Tuesday, January 10, 2017

ISTINJE KA BAYAAN,,



"ISTINJE KA BAYAN"

ISTINJE (Pakhana/Peshab) Ko Jate Waqt Har Musalman Ko Chahiye Ki Sunnat Ke Mutabiq Apni Hajat Se Faragat Paye.

Islam Jo Kamil aur Qayamat Tak Rehne Wala Mazhab Hai Usne Hame Zindagi Ke Har Shobe Me Rehnumai Farmai Hai.

✒Hadees.

Huzoor علیہ السلام Jab Qazae Hajat Ka Irada Farmate To Kapda Na Hatate Jab Tak Zameen Se Qareeb Na Ho Jate.
{Jame Tirmizi, Jild-1, Page-92}

✒Hadees.

Huzoor Jab Qazae Hajat Ko Tashrif Le Jate To Itni Door Jate Ke Koi Na Dekhta.
{Sunane Abi Dawood, Jild-1, Page-35}

✒Hadees.

2 Shakhs Pakhana Ko Jayen Aur Satar Khol Kar Batein Karen To ALLAH Unpe Gazab Farmata Hai.
{Abu dawood, jild-1, page-40}

✒Hadees.

3 Chizen Jisse Lanat Hoti Hai, Unse Bacho, Ghat Pe Aur Beech Raste Me Aur Darakht Ke Saye Me Peshab Karna.
{Abu Dawood, Jild-1, Page-43}

《Masayel》

Jab Pakhana Ya Peshab Ko Jaye To Pehle Ye Dua Padh Le,

"Bismillahi Allahumma Inni Aauzu Bika Minal Khubusi Wal Khaba'is"

Phir Ulta Qadam Pehle Daale Aur Nikalte WAQT Sidha Qadam Pehle Nikale Aur Nikalne Ke Baad Ye Dua Padhe,

"Gufranaka Alhamdulillahil Lazi Azhaba Anni Maa Yuzeeni Wa Amasaka Alaiyya Ma Yanfa'uni"

Mas'ala:

Pakhana Peshab Ke Phirte Waqt Chahe Makan Me Ho Ya Jangal Me Muh Aur Peeth Qibla Rukh Na Ho Agar Bhool Kar Baitha Tha To Yaad Aate Hi Faoran Rukh Mood Le.
{Durre Mukhtar, Jild-1, Page-608}

Mas'ala:

Bachche Ka Muh Qibla Rukh Kar Ke Pakhana Peshab Phirane Wala Gunehgar Hoga.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-408}

Mas'ala:

Peshab Pakhana Karte WAQT Chand Aur Suraj Ki Taraf Na Muh Ho Na Peeth (Jab Khule Maidan Me Ho) Isi Tarah Hawa Ke Rukh Peshab Karna Mana Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hisaa-2, Page-409}

Mas'ala:

Kuwen Ya Hauz Ya Chashma Ke Kinare Ya Behte Paani Me Ya Ghaat Pe Ya Phaldar Darakht Ke Niche Ya Us Khet Me Jisme Fasal Ho Ya Jahan Log Uthte Baithte Hon Ya Masjid Ya Eidgah Ke Bagal Me Qabrastan Ya Raste Me Ya Jis Jaga Maweshi (Paltu Janwar) Bandhe Hon Un Sab Jagho Par Pakhana Ya Peshab Karna Makrooh Hai, Isi Tarah Jahan Gusl Ya Wazu Hota Ho Wahan Peshab Karna Makrooh Hai.
{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-50}

Mas'ala:

Aisi Sakht Zameen Pe Peshab Karna Jisse Cheeten Ud Kar Aayen Mana Hai, Aisi Jagah Ko Kured Kar Narm Kare Ya Zara Sa Garha Khod Le.
{Alamgiri, Jild-1, Page-50}

Mas'ala:

Khade Ho Kar Ya Pura Nanga Ho Kar Peshab Karna Makrooh Hai, Neez Nange Sar Peshab Pakhana Ko Jana Aur Saath Me Aisi Chiz Rakhna Jis Pe Dua Ya Allah O Rasool Ka Naam Ho Ya Kis Buzrug Ka Naam Likha Ho Mana Hai, Aur Baten Karna Makrooh Hai. {Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-409}

Mas'ala:

Jab Tak Baithne Ke Qareeb Na Ho Badan Se Kapda Na Hataye Aur Na Hajat Se Ziyadah Badan Khole, Phir Dono Paon Kushdah Kar Ke Ulte Paon Pe Zor De Kar Baithe, Kisi Deeni Masle Par Gaor Na Kare Ki Ye Baise Mehroomi Hai. Chheenk Ya Salam Ya Azan Ka Jawab Zaban Se Na De, Aur Agar Chinke To Zaban Se Alhamdulillah Na Kahe, Dil Me Keh Le, Aur Bagair Zaroorat Apni Sharmgah Na Dekhe Aur Na Us Gandagi Ko Dekhe Jo Badan Se Nikli Hai. Der Tak Na Baithe Isse Bawaseer Ka Andesha Hai, Aur Peshab Me Na Thuke Na Nak Saf Kare Na Bila Zarurat Khinkhare Na Bekar Me Baar Baar Badan Ko Chuye Na Aasman Ki Taraf Nigah Kare Balki Sharm Se Sar Jhukaye Rahe.
Jab Farig Ho Jaye To Mard Apne Aale Ki Jad Se Sire Tak Ulte Hath Se Ruke Huye Qatre Nikale, Phir Dhele Se Saaf Kare Ya Paani Se Dhul Le.
 Phir Sidhe Hath Se Pani Dale Aur Ulte Hath Se Dhoye Aur Pani Ka Lota Uncha Rakhe Taki Chinten Badan Pe Na Pade Aur Pehle Peshab Ka Maqam Dhoye Phir Pakhane Ka Maqam. Pakhane Ka Maqam Dhulte Waqt Saans Ka Zor Niche Kare Taki Dheela Rahe Aur Khoob Achchi Tarah Dhoyen Dhone Ke Baad Hath Me Boo Baqi Na Rahe Is Liye Hath Kapde Se Poche Le Kapda Na Ho To Hath Pani Se Khoob Dhoye.
Jab Qatre Aana Band Ho To Khade Hone Se Pehle Badan Chupa Le.
{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-50}

Mas'ala:

Aage Ya Piche Se Jab Nijasat Nikle To Dhelo Se Istinja Karna Sunnat Hai Aur Agar Sirf Pani Se Hi Dhoya Tab Bhi Jayez Hai Magar Mustahab Hai Ye Hai Ki Dhelo Ke Baad Pani Se Taharat Kare.
{Fatawa Hindiya, Jild-1, Page-48}

Mumbai Jaise Bade Shaher Me Dhele Mushkil Se Milte Hain Aur Na Masjid Me Rakhe Hote Hain Is Liye Yahan Faqat Paani Se Taraharat Khoob Achche Se Kare.

Mas'ala:

Kankar Patthar Phata Hua Kapda Ye Sab Dhele Ke Hukm Me Hai, In Se Bhi Saaf Karna Bila Karahat Jayez Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page -411}

Mas'ala:

Kagaz Se Istinja Mana Hai Agarche Uspe Kuch Likha Na Ho Ya Abu Jahel Jaise Kafir Ka Naam Hi Likha Ho.
{Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-411}

Mas'ala:

Jise Peshab Ke Baad Qatre Aane Ka Ehtemal Ho Uspe ISTIBRA Karna Wajib Hai.
Istibra Tahelne Se Hota Hai Ya Zameen Pe Zor Se Paon Mare Ya Unchi Jagah Niche Utre Ya Niche Se Upar Chadhe, Ya Itna Chale Ki Baqya Jame Qatre Nikal Jaye.
Istibra Ka Hukm Mardon Ke Liye Hai Aurat Ke Liye Hukm Hai Ki Hajat Se Faragat Ke Baad Thodi Der Ruk Kar Taharat Kare.
{الفتاوٰی الھندیہ. کتاب الطھارة، الباب السابع فی النجاسة وأحکامھا، الفصل الثالث' جلد/۳،صفحہ/۶۹}

Mas'ala:

Wazu Ke Bache Pani Se Taharat Karna Durust Nahi Aur Taharat Ke Bache Paani Se Wazu Kar Sakte Hain Ise Phekna Nahi Chahiye Ye Israaf (Faltu Kharch) Hai.
{الفتاوٰی الرضویہ. جلد-۴، صفحہ-۵۷۵}

📕"HAQ KI BANDAGI"

CHAPTER=1

📝 MUSANNIF:

✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

((Khalifah Huzoor Amine Shariat))

Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)

Rabtah Number-
9146122911
9820672770

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...