*بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
Mazarat Pe Chadar Chadana Kaisa
Mazarat Pe Chadar Chadana Kaisa ?
Kabr Pe Chadar Chadana Kaisa ?
IS Masail Me Bhi Kaum E Wahabiya badi shiddat pasand nazar aati hai inke baaj Maulvi Kabr Pe Chadar Chadane k Mutallik kehte hai Ye ALLAH KI IBADAT Me sharik karna Mushrikeen ka tarika hai.
Baaj Maulvi Kahte Hai inke k ye biddat hai haraam hai
Naa Sahabi Ne Kiya Hai Naa Quran Hadees me iska Zikr hai.
Goya Khud Me Confuse hote hai k Asal Me Chadar Chadane pe Hukm Kya hota hai ?
KUCH to Mazarat pe chadar chadane ko Hinduo ka tarika batake kehte hai
Wo Murti Butho Pe Chunri Chadate hai aap Kabr pe Chadar lihaja Bazahir Similarities k bina pe shirk hai. Astagrfirullah
Bas Kaum E Wahabiya Biddat Haram Shirk ye teen alfaaz me har masail ko daal dete hai
YAHI hota hai aapne bhi dekha suna hoga.
Hamare Kuch sunni jo aqaid to durust hote hai par sahi masail k sahi ilme deen na hone ki wajah se sahi aqeede par hone ke bawajood sahi amal nahi karte aur khilafe shariat amal karte hain,
Jis se bad mazhabo ko ye kehne ka mauqa milta hai ke Sunni Shirk biddat karte hain
AUR bina padhe jaane Apni Takfeer ka Nishana bas Tassub Me
Imam E Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi Alaih Rehman pe karte hai
halanki is masail me bhi ye jahil wahabi har masail ko padte nahi bas suni sunayi baat pe tassubi Takfeer karte hai.
Is Post ko Mukammal Padhe Bahot Se Aitraaz k Jawab aur Galat Fehmi ka Jawab Islaah Hojaygi In Sha Allah Taala.
Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Maukoof
Mazarat E Auliya Pe chadar Chadana
Naa To Farziat me Se hai
Naa ye Wajibat hai
k Jab bhi Aap Kisi Sahib E Mazar K pass jaaye to chadar chadaye aisa jaruri nahi hai
YAAD rakhe wahabi dhoka dete hai k tum farz samajhte ho
Hamare kisi Akabir Mufti Fukaha ne ye naa likha hai naa kaha hai.
Kiski kabr Pe Chadar Chadayi Jaaye ?
Musalman baa jahiran 02 kism k hai
EK awaam
DUSRE Buzurgane Deen
JINHE aam jaban me Auliya Kahte Hai.
Mazarat E Auliya Pe Chadar Chadana Ulema Saaleh ki Kabr Pe Chadar Chadana Ahle Sunnat k Nazdik JAIZ Aur Mahmood hai
AUR Awaam Muslemin ki Kabr pe Chadar Chadana Nazaiz iska koi faida nahi hai.
Chadar Chadane Ki Asl Kya Hai ?
Khaana E Kaaba Pe Gilaaf Kyu ?
Jab Hazrat Ibrahim AlaihSalam ne Hazrat Ismail Alaihsalam ne Khana E Kaaba Ki Taamir Ki Us Wakt se Leke Badhshah E Yamen Tab’a Awwal Hamirī,
Jo badhshah e Yaman tha
Jo Hazrat Isaa Alaihisalam ki Wiladat se approximately 400 yaa 500 saal pehle yaani aaj 2015 se 2500 saal k pehle Taba Awwal Hamiri Ne jab Khana e Kaaba Ko girane ka faisla kiya aur phir jo alag tarah se bimaar huwa us wakt isne apne irade ko us daur k Ulema par jaahir kiya aur phir un ulema k batane k baad irade ko tarq kiya aur theek hogaya.
Chunki KHANA E KAABA Baitullah hai Aur Awaam k ghar se imtiyaz rakhne k liye isne
KHANA E KAABA PAR GILAAF CHADAYA taaki Aam ghar aur BAITULLAH me fark wajeh hojaye
ISKI azmat aur buzurgi awaam ki nazr me aaye
IS maksad se usne bhi KHANA E KAABA PAR GILAAF CHADAYA
Jab gilaaf chadaya tha us wakt wo badshah Aag ka Pujari buth parast Mushrik tha
PHIR baad me jaisa k kutoob e seerat me hai k isne Huzoor Nabi E Rehmat Alaihisalam par gaibana imaan laaya.
IS badhshah k amal ko Nabi E Karim Sal Allahu AlaihWassalam ne pasand hi nahi kiya balki fateh Makkah k baad bhi isko kayam rakha aur wo aaj tak Mauzooda Nazdi hukumat bhi kayam rakhe huwe hai.
ISLIYE Mazarat E AULIYA me bhi Gilaaaf chadaya jaata hai taaki Sahibe kabr ki Azmaat Waqaar ka izhar hojaye
AUR pata chale ye koi aam kabr nahi balki Auliya ki Kabr Hai. Allah Ki Nishaniyo Ka Tazeemi Hukm
ذٰلِكَ وَمَن يُعَظِّم شَعائِرَ اللَّهِ فَإِنَّها مِن تَقوَى القُلوبِ
“Aur Jo Allah Ki Nishaniyo Ki Tazeem Kare To Ye Dilo Ki Parhejgaari Se Hai”
(Surah 22 Al Hajj Ayat 32)
ذٰلِكَ وَمَن يُعَظِّم حُرُماتِ اللَّهِ فَهُوَ خَيرٌ لَهُ عِندَ رَبِّهِ
“Aur Jo Allah Ki Hurmato Ki Taazim Kare To Wo Uske Liye Rab k Yaha Bhala
Hai”
(Surah 22 Al Hajj Ayat 30)
IN do aayat e Karima se pata chala k jo ALLAH k Deen Nishaniya hai
UNKI tazeem baza laana hum pe laazim hai.
Chadar Chadane Ki Wajah Kya Hai ?
Chunki Mazarat E Auliya Shaʿāʾira llāh Hai
AUR uski Taazeem jaruri hai
ISLIYE Mazarat E Auliya pe chadar chadayi jaati hai
Taaki ek Musalman ki Kabr Aur Auliya Ki Kabr Me Fark wajeh hojaye
K Jinki Kabr pe Chadar Chadi hai wo Auliya Ulema me se hai.
Muhammad Amin Ibn Abideen Ash Shami Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 1252 Hizri ) Famous Name : Imam Ibn Aabideen Ash Shami Rahmatullah Alaih Apne Fatawa me likhte Hai
“Buzurgan E Deen aur Auliya Wa Saalaheen k Mazarate Tayyabat Par Gilaaf Dalna Jaiz Hai Jabki Ye Maksood Ho Ki Sahibe Mazar ki Waka’at (yaani Izzat Wa Azmat) Awaam ki nazar me paida Ho Inka Adab kare, Inki Barkaat Hasil Kare”
Reference : (Radd Al Muhtar Ala Al Dur Al Mukhtar Vol :01, Pg : 499)
Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dahelvi Alaihrehma k dada ustad Aarif Billah Allama Abdul Gani bin Ismail bin Abdul Gani Nabilisi Hanfi rahmatullah alaih (Al Mutwaffah 1143 Hizri) irshad farmate hai
“Jo Biddat Hasna Shariyat k Makasid k Muwakif Ho Wo Sunnat hai, Pas Uema E Kiram, Auliya E Jawil Ahteram Aur Sulaha E Izaam ki Kuboor Par Kubba Banana Aur Kabr Posh Yaani GILAAF ‘Chadar’ Daalna Amr Jaiz hai. Jabki Maksood is se Awaam Ki nazro Me Sahibe Kabr Ki Tazeem Wa Taukeer Paida Karna Ho, Taaki Wo Sahibe Kabr Ki Tahkeer Wa Tauheen Naa Kare Aur Isi Tarah Auliya Wa Sulaha Ki Kuboor K Pass Chiraag Roshan Karna Baab Taazeem Wa Takreem Se Hai Isme Maksad Nek Hai, Is Se Logo ko Rokna Munasib Nahi”
Reference : (Kashfunoor An Ashabil Kaboor Pg : 21, Print : Maktaba E Qadriya Lahore, Urdu translation)
Imam Hafiz ibn Abdul Barr (Al Mutwaffa 487 Hizri) Hazrat Abu Ayyub Ansari Radi Allaho Anho Ka Zikr karte Huwe Likhte Hai
“Wo Qastuntunya Me Unki Kabr Shaher K Deewar Par hai Log Uski Tazeem Karte Hai Aur Jab Barish Nahi Hoti Thi To Upar Se Kapda (chadar) Uthake Kabr Khol Dete The Aur Jab Bhi Unki Kabr Pe Jaake Dua Maangte The Dua Kabool Hojati Thi”
(Al Isti'ab Fi Ma'rifat Al Ashab)
Mazar Pe Kitni Chadar Ho ?
Aur Jab Chadar Pahle Se Ho To Kya Kare ?
Imam E Ahle Sunnat Aala Hazrat Fazil E Barelvi Rahimullah Farmate Hai
“Aur Jab Chadar Mauzud ho Aur Woh Abhi Purani Yaa Kharab Naa Huwi ki Badalne Ki Haajat Hoto Chadar Chadana Fuzool Hai Balki Jo Daam (rakam) Isme Kharch Kare Wali ALLAH k Rooh E Mubarak Ko Isaal E Sawab k liye Mohtaaz Ko Dein, Haa Jahan Maamool Ho Ki Chadai Huwi Chadar Jab Hazrat Se Zayid Ho khuddam Masakin Hazatmand Le Lete Hai Aur Is Niyat Se Daale To Koi Baat Nahi Ki Yeh Bhi Sadqa Ho Gaya”
(Ahkaam E Shariat Vol : 01, Pg : 72)
Chadar k Mutallik Kuch Galat Rasmaat Aur Uski Islaah
Baaj Log Mannat Maangte Hai Dua Kabool Hojaye
To Hum Fala Fala Keemat ki Chadar Chadaynge Kya Ye Mannat Jaiz Hai ?
“Aur Agar Aisi Jagah Jahan Pahle Se Chadar mauzood ho Aur Woh Bosida Aur Kharab Naa Huwi To Chadar Chadane Ki Mannat Maani Ho To Us Mannat Ko Pura Karna Jaruri Nahi Aur Aisi Mannat Maan Na Bhi Nahi Chahye”
(Ba Hawala kitab Galat Fehmi aur Uski Islaah Pg : 67, Maulana Tat’heer Ahmad Barelvi)
Ahle Sunnat Wa Jamaat k awaam ko chahye ki jis amal ki jo sahi haisiyat hai usko wohi hadh tak maane behtar hai jab jaaye Mazarat E Auliya pe Jaha Pahle Se Chadar Mauzood Ho to humne Akabireen k fatwe se bataya k Chadar ki asl kya hai to karna ye chahye Chadar Naa Kharide balki Us chadar k itni rakam nikal k Sadqa Khairat Kar ke Buzurgaan E Din ki Arwaah ko Sawab Nazr karde yaa phir jaruratat Madaris, Masjid, yaa koi dusri jaiz jagah pe kharch kare. ALLAH Taala Huzoor Rehmat E Aalam Sal Allahu Alaihi Wassalam K Sadqe se hume Sahi Ilm E Din Hasil kar Amal ki taufeek de.
JazakALLAH
DUA Ki Guajarish by
SHER ALI HANFI & For Ulma E AHle Sunnat For SHO & Farooque Khan Razvi Sahab
No comments:
Post a Comment