Friday, June 23, 2017

{{ EIDAIN KA BAYAAN }}


*{{ PART=1 }}*


*{{ EIDAIN KA BAYAAN }}*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

               *EIDAIN KA BAYAAN*

*🌹ALLAH TAALA FARMATA HAI:🌹*

*TARJUMA::--*
                      *ROZE KEE GINTEE POORI KARO AUR ALLAH KEE BADHAI BOLO KI USNE TUMHE HIDAAYAT FARMAI,*
                  *AUR FARMATA HAI:*
*TARJUMA::--*
                       *APNE RAB KE LIE NAMAZ PADH AUR QURBAANI KAR,,*

*✏HADEES=1:*
                       *IBNE MAAJAA ABOO UMAMA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI RASOOLULLAH ﷺ FARMATE HAI*
*JO EIDAIN KEE RAATO ME QIYAAM KARE USKA DIL N MAREGA JIS DIN LOGO KE DIL MARENGE,,*

*✏HADEES=2:*
                     *ASB'HAANI M'AAZ IBNE JABAL RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI FARMATE HAI*
*JO PAACH (5) RAATO ME SHAB BEDAARI KARE USKE LIE JANNAT WAAJIB HAI*
*ZIL'HIJJA KEE AATHWEE (8-wee) NAWEE (9-wee) DASWEE (10-wee) RAATE AUR EIDUL FITR KEE RAAT AUR SHABAAN KEE PANDRAWEE (15-wee) YAANI SHABE BARA'AT,,*

*✏HADEES=3:*
                       *ADOO DAAUD ANAS RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI HUZOOR AQDAS ﷺ JAB MADEENE ME TASHREEF LAAE US ZAMAANE ME AHLE MADEENA SAAL ME DO (2) DIN KHUSHEE KARTE THE*
*MEHAR'GAAN (Patjhad ka mousam) W NAIROZ,*
*FARMAYA YAH KYA DIN HAIN*
*LOGO NE ARZ KIYA JAAHILIYAT ME HAM IN DINO ME KHUSHEE KARTE THE,*
*FARMAYA ALLAH TAALA NE UNKE BADLE ME INSE BEHTAR DO (2) DIN TUMHE DIYE*
*EIDE AZHA W EIDUL FITR KE DIN,,*

*✏HADEES=4 w 5:*
                         *TIRMIZEE W IBNE MAAJAA W DAARMEE W BUREEDA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWEE KI HUZOOR AQDAS ﷺ EIDUL FITR KE DIN KUCH KHAKAR NAMAZ KE LIE TASHREEF LE JAATE AUR EIDE AZHA KO N KHATE JAB TAK NAMAZ N PADH LETE*
*AUR BUKHARI KI RIWAYAT ANAS RADIYALLAHU TAALA ANHU SE HAI KI EIDUL FITR KE DIN TASHREEF N LE JAATE JAB TAK CHAND KHAJOORE N TANAA'WUL FARMA LETE AUR KHAJOORE TAAQ (Wisham) HOTI YAANI TEEN (3) PAACH (5) SAAT (7) WAGAIRA,,*

*✏HADEES=6:*
                         *TIRMIZEE W DAARMEE NE ABOO HURAIRA RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RIWAYAT KEE KI EID KO AEK (1) RAASTE SE TASHREEF LE JAATE AUR DOOSRE SE WAAPAS HOTE,,*

*✏HADEES=7:*
                         *ABOO DAAUD W IBNE MAAJAA KEE RIWAYAT UNHEE SE HAI KI AEK (1) MARTABA EID KE DIN BAARISH HUI TO MASJID ME HUZOOR ﷺ NE EID KEE NAMAZ PADHI,,*

*✏HADEES=8:*
                     *SAHEEHAIN ME IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE RAAWEE KI HUZOOR ﷺ NE EID KEE NAMAZ DO (2) RAK'AT PADHI N ISKE QABL NAMAZ PADHI N BAAD,,*

*✏HADEES=9:*
                       *SAHEE MUSLIM SHAREEF ME HAI JAABIR IBNE SUMRAA RADIYALLAHU TAALA ANHU KAHTE HAI MAINE HUZOOR ﷺ KE SAATH EID KEE NAMAZ PADHEE AEK (1) DO (2) MARTABA NAHI (Balki baarhaa) N AZAAN HUI N IQAAMAT,,*

        *{{ MASAILE FIQHIYYAH }}*
                             ⬇
*EIDAIN KEE NAMAZ WAAJIB HAI MAGAR SAB PAR NAHI BALKI UNHEE PAR JIN PAR JUMA WAAJIB HAI AUR ISKI ADAA KEE WAHEE SHARTE HAI JO JUME KE LIE HAIN*
*SIRF ITNA FARQ HAI KI JUME ME KHUTBA SHART HAI AUR EIDAIN ME SUNNAT AGAR JUME ME KHUTBA N PADHA TO JUMA N HUA AUR ISME N PADHA TO NAMAZ HO GAI MAGAR BURA KIYA,*
*DOOSRA FARQ YAH HAI KI JUME KAA KHUTBA NAMAZ SE PAHLE HAI AUR EIDAIN KA NAMAZ KE BAAD AGAR PAHLE PADH LIYA TO BURA KIYA MAGAR NAMAZ HO GAI LOUTAAI NAHI JAYEGI AUR KHUTBE KO BHI NAHI DOHRAYA JAAEGA*
*AUR EIDAIN ME N AZAAN HAI N IQAAMAT SIRF DO (2) BAAR ITNA KAHNE KEE IJAZAT HAI ""AS'SALATU'JAAMI'AH""*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagairhuma,,*
*BILA WAJAH EID KEE NAMAZ CHODNA GUMRAAHI W BURI BID'AT HAI,,*
*📘Jouhra,,*

*✍🏻MASLA=1:*
                      *GAAW ME EIDAIN KEE NAMAZ PADHNA MAKROOHE TAHREEMI HAI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=2:*
                      *EID KE DIN YE UMOOR (Kaam) MUSTAHAB HAIN,*
*1::-- HAJAAMAT BANWANA,,*
*2::-- NAAKHOON TARASHWANA,,*
*3::-- GUSL KARNA,,*
*4::-- MISWAAK KARNA,,*
*5::-- ACHCHE KAPDE PAHANNA NAYAA HO TO NAYAA WARNA DHULA HUA,,*
*6::-- ANGOOTHEE PAHANNA,,*
*7::-- KHUSHBOO LAGANA,,*
*8::-- SUBAH KEE NAMAZ MASJIDE MUHALLA ME PADHNA,,*
*9::-- EIDGAAH JALD JAANA,,*
*10::-- NAMAZ SE PAHLE SADQAE FITR ADAA KARNA,,*
*11::-- EIDGAAH KO PAIDAL JAANA,,*
*12::-- DOOSRE RAASTE SE WAAPAS AANA,,*
*13::-- NAMAZ KO JAANE SE PAHLE CHAND KHAJOORE KHAA LENA TEEN (3) PAACH (5) SAAT (7) YAA KAM YAA ZYADA MAGAR TAAQ (Wisham) HO,* *KHAJOORE N HO TO KOI MEETHEE CHEEZ KHAA LE NAMAZ SE PAHLE KUCH N KHAYA TO GUNAHGAAR N HUA MAGAR ISHA TAK N KHAYA TO ITAAB KIYA JAAEGA,,*
*📘Kutube kaseerah,,*

*✍🏻MASLA=3:*
                     *SAWAARI PAR JAANE ME BHI HARAJ NAHI MAGAR JISKO PAIDAL JAANE PAR QUDRAT HO USKE LIE PAIDAL JAANA AFZAL HAI AUR WAAPSI ME SAWAARI PAR AANE ME HARAJ NAHI,,*
*📘Aalamgiri,, Jouhra,,*

*✍🏻MASLA=4:*
                       *EIDGAAH KO NAMAZ KE LIE JAANA SUNNAT HAI AGARCHE MASJID ME GUNJAAISH HO AUR EIDGAAH ME MIMBAR BANAANE YAA MIMBAR LE JAANE ME HARAJ NAHI,,*
*📘Raddul muhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=5:*
                      *KHUSHI ZAAHIR KARNA KASRAT SE SADQA DENA EIDGAAH KO ITMEENAAN W WAQAAR AUR NEECHEE NIGAAH KIYE JAANA AAPAS ME MUBARAK BAAD DENA MUSTAHAB HAI AUR RAASTE ME BALAND AAWAAZ SE TAKBEER N KAHE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=6:*
                      *NAMAZE EID SE QABL (Pahle) NAFL NAMAZ MUTLAQAN MAKROOH HAI EIDGAAH ME HO YAA GHAR ME US PAR EID KEE NAMAZ WAAJIB HO YAA NAHI YAHA TAK KI AURAT AGAR CHAASHT KEE NAMAZ GHAR ME PADHNA CHAHE TO NAMAZ HO JAANE KE BAAD PADHE,*
*AUR NAMAZE EID KE BAAD EIDGAAH ME NAFL PADHNA MAKROOH HAI GHAR ME PADH SAKTA HAI BALKI MUSTAHAB HAI KI CHAAR RAK'ATE PADHE YAH AHKAAM KHWAAS KE HAIN AWAAM AGAR NAFL PADHE AGARCHE NAMAZE EID SE PAHLE AGARCHE EIDGAAH ME UNHE MANAA N KIYA JAAE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=7:*
                       *NAMAZE EID KA WAQT B'QADRE AEK (1) NEZAA AAFTAAB BALAND HONE SE ZAHWAE KUBRA YAANI NIS'FUNN'HAAR SHARAI TAK HAI*
*MAGAR EIDUL FITR ME DER KARNA AUR EIDE AZHA ME JALD PADH LENA MUSTAHAB HAI*
*AUR SALAAM FERNE KE PAHLE NIS'FUNN'HAAR SHARAI YAANI ZAHWAE KUBRA SHUROO HO GAYA TO NAMAZ JAATI RAHI,,*
*📘Durre mukhtar Wagaira,,*
*Nisfunnhaare sharai ka bayaan doosre hisse me guzar chuka,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=4, PAGE=124 se 126*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸






*{{ PART=2, LAST PART }}*


*{{ EIDAIN KA BAYAAN }}*

*NAMAZE EID KA TAREEQA*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

*NAMAZE EID KA TAREEQA*

*✏YAH HAI KI DO (2) RAK'AAT WAAJIB EIDUL FITR YAA EIDE AZHA KEE NIYAT KARKE KAANO TAK HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR" KAH KAR HAATH BAANDH LE FIR SANA PADHE FIR KAANO TAK HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR KAHTA HUA HAATH CHOD DE FIR HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR" KAHKAR HAATH CHOD DE FIR HAATH UTHAE AUR "ALLAHU AKBAR" KAHKAR HAATH BAANDH LE YAANI PAHLEE TAKBEER ME HAATH BAANDHE USKE BAAD DO (2) TAKBEERO ME HAATH LATKAE FIR CHOUTHI TAKBEER ME BAANDH LE (Isko yoo yaad rakhe ki jaha takbeer ke baad kuch padhna hai waha haath baandh liye jaaye aur jaha padhna nahi waha haath chod diye jaaye)* *FIR IMAAM "AAOOJUBILLAAH AUR BISMILLAAH" AAHISTA PADHKAR JAHAR (Yaani baland aawaaz) KE SAATH SURAE FAATIHA AUR SOORAT PADHE FIR ROOKOO KARE*
*AUR DOOSRI RAK'AT ME PAHLE SURAE FAATIHA AUR SURAT PADHE FIR TEEN (3) BAAR KAAN TAK HAATH LE JAA KAR "ALLAHU AKBAR" KAHE AUR HAATH N BAANDHE AUR CHOUTHEE BAAR BAGAIR HAATH UTHAE "ALLAHU AKBAR" KAHTA HUA ROOKOO ME JAAE IS SE MAALOOM HO GAYA KI EIDAIN ME ZAAID TAKBEERE CHAH (6) HUI TEEN (3) PAHLEE ME QIRAAT SE PAHLE AUR TAKBEERE TAHREEMA KE BAAD AUR TEEN (3) DOOSRI ME QIRAAT KE BAAD AUR TAKBEERE ROOKOO SE PAHLE AUR IN SABHI CHAH (6) TAKBEERO ME HAATH UTHAE JAYENGE AUR HAR DO (2) TAKBEERO KE DARMIYAAN TEEN (3) TASBEEH KEE QADR THAHRE*
*AUR EIDAIN ME MUSTAHAB YAH HAI KI PAHLEE ME "SURAE JUMA" DOOSRI ME "SURAE MUNAFIQOON" PADHE*
*YAA PAHLEE ME "SURAE A'ALAA" AUR DOOSRI ME "SURAE GAASHIYA",,*

*📗Durre mukhtar Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=1:*
                      *IMAAM NE CHAH (6) TAKBEERO SE ZAYADA KAHEE TO MUQTADEE BHI IMAAM KEE PAIRWEE KARE MAGAR TERAH (13) SE ZYADA ME IMAAM KEE PAIRWEE NAHI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=2:*
                       *PAHLEE RAK'AT ME IMAAM KE TAKBEER KAHNE KE BAAD MUQTADEE SHAMIL HUA TO USI WAQT TEEN (3) TAKBEERE KAH LE AGARCHE IMAAM NE QIRAAT SHUROO KAR DEE HO AUR TEEN (3) HEE KAHE AGARCHE IMAAM NE TEEN (3) SE ZYADA KAHEE HO AUR AGAR ISNE TAKBEERE N KAHEE KI IMAAM ROOKOO ME CHALA GAYA TO KHADE KHADE N KAHE BALKI IMAAM KE SAATH ROOKOO ME JAAE AUR ROOKOO ME TAKBEER KAH LE*
*AUR AGAR IMAAM KO ROOKOO ME PAAYA AUR GAALIB GUMAAN HAI KI TAKBEERE KAH KAR IMAAM KO ROOKOO ME PAA LEGA TO KHADE KHADE TAKBEERE KAHE FIR ROOKOO ME JAAE WARNA "ALLAHU AKBAR" KAH KAR ROOKOO ME JAAE AUR ROOKOO ME TAKBEERE KAHE FIR AGAR ISNE ROOKOO ME TAKBEERE POORI N KEE THI KI IMAAM NE SAR UTHA LIYA TO BAAQI SAAQIT HO GAI AUR AGAR IMAAM KE ROOKOO SE UTHNE KE BAAD SHAMIL HUA TO AB TAKBEERE N KAHE BALKI JAB APNEE PADHE US WAQT KAHE AUR ROOKOO ME JAHA TAKBEER KAHNA BATAYA GAYA USME HAATH N UTHAE AUR AGAR DOOSRI RAK'AT ME SHAMIL HUA TO PAHLEE RAK'AT KEE TAKBEERE AB N KAHE BALKI JAB APNEE FOUT SHUDA (Chutee hui) PADHNE KHADA HO US WAQT KAHE*
*AUR DOOSRI RAK'AT KEE TAKBEERE AGAR IMAAM KE SAATH PAA JAAE TO BEHTAT WARNA ISME BHI WAHEE TAFSEEL HAI JO PAHLEE RAK'AT KE BAARE ME ZIKR KEE GAI,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagaihuma,,*

*✍🏻MASLA=3:*
                      *JO SHAKHS IMAAM KE SAATH SHAMIL HUA FIR SO GAYA YAA USKA WUZOO JAATA RAHA AB JO PADHE TO TAKBEERE UTNI KAHE JITNI IMAAM NE KAHI AGARCHE USKE MAZHAB ME UTNI N THI,,*
*📘Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=4:*
                       *IMAAM TAKBEER KAHNA BHOOL GAYA AUR ROOKOO ME CHALA GAYA TO QIYAAM KEE TARAF N LOUTE N ROOKOO ME TAKBEER KAHE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=5:*
                      *PAHLI RAK'AT ME IMAAM TAKBEERE BHOOL GAYA AUR QIRAAT SHUROO KAR DEE TO QIRAAT KE BAAD KAH LE YAA ROOKOO ME AUR QIRAAT KA I'AADA N KARE YAANI LOUTAAE NAHI,,*
*📘Guniya,, Aalamgiri,,*

*✍🏻MASLA=6:*
                      *IMAAM NE TAKBEERATE ZAWAAID (Yaani wah chah 6 takbeere jo eidain kee namaz me zayada hai) ME HAATH N UTHAE TO MUQTADI USKI PAIRWEE N KARE BALKI HAATH UTHAYE,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=7:*
                     *NAMAZ KE BAAD IMAAM DO (2) KHUTBE PADHE AUR KHUTBAE JUMA ME JO CHEEZE SUNNAT HAI ISME BHI SUNNAT HAI AUR JO WAHA MAKROOH YAHA BHI MAKROOH*
*SIRF DO (2) BAATO ME FARQ HAI*
*AEK (1) YAH KI JUME KE PAHLE KHUTBE SE PAHLE KHATEEB KA BAITHNA SUNNAT THA AUR ISME N BAITHNA SUNNAT HAI,*
*DOOSRI YAH KI ISME PAHLE KHUTBE SE PAHLE NOU (9) BAAR AUR DOOSRE KE PAHLE SAAT (7) BAAR AUR MIMBAR SE UTARNE KE PAHLE CHOUDAH (14) BAAR "ALLAHU AKBAR" KAHNA SUNNAT HAI* *AUR JUME ME NAHI,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=8:*
                       *EIDUL FITR KE KHUTBE ME SADQAE FITR KE AHKAAM KEE TAALEEM KARE WAH PAACH (5) BAATE HAIN,*
*1::-- KIS PAR WAAJIB HAI,*
*2::-- KIS KE LIYE WAAJIB HAI,*
*3::-- KAB WAAJIB HAI,*
*4::-- KITNA WAAJIB HAI,*
*5::-- AUR KIS CHEEZ ME WAAJIB HAI,*
*BALKI MUNAASIB YAH HAI KI EID SE PAHLE JO JUMA PADHE USME BHI YAH AHKAAM BATAA DIYE JAAYE KI PAHLE SE LOG WAAQIF HO JAAYE AUR EIDE AZHA KE KHUTBE ME QURBANI KE AHKAAM AUR TAKBEERATE TASHREEQ KEE TAALEEM KEE JAAE,,*
*📘Durre mukhtar, Aalamgiri,,*
*👉🏻NOTE::-- TAKBEERATE TASHREEQ UN TAKBEERO KO KAHTE HAI JO BAQRAEID KE MAHEENE ME NOU (9) TAAREEKH KEE FAZR SE TERAH (13) TAAREEKH KEE ASR TAK HAR FARZ NAMAZ KE BAAD TEEN (3) MARTABA KAHEE JAATI HAI,,*

*✍🏻MASLA=9:*
                      *IMAAM NE NAMAZ PADH LEE AUR KOI SHAKHS BAAQI RAH GAYA KHWAAH WAH SHAAMIL HEE N HUA THA YAA SHAAMIL TO HUA THA MAGAR ISKI NAMAZ FAASID HO GAI TO AGAR DOOSRI JAGAH MIL JAAE PADH LE WARNA NAHI PADH SAKTA,*
*HAA BEHTAR YAH HAI KI YAH SHAKHS CHAAR (4) RAK'AAT CHAAST KEE NAMAZ PADHE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=10:*
                         *KISI UZR KE SABAB EID KE DIN NAMAZ N HO SAKI (Maslan sakht baarish hui yaa baadal ke sabab chand nahi dekha gaya aur gawaahi aese waqt guzri ki namaz n ho saki yaa baadal tha aur namaz aese waqt khatm hui ki zawaal ho chuka tha) TO DOOSRE DIN PADHI JAAE*
*AUR DOOSRE DIN BHI N HUI TO EIDUL FITR KEE NAMAZ TEESRE DIN NAHI HO SAKTI,*
*AUR DOOSRE DIN BHI NAMAZ KA WAHI WAQT HAI JO PAHLE DIN THA YAANI AEK (1) NEZAA AAFTAAB BALAND HONE SE NIS'FUNN'HAARE SHARAI TAK AUR BILA UZR EIDUL FITR KEE NAMAZ PAHLE DIN N PADHI TO DOOSRE DIN NAHI PADH SAKTE,,*
*📘Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagairhuma,,*

*✍🏻MASLA=11:*
                        *EIDE AZHA TAMAAM AHKAAM ME EIDUL FITR KEE TARAH HAI SIRF BAAZ BAATO ME FARQ HAI*
*Isme mustahab yah hai ki namaz se pahle kuch n khae agarche qurbaani n kare aur khaa liya to karaahat nahi aur raaste me baland aawaaz se takbeer kahta jaae aur eide azha kee namaz uzr kee wajah se baarhawee tak bila karaahat mu'akhkhar kar sakte hai yaani baarhawee tak padh sakte hai,* *Baarhawee ke baad fir nahi ho sakti aur bila uzr daswee ke baad makrooh hai,,*
*📘Aalamgiri Wagaira,,*

*✍🏻MASLA=12:*
                        *QURBAANI KARNI HO TO MUSTAHAB YAH HAI KI PAHLEE SE DASWEE ZILHIJJA TAK N HAJAAMAT BANWAAE N NAAKHOON TARASHWAAE,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=13:*
                        *ARFE KE DIN YAANI NAWEE ZILHIJJA KO LOGO KA KISI JAGAH JAMA HOKAR HAAJIYO KEE TARAH WUQOOF KARNA AUR ZIKR W DUA ME MASHGOOL RAHNA SAHI YAH HAI KI KUCH MUZAEQA (Haraj) NAHI JABKI LAAZIM W WAAJIB N JAANE*
*AUR AGAR KISI DOOSRI GARAZ SE JAMAA HUE MASLAN NAMAZE ISTISQA PADHNI HAI JAB TO BILA IKHTILAAF JAIZ HAI AUR ASLAN (Bilkul) HARAJ NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=14:*
                        *EID KEE NAMAZ KE BAAD MUSAFAHA W MU'AANQA YAANI GALE MILNA JAISA UMOOMAN MUSALMAANO ME RIWAAJ HAI KI ISME APNI KHUSHI KA IZHAAR HAI,,*
*📘Washahuljeed,,*

*✍🏻MASLA=15:*
                         *NAWEE ZILHIJJA KEE FAZR SE TERHAWEE KEE ASR TAK HAR NAMAZE FARZE PANJGAANA KE BAAD JO JAMA'AT MUSTHABBA KE SAATH ADAA KEE GAI AEK (1) BAAR TAKBEER BALAND AAWAAZ SE KAHNA WAAJIB HAI*
*AUR TEEN (3) BAAR AFZAL*
*ISE TAKBEERE TASHREEK KAHTE HAI WAH YAH HAI::--*

*اللّهُ أكبر اللّهُ أكبر لا إلَهَ الا اللّه و اللّهُ أكبر اللّهُ أكبر و لِلّه الحمدَ*
*📘Tanweerul absaar,,*

*✍🏻MASLA=16:*
                       *TAKBEERE TASHREEK SALAAM FERNE KE BAAD FOURAN WAAJIB HAI YAANI JAB TAK KOI AESA FEL N KIYA HO KI US NAMAZ PAR BINA N KAR SAKE,*
*AGAR MASJID SE BAAHAR HO GAYA YAA QASDAN (Jaan boojh kar) WUZOO TOD DIYA YAA KALAAM KIYA AGARCHE SAHWAN (Bhool kar) TO TAKBEER SAAQIT HO GAI AUR BILA QASD YAANI BILA IRADA WUZOO TUT GAYA TO KAH LE,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=17:*
                        *TAKBEERE TASHREEQ US PAR WAAJIB HAI JO SHAHAR ME MUQEEM HO YAA JISNE USKI IQTIDA KEE AGARCHE AURAT YAA MUSAFIR YAA GAAW KA RAHNE WALA AUR AGAR USKI IQTIDA N KARE TO IN PAR WAAJIB NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=18:*
                        *NAFL PADHNE WAALE NE FARZ WAALE KEE IQTIDA KEE TO IMAAM KEE PAIRWEE ME IS MUQTADI PAR BHI WAAJIB HAI AGARCHE IMAAM KE SAATH ISNE FARZ N PADHE AUR MUQEEM NE MUSAFIR KEE IBTIDA KEE TO MUQEEM PAR WAAJIB HAI AGARCHE IMAAM PAR WAAJIB NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=19:*
                       *GULAM PAR TAKBEERE TASHREEQ WAAJIB HAI AUR AURAT PAR WAAJIB NAHI AGARCHE JAMA'AT SE NAMAZ PADHI,*
*HAA AGAR MARD KE PEECHE AURAT NE PADHI AUR IMAAM NE USKE IMAAM HONE KEE NIYAT KEE TO AURAT PAR BHI WAAJIB HAI MAGAR AAHISTA KAHE,*
*YOO HEE JIN LOGO NE BARHANAA NAMAZ PADHI UN PAR BHI WAAJIB NAHI AGARCHE JAMA'AT KARE KI UNKI JAMA'AT JAMA'ATE MUST'HABBA NAHI,,*
*📘Durre mukhtar,, Jouhra Wagairhuma,,*

*✍🏻MASLA=20:*
                        *NAFL W SUNNAT W WITR KE BAAD TAKBEER WAAJIB NAHI AUR JUME KE BAAD WAAJIB HAI AUR NAMAZE EID KE BAAD BHI KAH LE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=21:*
                        *MASBOOQ (Jiski shuroo se rak'at choote) W LAAHIQ (Jiski darmiyaan se rak'at choote) PAR TAKBEER WAAJIB NAHI MAGAR KHUD SALAAM FERE US WAQT KAHE AUR AGAR IMAAM KE SAATH KAH LEE TO NAMAZ FAASID N HUI AUR NAMAZ KHATM KARNE KE BAAD TAKBEER KA I'AADA BHI NAHI YAANI LOUTANA BHI NAHI,,*
*📘Raddul muhtar,,*

*✍🏻MASLA=22:*
                       *AUR DINO ME NAMAZ QAZA HUI THI AYYAAME TASHREEQ ME USKI QAZA PADHI TO TAKBEER WAAJIB NAHI,*
*YOO HEE IN DINO KEE NAMAZE AUR DINO ME PADHE JAB BHI WAAJIB NAHI,*
*YOO HEE GUZRE HUE SAAL KE AYYAAME TASHREEQ KEE QAZA NAMAZE IS SAAL KE AYYAAME TASHREEQ ME PADHE JAB BHI WAAJIB NAHI*
*HAA AGAR ISI SAAL KE AYYAAME TASHREEQ KEE QAZA NAMAZE ISI SAAL KE INHI DINO ME JAMA'AT SE PADHE TO WAAJIB HAI,,*
*📘Raddul muhtar,,*
*👉🏻NOTE::-- Wah din jinme takbeere tashreeq kahi jaati hai unhe ayyaame tashreeq kahte hain,,*

*✍🏻MASLA=23:*
                        *MUNFARID YAANI TANHA NAMAZ PADHNE WAALA JO JAMA'AT ME SHAAMIL NAHI THA US PAR TAKBEER WAAJIB NAHI,,*
*📘Jouhra Nayyira,,*
*Magar mufarid bhi kah le ki saahibain ke nazdeek is par bhi waajib hai,,*

*✍🏻MASLA=24:*
                        *IMAAM NE TAKBEER N KAHEE JAB BHI MUQTADI PAR KAHNA WAAJIB HAI AGARCHE MUQTADI MUSAFIR YAA DEHAATI YAA AURAT HO,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*✍🏻MASLA=25:*
                     *IN TAAREEKHO ME AGAR AAM LOG BAAZAARO ME ELAAN KE SAATH TAKBEERE KAHE TO UNHE MANAA N KIYA JAAE,,*
*📘Durre mukhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=4, PAGE=126 se 131*

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
*طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
          *☎7782066833☎*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...