*بسم الله الرحمن الرحيم*
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم
➡"FAZA'ILE WAZU"
Wazu Namaz Ki Kunji Hai.
Wazu Ko TAHARATE SUGRA Kehte Hain.
Bagair Kamil Wazu Ke Namaz Na Hogi.
Pehle Wazu Ke Fazayel Quran O Hadees Se Padhen, Phir Wazu Ke Tamam Masayel.
QURAN:
Aye Iman Walo Jab Namaz Ko Khade Hona Chaho To Apna Muh Dhowo Aur Kohniyon Tak Hath, Aur Saron Ka Masah Karo, Aur Gatton Tak Paon Dhowo.
{Para-6, Ruku-6, Sure Maydah, Ayat No-6}
HADEES:
Qayamat Ke Din Meri Ummat Is Haal Me Pukari Jayegi Ke Muh Aur Hath Paon Wazu Ke Aasaar Se Chamakte Honge To Jo Chahe Apni Chamak Ziyadah Kare (Wazu Ziyadah Kare)
{صحیح البخاري، كتاب الوضوء، باب فضل الوضوء، جلد-۱، صفحہ-۷۱، حدیث-۱۳۶}
HADEES:
Jo Eik Eik Bar Wazu Kare (Wazu Me Apne Aaza Ko 1-1 Bar Dhoye) To Ye Zaroori (Farz) Hai Aur Jo 2-2 Bar Dhoye Uske Liye Doona Sawab Hai, Aur Jo 3-3 Bar Dhoye Ye Mera Aur Pichle Ambiya Ka Wazu Hai.
{Musnade Imam Ahmad Bin Hambal, Jild-2, Page-417, Hadees No-5739}
HADEES:
Jo Shakhs Wazu Par Wazu Kare (Wazu Hote Huye Bhi Taza Wazu Kare) Uske Liye 10 Nekiyan Hain.
{جامع ترمذي، أبواب الطهارة، باب ماجاء أنه يصلي الصلوات بوضوء واحد، جلد-۱، صفحہ-۱۲۴، رقم الحدیث-۶۱}
➡"WAZU KA MUKAMMAL TARIQAH"
Jab Wazu Karna Ho To Pehle Bismillah Puri Padh Le, Phir Dono Hath Gatthon Tak 3 Martaba Dhoyen Aur Sidhe Hath Se Miswak Kare (Agar Ho To) Phir 3 Baar Kulli Is Tarah Kare Ki Halaq Aur Zaban Ki Jad Aur Danto Ke Tamam Jagho Par Paani Paohchaye, Is Tarah ki Dant Ya Zaban Ke Talu Me Koi Chiz Chipki Ho To Nikal Jaye.
Phir Sidhe Hath Se Nak Ki Narm Haddi Tak Paani Paohchaye Aur Ulte Hath Ki Choti Ungli Nak Me Daal Kar Nak Saaf Kare.
Phir Dono Hatho Ka Katora Bana Kar Hath Me Pani Jama Kare Aur Pura Chehra 3 Baar Dhoye, Is Tarah Ki Baal Ugne Ki Jagah Se Thoodi Ke Niche Tak.
1 Kan Patti Se Dusri Kan Patti Tak, Dadhi Ho To Use Bhi Dhoye Aur Usme Khilal Kare (Ungliyan Andar Daal Kar Balo Ki Jadon Tak Pani Paohchaye) Lekin Ehraam Ki Halat Me Khilal Na Kare Ki Baal Tootne Ka Andesha Hai.
Chehra Dhone Me Mubalega Kare Yani Aisa Dhule Ki Koi Jagah Bheegne Se Baqi Na Rahe, Aur 3 Baar Dhule.
Phir Sidha Hath Kohni Ke Kuch Upar Se Ungliyon Samet Achche Se 3 Baar Dhoye.
Phirn Ulta Hath Dhoye.
Phir Hath Gile Kar Ke Sar Ka Masah Is Tarah Kare Ki Dono Hath Ka Ungutha Aur Kalme Ki Ungli Chhod Kar Dono Hath Ki 3-3 Ungliyan Milayen Aur In Ungliyon Ko Mathe Se Laga Kar Piche Tak Le Jayen Jahan Baal Khatm Hote Hain.
Iska Khayal Rakhe Ke Masah Me Sar Ke Balon Par Dono Hateliyan Aur Angutha Aur Kalme Ki Ungli Balo Se Na Lage.
Ab Piche Se Aise Wapas Ho Ki Dono Hateliyan Balon Se Lagi Ho Aur Ungliyan Khuli Hui Ho Wapas Mathe Tak Laye Jahah Se Piche Gaya Tha.
Ab Dono Hath Ki Kalma Wali Ungli Ko Kaan Ke Khaddon Me Dal Kar Kan Ki Naliyan Saaf Kare.
Aur Dono Anguthon Se Kan Ke Pichle Hisse Ke Niche Ke Sire Se Upar Laye Aisa Hua Kan Ka Masah. Phir Dono Hath Ki Ungliyon Ki Peeth Se Gardan Ka Masah Kare Magar Ziyadah Niche Tak Na Laye Ki Gale Ka Masah Ho Aisa Makrooh Hai.
Phir Sidhe Pair Ki Ungliyon Samet Tukhno Se Kuch Upar Tak Dhoye Aur Pair Ki Ungliyon Ka Khilal Bhi Kare.
Phir Ulta Pair Dhoye.
Ab Wazu Khatm Hua Phir Wazu Ki Dua Padh Len.
{Makhooz, Az Kutbe Fiqah}
Hum Ne Hattal Imkan Aasan Se Aasan Likhne Ki Koshish Kee Magar Aap Jante Hain Ki Har Chiz Padh Ke Hi Samajh Me Nahi Aati Behtar Hai Aap Apne Mulk Ya Shaher Gaon Ke Kisi Sunni Aalime Deen Ke Paas Ja Kar Unse Apna Wazu Sahi Karwa Le.
Agar Wazu Sahi Hua To Aapki Namaz Ki Tilawate Quran Muqaddas Maqamat Ki Hazri Wagera Sab Sahi Hai.
Aur Musalman Ko Aise Bhi Har WAQT BA WAZU REHNA CHAHIYE KYA PAK KAB MAUT AYE.?
➡"WAZU KI TAFSILAAT"
Wazu Me Char Chizen Farz Hai.
1=> Muh Dhona.
2=>Kohniyon Samet Hath Dhona.
3=>Sar Ka Masah Karna.
4=>Takhno Samet Paon Dhona.
Badan Ke Jis Hisse Ka Wazu Me Dhona Farz Hai Us Pe Kam Az Kam 2 Boond Pani Bah Jaye.
Bheeg Jane Ya Tel (Oil) Ki Tarah Chapad Lene Se Ya 1 Aadh Boondh Bah Jane Ko Dhona Nahi Kahege Na Usse Wazu Ya Gusl Pura Hoga.
{FATAWA RAZVIYAH, BABUL WAZU, Volume-1, Page-218}
Mas'ala:
Hath Me Challe Aur Anguthiyan Dhage Ya Kangan Ho To Unke Niche Pani Bahana Farz Hai Agar Hila Kar Pani Paohche To Theek Warna Utar Kar Pani Bahana Farz Hai.
{Fatawa Razviyah, Jild-1, Page-216}
Yad Rakhiye Jism Ka Jo Hissa Wazu Me Dhona Farz Hai Usme Khoob Mubalega Aur Ahtiyat Se Dhona Pani Paohchana Chahiye Taki Wazu Mukammal Ada Ho.
Ab Wazu Ki Sunnaten Padhe Aur Puri Koshish Kijiye Ke Sunnat Ke Mutabiq Wazu Ada Ho Taki Sawab Pura Pura Mile.
Sunnat:
Wazu Ki IBTEDA Bismillahi Se Kare.
Sunnat:
Pehle 3 Baar Hath Gatthon Tak Dhoye.
Sunnat:
Kam Se Kam 3-3 Martaba Danton Me Dayen Bayen Upar Niche Miswak Kare.
Aur Har Martaba Miswak Ko Dho Le.
Aur Miswak Na Bahot Marm Ho Na Bahot Sakht.
Miswak Peelu Ya Zaitoon Ya Neem Ki Kadwi Lakdi Ka Ho.
Miswak Ki Size Choti Ungli Ke Barbar Moti Aur 1 Balisht Lambi Ho Isse Zaiyadah Lambi Na Ho.
Chunki Hadees Me Allah Ke Pyare Mahboob Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ka Ye Irshad Maujood Hai.
2 Rakat Namaz Jo Miswak Kar Ke Padhi Gai Be Miswak Ki 70 Rakaton Se Afzal Hai.
{At Targeeb War Tarheeb, Jild-1, Page-102, Hadees No-18}
Afsos Ki Aaj Hum Se Miswak Ka Riwaj Uthta Ja Raha Hai.
Sunnat:
Agar Miswak Na Ho To Ungli Se Dant Manjhe, Agar Dant Na Ho To Ungli Ya Kapda Masudon Me Pher Le.
Sunnat:
Phir 3 Chullu Pani Se 3 Kulliyan Kare Aise Ke Muh Ke Har Hisse Me Pani Jaye.
Roza Na Ho To Gar Garah Kare.
Sunnat:
Phir 3 Chullu Nak Me Pani Dale.
Jahan Narm Haddi Hai.
Pani Sidhe Hath Se Dale Nak Ulte Hath Se Saf Kare.
Sunnat:
Muh Dhote Waqt Dadhi Ka Khilal Kare.
Sunnat:
Hath Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Kare.
Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Is Tarah Kare Ki Pehle Sidhe Paon Ki Sab Se Choti Ungli Se Shuru Kare Aur Anguthe Par Khatm Kare.
Phir Ulte Paon Me Anguthe Se Shuru Kar Ke Choti Ungli Pe Khatm Kare.
Sunnat:
Jo Aaza Dhone Ke Hain (Hath, Paon, Muh, Pair) Unhe 3-3 Baar Dhoye Har Martaba Is Tarah Dhoye Ki Koi Hissa Na Reh Jaye Warna Sunnat Ada Na Hogi.
➡"WAZU ME MAKRUHAAT"
Qaydah- Lafz Makrooh Jab Mutlaq Bola Jaye To Usse Makroohe Tehrimi Murad Hota Hai.
Aur Makroohe Tehrimi Wo Hai Jiska Karne Wala Gunahgar Hota Hai Magar Iska Gunah Haram Se Kam Hai.
Aur Musalsal Ise Karna Gunahe Kabira (Bada Gunah) Hai.
Aur 1 Makrooh Hai Tanzihi Jiske Karne Par Gunah To Nahi Hoga Magar Karna Achcha Nahi Aur Lagatar Kiya To Baherhaal Gunahgar Hoga.
Wazu Me Kuch Baten Makrooh Hai Hame Isse Bachna Chahiye.
★ Aurat Ke Gusl Ya Wazu Ke Bache Huye Pani Se Wazu Karna.
★ Wazu Ke Liye Napak Jagah Baithna Ya Napak Jagah Wazu Ka Pani Girana Ya Masjid Ke Andar Wazu Karna.
★ Lote Me Wazu Ke Qatre Tapkana Ya Reenth Khankhar Dalna, Qibla Rukh Thookna Ya Kulli Karna, Bila Zaroorat Dunya Ki Baten Karna Ya Ziyadah Pani Kharch Karna, Ya Itna Kam Pani Kharch Karna Ki Sunnat Ada Na Ho, Zor Se Muh Pe Pani Marna.
★ 1 Hath Se Muh Dhona. Gale Ka Masah Karna, Ulte Hath Se Nak Me Pani Dalna, Ya Kulli Karna, Sidhe Hath Se Nak Saaf Karna, Apne Liye Wazu Ka Nal Ya Lauta Khas Karna, 3 Bar New Pani Se Sar Ka 3 Bar Masah Karna, Dhoop Ke Garm Pani Se Wazu Karna, Muh Dhulte Waqt Hont Aur Ankho Ka Zor Se Band Karna Aur Agar Kuch Sukha Reh Gaya To Wazu Hi Na Hoga.
{Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-301}
Mas'ala:
Agar Wazu Na Ho To Namaz Aur Sajdae Tilawat Aur Namaze Janaza Aur Qurane Pak Ko Chhune Ke Liye Wazu Karna Farz Hai.
{Noorul Izah, Page-18}
Mas'ala:
Tawafe Kaba Ke Liye Wazu Karna Wajib Hai.
{Durre Mukhtar, Volume-1, Page-205}
Mas'ala:
Gusle Janabt (Biwi Se Sohbat Ki To Gusl Farz Hua, Us Gusl Ko Gusle Janabt Kehte Hain, Miya Aur Biwi Dono Pe Gusl Farz Hai) Se Pehle Aur Jumbi (Sohbat Ke Baad Jispe Gusl Farz Hua) Ko Khane Peene Se Pehle, Aur Sote Waqt, Azan Aur AQAMAT, JUMA Aur EIDAIN Ke Khutbe Ke Liye Aur Sarkar Sal'lallahu Alaihi Wasallam Ke Rozae Pak Ki Ziyarat Ke Liye, Waqufe Arfa, Safa Aur Marwah Ki Saee Ke Liye Wazu Karna Sunnat Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissa -2, Page-302}
Mas'ala:
Sote WAQT Aur Uthne Ke Baad, Mayyat Ko Nehlane Ya Othane Ke Baad, Aur Sohbat Se Pehle, Quran Ko Zuban Se Padhne Ke Liye, Aur Jab Gussa Aaye, Hadees Aur ILME DEEN Padhne Aur Padhane Se Pehle, Juma Aur Eidain Ke Khutbo Ke Ilawa Aur Khutbo Ke Liye (Jaise Nikah Ka) Aur Deeni Kitabo Ko Chhune Se Pehle, Satre Galeez (Aurat Ya Mard Ki Sharamgah) Chune Ke Bad, Jhoot Bolne Aur Gali Dene, Ganda Lafz Zuban Se Nikalne, Kafir Se Badan Chhu Jane Ke Baad, Saleb Ya But Chhune, Kodhi Ya Safed Dag Wale Ko Tuch Hone, Bagal Khujane Se Jab Ki Usme Bad-Boo Ho, Gibat Karne Zor Zor Se Hansne, Bekar Ke Sher Padhne Aur Oont Ka Gosht Khane, Kisi Aurat Se Badan Tuch Ho Aur Beech Me Koi Kapda Na Ho In Sab Surton Me Wazu Karna Mustahab (Achcha) Hai.
{Bahare-E-Shariat, Hissat-2, Page-302}
➡"WAZU TODNE WALI CHIZON KA BAYAN"
Mas'ala:
Pakhana, Peshab, Mani, Mazi (Wo Safed Patla Pani Jo Sohbat Ke Khayal Se Nikalta Hai Bahot Mamooli Miqdar Me), Aur Wadi (Wo Safed Pani Jo Peshab Ke Bad Nikalta Hai), Keeda, Hawa (Mard Ya aurat Ke Pichle Maqam Se Hawa Nikalna) Pathri Mard Ya Aurat Ke Aage Ya Piche Se Nikle Wazu Jata Rahega.
{Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-303}
Mas'ala:
Khoon Ya Peep Kahi Se Nikal Kar Baha Aur Beh Kar Jism Ke Us Hisse Par Paohcha Jiska Wazu Ya Gusl Me Dhona Farz Hai To Wazu Jata Raha.
Khoon Ya Peep Sirf Chamka Aur Ubhra Magar Baha Nahi Aur Khilal Ya Miswak Ya Ungli Se Dant Manjhte WAQT Khoon ka Asar Paya Ya Naak Me Ungli Dali Uspe Khoon Ka Asar Malum Hua Magar Wo Behne ke Qabil Nahi To Wazu Na Toota.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-304}
Mas'ala:
Khoon Nikla Magar Beh Kar Aisi Jagah Nahi Aaya Jiska Dhona Farz Tha To Wazu Na Toota.
Jaise Aankh Me Dana Tha Aur Phoot Kar Ankh Me Hi Phail Gaya Bahar Nahi Aaya To Wazu Nahi Toota, KAAN Me Dana Tha Toot Kar Uska Pani Surakh Se Bahar Nahi Nikla To Wazu Baqi Raha.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-305}
Mas'ala:
Muh Se Khoon Nikla Agar Wo Thook Par Galib Tha Yani Khoon Ka Rang Garha Tha To Wazu Toota Agar Khoon Ka Rang Pheka Tha Aur Thook Ziyadah Tha To Nahi Toota.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-305}
Mas'ala:
Muh Bhar Ke Ulti Hona Ya Ulti Me Safra Ya Paani Ya Khana Hi Nikle Tab Bhi Wazu Toota, Walti Me Sirf Balgam Hi Nikla To Wazu Nahi Toota.
{Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-305}
Mas'ala:
So Jane Se Wazu Tootta Hai, Oonghne Ya Baithe Baithe Jhonkne (Dhilki Marne) Se Wazu Nahi Tootta.
{FATAWA RAZVIYAH, Jild-1, Page-367}
Mas'ala:
Behoshi, Junoon, Gashi Aur Itna Nasha Karna Ki Chalne Me Paon Ladkhadaye Ye Sab Wazu Tod Deta Hai.
{Durre Mukhtar, Jild-1, Page-299}
Mas'ala:
GUTHNA Ya Satar Apna Ya Paraya Khulne Se Ya Use Dekhne Se Wazu Nahi TootTa.
{Fatawa Razviyah, Jild-1, Page-319}
📕"HAQ KI BANDAGI"
CHAPTER=4,5,6,7, AUR 8
📝 MUSANNIF:
✏Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
((Khalifah Huzoor Amine Shariat))
Founder- SUNNI JAMI'ATUL AHNAAF (MUMBAI)
Rabtah Number-
9146122911
9820672770
No comments:
Post a Comment