Saturday, June 17, 2017

{{ SADQAE FITR KA BAYAN }}



*{{ SADQAE FITR KA BAYAN }}*


🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
 *🌹فیضانِ حضور امینِ شریعت🌹*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
 *بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴

*SADQAE FITR KA BAYAN*

*✏HADEES=1:*
                           *SAHI BUKHARI W MUSLIM ME ABDULLAH IBNE UMAR RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ NE ZAKATE FITR AEK (1) SAA'A (Ikaai, Yoonit) KHURMA (Khajoor) YAA JOU GULAM W AAZAAD MARD W AURAT CHOTE AUR BADE MUSALMAAN PAR MIQARRAR KEE AUR YAH HUKM FARMAYA KI NAMAZ KO JAANE SE PAHLE ADAA KAR DE,,*

*✏HADEES=2:*
                          *ABOO DAAUD W NASAI KEE RIWAYAT ME HAI KI ABDULLAH IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA NE AAKHIR RAMZAN ME FARMAYA APNE ROZE KA SADQA ADAA KARO IS SADQE KO RASOOLULLAH ﷺ NE MAQARRAR FARMAYA AEK SAA'A KHURMA YAA JOU YA NISF (Aadha) SAA'A GEHOO,,*

*✏HADEES=3:*
                          *TIRMIZEE SHAREEF ME BA-RIWAYATE AMR IBNE SUAEB AN ABEEHE AN JADDEHEE MARWEE KI HUZOOR AQDAS ﷺ NE AEK (1) SHAKHS KO BHEJA KI MAKKA KE KOOCHO ME ELAAN KAR DE KI SADQAE FITR WAAJIB HAI,,*

*✏HADEED=4:*
                          *ABOO DAAUD W IBNE MAAJA W HAAKIM IBNE ABBAS RADIYALLAHU TAALA ANHUMA SE MARWEE KI RASOOLULLAH ﷺ NE ZAKATE FITR MUQARRAR FARMAI KI LAGW AUR BEHOODA KALAAM SE ROZE KEE TAHAARAT HO JAAE AUR MISKEENO KEE KHURISH (Khuraak wagaira) HO JAAE,,*

*✏HADEES=5:*
                          *DAILMEE W KHATEEB IBNE ASAAKIR ANAS RADIYALLAHU TAALA ANHU SE RAAWI KI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA KI BANDE KA ROZA AASMAAN W ZAMEEN ME MU'ALLAQ (Latka) RAHTA HAI JAB TAK KI SADQAE FITR ADAA N KARE,,*

*✒MASLA=1:*
                       *SADQAE FITR WAAJIB HAI UMR BHAR USKA WAQT HAI YAANI AGAR ADAA N KIYA HO TO AB ADAA KAR DE AUR N KARNE SE SAAQIT N HOGA YAANI KHATM N HOGA, N AB ADAA KARNA QAZA HAI BALKI AB BHI ADAA HEE HAI AGARCHE MASNOON (Behtar) EID KEE NAMAZ SE PAHLE ADAA KARNA HAI,,*
*📙(Durre mukhtar Wagaira,,*

*✒MASLA=2:*
                        *SADQAE FITR US SHAKHS PAR WAAJIB HAI MAAL PAR NAHI LIHAZA MAR GAYA TO USKE MAAL SE ADAA NAHI KIYA JAAEGA HAA AGAR WARSA AEHSAAN KE TOUR PAR APNI TARAF SE ADAA KARE TO HO SAKTA HAI KUCH UN PAR JABR NAHI AUR AGAR WASEEYAT KAR GAYA HAI TO TIHAI MAAL SE ZAROOR ADAA KIYA JAAEGA AGARCHE WARSA IJAZAT N DE,,*
*📙Jouhra Wagaira,,*

*✒MASLA=3:*
                       *EID KE DIN SUBHE SAADIQ TULOO HOTE HEE SADQAE FITR WAAJIB HOTA HAI LIJAZA JO SHAKHS SUBHE SAADIQ HONE SE PAHLE MAR GAYA YAA GANI THA FAQEER HO GAYA YAA SUBHE SAADIQ TULOO HONE KE BAAD KAAFIR MUSALMAAN HUA YAA BACHCHA PAIDA HUA YAA FAQEER THA GANI HO GAYA WAAJIB N HUA AUR AGAR SUBHE SAADIQ TULOO HONE KE BAAD MARAA YAA SUBHE SAADIQ TULOO HONE SE PAHLE KAAFIR MUSALMAAN HUA YAA BACHCHA PAIDA HUA YAA FAQEER THA GANI HO GAYA TO WAAJIB HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=4:*
                        *SADQAE FITR HAR MUSALMAAN AAZAAD MAALIKE NISAB PAR JISKI NISAAB HAAJTE ASLIYA SE FAARIG HO WAAJIB HAI ISME AAQIL BAALIG AUR MAALE NAAMI (Badhne waale maal) KA HONA SHART NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,,*
*Maale naami aur haajte asliya ka bayan guzar chuka iski soorat wahi se maloom kare,,*

*✒MASLA=5:*
                        *NABAALIG YAA MAJNOON (Paagal) AGAR MAALIKE NISAB HAI TO UN PAR SADQAE FITR WAAJIB HAI UNKA WALI UNKE MAAL SE ADAA KARE AGAR WALI NE ADAA N KIYA AUR NABAALIG BAALIG HO GAYA YAA MAJNOON KA JUNOON JAATA RAHA TO AB YAH KHUD ADAA KAR DE AUR AGAR YAH KHUD MAALIKE NISAB N THE AUR WALI NE ADAA N KIYA TO BAALIG HONE YAA HOSH ME AANE PAR UNKE JIMME ADAA KARNA NAHI,,*
*📙Durre mukhtar, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=6:*
                        *SADQAE FITR ADAA KARNE KE LIYE MAAL KA BAAQI RAHNA BHI SHART NAHI MAAL HALAAK HONE KE BAAD BHI SADQAE FITR WAAJIB RAHEGA SAAQIT N HOGA JABKI ZAKAAT W USR YAH DONO MAAL HALAAK HO JANE SE SAAQIT HO JAATE HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=7:*
                        *MARD MAALIKE NISAAB PAR APNI TARAF SE AUR APNE CHOTE BACHCHE KEE TARAF SE WAAJIB HAI JABKI BACHCHA KHUD MAALIKE NISAAB N HO WARNA USKA SADQAE FITR USI KE MAAL SE ADAA KIYA JAAE AUR MAJNOON AULAD AGARCHE BAALIG HO JABKI GANI N HO TO USKA SADQAE FITR USKE BAAP PAR WAAJIB HAI AUR GANI HO TO KHUD USKE MAAL SE ADAA KIYA JAAE, JUNOON KHWAAH ASLI HO YAANI USI HAALAT ME BAALIG HUA YAA BAAD KO AARIZ HUA DONO KA AEK (1) HUKM HAI,,*
*📙 Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=8:*
                        *SADQAE FITR WAAJIB HONE KE LIYE ROZA RAKHNA SHART NAHI AGAR KISI UZR, SAFAR MARAZ YAA BUDHAPE KEE WAJAH SE YAA MAAZALLAH BILA UZR ROZA N RAKHA JAB BHI WAAJIB HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=9:*
                        *NA'BAALIG LADKI JO IS QAABIL HAI KI SHOUHAR KEE KHIDMAT KAR SAKE USKA NIKAAH KAR DIYA AUR SHOUHAR KE YAHA USE BHEJ BHI DIYA TO KISI PAR USKI TARAF SE SADQAE FITR WAAJIB NAHI N SHOUHAR PAR N BAAP PAR AUR AGAR QAABILE KHIDMAT NAHI YAA SHOUHAR KE YAHA USE BHEJA NAHI TO BA'DASTOOR BAAP PAR HAI FIR YAH SAB US WAQT HAI KI LADKI KHUD MAALIKE NISAAB N HO WARNA BAHAR'HAAL USKA SADQAE FITR USKE MAAL SE ADAA KIYA JAAE,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=10:*
                          *BAAP N HO TO DADA BAAP KEE JAGAH HAI YAANI APNE FAQEER W YATEEM POTA-POTI KEE TARAF SE US PAR SADQAE FITR DENA WAAJIB HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=11:*
                          *MAA PAR APNE CHOTE BACHCHO KEE TARAF SE SAFQAE FITR DENA WAAJIB NAHI,,*
*📙Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=12:*
                         *KHIDMAT KE GULAM W MUDAB'BAR (Mudabbar us gulam ko kahte hai jisse malik ne kaha ki mere marne ke baad too aazaad hai) W UMME WALAD (Wah loundee jisse maalik ka bachcha paida ho jaae) KEE TARAF SE UNKE MAALIK PAR SADQAE FITR WAAJIB HAI AGARCHE GULAM MADYOON (Qarzdaar) HO AGARCHE DAIN ME MUS'TAG'RAQ (Qarz me ghira hua) HO AUR AGAR GULAM GIRWEE HO AUR MAALIK KE PAAS HAAJTE ASLIYA KE SIWA ITNA HO KI DAIN ADAA KAR DE AUR FIR NISSAB KA MAALIK RAHE TO MAALIK PAR USKI TARAF SE BHI SADQAE FITR WAAJIB HAI,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=13:*
                        *TIZARAT KE GULAM KA FITRA MAALIK PAR WAAJIB NAHI AGARCHE USKI QERMAT BA-QADRE NISAAB N HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=14:*
                          *GULAM AAR'YATAN DE DIYA YAANI KAAM-KAAJ KARNE KE LIYE MANGNEE KE TOUR PAR DE DIYA YAA KISI KE PAAS AMAANAT KE TOUR PAR RAKHA TO MAALIK PAR FITRA WAAJIB HAI AUR AGAR YAH WASEEYAT KAR GAYA KI YAH GULAM FULAA KA KAAM KARE AUR MERE BAAD USKA MAALIK FULAA HAI TO FITRA MAALIK PAR HAI US PAR NAHI JISKE QABZE ME HAI,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=15:*
                          *BHAGA HUA GULAM AUR WAH JISE HARBEE KAAFIRO NE QAID KAR LIYA UNKI TARAF SE SADQAE FITR MAALIK PAR NAHI YOO HEE AGAR KISI NE GASAB KAR LIYA AUR GAASIB INKAAR KARTA HAI AUR USKE PAAS GAWAAH NAHI TO USKA FITRA WAAJIB NAHI MAGAR JABKI WAAPAS MIL JAYE TO AB UNKI TARAF SE PICHLE SAAL KA FITRA DE HARBEE KAAFIR AGAR GULAM KE MAALIK HO GAE TO WAAPSI KE BAAD BHI USKA FITRA NAHI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=16:*
                         *MUKAATIB (Mukaatib us gulam ko kahte hai jisse maalik ne yah kaha ho ki itna rupya de do to aazaad ho jaaoge) KA FITRA N MUKAATIB PAR HAI N USKE MAALIK PAR, YOO HEE MUKAATIB AUR MAAZOON KE GULAM KA MUKAATIB AGAR BADLE KITABAT ADAA KARNE SE AAJIZ AAYA TO MAALIK PAR GUZRE HUE SAAL KA FITRA NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=17:*
                         *DO (2) SHAKHSO ME GULAM MUSH'TARAK HAI YAANI DO (2) PARTNER KA HAI TO USKA FITRA KISI PAR NAHI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*📙MASLA=18:*
                          *GULAM BECH DAALA AUR BAAE (Bechne wale) YAA MUSHTARI (Kharidaar) YAA DONO NE WAAPSI KA IKHTIYAAR RAKHA, EIDUL FITR AA GAI AUR IKHTIYAAR KEE MEE'AAD KHATM N HUI TO USKA FITRA MOUKOOF HAI AGAR BAI'A (Souda) QAAIM RAHI TO MASHTARI DE WARNA BAAE,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=19:*
                          *AGAR KHARIDAAR NE KHIYAARE AEB YAA KHIYAARE ROOYAT KE SABAB WAAPAS KIYA TO AGAR QABZA KAR LIYA THA TO KHARIDAAR PAR HAI WARNA BECHNE WAALE PAR,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=20:*
                        *GULAM KO BECHA MAGAR WAH BAI'A FAASID HUI AUR KHARIDAAR NE QABZA KARKE WAAPAS KAR DIYA YAA EID KE BAAD QABZA KARKE AAZAAD KAR DIYA TO BECHNE WAALE PAR HAI AUR AGAR EID SE PAHLE QABZA KIYA AUR EID KE BAAD AAZAAD KIYA TO MUSHTARI PAR,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=21:*
                         *MAALIK NE GULAM SE KAHA JAB EID KA DIN AAE TOO AAZAAD HAI EID KE DIN GULAM AAZAAD HO JAEGA AUR MAALIK PAR USKA FITRA WAAJIB,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=22:*
                         *APNI AURAT AUR AULAD AAQIL BAALIG KA FITRA USKE JIMME NAHI AGARCHE APAAHIJ HO AGARCHE USKE NAFQAAT USKE JIMME HO,,*
*📙Durre mukhtar Wagaira,,*

*✒MASLA=23:*
                         *AURAT YAA BAALIG AULAD KA FITRA UNKE BAGAIR IZN (Ijazat) ADAA KAR DIYA TO ADAA HO GAYA BASHARTE KEE AULAD USKE IYAAL ME HO YAANI USKA NAFQA WAGAIRA USKE JIMME HO WARNA AULAD KEE TARAF SE BILA IZM ADAA N HOGA AUR AURAT NE AGAR SHOUHAR KA FITRA BAGAIR HUKM ADAA KAR DIYA ADAA N HUA,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar Wagairhuma,,*

*✒MASLA=24:*
                         *MAA BAAP DADA DADI NA'BAALIG BHAI AUR DOOSRE RISHTE'DAARO KA FITRA ISKE ZIMME NAHI AUR BAGAIR HUKM ADAA BHI NAHI KAR SAKTA,,*
*📙Aalamgiri,, Jouhra,,*

*✒MASLA=25:*
                         *SADQAE FITR KEE MIQDAAR YAH HAI::--*
*GEHOO YAA USKA AATA YAA SATTU NISF SAA'A KHAJOOR YAA MUNAQQA YAA JOU YAA USKA AATA YAA SATTU AEK (1) SAA'A,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=26:*
                          *GEHOO, JOU, KHAJOORE, MUNAQQA DIE JAYE TO UNKI KEEMAT KA AETIBAAR NAHI MASLAN NISF SAA'A UMDA JOU JINKI KEEMAT AEK (1) SAA'A JOU KE BARABAR HAI YAA CHAHAROOM SAA'A KHARE GEHOO JO KEEMAT ME AADHE SAA'A GEHOO KE BARABAR HAI YAA NISF SAA'A KHAJOORE DEE JO AEK (1) SAA'A JOU YAA NISF SAA'A GEHOO KEE QEEMAT KEE HO YAH SAB NA'JAIZ HAI JITNA DIYA UTNA HEE ADAA HUA BAAQI USKE ZIMME BAAQI HAI ADAA KARE,,*
*📙Aalamgiri Wagaira,,*

*✒MASLA=27:*
                          *NISF SAA'A JOU AUR CHAHAROOM GEHOO DIE YAA NISF SAA'A JOU AUR NISF SAA'A KHAJOOR TO BHI JAIZ HAI,,*
*📙Aalamgiri,, Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=28:*
                          *GEHOO AUR JOU MILE HUE HO AUR GEHOO ZYADA HAI TO NISF SAA'A DE WARNA AEK (1) SAA'A,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*✒MASLA=29:*
                          *GEHOO AUR JOU KE DENE SE UNKA AATA DENA AFZAL HAI AUR USSE AFZAL YAH HAI KI QEEMAT DE DE KHWAAH GEHOO KEE QEEMAT DE YAA JOU KEE YAA KHAJOOR KEE MAGAR GIRAANI (Mahgaai) ME KHUD UNKA DENA QEEMAT DENE SE AFZAL HAI AUR AGAR KHARAAB GEHOO YAA JOU KEE QEEMAT DEE TO ACHCHE KEE QEEMAT SE JO KAMI PARE POORI KARE,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=30:*
                         *IN CHAAR (4) CHEEZO KE ALAWA AGAR DOOSRI CHEEZO SE FITRA ADAA KARNA CHAHE MASLAN CHAAWAL, JWAAR, BAAJRA, YAA AUR KOI GALLA YAA AUR KOI CHEEZ DENA CHAHE TO QEEMAT KA LIHAAZ KARNA HOGA YAANI WAH CHEEZ AADHE SAA'A GEHOO YAA AEK (1) SAA'A JOU KEE QEEMAT KEE HO YAHA TAK KI ROTI DE TO USME BHI QEEMAT KA LIHAAZ KIYA JAAEGA AGARCHE GEHOO YAA JOU KEE HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri Wagairhuma,,*

*✒MASLA=31:*
                           *AALA DARJE KEE TAHQEEQ AUR AEHTIYAAT YAH HAI KI SAA'A KA WAZAN 351 RS. BHAR HAI AUR NISF SAA'A 175 RS. AUR ATHANNI BHAR UPAR,,*
*📙Fatawa Razviya,,*
*NOTE= Aaj ke wazan ke hisab se aek saa'a 2 kilo 45 gram gehoo, yaa 4 kilo 90 gram jou hai,,*

*✒MASLA=32:*
                          *FITRE KA MUQADDAM KARNA (Yaani waajib hone se pahle advance me de dena) MUTLAQAN JAIZ HAI JABKI WAH SHAKHS MOUJOOD HO JISKI TARAF SE ADAA KARTA HO AGARCHE RAMZAN SE PAHLE ADAA KAR DE AUR AGAR FITRA ADAA KARTE WAQT MAALIKE NISAAB N THA FIR HO GAYA TO FITRA SAHI HAI  AUR BEHTAR YAH HAI KI EID KEE SUBHE SAADIK HONE BAAD AUR EIDGAAH JAANE SE PAHLE ADAA KAR DE,,*
*📙Durre mukhtar,, Aalamgiri,,*

*✒MASLA=33:*
                         *AEK (1) SHAKHS KA FITRA AEK (1) MISKEEN KO DENA BEHTAR HAI AUR CHAND MISKEENO KO DE DIYA JAB BHI JAIZ HAI YOO HEE AEK (1) MISKEEN KO CHAND SHAKHSO KA FITRA DENA BHI BILA'KHILAF JAIZ HAI AGARCHE SAB FITRE MILE HUE HO,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=34:*
                         *SHOUHAR NE AURAT KO APNA FITRA ADAA KARNE KA HUKM DIYA USNE SHOUHAR KE FITRE KE GEHOO APNE FITRE KE GEHOO ME MILA KAR FAQEER KO DE DIE AUR SHOUHAR NE MILANE KA HUKM N DIYA THA TO AURAT KA FITRA ADAA HO GAYA SHOUHAR KA NAHI MAGAR JABKI MILA DENE PAR URF JAARI HO YAANI AESA HOTA RAHTA HAI TO SHOUHAR KA BHI ADAA HO JAAEGA,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=35:*
                         *AURAT NE SHOUHAR KO APNA FITRA ADAA KARNE KA IZN (Ijazat) DIYA USNE AURAT KA GEHOO APNE GEHOO ME MILAKAR SAB KEE NIYAT SE FAQEER KO DE DIE JAIZ HAI,,*
*📙Aalamgiri,,*

*✒MASLA=36:*
                          *SADQAE FITR KE MASAARIF (Kharch karne ke qaabil) WAHI HAI JO ZAKAAT KE HAI YAANI JINKO ZAKAAT DE SAKTE HAI UNHE FITRA BHI DE SAKTE HAI AUR JINHE ZAKAAT NAHI DE SAKTE UNHE FITRA BHI NAHI SIWA AAMIL (Jo zakaat lene ke liye baadshah kee taraf se muqarrar kiya jaae) KE KI USKE LIE ZAKAAT HAI FITRA NAHI,,*
*📙Durre mukhtar,, Raddul muhtar,,*

*✒MASLA=37:*
                          *APNE GULAM KEE AURAT KO FITRA DE SAKTE HAI AGARCHE USKA NAFQA USI PAR HO,,*
*📙Durre mukhtar,,*

*📚BAHARE SHARIAT*
*JILD=5, PAGE=72 se 77*

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
*🌹 يا حضور امینِ شریعت المدد 🌹*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
 *طالِبِ دُعا غلام نبي رضا*
*➡FAIZANE HUZOOR AMEENE SHARIYAT GROUP*
            *↙JOIN GROUP↘*
        *WHATS APP NUMBER*
           *☎7782066833☎*
🔴♦🔴♦🔴♦🔴♦🔴
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...