*بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➡"IMAM KAISA HO"
Huzoor صلي الله عليه وسلم Ke Farameene Aleeshaan.,
HADEES:
Tum Me Ke Achche Log Azan Kahen Aur Qurra Imamat Kare {سنن آبي داود، كتاب الصلاة، باب من أحق با لامامة، جلد-1-صفحه-٢٤٢،الحديث-٥٩٠} Qurra Yani Jo Ziyadah Quran Padhta Ho Aur Quran Ke Maana O Mafaheem Me Jiski Gehri Nazar Ho.
HADEES:
3 Logo Ki Namaz Sar Se 1 Balisht Bhi Upar Nahi Jati, Aisa Imam Jise Log Bura Jante Hon (Kis Shari Wajah Se) Aur Aisi Aurat Jiska Shohar Usse Naraz Ho Aur Isi Halat Me Wo Raat Guzare, Aur 2 Musalman Bhai Jinho Ne Eik Dusre Se Baat Band Ki Ho Kisi Dunyawi Wajah Se.
{سنن ابن ماجہ، أبوب إقامةالصلاة....إلخ، جلد-١،صفحہ-٥١٦،الحديث-٩٧١}
HADEES:
Jo Imam Se Pehle Sar Uthata Aur Jhukata Hai Uski Peshani Ke Baal Shaitan Ke Hath Me Hai.
[الموطالإمام مالك، كتاب الصلاة، باب ما يفعل من رفع رأسه قبل الإمام، جلد-١،صفحہ-١٠١،الحديث-٢١٢]
Mas'ala:
Imamat Ka Sab Se Ziyadah Musta'hiq Wo Shakhs Hai Jo Namaz O Taharat Ke Ehkam Ko Sab Se Ziyadah Janta Ho, Agar Che Baqi Uloom Par Use Maharat Na Ho, Quran Itna Yaad Ho Ki Masnoon (Sunnat) Tariqe Par Padhe Aur Sahi Padhe Aur Makharij Se Ada Kare Aur Fawahish (Behayaie Ke Kaam) Se Bachta Ho, Iske Baad Wo Shakhs Jo Tajveed (Ilme Qirat) Ziyadah Rakhta Ho, Agar Aise Kai Shakhs Hon Jin Me Ye Baten Hon To Unhe Use Imam Banaye Jo Haram To Haram Shubah Wali Chizon Se Bhi Bachta Ho, Aise Bhi Bahot Hon To Unme Ziyadah Umar Wale Ko Jiski Umar Ka Bada Hissa Islam Me Guzra Ho, Isme Bhi Sab Barababar Hon To Ziyadah Achche Akhlaq Wale Ko.
Isme Bhi Sab Barababar Hon To Phir Tahajjud Guzar Ko Isme Bhi Sab Barabar Hon To Khubsurat Phir Ziyadah Sharifun Nasab Phir Ziyafah Maldar Phir Ziyadah Izzat Wala Phir Wo Jiske Kapde Saaf Suthre Hon Agar In Tamam Baton Me Sare Imam Barababar Hon To Phir Musalmano Ki Jamat Apna Imam Chune Jiski Taraf Log Ziyadah Hon Wahi IMAMAT Kare.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-354}
Mas'ala:
Kisi Shakhs Ki Imamat Se Log Shari Wajah Se Naraz Hon To Uska Imam Banna Makroohe Tehrimi Hai, Agar Narazgi Dunyawi Mamle Me Ho To Imam Ko Imamat Ka HAQ Hai.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-354}
Mas'ala:
Fasiqe Molin (Dadhi Katta Ya Eik Musht Se Ka Dadhi Rakhne Wala, T.V Movie Dekhne Wala Jayez Kehne Wala, Tasveer Banwane Wala) Sharabi, Juwari, Zinakar, Soodkhor, Chugalkhor, Aur Jo Gunahe Kabriah (Bade Gunah) Khul Ke Karte Hon Unko Imam Banan Gunah Hai Unke Piche Namaz Makroohe Tehrimi Hai Jiska Dohrana Wajib Hai.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-356}
Mas'ala:
Gulam, Dehqani (Jahil) Andhe, Waladuz'zina (Harami) Amrad (Chikna Chhokra, Jo Khubsurat Ho) Falij Ki Bimri Wala (Jiske Hath Pair Me Hawa Maari Ho) Safed Dag Wala, Bewaquf Jo Dhoka Khata Ho, In Sab Ki Imamat Makroohe Tanzihi Hai, Agar Jamat Me Inse Behtar Koi Na Ho To Phir Karahat Nahi.
{Sharah Munyatul Musalli, Page-514}
📕"HAQ KI BANDAGI"
CHAPTER= 19
📝 MUSANNIF:
✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
((Khalifah Huzoor Amine Shariat))
Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)
Rabtah Number-
9146122911
9820672770
I am from BAREILLY ,our masjid imam is not good wo humei mana karte haii aur logo ko nanaz ka time bata tae hai juma ka.logo sae jalan jasad rakhte haii aur batate nahi hai .hum kya kare hum log parshan hogye hai.is time humei aur masjid mei kon namaz padeyega jab hum apni kareeb ki masjid mei nahi padhnae diya jaa rahaa hum kiya kareee.
ReplyDelete