Jiska Mai Maula Uska Ali Maula
Hazrat Ali Mushkil Kusha
Hazrat Ali Ko Mushkil Kusha Kahna Kaisa ?
Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ko “karam Allahu Wajhah Al karim” Kyu Kahte Hai ?
Aksar Aapne bhi dekha Hoga k Chand Jahil Wahabi Ispe Bhi bahes karte hai k tum Ahle Sunnah Sab Sahaba Radi Allaho Anha Azmain ko to Radi Allaho Anho Lagate Ho ParHazrat Aliyul Murtaza رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko كرم الله وجهه kyu kahte Ho ? Halanki In badmazhabo k laundo ko pucho k Iska Matlab kya hota hai to saanp soong jaata hai lekin aitraaz to aisa karenge jaisa inse bada koi aalim hai ilm waala hai nahi. Alhamdullilah Imam E Ahle Sunnat Fazil e Barelvi Aala Hazrat Rahimullah ne iska jawab diya hai farmate hai
“Jab Quraish Mubtela E Qahet Huwe The To Huzoor Nabi E Rehmat Hazrat Abu Talib k Takhfeef e Iyaal (Yaani Baal Baccho Ka Bhoj Kam Karne) k Liye Huzoor Maula E Kainaat Aliyul Murtaza Ko Apni Bargaah E Imaan Panah Me Le Aaye, Hazrat Ali Ne Sayyadur Rasool Nabi E Karim Ki Aagosh E Rehmat Me Parwarish Paayi, Aankh Khulte hi Huzoor Ki Jamal E Jahan Aara Dekha Huzoor Hi Ki Baatein Suni Aadat E Sikh’in To Jabse Is Janab E Irfaan Ko Hosh Aaya ALLAH KO EK JAANA EK MAANA Hargiz Hargiz BUTHO KI NAZASAT SE INKA DAMAAN NAAPAK NAA HUWA isliye Lakab E ‘KARIM’ Mila”
(AL Fatawa Razviya Vol : 28, Pg : 436)
MAI ALI SE HOON ALI MUJHSE HAI
Hadees 01:
عَنْ حُبْشِيِّ بْنِ جُنَادَةَ، قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَقُول “ عَلِيٌّ مِنِّي وَأَنَا مِنْهُ ” .
“Hazrat Habshi Bin Jundaah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Unhone Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ko Farmate Huwe Suna Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon”
Reference :
(Sunan Ibn Majah, Vol : 01 , Kitabul Imaan, Hadees : 119)
Gair Mukallid k idara Darus Salam ne Is Hadees ko HASAN likha.
Hadees 02:
إِنَّ عَلِيًّا مِنِّي وَأَنَا مِنْهُ وَهُوَ وَلِيُّ كُلِّ مُؤْمِنٍ بَعْدِي
Hazrat Imran Bin Hussain رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Huzoor Nabi E Karim ﷺ ne Farmaya Beshak Ali Mujhse Hai Aur Mai Ali Se Hoon Mere Baad Har Momin Ka Wali Hai ”
Refernces :
(Jamai Tirmizi, Vol :05, Pg : 399, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4077, English No – Vol : 01, Book No : 46, Hadees : 3712)
Hadees Hasan By Darusalam Idara E Wahabiya
Yaha Wali Se Kya Murad Hai
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْهLikhte Hai
“Yaaha Wali Baa Maana Khalifa Nahi Balki Baa Mana Dost Ya Baa Maana Madadgaar Hai. Jaise Allah Taala Farmata Hai
إِنَّما وَلِيُّكُمُ اللَّهُ وَرَسولُهُ وَالَّذينَ آمَنُوا
Tumhare Dost Nahi Magar ALLAH aur Uska Rasool Aur Imaan Waale’
(Surah Maida Ayat 55)
Waha bhi WALI Baa Maana Madadgar Hai
Is Farman Se Do Masle Maloom Huwe Ek Yeh Musibat Me “Yaa Ali” Kahna Jaiz Hai Kyuki Sayyidna Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Har KAYAMAT TAK AANE WAALE HAR MOMIN K MADADGAAR HAI Dusra K AAPKO MAULA ALI KAHNA JAIZA HAI k Aap Har Musalmaan k MAULA AUR WALI HAI”
(Miratul Manajih Vol : 04, pg : 417)
Ab Yaha To Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ka Madadgaar Hona Saabit Huwa aur aage hum aur authentic dalil pesh karngge Ab Kuch Khwarji Munafik Kahte Hai k Tum Ahle Sunnah Wa Jamaat Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko MUSHKIL KUSHA bolte ho Maula Bolte ho ye Sab Shirk hai Maula MUSHKIL KUSHA bas ALLAH hai.
Ye Wo jaahil khwarji hai jinka dawa hai k humne bahot kuch padha hai magar hote nire jaahil hai ab yaha wo dalail pesh kar raha hu jisme MAULA Kahna QURAN se saabit Hai.
QURAN Kya Kahta Hai Maula Kon ?
Ayat 01:
قُل لَن يُصيبَنا إِلّا ما كَتَبَ اللَّهُ لَنا هُوَ مَولانا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَليَتَوَكَّلِ المُؤمِنونَ
“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara MAULA Hai, Aur Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahye”
(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51)
Ayat 02 :
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرينَ
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”
(Surah Al Imraan Ayat 150)
In dono upar bayan karda ayat me padhe to pata chalega LAFZ MAULA Allah Taala ne apne liye farmaya k Mai MAULA hoon MAULA hona ALLAH Taala ki Sifaat Hai To wahabi yehi aayat pesh karte hai aur kehte milenge dekho MAULA ALLAH ki sifaat hai aapne bando ko MAULA maan Liya hai par laa ilmi muttala ki kami hai ab aaye dekhe aage Quran ki aayat bina dakar hazam kar jaate hai ab aage padhe Allah ne aur kisko MAULA banaya hai.
Ayat 03 :
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“To Beshak ALLAH unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai”
(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)
Is Aayat e Mubarika me ALLAH Taala ne Musalmano k liye Apne Bando Ko bhi Maula Kaha Hai Nek Imaan waale Zibril Alaihisalam bhi ab bataye kya NEK Imaan waalo me Hazrat Ali nahi hai ?
Kya Natiza niklega is aayat aur upar bayan karda 02 aayat ka Maane ye niklega k ALLAH Tabarakwatala Ka MAULA hona Uski apni SIFAAT jaati hai aur Bando Ka Maula Hona Allah Taala Ki Ata se hai.
Pata Chala Quran ki wo 03 aayat me MAULA ALLAH Hai aur Bando ko Bhi Maula bana diya Hai ALLAH Taala ne par Ab aaye Dekhe Quran me k ye badmazhab MAULA maante kyu nahi bando ko khud Ayat e Mubarika ne saaf saaf khol diya hai bas padhe aur aina dekh le hum tabseera nahi karnge yaha.
Ayat 04 :
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Aur Isliye k Musalmano ka Maula Allah Hai Aur Kafiro ka Koi Maula Nahi”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat :11)
Samajh aagaya k MAULA unka nahi hai jo kaafir hai Imaan waalo k liye ALLAH bhi MAULA Hai Uske Salaheen bande Bhi Maula hai aur jinke pass imaan hi nahi hai unka koi Maula Nahi hai.
Likha to saaf hai bas padh k samajhne ki der hai.
Ab aaye dekhe LAFZ MAULA kaa maane Mufasireen ne kya likha hai
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai Aur Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai ”
(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)
Is aayat ki Tafseer Me Imam Mahmood Aalusi Al Baghdadi Rahmatullah Alaih Likhte Hai
“Hazrat Asma bint E Umais Radi Allaho Anha Farmati Hai k Maine Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ye kahte Huwe Suna SALIHOOL MOMINEEN se Murad Hazrat Ali Hai aur Is Tarah Rivayat Hazrat Abu Zafar se hai Jab Ye Aayat E Karima Nazil Huwi To Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Hazrat Ali Kaa Haath Pakad K Irshaad Farmaya AYE LOGO HAZRAT ALI SALIHOOL MOMINEEN HAI”
Reference :
(Tafseer E Ruhool Mu’aani Vol :28, Pg : 482 Under Surah Tehrim Ayat 04)
Mufasireen k Nazdik Lafz MAULA ka kya maana Huwa
muttatid tafseer k hawale diya jaa sakte hai jinhone MAULA kaa maane Madadgaar likhe hai yaha hum chand hawale dete hai
“Is aayat e mubaraka me Warid Lafz MAULA k Maane me WALI aur NAASIR (yaani Madadgaar) Likhe Hai”
References :
(01 : Tafseer E Tabri Vol : 12, Pg : 154)
(02 : Tafseer E Qurtabi Vol :18 Pg : 143)
(03: Tafseer E Kabir Vol : 10, Pg : 570)
(04: Tafseer E Bhagwi Vol :04, Pg :337)
(05 :Tafseer E Khazin Vol : 04, Pg : 286)
(06 : Tafseer E Nasfi Pg : 1257)
Aur wo 04 Tafseer jinme Lafz Maula K Maane Madadgaar kiye hai.
(07: Tafseer E Jalalain Pg : 465 )
(08 : Tafseer E Ruhool Muani Vol :28,Pg:481)
(09 :Tafseer E Baizawi Vol :05, Pg :356)
(10 :Tafseer e Abi Sood Vol : 05 Pg : 738)
Ek SUBAHAT : Kaum e Badmazhab khwarijeen ki hamesha koshish hoti hai awaam ko shak o subahat me mubtela karne ki lihaja sawal pe sawal kar logo ko apni makkari farebkari me uljhate hai to ye bhi ek Sawal karte hai
TUM SIRF HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO HI MAULA KYU KAHTE HO ? Hazrat Abu Baqr,Umar,Usmaan Radi Allaho Anhuma Azmain ko MAULA kyu Nahi kahte ?
Ye Sawal Ka Jawab bhi ab Hadees e Nabvi Se Farmaan e Nabi Se De Rahe hai
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO MAULA KAHNA KAISA ?
JISKA MAI ﷺ MAULA USKA ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه MAULA
Hadees 03:
Hazrat Shuaba Bin Kuhayl رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Abu Tufail رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Suna Ki Abu Sareeha رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ya Zayd Bin Arqam رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Marwi Hai (Hazrat Shuaba Ko Raawi Ke Mut’alliq Shak Hai) Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
مَنْ كُنْتُ مَوْلاَهُ فَعَلِيٌّ مَوْلاَهُ
Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai.”
References:
(Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg : 398, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)
Is Hadees Ko Beshumar Muhadiseen ne Apni apni kutoob e hadees me alag alag isnaad thode alfazo k badlawa k saath likha magar ye sabne nakl kiya hai agar sirf hawale dene lag jaaye to 50 se zyada hawala diye jaa sakte hai yaha chand hawala mulahiza kare.
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg :44, Hadees : 33)
(Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg : 34, Hadees : 4652)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg : 470, Hadees : 12593)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg :229, Hadees : 348)
(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg :171)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg : 570, Hadees : 959)
(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg :225, Hadees :20238)
(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg : 602, Hadees : 32072)
(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg :602, Hadees :1354)
(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg :165, Hadees :106)
(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg :602, Hadees :32904)
(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol : 04, Pg : 103)
(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg : 169)
(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg : 623)
(Gair Mukallid k Sabse Bade Muhadis Shaykh Albani ne
Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees : 1750)
kul 16 hawale diye hai aur bhi bahot hai magar itna hi kafi hai.
Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Is Hadees K tahet farmate hai
“Maula K bahot maane hai Dost, Madadgaar, Aazad Shuda Gulam, (Gulam Ko Aazad Karne Waala).
Is Hadees Me Baa Maana Khalifa Ya Badshah nahi balki Baa Maana Dost Ya Madadgaar Aur Wakayi Hazrat Sayyidna Aliyul Murtaza Musalmano k Dost Bhi Hai aur Madadgaar Bhi isliye Aapko MAULA ALI Kahte hai.”
(Miratul Manazih Vol : 08 Pg :425 )
To pata chala Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko MAULA humne nahi banaya balki khud Nabi E KARIM ﷺne MAULA kaha hai to ye sawal hamse nahi khud Nabi E KARIM ﷺ se tumhara hai k kyu Hazrat ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko hi MAULA kaha hai.
Tum to Kahte Ho K MAULA bas ALLAH Taala hai banda nahi hosakta kya Nabi ﷺ Khud SHIRK ki taalim denge.
Yaha Nabi E Karim ﷺ ne wajeh kaha Jiska MAI MAULA USKA ALI MAULA ab jo log Nabi ﷺ ko Hee Maula Nahi maan rahe hai bhala wo ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko kaisa maanege.
Pata Chala Maula wo maanega jo Nabi ﷺ ko bhi maane ab tum khud soch lo k tum kaha ho kon ho ? Hum kya tafseera kare ab sab to mirror ki tarah saaf hai bas chahre dekhlo bura lage to chehra saaf karo Aine ko gaali deke koi matlab nai hai .
ALLAH hamari awaam ko inse bachaye aur inko imaan ki daulat de.
Subahat : Ab Yaha Jab ye pesh karo to Ek Subahat laate hai wahabi K MAULA US WAKT KAHA GAYA JAB ZINDA THE AB NAHI KAH SAKTE ?
Al Jawab : Awaal to ye k Maula Ali Shaheed Hai jo aakhir me mai Shahadat ka bayan likhunga aur Shohda k baare me Khud QURAN ka Ailaan hai
“Aur Jo Log Allag Ki Raah Me Qatl Kiye Jaayen Unhe Hargiz Murda Guman Mat Karo, Balki Wo Zinda Hai Aur Rizk Diye Jaate Hai”.
(Al Quran : Surah Al-Imran, ayat : 169)
To tumhare Murda Gumaan karne pe bhi pabandi hai.
Dusri Baat Kya Tum ZINDA Ko ALLAH SHARIK maante ho ? jo Zinda pe Tauheed hojata hai faut shuda pe SHIRK ?
Un Tamam Raavi muhadiseen ne Hadees likhi Imaam Nasai ne puri kitab hi MAULA ALI k fazail Manakib pe likhi hai KHASAIS E ALI IBN ABU TALIB kya sab wo sab ko nahi pata tha k ab FAUT SHUDA ko MAULA nahi keh sakte ? Kya Sab Mushrik Hogaye The MAULA maan k likh ke ?
Aaj 1400 saal baad tum Google k followers ko ye baat pata chali hai k ab Maula Nahi keh sakte ? Kitni Munafikat karoge ? Aur aage to tumhari munafikat khwarjiyat ka saboot bhi aayga.
HAZRAT ALI رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه KO MUSHKIL KUSHA KAHNA KAISA ?
Aal e Rasool Sayyad Shah Muhammad Gaus Gwaliyari Rahimullah Al Mutwaffa 956 Hizri yaani aaj se bhi 500 saal purane buzurg hai us wakt AHMAD RAZA Khan Barelvi Rahimullah paida bhi nahi huwe the
Hazrat Sayyad Gaus Gwaliyari Rahimullah Ek jalilul Qadr Buzurg Sufiya e Kiram me Hai inki Kitab “JAWAHIR E KHAMSA” Jo zikr o Wazaif Me bahot motebar maani jaati hai bade bade Sufiya Auliya Se leke Muhadiseen tak inki kitab me Mauzood Wazaif ki izazat aur sanad dete the unki kitab “JAWAHIR E KHAMSA” is kitab me unhone EK Duwa likhi hai Jisko DUA E SAIFI bhi kahte hai Aur Naad E Ali bhi kya likhte hai. Dua E Saifi :

07 Baar Ya 03 Baar Ya 01 Baar Naad e Ali padhe aur wo ye hai Tarjuma : \“Hazrat ALI KO PUKAR JO Azaib K Mazhar Hain, Unhe Tamam Musibat Me Apna Madadgaar Payga, Har Ranz O Gam Dur Hojayga, Aap Karmallahu wajhohal karim Ki WILAYAT SE YAA ALI, YAA ALI, YAA ALI” (Jawahir E Khamsa ‘Mutarzim’ Pg : 282, 453) Ab Hosakta hai yaha ye shak o subahat wahabi awaam me daalte k ye to sufiya hai inki kitab ko nahi maante hum koi naa koi bahana har wakt ye karte hai bhagne ka. Mai Sufiya ka gulam hoke ab tumko Muhadiseen ki sanad dikhata hoon wo bhi koi aise waise nahi jinpe khud tumhara me’aar sabse zyada hai jinko tum AHLE HADEES apni jamaat ka banane me lage ho lekin tumhare aur unke aqaid me dur dur tak koi mel jol nahi hai wo Azeem Muhadiss Hai SHAH WALIYULLAH MUHADDIS E DAHELVI Rahmatullah Alaih wo khud is wazaif dua ko padte the yaha tak k iski sanad baa’nte bhi the. Rasail E Shah Waliullah Rahimullah 03 Risala Ek Saath Aata Hai 1. Al-Qaul al-Jamil (القول الجميل في بيان سواء السبيل) 2. Al-Intibah Fi Salasil-i Aulia Allah (الانتباه في سلاسل اولياء الله) 3. Al-Durr al-Thamin (الدر الثمين في مبشرات النبي الامين صل الله عليه وسلم) Isme Risala No 02 Al Intibaah Fi Salalsil E Auliya Allah Pg : 186
Scan page Niche Hai
Maulana Abu Tahir Madni ,Peer Maulana Ibrahim kurdi, Maulana Ahmad Khushashi, Maulana Ahmad Shanavi ye Shah Waliullah k ustaad unke shagird aur silsila phir sab kya MUSHRIK Hogye Maula Ali ko Mushkil Kusha Maanke ? agar Haa to ab fatwa release karo Mushrik Hone Ka Shah Sahab pe ? Mazhar E Zaat E Habib e Kibriya Ban Gaye
Tang Dasti Me Dast E Khuda Ban Gaye
Umr Mushkil Me Rehke Guzari Magr
Saari Dunya K Mushkil Kusha Ban Gaye.
Jaise k Hum Ahle Sunnat Pe Ek Aitraaz karte hai ye Munafik Khabees k Tum Ali ka itna tazkeera kyu karte ho aur yaha tak k Wahabi Gair mukkalid k allama Dhaher tauseef kehte hai k ALI MUSHKIL KUSHA hai pata nahi Konsi Bala Hai Astagfirullah
Ab Sawal ye hai k inko itna bugz E Ali Hai Kyu ? tabseera baad me
Pahle wo bhi jawab khud Farmaan e Rasool se aur Sahaba Ki Jabaan se sunle kyu hai bugz Ali Se aur Buzg e Ali Tazkeera E Ali se nafrat kin khabeeso ko hai. Nishaniya saamne hai bas padho aur dekho.
BUZG E ALI MUNAFIKAT KI NISHANI HAI
Hadees 04:
Abu Sa’eed Khudri رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hai|
“Hum Ansaar k logo k nazdeek Hazrat E Ali Ibn Abu Talib Se Bughz Rakhna Munafikaat Ki Alamat Thi Is Se Hum Munafik Ko Pahchan Lete The”
Reference :
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg : 390, Kitab No 49, Kitabul Manakib, Hadees : 4082 ‘English No : Vol : 01,Book No :46, Hadees :3717’)
Hadees 05:
“Hazrat Zirr Bin Hubaish رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali Karram Allahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Farmaya :
Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ne Daana Cheera Aur Jis Ne Jaandaaron Ko Paida Kiya !
Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ne Mujh Se Ahad Faramaya Tha Ki Mujh Se Sirf Momin Muhabbat Rakhega Aur Sirf Munafiq Hee Mujh Se Bughz Rakhega.”
References : Ye Hadees Sahi Hai
(Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 01 Kitabul Imaan,Baab : Hazrat Ali Aur Ansaar Se Muhabbat Karna Imaan ki Alamat Hai unse Bugz Karna Munafikat Ki Alamat Hai,Hadees : 78 “English No Book 01, Hadees : 146 OR 141)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :01, Pg : 250, Hadees : 291)
(Imam ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg :598)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 02, Pg : 182, Hadees : 560)
Hadees 06:
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akramصلى الله عليه و آله وسلم Ne Mujh Se Ahad Farmaya :
(Aye Ali!) Tujh Se Momin Hee Muhabbat Rakhega Aur Tujh Se Munafiq Hee Bughz Rakhega.
References :
(Imam Nasai , As Sunan Nasai Vol : Pg : Kitab No 47 Kitabul Imaan Wa Sharya (sign), Baab : Alamatal Imaan, Hadees : 5018 & 5022 “English – Vol :06 Book 47 Hadees : 5021 & 5025)
(Imam Tirmizi Jamai Tirmizi, Vol : Pg : Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4101 ‘English Hadees No: 3736)
(Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : Kitab Al Mukaddamah, Hadees : 119 “English No : 114)
(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol :01, Pg : 347, Hadees :445)
Hadees 07:
Hazrat Umme Salama RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah صلى الله عليه و آله وسلم Farmaya Karte They :
Koi Munafiq ,Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Muhabbat Nahin Karta Aur Koi Momin Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Bughz Nahin Rakhta.”
References :
(Jamai Tirmizi Vol : 05, Pg : 635, Kitab No 49 Kitabul Manakib, Hadees : 4083 ‘English Hadees No: 3717)
Aage Imam Tirmizi Likhte Hai Ye Hadees Hasan Hai.
(Abu Yaala Al Musnad, Vol : 12 Pg:362, Hadees:6931)
(Imam Tabrani Al Mujam Al Kabir Hadees : 886)
In Hadees E Sahi Se Maloom Huwa k Buzg E Ali Radi Allaho Anho Jisme Ho Samajh lo wo Munafik Hai Sahaba E Kiram Radi Allaho Anhumazmain ka bhi maamoor ye tha k Munafikat pehchan Zikr E Ali Radi Allaho Anho Se Karte The.
Ab Samajhlo Aakhir In kharjio ko Buzg E Ali Kyu Hai.
Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Naemi Rahimullah Taala Likhte Hai
“Muhabbat E ALIYUL Murtaza Asl E Imaan Hai, Haa Muhabbat Me Nazaiz Hadh Se Badhana Bura Hai Magar Adawat E Ali Asl Se Hi Haraam Balki Kufr Hai”
Reference :
(Miratul Manazih Shara E Mishkat Al Masabih Vol : 08,Pg : 424)
JISNE ALI KO GAALI DI USNE MUJHE GAALI DI
Hadees :
“Hazrat Abi Abdullah Jadali Kahte Hain Ki Mein Umm-ul-Momeenin Hazrat Umm-E-Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Khidmat Me Haazir Huwa To Aap Ne Mujh Se Puchha Kya Rasool Allah Ko Gaali Dee Jaa Sakti Hai ?
Mein Ne Kaha :
Sub’hanAllah Ya Kaha Ki Allah Us Se Panaah De To Aap Ne Farmaya Mein Ne Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Ko Farmate Huwe Suna Hai Ki Jo Ali Ko Gaali Deta Hai Woh Mujhe Gaali Deta Hai.”
Reference :
(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg : 96, Hadees : 99)
Pata chala k Maula Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ko Takleef Dena Aapki Shan e Aqdas Me Nukta Chini karna ye Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ko Takleef Dene Ka sabab bhi hai.
HAZRAT ALI KI SHAHADAT KI SHOHRAT AUR ILM E GAIB E NABVI صلى الله عليه و آله وسلم
Hadees :
“Hazrat Ammar bin Yaasar Farmate hai Mai Aur Hazrat Ali Ghazwa E Jil Ushairah me The K Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Kya Mai Tumko Un 02 Shaks K Baare Me Khabar Naa Du Jo Logo Me Sabse Badhbakt hai ?
Humne Arz Kiya Kyu Nahi Yaa RASOOL ALLAH صلى الله عليه و آله وسلم
Nabi صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya
i) Kaum E Samood Ka Wo Shaks (yaani Kaadar Bin Salif) Jisne Allah K Nabi Hazrat Saleh AlaihiSalam ki Mukaddas Oontni Ki Mubarak Taange Kaati Thi aur ii) AYE ALI WO SHAKS JO TUMHARE SAR PAR TALWAAR MAARKE TUMHARI DAADI KHOON SE SURKH KAR DEGA”
References :
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol :06, Pg :360,Hadees :18341)
Aaj Jahil log Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم k Ilm Pe Ungli Uthate Hai k ye nahi pata wo nahi pata tha unko padh k sabak lena chahye Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Pahli hi bayan Farma diya tha k Ali ko Sarpe Waar Kar Shaheed Kiya jaayga hatta k Aap ki Dadi Mubarak bhi khoon se laal hojaygi. Ab Andaza lagaye Hizri 40 me Aapka wisal Huwa Hai aur Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم ne pahle Hi ye Bayan kar diya ye bhi kahdete k Sirf Shaheed Honge lekin Dushman Kis Jagah Waar Karega ye Bhi Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ne bayan kar Diya Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم ki Nigaah aur ALLAH ka Ata karda Gaib ki baatein Aapne Jahir ki Dushman Talwaar to Piche se Peeth pe chala sakta hai, teer se Hamla kar sakta hai pet me khanjar maar sakta hai par Subhan ALLAH dekhe kya Farmya TALWAAR MAREGA WO BHI SAR PE bata diya kaha marega kis jagah hamla karega kis cheez se hamla karega ye bhi bata diya ab bhi na samajhta Gaib ka Ilm to kya kare inka.
TALIBE DUA= MUHAMMAD WAJID MALIK NAGPUR
Hazrat wo hadees chahiye jisme maula ali se bugz rakhnewale ko walduzzina kaha gaya hai hadees no. Bhi miljaye to bhi chalega zaroori hai zara
ReplyDelete