Akeeda Khatme Nabuwat صلى الله عليه و آله وسلم
Akeeda Khatme Nabuwat صلى الله عليه و آله وسلم
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Khatiman Nabiyeen Hai
Aqeeda E Islami Me Ye Bhi Ek Sabse Ahem Aqeeda Hai k Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم Ko Khatmanabiyeen Maan Na Aur ye Aqeeda rakhna k Ab Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه وسلم K Baad Koi Nabi Nahi.
Ab Jamane E Pur Fitan hai har taraf bas fitna nazar aata hai aaj jiske haatho Mobile Hai wo khud ko watsapp munazir samajh bas Pura wakt Munazre me guzarta hai bina wajah bahes o mubahisa karta hai natiza kya nikalta hai ? Zero naa to Amal Me neki me izafa huwa naa hi ilm me balki hakikatan WASTE OF TIME huwa.
Aksar Musalman Qadiyanio se bhi munazra karte hai aur ilmi liyakat dekhi jaaye to bilkul Zero hoti hai bas dawa hum to Munazir Hai hume koi Gumraah nahi kar sakta kisi badmazhab se hum nahi haar sakte.
Ye Darasal Shaitan Ka fil wakt sabse bada hathyar Hai kisi tarah Ummat E Muslima Ko bas FB watsapp Debates me uljha kar rakhe taaki naa koi amal kar sake naa kaum Ummat E Muslima k liye kuch kar sake pure bade bade kile wo nauzawan samajhta hai k fateh hogaye aur phir wo wakt bhi aata hai bahot logo k saath k dawa karte rahe par hogaye badmazhab aur yehi cheez mauzooda Musalmano ki gumrahiyat ki badmazhabiat ki taraf jaane ki sabse badi wajah hai.
Kya Aapka Ya Hamara Mansaab Hai Ye Munazre karna ? Munazra K lIye Kya Ulma Nahi Hai ?
Lihaja Chahye k In bakwas baato se dur rahe Aur wakt ki ahmiyat samjhe ALLAH HUM SABKO IMAAN K SAATH DUNYA SE RUKHSATI ATA FARMAYE SAHI AQEEDA SUNNI RAHE. Mission E AALA HAZRAT PE KAAYAM RAHE.
Khair Kuch Ahem baatein baaz awkaat kuch log ye bhi kah dete hai Agar Mirza Nabi Hai to dalil do ? Nauzubillah Astagfirullah
Awwal Cheez bunyaadi Usool Hai agar Kisi musalman ne Sirf Daleel bhi maangli Kisi k nabuwat ki to wo KUFR hai aur Tauba Laazim hai.
Bahot se log aise aaye jinhone Khud Ka Nabi Hone ka jhuta dawa kiya balki kuch Hypnotise brain wash log the jinki baato me log ulajh jaate hai.
Huzoor Rehmat E Aalamصلى الله عليه وسلم Ki Hayat E Zahiri Aur Daur E Sahaba Me bhi Kuch Logo Ne ye Dawa Kiya jinme
1) Musailma Kazzab : Isko Jung E Yamama Me Hazrat Khalid Bin Waleed ki Kayadat Me Maara gaya Aur Jahannam Me Pahucha.
2) Tulaya Al Azdi : Inke Saath bhi Yehi maamla Tha Inko Jung E Buzakah me Khalid Ibn Walid k Haath Shikast Huwi Aakhir Me Tauba Karli Aur Musalman Hogaye Aakhir Me Inhone Jung E Qadisiya Me Hissa Liya Aur Waha Shaheed Huwe.
3) Aswad Al Ansi : Ye Bhi Ek Kaala Baddha Dikhne wala Shaks tha jisko Siddiq E Akbar K Daur E Khilafat Me Maara gaya.
4) Sajjah bint E Harith : Ye Ek Aurat Thi Jo Shayara Thi Isne Bhi Us Daur Me hi Nabuwat Ka dawa kiya baaj tareekh daan ne likh hai k isne Aswad Al Ansi se shadi karli thi par baad me ye bhi tauba kar Islam kabool karli khair isme kitni sacchai hai ALLAH AUR USKA RASOOL behtar jaane.
5) Mukhtar Saqafi : Ye Wo Hai jisne wakya E Karbala k baad Ek Ek Yazeedio ko Chun Chun k maara jo jo Sahadat E Imam Hussain K Zimmedar the par tha ye ek political kism ka insaan lihaja sabko maarne k baad isne bhi yehi jurm kiya khud ko NABI declare kar diya aur Murtad Kafir Hogaya Isko Sann 67 Hizri Me Hazrat Abdullah Ibn Zubair Radi Allaho Anho Ne Katl Kiya.
Ye to wo 05 the jo shuruwat k daur me hi Dawa E Nabuwat kar chuke aur baad me bhi kaafi logo ne kiya par is fitne ko asal urooz 150 saal qabl ye dobara Qadiyan jo Mirza Gulam Qadiyani Se Utha aur Phir Goharshahi aaya aur ab Egypt Me Bhi ek maloon ne haal hi me dawa kiya hai aur in daur me bhi kaafi aaye.
Jo Aachuke Hai wo aachuke Unke jhute dawe ko Ummat E Muslima Ne Nahi chalne diya aur jo baaki hai wo aake rahenge aakhir me in sab ka sardar Kaana Dajjal aayga uska pahla dawa bhi Ailaan Nabuwat hi hoga baad me wo Khud ko KHUDA hona declare karega lihaja jaruri hai k is fitne se khud ko bachaye aur apne ahlo Ayaal ko bhi bachaye aur ye us surat me mumkin hai jab is masle ka ilm ho. Pehle Kuch Arz
Allah Taala Ne Dunya Me har Kaum k pass uski Rahbari k liye Bando k Allah Se Talluk ko jodne k liye apne Nabiyo ko Bheja jo kaum ki hidayat aur unhe kufr o shirk se nizaad dene k liye aaye jinki tadaad approximately 1,24,000 k bayan ki gayi unme sabse Aakhir Me Allah Taala Ne Hamare Nabi Muhammad Mustafa Ko Bheja aur Khatimeen Nabiyeen ka Taj pahnaya Aaka Ki Ummat Ko tamam Ummat ka Sardar banaya aur beshumar fazilat di.
Allah Taala Ne Har Nabi ko ek khas Makhsoos Shaher Aur Ek Particular Kaum k rehnumayi k liye bheja baaj awkaat ye bhi huwa k Allah ne ek hi wakt me do alag alag kaum k liye do alag alag Ambiya Alaihsalam ko bheja jaise Kaum E Sadoom Me Hazrat Looth Alaihsalam ko Jo Hazrat Ibrahim Alaihsalam k Bhatije The phir Hazrat Ibrahim Alaihsalam jo Syria me bheje gaye Hazrat Ismail Alaihsalam Ko Makkah me Kayam farmaya.
Hazrat Yakoob Alaihsalam Ko Kanaan Me Aur Unke Bete Yusuf Alaihsalam ko Egypt Misr Me is tarah Hazrat Moosa Alaihsalam ko Kaum E Bani Israel k pass aur Unke daur Me hi Hazrat Shoeb Alaihsalam ko Kaum E Madyan k paas bheja gaya.
Pata Chala k ek hi wakt me alag alag Nabi Bheje Gaye par Jab Huzoor Rehmat E Aalam Ko Bheja Gaya to tamam aalam k liye bheja gaya.
Quran E Karim Se Khatme Nabuwat Ka Saboot
Quran E Karim Me Bahot si aayat is baat ki gawah hai jo Huzoor Rehmat E Aalam k aakhri Nabi Hone pe dalalat karti hai unme se kuch yaha hum pesh kar rahe hai.
Ayat 01 :
وَما أَرسَلنا في قَريَةٍ مِن نَذيرٍ إِلّا قالَ مُترَفوها إِنّا بِما أُرسِلتُم بِهِ كافِرونَ
“Aur Jab Humne Kabhi Kisi Shaher Me Koi Darr Sunane Waala Bheja Waha k Aasudo Ne yahi Kaha Tum Jo Lekar Bheje Gaye Hum Uske Inkaari Hai”
(Surah Saba Ayat 34)
Ayat 02 :
اليَومَ أَكمَلتُ لَكُم دينَكُم وَأَتمَمتُ عَلَيكُم نِعمَتي وَرَضيتُ لَكُمُ الإِسلامَ دينًا
“Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Tum Par Apni Naemat Puri Kari Aur Tumhare Liye ISLAM ko Pasand Kiya”
(Surah Maida Ayat 03)
Ayat 03:
وَمَن يَبتَغِ غَيرَ الإِسلامِ دينًا فَلَن يُقبَلَ مِنهُ وَهُوَ فِي الآخِرَةِ مِنَ الخاسِرينَ
“Aur Jo Islam K Siwa Koi Deen Chahega Woh Kabhi Bhi Us Se Kabool Naa Kiya Jayga Aur Woh Aakhirat Me Ghata Uthane Waalo Me Se Hai”
(Surah Al Imran Ayat 85)
Ayat 04:
ما كانَ مُحَمَّدٌ أَبا أَحَدٍ مِن رِجالِكُم وَلٰكِن رَسولَ اللَّهِ وَخاتَمَ النَّبِيّينَ ۗ وَكانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيءٍ عَليمًا
“Aur Muhammad Tumhare Mardo Me Kisi K Baap Nahi Hai Magar Khatiman Nabiyeen Hai”
(Surah Ahzaab Ayat 40)
Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Khatimeen Nabiyeen Hai Hadees E Paak Se Saboot
Hadees 01:
Hazrat Abu Hurairah Radi Allaho Anho Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya :
Meri Misaal Aur Guzishta Anbiya E Kiram Alaihumusalam Ki Misal Aisi Hai, Jaise Kisi Ne Ek Bahut Khoobsoorat Makaan Banaaya Aur Use Khoob Aaraasta Kiya, Lekin Ek Goshe Me Ek Int Ki Jagah Chhod Dee.Log Aa Aa Kar Is Makaan Ko Dekhne Lage Aur Is Par Taa’jjub Ka Ka Iz’haar Karte Hue Kahne Lage :
Int Kyon Nahin Rakkhi Gaee ?
Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Mai Wahi Ent Hoon Aur Mein Khaatimunnabiyyin Hoon (Yaani Mere Baad Baab-E-Nubuwwat Hamesha Ke Lie Band Ho Gaya Hai)
References :
(Sahih Bukhari Vol :04, Pg :454, Kitab No 61 Kitabul Manakib, Baab : Khatimeen Nabiyeen , Hadees : 3535)
(Sahih Muslim Vol : 06 Pg : ,Kitab No 43 Kitabul Manakib, Baab : Zikr E Kawni Khatiminabiyeen , Hadees : 5959 to 5964 Online No 2286)
(Imam Ahmad Musnad Ahmad Ibn Hambal , Hadees : 7278, 7436,7917,8959,9132)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 06, Pg : 436, Hadees : 11422)
(Sahi Ibn Hibban , Hadees : 6405)
(Imam Tabrani Musnad Al Shameen, Hadees : 130, 3231)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausat, Hadees : 3274)
(Imam Humaidi Al Musnad Humaidi, Vol : 01, Pg : 600, Hadees : 1067)
Hadees 02:
Hazrat Saad ibn Abi Waqqas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allah صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Farmaya
Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai ?
Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye Me Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”
References :
(Sahi Bukhari, Vol : 05, Pg :424, Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416)
(Sahi Muslim, Vol :06, Pg :261, Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6217 ‘Online Version : 2404’)
(Jamai Tirmiz Vol : 06, pg : 400 Kitabul Manakib Hadees :3731, Arabic No : 4095, Rivayat Hazrat Jabir Bin Abdullah Se)
Hadees 03:
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
"Kayamat Us Wakt Tak Naa Aaygi Jab Tak Meri Ummat Me 30 Dajjal Naa Aajaye Unme Se Har Koi Nabi Hone Ka Dawa Karega”
References :
(Sahi Muslim Vol :07, Pg :317, Kitabul Fitan, Hadees : 7342)
(Sunan Abu Dawood, Vol :04 , Pg :535 ,Kitabal Malaheem, Baab : Khabre Ibn E Saad, Hadees : 4333 ‘English No : 4319 ’)
Hadees 04:
Hazrat Saubaan Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
"Aur Beshak Meri Ummat Me 30 Jhute Aaynge, Unme Se Har Shaks Khud Nabi Hone Ka Dawa Karega Aur Mai Aakhri Nabi Hoon Mere baad Koi Nabi Nahi Hai”
References :
(Jamai Tirmiz, Vol : 04, Pg :270 , Kitabul Fitan, Hadees : 2219)
Imam Tirmizi aage Farmate Hai Ye . قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ Hadees Hasan Sahi Hai.
Is Tarah Ek Hadees Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat Hai Jamai Tirmizi Hadees : 2218.
Hadees 05 :
حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم " إِنَّ الرِّسَالَةَ وَالنُّبُوَّةَ قَدِ انْقَطَعَتْ فَلاَ رَسُولَ بَعْدِي وَلاَ نَبِيَّ
Hazrat Anas Ibn Malik Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Beshak Risalat Aur Nabuwat Khatm Kar Di Gayi Ab Mere baad Koi Rasool Aur Nabi Nahi Hoga”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol :04, Pg :318, Kitab No 34 Book Of Dream, Hadees : 2272, Arabic : 2441)
Hadees 06 :
“Hazrat Zubair bin Mutim Radi Allaho Anho Se Marvi Hai Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ne Apna Kayi Asma E Girami Bayan Farmaya Mai MUHAMMAD Hoon, Mai AHMAD Hoon, Mai Mahi Hoon Jiske Jariye Se ALLAH NE Kufr ko Mitaya, Aur Hasir Hoon Jiske pass Sab Jama Kiye Jaynge aur Al Aqib Hoon Jiske Baad Koi Nabi Nahi Hoga
References :
(Sahi Bukhari Vol :04, Pg : 453, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Asma Ur Rasool Allah, Hadees :3532)
(Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 348, Kitabut Tafseer, Hadees : 4896)
(Sahi Muslim Vol : 06,Pg :197-98 Kitabul Fazail, Baab : Fi Asma An Nabi, Hadees : 6105 - 6106 ‘Online Number : 2354’)
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg :187, Kitabul Adab, Hadees : 2840, Arabic No : 3075)
قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ Imam Tirmizi Farmate hai Ye Hadees Hasan hai.
(Imam Malik Al Muwatta Vol : Pg : Kitab No 61 Asma An Nabi , Hadees : 1861)
(Imam Hakim Tirmizi, Shamail E Muhammadiya, Vol : 01, Pg : 250, Hadees : 366)
Hadees 07 :
Hazrat Uqba ibn Aamir Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
"Agar Mere baad Koi Nabi Hota To Wo Umar ibn Khattab Hote”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol : 06 ,Pg : 364, Kitabul Manakib, Hadees : 3686, ‘Arabic No : 4050)
Sahaba E Kiram Aur Tabain Tabe Taibain Rizwanullahi Azmayeen Ka Amal
Jaisa k upar humne Shuru me hi kuch logo ka naam bataya k Jab Us Daur K Kazzabo Ne Ailan E Nabuwat ka Jhuta Dawa kiya to Sahaba Ka Amal kya raha ?
Unhone ye nhi pucha k janab aap dalil do Nabi Hone ki Kyuki Sahaba Tabain Tabe Tabain jaante the k Khatme Nabuwat ka Taaj Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ko pahna gaya Ab Aaka K Baad Koi Nahi hai koi kuch bhi dawa kare uski value kuch nahi wo murtad fitna baaz kaafir hai. Lihaja aise fitno se unhone Bahes nahi ki balki Jung E Jihad kiya hai Aur khatm kiya hai par aajka musalman bas bahes me uljha hai lihaja chahye k Aqeeda apna sahaba k jaisa banaye naaki koi jaahilo ki tarah bahes kare aur jo normal aisa qadiyani giharshahri mile to usko Dalilo se samjhaye naa samjhe chod do time waste naa kare Hidayat dena ALLAH k Ekhteyar me Hai chahe dil khol de.
Ab Yaha Ek Fitna ye bhi hai k koi ab ye dawa bhi kare k mai Nabi to nahi hoon albatta mai Imam Mehndi Hoon Astagfirullah
Ye bhi kazzabi ka dawa hai
Imam Mehndi kaun honge unki kya nishaniya hai wo daur kya hoga wo bhi ek mukammal post karunga
InSha Allah Taala
TALIBE DUA:: SHER ALI HANFI
No comments:
Post a Comment