheri Me Eik Waqiyah Bhi Aisa Nahi Milta Jisme 3 Talaq Ko Eik Kaha Gaya Ho.

Sarkar E Do Aalam  ﷺ Ke Tashreef Le Jane Ke Bad Bhi Aisa Hargiz Nahi Hua Ki Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Ne Iski Ijazat Dee Ho Ki 3 Talaq Ke Bad Bhi Biwi Halalah Ke Bina Rakhi Ja Sakti Hai, Bas Gair Muqallideen Sahi Riwayat Se Hame Dikha De'n.

Note-

Eik Majlis Ki 3 Talaq Se Biwi Ke Nikah Se Bahar Hone Ka Hukm Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Jari Nahi Farmaya Balki Ye Huzoor ﷺ Hi Ke Zamane Se Hai, Bas Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ne Ispe Sakhti Se Logon Ko Amal Karwaya.

Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Ke Bad Hazraate Taba'een Ka Daur Aaya Is Zamane Me Shiyon Ne Ye Harkat Ki Ke Eik Boodhe Ko Kaha Tum Logon Ko Ek Jhuti Hadees Ye Sunao Ki Huzoor ﷺ Ne Hazrat Ali رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Farmaya Jo Shakhs Eik Hi Baar Biwi Ko 3 Talaq De To Wo Eik Talaq Hai, Wo 20 Saal Tak Logon Ko Ye Jhuti Hadees Sunata Raha, Jab Hazrat Imam Amash رحمہ اللہ Ko Iski Khabar Hui To Faoran Uske Pas Paohche Aur Hadees Ki Sanad Talab Ki Aakhir Me Budhe Ne Apna Jhoot Qubool Kiya, Aur Is Daure Taba'een Me Shiya Haram Ko Halal Karne Me Kamyab Na Ho Sake, Jaisa Aaj Shia Aur Gair Muqallideen Is Masle Me Khoob Zor Maar Rahe Hain.

Ye Baat Zahen Me Rahe Ki Taba'een Ka Daur Hijri-170 Tak Hai Aur Is Beech Hijri-150 Tak Quran O Sunnat Ki Jaame Tabeer O Tashreeh Ke Sath Pehla Fiqhi Mazhab Yani Qanune Hanfi Taiyyar Ho Chuka Tha, Yaani Imamul Aimmah Sayyedna Imam Azam Abu Hanifah Noman Ibne Sabit Ibne Zoota Kufi رضی اللہ تعالٰی عنہ Quran O Sunnat Se 12 Lakh 93 Hazar Masayel Bayan Farma Chuke The, Us Zamane Se Aaj Tak Isi Mazhabe Haq Ke Muqallideen Ka Ummat Me 80% Hissa Raha Hai, Is Pehle Fiqhi Mazhab Me Bhi Eik Baar Dee Gai 3 Talaq Ko 3 Hi Kaha Gaya, Imam Muhammad Bin Hasan Sheebani رحمہ اللہ Kitabul Aasaar Me Tehreer Farmate Hain-

لا اختلاف فيہ

Is Masle Me Kisi Ko Ekhtelaf Nahi.

Huzoor ﷺ Se Sahaba E Kiram رضوان الله عليهم أجمعين Tak Aur Phir Taba'een Tak Ye Mas'alah Kabhi Ikhtelafi Nahi Raha Hamare Imam Abu Hanifah رضی اللہ عنہ Chunki Taba'ee Hain, To Aap Ne Taba'een Ke Daur Tak Ka Haal Maloom Kiya Ab Daure Tabe Taba'een Jo Hijri 220 Tak Hai Jise Sarkar E Do Aalam ﷺ Ne Khairul Quroon Kaha Usme Baqi 3 Imam Aate Hain, Unka Bhi Is Masle Me Mauqaf Maloom Kare'n.

Daure Tabe Taba'een Me Hadees Ki Jo Kitaben Likhi Gai Yaani Zamanae Khairul Quroon Me Jaise, Musnade Imam Azam, Musannaf Abdur Razzaq, Musannaf Ibne Abi Shaibah, Motta Imam Malik, Musnade Shafai, Musnade Humaidi, Abu Dawood Tiyalsi, Wagerah In Me Se Eik Kitab Me Bhi Gair Muqallideen Sahi Sareeh Marfoo Gair Mu'ariz Hadees Nahi Dikha Sakte Ki Eik Majlis Ki 3-Talaq 1 Hai 3 Nahi.

Sarkar Imame Azam Abu Hanifah رضی اللہ عنہ To Sharfe Taba'iyat Se Musharraf Hain Aapne To Amale Sahaba Par Hukm Bayan Farmaya Lekin Baqyah 3 Imam Bhi Iske Mukhalif Nahi Wo Bhi Isi Ke Qayel Hain.

4 Imamo Ka Aksar Masayel Me Shadeed Ikhtelaf Hai Par Is Masle Me Islam Ke Ye 4-Ron Sutoon (Khambe) Eik Hain, In 4ron Ke Nazdeek 1 Majlis Me 3 Talaq Eik Lafz Se Dee Ho (Jaise Tujhe 3 Talaq) Ya 3 Lafz Se (Jaise Tujhe Talaq Talaq Talaq) Baherhaal Wo 3 Hai Eik Nahi.

Jaisa Ki Imam Abu Zakarya Yahya Bin Sharf An'nowi رحمہ اللہ Ne Sharah An'nowi Me Farmaya-

قال لامرأتہ انت طالق ثلاثاً فقال الشافعی ومالک وابو حنیفۃ واحمد وجماھیر العلماء من السلف والخلف یقع ثلاثاً‘‘۔

Tarjamah-

Jis Shakhs Ne Apni Biwi Ko Kaha Tujhe 3 Talaqen Hain To Uske Muta'alliq Imam Azam Abu Hanifah, Imam Malik, Imam Shafai, Imam Ahmad, Aur Jamhoor Ulama E Salaf O Khalaf Ne 3 Talaq Waqe Hone Ka Fatwa Diya Hai.

[شرح النووی علی المسلم، کتاب الطلاق، باب طلاق الثلاث: 1/478، مطبوعہ: قدیمی کتب خانہ،کراچی]

Allama Kamaluddin Ibne Humam رحمہ اللہ Fathul Qadeer Me Farmate Hain-

ذھب جمھورالصحابۃ والتابعین ومن بعدھم من ائمۃ المسلمین الی ان یقع ثلاثاً

Tarjamah-

Jamhoor Sahabah Taba'een Aur Unke Baad Wale Aimmah E Kiram Ka Maslak Ye Hai Ki Eik Lafz Se 3 Talaq Dene Se 3 Hi Waqe Hongi

[فتح القدیر، کتاب الطلاق، باب طلاق السنۃ: 3/469، مطبوعہ: دارالفکر، بیروت، لبنان]

Umdatul Qari Sharah Sahi Bukhari Me Hai-

مذہب جماھیر العلماء من التابعین ومن بعد ھم منھم الاوزاعی والنخعی والثوری ابو حنیفہ واصحابہ ومالک واصحابہ والشافعی واصحابہ واحمد واصحابہ واسحاق وابو ثوروابو عبید وآخرون کثیرون علی ان من طلق امراتہ ثلاثا وقعن ولکنہ یاثم وقالوا من خالف فیہ فھو شاذمخالف لاھل السنۃ وانما تعلق بہ اھل البدع ‘‘

Tarjamah-

Jamhoor Ulama E Kiram Aur Taba'een Me Se Aur Jo Unke Bad Wale Hain, Unme Imam Aowzai Aur Allama Nakh'ie Aur Sufyan Saori, Aur Imam Abu Hanifah Aur Unke As'haab, Aur Imam Malik Aur Unke As'haab, Imam Shafai Aur Unke As'haab, Aur Imam Ahmad Aur Unke As'haab, Aur Allama Is'haq Aur Allama Abu Saor, Aur Allama Abu Ubaid, Aur Bahot Se Muta'akhkhireen Ka Yahi Mazhab Hai Ki Jisne Apni Biwi Ko 3 Talaqen Dee'n To Waqe Ho Jayengi, Lekin Isse Gunehgar Hoga, Aur Ulama Ne Farmaya Jo Iske Khilaaf Mazhab Rakhta Hai Shaaz Hai Aur Ahlesunnat Ka Mukhalif Hai, Aur Uska Ta'alluq Ahle Bid'at Se Hai.

[عمدۃ القاری شرح صحیح بخاری، کتاب الطلاق، باب من اجاز طلاق الثلاث: 20/233، دار احیاء التراث العربی، بیروت]

Allama Badruddin Ayni رحمہ اللہ Ne Sahaba Se Taqriban 7wi Sadi Tak Ki Puri Tareekh Likh Dee Hai, Aur Jinke Naam Bataye Hain Wo Ilme Hadees O Fiqh Me Kohe Himalay Ki Hasiyat Rakhte Hain, Aur Jin Logon Ne Eik Majlis Ki 3 Talaq Ko Ya Eik Lafz Se 3 Talaq Ko Eik Kaha Unhe Shaaz (Kahi Kahi Paye Jane Wale) Aur Bid'ati Ahlesunnat Wa Jamat Se Kharij Bataya Hai, Jaisa Ki Us Waqt Ahle Tashee (Shia) The Aur Ab Gair Muqallideen Bhi.

Fiqhe Hanfi Ki Mash'hoor Kitab Alamgeeri Me Hai-

اذاقال لامرأتہ’’ انت طالق وطالق وطالق‘‘ ولم یعلقہ بالشرط، ان کانت مدخولۃ طلقت ثلثا‘‘

Tarjamah-

Jab Mard Ne Apni Madkhulah (Jisse Sohbat Hui) Biwi Se Kaha "Tujhe Talaq Hai Aur Talaq Hai Aur Talaq Hai" Aur Talaq Ko Kisi Shart Ke Sath Khas Na Kiya To Biwi Par Talaqen Pad Gai.

[فتاوی ہندیہ، کتاب الطلاق، الباب الثانی، الفصل الاول: 1/355، مطبوعہ: دار الفکر، بیروت۔]

Aap Ahlesunnat Ke 4ron Fiqhi Mazahib Ki Kitabe'n Utha Kar Dekhen Unme Ye Masla Maujood Hai Ki Eik Sath Dee Gai 3 Talaq Se Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai Ab Bina Halalah Ke Nahi Rakh Sakta.

Ikhtelaf Kab Hua?

Zamanae Risalat ﷺ Se 6thi (Chhati) Sadi Hijri Tak Eik Majlis Ki 3 Talaq Ko Eik Hi Maana Gaya Siwaye Shiyon Ke Kisi Ne Isme Ikhtelaf Nahi Kiya, Lekin 7wi Sadi Hijri Ka Daur Jo Ahle Islam Ke Maaddi Taraqqi Ka Sunehra Daur Tha Isme Eik Shakhs Aisa Paida Hua Jisne Apni Khud Raai Ki Bimari Se Ahle Islam Ko Inteshar O Ifteraq Ka Shikar Kar Diya, Wo Shakhs Hafiz Abul Abbas Ahmad Ibne Taimiyah Harrani Hambali Tha, Jo 10-Rabiul Awwal Hijri-661 Me Paida Hua Aur Ba'halate Qaid Jel Me Hijri-728 Dimashq (Damishq, Damascus,) Me Mara Jo Mulke Sham (Syria) Ka Darulhukumat (Capital) Hai.

Yahi Wo Ibne Taimiyah Hai Jisne Kai Ijmai Wa Ittefaqi Masayel Me Zabardast Ikhtelaf Kiya Unme Se Eik Hai 3 Talaq Ka Masla.

Gair Muqallideen Ke Imam O Peshwa Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Likhte Hain-

"Jab Shaikul Islam (Ibne Taimiyah) Ne Eik Majlis Ki 3 Talaq Ke Eik Hone Ka Fatwa Pehli Martabah Diya To Bada Shor Hua, Shaikhul Islam Aur Unke Shagird Ibne Qaiyyim Par Musibaton Ke Pahaad Toote, Unko Oont Par Bitha Kar Durre Maar Maar Kar Shaher Me Phira Kar Tauheen Ki Gai, Is Liye Ki Us Waqt Tak Ye Masla Rawafiz (Shiyon) Ki Pehchan Tha"

[اتحاف النبلاء، صفحہ نمبر-٣١٨]

Is Masle Ko Pehle Ibne Taimiyah Ne Pesh Kiya Aur Us Waqt Tak Ye Masla Sirf Shiyon Ke Yahan Tha, Is Bina Par Ibne Taimiyah Ko Islami Hukumat Ne Sakht Zaleel Kiya, Aage Is Masle Me Ibne Taimiyah Ka Sath Sirf Uske Shagird Ibne Qaiyyim Ne Diya, Uske Eik Aur Shagird Imam Abu Abdullah Shamshuddin Az'zahbi رحمہ اللہ Ne Is Masle Me Ibne Taimiyah Ki Zabardast Mukhalifat Ki, Phir 8wi 9wi 10wi 11wi 12wi 13wi Sadi Me Bhi Ye Masla Maslake Sahaba Ke Mutabiq Hi Maana Jata Raha, Par Angrez Ki Maherbaniyon Se Ibne Taimiyah Ke Chahiton Ka Eik Giroh Utha Jisne Angrezon Se Hi Apna Naam Ahlehadees Registered Karwaya, Usi Naam Nihaad Ahlehadees Firqe Ne Is Masle Ko Ibne Taimiyah Ki Pairwi Karte Huye Maana Aur Farmane Khuda Wa Rasool ﷺ Aur Amale Sahaba Wa Salaf Saleheen Ki Mukhalifat Ki Aur Shiyat Ko Farogh Dena Shiru Kiya.

Ibne Taimiyah Ke Kuch Aur Tafar'rudaat (Ijmai Masayel Ke Khilaf Akela Pan) Aur Uske Muta'alliq Jalilul Qadr Ulama Ki Aara Janiye.

Allama Taqiyuddin Subki Shafai رحمہ اللہ Ibne Taimiyah Ke Aqaid O Tafar'rudaat Batate Huye Tehreer Farmate Hain-

"Allah Jism Hai Wo Makan Badalta Hai Uska Size Arsh Ke Barabar Hai Na Chhota Na Bada, Dozakh Fana Ho Jayegi, Koi Nabi Masoom Nahi, Huzoor ﷺ Ka Allah Ke Nazdeek Koi Martabah Nahi Hai, Huzoor ﷺ Ki Qabre Anwar Ki Ziyarat Ka Safar Gunah Hai, Aur Us Safar Me Namaz Qaza Nahi Padhi Jayegi, Haiz Wali Ko Tawafe Kaba Jayez Hai, Aur Uspe Koi Kaffara Nahi Hai, Hazrat Umar Ne Quran O Hadees Ke Khilaf Masayel Bataye Hain, Hazrat Ali Ne 70 Jagah Galti Ki, Eik Sath Dee Gai 3-Talaq Eik Hi Hai, Huzoor ﷺ Ka Wasila Aur Unse Istishfa (Shafa'at Talab Karna) Haram Hai, Tamam Sufiya Khususan Imam Gazali Ko Galiyan Deta Tha"

Allama Subki Apni Kitab Me Likhte Hain-

Ambiya Se Tawassul Aur Isteghasa Pesh Karna Jayez Hai Kabhi Kisi Momin Ne Inkar Nahi Kiya, Iska Pehla Munkir Ibne Taimiyah Tha.

[ شفاء السقام فی زیارة خیر الانام، صفحہ نمبر-٦٦}

Mash'hoor Saiyyah Ibne Batuta Apne Safar Naame Me Likhta Hai-

"Jab Mai Dimashq Gaya To Dekha Ibne Taimiyah Juma Ka Khutbah De Raha Tha, Wo Mimbar Se Eik Darja Niche Utra Aur Kaha Allah Bhi Aasman Se Aise Hi Utrega Jaise Mai Mimbar Se Utra."

[سفر نامہ ابن بطوطہ]

Allama Jalaluddin Suyuti رحمہ اللہ Farmate Hain-

"Mai Ne Ibne Taimiyah Ka Anjaam Dekha Use Zaleel Kiya Gaya Uski Burai Ki Gai, Aur Uski Tadleel O Takfeer Hui."

Allama Ibne Hajar Haytmi Shafai رحمہ اللہ Farmate Hain-

"Ibne Taimiyah Bid'ati Gumrah Aur Gumrah Karne Wala Hai, Uski Baton Ko Najasat Ke Gadhe Me Phenka Jaye, Wo Hai Kya Jo Uski Suni Jaye, Allah Ne Use Na'murad Kiya, Use Gumrah Kiya, Ruswai Ki Chadar Uspe Daal Dee, Mehrumi Uspe Wajib Ki Gai, Anjaam Uska Zaleel Hona Hai."

[الجوہر المنظم فی زیارة القبر النبوی المکرم، صفحہ نمبر-٨٩]

Allamah Yusuf Bin Isma'eel Nabhani رحمہ اللہ Farmate Hain-

"Ibne Taimiyah Ke Hum Zamana Ulma Me Imam Sadruddin Bin Wakeel Shafai رحمہ اللہ Ne Usse Munazrah Kiya, Aur Imam Abu Haiyyan رحمہ اللہ Ko Jab Uski Gumrahi Ka Pata Chala To Aap Usse Kat Gaye Aur Logon Ko Usse Door Rehne Ki Takeed Ki."

Ulma Ki Badi Jamat Ne Use Gumrah Aur Gumrah Gar Kaha, Use Kafir Kehne Wale Bhi Badi Tadad Me Hain Jaise Hazrat Mulla Ali Qari رحمہ اللہ Aur Allama Shahabuddin Khafaji رحمہ اللہ.

Ibne Taimiyah Ke Hawale Se Puri Tafseel Ki Yahan Gunjaish Nahi Bas Ikhtesar Se Uske Aqa'id Ka Zikr Kiya Gaya Taki Log Jaane Is Shakhs Ki Baat Ki Haqiqat Kya Hai, Phir Agar Aisa Sakht Gumrah Puri Ummat Ke Ijma Ko Tod Kar Phaad Kar Ye Kahe Ki 3 Talaq Eik Hai To Kyu Kar Maana Jayega?

"Fareeqe Mukhalif Ke Dalayel Ka Jayezah"

Quran O Hadees Par Gasibana Qabzah Jamane Wale Gair Muqallideen Ki Quran Fehmi Aur Hadees Daani Ka Ye Haal Hai Ki Unhe Aur Unke Bade Bade "Ullu May Crime" Ko Door Door Tak Is Fann Ki Hawa Tak Nahi Lagi, Ye To Bas Aise Hi Hai Ki Chuhe Ko Haldi Ki Gaanth Mili Aur Usne Pansaari Ki Dukan Khol Lee.

3-Talaq Ke Masle Me Hum Ne Thoss Dalayel Ke Ambaar Laga Diye Hain, Ab Zaruri Banta Hai Ki Chuhe Ki Bhi Khabar Lee Jaye Aakhir Wo Hadis'en Hain Kaunsi Jis Bina Par In Yatimul Aqlon Ko Muhaddis Aur Mujtahid Banne Ka Bukhar Chadha Hua Hai.

Talashe Bisyaar Ke Baad In Angrezi Munno Ke Hath Jo Kuch Laga Uski Haqiqat To Makdi Ke Jaale Se Bhi Kamzor Hai, 3- Talaq Ke Eik Hone Par Gair Muqallideen Jo Hadees'en Pesh Karte Hain Unme Se Sahi Muslim Ki Eik Ye Riwayat Hai-

Hadees-

عن طاؤس عن ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: کَانَ الطَّلَاقُ عَلَی عَھْدِ رَسُولِ اللہِ صَلَّی اللیُ عَلَیہِ وَسَلَّمَ، وَاَبِی بَکْرٍ، وَسَنَتَیْنِ مِنْ خِلَافَۃِ عُمَرَ، طَلَاقُ الثَّلَاثِ وَاحِدَۃً، فَقَالَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ: اِنَّ النَّاسَ قَدِ اسْتَعْجَلُوا فِی اَمْرٍ قَدْ کَانَتْ لَھُمْ فِیہِ اَنَاۃٌ، فَلَوْ اَمْضَیْنَاہُ عَلَیْھِمْ، فَاَمْضَاہُ عَلَیْھِمْ‘‘

Tarjamah-

Ta'wus Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Se Riwayat Karte Hain Ki Rasulullah ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar رضی اللہ عنہ Ke Zamane Me Aur Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ke Ibte'daai Daore Khilafat Me 3-Talaq Ko Eik Shumar Kiya Jata Tha, To Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Farmaya, Jis Kaam Me Logon Ke Liye Aasani Thi Logon Ne Use Jaldi Karna Shuru Kiya, Pass Hum 3 Talaq Ko Naafiz Kar De'n To Behtar Hoga Phir Aap Ne 3 Talaq Ke Naafiz Hone Ka Hukm Diya.

[صحیح مسلم، کتاب الطلاق، باب الطلاق الثلاث، حدیث نمبر( 1472): 3/1099، مطبوعہ: دار احیاء التراث، بیروت]

Is Hadees Se Gair Muqallideen Awam Ko Ye Dhoka Dete Hain Ki 3-Talaq Ko Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ne Naafiz Karna Shuru Kiya Unse Pehle Ye Eik Hi Shumar Ki Jati Thi, Lekin Hum Ne Piche Quran O Hadees Se Iska Tawatur Sabit Kiya Hai, Gair Muqallideen Ka Is Hadees Se Istedlal Karna 7-Wajhon Se Batil Hai.

Wajah No-1

Is Hadees Se Gair Muqallideen Ka Matlab Is Liye Haasil Nahi Ho Sakta Chunki Iske Ta'alluq Se Imam Maar'deeni رحمہ اللہ Ne Sahibe Al'istizkaar Ke Hawale Se Farmaya Hai-

ان ھذہ الروایۃ وھم وغلط لم یعرج علیھا احد من العلماء‘‘

Tarjamah-

Ye Riwayat Wahem Aur Galat Hai, Chunki Ulma Me Se Kisi Ne Isko Qubool Nahi Kiya.

[الجوہر النقی: 7/337، مطبوعہ: دار الفکر، بیروت، لبنان]

Wajah No-2

Hazrat Imam Behaqi رحمہ اللہ Ne Farmaya-

وھذا الحدیث احد ما اختلف فیہ البخاری ومسلم فاخرجہ مسلم، وترکہ البخاری واظنہ انما ترکہ لمخالفتہ سائر الروایات عن ابن عباس‘‘

Tarjamah-

Ye Riwayat Unme Se Eik Hai Jisme Imam Bukhari Aur Imam Muslim Ke Beech Ikhtelaf Hua Hai, Imam Muslim رحمہ اللہ Ne To Ise Naql Kiya Lekin Imam Bukhari رحمہ اللہ (Jo Imam Muslim Ke Ustad Bhi Hain Aur Ilme Hadees Me Unki Hasiyat Unse Bar'tar Hai) Ne Is Hadees Ko Apni Sahi (Bukhari Sharif) Me Darj Nahi Kiya. Kyun Ki Ye Riwayat Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ki Digar Riwayaat (Jo Unse Hi Eik Majlis Ki 3 Talaq Ke 3 Hi Hone Par Hai) Ke Khilaf Hai,

[السنن الکبری، کتاب الطلاق، حدیث نمبر-( 14974) 7/551، مطبوعہ: دار الکتب العلمیۃ، بیروت]

Nazir'een Gaor Farmayen Imam Bahaqi رحمہ اللہ Ne Kaisa Saaf Faisla Farmaya Ki Shagird Ka Ise Naql Karna Lekin Ustad Ka Ise Tark Karna Ise Gair Sahi Bana Deta Hai Aur Ye Riwayat Na Qabile Aitemad Hai.

Ajeeb Ulti Khopdi Ke Log Hain Gair Muqallideen Jab Hum Imam Ke Piche Sure Fatiha Na Padhne Ki Hadees Sunane Nasai Se Pesh Karte Hain Jise Imam Muslim رحمہ اللہ Ne Sahi Muslim Me Sahi Hadees Farmaya Hai, Tab Gair Muqallideen Kehte Hain Imam Bukhari Ne To Ise Nahi Liya Ab Yahan Baat Aap Par Palat Gai, Eik Hadees Jise Imam Muslim Ne To Liya Par Hazrat Imam Bukhari رحمہ اللہ Ne Nahi Liya To Ab Gair Muqallideen Ka Imam Bukhari Ki Raah Se Farar Kyun?

Wajah No-3

Ye Riyawat Khud Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ke Fatwe Ke Khilaf Hai, Aisa Nahi Ho Sakta Ki Sahabi Fatwa De'n Kuch, Aur Uske Khilaf Riwayat Kare Kuch.

Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ka Fatwa Imame Darul Hijrat Sayyedna Imam Malik Bin Anas رحمہ اللہ Ne Apni Mo'atta Me Likha Hai-

اَنَّ رَجُلاً قَالَ لِعَبْدِ اللہِ بْنِ عَبَّاسٍ: اِنِّی طَلَّقْتُ امْرَاَتِی مِاءَۃَ تَطْلِیقَۃٍ، فَمَاذَا تَری عَلَیَّ؟ فَقَالَ لَہُ ابْنُ عَبَّاسٍ: طَلُقَتْ مِنْکَ لِثَلاَثٍ، وَسَبْعٌ وَتِسْعُونَ اتَّخَذْتَ آیَاتِ اللہِ ھُزُواً

Tarjamah-

Eik Shakhs Ne Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Se Kaha Mai Ne Apni Biwi Ko 100 Talaqen Dee'n Hain To Aap Kya Farmate Hain.? Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ne Farmaya 3 To Waqe Ho Gai Baqi 97 Ki Wajah Se Tune Allah Pak Ki Aayaat Se Mazaq Kiya Hai.

[مؤطا امام مالک، کتاب الطلاق، حدیث نمبر(2021): 4/789، مطبوعہ: مؤسسہ زاید بن سلطان، ابو ظہبی]

Bataiye Eik Taraf To Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Khud Fatwa De'n Ki 3 Talaq Waqe Ho Gai, Aur Dusri Taraf Wo Khud Hadees Riwayat Karen Ki 3 Talaq Waqe Nahi Hoti Ye Kaise Ho Sakta Hai, Agar Ye Hadees Durust Hai To Aapne Iske Khilaaf Fatwa Kyun Diya, Koi Bhi Sahabi Jaan Boojh Kar Hadees Ki Mukhalifat Nahi Kar Sakta, Ahlesunnat Ke Nazdeek Tamam Sahaba Aadil Hain, Agar Sahi Muslim Ki Is Riwayat Ko Durust Maana Jaye To Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ki Adalat Par Harf Aata Hai, Aur Ye Baat Ahlesunnat Ko Hargiz Gawara Nahi, Haan Gair Muqallideen Rafziyon Ki Tarah Tamam Sahaba Ko Aadil Nahi Maante Aur Huzoor ﷺ Ki Hadees Ke Khikaf Fatwa Dene Wala Bhi Samajhte Hain.

Lekin Hum Ahlesunnat Wa Jamat Ke Nazdeek Tamam Sahaba Aadil O Raashid Hain Haadi Wa Mehdi Hain. Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ka Fatwa Dusrust Hai Aur Aapki Ye Riwayat Imam Hazrat Maardeeni رحمہ اللہ Ke Mutabiq Galat Hai.

Wajah No-4

Is Riwayat Ke Mutabiq Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ne Huzoor ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar رضی اللہ عنہ Ke Faisle Ki Mukhalifat Ki, Ye Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ki Sakht Tauheen Hai, Aur Sahaba Ka Gustakh Ahlesunnat Se Kharij Hai.

Wajah No-5

Is Riwayat Se Istedlal Karna Tamam Sahaba Ki Tauheen Karna Hai, Wo Aise Ki Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Ne Huzoor ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar Siddiq رضی اللہ عنہ Ke Faisle Ki Mukhalifat Ki Aur Sahaba Unse Raazi Rahe (Maaz Allah).

Wajah No-6

Is Riwayat Ke Muta'alliq Allama Hajar Asqalani Shafai رحمہ اللہ Bukhari Ki Sharah Fathul Baari Me Likhte Hain-

معارضتہ بفتوی ابن عباس بوقوع الثلاث، فلا یظن بابن عباس انہ کان عندہ ھذاالحکم عن النبی صلی اللہ علیہ وسلم ثم یفتی بخلافہ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ انہ مذھب شاذ‘‘

Tarjamah-

Ta'wus Ki Ye Riwayat Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہما Ke Fatwe Ke Khilaf Hai, Hazrat Ibne Abbas Jaise Azeem Sahabi Ke Bare Me Ye Nahi Socha Ja Sakta Ki Wo Huzoor ﷺ Se Eik Cheez Riwayat Karen Aur Khud Uske Khilaf Fatwa De'n Lihaza Ye Riwayat Shaaz Hai.

[فتح الباری، کتاب الطلاق: 9/363، مطبوعہ: دارالمعرفہ، بیروت، لبنان]

Wajah No-7

Eik Sath Dee Gai 3 Talaq 1 Tab Hogi Jab Gaire Madkhulah (Jisse Sohbat Na Ki Gai Ho) Ko Dee Jaye, Lekin Ta'wus Ne Ye Hukm Madkhulah (Jisse Sohbat Hui) Ka Bhi Samajh Liya, Jaisa Ki Iski Ta'eed Me Ye Riwayat Hai-

عَنْ لَیْثٍ، عَنْ طَاوُسٍ وَعَطَاءٍ، اَنھُمَا قَالَ اِذَا طَلَّقَ الرَّجُلُ امْرَاَتَہُ ثَلَاثًا، قَبْلَ اَنْ یَدْخُلَ بِھَا فَھِیَ وَاحِدۃٌ‘‘

Tarjamah-

Lais Riwayat Karte Hain Ki Ta'wus Aur Ataa Kehte The Ki Jab Mard Ne Apni Biwi Ko 3 Talaq Dee Dukhool Se Qabl To Use Eik Talaq Waqe Hogi

[مصنف ابن ابی شیبہ، کتاب الطلاق، حدیث نمبر( 17878): 4/69، مطبوعہ: م?تبۃ الرشد]

"Ta'woos Ki Hadees Ka Sahi Matlab"

Us Hadees Ka Sahi Maana Wa Mahmil Wahi Ho Sakta Hai Jo Allama Kamal Ibne Humam Ne Farmaya-

فتاویلہ ان قول الرجل انت طالق انت طالق انت طالق اان واحدۃ فی الزمن الاول لقصد ہم التاکید فی ذلک الزمان، ثم صاروا یقصدون التجدید فالزمھم عمر رضی اللہ عنہ

Tarjamah-

Ta'wus Ki Riwayat Ki Taweel Ye Hai Ki Rasulullah ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke Zamane Me Anta Taliq Anta Taliq Anta Taliq Me Log Dusre Aur Tisre Alfaze Talaq Se (New Talaq Ke Bajaye Pihchli Talaq Ki) Ta'keed Murad Lete The, Phir (Haztat Umar Ke Zamane Me) Wo Dusre Aur Tisre Alfaze Talaq Se (Takeed Ke Bajaye) New Talaq Murad Lene Lage, To Hazrat Umar Ne 3 Talaq Ke Naafiz Karne Ka Hukm De Diya

[فتح القدیر، کتاب الطلاق، باب طلاق السنۃ: 3/471، مطبوعہ: دارالفکر، بیروت، لبنان۔]

Gair Muqallideen Ka Sahi Muslim Ki Is Hadees Se Istedlal Ka Batil Hona Hum Ne 7 Wajhon Se Sabit Kiya, Aur Sahibe Fathul Qadeer Allama Ibne Humam Ki Tauhzeeh Bhi Pesh Ki Ke Is Hadees Ka Sahi Mahmil Kya Hai?

Rasulullah ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar Ke Zamane Me Eik Majlis Ki 3 Talaq Se Baaz Auqat Dusra Aur Tisra Lafze Talaq Takeed Yani Pehli Ek Talaq Ko Mo'akkad Karne Ke Liye Hota Tha Na Ki 3 Talaq Ki Niyyat, Ab Isi Ka Bahana Zamana E Faruqi Me Log Karne Lage To Aap Ne Is Uzr Ko Khatm Farma Eik Nashisht Me Kahe Gaye 3 Alfaze Talaq Ko Talaqe Mughallazah Naafiz Karne Ka Hukm Diya.

Is Qadar Wazahat Aur Tashreeh Ke Baad Bhi 3 Talaq Ko Eik Manna Ilme Hadees Se Na'waqifiyat Jihalat, Hatt Dharmi Bewaqufi Nahi To Aur Kya Hai?

"Is Mas'ale Me Gair Muqallideen Ki Dusri Daleel"

Eik Saath Dee Hui 3 Talaq Ke Eik Hone Par Gair Muqallideen Ke Pas Dusri Daleel Hadise Rukana Hai Jo Musnade Imam Ahmad Bin Hambal Me Ye Hai-

Hadees-

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ: طَلَّقَ رُکَانَۃُ امْرَاَتَہُ ثَلَاثًا فِی مَجْلِسٍ وَاحِدٍ، فَحَزِنَ عَلَیْھَا حُزْنًا شَدِیدًا، فَسَاَلَہُ رَسُولُ اللَّہِ صَلّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ: کَیْفَ طَلَّقْتَھَا؟ قَالَ: طَلَّقْتُھَا ثَلَاثًا، قَالَ: فَقَالَ: فِی مَجْلِسٍ وَاحِدٍ؟ قَالَ: نَعَمْ، قَالَ: فَاِنَّمَا تِلْکَ وَاحِدَۃٌ فَاَرْجِعْھَا اِنْ شِْتَ‘‘

Tarjamah-

"Rukana Ne Apni Biwi Ko 3 Talaq Eik Majlis Me Dee Aur Sakht Pareshan Huye, Unse Rasulullah ﷺ Se Pucha Tune Talaq Kaise Dee Thi,  Unho Ne Kaha Eik Sath 3 Phir Huzoor ﷺ Ne Farmaya Wo Eik Hui Pass Agar Tu Chahe To Rujoo Kar Le."

[مسند احمد، مسند ابن عباس، حدیث نمبر( 2387): 4/215، مطبوعہ: مؤسسۃ الرسالۃ، بیروت]

Gair Muqallideen Ise Apne Liye Badi Mazboot Daleel Samajhte Hain Aur Baar'haa Awam Ko Dhoka Dene Ke Liye Ise Pesh Karte Hain, Is Liye Hum Ne Socha Apni Is Kitab (3-Talaq Ki Tehqeeq) Me Ise Bhi Shamil Kar Liya Jaye Aur Ispar Sair Hasil Ilmi Guftagu Kee Jaye Taki Hamare Bhaiyon Ke Samne Jab Ye Hadees Aaye To Wo Gair Muqallideen Ke Fareb Me Na Aayen.

Gair Muqallideen Ka Is Hadees Se Apna Matlab Nikalna 6 Wajhon Se Baatil Hai.

Wajah No-1

Ye Hadees Za'eef Hai Aur Hadise Za'eef Se Masayel Ka Istekhraj Nahi Hota Albatta Faza'ile Aamaal Me Motabar Hai, Is Hadees Ke Muta'alliq Imam Ibne Jozi رحمہ اللہ Farmate Hain-

ھذا حدیث لا یصح، ابن اسحاق مجروح وداود اشد منہ ضعفاً، قال ابن حبان: فیجب مجانبۃ روایتہ والظاھر انہ من غلط الرواۃ

Tarjamah-

Ye Hadees Sahi Nahi Hai, Ibne Is'haq Majruh Hai, Aur Dawood Sakht Tareen Za'eef Hai, Aur Ibne Habban Farmate Hain Ki Inki Riwayaat Se Bachna Zaruri Hai, Aur Zahir Hai Ki Ye Riwayat Rawiyon Ki Galti Hai

[العلل المتناہیہ فی الاحادیث الواہیہ، کتاب النکاح، حدیث نمبر1059: 2/151، ادارۃ العلوم الاثریۃ، پاکستان]

Wajah No-2

Hadise Rukana Za'eef Hone Ke Sath Sath Mo'al'lal Wa Muztarib Bhi Hai, Imame Bukhari رحمہ اللہ Ne Ise Mo'al'lal Wa Muztarib Qarar Dete Huye Ise Apni Sahi (Bukhri Sharif) Me Naql Nahi Farmaya, Agar Ye Hadees Sahet Ke Darje Ko Pahochti To Zaroor Wo Ise Naql Farmate.

Imam Ibne Hajar Asqalani Shafai رحمہ اللہ Farmate Hain-

واعلہ البخاری بالاضطراب، وعن ابن عباس رواہ احمد والحاکم وھو معلول ایضاً

Tarjamah-

Imam Bukhari Ne Hadise Rukana Ko Izterab Ki Wajah Se Mo'al'lal Qarar Diya Hai, Aur Hazrat Abdullah Ibne Abbas Se Riwayat Jisko Imam Ahmad Aur Haakim Ne Riwayat Kiya Wo Bhi Malool Hai.

[التلخیص الحبیر، کتاب الطلاق، حدیث نمبر( 1603): 3/458، مطبوعہ: دار الکتب العلمیۃ، بیروت]

Wajah No-3

Hadise Rukana Za'eef Hone Ke Sath Sath Munkar Bhi Hai, Jaisa Ki Allama Kamaluddin Ibne Humam Ne Is Hadees Ko Munkar Qarar Diya Hai Wo Fathul Qadeer Me Farmate Hain-

حدیث رکانۃ فمنکر

Tarjamah-

Rukana Ki Hadees Munkar Hai.

[فتح القدیر، کتاب الطلاق، باب طلاق السنۃ: 3/471، مطبوعہ: دارالفکر، بیروت، لبنان]

Wajah No-4

Rukana Ki Hadees Musnade Ahmad Ke Bajaye Siha Sitta Ki Kutube Hadees Me Jo Darj Hai Wahi Sahi Hai Aur Usme 3 Talaq Ke Bajaye Eik Talaq Ka Zikr Hai, Ajeeb Baat Hai Gair Muqallideen Hadise Rukana Jo Musnade Ahmad Me Za'eef Sanad Se Riwayat Hai Usse To Istedlal Karte Hain Lekin Uske Muqabil Wahi Hadise Rukana Jo Sanad Ke Aitebar Se Sahi Hai Aur Use Siha Sitta Ke 3 Azeem Mohaddiseen Yani Imam Abu Esa Tirmizi Ne Jame Tirmizi Me (Hadis No-1177) Imam Abu Dawood Ne Sunane Abi Dawood Me (Hadis No-2206) Aur Imam Ibne Majah Ne Sunane Ibne Majah Me (Hadis No-2051) Naql Farmaya Usko Tark Kar Dete Hain, Bewaqufon Ka Ye Tola Sahi Hadees Ko Tark Kar Ke Munkar Aur Za'eef Hadees Se Istedlal Kar Raha Hai Aur Phir Iske Bal Boote Par Apna Naam Ahlehadees Rakhe Huye Hai.

Wah Re Hadees Fehmi Hadees Daani Aur Amal Bil Hadees.

Rukana Ki Eik Talaq Wali Hadees Ko Naql Farma Kar Hazrat Imam Abu Dawood رحمہ اللہ Farmate Hain-

قال ابو داود: وھذا اصح من حدیث ابن جریج ان رکانۃ طلق امراتہ ثلاثاً

Tarjamah-

Ibne Juraij Ki Wo Hadis Jisme Hai Ki Rukana Ne Apni Biwi Ko 3 Talaq Dee Thi Usse Ye Hadees Sahi Hai (Ki Rukana Ne Apni Biwi Ko Eik Hi Talaq Dee Aur Rasulullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Us Eik Talaq Se Rujoo Ka Hukm Diya).

[سنن ابی داود، کتاب الطلاق، باب فی البتہ، حدیث نمبر(2208): 2/263، مطبوعہ: المکتبۃ العصریۃ، بیروت]

Rukana Ne Apni Biwi Ko Eik Majlis Me Eik Talaq Dee Ye Hadees Siha Sitta Ki 3 Kitabon Me Hai Aur Sahi Hai Aur Musnade Ahmad Me Jo Hai Ki Unho Ne 3 Talaq Eik Majlis Me Dee Thi Wo Za'eef Munkar Mo'al'lal Wa Muztarib Hai, Imam Abu Dawood Ne 1 Talaq Wali Sahi Hadees Ki 2 Sanade'n Bayan Ki Hain.

1) Naafe Bin Ujair Bin Yazeed Bin Rukana.

2) Abdullah Bin Ali Bin Yazeed Bin Rukana.

Ab In Dono Sanadon Se Imam Abu Dawood رحمہ اللہ Ne Jo Hadees Naql Ki Hai Wo Ye Hai-

Hadees-

حدثنا ابن السرح، وابراھیم بن خالد الکلبی ابو ثور، فی آخرین قالوا: حدثنا محمد بن ادریس الشافعی، حدثنی عمی محمد بن علی بن شافع، عن عبد اللہ بن علی بن السائب، عن نافع بن عجیر بن عبد یزید بن رکانۃ: اَنَّ رکَانَۃَ بْنَ عَبْدِ یَزِیدَ طَلَّقَ امْرَاَتَہُ سُھَیْمَۃَ الْبَتَّۃَ، فَاَخْبَرَ النَّبِیَّ صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ بِذَلِکَ، وَقَالَ: وَاللّہِ مَا اَرَدْتُ اِلَّا وَاحِدَۃً، فَقَالَ رَسُولُ اللَّہِ صَلَّی اللہ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ: وَاللَّہِ مَا اَرَدْتَ اِلَّا وَاحِدَۃً؟، فَقَالَ رُکَانَۃُ: وَاللَّہِ مَا اَرَدْتُ اِلَّا وَاحِدۃً، فَرَدھَا اِلَیْہِ رَسُولُ اللَّہِ صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ، فَطَلَّقَھَا الثَّانِیَۃَ فِی زَمَانِ عُمَرَ، وَالثَّالِثَۃَ فِی زَمَانِ عُثْمَانَ‘‘

Tarjamah-

Rukana Bin Abde Yazeed Ne Apni Biwi Sohaimah Ko Talaqe Batta Dee, Aur Is Mamle Ko Rasulullah ﷺ Ki Bargah Me Pesh Kiya Aur Kaha Allah Ki Qasam Mai Ne Talaq Batta Se Sirf Eik Talaq Ka Irada Kiya Tha, To Rasulullah ﷺ Ne (Unke Irade Ki Tasdeeq Karte Huye) Unka Nikah Baaqi Rakha, Rukana Ne Apni Biwi Ko Dusri Talaq Hazrat Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke Zamane Me Dee, Aur Tisri Talaq Hazrat Usman رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke Zamane Me Dee.

[سنن ابی داود، کتاب الطلاق، باب فی البتہ، حدیث نمبر(2206): 2/263، مطبوعہ: المکتبۃ العصریۃ، بیروت]

Ye Hadees Dusri Sanad Se Imam Abu Dawood رحمہ اللہ Ne Is Tarah Bayan Farmai.

Hadees-

حدثنا سلیمان بن داود العتکی، حدثنا جریر بن حازم، عن الزبیر بن سعید، عن عبد اللہ بن علی بن یزید بن رکانۃ، عن ابیہ، عن جدہ: انہ طلق امراتہ البتۃ، فاتی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم فقال: ما اردت، قال: واحدۃ، قال: آللہ؟، قال: آللہ، قال: ھو علی ما اردت‘‘۔

Tarjamah-

Abdullah Bin Ali Bin Yazeed Bin Rukana Apne Walid Yazeed Bin Rukana Se Aur Wo Apne Dada Se Riwayat Karte Hain Ki Unho Ne Apni Biwi Ko Talaqe Batta Dee To Rasulullah ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Sara Mamla Arz Kiya, To Rasulullah ﷺ Ne Pucha Tum Ne Is Lafz Se Kya Irada Kiya? Arz Kiya Eik Talaq Ka Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Kya Allah Ke Naam Ka Half (حلف) Utha Kar Kehte Ho? Unho Ne Arz Kiya Allah Ki Qasam, Rasulullah ﷺ Ne Farmaya Wahi Talaq Hui Jiska Tum Ne Irada Kiya (Yani Eik Talaq).

Wajah No-5

Mazkurah Hadees Me

انت طلاق البتہ

(Anta Talqul Battaa) Md Lafz "Batta" Ka Maana Kaatna Hai, Aur Is Jumle Ka Matlab Ye Hai Ki Tujhe Aisi Talaq Jo Tere Mere Darmiyan Ta'alluqe Nikah Ko Kaat De.

Ab Ta'alluqe Nikah Ka Katna 3 Talaqe Mugallazah Se Bhi Hota Aur Eik Talaqe Ba'in Se Bhi, Lihaza Ye Lafz Eik Talaqe Ba'in Ka Bhi Ehtemal Rakhta Hai Aur 3 Talaq Ka Bhi, Us Zamane Me Batta Ka Lafz Aam Taor Se 3-Talaq Ke Liye Bola Jata Tha Isi Liye Rasulullah ﷺ Ne Unse Qasam Lee Taki Unki Niyyat Ka Pata Chale, Aur Jab Rukana Ne Apne Eik Talaq Ki Niyyat Batai To Huzoor ﷺ Ne Eik Talaqe Ba'in Ka Hukm Ata Farma Kar Unhe Nikah Ke Zarye Rujoo Karne Ka Hukm Farmaya.

Rasulullah ﷺ Ka Unki Niyyat Par Qasam Lena Is Baat Par Dalalat Karta Hai Ki Agar Wo Sahabi 3 Talaq Murad Lete Ya Eik Talaq Murad Na Lete To Huzoor 3 Talaq Ke Waqe Hone Ka Hukm Saadir Farma Dete, Aur Agar 3 Talaq Se Eik Hi Talaq Murad Hoti To Phir Huzoor ﷺ Ke Qasam Lene Ka Koi Faidah Hi Nahi Tha. Aap Farma Dete Ki Eik Hi Talaq Hui Hai Tum Niyyat 3 Ki Karo Ya Na Karo,

Jaisa Ki Imam Nowi Shafai رحمہ اللہ تعالی Ne Sharah Muslim Me Farmaya.

فھذا دلیل علی انہ لو اراد الثلاث لوقعن والا فلم یکن لتحلیفہ معنی

Tarjamah-

Ye Is Par Daleel Hai Ki Agar Wo Sahabi 3 Talaq Murad Lete To 3no Waqe Ho Jati Warna Qasam Lene Ka Koi Faidah Nahi.

[شرح النووی علی المسلم، کتاب الطلاق، باب طلاق الثلاث: 1/478، مطبوعہ: قدیمی کتب خانہ،کراچی]

Wajah No-6

Imam Abu Dawood Imam Tirmizi & Imam Ibne Majah Ne Hadise Rukana Ko Unke Bete Yazeed Bin Rukana Ke Hawale Se Aur Imam Abu Dawood Ne Naafe Bin Ujair Bin Abde Yazeed Bin Rukana Se Riwayat Kiya Jaisa Ki Pehle 2no Hadise Bayan Ki Ja Chuki Hain Jabki Imam Ahmad Ne Hadise Rukana Ko Apni Musnad Me Ibne Juraij Ke Hawale Se Riwayat Kiya Har Hoshmand Par Ye Baat Wazeh Hai Ki Jab Yazeed Bin Rukana Aur Naafe Bin Ujair Bin Abde Yazeed Bin Rukana Hazrat Rukana Ke Ghar Ke Logo Me Hain To Yaqinan Kisi Dusre Ke Muqable Me Wo Ziyadah Jante Hain Ki Unke Dada Hazrat Rukana Ne Unki Ahliyah Ko Talaqe Batta Dee Thi Ya 3 Talaq Dee Thi, Lihaza Jamate Mohaddiseen Ne Yazeed Bin Rukana Aur Naafe Bin Ujair Bin Abde Yazeed Bin Rukana Ki Riwayat Ko Ibne Juraij Ki Riwayat Par Tarjeeh Dee Aur Ibne Juraij Ki Riwayat Ko Majrooh Aur Na'qabile Qubool Qarar Diya.

Imam Abu Dawood رحمہ اللہ تعالی Ne Irshad Farmaya-

لانھم اھل بیتہ وھم اعلم بہ‘‘

Tarjamah-

Yazeed Bin Rukana Hazrat Rukana رضی اللہ تعالٰی عنہ Ke Ghar Ke Afraad Me Se Hain Aur Wo Is Maamle Ko Ziyadah Jante Hain.

[سنن ابی داود، کتاب الطلاق، باب فی البتہ، حدیث نمبر(2206): 2/263?264، مطبوعہ: المکتبۃ العصریۃ، بیروت]

Is Masle Par Sair Haasil Bahes Ki Gai Aur Thoss Dalayel Se Sahi Masle Ki Wahazat Ki Gai Aakheer Me Gair Muqallideen Ke Akabireen Ki Aaraa (Raye) Bhi Is Masle Par Padh Le'n.

"Gair Muqallideen Ke Apne Ghar Se Unke Khilaf Daleel"

Wahabiyah (Gair Muqallideen) Ke Imam O Peshwa Ibne Taimiyah Ke Nazdeek Bhi Hanfi Shakhs Ko 3 Talaq Ko 1 Manne Ka Fatwa Dena Batil Aur Ijma Ke Khilaf Hai, Ibne Taimiyah Ne Apne Fatawe Me Ye Usool Bayan Kiya Hai Ki Jo Jis Mazhab Ka Pairokar Ho Use Uske Mazhab Ke Mutabiq Hi Amal Karna Chahiye.

Mahez Faide Ke Liye Dusre Mazhab Par Amal Karna Na'jayez O Haram Aur Puri Ummat Ke Ijma Ke Khilaf Hai, Jaise Aaj Kal Log Gusse Aur Jazbaat Me Besoche Samjhe Eik Sath 3 Talaq De Dete Hain Phir Gussa Thanda Hone Par Pachtawa Hota Hai Ki Ye Mai Ne Kya Kar Diya.? Jab Kisi Taraf Se Koi Rasta Nahi Milta Hai To Apne Mafaad Ke Liye Firqah Ahlehadees Ke Paas Jate Hain Halaki Talaq Dene Se Qabl Wo 4ro Me Se Kisi Na Kisi Imam Ka Muqallid Zaroor Hota Hai Aur Uska Khayal Bhi Yahi Hota Hai Ki 3 Talaq 3 Hi Hai Ek Nahi, Aur Use 3 Talaq Ko 1 Batane Wala Ahle Hugees Mulla Bhi Janta Hai Ki 4ron Imam Ke Nazdeek Eik Saath Dee Gai 3 Talaq 3 Hi Hai Eik Nahi Aur Ye Jo Hamare Pas Majboor Ho Kar Aaya Hai Ise Is Masle Me Aasani De Kar Hum Hamesha Ke Liye Apna Banda Bana Len Is Chakkar Me Ye Gair Muqallideen Mulla Quran O Hadees Aur Ijma Ke Khilaf Balki Khud Apne Imam Ibne Taimiyah Ke Khilaf Use Fatwa Dete Hain Ki Eik Saath Dee Gai 3 Talaq 3 Nahi Balki Eik Hai Biwi Nikah Me Baaqi Hai Aur Is Tarah Use Haramkari Ka Permission De Kar Khud Bhi Azaabe Azeem Ka Hissa Bante Hain Aur Use Bhi Banate Hain Allah Pak Hume Aise Shariat Bezar Gair Ke Muqallid Mullon Se Apni Pnah Me Rakhe (Aameen).

Gair Muqallideen Ke Shaikhul Islam Hafiz Abul Abbas Ibne Taimiyah Harrani Hambali Likhte Hain-

حیث قال فیمن نکح عند شھود فسقۃ ثم طلقھا ثلاثا فاراد التخلص من الحرمۃ بان النکاح کان فاسدا فی الاصل علی مذھب الشافعی رحمہ اللہ تعالی فلم یقع الطلاق مانصہ وھذا القول یخالف اجماع المسلمین فانھم متفقون علی ان من اعتقد حل الشی ء کان علیہ ان یعتقد ذلک سواء وافق غرضہ او خالف ومن اعتقد تحریمہ کا ن علیہ ان یعتقدذٰلک فی الحالین وھٰؤلاء المطلقون لایقولون بفساد النکاح بفسق الولی الاعند الطلاق الثلاث لا عند الاستمتاع والتوارث یکونون فی وقت یقلدون من یفسد ہ وفی وقت یقلدون من یصححہ بحسب الغرض والھوٰی ومثل ھذا لایجوز باتفاق الامۃ (ثم قال بعد ثلاثہ اسطر)ونظیر ھٰذا ان تعتقد الرجل ثبوت شفعۃ الجوار اذا کان طالباً لھا وعدم ثبوتھا اذا کان مشتریاً فان ھٰذا لایجوز بالاجماع وکذا من بنی علیٰ صحۃ ولایۃ الفاسق فی حا ل نکاحہ وبنی علی فساد ولایتہ حال طلاقہ لم یجز ذلک باجماع المسلمین ولو قال المستفتی المعین انالم اکن اعرف ذٰلک وانا الیوم التزم ذٰلک لم یکن من ذٰلک لہ لان ذٰلک یفتح باب التلاعب بالدین ویفتح الذریعۃ الی ان یکون التحلیل والتحریم بحسب الاھواء

Tarjamah-

Unho Ne Is Tarah Kaha Ki Agar Kisi Ne Faasiq Gawahon Ki Maujudgi Me Nikah Kiya Phir Usko Teen TALAQ De De'n, Pas Wo Chahta Hai Us Hurmat Se Chutkara Paye, Ki Ye Nikah Imam Shafai رحمہ اللہ Ke Mazhab Ke MUTABIQ Fasid Hua Tha, Pas Uski Wajah Se TALAQ WAQE Nahi Hui To Uska Ye Qaol Ijmae Ummat Ke Khilaf Hai, Pass Tamam Ummate Muslemah Is Par Muttafiq Hai Ki Jo Kisi Cheez Ke Halal Hone Ka Aiteqad Rakhta Ho To Us Par Laazim Hai Ki Isi Par Aiteqad Rakhe, Khawah Wo Uski Khawahish Ke MUTABIQ Ho Ya Mukhalif Aur Jo Kisi Cheez Ke Haram Hone Ka Aiteqad Rakhta Ho To Us Par Bhi Laazim Hai Wo Dono Halaton Me Usi Ka Aiteqad Rakhe, Aur Ye Talaq Dene Waale Wali (ولی) Ke FASIQ Hone Ki Wajah Se Nikah Ko Faasid Nahi Kehte Magar 3 TALAQ Ke WAQT Aur Ye Log Aurat Se Nafa Lete WAQT Aur Wirasat Me Hissedar Hote WAQT Nikah Ke Faasid Hone Ka Dawa Nahi Karte, Aur Ye Eik WAQT Me Uske MUQALLID Huye Jo Unki Garaz Aur Khawahish Ke MUTABIQ Nikah Ko Fasid Kehta Hai Aur Dusre WAQT Me Uske MUQALLID Huye Jo Unki Garaz Aur Khawahish Ke MUTABIQ Is NIKAH Ko Durust Kehta Hai, Aur Iski Misl Ke Haram Hone Par Puri Ummat Ka Ittefaq Hai (Phir Chand Satron Ke Bad Likha Hai) Uski Misaal Ye Hai Ki Eik Mard Ye Aiteqad Rakhta Hai Ki Padosi Par Shu'fa HAQ Sabit Tab Hoga Jab Padosi Uska Mutalba Kare Aur Lekin Jab Khud Kharidar Ho Dusre Ke Liye Is Tarah Shufa Ko Sabit Na Maane, Pass Ye Bil'ijma Jayez Nahi, Aur Isi Tarah Eik Shakhs Nikah Karte WAQT To Wali Ke Fasiq Hone Ke Bawajood Nikah Ko Sahi Maane Aur Talaq Ke WAQT Us Nikah Ko Faasid Maane To Ye Bil'ijma Tamam Musalmano Ke Nazdeek Jayez Nahi, Aur Agar Sawal Karne Wala Kahe Mujhe Is Baat Ka ILM Nahi Tha Aur Aaj Se Mera Is Par Aiteqad Hai To Bhi Uske Liye Jawaz Ka Hukm Nahi Hoga Kyun Ki Is Tarah Karne Se Deen Ke Sath Mazaq Ka Darwaza Khul Jayega, Aur Apni Khawahish E Nafs Ke MUTABIQ Haram Ko Halal Aur Halal Ko Haram Karne Ka Zarya Ban Jayega.

[مجموع الفتاوی، باب ارکان النکاح وشروطہ: 32/101، مطبوعہ: مجمع الملک فہد، المدینۃ المنورۃ، السعودیۃ]

Is Ibarat Se Wazeh Hua Ki Jis Shakhs Ne 3 TALAQ Dee Aur Us WAQT Wo Hanfi Tha To Us Par Lazim Hai Ki Wo 3 TALAQ Ke WAAQE Hone Ka Aiteqad Rakhe, Aur Apni Khawahish Ke MUTABIQ 3 TALAQ Ko Eik Sabit Karne Ke Liye Kisi Gair Muqallid Ahlehadees Mulla Ke Paas Na Jaye, Aur Waise Bhi Uske Baatil Fatwe Ka Ise Koi Faidah Na Hoga, Kyun Ki Jise Allah Wa Rasool Ne Aur Ummat Ke Ijma Ne Haram Kiya Hai Wo KISI Sadak Chap Mulla Ke Fatwe Se Jayez Na Hoga Biwi Uspe Bina Halalah Kiye Halal Na Hogi, Aur Yahan Hum Maujudah Tamam Gair Muqallid Molviyon Se Kahenge Wo Kam Az Kam Apne Imam O Peshwa Shaikh Ibne Taimiyah Ki Hi Maan Kar Kisi MUQALLID MUSLAMAN Ko Aise Fatwe De Kar Gumrah Na Karen.

Alhamdulliah Faqeer Ne Apni Is Kitab Me TALAQ Ke Ahkam O Masayel Neez Quran Wa Sahi Hadees Se 3 TALAQ Ka Hukm Phir Uski 1400 Saala Tareekh Aapke Saamne Rakh Dee Aur Mazeed Gair Muqallideen Ke Dalayel Ka ILMI Wa Fanni Jayezah Muhaddisana Haisiyat Se Liya Hai, Aur Unke Akaabir Ke Faisle Bhi Suna Diye Hain.

Ummid Hai Is Kitab Ka Padhne Wala Kabhi Gumrahon Ke Hatthe Nahi Chadhega Aur Khuda Wa Rasool Ka Ijma E Muslimeen Ka Farmabardar Rahega.

DAAWA.

Mai Dawe Se Kehta Hun Eik Majlis Ki 3 TALAQ 1 Hai Ise Gair Muqallideen Qayamat Ki Subh Tak Sahi Sareeh Marfu Aur Gair MU'ARIZ Hadees Se Nahi Bata Sakte Aur Is Par Ijma E Qattai Sabit Nahi Kar Sakte.

Allah Pak Hame Sarkar Imame Azam Abu Hanifah Noman Ibne Sabit Ibne Zuta Kufi رضی اللہ عنہ Ke MAZHABE HAQ Ke MUTABIQ Quran O Sunnat Par Amal Ki TAUFEEQ Ata Farmaye Aur Apne Pyaron Ke SADQE Gumrah Wa Gumrah Garon Se Mehfooz Farmaye. (Aameen)

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...