Thursday, June 15, 2017

{{ AETIKAAF KA BAYAN }}


*{{ AETIKAAF KA BAYAN }}*


🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵

*AETIKAAF KA BAYAN*

*ALLAH TAALA NE IRSHAD FARMAYA HAI::*

*TARJIMA::--*
                  *AURTO SE MUBA'SHARAT N KARO JABKI TUM MASJID ME AETIKAAF KIYE HUE HO,,*

*✏HADEES=1:*
                    *SAHEEHAIN ME UMMUL MOMINEEN SIDDEEQA RADIYALLAHU TAALA ANHA SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ RAMZAN KE AAKHIR ASHRA (Yaani ramzan ke aakhiri das 10 din) KA AETIKAAF FARMAYA KARTE THE,,*

*✏HADEES=2:*
                      *ABOO DAUD UNHI SE RAAWEE KAHTI HAI MOTKIF PAR SUNNAT (Yani hadees se saabit) YAH HAI KI N MAREEZ KE IYAADAT KO JAYE N JANAZA ME HAAZIR HO N AURAT KO HAATH LAGAYE AUR N USSE MUBA'SHARAT KARE AUR N KISI HAAJAT KE LIYE JAYE MAGAR US HAAJAT KE LIYE JAA SAKTA HAI JO ZAROORI HAI AUR AETIKAAF BAGAIR ROZA KE NAHI AUR AETIKAAF JAMA'AT WALI MASJID ME KARE,,*

*✏HADEES=3:*
                  *IBNE MAAJA IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWI KI RASOOLULLAH ﷺ NE MOTKIF KE BAARE ME FARMAYA WAH GUNAHO SE BAAHAR RAHTA HAI AUR NEKIYO SE USE IS QADR SAWAB MILTA HAI JAISE USNE TAMAAM NEKIYA KEE,,*

*✏HADEES=4:*
                      *BAIHQEE IMAM HUSAIN RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWI KI HUZOOR AQDAS ﷺ NE FARMAYA JISNE RAMZAN ME DAS (10) DINO KA AETIKAAF KAR LIYA TO AESA HAI JAISE DO (2) HAJ AUR DO (2) UMRE KIYE,,*

*✒MASLA=1:*
                         *MASJID ME ALLAH KE LIYE NIYAT KE SAATH THAHARNA AETIKAAF HAI AUR ISKE LIYE MUSALMAN AAQIL AUR JANAABAT W HAIZ W NIFAAS SE PAAK HONA SHART HAI,*
*BULOOG SHART NAHI BALKI NA'BAALIG JO TAMEEZ RAKHTA HAI AGAR B-NIYTE AETIKAAF MASJID ME THAHRE TO YAH AETIKAAF SAHI HAI*
*AAZAAD HONA BHI SHART NAHI LIHAZA GULAM BHI AETIKAAF KAR SAKTA HAI MAGAR USE MOULA SE IJAZAT LENI HOGI AUR MOULA KO BAHAR'HAAL MANAA KARNE KA HAQ HAASIL HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=2:*
                      *JAAME MASJID HONA AETIKAAF KE LIYE SHART NAHI BALKI MASJIDE JAMA'AT ME BHI HO SAKTA HAI,*
*MASJIDE JAMA'AT WAH HAI JISME IMAAM W MU'AZZIN MUQARRAR HO AGARCHE USME PANJ'GAANA NAMAZ N HOTI HO AUR AASAANI ISME HAI KI MUTLAQAN HAR MASJID ME AETIKAAF SAHI HAI AGARCHE WAH MASJIDE JAMA'AT N HO KHUSUSAN IS ZAMANE ME KI BAHUTERI MASJIDE AESI HAI JINME N IMAAM HAI N MU'AZZIN,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=3:*
                        *SABSE AFZAL MASJIDE HARAM SHAREEF ME AETIKAAF HAI,*
*FIR MASJIDE NABWEE SHAREEF ME ALAA SAAHI'BIHIS'SALATU WAT'TAS'LEEM,*
*FIR MASJID AQSA ME,*
*FIR USME JAHA BADI JAMA'AT HOTI HO,,*
*📙Jouhra,,*

*✒MASLA=4:*
                        *AURAT KO MASJID ME AETIKAAF MAKROOH HAI BALKI WAH GHAR ME HEE AETIKAAF KARE MAGAR US JAGAH KARE JO USNE NAMAZ PADHNE KE LIE MUQARRAR KAR RAKHI HAI JISE MASJIDE BAIT KAHTE HAI AUR AURAT KE LIE MUSTAHAB BHI HAI KI GHAR ME NAMAZ PADHNE KE LIYE KOI JAGAH MUQARRAR KAR LE AUR CHAHIYE KI US JAGAH KO PAAK SAAF RAKHE AUR BEHTAR YAH KI US JAGAH KO CHABUTRA WAGAIRA KEE TARAH BALAND KAR LE BALKI MARD KO BHI CHAHIE KI NAWAAFIL KE LIE GHAR ME KOI JAGAH MUQARRAR KAR LE KI NAFL NAMAZ GHAR ME PADHNA AFZAL HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=5:*
                        *AGAR AURAT NE NAMAZ KE LIE KOI JAGAH MUQARRAR NAHI KAR RAKHI HAI TO GHAR ME AETIKAAF NAHI KAR SAKTI ALBATTA AGAR US WAQT YAANI JABKI AETIKAAF KA IRADA KIYA KISI JAGAH KO NAMAZ KE LIE KHAAS KAR LIYA TO US JAGAH AETIKAAF KAR SAKTI HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=6:*
                        *KHUNSA (Hijra) MASJIDE BAIT ME AETIKAAF NAHI KAR SAKTA,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=7:*
                      *AETIKAAF TEEN (3) QISM HAI,,*
*1::-- WAAJIB-- KI AETIKAAF KEE MANNAT MAANI YAANI ZABAAN SE KAHA MAHAZ DIL ME IRADE SE WAAJIB N HOGA,,*
*2::-- SUNNATE MU'AKKADA-- KI RAMZAN KE POORE ASHRAE AKHEERA YAANI AAKHIR KE DAS (10) DIN ME AETIKAAF KIYA JAAYE YAANI BEESWEE (20-wee) RAMZAN KO SOORAJ DOOBTE WAQT B-NIYTE AETIKAAF MASJID ME HO AUR TEESWEE (30-wee) KE GUROOB KE BAAD YAA UNTEES (29) KO CHAND HONE KE BAAD NIKLE,*
*AGAR BEESWEE (20-wee) TAREEKH KO BAADE NAMAZE MAGRIB NIYTE AETIKAAF KEE TO SUNNATE MU'AKKADA ADAA N HUI AUR YAH AETIKAAF SUNNATE KIFAYA HAI KI AGAR SAB TARK KARE TO SABSE MUTAALBA HOGA AUR SHAHAR ME AEK (1) NE KAR LIYA TO SAB BAREE'UZ'ZIMMA,,*
*3::-- IN DONO KE ALAWA AUR JO AETIKAAF KIYA JAAYE WAH MUSTAHAB W SUNNATE GAIR MU'AKKADA HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=8:*
                      *AETIKAAFE MUSTAHAB KE LIE N ROZA SHART HAI N USKE LIE KOI KHAAS WAQT MUQARRAR BALKI JAB MASJID ME AETIKAAF KEE NIYAT KEE JAB TAK MASJID ME HAI MOTKIF HAI,* *CHALA AAYA AETIKAAF KHATM HO GAYA,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*
*NOTE::--- JAB BHI MASJID ME JAAE AETIKAAF KEE NIYAT KAR LE, NIYAT KARTE WAQT YAH KAHE,*
*""Nwaitu sunnatal aetikaaf""......*
*AUR USKE BAAD THODI DER KUCH IBADAT BHI ZAROOR KARE AUR ISKE BAAD JITNI DER MASJID ME RAHEGA UTNI DER IBADAT KA SAWAB PAAEGA,,*
                    *Bagair mehnat ke sawab mil raha hai ki faqat niyat kar lene se aetikaaf ka sawab milta hai, Ise to n khona chahie masjid me agar darwaze par yah ibarat likh dee jaye ki aetikaaf kee niyat kar lo aetikaaf ka sawab paoge to behtar hai ki jo is se na'waqif hain unhe malum ho jaega aur jo jante hai unke lie yaad'dehaani ho,,*

*✒MASLA=9:*
                      *AETIKAAFE SUNNAT YAANI RAMZAN KEE PICHLI DAS (10) TAREEKHO ME JO KIYA JATA HAI USME ROZA SHART HAI, LIHAZA AGAR KISI MAREEZ YAA MUSAFIR NE AETIKAAF TO KIYA MAGAR ROZA N RAKHA TO SUNNAT ADAA N HUI BALKI NAFL HUA,,*
*📙Raddul mohtar,,*

*✒MASLA=10:*
                     .    *MANNAT KE AETIKAAF ME BHI ROZA SHART HAI YAHA TAK KI AGAR AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI AUR YAH KAHA KI ROZA N RAKHEGA JAB BHI ROZA RAKHNA WAAJIB HAI AUR AGAR RAAT KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH MANNAT SAHI NAHI KI RAAT ME ROZA NAHI HO SAKTA*
*AUR AGAR YOO KAHA KI AEK (1) DIN RAAT KA MUJH PAR AETIKAAF HAI TO YAH MANNAT SAHI HAI*
*AUR AGAR AAJ KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI AUR KHANA KHAA CHUKA HAI TO MANNAT SAHI NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*
*Yoo hee agar zahwae kubra ke baad mannat maani aur roza n tha to yah mannat sahi nahi ki ab roze kee niyat nahi kar sakta balki agar roze kee niyat kar sakta ho maslan zahwae kubra se qabl (Pahle) jab bhi mannat sahi nahi ki yah roza nafl hoga aur is aetikaaf me roza waajib darkaar,,*

*✒MASLA=11:*
                          *YAH ZAROORI NAHI KI KHAAS AETIKAAF HEE KE LIE ROZA HO BALKI ROZA HONA ZAROORI HAI AGARCHE AETIKAAF KEE NIYAT SE N HO MASLAN IS RAMZAN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO WAHI RAMZAN KE ROZE IS AETIKAAF KE LIE KAAFI HAI AUR AGAR RAMZAN KE ROZE TO RAKHE MAGAR AETIKAAF N KIYA TO AB AEK (1) MAAH KE ROZE RAKHE AUR ISKE SAATH AETIKAAF KARE AUR AGAR YOO N KIYA YAANI ROZE RAKHKAR AETIKAAF N KIYA AUR DOOSRA RAMZAN AA GAYA TO IS RAMZAN KE ROZE US AETIKAAF KE LIE KAAFI NAHI,*
*YOO HEE AGAR KISI AUR WAAJIB KE ROZE RAKHE TO YAH AETIKAAF UN ROZO KE SAATH BHI ADAA NAHI HO SAKTA BALKI AB USKE LIE KHAAS AETIKAAF KEE NIYAT SE ROZE RAKHNA ZAROORI HAI*
*AUR AGAR US ROORAT ME KI RAMZAN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI THI N ROZE RAKHE N AETIKAAF KIYA AB UN ROZO KEE QAZA RAKH RAHA HAI TO IN QAZA ROZO KE SAATH WAH AETIKAAF KEE MANNAT BHI POORI KAR SAKTA HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=12:*
                          *NAFLI ROZA RAKHTA THA AUR US DIN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH MANNAT SAHI NAHI KI AETIKAAFE WAAJIB KE LIYE NAFLI ROZA KAAFI NAHI AUR YAH ROZA WAAJIB HO NAHI SAKTA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=13:*
                          *AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH IS RAMZAN ME POORI NAHI KAR SAKTA BALKI KHAAS IS AETIKAAF KE LIE ROZE RAKHNE HONGE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=14:*
                          *AURAT NE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO SHOUHAR MANNAT POORI KARNE SE ROK SAKTA HAI AUR AB BAAIN HONE YAA SHOUHAR KEE MOUT KE BAAD MANNAT POORI KARE,*
*YOO HEE LOUNDEE, GULAM KO UNKA MAALIK MANAA KAR SAKTA HAI YAH AAZAAD HONE KE BAAD POORI KARE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=15:*
                          *SHOUHAR NE AURAT KO AETIKAAF KEE IJAZAT DE DEE AB ROKNA CHAHE TO NAHI ROK SAKTA AUR MOULA NE BAANDEE KO IJAZAT DE DEE JAB BHI ROK SAKTA HAI AGARCHE AB ROKEGA TO GUNAH'GAAR HOGA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=16:*
                          *SHOUHAR NE AEK (1) MEHEENE KE AETIKAAF KEE IJAZAT DEE AUR AURAT LAGATAAR POORE MAHEENE KA AETIKAAF KARNA CHAHTI HAI TO SHOUHAR KO IKHTIYAAR HAI KI YAH HUKM DE KI THODE THODE KARKE AEK (1) MAHEENA POORA KARE AUR AGAR KISI KHAAS MAHEENE KEE IJAZAT DEE HAI TO AB IKHTIYAAR N RAHA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=17:*
                    *AETIKAAFE WAAJIB ME MOTKIF KO MASJID SE BAGAIR UZR NIKALNA HARAM HAI AGAR NIKLA TO AETIKAAF JAATA RAHA AGARCHE BHOOL KAR NIKLA HO,*
*YOO HEE AETIKAAFE SUNNAT BHI BAGAIR UZR NIKALNE SE JAATA RAHTA HAI,*
*YOO HEE AURAT NE MASJIDE BAIT (Ghar me banai gai wah jagah jo aurat namaz ke liye bana le) ME AETIKAAFE WAAJIB YAA MASNOON KIYA TO BAGAIR UZR WAHA SE NAHI NIKAL SAKTI AGAR WAHA SE NIKLI AGARCHE GHAR HEE ME RAHI AETIKAAF JAATA RAHA,,*
*📙Aalamgiri,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=18:*
                          *MOTKIF KE MASJID SE NIKALNE KE DO (2) UZR HAI,*
*AEK (1) HAAJTE TABAI KI MASJID ME POORI N HO SAKE JAISE PAKHANA, PESHAB, ISTINJA, WUJOO, AUR GUSL KEE ZAROORAT HO TO GUSL,*
*MAGAR GUSL W WUJOO ME SHART HAI KI MASJID ME N HO SAKE YAANI KOI AESI CHEEZ N HO JISME WUJOO W GUSL KA PAANI LE SAKE IS TARAH KI MAAJID ME PAANI KEE KOI BOOND N GIRE KI WUJOO W GUSL KA PAANI MASJID ME GIRANA NA'JAIZ HAI*
*AUR LAGAN WAGAIRA MOUJOOD HO KI USME WUJOO IS TARAH KAR SAKTA HAI KI KOI CHEET MASJID ME N GIRE TO WUJOO KE LIE MASJID SE NIKALNA JAIZ NAHI NIKLEGA TO AETIKAAF JAATA RAHEGA,*
*YOO HEE AGAR MASJID ME WUJOO W GUSL KE LIYE JAGAH BANI HO YAA HOUZ HO TO BAAHAR JAANE KEE AB IJAZAT NAHI,*
*DOOSRA UZR HAAJTE SHARAI MASLAN EID YAA JUMA KE LIYE JAANA YAA AZAAN KAHNE KE LIYE MEENAAR PAR JAANA JABKI MEENAAR PAR JAANE KE LIYE BAAHAR HEE SE RASTA HO AUR AGAR MEENAAR KA RASTA ANDAR SE HAI TO MU'AZZIN HEE NAHI GAIR MU'AZZIN BHI MEENAAR PAR JAA SAKTA HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=19:*
                        *QAZAE HAAJAT YAANI PESHAB PAKHANA KO GAYA TO TAHAARAT KARKE FIURAN CHALA AAYE THAHARNE KEE IJAZAT NAHI AUR AGAR MOTKIF KA MAKAAN MASJID SE DOOR HAI AUR USKE DOST KA MAKAAN QAREEB TO YAH ZAROORI NAHI KI DOST KE YAHA QAZAE HAAJAT KO JAYE BALKI APNE MAKAAN PAR BHI JAA SAKTA HAI*
*AUR AGAR USKE KHUD DO (2) MAKAAN HAI AEK (1) NAZDEEK DOOSRA DOOR TO NAZDEEK WALE MAKAN ME JAYE BAAZ MASHAIKH FARMATE HAI DOOR WALE ME JAYEGA TO AETIKAAF FAASID HO JAYEGA,,*

*✒MASLA=20:*
                          *JUMA AGAR KEREEB KEE MASJID ME HOTA HAI TO AAFTAAB DHALNE KE BAAD US WAQT JAAYE KE AZAANE SAANI (Juma ke kuhtbe se pahle hone wali azaan) SE PAHLE SUNNAT PADH LE AUR AGAR DOOR HO TO AAFTAAB DHALNE SE PAHLE BHI JAA SAKTA HAI MAGAR IS ANDAAZ SE JAAYE KI AZAANE SAANI KE PAHLE SUNNATE PADH SAKE ZYADA PAHLE N JAAYE AUR YAH BAAT USKI RAAY PAR HAI JAB USKI SAMAJH ME AA JAYE KI PAHUCHNE KE BAAD SIRF SUNNATO KA WAQT RAHEGA CHALA JAYE AUR FARZE JUMA KE BAAD CHAAR (4) YAA CHAH (6) RAK'ATE SUNNATO KEE PADHKAR CHALA AAYE AUR ZOHRE AEHTIYATI (Jaha jume kee namaz hone me shak ho waha zohre aehtiyati khaas log padhte hai aur unhi ke liye hai bhi) PADHNI HAI TO AETIKAAF WAALI MASJID ME AAKAR PADHE AUR AGAR PICHLI SUNNATO KE BAAD WAAPAS N AAYA YAA WAHI JAAME MASJID ME THAHRA RAHA AGARCHE AEK (1) DIN RAAT WAHI RAH GAYA YAA APNA AETIKAAF WAHI POORA KIYA TO BHI WAH AETIKAAF FAASID N HUA MAGAR YAH MAKROOH HAI AUR YAH SAB US SOORAT ME HAI KI JIS MASJID ME AETIKAAF KIYA WAHA JUMA N HOTA HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=21:*
                          *AGAR AESI MASJID ME AETIKAAF KIYA JAHA JAMA'AT NAHI HOTI TO JAMA'AT KE LIYE NIKALNE KEE IJAZAT HAI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=22:*
                        *AETIKAAF KE ZAMANE ME HAJ YAA UMRA KA AEHRAAM BAANDHA TO AETIKAAF POORA KARKE JAAE AUR AGAR WAQT KAM HAI KI AETIKAAF POORA KAREGA TO HAJ JAATA RAHEGA TO HAJ KO CHALA JAAYE FIR SIRE SE AETIKAAF KARE,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=23:*
                          *AGAR WAH MASJID GIR GAYI YAA KISI NE MAJBOOR KARKE WAHA SE NIKAAL DIYA AUR FOURAN DOOSRI MASJID ME CHALA GAYA TO AETIKAAF FAASID N HUA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=24:*
                          *AGAR DOOBNE YAA JALNE WALE KE LIE MASJID SE BAAHAR GAYA YAA GAWAAHI DENE KE LIYE GAYA YAA JIHAAD ME SAB LOGO KA BULAAWA HUA AUR YAH BHI NIKLA YAA MEREEZ KEE IYAADAT YAA NAMAZE JANAZA KE LIE GAYA AGARCHE KOI DOOSRA PADHNE WAALA N HO TO IN SAB SOORTO ME AETIKAAF FAASID HO GAYA,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=25:*
                          *AURAT MASJID ME MOTKIF THI USE TALAAQ DEE GAYI TO GHAR CHALI JAAE AUR USI AETIKAAF KO POORA KAR LE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=26:*
                          *AGAR MANNAT MAANTE WAQT YAH SHART KAR LEE KI MAREEZ KEE IYAADAT AUR NAMAZE JANAZA AUR MAJLISE ILM ME HAAZIR HOGA TO YAH SHART JAIZ HAI AGAR IN KAAMO KE LIE JAAYE TO AETIKAAF FAASID N HOGA MAGAR KHALI DIL ME NIYAT KAR LENA KAAFI NAHI BALKI ZABAAN SE KAH LENA ZAROORI HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Raddul muhtar Wagairhuma,,*

*✒MASLA=27:*
                        *PAKHANA, PESHAB KE LIE GAYA THA QARZ'KHWAA NE ROK LIYA AETIKAAF FAASID HO GAYA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=28:*
                          *MOTKIF KO WTEE YAANI JIMA KARNA AUR AURAT KA BOSA LENA YAA CHOONA YAA GALE LAGANA HARAAM HAI,* *JIMA SE BAHAR'HAAL AETIKAAF FAASID HO JAYEGA INZAAL HO YAA N HO, QASDAN HO YAA BHOOLE SE, MASJID ME HO YAA BAAHAR, RAAT ME HO YAA DIN ME,*
*JIMA KE ALAWA AOURO ME AGAR INZAAL HO TO FAASID WARNA NAHI,*
*AETILAAM HO GAYA YAA KHAYAALE JIMA SE YAA NAZAR KARNE SE INZAAL HUA TO AETIKAAF FAASID N HUA,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=29:*
                          *MOTKIF NE DIN ME BHOOL KAR KHAA LIYA TO AETIKAAF FAASID N HUA GAALI GALOUCH YAA JHAGDA KARNE SE AETIKAAF FAASID NAHI HOTA MAGAR BE-NOOR W BE-BARKAT HOTA HAI,,*
*📙 Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=30:*
                          *MOTKIF NIKAAH KAR SAKTA HAI AUR AURAT KO RAJAI TALAAQ DEE HAI TO RAJ'AT BHI KAR SAKTA HAI MAGAR IN UMOOR (Kaamo) KI LIE MASJID SE BAAHAR HOGA TO AETIKAAF JAATA RAHEGA,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*
*Magar jima aur bosa wagaira se usko raj'at haraam hai agarche raj'at ho jayegi,,*

*✒MASLA=31:*
                          *MOTKIF NE HARAAM MAAL YAA NASHE KEE CHEEZ RAAT ME KHAI TO AETIKAAF FAASID N HUA,,*
*📙Aalamgiri,,*
*Magar is haram ka gunah hua touba kare,,*

*✒MASLA=32:*
                          *BEHOSHI AUR JUNUN TAWEEL (Zyada) HO KI ROZA N HO SAKE TO AETIKAAF JAATA RAHA AUR QAZA WAAJIB HAI AGARCHE KAI SAAL KE BAAD SEHAT HO AUR AGAR MAATUWWA YAANI BUHRA (Yaani bahut zyada bewqoof jo ajeeb ajeeb baate kare) HO GAYA JAB BHI ACHCHE HONE KE BAAD QAZA WAAJIB HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=33:*
                          *MOTKIF MASJID ME HEE KHAYE, PIYE AUR SOYE IN KAAMO KE LIYE MASJID SE BAAHAR HOGA TO AETIKAAF JAATA RAHEGA,,*
*📙Durre mukhtar Wagaira,,*
*Magar khane, peene me yah aetiyaat laazim hai ki masjid aalooda n ho yaani masjid me khana paani n giraye,,*

*✒MASLA=34:*
                          *MOTKIF KE SIWA AUR KISI KO MASJID ME KHANE, PEENE SONE KEE IJAZAT NAHI AUR AGAR YAH KAAM KARNA CHAHE TO AETIKAAF KEE NIYAT KARKE MASJID ME JAAYE AUR NAMAZ PADHE YAA ZIKRE ILAAHI KARE FIR YAH KAAM KAR SAKTA HAI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=35:*
                           *MOTKIF KO APNI YAA BAAL BACHCHO KEE ZAROORAT SE MASJID ME KOI CHEEZ KHAREEDNA YAA BECHNA JAIZ HAI BA-SHARTE KI WAH CHEEZ MASJID ME N HO YAA HO TO THODI HO KI JAGAH N GHERE AUR AGAR KHAREED FAROKHT TIJAARAT KE IRADE SE HO TO NA'JAIZ HAI AGARCHE WAH CHEEZ MASJID ME N HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=36:*
                          *MOTFIK AGAR BA-NIYTE IBADAT SUKOOT KARE YAANI CHUP RAHNE KO SAWAB KEE BAAT SAMJHE TO MAKROOHE TAHREEMI HAI AUR AGAR CHUP RAHNA SAWAAB KEE BAAT SAMAJHKAR N HO TO HARAJ NAHI AUR BURI BAAT SE CHUP RAHA TO YAH MAKROOH NAHI BALKI YAH TO AALA DARJE KEE CHEEZ HAI KYO KI BURI BAAT ZABAAN SE N NIKAALNA WAAJIB HAI AUR JIS BAAT ME N SAWAAB HO N GUNAAH YAANI MUBAAH BAAT BHI MOTKIF KO MAKROOH HAI MAGAR BA-WAQTE ZAROORAT, AUR BE-ZAROORAT MASJID ME MUBAAH KALAAM (Mubaah kalaam wah guftagu jiske karne se n gunaah ho n sawaab) NEKIYO KO AESE KHATA HAI JAISE AAG LAKDI KO,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=37:*
                           *MOTKIF N CHUP RAHE N KALAAM KARE YAH KARE QUR'AAN MAJEED KEE TILAAWAT, HADEES SHAREEF KEE QIRAAT, AUR DUROOD SHAREEF KEE KASRAT, ILME DEEN KA DARS W TADREES (Padhna-Padhana), NABI KAREEM ﷺ W DIGAR AMBIYA ALAIHIMUSSALATU WASALLAM KE SEERAT W ZIKR AUR AULIYA W SAALEHEEN KEE HIKAAYAT AUR UMOORE DEEN KEE KITAABAT (Deen kee baato kee likhai),,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=38:*
                          *AEK (1) DIN KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO USME RAAT DAAKHIL NAHI TULOOE FAZR SE PAHLE MASJID ME CHALA JAAYE AUR GUROOB KE BAAD CHALA AAYE AUR AGAR 2 DIN YAA 3 DIN YAA ZYADA DINO KEE MANNAT MAANI YAA 2 YAA 3 YAA ZYADA RAATO KEE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO IN DONO SOORTO ME AGAR SIRF DIN YAA SIRF RAATE MUTAAD LE TO NIYAT SAHI HAI,,*
*LIHAZA PAHLI SOORAT ME MANNAT SAHI AUR SIRF DINO ME AETIKAAF WAAJIB HUA AUR IS SOORAT ME IKHTIYAAR HAI KI UTNE DINO KA LAGATAAR AETIKAAF KARE YAA MUT'FARRIQ TOUR PAR,,*
*AUR DOOSRI SOORAT ME MANNAT SAHI NAHI KI AETIKAAF KE LIYE ROZA SHART HAI AUR RAAT ME ROZA HO NAHI SAKTA AUR AGAR DONO SOORTO ME DIN AUR RAAT DONO MURAAD HAI YAA KUCH NIYAT N KEE TO DONO SOORTO ME DIN AUR RAAT DONO KA AETIKAAF WAAJIB HAI AUR ALAL'ITTISAAL (Lagataar) UTNE DINO KA AETIKAAF ZAROORI HAI TAFREEQ NAHI KAR SAKTA YAANI DIN CHOR CHOR KAR NAHI KAR SAKTA,,*
*NEEZ IS SOORAT ME YAH BHI ZAROORI HAI KI DIN SE PAHLE JO RAAT HAI USME AETIKAAF HO,*
*LIHAZA GUROOBE AAFTAAB SE PAHLE JAAYE AUR AGAR DIN KEE MANNAT MAANI AUR KAHTA YAH HAI KI MAINE DIN KAHKAR RAAT MURAAD LEE TO YAH NIYAT SAHI NAHI DIN AUR RAAT DONO KA AETIKAAF WAAJIB HAI,,*
*📙Jouhra,, Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=39:*
                           *EID KE DIN AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO KISI AUR DIN ME JIS DIN ROZA RAKHNA JAIZ HAI USKI QAZA KARE AUR AGAR YAMEEN (Qasam) KEE NIYAT THI TO KAFFARA DE AUR EID HEE KE DIN KAR LIYA TO MANNAT POORI HO GAI MAGAR GUNAHGAAR HUA,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=40:*
                          *KISI DIN YAA KISI MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO USSE PAHLE BHI US MANNAT KO POORA KAR SAKTA HAI YAANI JABKI MU'ALLAQ N HO (Yaani aesa n ho ki falaa kaam ho jayega to aetikaaf karoonga) AUR MASJIDE HARAM SHAREEF ME AETIKAAF KARNE KEE MANNAT MAANI TO DOOSRI MASJID ME BHI KAR SAKTA HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=41:*
                          *MAAHE GUZASTA (Guzre hue maheene) KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO SAHI NAHI, MANNAT MAAN KAR M'AAZ'ALLAAH MURTAD HO GAYA TO MANNAT SAAQIT HO GAI FIR MUSALMAAN HUA TO USKI QAZA WAAJIB NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=42:*
                           *AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI AUR MAR GAYA TO HAR ROZ KE BADLE BA-QADRE SADQAE FITR MISKEEN KO DIYA JAYE YAANI JABKI WASEEYAT KEE HO AUR US PAR WAAJIB HAI KI WASEEYAT KAR JAAE AUR WASEEYAT N KEE MAGAR WAARISO NE APNI TARAF SE FIDYA DE DIYA JAB BHI JAIZ HAI,*
*MAREEZ NE MANNAT MAANI AUR MAR GAYA TO AGAR AEK (1) DIN KO BHI ACHCHA HO GAYA THA TO HAR ROZ KE BADLE SADQAE FITR KEE QADR DIYA JAAYE AUR AEK (1) DIN KO BHI ACHCHA N HUA TO KUCH WAAJIB NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=43:*
                          *AEK (1) MAHEENE KE AETIKAAF KEE MANNAT MAANI TO YAH BAAT USKE IKHTIYAAR ME HAI KI JIS MAHEENE KA CHAHE AETIKAAF KARE MAGAR LAGATAAR AETIKAAF ME BAITHNA WAAJIB HAI AUR AGAR YAH KAHE KI MERI MURAAD AEK (1) MAHEENE KE SIRF DIN THE RAATE NAHI TO YAH QOUL NAHI MAANA JAYEGA,*
*DIN AUR RAAT DONO KA AETIKAAF HAI AUR TEES (30) DIN KAHA THA JAB BHI YAHI HUKM HAI HAA AGAR MANNAT MAANTE WAQT YAH KAHA THA KI AEK (1) MAHEENE KE DINO KA AETIKAAF HAI RAATO KA NAHI TO SIRF DINO KA AETIKAAF WAAJIB HUA AUR AB YAH BHI IKHTIYAAR HAI KI MUTA'FARRIQ TOUR PAR TEES (30) DIN KA AETIKAAF KAR LE AUR AGAR YAH KAHA THA KI AEK (1) MAHEENE KEE RAATO KA AETIKAAF HAI DINO KA NAHI TO KUCH NAHI,,*
*📙Jouhra,, Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=44:*
                  *AETIKAAFE NAFL AGAR CHOD DE TO USKI QAZA NAHI KI WAHI TAK KHATM HO GAYA, AUR AETIKAAFE MASNOON KI RAMZAN KEE PICHLI DAS (10) TAREEKHO TAK KE LIE BAITHA THA USE TODA TO JIS DIN TODA FAQAT US AEK (1) DIN KEE QAZA KARE POORE DAS (10) DINO KEE QAZA WAAJIB NAHI AUR MANNAT KA AETIKAAF TODA TO AGAR KISI MU'AYYAN MEHEENE KEE MANNAT THI TO BAAQI DINO KEE QAZA KARE WARNA AGAR ALAL'ITTISAAL (Lagataar)  WAAJIB HUA THA TO SIRE SE AETIKAAF KARE AUR ALAL'ITTISAAL WAAJIB N THA TO BAAQI KA AETIKAAF KARE,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=45:*
                          *AETIKAAF KEE QAZA SIRF QASDAN TODNE SE NAHI BALKI AGAR UZR KEE WAJAH SE CHODA MASLAN BEEMAAR HO GAYA YAA BILA IKHTIYAAR CHOOTA MASLAN AURAT KO HAIZ YAA NIFAAS AAYA YAA JUNOON W BEHOSHI TAWEEL TAARI HUI UNME BHI QAZA WAAJIB HAI AUR UNME AGAR BAAZ (Thoda) FOUT HO TO KUL KEE QAZA KEE HAAJAT NAHI BALKI BAAZ KEE QAZA KAR LE AUR KUL FOUT HUA TO KUL KEE QAZA HAI AUR MANNAT ME ALAL'ITTISAAL WAAJIB HUA THA TO ALAL'ITTISAAL KUL KEE QAZA HAI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=5, PAGE=156 se 164*

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵🔷🔵
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

1 comment:

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...