Sunday, January 15, 2017

FAZAIL O MANAKIB E SAYYEDA FATIMA TUZ'ZAHRA RADIYALLAHU TAALA ANHA,,,



Fazail O Manakib e Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha
Virtues of Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Aulad e Kiram Radi Allaho Anha Azmain Ka Mukhtasar Tarruf :
Nabi e Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم k Aulad e Kiram Radi Allaho Anha Azmain ki tadad 6 Hai is baat pe Tamam Muharikeen ka Ittefak hai.
02 Sahabzade  : Hazrat Qasim  aur Hazrat Ibrahim
04 Sahabzadiya : Hazrat e Zainab, Hazrat e Rukkaya, Hazrat e Umme Kulsoom aur Hazrat E Fatima Radi Allaho Anha Azmain
Baaj Muharikeen ne ye likha hai k Sahabzade aur the jinka Naam Abdullah Tha Jinka Naam Tayyab o Tahir Hai.
Is Kaul k bina kul Aulad e Kiram ki Tadad 07 Hogayi.
Hazrat Shaikh Abdul Haqq Muhadis Dahelvi Rahimullah ne is kaul ko zyada sahi bataya hai k Aapki Aulad e Kiram Radi Allaho Anho Azmain 07 Thi jo upar bayan ki gayi.
(Ref : Al Madarajun Nabuwat Vol : 02, Pg : 400/401 by Shaikh Abdul Haq Muhadis Dahelvi)
Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم k In Tamam Aulad e Kiram me Hazrat Ibrahim , Hazrat Mariya Kibtiya Radi Allaho Anha k Batan se Huwe Baaki Tamam Aulad e Kiram Hazrat Umool Momineen Khatizatul Kubra Radi Allaho Anha K Batan E Paak Se Huwe.
Reference  :
(Imam Abdul Bakir Zarqani ne Shara E Muwahibul Laduniya Az Zarqani Vol : 04, Pg : 463)
(Imam Qastallani ne Al Muwahibul Laduniya Vol : 04,Baab : Al Aulad e Kiram, Pg :313/314  )

Ab yaha Sab Aulad e Kiram Radi Allaho Anho Azmain ka Tazkira to mumkin nahi warna unwaan kahi aur chale jayga In Sha Allah Taa’la Mauka Mila Aur Zindagi Rahi to alag post dusre Aulad e Kiram Rizwanullahi Azmain Par Karunga
Yaha Hum Manakib e Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha k Fazail aur Unki Seerat k chand pehlu pe nazar dalenge
Manakib o Fazail E Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم

Sayyeda Kaynat Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم k Manakib o Fazail se To Tamam Qutoob e Hadees Seerat Ki Kitabe Tarikh Ki Kitabe bhari padi hai Aur Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha k Fazail o Manakib me Aalam e Islam me kisi ek Firqe ka bhi ektelaf nahi hai khwaaten e Islam aur tamam Mazhab o tarike k maan ne waale Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha ki Seerat Par Aap Radi Allaho Anha Ki Pakeezgi Aur Hayat e Tayyaba k sabak ko bayan karte hai. Khwah wo Ahle Tasheeh ho ya Khawarijeen ho Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha k Manakib o Fazail ka sabse ahem nukta yehi hai k koi is baat se ektelaf nahi karta hai issi se Aap Radi Allaho Anha K Makam o martabe ka andaza hota hai Is fakir ki bhi sadat mandi hai layak nahi hoon k shaan me kuch likhu
Sayyeda Kaynaat k Sadke ALLAH mera Hum sabka Khatma Imaan pe farma aur is gunahgaar ki is khidmat ko kabool farma le.
Mai Puri Koshish karunga k Sayyada Kaynaat k Manakib o Fazail pure Reference k saath likhu taaki padhne waale bhi samajh jaaye aur isme itna ilmi jakeera update kardu jo article k shakl me pure Internet me Roman Urdu Me Mauzood Nahi hai yaha se Muballiga, Aalima aur har us shaks k liye ek aasani hai jo Sayyada Kaynaat k manakib o fazail bayan karna chahte hai par hawala nhi hone k chalte bayan nahi kar paate to aap yaha se saare data copy bhi karle aur itna material provide kardunga In Sha ALLAH Taa’la k ghanto Sayyada Kaynaat Radi Allaho Anha k Fazail  o Manakib Bayan kiye jaa sakte hai. Muhabbat e Ahle Bait Par Ek Hadees
Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne irshad Farmaya Hadees 01:
“Huzoor Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga”
Reference :
(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad,  Vol :01, Pg : 168, Hadees :576)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)

Wiladat e Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم
Hazrat Fatima Tu Zahra Radi Allaho Anha Ki Wiladat k saal me Muharikeen ka Iktelaf hai Abu Umar ka Kaul Hai k Ailan e Nabuwat K Pehle Saal Jab Huzoor E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ki Umr 41 Baras Thi Us Wakt Wiladat Huwi aur baaj ne likha Hai k Ailan e Nabuwat K Ek Saal Pehle Aur Allama Ibnul Zauzi ne likha hai K Ailan e Nabuwat se 05 Saal Pehle aapki Wiladat Huwi. Wallahu Taa’la Aalam
(Imam Abdul Bakir Zarkani Vol : 03, Pg : 201/202)
(Abdul Mustafa Amzadi, Seerat E Mustafa Pg : 699, Baab : Aulad e Paak Ka Bayan)

Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ki Parwarish ka Bayan
Hazrat Sayyeda ka Bachpan Sharif Aur Zindagi ka Har Lamha Nihayat Pakeeza Tha Aur Aisa kyu na hota jinke Walid Huzoor Rehmat E Aalam Aur Umool Momineen Walida Hazrat Sayyeda Khatijatul Kubra
ki aagosh me tarbiyat me bachpana guzara raat din bas Hazrat Sayyeda Umool Momineen Khatijatul kubra se Hamd e Ilahi akwaal e Rasool Hadees e Rasool sunti aur wo mukaddas chizo ka mushahida karti jo hamari soch se upar hai.
Jab Aapki Umr Mubarak 09 saal huwi aapki Pyari Walida Umool Momineen Hazrat khatijatul Kubra Ka is faani dunya se apne Rab e Hakeeki se jaa mili.
(Bahawala : Tarikh  e Karbala Pg : 160, Muhammad Aminul Qadri Rafai)

yaha ek hadees
Fazail E Khatija Tul Kubra Radi Allaho Anha me likh raha hu Kaynaat Ki Sabse Behtareen Khawateen Umool Momineen Hazrat Khatijatul Kubra Radi Allaho Anha
Hadees  02:
عن عبد االله بن جعفر, قال سمعت علي بن أبي طالب

رضي االله عنه يقول: سمعت رسول االله صلى االله عليه وسلم

يقول: خير نسائها خديجة بنت خويلد, و خير نسائها مريم بنت

عمران

Hazrat Abdullah bin Zafar ne Hazrat Ali Se se Suna k Nabi e Karim ne Farmaya
“Hazrat Khatija bint e Khuwaylid Apne Daur Ki Sabse Azeem Khwateen Thi Aur Hazrat Maryam bint e Imraan Radi Allaho Anha Apne Daur ki sabse Azeem Khwateen Thi”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Kitab No 49 Kitab Al Manakib, Hadees : 4251)
Sahi Hadees : By Darusalam of Wahabis
(Ahmad bin Hambal, al-Musnadvol : 1, Pg : 116,  Hadees : 132)

(Imam Abu Yala, Al Musnad, Vol : 01, Pg : 455)
Hum andaza hi nahi laga sakte jiski parwarish ka aalam ye hai unka aalam kya hoga.

Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ka Naam e Girami, Alkabat Aur Tasmiya
Hadees 03:

Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne Farmaya
“Maine Apni Beti Ka Naam Fatima Isliye Rakha Hai Ki Allah Taa’la ne Isko Aur Iske Chahne Waalo ko Dozakh Se Aazad Kiya Hai”
Reference :
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal,  Vol : 12, pg : 50, Kitabul Fazail, Hadees : 34222)
(Imam Daylami As Musnad ul Firdaus Bi Mathur Al Khitab Vol : 01, Pg : 346, Hadees : 1385)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 540)
(Imam Mullah Ali Qari Shara E Fiqh E Akbar Pg : 133)

Hadees 04:

“Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْ  se rivayat hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ne Hazrat Fatima Se Farmaya Allah Taa’la Tum Pe Aur Tumhari Aulado Pe Azaab Nahi Karega”
Reference :
(Imam Tabrani, Al Mujam Al kabir Vol : 11, Pg : 210, Hadees : 11685)

(Haythami said in Majma-uz-zawaid Vol : 09 Pg : 202 )
Imam Haythami ne Farmaya Iske saare Raavi Sikah Sacche Hai.
(Hakim al-Mustadrak Vol :03, Pg : 165, Hadees : 4726)


Hadees 05:
Hazrat Abdullah ibn Masood رَضِیَ اللهُ عَنْ  se Rivayat hai  Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya
“Beshak Fatima ne Paak Damaani Ikteyar Ki Aur Allah Ne Iski Aulaad Par Jahhanam Haraam Farma Diya”
Reference :
(Imam Hakim Al Mustadrak , Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :135, Hadees : 4771)

Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullah Alaih, Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha key Naam k muttalik farmate hai
“Allah Taa’la ne Janab e Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha, Aapki Aulaad, Aap Radi Allaho Anha, Aapke Muhibeen Ko Jahannam Se Dur Kiya Hai Isliye Aapka Naam FATIMA huwa.
Chunki Aap Radi Allaho Anha Dunya Me Rahke Bhi Dunya se Dur Thi Is liye Aapka Lakab ‘BUTOOL’ Aur ‘ZAHRA’ Kaa Maani kali hai Chunki Aap Radi Allaho Anha Jannat Ki Kali Thi aur Aap Radi Allaho Anha k Jism e Mubarak Se Jannat Ki Khushbu aati Thi jisko Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Sunga Karte The Isliye Aapka Lakab ‘ZAHRA’ Huwa.”
Reference :
(Miratul Manajih Shara e Mishkatul Masabih, Vol : 08, Pg : 406, Baab : Manakib E Ahle Bait E Nabi صلى الله عليه و آله وسلم )
Koi Badmazhab yaha ye na kahde k ye sab kaha se leke aagaye ho Bukhari me to aaya hai k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Fatima Radi Allaho Anha ko bhi nahi bacha sakte is baat ka Mukammal Khulasa hum aage karnge wo hadees ki murad kya thi pura padhne pe sab waise hi samajh aajayga aur upar humne Naam k saath uski fazilat bhi hadees e sahih se bayan ki hai.


Aap k Lakab ‘Butool’ k maane hai ‘MUNKATA’ Hona Chunki Aap Dunya me Rehte Huwe Bhi Dunya se Alag aur Be Talluk Thi Aapki Tawajooh Is Faani Dunya Ki Aish O Ishrat Ki Taraf Bilkul Nahi Thi Balki Har Wakt Aap Yaad e Ilahi Me Masroof Rehti Thi Isliye Aapko ‘BUTOOL’ Kaha Jaata Hai
(Shara e Fiqah E Akbar Pg : 133)
Is tarah se aapke Bahot se Alkabat Hai Jaise Tayyaba, Tahira, Sabira, Aabida, Zahida, Sazida, Zakira, goya k wo tamam alkabat jo ek Khwateen ko ALLAH Rabbul Izzat ki Mukammal Bandi bana de wo tamam alkabat khususiyat AAP Radi Allaho Anha me Mauzood Thi aur Aap Radi Allaho Anha ka hi Faiz hai jo Ummat e Muslima ki Khawateen me Uska Kuch Hissa mayasar aaya. Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ki Pakizgi Ka Bayan

Farman e Ilahi
“Allah To Yehi Chahta Hai Aye Nabi k Aapke Ghar Waalo Se Har Napaki Dur Farma De Aur Tumhe Paak Karke Khoob Suthra Karde”
(Al Quran Surah Al Ahzaab Ayat 33)
Iski Taid me bhi ab ek hadees e Paak Padhle
Allama Alaudin Ali Muttaki Al Hindi Rahimullah ek Hadees e Paak Likhte hai Hadees 06 :
Nabi e Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya
“Meri Beti Fatima Insaani Shakl Me Huro’n Ki Tarah Haiz Wa Nifaas Se Paak Hai”
Reference :
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal,  Vol : 12, pg : 50, Kitabul Fazail, Baab : Ahle Bait E Nabi , Hadees : 34221)
Allah Jallashanahu ne Khud farmaya hai Aye Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم  Allah ne aapki Ahle Bait se Napaki ko Dur Farma diya jo Nass e Quran se saaf saabit hai aur Khud Khatoon e Jannat Radi Allaho Anha Ka Aalam ye tha jaisa hadees me hai k Aap Radi Allaho Anha Haiz Wa Nifaas Jo Aurato me Makhsoos Ayyam hote hai Unse Paak thi aur bahot badi baat jo ye hai wo Auraten jinhe ye Ayyam nhi hote in rarest of rarest case wo Khawateen bacche nhi paida kar sakti goya baccho ka hona us khoon ka hona jaruri hai. Par Sayyeda us Napaki se bhi paak thi phir bhi Aulad e Kiram huwe wohi Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat Rahmatullah Alaih Ne Likha Hai
            TERI NASLE PAAK ME HAI BACCHA BACCHA NOOR KA
                TU HAI AINE NOOR TERA SAB GHARANA NOOR KA

Quran E Mukaddas Aur Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم

“Allah To Yehi Chahta Hai Aye Nabi k Aapke Ghar Waalo Se Har Napaki Dur Farma De Aur Tumhe Paak Karke Khoob Suthra Karde”
(Al Quran Surah Al Ahzaab Ayat 33)
Iska khulasa upar bayan hochuka

“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”
(Surah Al Imraan Ayat 61) Hadees : "Amr bin Saad ibn Abi Waqqas se rivayat Nakl ki Jab Ye Aayat Ka Nuzool Huwa Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali, Fatima, Imam Hasan aur Imam Hussain ko Bulaya Aur Farmaya Aye ALLAH Ye Meri Ahle Bait Hai" Refernce : (Sahi Muslim, Kitab No : 44, Kitabul Fazail e Sahaba, Baab : Manakib e Ali ibn Abu Talib, Hadees : 2404)
Allah K Rasool صلى الله عليه و آله وسلم ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya K Isaa Alaihi Salam Allah Tabarwa’taala k bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne unhe dalail se wajeh kiya k jab Isa Alaihi salam bin baap k paida huwe to unhe tumne Khuda maan liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ne unhe Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH Taa’la ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya wo leke aaye apne ahle o aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim Apni Ahle bait ko aur Ek Dusre k halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye.
Ispe Isayo ne Kaha K Wo gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa k unme jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdullah Masi ARCH BICHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad صلى الله عليه و آله وسلم Allah k bheje Rasool Hai unse Mubahila naa karna agr Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware k baad bhi kuch log Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم k pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ki Godh e Mubarak Me Hazrat Hasan aur Hussain Radi the aur Hazrat Ali Aur Fatima Tuzahara Radi Allaho Azmain k piche the Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna
Is haal ko dekh k Isayo pe aisa Raub Taari huwa k unke bade padri ne kaha k Mai aise Chehre Dekh Raha Hu agar ye Aamin kahde to ALLAH pahad ko yaha le aayga aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se inkaar kar diya.


“Apni Minnatei’n  Puri Karte Hai Aur Us Din Se Darte Hai Jiski Burayi Faili Huwi Hai - 07
Aur Khana Khilate Hai Uski Muhabbat Par Miskeen Aur Yateem Aur Asir Ko - 08
Unse Kahte Hai Hum Tumhe Khas Allah Taala K Liye Khana Dete Hai Tumse Koi Badla Ya Shukrguzari Nahi Mangte”
(Para 26 Surah 76 Surah Dahr, Ayat : 07 to 09)
ye Aayat Roohul Ameen Alaihisalam Sayyeda ki Shakhawat par nazil ki jiskia bayan hum Sakhawat k Baab me Iski puri tashreeh karennge.

Rasool E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ka Safar Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha k Ghar Se Shuru Hota aur Wahi se Khatm Hota
Hadees 07:
ثَوْبَانَ، مَوْلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا سَافَرَ كَانَ آخِرُ عَهْدِهِ بِإِنْسَانٍ مِنْ أَهْلِهِ فَاطِمَةَ وَأَوَّلُ مَنْ يَدْخُلُ عَلَيْهَا إِذَا قَدِمَ
Hazrat Saubaan رَضِیَ اللهُ عَنْ se rivayat hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Jab Safar k liye jaate to Sabse Aakhir Apne Ahel Me Hazrat Fatima se Milte aur Jab Wapas Aate To Sabse Pahle Hazrat Fatima Se Milte.
Reference :
(Sunan Abu Dawood, Kitab Al Tarrajul, Hadees : 4217)
(Musnad e Ahmad bin Hambal, Vol : 5, Pg : 275)

(Bayhaqi, As Sunan ul kubra Vol : 01, Pg : 26)

Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Pe Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ki Jaa’nisari


Hadees 08:
عن ابن عمر رضي االله عنهما: أن النبي صلى االله عليه


وسلم كان إذا سافر كان آخر الناس عهدا به فاطمة, و إذا قدم


من سفر كان أول الناس به عهدا فاطمة رضي االله عنها. فقال

لها رسول االله صلى االله عليه وسلم: فداك أبي و أمي

Hazrat Abdullah ibn Umar رَضِیَ اللهُ عَنْ  se rivayat hai
“Jab Bhi Nabi e Karim  صلى الله عليه و آله وسلم  Safar k liye nikalte to Apne Ahel (Family) me sabse Aakhir apni Chaheti Shahzadi Hazrat Fatima se Milte. Jab Wapas aate to Sabse Pehle Hazrat Fatima Se Milte aur faramte Aye Fatima Meri Maa Aur Mere Waalid Tum Par Qurban Ho”
References :

(Hakim, al-Mustadrak Vol : 3, Pg :170, Hadees :4740)

(Imam Ibn Hibban, As Sahih Vol : 2 , Pg : 470, 471, Hadees : 696)


Hadees 09:
عن عمر بن الخطاب رضي االله عنه: أن النبي صلى االله

عليه وسلم قال لفاطمة: فداك أبي و أمي
Hazrat Umar bin Khattab  رَضِیَ اللهُ عَنْ se rivayat hai
Nabi  e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  ye Farmate Aye Fatima Meri Maa Aur Mere Waalid Tum Par Qurban Ho”
Reference :
(Qazi Shawkani Darr us Sahabah Fi Manaqib Aqarabah Was Sahabah Pg :  279)

Khasais O Shamail e Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha
Hadees 10:
Hazrat Anas bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْ  farmate hai Maine Apni Walida Se Hazrat Fatima Radi Allaho Anho k Muttalik Maine Pucha to  Farmaya
“Sayyeda Chaudvi (14 Vi) Raat K Tarah Haseen O Jameel Thi”
Reference :
(Imam Hakim Al Mustadrak, Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :141, Hadees : 4813)
Tasweer e Mustafa صلى الله عليه و آله وسلم
Hadees 11 :
Umatul Momineen Sayyeda Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Bayan Farmati Hai “Maine Baat Chit, Chaal Dhal Aur Shakl O Shabat Me Hazrat Fatima Radi Allaho Anho K Elawa Kisi Ko Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ka Musahbe (Similar) Naa Paaya" Reference :
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217) (Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم, Hadees : 3872) (Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad Hadees : 947 & 971)

Hadees 12 :
“Ayesha رضي االله عنها se rivayat hai Farmati Hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ki Saari Azwaaz E Mutahirat Mauzood Hai Jab Hazrat Fatima Aaye Wo Ussi Andaaz me Chalti Jaise Nabi  e Karim Chala Karte The.
Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne Marhaba Aye Fatima kaha, Aur Unhe Apne Pass Bethaya”
Reference :
(Sahi Muslim,Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Hadees : 2450)
(Sahi Bukhari, Kitab No 79 Kitabul Istedaan (Asking Permission), Hadees : 6285, 6286)
(Sunan Ibn Majah, Kitab uz Janaiz, Hadees : 1689 ‘English Version : 1621)

Subhan Allah Is Hadees e Paak se kuch Chizo ka Khulasa bhi huwa Sayyeda Fatima Radi Allaho Anha Mushabe Rasool صلى الله عليه و آله وسلم  thi yehi wajah thi k Hasnain Karimain Radi Allaho Anhuma Azmain me bhi Jamal e Mustafvi صلى الله عليه و آله وسلم  nazar aata tha.


Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha K Rasool ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم Ka Khada Hona
Hadees 13:
Umool Momineen Hazrat Ayesha Radi Allaho Anha se rivayat Hai Jab Hazrat Fatima Radi Allaho
Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Se Mulakat K liye aati To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Unke Istekbaal K Liye Khade Hojate aur Aap Radi Allaho Anha Ka Haath Thamke Unhe Bosa Dete aur Unhe Apni Jagah Betha Dete”
Reference :
(Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217)
(Jamai Tirmizi, Kitab 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم, Hadees : 3872)
(Imam Bukhari, Al Adab Ul Mufrad, Kitab As Salam, Hadees : 971) Gair Mukallid ka Muhaddis Albani ne bhi is Hadees ko Sahi likha hai. (Ibn Hibban, As-Sahih Vol : 15, Pg: 403 Hadees : 6953) (Tabarani, Al Mujam ul Awsat Vol : 04,Pg : 242, Hadees : 4089) (Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 04 Pg : 303, Hadees : 7715)

Mauzooda Jamane Me TAZEEM me kayam karna khade hone ko Bad’deen firqa e Wahabiya ne Shirk ka naam de diya huwa hai aur inke naw zaida bacche wo to itne aage nikal gaye k kisi ustad, ulema, peer, apne buzurg ki tazeem me khade hojane par hi SHIRK ka fatwa de maarte hai ALLAH jaane ye Kaisa AHLE HADEES hai besharm inko itni saaf hadees nahi dikhi NABI E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم  Khud Ummati k liye Khade horahe hai to Shirk nahi horha hai ye konsa deen de rahe hai jo adab tazeem se hatke ho.
                     SHIRK TEHRA JISME TAZIM E NABI
                               US BURE MAZHAB PE LAANAT KIJIYE
Allah aise kam jahil firqe se ummat e Muslima ki hifazat kare  AAMIN
Ye unwaan tazeem ka nahi hai warna aise aise dalail pesh karta k inka hath pair sab dheele hojate.

Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Jigar Gosha e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم
Hadees 14 :
Hazrat Al Miswar bin Makhrama Radi Allaho Anho Se rivayat hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne Irshad Farmaya
“Fatima Mera Jism Ka Tukda Hai Jisne Usko Naraaz Kiya Usne Mujhe Naraz Kiya”
Reference :

(Sahih Bukhari Kitab No 62, Kitab Al Manakib E Sahaba, Baab : Manakib e Fatima Zahra, Hadees : 3767)
(Sahi Muslim, Kitab No, 44 Kitabul Manakib e Sahaba, Baab : Manakib e Fatima Zahra, Hadees : 2449)
(Khatib Bagdadi Al Mishkat Al Masabih, Vol : 02, Pg : 436, Kitabul Manakib, Baab : Manakib e Ahle Bait e Nabi , Hadees : 6139)
(Imam Hakim Al Mustadrak , Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :133, Hadees : 4801)
Hadees 15 :
Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne Irshad Farmaya
“Fatima Mere Jism Ka Hissa Hai Jo Ise Nagawar Wo Hume Nagawar Jo Isse Pasand Wo Mujhe Pasand.
Roz E Kayamat Siwaye Mere Nasab Mere Sabab Aur Mere Azdwazi Rishto K Tamam Nasab Munkata’i khatm Hojaynge.
Refernce :
(Imam Hakim Al Mustadrak , Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :133, Hadees : 4801)
                       SAYYEDA, JAHIRA, TAYYABA, TAHIRA
                  JAAN E AHMAD KI RAHAT PE LAKHO SALAM
           (by Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat Barelvi Rahimullah) ALLAH TABARAKWA’TALA KI RAZA Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم  KI RAZA ME HAI

Hadees 16 :
Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Hazrat Sayyeda Fatima Radi Allaho Anha Se Farmaya
“Tumhare Gazab Se Gazab e Ilahi Hota Hai Aur Tumhari Riza Se Raza E Ilahi”
Reference :
(Imam Hakim Al Mustadrak , Kitab Al Marifatu Sahaba, Vol : 04, Pg :137, Hadees : 4783) Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ka Nikaah Maula Ali Sher e Khuda رَضِیَ اللهُ عَنْ  Se
Hazrat Sayyeda Fatima Radi Allaho Anha k Nikaah k muttalik thoda detail me mustanada kitabo k hawale se likhdu taaki kuch baatein wajeh hojaye Jab Aap Radi Allaho Anha Aalam e Bulugiyat me pahuchi to Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Aap Radi Allaho Anha k talluk se bahot se paigaam aaye
Jisme Hazrat Siddik E Akbar Aur Hazrat Umar Radi Allaho anho Azmain k paigam bhi aaye par Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne Inkaar kar diya ye kahke k Abhi Mujhe Fatima k Nikaah k talluk se ALLAH ki taraf se koi hukm nahi aaya Mai Is talluk se Farman e Khudawandi k Intezar me hoon.
Musnad e Ahmad ki rivayat k mutabik Hazrat Umme Aiman ne Hazrat Ali Radi Allaho Anho se kaha k aap jaake Nikaah ka paigam do.
Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah me likha hai k Hazrat Abu Bakr Aur Umar Radi Allaho Anhuma Azmain k paigam ko jab Radd Farmaya Gaya To unhone Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْ  ko targeeb di k tum paigam do.
Chunache Hazrat Umar Wa Abu Baqr Radi Allaho Anho Azmain ne Hazrat Ali se mile jo ek Ansari k baag me kaam kar rahe the aur Hazrat Siddik e Akbar Ne Kaha Aye Ali Quraish k Muazin ne Fatima Bint E Rasool K liye Paigaam e Nikaah diya magar ye kehke lauta diye gaye k Is maamle me abhi ALLAH k paigam ka intezar hai. Hmara Guman hai ye Faisla Abhi Bas Aapke Liye Ruka Huwa Hai.
Raavi farmate hai is baat se Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْ Ki Aankhe Ashk Baar Hogayi Aur Farmane Lage AYE ABU BAKR رَضِیَ اللهُ عَنْ meri Gurbat Ne Mujhe Is baat se roka Huwa hai. Abu Bakr رَضِیَ اللهُ عَنْ ne Farmaya Aye Ali Aisa na Kaho ALLAH AUR USKE RASOOL k YAHA DUNYA AUR JO KUCH ISME HAI UDTE GUBAR KI MANIND HAI”
Hazrat Abu Bakr رَضِیَ اللهُ عَنْ k jumle ne Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْ k hausle ko badaya aur Aap رَضِیَ اللهُ عَنْ paigam e Nikah leke Huzoor Nabi  e Karim صلى الله عليه و آله وسلم k pass pahuche aur apna paigam diya jispe Nabi  e karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Fakat Marhaba Kaha.
Hazrat Anas Bin Malik Farmate hai Mai Us Wakt Waha Tha Nabi  e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Pe Aisi Kaifiyat taari huwi jaise Nuzool e Wahi k wakt hoti thi kuch wakt baad Nabi E Rehmat Ne Kaha Aye Anas Jaao Abu Bakr Umar wa Ansar Sahaba ko Bula Laao Allah Ne Fatima Ka Nikaah Hazrat Ali Se Karne ki baat kahi jiske baad Hazrat Ali Radi Allaho Anho ka Nikaa Sayyeda Kaynaat se huwa. Subhan Allah
Ye ek short description me likh diya chunki isko bahot lamba article me nahi kar sakta Fazail E Sayyeda Fatima bin  E Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ye kitab me hum pura depth se iska zikr karenge In Sha Allah Taa’la. Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaha Anha Ki Aulad e Paak
Hazrat Sayyeda Fatima Radi Allaho Anha se Nikah pe Aapki Kul 06 Aulad e Kiram Huwi 03 Ladke Aur 03 Ladkiya
(01) Imam Sayyidina Imam Hasan رَضِیَ اللهُ عَنْ  Wiladat 15 Ramzan Sharif, 03 Hizri.
(02) Imam Sayyidina Imam Hussain رَضِیَ اللهُ عَنْ  Wiladat 05 Shaban ul Muazam, 04 Hizri
(03) Imam Sayyidana Mohseen رَضِیَ اللهُ عَنْ  inka Wisaal Bachpan me hi
hogaya tha isliye tazkira naa k barabar milta hai.
(04) Hazrat Sayyidutna Zainab Sabira Tayyaba Tahira Radi Allaho Anha
Karbala me Imam E Hussain Radi Allaho Anho k saath rahi.
Inka Nikah Hazrat Zafar Radi Allaho Anho k Bete Hazrat Abdullah رَضِیَ اللهُ عَنْ  Se Huwa.
(05) Hazrat Sayyudutna Umme Kulsoom Radi Allaho Anha
Inka Nikaah 40000 Dirham Mehar Me Khalifatul Muslemin Hazrat Umar Radi Allaho Anho Se Huwa.
(06) Hazrat Sayyadutna Rukkaya Radi Allaho Anha Inka Wisaal Bachpan me hi hogaya Tha.
Reference :
(Imam Athir ne Usdul Ghabah Fi Marifat -us- Sahabah)
ye muttafak alaih baat hai kisi ka ispe ektelaf nahi hai inme se hi jo Imam Hasan aur Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain se jo Aulad e Paak huwi waha se Aale Nabi صلى الله عليه و آله وسلم huwe aur Jo Hazrat Ali Radi Allaho Anho k Dusri biwiyo se Aulad huwi jinme Hazrat Abbas Alambardar huwe aur dusre bete huwe wo ALWI Sayyad Kahlaye. Tamam Badhshaho ki nasl unke bete se chali KAYNAAT K Imam ki nasl unki beti se chal. SUBHAN ALLAH Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaha Anha Aur Ghar K Kaam : Hadees 17 :
Hazrat Ali ibn Abu Talib رَضِیَ اللهُ عَنْ se rivayat hai Farmate hai
“Hazrat Fatima Radi Allaho Anha Mere Pass Apne Haatho se Chakki Pisti Thi Jiski Wajah se Haatho Me Nishan Pad Gaye The Aur Wo khud Apne Paani ka Mashk Bhar K Laati Thi Jiski Wajah Se Sine Pe Mashk Ki Rassi K Nishan pad gaye The Aur Ghar Me Jhadu Wagaira Khud Hi Deti Thi Jis se Kapde Maile Hojate The”
Reference :
(Sunan Abu Dawood, Kitabul Adab, Baab : Sote Wakt Tasbeeh Padhne Ka Bayan,  Pg : 570,  Hadees : 5063)
Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Ki Ibadat   Ka Bayan
Hazrat Imam Hasan رَضِیَ اللهُ عَنْ  farmate Hai Maine Apni Walida Mazida Hazrat Fatima ko Masjid E Bait (Ghar Me Makhsoos Jagah ko Masjid E Bait Khte hai) Ki Mehraab me Namaz Padhti Rahti Yaha Tak k Fazr ka wakt Hojata.
Maine Apni Walida Ko Musalmaan Mard Aur Musalman Aurato k Liye Bahot Dua Karte Dekha Hai Wo Apne Liye Kabhi Koi Dua na Karti.
Maine Arz Kiya Aye Ammi Jaan Kya Wajah Hai Aap Apne Liye Dua Nahi Karti ?
Farmaya PEHLE PADOS HAI PHIR APNA GHAR.
Reference :
(Shaikh Abdul Haq Muhadis Dahelvi Al Madarajun Nabuwaah Vol : 02, Pg : 623)  Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Ka Allah Pe Tawwako Aur Shakawat Ka Bayan| yeh Pura Wakya aksar Mufasireen ne bayan kiya hai aur sabka ittefak hai k ye aayat Sayyada Fatima Aur Maula Ali k Haq Naazil Huwi Hazrat Abdullah ibn Abbas se rivayat hai “Ek baar Hasnain Karimain bimaar hogye jispe Sayyeda Kaynaat aur Maula Ali Ne 03 Roze Mannat k maane. Ek Shaks ne Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Shaan me Gustakhi Par Nabi e Rehmat ne usse duwa se nawaza natiza ye huwa wo Imaan le aaya par tha bahot garib bola mai sabse miskeen hoon. Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne Sahaba k taraf dekha aur kaha Aur Farmaya k tum me se koi aisa hai jo isko Camel (Oont ) Dede ? Ek Sahabi ne De Diya. Phir Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya hai koi jo Sar Daan’p de ? Maula Ali Radi Allaho Anho ne apna Imama Sharif uske Sar me Rakh Diya. Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya hai ko jo iske khane ka intezam karde. Hazrat Salman Farsi uthe kuch ghar me gaye par kuch mil naa saka phir Sayyeda Kainaat Radi Allaho Anha k Darwaje ko khatkhataya Sayyeda ne darwaja khola aur aane ka sabab pucha Hazrat Salman ne pura wakya bayan kiya

Chunache Sayyeda Kainaat ne farmaya KASAM ALLAH KI JISNE MERE WAALID KO RASOOL BANAKE BHEJA AAJ TEESRA DIN HAI HUM FAAKE SE HAI. Magar ab aap Darwaje pe aagye hai to wapas khali haath nahi bhej sakti lihaja ye meri chadar le jaao aur paas k Shamaoon yahudi ko dedo aur kaha ye leke kuch Karz de de.
Hazrat Salmaan us Shamoon Yahudi k paas pahuche aur saara maazra bayan kiya Yahudi chadar dekhta raha aur aisi kaifiyat taari huwi wo MUSALMAN hogaya aur bol pada wallah ye wohi log hai jinke aane ki basharat Hazrat Moosa Alaihi Salam ne Tauraat me bayan ki hai Hazrat Fatima bint e Rasool k waalid par Imaan laata hoon aur musalmaan hota hu aur usne chadar lauta di aur kuch de diya.
Hazrat Salman jo kuch tha leke pahuche Sayyeda ne Shamoon ko khair ki khoob dua di Sayyeda Kainaat ne jo kuch huwa usse pakaya aur Salmaan Farsi ko dediya.
Salmaan Farsi farmate hai Aye Bint e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم
aap apne liye bhi kuch lele ?
Farmaya BAS ALLAH KI RAAH ME DENE K LIYE MANGWAYA THA AUR PAKAYA AB ISME MERE LIYE LENA DURUST NAHI HAI.
Hazrat Salmaan Farsi Roti leke pahuche aur saara mazra Nabi e Karim   صلى الله عليه و آله وسلم se saara mazra bayan kiya ispe Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Sayyeda se milne jaa pahuche aur Farmaya ALLAH YE TERI BANDI FATIMA IS SE RAAZI HOJA jispe ye aayat ka Nuzool huwa.
“Apni Minnatei’n  Puri Karte Hai Aur Us Din Se Darte Hai Jiski Burayi Faili Huwi Hai - 07
Aur Khana Khilate Hai Uski Muhabbat Par Miskeen Aur Yateem Aur Asir Ko - 08
Unse Kahte Hai Hum Tumhe Khas Allah Taala K Liye Khana Dete Hai Tumse Koi Badla Ya Shukrguzari Nahi Mangte”
(Para 26 Surah 76 Surah Dahr, Ayat : 07 to 09)
Reference :
(Tafseer e Kabeer  Surah 26 Ayat 07 - 09 Tafseer)
(Tafseer e Hussaini Vol : 02 Pg : 644 Is Ayat ki Tafseer me )
(Tafseer e Khazainul Irfaan )
(Safina e Nooh Vol : 02, Pg : 33 ) Shayar ne kya khoob likha

               Rehke Faako Me Garibo Ko Khilane Wale
              Aise Hote Hai Muhammad Ke Gharane Wale. Subhan ALLAH ispe kuch tabseera nahi kar sakta wo daur aajka daur sab ulta nazar aata hai aaj hum ek dusro ko nochne me lage hai adab reh nahi gaya padosi ka gair muslimo ka kya haq hai pata hi nahi khud ka haq kya hai ye tak nahi pta aaj is wakya ko dus baar padhe hum sab padhe dil pe haath rakh k padhe aur andaaza lagaye hum kaha hai talimaat e Sayyeda kaha hai Kahi hamara hi bad kirdaar hona Gairo Ko ISLAAM laane se rok to nahi raha ? sochne ka makam hai - ALLAH hume Nek TAUKEEF DE.

Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha k Waseele Se Is Ummat Ko Azeem Tohfa “TASBEEH E FATIMA” Ka Bayan
Hadees 18 :
Hazrat Abu Hurraira رَضِیَ اللهُ عَنْ se rivayat hai k Hazrat Fatima Radi Allaho Anha ek baar Bargaahe Risalat me haazir huwi aur Aap صلى الله عليه و آله وسلم se Khadim Ka Suwal Kiya To Aap صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Tumhare Pass Khadim To Nahi Milega. Mai Tumhe Aisi Cheez Na Batau Jo Khadim Se Behtar Hai ? Tum Bistar pe Jaao To 33 baar Subhan Allah, 33 Baar Alhamdullilah aur 34 Baar Allah O Akbar Padh Liya Karo.
Reference :
(Sahi Muslim, Kitab No 48 Kitabut Zikri Wa Duwa Wa Tauba Wa Astagfaar,  Baab : Din Ki Shurwat aur Raat K Sone Me Tasbih Ka Bayan, Hadees : 2728)
(Sahi Bukhari Kitab No 62, Manakib e Sahaba, Hadees : 3705)
(Sahi Bukhari, Kitab No 69  Hadees : 5362)
Aksar hadees me yehi hai bas kuch lafzo me changes hai.
Sahi Bukhari ki rivayat k mutabik Hazrat Fatima Radi Allaho Anha Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki bargaah me gayi par aapko naa paaya phr Baad me Nabi e Karim Khatoon e Jannat k ghar gaye aur unhe ye Tasbeeh bayan ki.

Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Tamam Aurato Ki Sardaar
Hadees 19 : “Ummol Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se marvi hai k Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Apne Aakhri Ayyam Me Jab Aap Par Allah ki Jaanib se Kamzori aane lage Aap ne Farmaya Aye Fatima Kya Tum Is baat se raazi nahi Kainaat k saari Aurato ki Sardar ho, Is Ummat ki Tamam Aurato Ki Sardar Ho aur Tamam Momineen Aurato ki Sardar Ho”
Reference :
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 03, Pg : 170, Hadees : 4740)
Imam Zahabi Ne Is Hadees ko Sahi likha Hai Imam hakim ne bhi isko Sahi sanad se bayan kiya.
(Imam Nasai As Sunan Al Qubra, Vol : 04, Pg :251, Hadees : 7058)
(Imam Ibn Saad, At Tabaqat ul kubra Vol 02, Pg :247,248)

(Imam Ibn Athir, Usad-ul-ghabah fi-marifah as-sahabah Vol : 07, Pg : 218)

Ilme Gaib e Nabi صلى الله عليه و آله وسلم  Wisaal e Khatoon e Jannat Radi Allaho Anha Ki khabar ka Bayan
Hadees 20 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْ  se rivayat hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne
“Hazrat Fatima se farmaya Meri Ahle Bait Gharwaal Me Sabse Pehli Tum Mujh Se Milogi”
Reference :
(Imam Abu Noem Al Hilyatul Aulia, Baab Wa Tabkaatu Safiya Zikrin Nisa Sahabiyat Fatima Bint E Rasool Allah , Vol : 02,Pg : 50, Hadees : 1443)

Hadees 21  :
Umool Momineen Sayyida Tahira Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Farmati hai, Rasool e Karim Rauf O Rahim Ne Apni Sahzadi Sayyada Fatima Tuz Zahra Radi Allaho Anha ko bulaya Aur Kaan Me Koi Baat Farmayi Who Baat Sun Kar Khatoon E Jannat Rone Lagi, Aaka Ne phir Sargoshi ki (yaani Kaan me Koi baat farmayi) To Khatoon e Jannat Hasne Lagi, Hazrat Sayyida Ayesha Siddiqa, Tayyiba, Tahira Radi Allaho Anho Farmati hai Mai Ne Khatoon E Jannat Se Kaha Aapke Babajan Rahmat e Aalam Ne Aap k Kaan me Kya Farmaya Jo Aap Royi Aur Do Baar Sargoshi Me Kya Farmaya  jo aap Hansi ? Nabi e Konan Ne Pahli Baar Sargoshi me Apne Wafat ki khabar Di to mai Royi aur Dusri baar Sargoshi ME YE FARMAYA K MERI AHLE BAIT ME SABSE PAHLE MAI AAP SE MILUNGI.
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Pg : 920, Book No 61, Kitabul Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab : Alamat AlNabuwat Fil Islami, Hadees : 3625,3626)

Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ki Aakhri Wasiyat Aur Aapke Namaz e Janaza Ka Bayan

Ye part In Sha Allah jald likhunga Maine Wasiyat padhi hai jo ummat k liye thi par mil nhi rhi filhaal I WILL UPDATE SOON IN SHA ALLAH TAALA

Kya Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Hazrat Sayyeda Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha Ko Bhi Nahi Bacha Sakte ??
Jaise ka maine upar bayan kiya tha ab ye aitraaz kahoon ya hatdharmi kahein kaum e batila firqa e wahabiya ki ya  Buzurgo se adawat.
ALLAH ki Tauheed ko base banake ALLAH k Aziz bando ki gustakhi karna unhe mazboor bebas sabit karna ye us jahil kaum ka mazhabi slogan hai uske bina to inki naa kitab complete hogi aur naahi inki takreer hogi.
Gair Mukallideen Aur inke akaid k tamam batil akeeda log ek hadees awaam k saamne padhte hai k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne kaha FATIMA Amal kar mai kayamat me mai tere kaam naa aaunga aur in bewakufo k jaahilana takreero se kitabo me us hadees ko misinterprate kar likhne uski galat explaination karne ki wajah se Anti Islamic Log jisme Yahudi Hindu Isai etc Mukalifeen e Islam ko bhi ek khula mauka faraham kiya k wo bhi ab is masle me mooh kholne lage
Mai naam nhi likh rha par Isayo ne jo kuch likha apni kitabo me website me kitabo Paigambar e Aazam صلى الله عليه و آله وسلم  k khilaf wo uska khulasa ye hai
Objection Isaiyo ka  :
“Tumhare Nabi to khud Apni Beti ko Nahi Bacha Sakte wo Tumko kya bachaynge ? Kis Deen ko maante ho jaha ka Paigambar itna mazboor hai ?
Hamare Isa Masih ko dekho woto sabke gunah bhi le gaye aur Jannat me bhi le jaynge”
Nauzubillah Astagfirullah ALLAH KI LANAT HO AISO PE ALLAH JALIL O RUSWA KARE INKO
yehi type ka objection Yahudi Hindu sab mukhalifeen karte hai unko ye mauka diya in wahabi mullao ne.
Ab aaye wo hadees bhi mai yaha likhunga uska mukammal khulasa bhi ye ek ilmi sarmaya hai un logo k liye bilkhusus Aalima Muballiga Muballigeen k liye.
Jab Nabi  e karim صلى الله عليه و آله وسلم ne dawat o tableeg ka kaam shuru kiya to kuch log Islam kabool kar chuke us wakt logo ko SHIRK se bachane k liye logo ko Aamal se jodne k liye logo k dilo me khauf e khuda daalne k liye ALLAH Taa’la ne aayat e Mubaraka nazil ki wo hai

“Aur Aye Mehboob, Apne Karibtar Rishtedaaro Ko Darao”
(Surah No 26 Shauraah Ayat 214)
Iski Tafseer
”Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم  k Karibi Rishtedar Bani Hashim Aur Bani Muttalib Hai. Huzoor Ne Unhe Ailaan k Saath Daraya Aur Khuda ka Khauf Dilaya Jaise Sahi hadees Me Aaya Hai”
(Tafseer e Khajainul Irfaan Is ayat ki tafseer me )
Is aayat ka shan e nuzool Makkah me huwa Ailan e Nabuwat k almost 1.6 ya 02 saal me jab Islam k maan ne waale bahot kam the aage kya huwa Bukhari Aur Sunan Nasai Sharif ki hadees se aur wajeh hojayga.
Hadees 22 :
Hazrat Abu Huraira se rivayat Hai “Jab Allah ne ye aayat  ‘Aur Aye Mehboob, Apne Karibtar Rishtedaaro Ko Darao’ (Surah No 26 Shauraah Ayat 214) Nuzool Farmayi ALLAH k Nabi Uthe Aur Farmaya “Aye Quraish k Logo Apne Aapko Jahannam Ki Aag Se Bachao Mai Tumhe Allah k Azaab Se Nahi Bacha Sakta, Aye Bani Abd Manaf Mai Tumhe Allah k Azaab Se Nahi Bacha Sakta, Aye Safiya Fufi) Mai Tumhe Allah k Azaab Se Nahi Bacha Sakta, Aye Fatima Bint E Muhammad Meri Milkiyat Se Jo Lena Hai Lelo Lekin Mai Tumhe Allah k Azaab Se Nahi Bacha Sakta”

Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No 55 Kitabal Wasaya, Hadees : 2753)

(Sahi Bukhari, Kitabut Tafseer, Hadees : 4771)
(English : Sahih Bukhari, Vol: 4, Book 51, Hadees :16)
Ab Sunan Nasai me darj hadees likhta hoon ( 23 )
Hazrat Abu Huraira se rivayat Hai “Jab Allah ne ye aayat  ‘Aur Aye Mehboob, Apne Karibtar Rishtedaaro Ko Darao’ (Surah No 26 Shauraah Ayat 214) Nuzool Farmayi ALLAH k Nabi Uthe Aur Quraish ko Bulaya Wo Aaye Aur Awaam k saamne Farmaya “Aye Banu Kaab Bin Luaya ! Aye Banu Murrah Bin Kaab ! Aye Abd Shams ! Aye Abd Manaf ! Aye Manu Hisham ! Aye Banu Abdul Muttalib Apne Aapko Us Aag Se Bacho.
Aye Fatima Apne Aapko Aag Se Bachao
Farmaya “Aye Quraish k Logo Apne Aapko Jahannam Ki Aag Se Bachao Mai Tumhe Allah k Azaab Se Nahi Bacha Sakta.”
Reference :
(Sunan Nasai, Kitab No 30 Kitabal Wasaya, Hadees :3644{English No : 3674})

Now Explaination : Ab Dhyan se padhna na samjhe to 02 baar aaram se padhe clear hojayga yaha pata chala is farmaan e mubarak ka background kya tha jo upar bayan hogaya.
02 Chize hoti hai ek Hadees ko padhna dusra hadeeso ko samajhna aur dono me bahot fark hai.
Muhadiseen Farmaan e Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ko jama kar kitabo me laate hai aur wohi in muhadiseen ne kiya hai chunki ye Farman e Nabi صلى الله عليه و آله وسلم hai to unhone bhi apni kitabo me likha hai par khawarijeen wahabio ne in hadees se maana istedlaal galat liye hai.
Ek Hadees ko samajhne k liye bahot si dusri hadeeso ko samajhna bhi jaruri hai jo usse related hi hoti hai yaha pata chala Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne ye farmaan sabko kaha apne rishtedar aur kabile k logo ko k Mai kaam naa aaunga par ye us wakt ki baat hai jab
- Nabi e Konan صلى الله عليه و آله وسلم k shafat aur makaam e mehmood waali aayat nahi nazil huwi thi Shafaat aur makam e mehmood ka izn ALLAH ne ata kar diya ab Fatima Radi Allaho Anha to bahot dur ki baat hai Nabi صلى الله عليه و آله وسلم har us ummati k kaam aaynge baroze mehshar jiske sine me ek rai k daane k barabar bhi imaan hai aur uski shafat karke bhi jannat me le jaaynge.
-Nabi e karim صلى الله عليه و آله وسلم ne jab ye farmaya us wakt Fatima Zahra Radi Allaho Anha ki umr sharif lagbhag 02 saal thi ab faisla kare k kya samjhega itni si bacchi ko ? to yaha kalam bazahir unse kiya par muraad ye naa thi k Fatima Radi Allaho Anha ko nhi bacha sakte balki ye farmaya unhe mukhatib dusre se huwe hai taaki logo k dilo me khauf e ilahi aaye k jab Itni choti bacchi se Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم aisa kah reha hai to hume to bas apne aapko bachanha hai masla ye tha.
Par Jab Fatima Tuzahra Radi Allaho Anha badi huwi ab Kya Hadeeso me aaya thoda hissa upar bayan huwa ab aaye ye padhe

Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaho Anha bint e Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم TAMAM JANNATI AURATO KI SARDAR
Hadees 24:
Hazrat Huzaifa bin Yaman رَضِیَ اللهُ عَنْ  Farmate Hai Maine Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Se Suna

“Ek Farishta Hai Jo Is Raat Se pehle Kabhi Is Dunya Me Nahi Utra Isne Apne Rab عزوجل Se izazat maangi k Mujhe Salam kare Aur Mujhe Basharat De Ki Fatima Jannati Aurato Ki Sardar Hai Aur Hasan Wa Hussain Jannati Nawjawano k Sardar Hai”
Reference :
(Sunan Tirmizi, Kitab No 49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allahi
صلى الله عليه و آله وسلم , Baab : Manakib e Hasan bin Ali ibn Abu Talib, Hadees : 4150)
(English Version Hadees : 3781)
Isi trah ki ek aur rivayat kuch alfazat k change k saath Hazrat Abu Hurrairah رَضِیَ اللهُ عَنْ  se rivayat hai uska hawala niche pesh kar rha hu.
(Imam Bukhari ne apni kitab Tarikhul Kabir Vol :01, Pg :232, Hadees :728)
(Imam Haythami Al Majmaul Zawaid Vol : 09, Pg : 201)


Hadees 25 :
Ek Aur rivayat me Jisme Hazrat Fatima Khatoon e Jannat Radi Allaho Anha ne bayan kiya Umool Momineen Ayesha Siddika Radi Allaho Anha se wo ye hai Hazrat Fatima Radi Allaho Anha Farmati Hai
“Jab Pehli Baar Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم  Ne Sargoshi ki to Mujhe Ye Khabar Di k Har Saar Jibrail Mujh Se Ek Baar Quran Paak Ka Daur Kiya Karte The Is Martaba Unhone 02 Baar Daur Kiya Hai, Ab Mera Ye Guman Hai Ki Mera Wakt Karib Aagaya Hai. Tum Allah Se Darna Aur Sabr Karna Beshak Mai Tumhara Accha Peshwa Hoon Khatoon e Jannat ne Kaha : Ye Sun Kar Mai Rone Lagi Jab Nabi e Karim Sal Allaho Alaihi Wassalam Ne Mujhe Girya Karte Dekha To Dobara Mujhse Sargoshi ki aur Farmaya
فَبَكَيْتُ فَقَالَ ‏"‏ أَمَا تَرْضَيْنَ أَنْ تَكُونِي سَيِّدَةَ نِسَاءِ أَهْلِ الْجَنَّةِ ـ أَوْ نِسَاءِ الْمُؤْمِنِينَ ‏"‏‏.‏ فَضَحِكْتُ لِذَلِكَ‏.
AYE FATIMA ! KYA TUM IS BAAT SE RAAZI NAHI HO K TUM TAMAM JANNATIYO KI BIWIYO KI YA TAMAM MOMINO KI BIWIYO KI SARDAR HO. KHATOON E JANNAT NE FARMAYA PHIR MUJHE HASI AAGAYI.
Reference :
(Sahi Bukhari, Vol : 02, Pg : 920, Book No 61, Kitabul Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi, Baab : Alamat AlNabuwat Fil Islami, Hadees : 3623,3624)
(Khatib Bagdadi Al Mishkat Al Masabih, Vol : 02, Pg : 435, Kitabul Manakib, Baab : Manakib e Ahle Bait e Nabi , Hadees : 6138)

Hadees e paak se wajeh hua k Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ne ab dunya me hi Khatoon e Jannat ko Jannati Aurato ka sardar bana diya aur ye farmaya kya tum raazi nahi ? iska kya matlab ? Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم yaha apna Ekteyar bhi bata rahe hai k agar tum raazi nahi to bolo is se badkar bhi ata karnge abhi to Aurato ki ho aur ispe raazi nahi to aur maanglo usse badke denge kaho to puri jannat ka sardar bana de.
Ye Hai Bukhari Kabhi ye Bhi sunao apni kaum ko ye kab bataynge ? Jis din ye bayan karnge inki kaum inhe dande maregi Shayar ne kya khoob kaha hai
        JO ISHQ E NABI CHODKE PADTE HAI BUKHARI
      AATA HAI BUKHAR UNHE BUKHARI NAHI AATI
Sirf ginti ki kuch hadeeso pe pura dharm wahabiat ka khada hai jo apne matlab ki hai wo rakhte hai baaki ko fauran kahenge Zaif hai mauzu hai. Allah ka khauf hi batana maksad hai to isko acche andaz me bhi bataur e tambeeh bayan kiya jaa sakta hai par khawarijeen apni takreero me Mazboor o beikteyar saabit karne ki koshish karte hai  aur bhi bahot se tarike hai jis se awaam ko daraya jaaye unko aamal ka namaz ka khauf ka ilahi ka paband kiya jaaye.
Kyu Jaan buch kar aakhir khawarij maulvi ye takrir karte hai ? Uski wajah kya hai ?
Humne jaha tak inhe dekha hai wo ye k jab Takreero me is andaz se bayan kiya jaaye k ALLAH k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Aur Allah k Aziz bande itne mazboor hai jo khud ko nahi bacha sakte hai wo hamare kya kaam aaynge maksad ye hota hai k ye jahen diya jaaye hai jis se awaam khud ye soch me pad jaati hai k jab hamare kaam hi nahi aaynge to inse akeedat rakh k matlab kya ?
Dar asl ye rishta e akeedat ko todna chahte hai kyuki jis din ye akeedat tudegi lakh karle tu sazde magar Jahannam me jaayga. Baroze mehshar ye soch waale log bhi aaynge aur wo bhi aaynge jo In ALLAH waalo ko Baa Ikteyar sahibe kamal maante the jinki zindagi khawarijeen se isi baat pe guzri hai ALLAH waalo ki shan k liye unse ladte aaye hai aur ye opposition waale bhi aaynge jinki akeede yehi bane hai k Nabi صلى الله عليه و آله وسلم nahi bacha sakte kyuki puri zindagi takreere isi me guzardi hai puri zindagi yehi baat sine me leke aaya hai yehi baat to tune fatwe maare hai baroze kayamat Pahuchnge ye waha aur inhe yehi jawab milega Jab Tak Zinda tha tu yehi bolta aaya Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم FATIMA ko bacha sakte aaj khud kyu chala aaya ? Us wakt ye khabiso ko samajah aayga k kin mullao k chakkar me pad gaya kaash ALLAH waalo se dushmani ne leta.
Hamara Imaam to likh chuka tumko ab tak samajh hi nahi aaya.
            Aaj le unki Panah aaj madad maang unse.
       Phir Na maanege Qayamat mein agar maan gaya
Khulasa e kalam yehi hai wo Tauheed Tauheed Nahi hai Jo ALLAH waalo ko Mazbur sabit karke banayi gayi yakinan uski bunyadeein khokhli hai jo gir jaygi Aaj tu maan jaa marne k baad to tumhara baap bhi manega par Wo jinke hatho shafat ki dor hai wo nahi manenge us wakt kuch haath nahi aayga.
Allah Tabarakwa’tala se dua hai k Apne Habib صلى الله عليه و آله وسلم k sadke tufail me hamara shumar bhi Hubbe Ahle bait waalo me kare aur khatma bil khair farma is koshish ko kabool farma de aur jo bhatak gaye hai unhe raah e haq pe pher de. ALLAH SE DUA HAI IS FAKEER KI IS KHIDMAT KO KABOOL FARMALE AUR SAYYEDA KAINAAT K SADKE KHATMA BIL KHAIR FARMAYE AUR HUM SABKO SHAFAT E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم MILE.. Aamin

Pray for Us Sher Ali Hanfi

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...