Thursday, January 12, 2017

SHABE-BARAAT KI HAQEEQAT,,,


Shaban Shabe Baraat Ki Hakikat

                      بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم  


Daur E Haajir kay Khwarij urf wahabiya jo khud ko ahle hadees kahte hai ye seasonal aitraazi giroh hai jaisa mahina occasion aayga waise hi aitraaz karenge Maahe Shaban aate hai ye kaum logo ko gaafil karne kay liye nayi nayi baatein bayan karegi.
Awwal to aapne aur abto sabne aazmaya dekha hai ye kaum kahti hai Quran Aur Sahi Hadees me koi shaban ki fazilat nahi hai koi sab biddat hai baaj phir ye bhi kahte milenge kay jo Shab E Baraat yaani 15 shaban ki raat jo musalmaan raat bhar jaag ghar ibadat me guzarte hai ye sab biddat hai iski koi asal nahi jo bade chalak hai wo Shab E Baraat ka comparison karte hai Shab E Qadr se ye hai inki badmashi.
Is article me hum ink ek ek isi tarah kay aitraazo ka jaiza lenge.
Maahe Shabaan ki Fazilat Pe Chand Hadees E Mubarika



Shabaan Maah Ki Fazilat Par Chand Hadees E Paak 
Hadees  01:
“Huzoor 
 Ne Farmaya Shabaan Mera Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai”
(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)

Hadees 02 :
“Hazrat Abdullah ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim 
 Ka Pasandida Maheena Shabaanul Muazzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzanul Mubarak Se Mila Dete”
References :
(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)

Aaka  Karim Shabaan Kay Aqsar Roza Rakhte The 
Hadees 03 :
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah
 Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan hi Roza Rakh Liya karte the Aur farmaya Karte Apni Istitaat Kay mutabik Amal karo ki Allah Us wakt Apna Fazl Nahi rokhta Jab Tak tum Uqta naa jao”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1970)

Hadees 04:
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai Rasool Allah
 Ramzaan kay baad sabse zyada Roza Kisi Maah Me rahte to wo Shaban Ka Maahina Tha” Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)

Ye Hadees E Sahi Se saabit hai kay Huzoor Nabi E Akram   ko sabse zyada pasandida mahina Shaban ka tha aur ye wo maah hai jispe Roza ummat pe Ramzan Ul Mubarak ki tarah Farz nahi hai lekin Aaka Is Maah Sabse zyada Roza Rakha karte the Ramzan Kay baad phir bhi koi anpadh laa ilm bas bugz me Is mahine ki fazilat ka inkaar kare to bhala iske zimmedar hum Ahle Sunnat Kaise hai ?
Kisi Kay ilm me nahi yaa ilm se yatim ho aur dawa ahle hadees ka to aise shaks ki apni ilmi kami ko dur karna chahye naa ki ummat pe biddat kay fatwe maarna chahye.
Maahe Shabaan Naam E Aamal Allah Taala Ki Taraf Uthaye Jaate Hai 
Hadees 05 :
Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah 
 Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”
 

Reference :
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 269, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2359)



Marne Waalo Ki Fehrist Ka Mahina 
Hadees 06:
“Sayyida Ayesha Siddiqa Radi allahuanha farmati hai Tazdaar E Risalat 
 Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah  Kya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai ? 
To Mehboob Rabbul Aalameen    Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand hai Jab Mera Waqt e rukhsat Aaye aur mai rozdaar hoon” 
Reference :
(Musnad Abu Yaala Vol : 08, pg : 311, Hadees :4911)

15 Shabaan Ka Roza Rakhna 
Hadees 07:
“Hazrat Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Dunya Par Khas Tazalli Farmata Hai Aur Kahta Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Usse Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon Hai koi Musibat Jada Ki Usse Aafiyat Ata Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai ki Fazr Tuloo Hojaye” 

Reference :
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih )
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52)
 


Shab E Baraat Aur Ziyarat E Quboor 
Hadees :
“Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat Shah E Mauzoodat 
Ko Naa Dekha To Baki E Paak Me Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah 
 Maine Khayal Kiya Tha Ki Shayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
 

References : (Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : 
Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)

Yaha Imam Tirmizi Imam Ibn Majah Rahmatullah Alaiheem azmayeen ne pure baab hi Nisf E Shaban kay naam se kayam kiye hai unhe bhi nahi maloom tha kay aisi koi cheez hi nahi hai ye biddat hai aaj 1400 saal baad ek jahil giroh nikal pada hai dawa Quran Hadees magar naa to talluk Quran se Hai naa hadees ka fahem hai.

Bilkul bhi Ahle Sunnat ko in munafik Wahabi Ahle hadeeso kay makr aur fareb me aane ki jarurat nahi hai ye jamaat kaahil hai ibadat se bhagti hai har ahle hadees ka baccha ye kahega kay Shab E Qadr me jaagna chahye isme nhi ibadat kay liye inse pucho puri dunya me kitne Wahabi Taak Raato me jaagte hai Shab E Qadr Talash karte huwe ?
Kitni Ahle Hadees Masjid Khuli hoti hai yaha tak kay jo jaagne kay liye kahega wo khud Sota Milega Ye badi ahem baat hai.
ye Kaum Ibadat se jaan chudati hai isliye itne hile bahane inke mullah karte hai kay bas kaum Amal se hi dur rahe.

Yahan humne Mukhtasar andaaz me hawalo kay saath chand rivayat pesh ki hai aur bhi kutoob e hadees me iski asl mauzood hai jo ahmak is raat me kayam ko biddat kahe wo khud hi ye ganda aqaid tarash karke biddati ban raha hai
aise jhola chaap wahabiyo ko chahye kay hadees ki kitab usool e muhadiseen phir buzurgan e deen ka amal dekhe aur phir jaban khole. 

ALLAH TAALA HUM SABKE IMAAN KI HIFAZAT KARE AUR IS MUBARAK RAAT ME HAMARA NAAM BHI UNME SHAMIL HO JINKI MAGFIRAT HOJAYE. 

No comments:

Post a Comment

MADARSA HUZOOR SIBRAIN RAZA WHATS APP GROUP SAWAL O JAWAB

                                                         ⬅ سوال=01➖                فرض کی پہلی دو رکعتوں میں اور نفل و وتر کی کسی بھی سو...